Nevil singh
Well-Known Member
- 21,150
- 53,000
- 173
bahad khubsurat shabd sahibUpdate 72
Lekhak ki boli- Author’s note.
Dosto pata nahin mere paas sahi alfaz honge ke nahin woh bayaan karne ko jo main kehna chahta hoon iss kahani ke bare mein…. Mujhko na Hindi ati hai na urdu, main ne kahani ki shuruwaat mein yeh keh diya hai… main Indian nahin hoon, Mauritian hoon aur hamare yahan Hindi nahin bolte hein, hamari matra bhasha creole hein…main ne bahot sare grammatical mistakes kiye hein kahani likhne ke dawraan mujhe pata hai, aur uss ke liye aap sabhon se maafi chahta hoon… kahin thi ke jaga tha likha hai, kahin hoti ki jagah hota likha hai….yeh iss liye ke mujhe khud pata nahin kia likhna chahiye tha… Inn zubanon ko naa jaante huwe bhi main ne puri koshish ki story likhne ko, mera irada tha aap logon tak kahani ki zaroori theme ponhchana aur woh main ne kiya………….. Weise mere apne khayaalat hai zaroori nahin ke aap sabhon ke khayaalat se meyl khayein jo kuch main kahunga abhi.
To iss kahani mein main unn pariwaar walon ko doshi thehrata hoon jo log apne bachchon par zor zabardasti se unn ka pyar chinntey hein aur unn ki marzi par chalne ki aadesh dete hein. Iss kahani ke shuru mein keh diya gaya hai ke Vijay kitna honhaar ladka tha aur eise bache par har maa baap ko garv karna chahiye aur ussko ziada aguey barhne ki aur safalta prapt karne ki afsar dena chahiye. Vinod chacha usske parivaar walon mein se tha aur ussko bhi achchi tarah se pata tha ke Vijay kitna honhaar hai aur sab kuch zindagi mein prapt karne yogya hai to main eise baap ko 100% doshi thehrata hoon jiss ki vajah se Aisha ki zindagi, jawani tabah huwi aur apne pyar se mehroom rehna pada.
Agar Vinod chacha ne yeh sab nahin kiya hota to shayad jawani mein Vijay aur Aisha ki shadi ho gayi hoti aur unn ke awlaad hotey. Umr ke bahrr jane ki vajah se Aisha maa nahin ban saki. Doctors ke kehne ke motabik ek awrat jab 30 ki umar paar kar jati hai to maa banna mushkil ho jata hai agar ussne kabhi bachcha nahin janma ho to…han agar ek awrat pehle se maa hai weisi awrat ko 30 se upar umr mein bhi maa banne mein koyi problem nahin hoti…magar Aisha 40 ki hogayi thi to impossible tha unn ki systems ko normally operate karna bachche paida karne ke liye…to kiss ke kaaran yeh huwa? Vinod chacha ke kaaran.
Sab negatives jo iss kahani mein ata hai woh sirf Vinod chacha ke badawlat, woh villain number 1 ban jata hai story ki…… Ek ladki ka baap hone ke nate koyi bhi baap agar apne beti ki education ko rokta hai woh bilkool achchah nahin karta…education par sab ka haq hai yeh kissi ki jaagir nahin aur kissi ko haq nahin banta ke kissi ko rokein education haasil karne se… chahe woh kissi ki aapni awlaad ho yaa nahin…balke education sabhi ko bantne ki cheez hai na ke uss par rok lagane ki….
Kiisi ko abhi samamjh mein shayad nahin ayega ke main kyun yeh sab ek kahani ke liye keh raha hoon…. Aap log sab tab samjheinguey jab main aakhri update dunga jo abhi tak ek raaz hai, aur kahani ki bunyaad.
