- 12,581
- 10,491
- 214
Index
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 2: Wo Ladki Kaun Hai?
Chapter 3: Shayad
Last edited:
Maine Index banane ki koshish ki hai... Ap logon ke pass is baare me koi sujhao ho to jaroor bataye...
Update 3
"Mai tumhe chhod kar nahi jaunga Smriti"
Maine goliyan chalate huye kaha... Hum jahan chhupe the wahan se room ke darwaze tak ka raasta bas 2 kadmon ka tha... par utna chalne me hi humara seena challi ho jata...
"Tum Shoaib ko uthao aur darwaza kholo... Mujhe baju wali chhad par goli chalane wale dikh rahe hai... Mai unhe target karti hoon..."
Mujhe ek pal ke liye laga ki Smriti ne meri baat man li... Maine Shoaib ko uthaya aur bahar le jane laga... Par jis pal maine darwaze se bahar pair rakha... Smriti ne piche se darwaza band kar diya...
"Smriti... Please aesa mat karo... Mai tumhe chhod kar nahi ja sakta"
"Aur mai Shoaib ki jaan khatre me nahi dal sakti... Ye log yahan mujhe marne aye hai... Aur agar mai tum logon ke sath gayi to ye log picha nahi chhodenge... Please tum jao aur Shoaib ko... Ahhhh..."
"SMRITI... kya hua tumhe..."
Darwaze ke us par se mujhe Smriti ki dard bhari "aah" saaf sunai de rahi thi... Mujhe pata chal gaya ki Smriti ko goli lagi hai...
Mai darwaza khol kar andar jane hi wala tha ki samne ki seediyon se kuch log daudte huye humari taraf badh rahe the... Mujhe samajh aa gaya ki mai yahan ruka to mai kisiko nahi bacha paunga... Na Shoiab ko Na Smriti ko...
Maine Shoiab ko uthaya aur piche ki seedhi se niche le gaya... Jaise Smriti ne bataya tha wahan ek gadi khadi thi... Mai Shoaib ko wahan bithakar upar ki taraf bhaga to goliyon ki awaz ruk gayi thi... Mai dheme kadmo se age badha...
Achanak charon taraf police ka siren bajne laga... Mai samajh gaya jin logon ke pairon ki awaz maine suni thi wo policewale the...
"Do not trust Anyone"
Mere kano me Smriti ki awaz gunji... Mai janta tha ki mai Shoiab ya Smriti kisi ko bhi akele nahi chhod sakta... Lekin mai karta bhi to kya... Agar Smriti ke pass jata hoon to Shoiab apni jaan gawa dega... Aur nahi gaya to kahi wardi ke aad me chhupe Smriti ke dushman... Use kuch kar na de...
Mai isi ajeeb kashmakash me tha ki maine balcony me kisiko dekha jisse meri saans me saans ayi...
Balcony me Anubhav khada tha... Anubhav pichle saal hi IPS bana tha... Par ye uska pehla prayas tha... Isliye uski umar kafi kam thi... Wo rishte me Smriti ka chachera bhai lagta hai... Aur dono me accha rishta hai...
Aur baat sirf rishte ki nahi... Belt ki naukri me kaun kaisa hai is baat ki pehchan mujhe bakhoobi hai... Kiski kohni ghus me dubi hai... Kaun pressure me akar ghus leta hai aur kaun itne dabao me bhi apni reed ki haddi seedhi rakh kar chalta hai isko parakhne ki taqat bhagwan ne mujhe birasat me di hai...
Aur jahan tak baat hai Anubhav ki... Smriti ki tarah kuch kar dikhane ka jaswa aur apni duty ke prati imandari... Inke khun me behti hai... Mujhe is baat ka andaza ho gaya ki ye rescue operation shayad Anubhav ne hi lead kiya hai...
Mai chahta to tha ki ek jhalak Smriti ko dekh lun... Par maine khud ko badi mushkil se wapas moda... Gadi me baitha aur nikal gaya... Charon taraf police thi... Mujhe agar thodi si der aur hoti to shayad nahi nikal pata...
Maine gadi highway par lakar piche dekha... Jab laga ki haan koi humara picha nahi kar raha to maine gadi ek side laga di...
Phone apni jeb se nikala aur adress dhundne laga... "Notes" app me mujhe kayi address mile... Mai samajh nahi pa raha tha ki Shoiab ko kaha le jana hai...
"Pha...pharmacy... Mujhe pharmacy ... Le... Chalo"
Shoiab ko thoda thoda ho sh aa raha tha... Maine list me dhund to haan ek pharmacy ka address to tha... Par is waqt kya ek chhoti si pharmacy me Shoiab ka ilaj ho payega?
Pata nahi... Kuch pata nahi... Is raat ki har wardaat ka koi matlab hi nahi bana paa raha mai... Ab bas mera maqsad ek hi tha... Shoiab jo wo jaha bhi jana chahta hai wahan pohcha ke Smriti ke pass jana... Use akela chhodna khatre se khali nahi thi...
