• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 86


Rahul Nisha ka haath picche se pakadkar kehta hai.....

Rahul:- Sorry Nisha....

Rahul ki aawaj me paschataap aur Nisha ke liye bahut pyaar bhara tha.....Nisha Rahul ki ye baat sun kar bahut shocked ho gayi.....Usne ye umeed bahut pehle chhod diya tha ki Rahul kabhi usse maafi maangega yaa fir usse baat karega.....

Nisha apna shocked chehra ke saath picche ghum kar Rahul ka chehra dekhti hai.....Rahul ki aankho me usse apne liye pyaar najar aata hai.....Wo kuch nahi kehti.....Nisha ko chup aur shocked dekh Rahul kehta hai....

Rahul:- I am sorry Nisha.....Bahut bada galti kar diya tumhaari baaton par yakin na karke, tumhaara oyaar par yakin nahi karke.....Pyaar to mai bhi tumse bahut karta hu.....Aur uss din bataane hi waala tha ki Vijay ko dekh kar mera dimaag kharaab ho gaya.....Tumhaari aankho me apne liye pyaar bhi nahi dekh paaya....Aur maine uss pyaar ka majaak udaaya.....Gussa me mai paagal ho gaya tha.....Khud ko tadpa raha tha aur tumhe bhi bahut tadpaaya.....Lekin aaj mujhe sab kuch pata chal gaya hai.....Aaj dil se mai tumse sorry kehta hu aur ek aur baat kehna chahta hu jo bahut dino se apne dil me daba kar rakha tha "I Love you too".....

Maine tumhe apne dil ki baat bata diya.....Lekin mai nahi jaanta ki tum mujhe maaf karogi ya nahi.....Bas itna kahunga ki tum mujhe ek baar maaf kardo aage se kabhi aisa galti nahi karunga.....Hamesha tumhaara saath dunga chaahe haalat kaise bhi ho.....Kyuki mujhe yakin hai ki tum kabhi kuch galat karogi hi nahi.....

Rahul ki baat se pata chal raha tha ki wo sach keh raha hai......Uski har ek shabd me paschataap tha.....Apna baat kehne ke baad wo Nisha ki taraf aasha ki najar se dekhne laga ki Nisha usse maaf karde....

Nisha:- Mai kaise maanlu ki tum sach bol rahe ho......Abb mujhe tum par bharosha nahi hai.....Tumne mera vishwaas kho diya hai.....

Nisha pehle ki baat ko yaad karke dukhi hote hue boli.....

Rahul:- Please mera vishwaas karo Nisha....Bahut badal gaya hu mai......Bura insaan to mai pehle bhi nahi tha lekin anjaane me ek galti ho gaya.....Abb samajh me aaya ki kya galti kiya hai maine.....Tumne sach kaha tha Aditya accha insaan nahi hai....Aaj saara sach pata chal gaya hai mujhe aur ye bhi pata chal gaya hai ki tumhaara koi galti nahi tha.....Yakin karo Nisha jab insaan ko thokar lagti hai tab uska akal thikaane par aata hai.....Bas ek mauka do Nisha abb mai kabhi tumhaara bharosha nahi todunga....

Nisha:- Tum mujhe apna dost maante the na......Kehte the ki mai tumhaara best friend hu....Pyaar na sahi lekin apna best friend ka ek baar to baat sunn lete.....Lekin tum ne har baar meri baat ko ansuna kar ke mujhe hi bewafa, dhokebaaz kaha.....

Agar tum mujhse ek baar baat kar lete to shaayad mai tumhe maaf bhi kar deti .....Lekin tum abb maafi maang rahe ho jab tumhe sacchaayi ka pata chala.....Warna tum maafi maangte hi nahi.....Agar sachaayi pata nahi chalta to tum mujh par yakin bhi nahi karte.....Kaisa pyaar hai ye tumhaara????

Ye kehte kehte Nisha ki aankho se aansu nikal rahe the.....Bahut din baad wo apna dard baahar nikaal rahi thi.....

Rahul abb kuch nahi bol paaya.....Bolta bhi kya .....Nisha ne jo kaha wo sab sach tha.....Bas Nisha ki baat sharmindagi ko mehsoos karte hue sun raha tha.....

