- 2,807
- 6,752
- 144
Update #08
Part #01
Ye Update hamare Danny69 Bhai ko samarpit hai
Raat k kareeb 12 bajne ko honge aur aise main Sattu hath main Torch liye hue.. khet ki med pe baitha hua tha, Gaon main uper se kheton k beech thand lagna bahut aam si baat hai
Sattu khet ki taraf dekhte hue
"Jaldi kar"
Khet k andar baitha hua Satyam apne pichwade se damake karte hue kehta hai
"Are Bhaiya.. chole bhature kha liye thay na wahi nikal rahe hai, thoda time toh lagega na"
Sattu- (Thand ki wajah se apni baahon pe hath ragadte hue) subha tak ruk nahi sakta tha.. kitni thand hone lagi hai
Satyam- (Apni jagah badalte hue) are Bhaiya.. ruk sakta toh aapko itni raat jagata thodi
Sattu- are toh ghar main bhi tha na shauchalay?
Satyam- (Haste hue) Ghar main kaha kheton wala maza
Sattu bhi apne chote bhai ki baaton pe apna maatha peet leta hai.. aur usi prakar baitha rehta hai tabhi uske man main ek baat aati hai aur wo thoda sakuchate hue kehta hai
"Acha sun.. ye bata ki tujhe koi pasand hai kiya"
Satyam bhi achanak aisi baat sunkar hairan reh jata hai.. par phir uske adharon pe muskaan bikhar jaati hai, qki use lagta hai ki Maa ka jadu bade Bhaiya pe bhi kaam karne laga hai
Savita ka Jadu
Par baat toh bilkul alag thi
Satyam- (Chehre pe kaminapan nazar aane laga tha) Mujhe toh kai pasand hai Bhaiya.. par aapko kiya ho gaya.. yu achanak, koi hai kiya
Sattu ko lagta hai ki uska bhai uski baat ko bus mazak samajh raha hai
"Are main mazak ki baat nahi kar raha hu, mera matlab.. koi aisi jiske liye tu.. mera matlab ki.. acha chal chor
Satyam- (Gambhirta dikhate hue) are pehli baar toh aapne dil khola hai.. aise kaise acha batayie toh
Sattu- matlab ki.. teri zindagi main kiya koi aisi hai ki uske liye tu.. matlab ki
Satyam- ohooo.. lagta hai mere Bhaiya ko prem ho gaya hai
Satyam itna kehte hue hasne lagta hai.. jispe Sattu thoda jhaip sa jata hai
Satyam- (Apne aap ko halka karke khet se bahar aate hue) are Bhaiya kaha aap in sab chakkar main pad gaye, zindagi hai maze karo bus
Sattu- (Samjhane ki koshish karte hue) main samjha nahi ?
Satyam apne lote ka bacha hua paani girate hue
"Rehne do aap.. aapko kuch bataunga toh pehle khud hi 10 baaten sunaoge aur phir ghar pe bata doge"
Jigyasa Inshan se kuch bhi karwati hai, aur Sattu toh waise es samay ek najuk lamhen ko jee raha hai
"Are bata na.. main kuch nahi kahunga, aur kisi se bataunga bhi nahi"
Satyam kuch kehne k liye apna munh kholne hi wala hota hai ki use Maalti ka dhyan aata hai.. aur uske honthon pe vijeta waali muskaan khel jati hai
"Kasam Khao.. "
Sattu- kiya.. ?
Satyam- Aapka kiya barosha.. pehle khud kut do, phir ghar pe kutwa do
Sattu has padta hai
"Acha theek hai.. teri kasam, main kuch nahi kahunga"
Satyam- (Maharaj jaisi angdai lete hue) Mere pass ek nahi 2 hai
Aur has k aankh maar deta hai, jabki Sattu ye sunkar wahi ka wahi tham sa jata hai
Sattu jo kuch kadam aage bad gaya wo peeche mudke apne bade Bhai ki halat dekh k has padta hai
"Bus itne main hi.. jab ye bataunga ki main kiya kiya kara hai tab kiya haal hoga aapka"
Sattu- (Maano wapas hosh main lauta ho) kiya 2.. tu pagal hai kiya, kon hai wo.. kaise.. kab ?
Sattu ek hi saans main apne chote bhai pe ghussa bhi karta hai aur Hairani se sabhi sawal bhi kar dalta hai
"Aapne Kasam khai ki aap datoge nahi.. warna theek hai mujhe kiya, kuch nahi bataunga
Waise main sayad aapki kuch madad bhi kar deta.. 2-2 ka gyan hai"
Satyam garv se Seena chauda karte hue kehta hai
Sattu- (Tapak se) main.. main daat nahi raha hu, par 2-2 ladkiya ?
"kiya Bhaiya.. aap bhi Gaon k buddhu hi rahoge, samay k sath chalna seekho
are aaj kal santaron ka samay nahi hai.. bade bade papiton ka samay hai"
Sattu apna sar khujane lagta hai.. waise esmain uski galti bhi nahi
Uske jeevan ka matlab.. ghar se khet aur khet se ghar hi tha, jab tak use apni Sheela Bua k prati es naye ehsaas ka pata nahi chala
Sattu- kiya Papite.. santare kar raha hai, saaf saaf bata na
Satyam haste hue apne seene pe dono hath rakhta hai aur aise chalata hai maano badi badi Chuchiyon ko sehla raha ho
Sattu ka toh thuk tak sukhne lagta hai.. uske seedhe shade jeevan main Satyam kamukta ka tufan laane laga tha
Sattu k dimag ki batti jal uthti hai.. uske aankhein puri fail jaati hai aur munh khula ka khula reh jata hai
"Matlab tu jin 2 ki baat kar raha hai wo..."
