• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,170
189
Pichhli Baar Rahul ko galatfemi hui thi is Baar Nisha ko.pichhli Baar to Rahul ko Aditya ki sachchayi pata chal gayi thi is wajah se Rahul ki galatfemi door hi gayi thi lekin is Baar Nisha ke Dil me Rahul ke Liye ek galat image create ho gayi h.
Bas is baat Ka dar h ki Nisha Rahul se brakeup na kar le Nahi to Rahul Ka Dil toot Jayega.Bechare Ka Dil pehle hi ek Baar toot chuka h agar is Baar bhi Uske Saath aisa hua toot pata Nahi Rahul kya kar bethega.Aur ab to us par koi yakeen Nahi Kar Raha h na hi Nisha,Raj aur Riya.
Ab to Rahul ko sambhalne wala koi Nahi h.pichhli Baar Vijay ki wajah se galatfemi create hui thi is Baar Priya ki wajah se galatfemi create hui h.Bas yahi dua karunga ki dono Ka love successful ho Jaye.
For Champ AK Bhai
Bhai bahut hi achhi story likhi h with full of love, emotions, feelings.Jaisa ki real life me lover ke bich me nok jhonk Hoti rehti h lekin ant me dono mil jate h aur unka pyar samay ke Saath badta Jaya h bilkul waisa hi story me apne apni creativity dikhai h
Is story ko padte h to bilkul aisa Lagta h ki Jaise koi romance film chal rahi ho.
Nice update keep posting ??????
Thanks Akki bhai for your support and appreciation...Aapko story itna pasand aaya jaan kar bahut accha laga bhai. :toohappy:...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,170
189
nice update bro.... Rahul is headstrong man and he tackle emotional issues with force now first time he facing and solving problems with emotions and sensible feelings. Let's see what happens next.
Thanks Sky bhai for your support and review...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,170
189
UPDATE 92


In Nisha's Room


Nisha apni room me baithi thi.....Pichle kuch din ki tarah aaj bhi uske chehra thoda murjhaaya tha....Hasna to jaise wo bhul hi gayi thi....Exams to complete ho gaya tha....Room me baithi baithi bore ho gayi thi wo.....Tabhi Riya uske room ka door knock karti hai....

Jab uski gate par knock hota hai tab usse lagta hai ki Rahul hai....Wo gate nahi kholti....Kuch der baad fir gate par knock hota hai tab usse bahut gussa aata hai....

Nisha:- Kyu disturb kar rahe ho????

Nisha ne bahut gusse ke saath kaha....Bahut tume baad Rahul ke liye uska munh se koi baat nikla tha....Wo bhi gusse se bhara....

Riya:- Mai hu yaar....Riya....

Riya ka naam sunte hi Nisha ka sara gussa hairaani me badal jaata hai aur sochne lagti hai kya vajah ho sakta hai Riya ki aane ki....

Riya:- Gate kholegi ya waapas bhejne ka iraada hai....

Nisha ka abhi tak gate na kholne ki vajah se Riya ne chhidhte hue jawaab diya....

Nisha turant jaakar gate kholti hai aur Riya se kehti hai....

Nisha:- Sorry yaar....Kuch soch rahi thi jyaada dhyaan nahi diya....

Riya:- Rahul ke baare me soch rahi thi kya????

Riya ne majaak me pucha lekin Nisha bahut gussa ho gayi Riya ki iss baat se.....

Nisha:- Tu to sab kuch jaanti hai fir bhi majaak karti hai.....Mujhe aisa majaak pasand nahi aur bhul kar bhi uska naam dobaara mere saamne mat lena....

Nisha ka daba hua gussa aaj Riya par nikal gaya....Uski aawaj se hi pata chal raha tha ki wo Rahul se kitna gussa thi....

Riya:- Sach me itna gussa hai Rahul se....

Nisha:- Gussa nahi nafrat.....Nafrat ho gayi hai mujhe uss se....

Riya:- (Nisha ka chehra dekhte hue) Sach me....

Nisha:- Koi shak????

Nisha ne gusse me jawaab diya....Riya ke ye sawaal uske gussa ko aur badha raha tha....