Nisha:- Abb bolte kyu nahi????Tabhi to bahut kehte the ki mujhse bahut pyaar karte ho.....Mere liye ye karoge wo karoge....Lekin abb kya hua .....Apni galti ka pata chalte hi saari bolti band ho gayi.....

Rahul:- Sach keh rahi ho tum Nisha.....Tumhaara har ek baat sach hai....Galti maine kiya hai.....Lekin mai iss galti ko apna aakhiri galti banana chaahta hu.....Please bas ek baaar bharosha kar lo.....

Rahul ne laghbhag gidgidaate hue kaha.....

Nisha:- Nahi Rahul....Abb kuch nahi ho sakta.....Maine pehle bhi keh diya tha....Its all over.....Abb ham dono ke bich me kuch nahi raha....Tum apne raaste jaao mai apne raaste....Maine pehle hi keh diya tha abb mai tumhaari life me kabhi nahi aaungi aur tum bhi mere life me kabhi mat aana.....

Itna keh kar Nisha rote hue daud kar apne room me chali gayi.....Picche Rahul bas Nisha ko dekhta raha....Usko bahut bura lag raha tha....Apni galti par usse pehli baar sharmindagi mehsoos ho raha tha aur khud se hi nafrat karne laga tha.....

Kuch pal ke liye Rahul niche hi udaas baitha.....Lekin usne bhi soch liya ki aise haar maan lene se koi faaidaa nahi.....Galti kiya hai to usse sudhaarna bhi chaahiye.....Wo Nisha ko mana kar hi rahega aur usse apne pyaar ka ehsaas dilaa kar hi rahega.....Chaahe uske liye kitna bhi vakt kyu na lage lekin wo Nisha ko manaa kar hi rahega.....

In Nisha's Room



Nisha apne room me jaa kar bed par lait kar ro rahi thi.....Aaj usne apna dard bahut dino ke baad apne dil se baahar nikaala tha....Thoda halka to mehsoos kar rahi thi lekin fir bhi ek naya dard usko apne dil me mehsoos ho raha tha....Usse khud pata nahi chal raha tha ki usko Rahul ke pyaar ko accept kar lena chahiye yaa fir nahi....

Aise hi kuch der ke liye wo roo rahi thi ki uske mobile me Riya ka phone aata hai....

Wo Riya ka phone uthaati hai aur baat ke dauraan wo Riya ko aaj jo bhi hua sab kuch bata deti hai.....

Riya:- To kya socha hai tune......Rahul ko maaf karke ek mauka degi yaa nahi.....

Nisha:- Bahut pyaar karti hu mai Rahul se....Lekin abb pehle jaisa bharosha nahi raha uss par.....Pata nahi kahi fir se mera bharosha tod diya to kya hoga.....Kaise seh paaungi mai fir se ye sab.....Ek baar to jaise taise khud par kaabu karna sikh liya hai.....Pata nahi kya hoga jab dobaara mera dil tutega.....

Riya:- Baat to tu sahi keh rahi hai.....Lekin decision abb tere haath me hai.....Jo bhi decision lena hai soch samajh ke lena......Kahi aisa na ho ki baad me tujhe pacchtaaana pade.....Bas itna kahungi ki jaldbaazi me koi faisla mat karna....

Aise hi kuch der baat karne ke baad Riya phone rakh deti hai......Riya ki baat sunne ke baad Nisha sochne par majboor ho jaati hai ki Rahul ko maaf kar dena chahiye yaa nahi.....Kya ek mauka fir se Rahul ko dena sahi hoga?
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 87


Next Day​


Agli subah Rahul roj ki tarah subah ke 5:00am par utth gaya.....Fresh hone ke baad wo bed par aa kar baith gaya....Lekin usse kuch accha nahi lag raha tha....Wo bas Nisha se baat karna chaahta tha aur usse maafi maangna chaahta tha.....Kuch der yunhi baithne ke baad wo chala gaya garden par iss umeed ke saath ki waha par Nisha hogi.....

