""
Update ... 1
“ are yaar jaldi rok na gadi ”
“ kya hua ab ? ”
“ Arre kya hua hoga ?... vahi iska photographi ka keeda”
“ Dekh tu meri photography ke bare mein kuch mat bol ha ... aur phir zra baahar dekh , kya haseen nazara hai ... Tum logon ko aana hai to aao varna main chla kuchh acchi pictures click karne ” un dono ko dant’te hue me bola
“ Ok ok fine , But come soon... that's what we've been waiting for ” sheet par pasarte hue Pritam ne kaha
“ Ok ” me gadi se utarkar apne camera me us vadi ke nazaaron ko kaid karne mein mashagul ho gaya ... Bahut hi suhavna mausam tha us vakt manali mein ... halki-halki barfbari bhi shuru ho chuki thi . Par me apane kaam mein itana khoya hua tha ki mujhe pata hi na chala ki me kab Ghadi se door nikal aaya. Tabhi pictures lete hue achanak mujhe Ek jannat ki pari dikhai padi
Use dekhkar me saham gaya tha is dar se ki agar mene apna haath na badhaya hota to vo Pari /ladki is vakt khaee mein hoti .
Mene ek pal ke liye khud ko dekha aur phir use par un ankhon mein is baat ka zara bhi khauf nhi tha ki kuch der pehle uski jaan bhi ja sakti thi ... Dar ki jagah un aankhon mein mujhe ek dard dikhai diya. Ek gehra udash dard.
“Are you fine ?”
“ yes ! vo mujhe pta hi nhi chala ki kab vo mera pair ! Khair meri jaan bachane ke lie shukriya ”.... itna kehkar vo mud’kar jaane lagi .
Mene use rokna chaha, shaayad puchhna chahta tha ki aakhir koi apani jaan ke liye itna laparvaah kaise ho saktI hai ? lekin kaise puchta ? vo thi to mere liye ek aajnabi hi na ...
Abhi me vhi khda soch hi rha tha ki Tabhi meri nazar zameen par gire ek kagaz par padi ... Vo kagaz shayad us ladki ke paas se gira tha vahan... Mene vo kagaz uthakar khola ki tabhi !
"Are Akhil ! kya hua tha ? tu thik to hai na ? hamane vahaan se kuchh girne ka shor suna "... ye mere dost Anant kee aavaaz thee.
" Ha ! kuchh nhi hua sab thik hai "
"lekin vo ladki kaun thi ?" Mere dusre dost Pritam ne puchha.
" Pta nhi " ...mene badi laaparvahi se baat ko talate hue kaha.
"chal abhi bahut le li tasveeren, mausam bhi kharab ho raha hai ... hame vapis hotel chalna chahiye " ..ye kahakar Pritam or Anant gadi ki taraf badhne lage.
Mene ek baar mud'kar pichhe dekha aur phir us kagaz ke tukde ko aur mod'kar apani pocket me rakh liya.
us sham mausam me toofan ki shuruaat ho chukee thi or me es vakt ek 5 star hotel ke aalishan room me tha.
" Hello papa "
" Hello Akhil beta kaise ho tum ? kaisi chal rahi hai tumhari vocation ? "... dusri taraf se aavaz aaii.
" Main ekdam thik hoon papa, aap aur maa kaise hain ?
"hum bilkul thik hai, tumhari maa tumhe yaad kar rahi thi ... lekin tum ye batao ki tum log vapis kab aa rhe ho ?"
" kyaa papa abhi yaha aye hame teen din bhi nahi hue hai aur ye saval aap dusari baar puchh rahe hain "... mene dikhavati narazagi jatate hue kaha.
" kya kru beta kabhi tumhe khud se door nahi bheja na "
"par papa ab main bda ho chuka hu "
"haan-haan pata hai, tabhi to tumhe roka nahi ... tumhara jab tak mann kare ghumo, enjoy karo ... aram se vapis ana, koee jaldi nahin ok ? "
"Thank you papa, byy "
Me apka apna introduction de deta hu taki aap meri history geography Jann sko to Bhailog me hu Akhil Rastogi , Delhi sheher ke jane-mane businessman Khekhar rastogi ka ikalauta beta .... dikhne me to me kisi handsome hunk se kam nahi hai aur filahal me apne do doston ke sath chhuttiyan bitane manali aya hua hu ... vaise aapaki janakari ke liye bta du ki mere pita ke business se jyada meri ruchi study aur photograaphy mein hai.