Riya:- Shak nahi confirm ho gayi aaj.....Abhi tak tu apne dil se Rahul ko nahi nikaal paayi hai....

Riya ne muskuraate hue kaha to Nisha ka dimaag bahut kharab ho gaya Riya ki iss baat se....

Nisha:- Kya bakwaas kar rahi hai tu....Dekh Riya mai majaak karne ke mood me nahi hu abhi....Pehle hi tension hai aur tu upar se majaak kar rahi hai....Please yaar majaak mat kar....

Riya:- Majaak nahi kar rahi hu mai....Tera chehra hi bata raha hai ki tu abhi tak Rahul ko apne dil se nahi nikaal paayi hai....3 months hone waale hai Nisha tera aur Rahul ka breakup hua.....Ye bahut time hai....Itna time me kamjor dil waale log pyaar tutne se suicide kar lete hai aur majboot dil waale log aage badh jaate hai....Tu kamjor dil ki nahi hai aur naahi aage badh paayi hai....Iska matlab yahi hai ki tu Rahul ko abhi tak apne dil se nahi nikaal paayi hai aur uska intejaar kar rahi hai....

Riya ko Nisha ki baat se ek jhatka sa laga....Usse pata tha ki Riya jo keh rahi hai wo bilkul sach hai....

Nisha:- Kisne kaha mai aage nahi badh paayi hu....Mai aage badh chuki hu.....Ek baar bhi maine uske saath baat nahi kiya aur naahi uski taraf kabhi mud kar dekha hai....

Nisha keh to Riya se rahi thi lekin samjha apne dil ko rahi thi.....

Riya:- Agar tu kehti hai ki tune Rahul se baat nahi kiya hai to ho sakta hai ye sach hai....Lekin mai nahi maanti ki tune Rahul ko mud kar nahi dekha hoga....Nisha tere chehre se saaf pata chalta hai....Agar tu aage badh gayi hoti to sab kuch bhul gayi hoti....Lekin tera chehra jis tarah se murjhaaya hai na usse pata chalta hi ki tu aage nahi badh paayi hai aur Rahul ka hi intejaar kar rahi hai....Tu maan ya na maan lekin yahi sach hai.....

Abb Nisha ke paas kuch nahi bacha tha bolne ke liye.....RIya ki baat sach hai ye baat Nisha bhi jaanti thi....Wo kuch nahi bolti hai Riya ki iss baat par....

Riya:- Kya hua...Abb kyu kuch nahi bol rahi....Nisha maan le ye baat ki tu bhi Rahul se pyaar karti hai....

Riya ne Nisha ko manaane ki andaaz me kaha....Iss baat ki asar bhi Nisha par ho gaya.....

Nisha ki aankho se aansu behne lage jisse Nisha ne bahut din se bahut mushkil se chhupaaya tha....Rote hue hi wo kehne lagi....

Nisha:- Ha karti hu mai Rahul se pyaar....Itna aasan nahi hai usse bhulaana....Sachaa pyaar bhulaana koi aasan kaam nahi hai....Tu nahi samjhegi....Tune kisi se pyaar kiya hi kaha hai....Jab pyaar karegi tab pata chalega....Jab koi dhokha deta hai to kya gujarti hai apne dil par....Bahut bhulaana chaaha Rahul ko par bhulaa nahi paayi....Har vakt uske saath bitaaye hue pal yaad aa jaata hai....Dil to kehta hai ki jaakar uske saath gale lag kar lipat jaau....Pyaar bhari baatein karu....Lekin kya karu fir Rahul ki dhokha ka yaad aa jaata hai....

Maine to Rahul se sachha pyaar kiya....Lekin usne kya kiya....Mujhe dhokha diya aur dusri ladkiyon se chakkar chala raha hai....Mai hi jaanti hu ki kitna dukh hua hai mujhe Rahul ko Priya ka saath dekh....Koi kaise apne pyaar ko dusre ke saath dekh sakta hai.....

Ha sach kaha tune aaj bhi Rahul ka intejaar kar rahi hu mai....Lekin mujhe aisa Rahul bilkul nahi chaahiye.....Aaj bhi uske munh se ye sunna chaahti hu ki "Nisha mai abb badal gaya hu"....Lekin Rahul ko parwaah hi kaha iss baat ki....Wo to aaj bhi apni ayaash jindagi me busy hai....Kabhi kabhi to din me rehta hi nahi yaha....Shaayad ladkiyon ke saath baahar jaata hoga....