Garden me pahunch kar Nisha ko na dekhne ke baad Rahul thoda udaas ho gaya.....Lekin wo intejaar karne ka sochta hai....

Rahul ke liye har ek second ghante ka barabar ka lag raha tha....Aaj usse pata chal raha tha kisi ka intejaar karna kitna mushkil kaam hai.....Rahul ki najar gate par hi tika tha aur aankhen Nisha ko dhund raha tha.....Dhire dhire 6:00am baj gaya lekin Nisha ki room se koi halchal nahi mil raha tha.....Rahul parehaan ho gaya.....Fir bhi wo apna zidd par adaa raha.....Issi tarah 6:30am bhi ho gaya.....Abhi tak Nisha apne room se nahi nikli.....Abb Rahul ke liye aur intejaar karna mushkil ho gaya tha....Utth kar usne kuch khaaya bhi nahi tha....Bhookh bhi lag raha tha.....Dedh ghante ke intejaar ke baad Nisha ko na dekhne ki vajah se Rahul ko bahut bechaini ho raha tha....Wo abb sochne laga....

Rahul:- (In his mind) Ye Nisha kyu nahi aa rahi.....Pehle jab mai usse gussa thaa tab to na chaahte hue bhi wo dikh jaati thi.....Aur aaj jab mai sacche dil se usse maafi maangna chaahta hu tab wo najar hi nahi aa rahi.....(Ghadi dekhte hue) 6:30 am ho gaye....Lekin abhi tak nahi nikli room se....Itni der tak to kabhi nahi soti thi....Hamesha jaldi hi garden par aa jaati thi....Lekin aaj kya hua.....Kahi wo kisi kaam me busy to nahi.....Aur agar nahi aayi to mai kya karunga....Mera kya haal hoga intejaar karte karte.....Nahi nahi Rahul aisa mat soch.....Think positive....Wo jarur aayegi....

Tu itna jaldi thak gaya.....Tujh se dedh ghante ka intejaar nahi hota.....Bhul mat Nisha ne tera 3 months ka intejaar kiya hai......Jo bhi ho tujhe uska wait karna hi hoga.....

Rahul apne ye soch se baahar nila hi tha ki saamne se Nisha bhi gate se baahar nikal kar garden ki taraf aa rahi thi.....Nisha ko aate dekh Rahul ki chehre me ek chamak aa gaya.....Rahul ki bechaini abb raahat me badal gaya....Ek lamba sa saans lekar wo fir se sochta hai.....

Rahul:- (In his mind) Aaj kitni pyaari lag rahi hai meri Nisha.....Lagegi hi naa aakhir meri Nisha hai.....

Rahul ye soch hi raha tha ki Nisha usse ghurte hue ek bench par jaakar chaai(tea) pine lagi.....Bench par baithte hi usne apni najar Rahul se hata liya.....

Rahul bhi utth kar Nisha ke paas jaa pahuncha aur kaha....

Rahul:- Nisha ye kya hai......Tumne to apna time table hi badal diya.....Pehle garden me kitni jaldi aa jaati thi.....Aur aaj itni late.....Pata hai mai kitni der se tumhaara wait kar raha tha.....

Rahul ka ye sawaal sun kar Nisha hairaan ho gayi.....Nisha ko Rahul se bilkul bhi umeed nahi tha ki Rahul usse ye sawaal pucchega.....Nisha ko lag raha tha ki Rahul usse maafi maangne aa raha hai.....Lekin Rahul ka iss sawaal ne usse hairaan kar diya.....

Kuch der baad wo apne aap ko sambhaalte huye naarajgi jataate hue kehti hai.....

Nisha:- Tumhe isse kya matlab....Jo mujhe accha lagega wo karungi.....

Lekin Rahul par iss naarajgi ka koi asar nahi hua....

Rahul:- Nisha ek baat jaanti ho.....Tum gussa me bhi bahut pyaari aur cute lagti ho....

Rahul ne muskuraate hue kaha....

Nisha:- Rahul Stop it....Abb bakwaas karna band karo.....Maine tumhe maaf nahi kiya to abb tum dundo jaisa cheap harkat karne lage....Maine kaha na mujhse baat mat karo aur meri life me dakhal andaazi mat karo lekin tum bakwaas karte jaa rahe ho....

