Update 1 (Abhimanyu Singh Khurana)
Nila asman kisi Vishal nila daimond ki tarah lag raha tha aur garmi ka wo suraj asman me kisi aag ki gole ki tarah aisa lag raha tha jaise kisi se use is bade nile diamond pe latka diya ho. Suraj ke sthiti ko dekh kar koi bhi anuman laga sakta tha ki is wakt dophar ke 3 baje hai.
Kandiwali paschim Raigarh high school
Campus me ghanti bajte hi wo sant jangal jaise campus me achanak se chahal pahal hone lagi. Har ek building students se bhar gyi jo aapas me bat karte huye haste huye school ke get ke taraf badhne lage
-Abhimanyu sir Abhimanyu sir
Achanak se ek bhari Awaj sunayi deti hai jo kisi ko bula rahi thi
-Abhimanyu koi tumhe bula raha hai
kisi ne student ke bich khade us kam umra ke ladke Abhimanyu se kaha jo baki bacho ki tarah school ke taraf jaa raha tha. Usne baki bacho ki tarah nila sport uniform pahna huya tha dikhne wo thoda patla tha aur uska kad karib 5 feet 7 inch tha Abhimanyu apna name sun kar pichhe palta aur usne dekha 6 feet 2 inch ke achhe kadkathi wale ek ladke ne use awaj di thi
-J ji ji aap kon
Abhimanyu ne hichkichate huye us ladke se puchha jo ab uske taraf badh raha tha. Bahut kosish karne ke bad bhi Abhimanyu use pahchan nhi pa raha tha. Abhimanyu aur us ladke ke kadkathi me jamin asman ka fark tha Abhimanyu ki kadkathi ek aam insan jaisi thi jabki wo ladka na sirf hight me Abhimanyu se kahi jyada lamba tha balki dekhne me bhi Abhimanyu se kaphi tagda tha. Par fir bhi sayad usme is bat ka ghamand nhi tha aur ye ki uske Abhimanyu ko ijjat bhare nigaho se dekhne ke tariko se kaha ja sakta tha.
-Iska matlab sab sahi kahte the Abhimanyu sir se bat karna itna muskil bhi nhi hai
Usne apne aap me hadbadate huye bola
-Abhimanyu sir wo mai wo mujhe apki madad chahiye thi
Us ladke ne thoda hichkichate huye kaha
- hhhahha kaisi madat
Abhimanyu haste huye puchha
-Jab mai boxing ki taiyari kar raha tha tab maine mahsus kiya ki mere panches me utna dam nhi hai to mai soch raha tha ki kya aap ise sudharne me meri madat kar sakte hai. Drona ke trainer ke hisab se mujhe apne takat se 50% jyada punch marna chahiye aur mai chahe jitni bhi kosish kar lu mai waha tak pahuch hi nahi pa raha hu
Us ladke ne umid bhari najro se Abhimanyu ko dekhte huye kaha
-O achha
Abhimanyu us ladke ke parisani par gaur karte huye bola
-Thik hai is shukrawar dophar ko tum mujhe drona me milo
Abhimanyu kuchh der sochne ke bad bola
-Thank you sir thank you thank you so much
Us ladke ne bar bar Abhimanyu ka abhar byakt kiya Abhimanyu use dekh kar thoda hasa aur fir apne dosto ke sath school gate ke taraf chala gya. Abhimanyu ko jate huye dekh kar us ladke ko apne khusi ke pradarsan karne me koi sankoch nahi huya
-Success
Usne khusi se uchhalte huye kaha
-Wow Abhimanyu sir itni asani se man gaye
Sath me khada ek student bola
-Sab sahi kahte hai Abhimanyu sir bahut hi achhe insan hai aur unse bat karna itna bhi muskil nhi hai
Us lambe ladke ne khusi se muskurate huye kaha
-Par aise kaise hamare is Raigarh school me 5000 bache hai jinme se keval 3 ko hi yudh kala me sreth ki upadhi di gyi hai. Abhimanyu sir ke alava jin do logo ke ye upadhi di gyi hai wo hai Ranveer aur Sameera lekin dono hi itne ghamandi hai ki unke pass samay hi nhi hai ki ham jaise logo ko kuchh sikha sake. Lekin Abhimanyu sir kya wo sachme itne achhe hai
Sath khade ladke ne thoda sandeh karte huye puchha use abtak ye Biswas nhi ho raha tha ki Abhimanyu itni asani se madat karne ke liye taiyar ho gaya. Is waqt puri duniya me jo halat chal rahe the use dekhte huye har desh ke high school ke students ko padhai ke sath sath ladai me bhi mahir hona jaruri hai jise ki wo apne andar ki sakti ko pahchan kar apne andar ke yodha ko jaga sake. Kandiwali paschim ke school me 5000 students jinme se keval 3 ke pass hi ye upadhi thi jyada tar drona me abhi sab naushikhiye hi the. Bahut hi kam logo ko madhyam shreni ki upadhi mili thi aur keval 3 logo ke pass hi sreth shreni ki upadhi thi.