Mai Mumbai me naya tha... Map raaste in sab ke baare me pata hone ke bawajood... Ye pharmacy dhudne me mere paseene chhot gaye...
Aj ek raat me maine itne kanoon tode the... Ki in sab ko milakar asani se koi bhi meri wardi khade khade utarwa sakta hai... Huh! Par mai ab karun bhi to kya...
Akhir kar mujhe pharmacy mil gayi... Aur pehli baar pata chala ki Mumbai me itne traffic lights aur unpe itne police wale tainat rehte hai... Apna gaon hota to kabka pohcha deta...
Maine phone se pharmacy ka no dial kiya... Kisine nahi uthaya... Mai sochne laga ki kya karu... Kya Shoiab ko kisi hospital me le jaun
"On your knees... Ghutne pe baitho..."
Mumbai ki wo sumsan gali achanak darawni ban gayi... Kali poshak me kuch log hathon me bandook liye mere samne aa gaye... Kisine meri pith aur mathe par waar kiya aur mai behosh hone laga...
"Are ye Shoiab ko laya hai... Are uthao ise..."
Agle hi pal mujhe mehsoos hua ki kuch logon mujhe utha liya aur pharmacy ke andar le jane lage... Par uske baad kya hua... Mujhe yaad nahi...
"Are yasmeen tune ye kya kiya... Dekh to bechare ko kitnj zor se mara hai... Ab tak hosh nahi aya... Waese ye hai kaun..."
"Are yaar maine zor se nahi mara... Ye Mard ke bhes me hai hi nazuk kali... Koi Kabir Sigh Rathod hai... IPS batch 2017... Smriti ke 3 bodygurds me se ek"
"Ohh... To ye wo hai... Yaar dekh na... Kitna handsome hai... Iski bajuyein... Uff jaise faulad ki bani hai... Chehra... Ahhh... Man karta hai chhum loon..."
"Haan to chhum le na... Kisne mana kiya hai"
Hosh to mujhe 10 15 minute pehle hi aa gaya tha... Par mai chup chap bed pe pada pada in do ladkiyon ki baatein sun raha tha... Ek ka nam Yasmeen hai ye mujhe pata chal gaya...
"Yasmeen, Suman idhar aao... Shoiab ko hosh aa raha hai..."
Maine dono ladkiyon ko kamre ke dusri taraf jate huye mehsoos kiya... Maine ankhon ko adhkhula karte huye apna mooh dusri taraf kiya to Shoiab adha leta hua tha... Sab log use ghere khade the... Ek pregnant aurat jo shayad apne akhri mahine me thi usse lipat kar ro rahi thi...
Kya isi liye Smriti Shoiab ko bachane ke liye itni pagal thi... Najane kyun meri ankhein chalakna chahti thi... Mai Shoiab ka koi nahi... Wo mera akru boss aur mai uska izzat na karne wala junior hoon... Par aj use apno ke sath dekh kar mera dil khushi se bhar gaya... Kya ye Smriti janti thi... Ki mai Shoiab ko bacha lunga...
Par Smriti... Uska kya... Mujhe uske pass jana hai... Jana hi hoga... Uski... Uski jaan khatre me hai...
Maine apne ap ko bistar se uthane ki koshish ki to poora sharir bohot bhari lag raha tha... Sir chakra raha tha... Sirf chont ki wajah se nahi... Lagta hai kuch dawaiyon ka bhi asar tha...
Mai uth khada hua... Par apne kadmo par nahi tik paya... Bed par baith gaya... Maine pas hi apni shirt tangi huyi dekhi... Mai uthakar pehenne laga...
Mai chahta tha ki yahan se chup chap nikal jaun... Maine kamre ke charon taraf dekha to kamra thoda purana sa laga... Aur sabse hairani ki baat to ye thi kamre me mujhe kahi darwaza nazar nahi aya...
"Sit down young man... Yahan tum surakshit ho... Aur tumhe aram ki sakht zaroorat hai!!!"
Thank you very much for appreciating Adam...Nice action scene, great scene writing. Loved how you added a new character, anubhav on IPS position also in the family relation of our female lead, shares same personality traits as well.
Also, i think cause kabir likes smriti he automatically tends to like her brother as well, his heart influences his decision about her brother.
Plot seems to be revolving around shoaib and smriti uptill now, lets see how it unfolds in future update.
Great writing, keep going like this
I am not that of a creative person in case of colours and graphics... But will try to recreate the IndexAdd rainbow colours aka different colors for the "index".
Use some pointing smileys like Or ✍ ,
Add colors to the "updates" in index, make it more spacious. Make index post as sticky post, so that new readers can easily read yiur story.
Try to make and add a poster about your story.