Rahul ko iss baar Nisha ki baat ka bahut buraa laga.....Thoda hurt hokar ye bola.....

Rahul:- Mai koi cheap nahi hu.....Kal raat maine socha ki meri galti badi hai ..... Iss liye apni galti sudhaaarne ka socha.....Aur tum bhi please mujhe itni jaldi maaf mat karna....Jab tumhe lagega ki mai tumhaare pyaar ka kaabil hu tab maaf karna.....Aur ek baat tumhe accha lage yaa nahi lekin mai tumhe manane ki koshish karta rahunga....Tum bhale mujhe koi mauka naa do lekin mai khud apna mauka bana kar rahunga aur tumhaara pyaar waapas paa kar rahunga.....

Rahul ne pehle ki kuch baat hurt ho kar kaha aur aakhiri ki kuch baat muskuraate huye....Rahul ki baat par Nisha sochne lagi....

Nisha:- (In her mind) Kehta hai mujhse pyaar karta hai.....Lekin mera itni si baat par naaraj ho gaya....Koi baat nahi aadat nahi hai Rahul ko abhi.....Dhire dhire sab sikh jaayega......Tab tak mai iske manaane ki programme ka enjoy karti hu.....

Nisha ye soch hi rahi thi ki Rahul bola.....

Rahul:- Nisha ek request hai.....Aaj please kahi baahar ghumne chale.....

Rahul ne apni dil ki baat keh diya....

Nisha Rahul ki iss baat par jhutta gussa dikhaate hue boli....

Nisha:- Tumse to baat karna hi bekaar hai.....Thoda sa baat kya kar liya tum to sar par chaddhne lage.....Tumhaara bakwaas sunne se to accha hai ki mai hi yaha se chali jaau.....

Itna keh kar Nisha waha se jaane lagti hai.....Tabhi picche se ek baar fir Rahul Nisha ka haarh pakad leta hai aur kehta hai......

Rahul:- Tumne aaj tak mera gussa aur nafrat dekha hai.....Aaj se mai tumhe apna pyaar dikhaaunga.....Aaj se tum angry young man Rahul ko nahi loverboy Rahul ko dekhogi.....

Nisha ka face abhi Rahul ki dusri taraf tha.....Nisha Rahul ki iss baat par muskuraaye bina nahi reh paayi.....Rahul ne bhi Nisha ko muskuraate hue dekh liya aur kaha....

Rahul:- Hansi to fassi.....Tumhe aisa hansta hua dekh mai samajh gaya ki tum bhi mujhse pyaar karti ho.....Bas abhi naraaj ho.....Jitna bhi naraajgi hai tumhaari wo sab mai dur kar dunga......Ye mera vaada hai.....

Rahul ne bade pyaar se kaha to Nisha bhi Rahul ki taraf mudd kar dekhti hai.....Nisha ko Rahul ki aankho me apne liye bahut pyaar dikh raha tha.....Wo kuch pal ke liye Rahul ko bas dekhti hi rehti hai lekin kuch nahi kehti.....

Kuch pal ek dusre ko dekhne ke baad Rahul kehta hai.....

Rahul:- Abhi mere paas koi dialogue nahi hai jisse tumhe impress kar saku.....Ha abhi tum jaana chaahti thi na to jaao ......Kuch kaam hoga tumhaara.....Abhi mai disturb nahi karunga.....

Bas kuch pal ke liye hi tumhaara haath chhod raha hu....Lekin tumhaara haath aur saath jindagi bhar ke liye thaam kar rakhunga......Jitni bhi sikaayat hai tumhaara sab dur kar dunga wo bhi bahut jald.....

Itna keh kar Rahul Nisha ka haath chhod deta hai.....Rahul ki baat par pyaar aur confidence dono tha....

Rahul ke haath chhod dekne ke baad Nisha bhi apne room me chali jaati hai.....Aaj uske chehre me muskaan tha jo bahut dino ke baad aaya tha.....Wo socchti hai....