Me aaya to yaha ek musafir ban kar , lekin mujhe ye nahi pta ki kismat mujhe meri ki koun kaun-see hakikat se ru-ba-ru karavane vali hai .
Ek bda sa andhakarmay room tha jiske beech me maiz par ek dheemi roshani vala study lamp jal rha tha ... Room me jyada kuchh nahi bs ek bed, kitabon se bhri almirah, deevaron par badi-badi paintings aur ek study table thi jis par Vo chupachap baithi apane khyalon me gum thi ... kale ghane baal, gahri bhoori aankhi, ek sundar lekin udaas aur khamosh chehara.
"yahi din tha vo vo manahoos shaam. kash ! ki ye din usaki zindagi me kabhi aaya hi na hota ... kash ! ki vo use kabhi khud se door hone hee nahin deti. kash ! ki vo use bcha paati " ye sochate-sochate usaki aankhon me udasi ki jagah aansuon ne le li .
" Are yaar Akhil tune uncle ko bol diya na ki abhi ham kuchh din aur yaha rahne vale hain "
"haan meri baat ho gayi hai unse, unhone kaha hai ki jab tak hamara mann kare ham yahan rehh sakte hai "
" badhiya to ab ham logo ko sona chaahiye " jamvai lete hue Anant bola
" Nhi yaar tum log so jao, main abhi apne aaj ke pictures ka collection check karoonga "
" Ok ! As you wish , chal lawde " Pritam ke kandhe par thapki marte hue Anant bola
" Good night " uthte hue Pritam ne mujhse kaha or Anant ke sath mere room se chla gya
Anant aur Pritam ke Room se jane ke baad mene apna DSLR camera uthaya aur bed par aaram se pasarkar click ki hui tasvire dekhne lga ... tasviron ko sweep karte hue mere samne us ladaki ki tasveer aa pahunchi ... ghane kaale lambe baal aur black colour ka overkout jo usne blue colour ki jeans ke sath dala hua tha is se jyada us tasveer me aur kuchh nahi dikha us se juda.
tabhi achanak ek khyal mere dimag mein kaundha aur mene fataphat uthakar almirah se apni jekiet nikali jo subah mene pahno thi aur phir me uski pocket me kuchh dhoondhne lga.
aur aakhir vo mil gya vo kagaz ka tukda jo subah us tragedic girl ke paas se gira tha.
Mene vo kagaz khol kar dekha. us par ek bahut hi pyari shayari type poem likhi hui thi. Jo kuch es prakar thi
" jo tera saya kisi jism se saham jaye
to mujhe yaad karna
jo teri nind aadhi raat mein hi ud jaye
to mujhe yaad karna
jo tere haalat kabhi teri samajh me na aaye
to mujhe yaad karna
jo bheed mein bhi teri tanhaii tujhe sataye
to mujhe yaad karna
jo teri rooh ka parinda aasamaan mein bhi chhatapataye
to mujhe yaad karna
jo teri khvahishon ka chiraag kabhi dagmagaye
to mujhe yaad karna
jo teri apani parr'chhaii bhi tujhe adhura chhod jaye
to mujhe yaad karna
main to hoon tere aas paas, beshak ye tujhe nazar na aye
par phir bhi kabhi agar meri kami tujhe rulaye
to bas tu mujhe yaad karna
mujhe yaad karna ! !"
Rits
Rits
use achanak aisa lga jaise kisi ne use pukara ho .. usne nazar uthakar idhar udhar dekha, room me koi nahin tha.
"Kya ye usaki aavaaz thi ? nahi ye nahi ho sakta vo to ja chuka tha hamesha ke liye.
lekin ye Ehesaas aisa kyon lag raha tha ki vo yahin kahin aas paas hai " ... usne sochate hue khidaki ke paas jaakar dekha. vahan bas milo door tak phaila hua andhera tha aur tez garjna hui jo ki us toofaan se kam hii lag rhi thi jo usaki jindagi me aya tha.
tabhi kisi ne uske kandhe par haath rkha.
