• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 89


"Priya" ye wo naam tha jisse Rahul sabse jyaada nafrat karta hai....Priya hi wo ladki thi jisse Rahul sabse jyaada nafrat karta hai.....Aaj 5 saal baad waapas Priya ka phone aur uski aawaj sunne ke baad Rahul ko ek jhatka sa laga.....Bewafaayi ki wo din me hui saari ghatna Rahul ki aankho ke saamne ek baar fir aa gaya.....Uss ghatna ke baad pata nahi kitni raaton tak Rahul roya tha tadpa tha lekin aaj Rahul ki aankho me aansu ki jagah ek gussa tha.....Rahul apne soch me vyast ho kar kuch bol nahi raha tha tab Priya ek baar fir dhimi aawaj me rote hue kehti hai....

Priya:- Hello Rahul....Tum sun rahe ho????

Priya ki iss aawaj se Rahul hosh me aaya.....Lekin usse samajh me nahi aaya ki kaise react kare....Bas gusse me usne itna kaha.....

Rahul:- Phone rakh aur mujhse baat karne ki dobaara koshish mat karna.....

Rahul ki aawaj me bahut gussa aur nafrat tha.....Saalon se Priya ke liye daba hua gussa aur nafrat aaj nikaal hi diya Rahul ne.....Priya bhi shocked nahi thi....Usse pata tha Rahul aise hi usse baat karega....Rahul phone kaatne hi waala tha ki Priya rote hue ek baar fir se kehti hai.....

Priya:- Please Rahul....Phone mat kaatna.....Ek baar meri baat sunn to lo.....Uske baad jo marzi wo karna.....

Iske baad Priya jor se rone lagi....Priya ko umeed tha ki Rahul ek baar uski baat jarur sunega.....Lekin Rahul ne phone kaat diya.....

Phone kaatne ke baad Rahul ke dimaag me bahut saari sawaal aa raha tha....Priya ka iss tarah se itne time baad phone karne ki kya vajah ho sakta hai....Jab aaj Rahul Nisha ki pyaaar me apna gam bhul chuka tha tab fir se Priya ki phone ne dil ki uss ghaaw ko taaja kar diya....

"Aakhir kya vajah ho sakta hai jo usne mujhe phone kiya".....Itna dard dene ke baad bhi usse chhain nahi mila jo abb fir se meri life me aa rahi hai"....."Shaayad wo mujhe kabhi khus nahi dekhna chaahti aur wo mera piccha karte huye saari baat jaan gayi hai....Shaayad wo mera aur Nisha ke pyaar me darar daalna chaahti hai.....Jo bhi ho abb mai Nisha ka saath kabhi nahi chhodunga....Nisha ki pyaar ne mujhe fir se sambhaala hai.....Meri khushiyan lautaaya hai.....Bhale hi wo aaj naraaj hai lekin kisi din jarur maan jaayegi"......"Yaad aaya uss din Aditya keh raha tha ki Priya ne VIjay ko chhod diya hai par kis liye.....Kahi usko apni galti ka ehsaas ho gaya aur mujhse fir se pyaar to nahi ho gaya.....Nahi nahi aisa nahi ho sakta.....Agar ho bhi gaya to kya .....Mai to abb aage badh gaya hu apni life me Nisha ke saath"....."

Rahul yahi soch raha tha Priya ke call aaane ke baad.....Kaafi pareshaan ho gaya tha ye soch kar ki Priya ne kyu phone kiya....Jab wo guess nahi kar paaya to usne socha.....

Rahul:- (In his mind) Priya mujhe kuch bataaana chaah rahi thi par kya....Samajh me nahi aa raha....Kya usse phone karu.....Kya ye thik rahega.....Ek baaar phone kar lene me kya buraai hai......Ek baar phone kar hi leta hu aur usse uska phone karne ki vajah pucch kar usse piccha chhuda lunga.....

Itna sochne ke baad Rahul waapas Priya ko phone lagata hai.....Priya ko umeed nahi tha ki Rahul usse phone karega.....Bina der kiye wo phone uthaa leti hai.....

Priya:- Hello Rahul.....Please iss baar phone mat kaatna.....Kuch bataana hai mujhe tumhe.....

Rahul:- Yahi jaane ke liye phone kiya hai.....Jaldi se bako....

Rahul ne gusse me kaha.....Usse Priya ki aawaj sunte hi Priya par aur bhi nafrat aa raha tha.....

Priya:- Kya ham kal mil sakte hai....Phone me baat karne se behtar mil kar baat karte hai....Please manaa mat karna.....

Priya ne Rahul se request kiya.....Priya ne jis tarah se Rahul se request kiya usse to yahi lag raha tha ki wo kuch jaruri baat bataana chaahta tha.....

Rahul:- Abb kya baat karna hai tumhe....Wo bhi mil kar.....Mai tumhaara shakal bhi nahi dekhna chaahta....

Rahul ki har ek shabd ke saath gussa bhi badhta jaa raha tha.....

Priya:- Jaanti hu Rahul....Tum kyu itna gussa ho.....Tumhaara gussa bhi jaayaz hai.....Lekin please kal ek baar milne aa jaao.....Uske baad mai tumhe kabhi nahi bulaaungi.....Ek jaruri baat karni hai......