-Wo kahte hai na ki hath kangan ko arshi kya aur padhe likhe ko pharsi kya abhimanyu sir in dono logo se bahut alag hai
Us lambe ladke ne muskurate huye kaha
-Ranveer aur Sameera bahut hi Amir khandan se hai bachpan se hi un dono ke pariwaro ne un dono ka padhayi aur traning me paise pani ki tarah bahaya hai jis wajah se aaj wo dono itne takatwar hai lekin Abhimanyu in dono se bahut alag hai
Us ladke ke bato me Abhimanyu ke liye ijjat saf dikh rahi thi
-Ha maine bhi suna hai Abhimanyu sir bahut hi sadharan pariwar se hai jaha tak ki wo chhote se ghar me kiraye ke makan me rahte hai
Sath me khade us ladke ne usko support karte huye kaha
-Ha Abhimanyu sir aaj is mukam pe apne kabiliyat ke dam par aur kadi mehnat ke wajah se aaj unhone ye jagah banayi hai Ranveer aur Sameer ke tarah paise baha kar nhi mai bhi Abhimanyu sir jaisa banana chahta hu aur dekhna 4 sal me mai apna graduation ki padhai khatam karne ke sath sath drona ki bhi sari parikshawo me safal ho kar Abhimanyu sir ki tarah shreth shreni hasil karunga
US lambe ladke ne apne gahri sas bharte huye aur apni pake irado se kaha ji Abhimanyu sir ke bare me wo dono ladke bat kar rahe the wo is waqt baki logo ke sath school ke gate no. 3 ke taraf ja raha tha uske sath usi ke jaise uniform ne ek ladka aur bhi tha
-Abhimanyu tumhe pata hai wo bewkuf sa dikhne wala bada ladka jo tumse madat mang raha tha na traning ke liye wo jaye jate tumhari bahut tarif kar rha tha. Kah raha tha ki tum kitne achhe ho aur tumse bat karna kitna asan hai hahahhhh
Wo ladka haste huye Abhimanyu se kaha
- To tumhe jalan ho raha hai kya rajeev
Abhimanyu se rajeev ke bat sun kar haste huye kaha
-Jalan aur wo bhi tumse
Rajeev ne majakiye dhang se Abhimanyu nak khichte huye haste huye kaha
-Aise sapne bhi mat dekhna mai to use dekh ke has rha hu ki us murkh ke Abhimanyu sir ka asali chehra abhi nhi pata hai. Par ha jaha tak mujhe yad hai kuchh samay pahle drona me compitition ke time jis Abhimanyu sir ke wo tarif kar rahe the unhone 3 logo se ek ke bad ek se yudh karke un teeno ki halat aisi kar di thi ki wo teeno chalne layak nahi bache the hahahh
Rajeev ne haste huye kaha aur rajeev ke bat sun kar Abhimanyu bhi hasne laga wakayi me us compitition ne pratistha me chat chand laga diye the
-Chalo ab ghar chalte hai bhai
Abhimanyu ne haste huye Rajeev ke kandhe par majakiye taur par ek muka marte huye kaha
-Are Abhimanyu aram se mera kandha tumhare muke ka mar bardast nhi kar sakta hai bhai
Rajeev ne natkiye dhang me karahte huye kaha
-To fir se lo
Abhimanyu ne ek bar fir Rajeev ke kandho par mara Rajeev Abhimanyu ka jigri dost tha bachpan se hi dono sath me the bhale hi wo dono sage bhai na ho par bhir bhi dono ek dusre ke bahut karib the. Khelna ho padhai sab kuchh dino ne sath me hi kiya tha
-Are Abhimanyu wo samne dekh wo to tera crush hi hai na
Achanak se Rajeev samne dekhte huye kaha
-Kha.....