Galat insaan se pyaar kar liya yaar....Shaayad mujhe pehle hi khud ko rok lena chaahiye tha khud ko usse pyaar karne se.....Lekin rok nahi paayi....Ho gaya pyaar usse....Pata nahi aage kya hoga mere saath....Kismat ko kya manjoor hai?


Nisha ne rote hue apni dard Riya ke saamne rakh diya....Riya ko bhi uski haalat par bahut dukh ho raha tha....Jab Nisha kuch der tak roo kar sambhal gayi tab Riya ne dhire se kaha....

Riya:- Kismat ko Rahul ka aur tera ek hona manjur hai....

Nisha Riya ki iss baat par kuch nahi kehti....Bas Riya ki taraf ghurti hai aur uski baat ka matlab sochne lagti hai...

Riya:- Chaunk mat....Sahi suna tune....Rahul ke baare me tu galat soch rahi hai....Usne tujhe koi dhokha nahi diya....Wo bhi tujh se saccha pyaar karta hai...

Riya ki iss baat par Nisha ek dam hairaan ho gayi....Usse Riya ki baat par vishwaas nahi ho raha tha....

Nisha:- Yaar mai itna bhi kamjor nahi hu ki tut jaau.....Maine abhi tak khud ko sambhaala hai aur aage bhi sambhaalungi....Tujhe jhuth bolne ki jaroorat nahi hai aur naahi mujhe jhutthi aasha dene ka....

Riya:- Tu Rahul se pyaar to karti hai....Par vishwaas nahi kar paayi....Ek baar Rahul se pucch to liya hota sach kya hai....Khair koi baat nahi....Kal maine Priya se baat kiya tha iss baare me....Usne mujhe saari sacchaayi bataayi....Rahul aur wo sirf dost hai aur tu dono ko galat samajh baithi....Uss din wo Rahul se maafi maangne aayi thi aur Rahul ne usse maaf kar diya....Bas itna hi hua tha....

Kya tune unki koi baat sunaa jisse tujhe lage ki wo dono pyaar karte ho yaa fir Rahul tujhe dhokha de raha ho.....

Nisha:- Uss din Rahul subah subah jaldbaazi me kahi jaa raha tha....Mujhe laga Rahul pareshaan hoga iss liye uske piche piche gayi....Jab restaurant me pahunchi to unn dono ko dekh laga ki wo dono pyaar karte hai.....Suru me Priya roo rahi thi baad me hans rahi thi....Iska matlab yahi hai na ki Rahul ne usse manaa liya hai.....

Riya:- Hamesha aankh jo dekhta hai wo sach nahi hota....Ek baar Rahul se baat kar leti fir decide kar leti kya karna hai...

Nisha:- Rahul jhuth bhi to bol sakta tha na.....Aur shaayad Priya ne tujhe jhutthi kahaani sunaaya ho....

Riya:- Nahi usne koi jhuthi kahaani nahi sunaaya hai....Uski aankho me maine sachaayi dekha hai....Aur mujhe Rahul aisa kar sakta hai ye mujhe vishwaas nahi hua....Jab bhi wo baahar mujhe dikhaa hai...Ek udaasi uski chehre me dikhti hai uska.....Hamesha akela rehta hai....Aisa lagta hai ki uska dil tuta ho....Pyaar me wo aaj bhi tadap raha hai....Lekin uski aankho me ek umeed bhi hai ki uska pyaar ek din usse mil jaayega....Aaj bhi uski aankho me wahi tha....Nisha tu khud bhi tadap rahi hai aur usko bhi tadpa rahi hai....

Jab se usse apni galti ka ehsaas hua hai usne tujh se saccha pyaar nibhaaya hai....Tune uss par yakin nahi kiya fir bhi tujh par wo naaraj nahi hua hai.....Balki tera intejaar kar raha hai itne time tak bhi.....Bahut kam aise aashiq hote hai jo apne pyaar ka intejaar karta hai....Tere pyaaar ne usse badal diya hai....Hamesha gussa aur chhidhaa hua insaan aaj ek dam se shaant ho gaya hai...