Priya ko pata tha Rahul ko manaana bahut mushkil kaam hai jab Rahul gusse me rehta hai tab....Lekin wo apni koshish jaari rakh rahi thi.....Rahul bhi Priya se baat karna nahi chaahta tha......Wo usse chhutkaara paane ke liye kehta hai.....

Rahul:- Accha thi hai....Kaha milna hai uss jagah ki address send kar do .....Aur ha kal jo bhi kehna ho jaldi jaldi bata dena....Aur agar koi bakwaas baat hua na to dekh lena.....

Itna keh kar Rahul ne Priya ki baat sune bina hi phone rakh diya.....Uska mood aaj Priya ki phone ki vajah se off ho gaya tha.....Wo iss tension se free hone ke liye apni time se jaldi hi soo gaya....

Next Day


Rahul jab subah utha to usne apne mobile me Priya ka message check kiya.....Subah 8:00 am me milne ke liye bulaaya tha ek restaurant me......

Rahul ko to kuch samajh me nahi aa raha tha ki Priya ne usse kyu restaurant me bulaaya hai......Lekin usne iss baare me jyaada nahi socha......Laghbhag 7:30 am se wo apne flat se jaldi me nikal gaya restaurant ki ore......

In Restaurant


Restaurant me pahunchne ke baadjab wo enter karta hai to thik saamne ki table ki chait par Priya ko dekhta hai.....Rahul ki najar jab Priya ki chehre pe pada to fir se gussa uske chehre par aa gaya.....5 saal baad Priya me kitna badlaaw aaya hai ye tak nahi dekha Rahul ne.....Gusse ke saath Rahul sidha pahunch gaya Priya ki table par.......Chair me baithne ke baad chehra niche table ki aur dekh kar gusse me kaha.....

Rahul:- To kya kehne ke liye bulaaya tha????

Rahul gussa me apna daant pishte hue bola.....

Priya:- Itna jyaada nafrat karte ho mujhse ki ek baar bhi meri taraf nahi dekha....

Priya thoda maayus hokar boli....

Rahul:- Iss chehre ko mai dekhna bhi nahi chaahta....Duniya ki sabse badsurat chehra hai mere liye.....Aur kya bataane aayi thi jaldi se bataao.....Bas yahi baat jaane ke liye aaya hu....Tumhe rota dekh thoda insaaniyat ka khayaal karte hue aa gaya....

Rahul ne jab ye kaha tab Priya Waiter ko menu se kuch order deti hai....Isse dekh Rahul ka gussa aur badh gaya.....

Rahul:- Mai khaane ke liye nahi aaya hu.....Jaldi se apni baat kaho......Warna mai abhi chala jaaunga.....

Priya:- Tum mujhse gussa ho......Khaana se nahi....Itna to samajhti hu tumhe ki tumne mujhse milne ke liye pareshaani me kuch nahi khaaya hoga.....

Rahul:- Bahut samajhti ho tum mujhe.....Meri har harkat se waakif ho....Iss liye to itni aasani se dhokha de paayi....

Rahul ki ye baat Priya ko bahut hurt karta hai.....Lekin wo khud ko sambhaal leti hai......

Ussi time par khaane ki kuch items bhi aa gaya.....

Priya:- Rahul khaana start karo....Mai bataati hu.....

Rahul Priya se jyaada baat karna nahi chaahta tha iss liye chup chaap khaana start kar leta hai.....Usse to Priya ki baat sun kar waapas jaane ki jaldi tha....

Priya:- Maine tumse maafi maangne ke liye tumhe bulaaya hai.....

Priya ne bahut himmat karke ye baat kaha to Rahul ko Priya ki iss baat par bahut gussa aaya.....

Rahul:- Maine pehle bhi kaha tha ki bakwaas baat ke liye mat bulaana.....Ye baat to tum phone me bhi kar sakti thi.....

Priya:- Maafi maangne ke saath saath kuch aur bhi baat bataana hai iss liye bulaaya hai tumhe....Please meri baat ko acche se suno Rahul.....Uske baad jo marji wo karna.....

Ye kehte kehte Priya ki aankho me fir se aansu aa gaya....Lekin Rahul ko ye aansu pighala nahi paa raha tha....Rahul ko kuch fark nahi pad raha tha.....

Rahul:- Maafi to galti hone ke baad karte hai lekin jo jaanbujh kar galti kare uski koi maafi nahi.....Tum bataana shuru karo jo kehne ke liye aayi ho....

Priya sacche dil se Rahul se maafi maangna chaahti thi lekin Rahul ki har ek baat uski dil ko chot pahunchaa raha tha.....Lekin Priya ne khud ko sambhaal liya......Usse pehle se hi pata thaa ki Rahul aisa hi react karega.....Jo galti Priya ne kiya tha uske liye Rahul ka ye gussa to jaayaj tha.....Abb bina vakt gawaaye Priya apni baat kehne lagti hai.....

Priya:- Jaanti hu Rahul maine tumse pyaar ka naatak kiya tha.....Tumhe dhokha diya tha.....Tumhe bahut rulaaya hai , tadpaaya hai......Tumhaare sacche pyaar ka majaak udaaya hai.....