Abhimanyu ne bhi usi taraf dekha jaha rajeev dekh raha tha aur paya ki white polo t-shirt aur jeens me ponytail bande ek ladki khadi thi itne logo ke bhid me bhi wo sabse alag najar aa rahi thi. Abhimanyu ke dil ki dhadkane achanak se tez ho gyi aur ek hi name uske dil aur Juba se nikla GEET... Abhimanyu ko geet par crush hai hai ya yu kahe ki wo use achhi lagti hai ye bat bahut hi kam golo ko pata thi. Par jahir si bat hai ki uske jigri dost rajeev ko ye bat kaphi pahle se hi pata thi high school ke pahle sal me Abhimanyu aur geet ek hi class me the. Pahli bar jab Abhimanyu ne geet ko dekha tha uske liye sabkuchh mano ruk sa gaya tha use aisa laga mano asman se koi pari utar kar samne aa gyi ho uske dosto ko manna tha ki class me Abhimanyu geet ke piche baitha karta tha par lakh kosisho ke bavjud wo geet ke liye apni filling ko kabu nahi kar pata tha. Jane anjane uski najar hamesa Geet ko hi dekha karti thi aur isse jyada wo aur kuchh nhi kar pata tha bas chup chap geet ko dekhta rahta tha aur usi me wo khus bhi tha dusre sal me classes ki section fir se badle tab Geet aur Abhimanyu ek hi class me nhi rahe Geet dusri section me chali gyi. Lekin iske bad abhi bhi Abhimanyu geet ko dekhta hai to khud ko usme khone se rok nhi pata hai uski aankhe abhi bhi chup chap geet ko dekha karti thi. Jaise abhi dekh rahi hai
-Exam me bas ab ek hi mahina bacha hai aur na tab mujhme itna himat tha aur na ab ki mai pyar wyar me barbad karu akhari mahine me hi sab koi jam kar taiyari kar raha hai Geet bhi aur wo khud ko sabit karna chah rahi hai exams me auval aana chahti hai. Khud ko pyar wyar ke chakkar me dalkar apne laksh se bhatkana kyu chahegi aur mai bhi apne laksh se bhatkna nhi chahta warna puri jindagi mere pass pachhtane ke Shiva aur kuchh nhi rahega. Mere dil me ye Geet ke liye jo bhi hai pyar wyar ya kuchh aur mai ise sirf ek achhi yad bana kar chhod dunga aur ab isse jyada kuchh bhi nahi
Abhimanyu apne aap me hi budbudaya kisi sayar ne kaha hai
YE ISAQ NHI ASAN BAS ITNA SAMAJH LIJIYE EK AAG KI DARIYA HAI AUR DUB KE JANA HAI
Abhimanyu ke liye bhi yahi bat kahi ja sakti thi wo geet se sayad pyar to karta tha. Lekin pyar ke alava aur kai chije uske jindagi me thi jo ahmiyat rakhti thi. Uske pyar ke phool khilne se pahle hi murjha gaye wo apne sare filling apne dil ke kisi kone me daba kar wo apne lakshya par dhyan dena chahta tha
-Tumhare pass abhi bhi mauka hai man ki meri bat jakar use bata do ab sirf ek hi mahina bacha hai uske bad sayad tum use dekh bhi nahi pawoge aur tab sirf pachhtane ke Siva kuchh nhi rah jayega tumhare pass
Rajeev ne apne dost ko samjhte huye kaha
-uffffff hhhh Rajeev bas iske aage tum mujhe kuchh bhi nhi samjhawoge jab tak drona me mujhe yodha ki upadhi nhi mil jati mai apna Dhyan kisi bhi chij me bhatkana nhi chahta pyar me bhi nahi
Abhimanyu ne lambe sas lete huye kaha Abhimanyu ka laksh saf tha aur use har halat me apne laksh tak pahuchna hi tha
-Yar tu pagal hai yodha tumhe pata hai hamare school me kul mula kar 5000 bache hai aur kisi ko aaj tak ye upadhi nhi mili aur tu kah raha hai jabtak tujhe yodha ke upadhi nhi mil jati tu apne aap ko pyar wyar ke chakar me dalkar khud ko bhatkana nhi chahta sachme pagal hai yar tu.
Rajeev apne dost ko samjhate huye kaha wo use samjhana chahta tha ki ye uske yodha ka junun uske jindagi ki bahut se khubsurat chije chhin raha hai sath hi sath use ye bhi pata tha ki Abhimanyu ko is waqt kuchh bhi samjhana bekar hai.
-Ha pagal hi hu aur aise hi khus bhi hu
Aur jaisa rajeev ne socha tha Abhimanyu ko samjhane ki koi bhi asar nhi huya kyuki uske liye uske laksh se badkar uske liye kuchh bhi nahi tha Aur uska laksh tha yodha ka upadhi pana.