Nisha:- (In her mind) Sach me Rahul bahut badal gaya hai.....Thank god jo Rahul ki galatfehmi dur ho gaya hai.....Abb Rahul ki aankho me apne liye pyaar dekh kitna sukoon milta hai......Bahut tarsi hu mai iss pal ke liye.....Saccha pyaar kiya hai maine Rahul se......Aisi galti ke liye thodi na usse apna saath chhuda lungi....Galti to sab se hota hai.....Rahul se bhi hua.....Rahul ko to maine ussi pal maaf kar diya tha jab usne pehli baar sacche dil se maafi maanga tha......Lekin itni jald Rahul ko mai bataaungi nahi.....Thoda aur tadpaaungi usse......Thoda uska manane ka maja lungi mai bhi.....Usse bhi to ye ehsaas hona chahiye ki mai uska gussa aur naraajgi se kitna tadpi hu.....Thoda tum bhi tadap lo Rahul.....

Mujhe yakin hai tum mujhe bahut hi acche se manaaoge aur apne pyaar ka ehsaas dilaaoge....Agar pyaar me ye sab nahi to pyaar me koi maja hi nahi.....

Ye sab sochne ke baad Nisha muskuraate hue apne window se baahar garden ki taraf Rahul ko chhup kar dekhne lagti hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 88


Dhire dhire din bitne laga.....Rahul ke paas abb na koi college ki tension tha aur na hi kuch aur cheej ka.....Abhi wo all time free tha.....Nisha ka bhi abb MBBS complete hone me kuch time hi baaki tha.....Jab wo college jaati tab Rahul bahut bore ho jaata tha......Bas Nisha ki waapas aane ka intejaar karta tha.....Aur iss time me wo apne dimaag ko daudaata tha naya naya idea dhundne me jisse wo Nisha ko mana sake.....

Inn dino me Rahul bahut si ideas ka use kar chuka tha Nisha ko manane me jaise koi aam lover use karta tha.....Kabhi to uski idea me paagalpan bhi hota tha jisse dekh Nisha andar hi andar muskuraati thi lekin baahar se show nahi karti thi.....Kabhi kabhi to Nisha daant bhi deti thi Rahul ko lekin Rahul ko koi fark nahi padta tha......Wo fir bhi apne koshish jaari rakhta tha.....Jab bhi Nisha baahar jaati thi Rahul bhi bina kuch bole Nisha ke piche piche lag jaata tha.....Nisha ko Rahul ka pyaar aur uska care karna dekh Rahul par bahut pyaar aata tha.....Dil to chaahta tha ki Rahul ko abhi keh de ki usne Rahul ko maaf kar diya....Lekin agle hi pal wo ye khayaal dimaag se nikaal kar Rahul ki haalat ka majaa lene ka sochti hai....

Abb Rahul ka duty ban gaya tha Nisha ke saath hotel me jaane ka yaa fir shopping me jaane ka.....Jab Nisha kabhi hotel me jaati thi to Rahul bhi picche picche muskuraata hua chal deta tha aur ussi ke table par baith jaata tha.....Nisha kuch nahi kehti thi bas ghur kar Rahul ko dekhti thi.....Lekin Rahul bas Nisha ki chehre ko muskuraa kar dekh ta tha to Nisha uss par se najar hata kar andar hi andar muskuraati thi....4-5 ghante ke shopping me Rahul bore to ho jaata tha lekin chehre se kabhi nahi jataata tha.....Usse to har haal me waapas Nisha ka dil jitna tha.....

Jab koi itna mehnat kar raha ho kisi ke dil jitne me.....Aur wo aapko koi response naa de to koi bhi iss baat ko besharmi keh kar koshish karna hi band kar deta .....Agar pat gayi to thik hai nahi to koi dusra mil jaayegi iss soch ke saath apne kaam se kaam rakhta.....Lekin Rahul ki baat kuch alag tha.....Wo to Nisha ke pyaar me iss tarah deewana ho gaya tha ki wo iss baat ko apne ego aur izzat par nahi le raha tha....Koi bhi ye nahi keh sakta tha ki ye wohi Rahul hai jo kuch samay pehle hua karta tha......Chehre par gussa, attitude, ghamand, ego aur nafrat ki jagah ek muskuraahat ne le liya tha aur wo Nisha ke liye Rahul ke bepanaah pyaar ka natija tha.....