Lekin Rahul mujhe nahi pata tha maine aisa karke bahut badi galti kiya hai.....Mai Vijay se saccha pyaar karti thi.....Usske kehne se hi maine ye sab kiya.....Vijay ne mujhe tumhaare baare me jhuth bola tha.....Tumhe galat insaan kaha tha aur naa jaane kitni jhuthi saboot dikhaaya tha tumhaare baare me.....Aur usne mujhsemadad maanga tumse jhuttha pyaar ka naatak karne ka....Mujhe sach me tumhaare baare me pata nahi tha Rahul.....Jo Vijay ne kaha uss par yakin kiya aur tumhaare saath itna galat kar diya....

Itna keh kar Priya jor se rone lagi.....Aas paas ke log unhe ghurne lage the aur Rahul asahaj mehsoos kar raha tha....

Rahul:- Rona band karo.....Sab hame dekh rahe hai.....Please rona band karo....Aur ye bataao ki jab tum Vijay se saccha pyaar karti ho to abb kya hua ......Kyu tum Vijay ke saath nahi ho???

Priya:- Kyu ki wo pyaar ke laayak nahi hai......Galat insaan se pyaar kar liya maine.....(Itna kehne ke baad fir se Priya ki aankho me aansu aa jaate hai) Tumhe dhokha dene ke baad pata chala Vijay ki assliyat.....Wo ek dam kameena aur gunda nikla......Bas sharif banne ka naatak kar raha tha mere saamne.....Mera use karne ke baad mujhe apni life se fenk diya.....

Rahul please meri baat ka yakin karo.....Sacche dil se maafi maangna chaahti hu tumse.....Maafi to bahut pehle maangna chaahti thi.....Lekin himmat nahi ho raha tha....Kal kisi tarah himmat jutaa kar tumhe phone kiya hai.....Yakin karo Rahul tumhe dhokha dene ke baad mai bhi bahut tadpi hu.....Ha pyaar na sahi lekin apni galti ke liye tadpi hu.....Bas yahi chaahti thi ki tum sahi salamaat raho.....

Ye kehne ke baad Priya fir se sisakne lagi.....Rahul ko pata nahi kyu lekin Priya ki baat me sachaayi najar aaya....Pehli baar sar uthaa kar usne Priya ko dekha....Uski aankho ki aansu dekh aur rote hue baat sunne ke baad Rahul ko yakin hua ki Priya sach bol rahi hai....

Rahul:- Maine tumhe pehle bhi warn kiya tha Vijay buraa insaan hai.....Uss vakt to tumne mujh par yakin nahi kiya aur mera hi majaak udaaya.....Iss kaand me bas ek tum hi ho jisse apni bewkoofi ki saza mil raha hai.....Mai bhi bahut dino tak tadpa....Lekin thank god....Nisha meri life me aa gayi aur usne meri life ko sawaara......Fir se khusiya diya.....

Rahul ki aawaj me abb nafrat nahi tha.....

Priya:- Bahut pyaar karte ho usse...

Rahul ne bas sar haa me hilaa diya....

Priya:- Bahut khushi hui Rahul ye sunkar......Meri vajah se tum jitna tooote the abb fir se sambhal gaye ho....Bas mujhe apni karm ka sazaa mila hai.....Lekin jindagi ne ek cheej sikha diya ki Vijay jaise insaan par yakin nahi karna chaahiye.....

Priya Rahul ke liye bahut khus thi ki Rahul life me aage badh gaya.....Usski galti ki sazaa abb Rahul ko nahi bhugatna pad raha....Vijay ne jab Priya ko chhoda tha tab usse Rahul ki sacchayi pata chali aur Rahul ki tadap dekh wo pacchtaane lagi......Uss vakt se wo apne se jyaada Rahul ke liye dua maangti thi jo aaj safal ho gaya.....

Rahul:- Priya kya tum mujhse dosti karogi....

Priya:- (Shocked hokar) Ye kya keh rahe ho Rahul......Mai iske laayak nahi hu....Mai to bas yahi chaahti thi ki tum mujhe maaf kardo....Bas itna hi kaafi hai mere liye....

Rahul:- Nahi Priya....Tum abb bahut badal gayi ho abb aur tumhe apni galti ka ehsaas bhi ho gaya.....Mai uss Priya se nafrat karta tha jisne mujhe dhokha diya hai iss Priya se nahi jo badal gayi hai ......

Priya:-Friends....

Rahul:- Bas Priya itna kahunga ki life me aage badho.....Koi na koi hame pyaar karne waala mil hi jaayega.....Ek jhutthe pyaar ke liye apna aansu mat bahaao.....Ye sab mai apne experience se keh raha hu.....Mujhe bhi laga tha ki tumhaara saath chhutne ke baad mera duniya khatam ho gayi hai lekin mujhe Nisha mil gayi.....Tum bhi yakin karo tumhe bhi koi muil hi jaayega vakt aane par....

Priya Rahul ki iss baat par kuch nahi bolti.....Bas sar ko haa me hilaa deti hai.....

Issi tarah se Rahul aur Priya kuch der aur baat karte hai.....Uske baad Rahul nikal jaata hai restaurant se.....