Abhimanyu ki najar gate ke samne ladke par padi jo char aur ladko ke sath khada tha. Gate ke pass khade us group me pach ladke the aur sabhi akarshak the aur unka leadr jo 5 feet 10 inch ka tha aur jisne safed t-shirt aur safed jeens pahni huyi thi jo Sabse jyada akarshak lag raha tha. Uska sina kisi filmi hero ki tarah chauda aur sudaul tha uske sath baki char ladke the sabhi usi ke tarah tagde the kisi ke chehre par to ek adha chhot ke nishan bhi tha jo un sabhi ka khatarnak aur takatwar dikha raha tha. Aur wo safed t-shirt wala ladka koi aur nahi balki drona me sreth upadhi pane wala Raigarh school ke teen logo me se ek Ranveer tha
-Abhimanyu....
Ranveer ne Abhimanyu ko nafrat bhari nigaho se dekhte huye kaha agar koi Ranveer se puchhe ki puri school me sabse jyada kisse nafrat karta hai. To jabab hoga Abhimanyu jin teen logo ko sresth ki upadhi mili thi unme se ek ladki hai to bas ab yahi do ladke rah gye hai jinke pass sresth upadhi maujud hai. Sath hi sath Ranveer bahut paise wale khandan se hai jabki Abhimanyu ka khandan nsadharan sa hai jo ki chhote se kiraye ki ek ghar me rahta hai. Padhai me Abhimanyu Ranveer se hamesa aage raha hai aur takat me dono hi ke pass drona me sresth upadhi hai par sirf yahi wajah nhi hai Ranveer ko Abhimanyu se itni nafrat karne ke liye. Darasal ek bar Abhimanyu ne drona ke ek compatition me teen logo ko ek ke bad ek na sirf chunauti di thi balki unka ye hal kar diya tha ki wo teeno uth bhi nhi pa rahe the. Aur un teen logo me se ek Ranveer bhi tha uska to ek dat bhi Abhimanyu ke ek muke se tut gya tha paiso me bhale hi Ranveer Abhimanyu se aage tha lekin padhai aur takat me Abhimanyu Ranveer se kahi jyada achha aur kabil tha. School me jab bhi koi Ranveer ki tarif karta tha to kahi na kahi se koi na koi uski tulna Abhimanyu se kar hi deta tha aur bas isiliye Ranveer Abhimanyu se is had tak nafrat karta tha ki uska sakal tak dekhna gawara nahi tha
-Chalo yaha se
Ranveer ne dat kichte huye apne ladko se kaha Abhimanyu ke mukko ki wajah se abhi bhi uske dato dard rahta hai isi se iska andaja lagaya ja sakta hai us waqt uska kyanhal huya hoga.
-Is Ranveer ko jabse tumne drona me pita hai tabse ye kayde me rahta hai ab ye tujhse kabhi panga nhi lega achha sabak sikhaya tune ise
Rajeev ne haste huye Ranveer aur uske chamcho ko jate huye dekh kar kaha lekin Abhimanyu ko usse ya uske jaise log se kabhi koi fark nahi pada
-Mai ise sabak sikhane ke bajaye aur kai jaruri kam karna pasand karunga
Abhimanyu beparwah tarike se kahte huye Rajeev ke sath apne ghar ki tarf jane laga aur fir dono apas me bat karte huye apne gharbke taraf badh chale wo apne bato me itne mast thebki unko pichhe se aati gadi ka andaja bhi nahi laga. Jabtak ki us gadi wale ne pichhe se horan nahi bajaya jiski awaj sun kar dono thoda kinare ho gaye. Is waqt jo daur chal raha tha jisme sari gadiya electronic energy se chalti thi jiski wajah se ab sadak par kisi bhi tarah ke petrol aur gas ka mahak nhi hoti
-Rajeev ab exam me sirf ek mahine ka waqt bacha hai aur hame is ek mahine me achhi tarah se taiyari karni hai
Abhimanyu aur rajeev bat karte huye sadak ke kinare chalne lage
-Waha drona me to fir bhi thoda samay mil jata hai jisse ham khudko heldi banaye rakhne ki training karte hai aur sath hi sath hame apni padhai pe bhi utna hi dhyan rakhna hai akhir itne salo se ham itni mehnat isiliye to kar rahe hai hai na
Abhimanyu ne rajeev se kaha
-Ha hamari itne sal ki mehanat aur kabiliyat hamara exam tay karega ye exams bhi ek sir dard hi hote hai hai na Exams na huye daftar ki nokari ho gye karne ka man nahi hai fir bhi kare jao
Rajeev ne gahari sas lete huye kaha jispe Abhimanyu ne halki si ek hami bhari rajeev ke liye bhale hi exam ek sir dard ho lekin Abhimanyu ke liye aisa nhi hai