• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

Adam WarlocK

Things just got out of Hand.....
Prime
755
370
64
Update 5




"Sir mai samajh sakta hoon ki mamla thoda critical hai... Par ap bhi samajhne ki koshish kijiye... Kabir bhi ek reputed officer hai use mai aese bina karan bandi bana kar nahi rakh sakta...

Use arrest kiye 22 ghante ho chuke hai... Aur mai use 24 ghante se jyada apni hirasat me nahi rak sakta..."

"To kis kaam ke ho tum DGP??"

Aditya se chikhte huye table par apna hath de mara...

"Maine apse kaha tha na... Smriti ki suraksha kitni zaroori hai... Apne team banate waqt sare afsaron ki tarifon ke pul bandh diye the... Aj jab Smriti par hamla hua... Kaha the apke ye afsab bataiye...

Ek wo... Wo Shoiab... Jo farar hai... Ek wo sub inspector Amith... Jo baatein aesi kar raha hai jaise aj hi pehli baar duty join ki ho... Aur ye... Apka honhar officer Kabir... Isko kuch maloom hi nahi...

Kya hua kab hua kaise hua... Kuch pata nahi... Tabse ek hi raag alap raha hai... Ki Smriti ne khud chhutti de di... Bola jao maze karo...

Kya isme apko koi conspiracy nahi dikhti?? Jisdin Smriti par hamla hua usi din uski team ke sabhi log gayab ho gaye... Just like that?"

"Mai apki baat samajh raha hoon sir... Par Kabir ke khilaf koi pukhta saboot bhi to hone chahiye mere pass...

24 ghante poore hote hi mujhe Kabir ko special court ke samne pesh karna hoga... Aur mere pass uske khilaf case banane ko... Ya use aur kuch din hirasat me rakhne ki appeal karne ke liye koi valid reason nahi hai...

Haan ap politician hai... Powerful hai... Agar ap chahe to... Mai jhuthe saboot plant kar sakta hoon... Agar apki usse koi purani dushmani ya aesa kuch..."

DGP ne apni awaz dheme karte huye bola...

"Pagal ho kya DGP? Kisiko fasa kar kaunsa tum hamla karne walon ko dhund loge batao... Mauka mila nahi ki chaplusi shuru..."

"To sir mai chhod du Kabir ko? Warna mujh par bhi disciplinary action ho sakta hai..."

"Haan chhod do... Par case nahi bana sakte to kya hua... Use suspend to kar sakte ho na?"

"Ji sir bilkul... Apni duty sahi tarike se na nibhane ke jurm me... Kar sakta hun..."

"To kar do..."



"22 ghante 45 minute

22 ghante 52 minute

23 ghante 16 minute

23 ghante 56 minute

"Aaa... Chalo utho... Tumhe sir ne bulaya hai..."

Meri jaan me jaan ayi... Halan ki mai janta tha mujhe 24 ghante se jyada rok kar rakhne ka koi haq nahi inhe par politicians ki chaplusi karne walon ki is system me upar se niche tak koi kami nahi thi...

Mera dimag is waqt buri tarah bhanna raha hai... Mai pichle karib 2 dino se nahi soya hoon... Aur filhal sahi galat me farq karna mushkil ho raha hai... Aese me mai kya karun kya na karun kuch samajh nahi paa raha... Bas baitha baitha waqt ginne ki koshish kar raha hoon


"Are chal yaar kyun time khoti kar raha hai..."

Constable ne mujhe awaz lagai... Mai apni chair se utha aur uske sath chalne laga... Wo mujhe DCP ke room ke bahar intezar karne ka bolkar andar gaya... Aur thodi der baad mujhe andar jane ko kaha...

"May I come in sir"

"Yes Kabir... Aao... Baitho... Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai"

Mai unke samne chair par baith gaya...

"Dekho Kabir... Maine man liya ki tum kisi conspiracy me shamil nahi ho... Tum ek sacche policewale ho... Par..."

"Par kya sir..." Mai bechain ho gaya...

"Mai tumhe Smriti ke "Attempt to murder" case me to bari kar sakta hoon... Par mujhe tumhe suspend karna hoga"

"What?!"

Mere hosh ud gaye... Ek ye naukri hi to thi jo is zindegi me mera maqsad ban chuki thi... Aur aj ye naukri hi zindegi ne mujhse chhin li...