Restaurant se nikalne ke baad Rahul bahut khus tha ki Priya badal gayi hai.....Lekin usse Vijay par bahut gussa aa raha tha.....Agar Vijay iss vakt Rahul ko mil jaata to Vijay ki khair nahi.....Subah jab wo Restaurant me aaya tha tab wo bahut gusse me tha aur jab wo laut raha tab uske chehre par ek khushi tha....

Rahul to khus hote hue apne flat me aa gaya lekin iss baat se puri tarah anjaan ki abb aage uski life me kya tufaan aane waala hai.....

Jab wo apni flat ki taraf enter kiya to dekhta hai ki garden me Nisha ro rahi thi.....Uski aankh bahut sujh gaya tha aur chehra dekhne se aisa lag raha tha ki uska dil tuta hai.....

Rahul uske paas jaakar uske kandhe par haath rakh kar kehta hai....

Rahul:- Kya hua Nisha....Roo kyu rahi ho....

Rahul ki aawaj me ghabraahat tha.....Rahul Nisha ko rota dekh bahut ghabra gaya tha.....Usse samajh me nahi aa raha tha ki Nisha kyu roo rahi hai.....

Nisha Rahul ka haath apne kandhe se jhatak kar kehti hai.....

Nisha:- Kaun thi wo ladki????

Nisha ki aawaj me bahut dard tha....

Rahul:- Kaun ladki.....

Rahul ko samajh me nahi aa raha tha ki Nisha kiske baare me keh rahi hai.....

Nisha:- Jiske saath tum restaurant me the....

Rahul:- Wo to Priya thi....

Rahul ne bhi bata diya......Jab usse ehsaas hua ki usne kya keh diya hai......Tab usse pata chal gaya aur dar laga ki Nisha ko misunderstanding ho gaya hai.....Abb Rahul ko samajh me nahi aa raha tha ki Nisha ko kaise samjhaaye aur sach bataaye...."Kya Nisha mera yakin karegi....Pehle hi uska bharosha tod chuka hu"......Ye baat yaad aate hi Rahul ko ek anjaana sa dar lagne laga.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 90


Nisha iske baad kuch nahi boli.....Bas uski aankho se aansu gir rahe the.....Rahul ne bhi zyada der karna thik nahi samjha.....Wo Nisha ko samjhaane laga.....

Rahul:- Nisha tum galat samajh rahi ho.....

Rahul ne bas itna hi kaha ki Nisha rote hue uske baat ko bich me rok kar kehti hai....

Nisha:- Ha galat samjha hai maine....Tum jaise ghatiya insaan ko samajhne me galti kiya hai....Tumpe dobaara bharosha karke galti kiya hai....Mujhe pehle hi samajh jaana chaahiye tha ki tum vishwaas ke laaayak nahi ho.....Lekin kya karu pyar ho gaya tumse.....Bas tumhaari achaaayi hi dikha mujhe kabhi koi buraayi nahi dekha......Jab aaj tumhaari buraayi dikha to bahut der ho gayi.....Kash pehle hi samajh jaati tum sirf accha banne ki naatak kar rahe ho....Aaj mujhe afsos ho raha hai ki tumse pyar kiya maine.....Jab pehli baar tumne mujh par yakin nahi kiya shaayad ussi time mujhe tumse dur ho jaana chahiye tha.....Lekin mujhe laga ek mauka dena chahiye....Bas yahi par galti kar baithi.....Aur iss galti ka sazaa aaj mil raha hai.....

Nisha ki har ek shabd Rahul ki dil ko bahut chot pahuncha raha tha......Nisha ko iss kadar rota dekh Rahul ki aankho se bhi aansu nikal raha tha.....Wo bas ek mauka chaahta tha Nisha ko samjhaane ke liye aur galatfehmi dur karne ke liye.....

Jab Nisha ne apni baat keh diya uske baad Rahul bola....

Rahul:- Please Nisha ek baar mera baat suno....(Itna keh kar Rahul Nisha ke shoulder par haath rakhta hai)....

Jaise hi Rahul ne Nisha ke shoulder par haath rakha, Nisha ne turant Rahul ka haath jhatak diya aur Rahul ko dhakka dete hue kaha.....

Nisha:- Mat chhuo mujhe.....Tum apne gande haath se kabhi mat chhuna mujhe.....Aur kya sunu ha.....Yahi ki tumhaara koi galti nahi hai......Meri galatfehmi hai ye yahi na....

Nisha ki aankho se aansu to girr rahe the lekin abb aawaj bhi gusse se tej ho gaya tha.....

Rahul Nisha ki baat par sir haa me hilaa deta hai.....

Nisha:- Sach me tum me koi sharm nahi hai......Apni galti maane ki vajah aur jhuth ka sahara le rahe ho.....1 jhuth ko chupaane ke liye 10 aur jhuth bolna chaahte ho.....Tum chaahe jitna bhi mujhe samjhaa lo mai tum par yakin nahi karungi....Maine tumhe dekha tha restaurant me suru me Priya roo rahi thi.....Shaayad wo bhi tumse request kar rahi thi tumhe ki tum uska saath mat chhodo jaise mai kuch time pehle tumse karti thi.....Aur kuch der baad wo hass rahi thi.....Shaayad tumhaari meethi baato me aa gayi hogi.....Rahul tumhaare paas ladki pataane ki acchi kala hai.....Pata nahi kaise itna silent ho kar bhi impress kar lete ho......

