• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,655
80,786
259
Update:-16

Puna... Apini aur Josefer ki mulakat .....

Josefer..... Rijo ka sandesh mila...

Apini.... Haan mil gaya hai....

Josefer.... Main apna Adirshi janwar khula chhor raha hun, Malkia ki koi chij hai tumhare pass....

Apini ek rumal dete huye kahne laga..... "Yahi hai"....

Josefer ne apne janwar ko wo rumal sunghaya aur 2 logon ke sath viman me bhej diya pata lagane ke liye.....

Indore.... Raat ka waqt ...

Jivisha, call disconnect kar ke thunkti hui kahne lagi...... "Itna bhi na paresan karo bhagwan ki aap par se bharosa he uth jaye. Om namoh namah... Jivisha yahan ka dana pani ab yahin tak.... yahan se bhi bhagne ka ab samay aa gaya hai"

Jivisha call disconnect kar ke subah ke 3 baje ka alarm laga kar so gayi. Thik 3 baje alarm baja, Jivisha aadhi jagi aadhi soyi aapni aakhen mijti uthi..... "Unhhh, unhhh, unhhh.... kaun se karam ki saza mil rahi hai jo itni subah jagna para"

Bhagna to tha he, chehre par pani mari, chupke se apne sara saman pack ki aur sidha wahan se rafoo chakkar. Jivisha bhag kar sidha bus stand pahunchi jahan wo kisi bhi raste jane wali bus par sawar hona chahti thi.

Indore se Bhopal ki ek bus subah 4:00 baje thi. Jivisha ussi bus ka ticket le kar aaram se bus me baith gayi. Idhar subah ke takriban 3:45 par Nandni ki nind khuli. Wo bhi aadhi nind me uthi aur sidha washroom ke liye chali gayi.

Jab wo laut rahi thi tab uss ka dhyan bistar par gaya, Jivisha gayab..... "Ufffff ye ladki, sab ko pagal bana degi"...

Nandni thodi chinta me par gayi. Teji se bahar nikli aur Ashis ke pass jane ka soch he rahi thi ki hall me baithe Nichal par najar gayi.....

Nandni..... Tab se tum computer par he baithe ho.

Nischal ko aisa laga jaise usse kisi gahri nind se jagaya gaya ho... apni aakhen kholta hua sab se pahle apne sare wires samet kar jeb me dala, fir ek gahri sans lete kahne laga..... "Haan ye bahut he intresting tha isliye tab se isse he samjhne ki kosis kar raha hun. Waise tumhare yahan porn movies kafi excited karne wali hoti hain"...

Nandni... What ??? Porn movies... tum hall me baith kar porn dekh rahe the...

Nischal.... Nahi wo achanak se ek video play hua to usse band karne ka man he nahi kiya...

Nandni... Chhi,... bakwas band karo aur ye batao ki tum ne Jivisha ko kahin jate dekha...

Nischal.... Mujhe pata nahi, main iss internet aur computer me itna vyast tha ki aas-pass ki chijon par dhyan he nahi gaya...

Nandni... Tharki kahin ka... kahte kyon nahi porn videos aakhen far kar dekh rahe the. Main bhi kahan tum se baton me lagi hun.... Suno Jivisha yahan se bhag gayi hai....

Nischal..... Ye ladki kitna bhagti hai, iske paun me pahiye lage hain kya...

Nandni.... Vary funny.... No more funny talk, chalo pahle usse dhundhte hain....

Nischal..... Usse dhundna... Par kyon ???

Nandni.... Chalo chup-chap...

Nischal.... Ji maim jaisa aap kahen, to chale....

Nandni ne car ki key li, aur dono wahan se nikal pare..... Nandni wahan se sidha bus stand ki ore car le li.....

Indore ka sarwate bus stand aur pass me he railway station.... Nandni ne Nischal ko Indore junction par drop ki aur khud bus stand nikal gayi...