Laghbhag 1 month ho gaya tha Rahul ko apne kosis ka suruwat kiye lekin abhi tak kaamyaabi nahi mila tha usse....Lekin Rahul ki himmat ne abhi tak jawaab nahi diya tha.....Abhi tak Nisha nahi maani iss baat ka Rahul ko koi tension nahi tha.....Nisha ko manaane me wo din bhar Nisha ke saath rehta, usko apne kareeb dekhne ka mauka milta......Apni comedy se Nisha ko kabhi hasaane ka mauka milta.....Filhaal to Rahul ke liye yahi kaafi tha.....


Aise hi ek din Rahul Nisha ke saath shopping ke liye aaya tha.....4 ghante ho gaye the lekin abhi tak Nisha ki shopping khattam nahi hua tha.....Rahul Nisha ke picche idhar udhar chalte hue bore ho gaya.....Aur khud se hi keh raha tha....

Rahul:- Pata nahi ye ladkiyo ki shopping itna boring kyu hota hai.....Aur kitni lambi hoti hai.....Bore ho gaya mai to....

Rahul ye baat khud se hi keh raha tha lekin Nisha sun leti hai....

Nisha:- To fir aate hi kyu ho????

Iss 1 mahine baad pehli baar Nisha ne Rahul se kuch kaha tha aur baat ki suruwaat kiya tha.....Warna to wo yaa to khaamosh rehti yaa fir jhuta gussa ke saath kuch lines ki jawaab deti....

Rahul:- Mai shopping me nahi aaya hu....Mai to shopping karne waali ko dekhne aaya hu.....

Rahul ne muskuraate hue jawaab diya....

Nisha:- Bahut bakwaas jokes tha....

Nisha ne fir se jhuttha gussa dikhaate hue kaha.....

Rahul:- Ye jokes nahi sach hai jaan....

Nisha Rahul ki iss baat par koi jawaab nahi deti bas Rahul ko ghurti hai....

Rahul:- Nisha abb aur kitna tadpaaogi yaar......Please yaar date to bata do jab tum mujhe maaf karogi.....Abb aur intejaar nahi hota mujhse.....Agar date bata dogi to intejaar karne me thoda aasani hoga....Please bata do....Itna to favour kar sakti ho na....

Nisha:- Accha thik hai.....Abb itna keh rahe ho to bata deti hu......Wo date kabhi nahi aane waala.....Mai tumhe kabhi maaf nahi karungi.....

Rahul:- Accha thik hai.....Samajh gaya.....Matlab mere marne se pehle tum mujhe maaf nahi karogi....

Rahul ka itna kehna tha ki Nisha jo andar hi andar muskuraa rahi thi achanak se uske chehre me gussa aur dard waali feeling aayi....Rahul ki marne ki baat sun Nisha ko bahut gussa aaya....

Rahul:- Kyu ghur rahi ho yaar....Abb darana chahti ho kya.....Tumhe lag raha hoga na mai filmy style se suicide karunga.....Nahi dear mai apne tarike se suicide karunga bilkul nayi tarike se......Aur yakin karo tumhe bahut pasand aayega aise naye tarike ki suicide dekhne me......Agar mar gaya to mera aatma ko shaanti to milega ki tumne maaf kar diya.....Warna jinda rehke bhi kya faaidaa jab mere pyaar hi mujhe maaf nahi kar rahi.....

Rahul to majaak me keh raha tha ye baatein.....Wo bas Nisha ke chehre ko padh raha tha ki Nisha ko Rahul ki care hai ya nahi.....Nisha ki chehre me gussa aur dard waali feelings Rahul ki ek ek shabd ke saath badh rahi thi.....Wo Rahul ko gusse se ghur rahi thi......Abb Rahul ne Nisha ki chehra padh liya aur muskuraate hue kaha.....