Satyam- Bus yu samjh lo.. ek Maa hai toh dusri Maalti Chachi
Sattu- (Ghusse se) kiya bak raha hai.. dimag theek hai
Satyam- (samajh jata hai ki Sattu uske raste pe itni asani se nahi chalne wala hai) are mere kehne ka matlab hai ki wo dono Maa aur Maalti Chachi jaisi hi hai
Sattu- kiya.. matlab.. sachi.. kon hai bata na ?
Sattu agle hi pal wapas apni jigyasa se grasit ho chuka tha
Satyam- Naam toh nahi bata sakta.. baki sab janna hai toh...
Sattu- Ha.. ha bata na.. bata
Satyam apne bade Bhai ki halat dekh k man hi man has padta hai aur khud se kehta hai
'Sonu k baad ek aur ek mil gaya'
Par wo apni khushi ko jahir nahi hone deta hai
"Sab bataunga.. par abhi Ghar chalo, badi neend aa rahi hai"
Satyam aage bad chalta hai, Sattu bhi lagbhag daud k uske kareeb aate hue
"Phir... Phir kab batayega"
Satyam- (Samajh chuka tha ki ab chidiya fas chuki hai) soch raha tha subha khet pe bata dunga.. par kal toh subha subha mujhe tubewell aur haud ki puri safai karni hai, phir kaise..
Sattu- (Bina vilamb k) wo sab main kar dunga.. tu bus..
Satyam- (Man hi man haste hue) sab bataunga.. waise nanga toh maine dono ko kiya hai, par choda bus ek ko hai
Sattu k liye aisa khula sabd 'Choda' wo bhi apne chote bhai k munh se sunna bada ajeeb lag raha tha.. par sath hi sath uske andar ek nayi tarang si uthne lagi thi
Satyam- (Apne Bade Bhai ki estithi ka pura anuman lagate hue) agar aapko ye sab baatein pasand nahi toh main rehne deta hu.. mujhe kiya, waise har Prem k safar ka ant bistar pe hi hota hai
Satyam ne apni aakhiri baat thoda dhimi aawaz main kahi, maano wo darshana cha raha ho ki wo apne bade Bhai ka samman kar raha hai.. jabki wo Sattu k sath sirf khel raha tha
Sattu- (Thodi dair sochne k baad) Dusri waali k sath q nahi kuch.. matlab ki uske sath Jaldi abhi
Satyam- (Sattu ki es baat se use yakin ho jata hai ki uska bada Bhai ab puri tarah uski giraft main aa chuka hai) are nahi Bhaiya.. pichli thand se uske sath chal raha hai, bus use paana itna asan nahi hai na.. saali asani se hath nahi aa rahi hai
Sattu ko yu kisi aurat k liye gaali sunna acha nahi lagta.. wo bhi apne chote bhai k munh se, par es samay wo es baat ko puri tarah nazarandaz kar jata hai
"Q wo tujhe piyar nahi karti"
Satyam- (Has padta hai) Bhaiya ye piyar viyar ka chakka main nahi palta.. baki kaise samjhau aapko, yu samjho meri jagah aur koi hota toh use paane ki sochta bhi nahi itna muskil hai
Sattu ko aisa lagta hai maano Satyam apni baat na karke uski estithi pe baat kar raha ho.. qki 'Sheela' uski sagi Bua hai, aur uske liye bhi use pana bhi lagbhag asambhav hi hai
Sayad yahi wajah thi ki Sattu ki liye ab Satyam or es aurat ki kahani uska kendr bindu ban chuki thi
Satyam- Waise pehle waali main jada pareshani nahi aayi thi, yu samjho wo khud..
Sattu- uski chor.. mujhe ye dusri waali k bare main bata
Satyam man hi man
'Ab aaye na Bhaiya.. bottle main'
Satyam- (Jaan k jamhai lete hue) abhi toh badi neend aa rahi hai, ghar bhi aa chuka hai.. kal batata hu na khet pe aap bus wo tubewell aur haud ki safai ka..
Sattu- Ha..ha wo sab main kar dunga, tu wo sab chor
Satyam mand mand muskurate hue ghar main pahuch chuka tha.. aur jaldi hi dono bhai apni apni Charpai pe laitne lagte hai
Satyam- (Apne uper chadar dalte hue) waise Bhaiya.. Bapu ko na batana ki tubewell or haud ki safai..
Sattu- Uski fikr na kar, main keh dunga sab tune hi kiya hai
Sattu ko andaza nahi tha ki uska chota Bhai uski estithi ka purn fayda uthane laga hai
Jaldi hi dono Bhai Charpai pe lait chuke thay.. jaha jaldi hi Satyam gehri neend ki agosh main kho jata hai par Sattu ki aankhon se neend maano gayab si ho chuki thi
Esi din bhari dopahari ko Delhi main.. 'Manohar Nivas' pe
Update #08
Part #02 Comming Soon...