Thodi si masakkat aur Jivisha ki puri information mil gayi... bus number se le kar, bus ki puri timing tak.... Nandni wapas railway station aayi aur wahan se Nischal ko pick-up karke Bhopal ke liye nikal gayi...

Nandni..... 4:00 baje yahan se bus nikli hai, yadi hum 100 ki speed se gaye to sonkatch ke aas-pass usse pakad sakte hain...

Nischal.... To hum itne dhime kyon chal rahe hain, car bhagao phir... 100 kya 120 par bhagao...

Nandni car drive karna shuru ki... Subah ke 4:30, sadak lagbhag khali. Full acceleter aur car hawa se baat kar rahi thi... 10 km kab gujra pata bhi nahi chala.... aur tabhi ... kharr.. kharr.. kharr ki awaz karti car ruk gayi.....

"Damn god ab iss car ko kya hua"... bud-budati hui Nandni bahar nikli... bonat khola..... aur awaz lagane lagi..... "Ander car me baith kar kya kar rahe ho, rediator garam ho gaya hai ja kar pani lao"

Nischal.... Madam ye 80's ki car nahi jiska rediator garam ho jayega. Car ka fuel khatam ho gaya. Band kar do bonnet aur ander aa jao....

Nandni car ko ek laat marti..... "Had hai ghar me 20 lacs ki car rakhte hain, aur petrol nahi. Tum ander baithkar kya aaram kar rahe ho, bahar aao"

Nischal bahar aate.... "Haan ji kahiye"....

Nandni.... Had hai main yahan paresan hun aur tumhe koi chinta he nahi...

Nischal..... Ji kahiye aap ki main kya madad kar sakta hun....

Nandni..... Dauro, jaise daur kar mujhe dikhaye the aur pakar kar lao uss pagli ko... paresan kar rakhi hai ye ladki....

Nischal.... Nah.. main akela nahi daurne wala.... wo bahut khatarnaak ladki hai, jaunga to sirf tumhare sath...

Nandni.... Kaise, ab kya mujhe gode me utha kar dauroge...

Nischa.... Haan...

Nandni..... Jyada over smart mat bano aur bhago....

Nischal.... O' Madam aise bologi to main kahin nahi jane wala... kaam tumhara hai isliye request karo...

Nandni..... hath jor kar kah rahi hun, please jao aur uss kam-akal ko le aao... jyada hoshiyari kare to 2 thappad laga kar lana...

Nischal hasta hua wahan se nikla. Wo apni raftar se aage badha, bas kuch he minute lage honge aur Nischal uss bus ke aage tha..... Nischal bich sadak par, bilkul bus ke samne khada ho gaya. Bus driver ne teji se break lagaya aur so rahe sare passenger chaunk kar nind se jag gaye...

Conductor chillate huye niche utra aur Nischal ka collor pakad liya...... "Sala pagal hai kya be"

Nichal halka muskuraya aur uske kalai ko pakad kar morna suru kiya..... Counducter dard se chilla utha.... "Hath chhoro bhai, please chhor do warna toot jayega"....

Nischal.... Tamij se baat kar, badtamiji mujhe pasand nahi...

Conductor...... Bhai aap ko bhi bhopal jana hai kya, to chalo na...

Nischal.... Nahi mujhe bhopal nahi jana... tumhare bus me Jivisha naam ki ek ladki hai, usse niche utaro aur bus aage badhao... tabtak main yahin intzar kar raha hun...

"Thik hai bhai" kahta hua wo counductor bus me chadh gaya aur "Jivisha madam.. Jivisha madam" karne laga....

Jivisha..... Kya hua bhaiya..

Conductor.... Madam aap ke koi pahchan wale niche khadey hain aur wo aap ko bula rahe hain...

"Ab ye kaun sa naya twist hai"....... "Bhaiya wo kisi aur ko dundh rahe honge mujhe yahan koi nahi janta. Main to Pune se hun.

Conductor.... Madam aap ek baar dekh to lijiye...