Rahul:- Are ghabraao mat.....Mai to bas ye dekhne ke liye aisa keh raha tha ki tum kaise react karogi.....Abb mujhe bhi samajh me aa gaya ki tum bhi mujhse pyaar karti ho.....Are tension mat lo.....Agar aur bhi naraaj hona chaahti ho to kuch din aur raho......Mai force nahi karunga aaj hi maan jaao....Mujhe bhi manaane me majaa aa raha hai.....Jab chaaho tab maaf kar lena.....Aur ha ek baaat sun lo tum bhi mujhse pyaar karti ho.....Bas abhi naatak kar rahi ho.....

Rahul ne khusi ke saath muskuraate hue kaha.....Rahul majaak kar raha tha jab ye baat Nisha ko pata chali tab uske jaan me jaan aayi.....Aur Rahul ki baat sochne par muskuraahat jo usne apne andar hi daba liya.....

Iske baad dono me koi baat nahi hota....Dono chup chaap waapas apne flat ki ore jaate hai.....Dono aaj bahut khus the.....


Nisha apne room me pahunch kar sochti hai....

Nisha:- (In her mind) Bas abb bahut hua....Bahut tadpa liya maine Rahul ko aur khud bhi tadap rahi hu.....Bahut bechain ho gayi hu usse baat na karne ki vajah se.....Abb kal hi mai keh dungi Rahul ko ki maine usse maaf kar diya warna wo fir se marne aur khud ko nuksaan karne ki majaak karne lagega....Paagal hai wo....Marne ki baat karta hai....Usse nahi pata uski iss baat ne mujhe kitna hurt kiya hai.....Abb kal mai usse har haal me apni dil ki baat kahungi aur apni life ko nayi tarike se suruwaat karungi Rahul ke saath jaha sirf hamaara pyaar hoga aur kuch nahi.....

Itna kehne ke baad Nisha muskuraati hai.....


Udhar Rahul ki kamre me Rahul bhi apne soch me vyast tha.....

Rahul:- (In his mind) Aaj mai bahut khus hu....Meri Nisha bhi mujhse pyaar karti hai.....Bas abhi mujhse naraaj hai....Pata nahi kab tak naaraj rahegi.....Uss din ka besabri se intejaar hai jab wo mujhe maaf karegia aur ham dono ek ho jaayenge.....

Rahul apni soch me vyast tha ki uske mobile me ek unknown number se call aata hai....Phone uthaane par ek ladki ki voice aati hai....

Ladki:- Hello Rahul....

Rahul iss voice ko sunne ke baad sochne laga....."Iss voice ko maine sunaa hai par kaha.....Yaad nahi aa raha"...

Udhar dusri taraf se wo ladki baar baar Rahul kopukaar rahi thi aur uski voice se pata chal raha tha ki wo ro rahi hai....

Rahul:- Hello.....Aap kaun.....

Rahul ne bas itna kaha tha ki dusri taraf se ladki rote hue kehti hai.....

Ladki:- Priya....

Priya iss naam ko sunte hi Rahul ki chehre ki bhaaw ekdam se badal gaye.....Chehre ki muskuraahat ki jagah gussa aur nafrat ne le liya.....

Pata nahi kismat ka bhi ye kya khel hai jo abhi Rahul aur Nisha ke saath khela jaa raha tha.....Abb Priya ki waapsi se Rahul aur Nisha ki life me kya asar padega ye to bas vakt ko hi pata hai.
 

Akkialex

New Member
87
140
48
Bhai apki writing skills Kamal ke h har update ke bad story mein twist daal dete ho taki reader ko next update ka besabri se intezar rahe gajab sochhte ho aap isliye aap se ek request h ki hafte me 3-4 update jarur post kare???
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Champ_AK_81 bhai I have read all of your stories and it is a gem. You have created a masterpiece of emotions, where anyone can feel attached with the storyline. Thanks bro..
Thanks Sky07 bro for this support and appreciation...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Bhai apki writing skills Kamal ke h har update ke bad story mein twist daal dete ho taki reader ko next update ka besabri se intezar rahe gajab sochhte ho aap isliye aap se ek request h ki hafte me 3-4 update jarur post kare???
Thanks Akki bhai for your support and review...Update hafte mein nahi daily 3 updates de raha hun...Bas aise hi saath bane rahiye bhai.
 
Top