Ek aur baat tumhe abhi mera pyaar samajh me nahi aaya.....Iss liye mujhe dhokha dene se pehle ek baar bhi nahi socha.....Shaayad tumhe ladki ka shauk hoga aur sochte hoge ki girlfriend kapdo ki tarah hote hai jisse time time par change kar lena chaahiye.....Aaj to maine bas 1 ladki ko tumhaare saath dekha hai na jaane kitni girlfriends honge tumhaare jinhe tum dhokha de rahe ho.....Lekin ek baat yaad rakhna jindagi me ek din saccha pyaar ka matlab tumhe jaroor samajh me aayega.....Aur tab tumhe meri baat sahi lagegi......

Nisha ne galatfehmi me bahut kuch bol diya.....Nisha ki baaton ne Rahul ko itna hurt kar diya ki Rahul kuch bol nahi paa raha tha.....Nisha ne Rahul par wo aarop lagaya tha jo Rahul sapne me bhi nahi soch sakta tha.....Rahul ko abb ehsaas ho gaya ki uske umeed se jyaada hi Nisha ko galatfehmi ho gaya hai.....Rahul ko ab samajh me nahi aa raha tha ki kaise Nisha ko samjhaaye.....Agar Rahul abhi kuch kehta to Nisha ko Rahul ki baat par yakin bhi nahi hota.....

Rahul ka chup rehna dekh Nisha ko abb yakin ho gaya ki Rahul ne sach me galti kiya hai.....

Nisha:- Rahul abb bas tumse last request hai ki mujhse baat mat karna.....Aur mere picche kabhi mat ghumna.....Tumne mujhe pehle hi bahut dukh diya hai....Abb aur jhelna nahi chaahti.....Pata nahi tum meri ye baat maanoge yaa nahi.....Iss baat par bhi tum par yakin nahi kar sakti.....Agar tumhaare paas thoda bhi sharm bacha hai to please abb se kabhi bhi mujhe mat pareshaan karna.....Tum apni bindaas life me busy raho aur mujhe bhi meri life jeene do.....


Itna keh kar Nisha apne room me rote hue chali gayi....Aur door lock karke bed par lait kar rone lagi....Jindagi me pehli baar usse itna dard ho raha tha.....Usne kabhi umeed nahi kiya tha ki Rahul aisa bhi ho sakta hai.....Usse apne aap par gussa aa raha tha ki kaise wo itna galat insaan se pyaar kiya ..... Wo khud ko thoda lucky bhi mehsoos kar rahi thi ki vakt rehte usko Rahul ki sachchaayi pata chal gaya warna bahut kuch bigad sakta tha.....


Jab Nisha apne room me gayi tab Rahul ne pass pada ek paththar par jor se laat maar kar apna gussa nikaaala.....Rahul Nisha ki pehle se hi bharosha na kar paane ki vajah se paresaan tha upar se aaj jo ghatna hua usse Rahul aur tut gaya....Wo kuch der tak wahi niche jameen par baith kar niche jameen ki taraf rone laga.....Nisha ne ek baar bhi uski baat nahi sunaa iss baat se Rahul bahut tut gaya.....Lekin usse Nisha se koi shikaayat nahi tha.....Usne bhi to Nisha ke saath waisa hi kiya tha.....Pehle hi Nisha usse naraaj thi to aise me kaise uss par yakin kar leti.....Ye baat sochte hue Rahul ki aankho se lagataar aansu beh raha tha......

Jindagi me shaayad pehli baar Rahul iss tarah se tuta tha....Jab Priya ne Rahul ko dhokha diya tha to iss me Rahul ki koi galti nahi tha lekin jab aaj Nisha se uska pyaar toota tha tab wo khud ko hi gunehgaar maan raha tha.....Usse iss baat ke liye bhi buraa lag raha tha ki uski vajah se Nisha itni pareshaan hui hai aur itna roo rahi hai.....Rahul abb khud ko aur apni kismat ko kos raha tha.......Bas usse apni zindagi se ek hi asha tha ki wo Nisha ko ek baar samjha sake.....

Kuch der aise hi rone ke baad Rahul bhi utth kar apne kamre ki taraf chala gaya.....Abb uske paas chalne ki taakat bhi nahi bacha tha.....Jaise taise wo chal kar apne room me jaa kar baith gaya......


Issi tarah rote hue dono ne apna puraa din kaat liya......Nisha ne paschaatap me apne aansu bahaaaye the ki usne galat insaan se pyaar kiya hai aur wo iss pyaar ko bhul kar aage badhna chaahti thi .....

Udhar Rahul apni majboori par roo raha tha.....Jindagi me Rahul kabhi itna majboor nahi hua tha ki apni baat kisi ko bata bhi na sake.....Wo bas ek mauka chaahta tha Nisha ko samjhaaane ka.....

Shaam me ek baar fir Nisha ki baat Riya se hua.....Nisha ne bhi saari baat Riya ko bata diya....Riya ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki Rahul aisa kaise ho sakta hai.....Wo bhi udaas ho gayi aur usne Raj ko saari baat bata diya.....

Raat ke 10:00pm baj rahe the....Rahul sone ke liye bed par laita hi tha ki Raj ka message aa jaata hai.....