Jivisha.... Bhaiya kaha na mujhe yahan koi nahi janta.... ab kya koi bhi kisi ka naam lekar niche kahe utarne, to kya aap use aise bich raste mein niche utar doge. Main bechari ladki, kahin koi unch-nich ho gaya to...

Tabhi hero sa ek ladka, six pack muscles wala, bich me bol para..... "Inhone kaha na ye yahan kisi ko nahi janti to tu kyon jabardasti kar raha hai. Tera he koi sathi to nahi niche"

Conductor..... Kuch bhi bakwas na karo, aur jyada inquiry karni ho to niche ja kar karo..... jab tak Jivisha madam niche nahi jati ye bus aage nahi badhegi...

Josh me aate huye wo ladka bola..... "Aise kaise nahi aage badhega bus... miss aap chinta na karo abhi hosh thikane lagata hun uss ke... chal re kannu"...

Wo ladka apne 2 aur sathi ke sath bare josh mein niche utra, aur 2 min baad luta-pita haalat mein wapas aakar kahne laga..... "Madam aap niche chale jao, wo aap ko he dhundh rahe hain"

"Aannnhh kaun hai ye".... Jivisha bus se bahar nikli aur samne Nischal..... "Ohhhh nooioooo !!! Tummmm"

Nischal ne Jivisha ka hath tham kar usse side kiya aur bus ko ishara karte jane ke liye kah diya..... Bus ko jate dekh Jivisha thunakti hui Nischal se jhagra karne lagi.....

Nischal, chup-chap bas sunta he raha..... Sari bhadas nikalkar jab Jivisha chup hui....... "Tumhari life hai jaise jiyo. Sach kahi main hota kaun hun.... lekin Nandni to tumhari dost hai na.. chalo wo tumhara intzar kar rahi hai"...

Jivisha..... Nahi mujhe kahin nahi jana... tum samjhte kyon nahi, mera khandaan mujhe lene aa raha hai.....

Nischal..... Jivisha, kabhi na kabhi to tumhe apne ghar jana he hai, par in sab ke bich tum apne dost ke gharwlon ka vishwas tod dogi....

Jivisha, Nischal ki baat par thodi der shant rahi, ummid bhari apni najron se Nischal ki ore dekhte huye puchhne lagi..... "To main kya karun"

Nischal.... Wapas chalo, fir dekhte hain kya hota hai....

Jivisha..... Nahi, maine bahut se kaam kharab kiye hain. Nandni ke gharwalon ka viswas waise bhi tootega hi, jab unhe sach pata chalega....

Nischal.... Itna mat socho, ab tak sab ne mil kar tumhari madad ki hai, aage bhi karenge. Mera wada hai tumse, main jabtak hun tumhe har paresani se nikalunga....

Ek bharosa jo Nischal ki baton me tha..... "Thik hai chalo chalte hain... par tum yahan tak aaye kaise... ek dum achanak se... tumhe to hall me dekha tha"

Nischal, jor se chillate huye..... "Jivisha hilna mat, tumhare pith par sanp hai"

"Kya... Sanp"..... Dar se uske hath paun kapne lage....... "Jivisha sidhi khadi raho daro mat... aur ye ho gaya"

Nischal ne bari safai se uske gardan par hath laga kar uski koi nabz dabaya aur wo behosh ho gayi.... Nischal usse gode me uthaya aur Jivisha ko dhyan se dekhte huye kahne laga…. "Chalen madam"

Nischal, Jivisha ko lekar wapas daur lagane ki taiyari me tha... Aur thik ussi waqt Josefer ke khoji, Jivisha ka pata lagate uske karib pahunch chuke the.... do khojiyon me se ek khoji ne turant Josefer ko suchna diya..... "Josefer Malkia ko koi ladka utha kar le ja raha hai"

Josefer..... Malkia uss ka virodh kar rahi hai ya apni marji se ja rahi....

Khoji.... Kuch kah nahi sakta. Malkia uski gode me behosh leti hai...

Josefer.... Malkia yadi behosh hai to mar dalo uss ladkey ko... Malkia ke aas-pass ki har insan ko khatam kar do taki wo akelepan ke karan hum se jaldi jur jaye....