"Dekho Kabir... Smriti ek high profile case par kaam kar rahi thi... Is district ki Executive Commissioner thi... Aur jisdin uspar hamla hua... Uska koi bodyguard maujood nahi tha?

Jante ho is wajah se mujhe kitna pressure sehna pad raha hai... Isliye sirf tumhe nahi... Shoiab Amith, tum sab ko mai suspend karta hoon...

Tum chaho to apna case special court me le ja sakte ho... Koi accha wakil dhund lo... Department change ho sakta hai... Par shayad naukri bach jaye...

You may go now!"

"Sir bas ek sawal..." Maine behad shant tarike se kaha...

"Kahi ap mujhe suspend kisi political pressure... Ya fir kisi politician ke pressure me ake to nahi kar rahe... Agar kar rahe hai... To aj ke baad mujhe apko dene ke liye izzat nahi bachi sir.

Jai hind!"

Mai utha aur wahan se nikal gaya... Piche se mujhe DCP sir "get out" bolte huye sunai diye par ab kya farak padta hai... Jo hona tha ho hi chuka hai... Ab mere report me wo wahi baatein likhega jo Aditya use likhne ko bolega...

Mai man hi man aag babula hote huye police headquarters se nikal hi raha tha ki meri ek jod ki takkar ho gayi... Mai bhi lad khadaya aur mujhse takrane wala bhi... Mai mud kar dekha to wo Anubhav tha...

Mera gussa achanak se shant par gaya... Par wo ab bhi mujhe behad gusse me dekh raha tha... Haan uske liye mai hi to gunehgaar tha... Wo mud kar andar jane laga ...

"Anubhav... Please... Meri ek baat suno... Please mujhe batao Smriti kaisi hai... Wo thik hai na?"

"Kabir bhai... Apko sharam nahi aa rahi ye puchte huye... Ki Smriti kaisi hai..."

"Dekho mai janta hoon ki tumhari nazron me mai kasoorwaar hoon par mujhe bhi to apna paksh rakhne ka mauka do!"

"Kaunsa mauka... Mauka ap tabhi kho chuke the jab 6 saal pehle apne Smriti ka dil tod diya... Uske baad bacha hi kya uske pass...

Jaise wo jee rahi thi... Kya use jeena kehte hai? Bas apne kam ko zindegi ka ek matra laksh bana kar khud ko jhonkti chali gayi...

Aj bed par padi hai to apko badi fikr ho rahi hai?

Rehne do... Apne ye magarmach ke asu apne pass rakho aur humari Smriti se dur raho... Mai apke age hath jodta hoon..."

Toota hua to mai tha hi... Anhbhav ki baaton se bikhar gaya... Uski kahi haar baat sach thi... Haan mujhse galti huyi... Us galti ki saza Smriti ne bhukti... Aur mai... Kya mai khush tha... Mai bhi to 6 saal se is paap ka bojh apne seene me liye ghum raha hoon...

Mai auto me baitha aur ghar ke liye rawana ho gaya... Raaste me mujhe 6 saal pehle ki haar baat yaad aane lagi... Wo yaadein jo badi mushkil se maine apne andar daba kar rakkhi thi...

Uska hasna uska rona... Uska bachpana... Uski baatein... Uska neend na ana aur fir baat karte karte meri baahon me so jana... Mai kya kya apne gusse aur narazgi ke piche chupa kar baitha tha aur zindegi ke ek hadse ne saare parde hata kar sacchai se rubaru karwa diya!!!

so, again kabir has gone through the worst, lost his job and reputation and apparatly he cant even see his beloved one, and on the top of it, he had to listen harsh things from smriti's brother.

Aditya seems to be high end villain in this story, or he can be another chess piece in someone else game. aditya persona projects an evil shade in the story. A man from which everyone is terrified.

Honestly, it was harsh to see kabir has gone through so much in last few updates, it seems his agony has no end.

great update from my end, felt the emotions of the characters, waiting for more updates, lets see how the story unfolds.
 