Raj ki message kuch iss tarah se aaya tha....

"Socha nahi tha Rahul tu aisa niklega.....Mujhe to yakin nahi ho raha tha ki tu itna gir sakta hai.....Mai to sochta tha ki teri sabse badi buraayi tera gussa hai lekin aaj kuch aur bhi pata chala.....Tu abhi Nisha ka pyaar ka jo majaak udaa raha hai ek din tujhe uska keemat pata chalega.....Tabhi to mai bhi tera saath nahi dunga.....Nahi nahi abhi se tera mera saath khatam....Mai kabhi aise insaan ka saath nahi dunga jo itna gira hua ho......Tujhe apne bhai kehne me bhi sharm aata hai mujhe abb.....Bas ek warning deta hu ki kabhi bhi tu mujhse baat mat karna aur Nisha ko pareshaan to bhul kar bhi mat karna.....Aur tujhe aaj se jo bhi karna hai wo aaram se kar....Koi rok tok nahi.....Aaj se tu ek aajaad pancchi hai....Mai tujhe kisi baat ke liye manaa nahi karunga.....Mai jaanta hu meri baaat par tu hass raha hoga.....Soch raha hoga ki mai comedy kar raha hu....Tu to apni bindaas life me mast hoga.....Aisi baato se tujhe koi fark nahi padega.....Lekin meri baat galat nahi hai ye baat tujhe bahut jald samajh me aa jaayega.....Good bye and hope we will never meet again.....Be happy in your life...."


Raj ka message padhne ke baad Rahul ka bacha hua himmat bhi khatam ho gaya.....Bed par mobile fenk kar usne kaha.....

"Sala abb to koi bhi mujh par yakin nahi kar raha...."
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 91


"Aakhir mera galti kya hai....Yahi na ki maine Nisha par yakin nahi kiya.....Galatfehmi ho gayi ek baar aur bharosha chaah kar bhi nahi kar paaya.....Shaayad uss time Nisha ke liye mera pyaar se jyaada Vijay ke liye mera nafrat jyaada tha.....Iss vajah se ye galti kar baitha.....Dar tha ki dobara mera dil na tute....

Lekin jab apna galti pata chala to maine usse sudhaarne ki har koshish kiya.....Besharmo ki tarah apna izzat ka parwaah na karte hue Nisha ko manaata raha....Usse maafi maangta raha....Kya kuch nahi kiya maine.....Itna kuch karne ke baad bhi kuch na hua ulta Nisha mujhse aur naraaj ho gayi.....Aur ek aisa aarop laga diya jisse mai sapne mai bhi nahi soch sakta.....

Galti kuch aur kiya aur saza kuch aur mil raha.....Shaayad meri sabse badi galti yahi hai ki mai Priya ki baat sunne restaurant me gaya....Ye to koi galat kaam nahi tha....Lekin aaj mera iss kaam ki vajah se mujhe jo sazaa mila hai usse to yahi saabit hota hai ki galat kaam na karne par bhi saza bhugatna padta hai.....

Agar Nisha mujhe sazaa dena hi chaahti hai to mujhse naraaj rehti.....Shaayad mujhe utna dukh nahi hota....Apni galti sudhaarne ki aur koshish karta.....Lekin usne wo saza diya jo galti maine kiya hi nahi.....Bina sach sune mujh par aisa aarop laga diya.....Uske dimaag me to pehle hi mera image acha nahi hai aur mujh par shak baithi.....

Mai to usse naraaj bhi nahi ho sakta.....Maine bhi to yahi galti kiya tha....Uss par shak karke uss par bahut ilzaam lagaya tha.....Aur aaj wo bhi yahi kar rahi hai.....Mujhe kisi se koi naraajgi nahi hai aur ho bhi nahi sakta.....Bas yahi umeed hai ki mai Nisha ko ek baar apna baat samjhaa paaunga aur wo mujhe maaf kar degi....."

Mobile bed par fainkne ke baad Rahul khud se hi apni galti ke baare me baat kar raha tha.....Aaj wo lhud ko bahut bebas mehsoos kar raha tha.....Apna nirdosh hone ki baat tak Nisha ko nahi samjhaa paa raha tha.....Nisha bhi uski vajah se tadap rahi hai ye baat Rahul ko aur bhi pareshaani me daal raha tha.....

Jaise taise Rahul khud ko sambhaaal kar soo gaya.....Agli subah shaayad Rahul ke liye sabse bura subah me se ek tha....Subah ka roshni suraj chaaro taraf faila chuka tha lekin Rahul ki jivan me abhi tak andhakar hi tha....Subah jab uski aankh khula to uski aankho me fir se ek bebasi chaa gaya ....

Nisha ka gussa aur naraajgi dekh Rahul ke paas bacha hua himmat bhi khatam ho raha tha......Nisha ko samjhaaye to kaise????Kya wo meri baat maanegi???Bas yahi sawaal Rahul ke dimaag me aa raha tha....

Lekin mai himmat nahi haar sakta.....Ye mera pyaar ka pariksha hai jisme mujhe safal hona hai.....Agar mai iss pariksha me safal raha tab hi mai Nisha ke laayak hu.....Pyaar karne waale har aashiq ko apne pyaar ko saabit karna padta hai....Agar saccha pyaar kiya hai to aisi chhoti moti musibat to aate hi rahega....Hame dat kar uska saamna karna chaahiye....