Khoji ne "thik hai" kaha..... aur Nischal ko marne ke irade se aage badhne lage. Idhar Nischal, in sab se be khabar Jivisha ko wapas Nandni ke pass le jane ki taiyari kar raha tha.....
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,655
80,786
259
Update:-17

Khoji ne "thik hai" kaha..... aur Nischal ko marne ke irade se aage badhne lage. Idhar Nischal in sab se be khabar Jivisha ko wapas le jane ki taiyari kar raha tha.....

Josefer ka hukum milte he fir to humle ki taiyari shuru ho chuki thi. Lekin Nischal ke bare me bhi un khojiyon ko jarra bhi ilm nahi tha.... unhone viman ko niche la kar humle ki taiyari me niche utre. Par Nischal to Jivisha ko gode me liye hawa ki raftar se daur laga chuka tha....

Nischal bilkul pass se nikla un khojiyon ke aur wo log chhu tak nahi paye. Dono khoji achambhit the. Dono khoji sath me unka janwar sab uske piche daure par second bhar ka samay nahi laga hoga Nischal ko, aur wo un sab ki najron se ojhal ho chuka tha.

Sabhi turant viman me sawar ho gaye aur viman apne pure raftar se badh chali. Nischal apne har khatre se bekhabar, apne raste ja raha tha. Tabhi achanak Nischal ke sarir ke dahine hisse me jordar prahar hua.

Nischal khatre ko jarra bhi bhanp nahi paya. Unka wo vishalkay janwar apne nukile punch teji ke sath Nischal ke sarir ke dahine hisse me piche pith se ghusaya aur aage pet se bahar nikal diya. Aur pet se lekar kandhe tak, un khojiyon ka janwar Nischal ko chirte huye aage badh gaya. Nischal wahin sadak par gir gaya, par girte-girte bhi usne Jivisha ko apne upar le liya taki usse koi chot na lage.

Nichal gambhir roop se ghayal hokar niche dharasayi ho gaya. Wo janwara wapas palta aur dobara humle karne ki firak me tha. Iss baar Nischal ka sir nishane par tha. Lekin humle se pahle he Jivisha pure hosh me thi.

Nischal ki haalat dekh kar wo ghabra si gayi. Khun se lath-path uska pura sarir, Jivisha chillati hui usse jagane ki kosis karne lagi. Wo janwar Nischal par lagbhag dobara humla kar hi chuka tha, lekin Jivisha ke hosh me aana Nischal ke pran bacha gayi.

Jivisha ko hosh me aaye dekh, janwar ko kabu karne wale khoji turant hi bich me pahunchte huye hamle ko rokkar viman me sawar ho gaye aur yah sochkar ki itne bade humle ke baad ye ladka jinda to waise bhi nahi bachne wala, wo log dono ko wahin chhodkar wapas laut gaye.

Idhar Jivisha, Nischal ki haalat dekh kar jaise sun si hui ja rahi thi. Aas pass koi madad karne wala bhi nahi tha.
Tabhi wahan Nandni ki car aakar ruki.... "Kahti thi nafrat hai iss ladkey se, aur tu to sadak par he romance kar rahi"

Jivisha khadi ho kar palti, sarir par khun he khun.... Nandni puri tarah se shocked ....Virane se jagah par do ladkiyan aur dono ko he khun dekh kar chakkar sa aa raha tha....

Nandni.... Jisa ye sab kaise hua... Kya hua tha yahan. Nischal ka itna khun kaise bah raha...

Jivisha.... Mujhe kya pata Nandu, tujhe he pata hoga na. Tu he to car se le kar aayi hai na hume yahan tak....

Nandni.... Sab confusion hai, pahle isse le kar chal hospital fir dekhte hain kya karna hai...

Dono baten kar rahi thi tabhi Nischal ki aakhen bhi khuli. Usse hosh aane laga... wo aakhen khol kar baith gaya........ Idhar Nandni aur Jivisha aapas me discussion he kar rahi thi....