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
क्या बात कही है सर जी। दिल खुश हो गया ये जानकर कि आप को भी मजा आता है ऐसा तड़पता हुआ देखकर।

कोई लेखक शौक से नहीं भागता। उसे पाठक भगा देते हैं।
3-4 घंटे लगाकर लेखक एक भाग तैयार करता है। लोग 20-22 मिनट समय निकाल कर पढ़ते हैं। लेकिन 2 मिनट का समय निकालकर टिप्पणी नहीं कर पाते। तो लेखक क्या करेगा।
यहाँ पर कहानी लिखने से किसी लेखक को मोहर मोती नहीं मिल जाता। जो उसके पीछे वो अपना समय बरबाद करे। बस वो इस उम्मीद के साथ कहानी लिखता है कि पाठक उसका हौसला अफजाई करेंगे। लेकिन पाठकों से ये भी नहीं हो पाता।

अगर लेखन ने 1 हफ्ते तक कहानी में कुछ नहीं लिखा तो अगले भाग की प्रतीक्षा में बहुत सारी टिप्पणियाँ आ जाती हैं। तब कहाँ से समय मिल जाता है टिप्पणी लेने के लिए।
इसलिए किसी को भागने वाले लेखक कहने से पहले अपने आपको देखो कि कहीं तुम लेखन को भगाने वाले पाठक तो नहीं। :hinthint: :hinthint: 😅
Jo milta hai wo chahiye nahi aur jo chahiye wo milta nahi... :lotpot:

Par haan sahi baat hai... Online forums me writer sirf isiliye likhta hai kyunki use likhna pasand hai... Par readers ka sath na mile to sach me bura lagta hai 🙂
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
पहला भाग

सही बात है जी। आजकल के गाने होते ही हैं इतने बेसुरे कि सिर मे बदन दर्द होने लगता है। :happy: :happy:

ये बंदा और अमित शायद पुलिस वाले हैं। जो इस समय किसी पार्टी में किसी आए हुए हैं। स्मृति मैडम के आने के बाद दोनों को लगा। जो कि स्मृति का पहले का रिकाॉर्ड था कि वो मुम्बई से जुर्म का नामोनिशान मिटा देंगे लेकिन मैंडम सात दिनों से नेताओं की पार्टियाँ कर रही हैं। अमित सिगरेट पी रहा होता है तो शोएब जो अमित का वरिष्ठ अधिकारी था, पकड़ लेता है। स्मृति शोएब को शांत करवाती है। और दोनों पार्टी में चले जाते हैं।

स्मृति को देखकर उस बंदे का मन डोल जाता है। शायद प्यार का एहसास था। तभी एक आदमी कोई पैकेट स्मृति को देने आता और बहुत जिद करता है तो वो बंदा पैकेट लेकर खुद स्मृति को देने अंदर चला जाता है। तब उसे पता चलता है कि शोएब और स्मृति एक कमरे में गए हैं तो उस बंदे का मन खट्टा हो जाता है। लेकिन वो उस कमरे में जाता है। दरवाजा खटखटाने पर भी नहीं खुलता तो वो धक्का मारकर दरवाजा खोल देता है, लेकिन सामने का नजारा देखकर वो चौक जाता है।

आखिर सामने क्या हो रहा था। कहीं शोएब और स्मृति लगे पड़े तो नहीं हैं या कुछ और देखना दिलचस्प होगा।

बहुत ही शानदार शुरुआत कहानी की।

Kahani ke sath judne ka shukriya Mahi...

Ap age ka update padh lijiye pata chal jayega Smriti aur Shoiab kya kar rahe hai :D

Kahani ko pasand karne ka shukriya 🤝
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
कहानियां प्रायः सभी ही अच्छी होती है पर उन्हें बाकियों से अलग और उच्च स्तरीय , राइटर्स की लेखनी बनाता है । उनके लिखने का स्टाइल , शब्दों का परफेक्ट चयन , उनका नाॅलेज और उनके खुद की मेहनत ।
आप के द्वारा लिखी जा रही ये स्टोरी भी आपको बाकियों से अलग करती है । पता नहीं आप गर्ल हो या जेन्ट्स मगर जो भी हो आप को बहुत बहुत आभार जो इतनी खूबसूरत स्टोरी लिख रही हो । एक एक्सपर्ट नोबलिस्ट की तरह लिख रही हैं आप ।