Ye baat sochte hi Rahul ke andar ek josh aa gaya.....Usne tay kar liya ki wo har haal me Nisha ko manaayega....Wo fir se picchle waar ka idea istemaal karne ka sochta hai.....Aur koi nayi idea bhi to nahi tha uske paas....

Lekin Rahul jitna aasan isse dekh raha tha wo utna aasan tha nahi.....Pehle to Nisha naraajgi ka dikhaawa kar rahi thi aur chaahti thi ki Rahul usse manaaye lekin iss baar wo sach me Rahul se naraaj ho gayi thi.....Uska dil me kya beet raha hai ye to sirf wo hi jaanti thi......Abb Nisha ne Rahul ke liye apne dimaag me ek alag hi image bana liya tha....Aur wo sure ho gayi thi ki abb uske aur Rahul ke bich kuch nahi raha....Aur abb wo aage badhegi.....Insaan chaahe andar se kitna bhi majboot kyu na ho lekin jab pehla pyaar toot ta hai to sambhalne me kuch vakt to lag hi jaata hai....Yahi haal Nisha ka tha.....

Usne laghbhag khud ko apne kamre me band kar liya tha.....Bahut hi kam baahar nikalti thi.....Aur upar se exam bhi aane waala tha to college bhi nahi jaati thi aur sirf apna dhyaan padhaayi me lagaati thi jaisa kuch time pehle Rahul karta tha.....

Rahul Nisha se na mil paane ki vajah se bahut pareshaan ho gaya tha.....Abb to baat karna to dur dekhna bhi bahut mushkil ho gaya tha uske liye.....Nisha ko apne room se baahar na nikalta dekh Rahul har pal tadapta tha lekin kuch kar nahi paata tha.....Kabhi Nisha ke room me jaa bhi nahi sakta tha.....Jaata bhi to kis munh lekar......Nisha to uska shakal bhi dekhna nahi chaahti thi.....

Jab bhi Nisha garden me yaa fir baahar hoti to Rahul himmat karke Nisha ke paas jaata lekin Nisha ka gussa dekh wo kuch nahi keh paata.....Nisha ka usko ignore karna Rahul ki dil ko bahut chot pahunchaata tha.....Wo udaas munh lekar waapas apne room me laut aata tha....

Dono ek hi building me rehte the.....Lekin wo building ek bhut bangla jaisa ho gaya tha.....Koi aawaj nahi pura khaamoshi chaa gaya tha.....Jab kabhi Rahul garden me akela baith kar udaas rehta ta to kabhi kabhi Nisha ki najar Rahul par padd jaati to aisa lagta ki Rahul aisa nahi ho sakta.....Wo aaj bhi usse pyaar karta hai.....Lekin Nisha ke dimaag me pyaar par galatfehmi haavi ho gaya tha.....Agle hi wo Rahul ke liye ye soch jhatak deti aur fir se Rahul ke baare me galat sochne lagti.....Agar galatfehmi uss par haavi nahi hota to kab ka Rahul ke pyaar pehchaan gayi hoti aur aaj unn dono ke bich ye dooriyan nahi aayi hoti....

Dhire dhire Nisha ka MBBS bhi complete ho gaya.....Uske exams bhi acche hi gaya tha....Aakhir jaata bhi kyu na puri mehnat se padhaayi ki thi.....Pariksha khatam hone ke baad bhi Rahul aur Nisha ka wohi haal tha.....Dono ki dooriya kam nahi ho raha tha......Abb tak dono me kabhi baat nahi hua.....Abb to Nisha ne soch liya ki wo ye flat chhod kar kahi aur chala jaayegi.....Rahul ko saamne dekh bhulaa paana aasan kaam nahi tha.....Jab bhi wo Rahul ko dekhti usse beeta hua samay ka yaad aa jaata .....Rahul ke saath garden me raat ko baat karna, riverside aur mandir ki baatein, Rahul ka usko manaana sab uski aankho ke saamne ghumne lagta tha.....

Rahul ka himmat ka bhi koi jawaab nahi....Itna vakt ho gaya Nisha ne usse ek baar dekha tak nahi.....Aur uska naarajgi bhi kam nahi hua.....Abb wo jaa rahi hai.....Ye baat jaankar bhi Rahul ko Nisha par koi gussa nahi aur koi naarajgi nahi tha.....Wo Nisha ka dil har haal me jitna chaahta tha.....Aur abb uske liye sirf ek raasta bacha tha aur wo tha "intezaar".....Rahul aakhiri mauke tak Nisha ka intezaar karna chaahta tha jab tak wo iss flat me rehti hai.....Rahul ko abhi bhi umeed thaa ki koi chamatkaar hoga aur Nisha ko uski baat par yakin ho jaayega....Rahul ki dimaag me bas ab ek hi baat aa raha tha ki "Saccha pyaar ki kabhi haar nahi hota".....