Nischal.... Dono yahan sadak par khadey ho kar kya mere marne ka intzar kar rahi ho.... chot lagi hai, khun bah raha hai aur dono yahan khadi ho kar tamasa dekh rahi ho kya ??....

Nandni..... Tumhara bhi khun ka rang laal hai...

Jivisha.... Nandu tu ye kya bak rahi hai.....

Nischal, sab ka dhyan fir se apni ore khinchte..... "Oye paglon aapas ki discussion baad me karna, pahle mera ilaz to karwao.... Ya picha chhudane ke chakkar me mujhe kahin sahid karne ka irada to nahi.

Teeno car me baithe, Nandni apne Bf yani ki Dr Ansh ke hospital pahunchi aur Jivisha ko wapas ghar lautne ke liye bol di, lekin Jivisha, Nischal ki haalat dekhkar usse chhodkar jana nahi chahti thi. Kisi tarah Nandni ne Jivisha ko samjha bujha kar wahan hospital se bhej di aur Ansh ko call lagane lagi. Nandni, Nichal ko lekar kafi paresan si dikh rahi thi.....

Nischal ke bahte khun ko dekhkar Nandni chinta se Ansh ko baar-baar call laga rahi thi, lekin Ansh ne call pick nahi kiya. Dr Ansh, apne papa ke sath unhi ke hospital me practice kiya karta the, subah ka samay hone ki wajah se wo abhi tak hospital nahi pahuncha tha.

Nandni, call laga hi rahi thi tabhi Ansh usse samne se aate huye najar aaya. Nandni bhagkar uske pass pahunchi aur sabhi staff ko uske pass se hatati hui Ansh par barshna shuru kar di… "Pagal ho kya, tum dr ho ya jallad. Tumhe kya lagta hai, tum mere bf ho to main tumhare hospital ka bill pay nahi karungi . Kaise dr ho patients mar raha hai aur tum cream powder laga kar taiyar ho kar aaye ho"...

Ansh, sir jhukaye chup-chap Nandni ki baten sun raha tha... jab wo bol kar chup ho gayi tab Ansh ne aahiste kaha... "Iska khun bah raha hai... pahle isse check kar lun"

Nischal ke zakham ko dekhte huye Ansh kahne laga..... "Ye kis hathiyar se zakham laga hai... aage se pichhe tak chir dala hai, fir bhi tum aise khadey ho"....

Nichal.... Arre dr babu ye aage se piche ka zakham nahi hai... aage alag hai aur piche alag...

Ansh.... Pagal samjha hai kya.... dono ore ek jaise nishan hain, jarra bhi fark ni. Ruko mujhe police ko bulana hoga....

Nandni..... Chup-chap cotten lagao aur stich karo. Jyada dimag na lagao.... waise bhi hum pahle se bahut musibat me hai... ab jo kaha hai wo chup-chap karo.

Mohabbat wo bhi jab ek tarfa ho. Ansh ke jaise pran baste ho Nandni me .... bina koi sawal kiye wo jakhamon par taken lagane laga..... "Nandni ye galat karwa rahi ho. Tum nahi janti, aise ilaz nahi hota"....

Nandni.... Kya bar-bara rahe ho, chup-chap kaam karo....

Ansh bechara ek staye huye pirit premi ki tarah na chahte huye bhi stich de diya... Stich de kar jab wo hath dhone bahar nikla tabhi..... "Nandni ji ye kaun hai jarra inki bhi tarruf kijiye"

Nandni.... Jivisha ke bhagne ke chakkar me ek baat to rah he gayi. Pahle ye batao tumhari bhasha itni jaldi, itni sudhri hui kaise ho gayi....

Nischal..... Internet darling internet... achha ye batao ye tumhara bf hai....

Nandni..... Pata nahi kyon mere dil me kabhi Ansh ke liye pyar wali feeling kyon nahi aayi. Par haan wo mujhse bahut pyar karta hai..... kash tumhe pyar ka matlab samjh me aata....