रोमांस कैटेगरी में लिखी हुई इस कहानी की शुरुआत कबीर और अमिथ के कन्वर्सेशन से शुरू होती है । उनके बातों का मुख्य मुद्दा उनकी पुलिस अफसर स्मृति थी । वो दोनों भी आई पी एस अफसर है । स्मृति मध्यप्रदेश से ट्रांसफर करवा कर मुम्बई आई है और इसके पीछे कोई बहुत बड़ी वजह है । उसकी ट्रांसफर संजीव ( रिस्तेदार ) और आदित्य ( लोकल नेता ) की वजह से ही संभव हो पाई थी । यहां वो एज ए एग्जीक्यूटिव अफसर के रूप में एप्वाइंट हुई है । ( मुझे इस पोस्ट के बारे में जानकारी नहीं है )
यहां आने के बाद वो अपनी एक सिक्रेट टीम बनाती है जिसमें उसके अलावा सोयेब ( पुलिस अफसर ) , यास्मीन ( उसकी सहेली ) , सुगंधा ( वकील ) और संजीव के औलाद सुमन एवं समीर शामिल हैं ।

एक पार्टी के दौरान कबीर को एक अजनबी डाक्टर से एक सीलबंद पैकेट मिलता है जिसे स्मृति को सौंपा जाना था । इसके बाद ही वहां कुछ गैंगस्टर स्मृति और शोयेब पर हमला कर देते हैं जिसमें शोयेब को गोली लग जाती है । कबीर के लाख मना करने के बावजूद भी स्मृति उसे शोयेब को वहां से सुरक्षित वापस ले जाने को मजबुर कर देती है और इसी दरमियान स्मृति भी गोलियों का शिकार हो जाती है ।

कबीर स्मृति के कहे अनुसार शोयेब को एक फार्मेसी में ले जाता है जो कि अंग्रेजों के जमाने से ही एक खुफिया कमरे के रूप में इस्तेमाल किया जाता है । वहां वो संजीव और उसके लड़कों एवं साथियों से मिलता है । उन लोगों के देखरेख में शोयेब का इलाज होता है और उसकी जान बच जाती है । शोयेब के कहने पर उसे फिर से उस पैकेट का ख्याल आता है जिसे वो भुल चुका था और गुम कर दिया था । शोयेब से पैकेट लेकर वो स्मृति को देखने अस्पताल जाता है जहां वो मौत से जूझ रही थी ।

पुरी स्टोरी सिलसिलेवार तरीके से लिखी गई है और बहुत ही बेहतरीन तरीके से लिखी गई है ।
ये तो यकीनन सत्य लगता है कि कबीर और समृति के बीच काफी पुरानी जान पहचान है और ये भी कि उसने कुछ ऐसा जरूर किया है जिसका पछतावा उसे आज तक है । शायद दोनों के बीच प्रेम प्रसंग का मामला हो ।
पैकेट में कुछ ऐसा है जो गैंगस्टर नहीं चाहते हैं कि वो स्मृति को मिले ।
स्मृति के उपर जानलेवा हमला - मतलब वो बहुत कुछ जान चुकी है उन सफेदपोशो के बारे में जिसे वो आम नहीं होना देना चाहते हैं ।
आदित्य का कैरेक्टर अभी तक तो अच्छा ही रहा है । उसने उसकी ट्रांसफर करवाई और अब अस्पताल में उसके लिए फिक्रमंद भी है ।
शायद मेन विलेन या सफेदपोश की एंट्री अभी तक नहीं हुई है ।
स्मृति का चचेरा भाई जो हाल ही में आई पी एस बना है , के बारे में तब चर्चा करेंगे जब उसका कुछ और रोल आएगा ।

आउटस्टैंडिंग और अमेजिंग अपडेट ।
आप को किस नाम से संबोधित करूं , लिखिएगा जरूर ।
Sanju... Apka comment padh kar mujhe sach much bohot accha lag raha hai... Apne mujhe novelist kaha... Ye mere liye bohot bari baat hai... Apka dil se shukria 🤝

Smriti ke baare me mai kuch jankari sanjha karna chahungi... Kabir IPS officer hai... District police me taynat hai...

Par Smriti nahi... Wo Kabir ki senior hai... Kyun ki wo prashashanik sewa me hai (Administrative post yani IAS ya State Administrative officer)... In officers ki suraksha ka zimma state police ka hi hota hai... Isi wajah se Smriti ki surasha ke liye Kabir Shoiab aur Amith ko taynat kiya gaya hai...