Aise hi kuch din aur beet jaata hai.....Ek subah Rahul jab utth kar baahar aaya to dekha ki Riya akeli aa rahi thi.....Riya ne ek najar Rahul par daala....Riya ki aankho me Rahul ke liye sahanubhuti tha.....Lekin wo bina kuch bole Nisha ki room me chali jaati hai.....Rahul ke chehre me laghbhag 2 mahine baad umeed ki ek kiran najar aa raha tha.....Warna Rahul picchle do mahine me hasna, rona, gussa hona sab kuch bhul chuka tha.....Chehra to ek dam saamanya sa ho gaya tha.....Inn 2 mahino me usne kisi se baat nahi kiya.....Nahi Raj se, Ajay se aur naahi baaki ki dosto se.....Wo to bas apne gam me jee raha tha.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,173
38,513
259
"Sala abb to koi bhi mujh par yakin nahi kar raha...."
Shaayad meri sabse badi galti yahi hai ki mai Priya ki baat sunne restaurant me gaya....Ye to koi galat kaam nahi tha....Lekin aaj mera iss kaam ki vajah se mujhe jo sazaa mila hai usse to yahi saabit hota hai ki galat kaam na karne par bhi saza bhugatna padta hai.....
puri kahani me mentality to ek hi hai............bina kisi change ke
dusre ki galtiyon par...................gussa
apni galtiyon par..........................rona
khud hi galtiyan nahi bewkoofiyan karna..........fir roothna manana

lekin jinki wajah se galatfahmiyan hui..................unko bhool hi jata hai.............
matlab fasal ke liye rona..........beej ko bhoolkar

purane mamle me jin..........vijay-priya ne galat kiya............unka kuchh nahi kiya
fir nisha ko propose prank ke mamle me...............aditya ne galat kiya..........uska kuchh nahi kiya.......balki dosti aur gehri ho gayi
fir vijay nisha ke milne se jo confusion hua......apas me bhid gaye..........vijay ko bhool gaye
ab priya rahul ke milne se jo bawaal hua...................priya ko ab bhi samne nahin laye

hostel/ghar se bahar rahna, cricket, dost, pyar, gussa, ruthna-manana aur rona-dhona
itni hi life rah gayi kya rahul ki

kabhi family, relations (not only relatives but social relations too), jimmedariyan aur jawabdehi............nazar nahi ayi...........
careless.............baap ke kharche par palnewale angry youngman wala egoistic attitude

dekhte hain.........aage
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Akkialex

New Member
87
140
48
Pichhli Baar Rahul ko galatfemi hui thi is Baar Nisha ko.pichhli Baar to Rahul ko Aditya ki sachchayi pata chal gayi thi is wajah se Rahul ki galatfemi door hi gayi thi lekin is Baar Nisha ke Dil me Rahul ke Liye ek galat image create ho gayi h.
Bas is baat Ka dar h ki Nisha Rahul se brakeup na kar le Nahi to Rahul Ka Dil toot Jayega.Bechare Ka Dil pehle hi ek Baar toot chuka h agar is Baar bhi Uske Saath aisa hua toot pata Nahi Rahul kya kar bethega.Aur ab to us par koi yakeen Nahi Kar Raha h na hi Nisha,Raj aur Riya.
Ab to Rahul ko sambhalne wala koi Nahi h.pichhli Baar Vijay ki wajah se galatfemi create hui thi is Baar Priya ki wajah se galatfemi create hui h.Bas yahi dua karunga ki dono Ka love successful ho Jaye.
For Champ AK Bhai
Bhai bahut hi achhi story likhi h with full of love, emotions, feelings.Jaisa ki real life me lover ke bich me nok jhonk Hoti rehti h lekin ant me dono mil jate h aur unka pyar samay ke Saath badta Jaya h bilkul waisa hi story me apne apni creativity dikhai h
Is story ko padte h to bilkul aisa Lagta h ki Jaise koi romance film chal rahi ho.
Nice update keep posting ??????
 

Sky07

Active Member
742
3,287
138
nice update bro.... Rahul is headstrong man and he tackle emotional issues with force now first time he facing and solving problems with emotions and sensible feelings. Let's see what happens next.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
puri kahani me mentality to ek hi hai............bina kisi change ke
dusre ki galtiyon par...................gussa
apni galtiyon par..........................rona
khud hi galtiyan nahi bewkoofiyan karna..........fir roothna manana

lekin jinki wajah se galatfahmiyan hui..................unko bhool hi jata hai.............
matlab fasal ke liye rona..........beej ko bhoolkar

purane mamle me jin..........vijay-priya ne galat kiya............unka kuchh nahi kiya
fir nisha ko propose prank ke mamle me...............aditya ne galat kiya..........uska kuchh nahi kiya.......balki dosti aur gehri ho gayi
fir vijay nisha ke milne se jo confusion hua......apas me bhid gaye..........vijay ko bhool gaye
ab priya rahul ke milne se jo bawaal hua...................priya ko ab bhi samne nahin laye

hostel/ghar se bahar rahna, cricket, dost, pyar, gussa, ruthna-manana aur rona-dhona
itni hi life rah gayi kya rahul ki

kabhi family, relations (not only relatives but social relations too), jimmedariyan aur jawabdehi............nazar nahi ayi...........
careless.............baap ke kharche par palnewale angry youngman wala egoistic attitude

dekhte hain.........aage
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008
Top