Jab Nandni "Kash tumhe pyar ka matlab samjh me aata" .... bol rahi thi, tabhi darwaje se Ansh ne sun liya..... "Aahhhhh" jaise sine me uske dard utha ho aur dil par hath rakh kar wo aage ki baat sun'ne laga....

Nischal.... Sayad tum thik kahti ho, mujhe iss sabd ka mol nahi pata. Chalo yahan se ab.... ghar wapas chalte hain....

Nandni.... Suno Mr. Ek baat main clear kar dun abhi..... tum kitna bhi chaho chhipana par main bina sachai jane piche nahi hatungi.

Nischa..... Haan madam ji sab bata dunga.... par ek shart par...

Nandni.... kaisi shart...

Nischal..... Abhi jo boli tum ... "Kash tumhe pyar ka matlab samjh me aata".... to deal ye hai ki aap mujhe pyar ka matlab samjhayengi.... aur main dhire-dhire aap ko sari sachai bataunga.

Nandni jor se hasti hui "haan" kah di aur dono wahan se nikal gaye.... thodi galatfahmi si paida ho gayi aur Ansh ko gussa aur dard dono ek sath ho rahe the.... Dono jab bahar nikle to Ansh darwaje par he khada tha...

Nandni..... Ansh main tum se baad me milti hun.... Abhi jarra jaldi hai...

Dono ko sath jate dekh Ansh bare gusse se..... "Manao raas lila.... bf main hun aur pyar ka matlab usse samjhao.... Mere he hospital me, mere he samne khullam khulla romance ka offer diya ja raha hai. Main injection me zahar bhar kar maar dalunga iss kaminey ko"

Idhar Jivisha car ko wash karwakar, Nandni ke ghar wapas to aa gayi, lekin usse samjh me nahi aa raha tha ki wo kya kare. Kuch he der me uske mom-dad aur pura pariwar yahan pahunchne wala tha. Upar se jiss ke bharose wo aayi thi, wo to ghayal hokar hospital me para hua tha.....

Jivisha ko kuch samjh me nahi aa raha tha.... aur chinta me wo idhar se udhar ghum rahi thi, tabhi bahar se he chillane ki awaz .... "Jivisha.... Jivisha"....

Bare bhaiya, chote bhaiya... sab chillate huye darwaje ki ore badh rahe the... ander ka bhi mahol kautuhal jaisa ho gaya .... Ashis, Durga devi uske husband sab kamre se bahar nikal kar hall me pahunche....

Durga devi.... Bahar kaun hai, tumhara naam le kar chilla kyon rahe hain ......

Tabhi gate se ander aate Jivisha ke papa Himanshu Rajput bole .... "Main hun Jivish ka pita aur ye hai humari puri family"......

Darwaje par ek chhote se intro ke baad sabhi baith gaye hall me .... fir kya tha, sabhi log dayen bayen adjust karke baith chuke the aur insan ke madhya me Jivisha kisi mujrim ki tarah khadi thi. Fir shuru hua ek-ek karke sawolon ki bauchhar…...

Pahle he sawal par clean bold thi Jivisha jab ghar walon ko ye pata chala ki shadi se bhag kar Jivisha ne kisi dusre ladkey shadi kar li.... Jabki iss baat par Durga devi, apne husband aur Ashis ka muh dekh rahi thi.... Kyonki Durga devi ko to Jivisha ki shadi ke bare me kuch aur he bataya gaya tha....

Ab bechari Jivisha, uski juban jaise halak me atak si gayi ho.... pani ke ghunt par ghunt pi rahi thi par juban se koi bhi sabd nahi nikal rahe the.... Tabhi entry hui Nischal aur Nandni ki .... ek side se Jivisha ki family aur thik uske pass se Nandni ki family aur bilkul center me Jivisha.... Pura shant mahol.....

Nischal ko dekhte he uss shant mahol me Durga devi ki awaz gunji aur wo kahne lagi ..."Yahi hai".... Mamla un dono ko kuch samjh me aata uss se pahle he Ansh bhi un dono ke pichhe-pichhe pahunch gaya...