Rahi Vijay aur Aisha ka pyar, woh ek ajooba tha. Log misaal diya karte hein Laila majnu, Shirin Farhaad, Romeo Julliette jeise pyar karne walon ki magar dosto hum sab ke beech eise kayi Laila Majnu hein, kitne saare Shirin aur Farhaad hein kitne Romeos aur Juliettes hein….. Hamare darmiyaan in muhabat karne walon ko ignore kiya jata hai aur jo kitabon mein likhi gayi jhooti lovers ke kisse hein unn ke misaal diye jaate hein. Are asli muhabat karne wale to yeh log hein jo hamare beech rehkar apne pyar ke liye ladte jhagadte hein aur apne manzil tak pohonchte hein…..
Han hamare Vijay aur Aisha ka pyar weisa pyar tha jo paak tha, pavitra tha, bedaag tha… yeh wohi pyar hai jo kudrat ko bhi jhuka deta hai, taqdeer ko bhi majboor kar deta hai, yeh who muhabat hai jo aasmaanon se ban ka rata hai, inn donon ka rishta inn ke paida hone se pehle bana diye jate hein to hum insaan kaun hote hein inn ko juda karne wale? Rok to hum laga dete hein magar aakhir mein weh mil hi jate hein, magar hamari rok unn ko bahot kuch miss karwa dete hein aur unn ko pachtana bhi padta hai hamari wajah se……
Muhabat zindagi mein aguey bahrne ka ek zarya hota hai. Muhabat ke zarye insaan apna mustakbil banata hai, pyar ki zaroorat insaan ko tab se hoti hai jab se woh apne maa ki peth se nikalta hai. Agar uss waqt maa pyar na de to kia woh uss pyar ke baghair bahrta hai? Nahin dosto. Pyar bahot ehem hai, aur jiss zindagi mein pyar nahin hota woh zindagi bematlab hoti hai. Yeh sirf woh insaan ko pata hai jo pyar ke bina bachpan se barha hai…hein kuch eise budnaseeb jo bina pyar ke jeete hein, magar unn se poochna weh akele jaantey hein ke unn ki zindagi kitni suni hai kitna bematlab hai…… pyar kudrat ki deyn hai, yeh woh khazana hai jo insaan ke dil o dimaagh ko bhi jhakjor deta hai, darinde ko insaan bana deta hai, are insaan kia jaanwar mein bhi bahot pyar hota hai…zara study karke to dekh lena dosto….. pyar, muhabat har makhlookaat (creature) ke beech hota hai. Aur yeh woh jazbah hai jiss se dil to kia pathar bhi mom ki tarah pighal jata hai. Bus muhabat sachi honi chahiye.
Janwar se yaad aya kahani ki Tiger jo Vijay ka kutta tha. Kia kehna usska? Kia haal huwa tha Vijay ka jab woh wapas aya aur woh uss se nahin mila…. Yeh kia tha? Yeh bhi pyar hi to tha…. Aur sirf Vijay ke taraf se woh pyar nahin tha uss jaanwar ke taraf se bhi tha, bade bhai ne kaha tha na ke Tiger ki nazrein Vijay ko dhund raha tha…. Woh to bezuban jaanwar tha kitna toot toot kar roya hoga Tiger yeh na keh pane par ke ‘main Vijay ko dekhna chahta hoon marne se pehle’ Keise yeh kehta woh? Ab jitna pyar Vijay uss kutte se karta tha, aur jitna dukh Vijay ko huwa tha uss se hazaar gunah dukh to Tiger ko huwa hoga ke woh yeh keh bhi nahin sakta ke woh Vijay ko dekhna chahta hai marne se pehle….. Pyar ka rishta ajeeb hota hai dosto, jab dil se dil ka taar judhta hai to pyar hota hai, woh insaan se ho ya jaanwar se pyar pyar hota hai aur dil se rishta judhta hai…. Kabhi koyi bhi kissi ka pyar ka khoon na karein yeh meri duwa sabhi pyar karne walon ke liye. Upar wala sabhi pyar karne walon ko kaamyaab karein, unhein apne pyar ke kareeb rakhein, unn ke muhabat ko abaad rakhein aur ooncha mukaam dein.
Main iss kahani ko dunya bhar ke sabhi pyar karne walon ke naam karta hoon. Aur dil ki gehraayi se duwa karta hoon ke sabhi ko muhabat haasil ho aur sab kaamyaab ho. Ameen.