Haan mai manti hoon ki Smriti ka fight scene dekh kar kayi readers ko ye lag raha hai ki wo police hai... Par wo prashashanik sewa ki un chuninda officers me se hai jo kayi tarah ke gunon ki dhani hai... Ap aese kuch female officers ke baare me internet par padh sakte hai... Maine unhi se Smriti ki prerna li hai... 💜

Jahan tak baat hai Aditya aur Anubhav ki un dono ke bare me thodi aur jankar apko 5th Update me milegi... Asha hai ki in dono ka character apko pasand ayega...

Mera user name La_Mujer jo ki spanish bhasha me hai... spanish bhasha me "j" ko "ha" ki tarah padha jata hai... Isliye "mujer" ko "muher" keh sakte hai... "La_Mujer" ka English me Arth hai "The Woman"...

Ap mujhe initials se "LM" keh sakte hai... "Mujer" keh sakte hai... Ya fir koi bhi shalin nam de sakte hai... Ye faisla mai ap readers par chhodti hoon
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214

Kingfisher

💞 soft hearted person 💞
7,475
26,125
204
Hello Kingfisher... Apko story par comment karte dekh accha laga... Agar ap story padhne ka faisla lete hai to mujhe iski khami aur khubiyon ke baare me batana na bhule 🤝
Jarur miss lady major (suppose) story hume jarur read karenge or apni pratikriya bhi denge ..... Bs thodi time ki kmi hai because meri ek story running section me hai or 5 story as a reader pad bhi rha hu .... Esliye time ki kmi ke chalte apke thread par aa nhi paya ... Par bahut jald read karunga ...vaise me jyadatar Update ke sath nhi chalta kyoki muje jo story pasand ati hai uska entejar karna thoda mushkil hota hai esliye me pichle vale Update padta hu ...or apki story me bhi aisa hi karunga ....par sath ending tak dunga agar possible hua to ...thank thread par bulane ke liye ...best wishes for your lovely story
 
Last edited:

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
दूसरा भाग
तो अंदर का नजारा और भी खतरनाक था। शोएब को गोली लगी थी और वो ज़िंदगी और मौत के बीच जूझ रहा था और स्मृति एक हट्टे कट्टे इंसान की गर्दन को तार से लपेट कर मौत के घाट उतार रही थी।। कबीर ने कुछ करने की कोशिश की तो स्मृति ने मना कर दिया।।
स्मृति ने शोएब को अस्पताल पहचाने के लिए कहा। तभी फिर से उनपर हमला हो गया। स्मृति कबीर को शोएब को लेकर अस्पताल जाने के लिए कहती है लेकिन कबीर मना कर देता है। वो स्मृति की जान खतरे में नहीं डालना चाहता था। शायद कबीर स्मृति से प्यार करता है। स्मृति जिद करके कबीर को अस्पताल जाने के लिए मजबूर कर देती है।।
बहुत ही शानदार कहानी महोदया।
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,007
143
Sir mai samajh sakta hoon ki mamla thoda critical hai... Par ap bhi samajhne ki koshish kijiye... Kabir bhi ek reputed officer hai use mai aese bina karan bandi bana kar nahi rakh sakta...

Use arrest kiye 22 ghante ho chuke hai... Aur mai use 24 ghante se jyada apni hirasat me nahi rak sakta..."

"To kis kaam ke ho tum DGP??"

Aditya se chikhte huye table par apna hath de mara...

"Maine apse kaha tha na... Smriti ki suraksha kitni zaroori hai... Apne team banate waqt sare afsaron ki tarifon ke pul bandh diye the... Aj jab Smriti par hamla hua... Kaha the apke ye afsab bataiye...

Ek wo... Wo Shoiab... Jo farar hai... Ek wo sub inspector Amith... Jo baatein aesi kar raha hai jaise aj hi pehli baar duty join ki ho... Aur ye... Apka honhar officer Kabir... Isko kuch maloom hi nahi...

Kya hua kab hua kaise hua... Kuch pata nahi... Tabse ek hi raag alap raha hai... Ki Smriti ne khud chhutti de di... Bola jao maze karo...