Ansh me na to wahan chal rahe mamle ko samjha... aur na he mahol dekha.... bas Nandni ka hath pakar kar rote huye kahne laga.... "Yadi tumhe yahi ladka pasand tha to mujh se pyar ka natak kyon ki. Sidha bol deti main iss ladkey se pyar karti hun"....

Nischal, jiske bare me abhi dono pariwar yahi jante the ki Nischal aur Jivisha ne bhag kar shadi ki .... ab lo ji ek aur nayi baat ek dum se samne aa gayi.... Nandni aur Nischal ek dusre se pyar karte hain...... Shocked ho kar sab khadey ho gaye.....
 
mahadev31

Active Member
1,207
3,406
144
par kya nishchal ko pata nahi chala ya usne socha nahi ki uspar humla kisne kiya ?? ab dekhte hai pariwar walo ka reaction ,,, shadi aur premiyo ka trio ?? kya hungama hoga ab ....
 
Guffy

Well-Known Member
2,071
2,208
159

[
 
Waah bhai mast update nischal ka bolne ka tarika badal gaya hai lekin launda porn ka shaukeen bhi ho gaya hai waise mst Update tha
 
Gazab update hai bhai maza aa gaya padh kar
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,351
304
ye alien logis hath dhui ke jivu piche pade hai :mad: inki toh aisi ki taisi....
....
are wah nischal bilkul nischal aur gentleman type baatein karing...
are wah udi maarke jivu ke paas pahunch gaya... fast & furious...
Nichal halka muskuraya aur uske kalai ko pakad kar morna suru kiya..... Counducter dard se chilla utha.... "Hath chhoro bhai, please chhor do warna toot jayega"....

Nischal.... Tamij se baat kar, badtamiji mujhe pasand nahi...

Conductor...... Bhai aap ko bhi bhopal jana hai kya, to chalo na...

Nischal.... Nahi mujhe bhopal nahi jana... tumhare bus me Jivisha naam ki ek ladki hai, usse niche utaro aur bus aage badhao... tabtak main yahin intzar kar raha hun...

"Thik hai bhai" kahta hua wo counductor bus me chadh gaya aur "Jivisha madam.. Jivisha madam" karne laga....

Jivisha..... Kya hua bhaiya..

Conductor.... Madam aap ke koi pahchan wale niche khadey hain aur wo aap ko bula rahe hain...

"Ab ye kaun sa naya twist hai"....... "Bhaiya wo kisi aur ko dundh rahe honge mujhe yahan koi nahi janta. Main to Pune se hun.

Conductor.... Madam aap ek baar dekh to lijiye...

Jivisha.... Bhaiya kaha na mujhe yahan koi nahi janta.... ab kya koi bhi kisi ka naam lekar niche kahe utarne, to kya aap use aise bich raste mein niche utar doge. Main bechari ladki, kahin koi unch-nich ho gaya to...

Tabhi hero sa ek ladka, six pack muscles wala, bich me bol para..... "Inhone kaha na ye yahan kisi ko nahi janti to tu kyon jabardasti kar raha hai. Tera he koi sathi to nahi niche"

Conductor..... Kuch bhi bakwas na karo, aur jyada inquiry karni ho to niche ja kar karo..... jab tak Jivisha madam niche nahi jati ye bus aage nahi badhegi...

Josh me aate huye wo ladka bola..... "Aise kaise nahi aage badhega bus... miss aap chinta na karo abhi hosh thikane lagata hun uss ke... chal re kannu"...

Wo ladka apne 2 aur sathi ke sath bare josh mein niche utra, aur 2 min baad luta-pita haalat mein wapas aakar kahne laga..... "Madam aap niche chale jao, wo aap ko he dhundh rahe hain"
:lol:
panga lene se pehle jaan toh lete ki kisse panga liya hai... Nischal the great se
are wah jivu maan gayi sath aane ko..
par yeh josefer logis inke piche..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :yourock:
 
Top