"aur kitna kosogo khud ko ? do saal ho gye hai use gye hue aur tum aaj bhi us din se aage nahin badh paii ho ... kab tak takleef dogi khud ko ? bhool jao beta hua sab " ye usaki granny thi jo uske dil aur zindagi ke halaat se bakhubi vaqif thi.
" nahin Nani maa, me mar bhi jaoon to bho khud ko is ilzam se riha nahi kar sakati ki jo kuchh bhi hua vo sirf aur sirf mera dosh tha ... me jimmevaar hoon us anahoni ke liye jisne meri zindagi tabaah kar di " usne apne aansuo par mushkil se kaboo paate hue kaha.
" Nahi Rits , aisa nahi hai jo kuchh bhi hua vo bhagvan ki marzi thi "
"kaisi marzi naani maa ? bachapan mein mere mom-dad mujhse chheen liye aur jab zindagi me kisi ko apna mana to mera pyaar bhi mujhse chheen liya ... ye kaisi marzi hai bhagvan i aur agar yahi usaki marzi hai to phir usne ye rishte mujhe diye hee kyon ? kyon mujhe sapne dekhane par majboor kiya ? kyon use meri zindagi mein bheja " aur ye kahate-kahate vo phoot-phootakar ro padi.
" Nahi mere bachhe, bhagvan itna kathor nahin hai. jaroor usne teri zindagi ke liye bhi kuchh achha socha hoga ... aur tu to meri bahadur beti hai, too aise haar nahi maan sakati " granny ne kaha jabaki vo bhi jaanti thi ki Rits ke ghavon par is tarah ki baaten koii asar nahi karne vaali thi .
agle din subah Me yani Akhilwa apane doston ke saath ghoomne nikal gya. sara din pahado ki sair me vaqt ka kuchh pata hee na chla.
vapis aate - aate hum teenon bhayankar thak chuke the gand lal ho gai thi bc . tabhi raste me Anant ne gadi roki.
"are yaar vo dekh cafe chal vahan chalke thodi thakan utaren vaise bhi hotel kuchh door hi rehh gya hai "
"theek hai lekin jyada der nahi " Pritam bola.
" haan theek hai "
Hum teenon utarakar cafe "seezan" ki or chal pde ... Ye usi raste par tha jahan kal mujhko vo ladakk dikhaii di thi. Khair hum teenon jaakar ek table par beth gye.
" Ji sir kahiye apako kya chaahiye ?" pahadi sa dikhne vaala ek waiter hamare paas akar bola.
" teen coffee " Pritam ne ordar diya.
Me idhar udhar nazren ghumane laga. vo lakadi se bana ek wintage luck vaala chhota magar khoobasurat sa kafe tha jiske pichhali taraf bde aaram se barphile pahadon ko dekhne ka luft liya ja sakta tha ... Me ye sab notice kar hi rah tha ki tabhi mere pichhe ki taraf last table par baithi hui vo jannat ki pari dikh gaii .
Mere dil mein achaanak se thunderbolt honi lgi .
" Kya ye sirf ek ittefaak hai ? kal hi to nahi nahi ! vaise bhi ye ek chhota sheher hai our yahan kafe hi kitne hai .. ye ek itefaq hi hai " mene mann hi mann socha.
" Oye tu kidhar gum ho gya ?" Anant ne mere samne chutki bajaii.
"kuchh nahi main abhi aaya, only two minutes wait lawde " kehh'kar me table se uth gya.
" Ohhh hello kidhar chale ! "... Pritam ne awaaz lagaii.
" Chhod jaane de use, aa jayega" ... Anant ne use roka.
Me sidhe us kafe ke maalik ke paas gaya jo ek 70 saal ka bujurg vyakti tha.
"namaste kaaka, kaise hain ?" ... Me bola
"namaste beta, tum kaun ?" ...us vyakti ne kaampati aavaz me puchha.
To be countinue ....