Kya isme apko koi conspiracy nahi dikhti?? Jisdin Smriti par hamla hua usi din uski team ke sabhi log gayab ho gaye... Just like that?"
Aaditya itna fikramand kyo hai smriti ke liye ..why?? Aaditya ne to dcp ki khol ke Baja di...yaha par aaditya neta kam jasoos jyada lag rha tha...Kai baar aisa hota hai ki crime seen kuchh aur baya karti hai aur logic kuchh aur ..bas yaha wohi hua hai...
Pagal ho kya DGP? Kisiko fasa kar kaunsa tum hamla karne walon ko dhund loge batao... Mauka mila nahi ki chaplusi shuru..."

"To sir mai chhod du Kabir ko? Warna mujh par bhi disciplinary action ho sakta hai..."

"Haan chhod do... Par case nahi bana sakte to kya hua... Use suspend to kar sakte ho na?"

"Ji sir bilkul... Apni duty sahi tarike se na nibhane ke jurm me... Kar sakta hun.
Aaditya abhi Tak itna bura bhi nhi lag rha hai...aur aaditya ke baato se lag rha hai ki wo Kabir aur smriti ke bich ka afair nhi janta hai...bechara😂..
22 ghante 45 minute

22 ghante 52 minute

23 ghante 16 minute

23 ghante 56 minute

"Aaa... Chalo utho... Tumhe sir ne bulaya hai..."

Meri jaan me jaan ayi... Halan ki mai janta tha mujhe 24 ghante se jyada rok kar rakhne ka koi haq nahi inhe par politicians ki chaplusi karne walon ki is system me upar se niche tak koi kami nahi thi...

Mera dimag is waqt buri tarah bhanna raha hai... Mai pichle karib 2 dino se nahi soya hoon... Aur filhal sahi galat me farq karna mushkil ho raha hai... Aese me mai kya karun kya na karun kuch samajh nahi paa raha... Bas baitha baitha waqt ginne ki koshish kar raha hoon


"Are chal yaar kyun time khoti kar raha hai..."

Constable ne mujhe awaz lagai... Mai apni chair se utha aur uske sath chalne laga... Wo mujhe DCP ke room ke bahar intezar karne ka bolkar andar gaya... Aur thodi der baad mujhe andar jane ko kaha...

"May I come in sir"

"Yes Kabir... Aao... Baitho... Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai"

Mai unke samne chair par baith gaya...

"Dekho Kabir... Maine man liya ki tum kisi conspiracy me shamil nahi ho... Tum ek sacche policewale ho... Par..."

"Par kya sir..." Mai bechain ho gaya...

"Mai tumhe Smriti ke "Attempt to murder" case me to bari kar sakta hoon... Par mujhe tumhe suspend karna hoga"

"What?!"

Mere hosh ud gaye... Ek ye naukri hi to thi jo is zindegi me mera maqsad ban chuki thi... Aur aj ye naukri hi zindegi ne mujhse chhin li...

"Dekho Kabir... Smriti ek high profile case par kaam kar rahi thi... Is district ki Executive Commissioner thi... Aur jisdin uspar hamla hua... Uska koi bodyguard maujood nahi tha?

Jante ho is wajah se mujhe kitna pressure sehna pad raha hai... Isliye sirf tumhe nahi... Shoiab Amith, tum sab ko mai suspend karta hoon...

Tum chaho to apna case special court me le ja sakte ho... Koi accha wakil dhund lo... Department change ho sakta hai... Par shayad naukri bach jaye...

You may go now!"

"Sir bas ek sawal..." Maine behad shant tarike se kaha...

"Kahi ap mujhe suspend kisi political pressure... Ya fir kisi politician ke pressure me ake to nahi kar rahe... Agar kar rahe hai... To aj ke baad mujhe apko dene ke liye izzat nahi bachi sir.

Jai hind!"

Mai utha aur wahan se nikal gaya... Piche se mujhe DCP sir "get out" bolte huye sunai diye par ab kya farak padta hai... Jo hona tha ho hi chuka hai... Ab mere report me wo wahi baatein likhega jo Aditya use likhne ko bolega...
Chalo finally Kabir Bahar aa gaya ...but suspend ho gaya ...poor boy...waise ips rank ke officer ko suspend karna itna aasan nhi hota hai ...kya Kabir itne salo se police me rahakar police ke dogali niti ke baare nhi janta tha kya...Jo wo ijjat nhi karunga wo nahi karunga kah rha hai...waise dcp ka get out kahana Maja aa gaya ..aisa laga jaise dcp kah rha ho " just get out you funking bitch😡..ek baat to lag rha hai ki dcp kamina insan hai dekhate hai iske sath aage kya hota hai...
Mera gussa achanak se shant par gaya... Par wo ab bhi mujhe behad gusse me dekh raha tha... Haan uske liye mai hi to gunehgaar tha... Wo mud kar andar jane laga ...

"Anubhav... Please... Meri ek baat suno... Please mujhe batao Smriti kaisi hai... Wo thik hai na?"

"Kabir bhai... Apko sharam nahi aa rahi ye puchte huye... Ki Smriti kaisi hai..."

"Dekho mai janta hoon ki tumhari nazron me mai kasoorwaar hoon par mujhe bhi to apna paksh rakhne ka mauka do!"

"Kaunsa mauka... Mauka ap tabhi kho chuke the jab 6 saal pehle apne Smriti ka dil tod diya... Uske baad bacha hi kya uske pass...

Jaise wo jee rahi thi... Kya use jeena kehte hai? Bas apne kam ko zindegi ka ek matra laksh bana kar khud ko jhonkti chali gayi...

Aj bed par padi hai to apko badi fikr ho rahi hai?

Rehne do... Apne ye magarmach ke asu apne pass rakho aur humari Smriti se dur raho... Mai apke age hath jodta hoon..."

Toota hua to mai tha hi... Anhbhav ki baaton se bikhar gaya... Uski kahi haar baat sach thi... Haan mujhse galti huyi... Us galti ki saza Smriti ne bhukti... Aur mai... Kya mai khush tha... Mai bhi to 6 saal se is paap ka bojh apne seene me liye ghum raha hoon...
Matbal versha mam ne sahi kaha tha ki Inka ek past hai...aur sach me past nikla wow varsha mam wow...matbal smriti ka Dil iss Kabir ne thoda hai...kabir:hammer:...kahi aisa to nhi ki Dil tootane par spriti ias bani ...
Toota hua to mai tha hi... Anhbhav ki baaton se bikhar gaya... Uski kahi haar baat sach thi... Haan mujhse galti huyi... Us galti ki saza Smriti ne bhukti... Aur mai... Kya mai khush tha... Mai bhi to 6 saal se is paap ka bojh apne seene me liye ghum raha hoon...

Mai auto me baitha aur ghar ke liye rawana ho gaya... Raaste me mujhe 6 saal pehle ki haar baat yaad aane lagi... Wo yaadein jo badi mushkil se maine apne andar daba kar rakkhi thi...

Uska hasna uska rona... Uska bachpana... Uski baatein... Uska neend na ana aur fir baat karte karte meri baahon me so jana... Mai kya kya apne gusse aur narazgi ke piche chupa kar baitha tha aur zindegi ke ek hadse ne saare parde hata kar sacchai se rubaru karwa diya!!!
Abhi Tak to ye story suspence thriller murder wali hi story lag rhi thi but ab ye romance me jayegi...matbal ju ne bahut sil- silewar tarike se sabhi chijo ko likha hai... let's see what happens in next update..🌹🌹🌹
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
तीसरा भाग
बहुत ही जबरदस्त।।
स्मृति धोखे से कबीर को शोएब को लेकर कमरे से बाहर भेज देती है और दरवाज़ा बन्द कर लेती है।। लेकिन उसे गोली लग जाती है। लेकिन कबीर मजबूरी में कुछ नहीं कर पाता। वो शोएब को लेकर पार्किंग में आता है और शोएब को लेकर उसकी बताई जगह पर जाता है। खुद पुलिस वाला होकर कानून की धज्जियां उड़ाता है।।
कुछ लोग काले कपड़ों में आते हैं और कबीर के सर पर वार करते हैं, शोएब को देखकर दोनों को अंदर ले जाते हैं। दो लड़कियां जसमीन और सुमन कबीर के ऊपर फिदा हैं। शोएब की पत्नी गर्भवती है। इसीलिए स्मृति शोएब को बचाने पर ज्यादा जोर दे रही थी। कबीर को अब समझ मे आता है। वो स्मृति के पास जाना चाहता है लेकिन मज़बूर है।।
 
Status
Not open for further replies.
Top