Meri baat maan Nisha....Jaldi se usse maafi maang le warna der na ho jaaye....Tu bahut lucky hai ki tujhe aisa pyaar karne waala milaa hai....

Riya ne apni baat keh di.....Lekin Nisha ki aankho se abhi bhi aansu nikal rahe the....Lekin ye aansu khushi ka tha.....Nisha ki chehre me bahut time baad ek smile aaya aur wo kehti hai....

Nisha:- Sach...Sach bol rahi hai tu Riya....

Riya ne haa me sar hilaaya....

Nisha:- Sach me itna pyaar karta hai Rahul mujh se.....Aur mai paagal....Uska pyaar samajh nahi paayi....KLekin abb der nahi karungi....Aaj hi maafi maang lungi aur keh dungi ki mai bhi usse bahut pyaar karti hu aur aage se ye galti nahi dohraaungi....Lekin Rahul ek baar to mujhe bata sakta tha na sachaayi....Paagal hai wo....Naraaj thi to mana sakta tha na....

Nisha ne bahut khus hokar ye baat kaha.....Wo bahut khush ho gayi ki Rahul bhi usse bahut pyaar karta hai aur uski koi galti nahi hai....Lekin last ki line usne Rahul se shikaayat karte huye kaha....Nisha to Rahul se baat karne ke liye itna utshuk ho gayi ki wo jaldi se apni mobile dhundne lagi....Lekin usse mobile nahi mil raha tha....

Riya:- Agar usse baat karne ka mauka deta tab wo tujhe samjhaata na aur manaata....Lekin tune usse koi mauka diya hi kaha...Aur ye le mobile....Jaanti hu isse hi dhundh rahi hai....

Riya ki iss baat par Nisha kuch nahi kehti bas muskuraa deti hai aur mobile cheen leti hai....Bolne ka time bhi kaha tha....Usse to Rahul se baat karne ki jaldi thi.....Bas aankho se hi wo Riya ko thanks kehti hai...Aur jaldi se Rahul ka number dial karti hai....

Aaj Rahul aur Nisha ki bich ki galatfehmi ko Riya ne ek baar fir dur kar diya....Lekin kya Rahul aur Nisha ki kismat itna accha hai ki wo dono mil jaaye.....Iss sawaal ke jawaab to filhaal vakt ke paas hi hai.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,170
189
UPDATE 93


Riya Nisha se baat karke waapas apni ghar chali jaati hai....Aaj wo bahut khus thi ki usne do pyaar karne waalon ki galatfehmi mitaa kar unhe fir se milaa diya...

Riya ke jaane ke baad....Nisha ne Rahul ka number dial kiya.....Par koi reponse nahi aa raha tha dusri taraf se.....Nisha ko laga ki Rahul shaayad naraaj hai iss liye call nahi utha raha hai.....Nisha ek do baar aur try karti hai lekin fir bhi koi response nahi aata.....Abb Nisha ko lag raha tha ki Rahul busy hai iss liye phone nahi utha raha hai....

Nisha ne socha ki wo kuch der baad fir se kall karegi Rahul ko....Karib aadha ghanta wait karne ke baad Nisha se raha nahi gaya....Usne fir se Rahul ko call kiya aur fir se no response....Abb Nisha ko ghabraahat ho raha tha....Ek anjaana sa dar usse lagne laga....Usse Rahul ki fikar hone lagi....Uske man me ajeeb sa khayaal aane laga aur soch rahi thi ki Rahul phone kyu nahi uthaa raha....Wo thik to hai???

Itna soch kar wo jaldi se niche Rahul ke room ki aur daud kar jaati hai.....Rahul ki room ka gate khula hua tha....Nisha bina kuch soche room me chali jaati hai aur dekhti hai ki Rahul room me nahi hai.....Isse Nisha ki dar aur badh jaata hai....Wo darte hue sochne lagti hai.....

Nisha:- (In her mind) Ye Rahul kaha chala gaya.....Room bhi locked nahi hai....Kitna careless hai ye Rahul aur phone bhi nahi uthaa raha....Mujhe to bahut dar lag raha hai....Sab kuch thik to hai na....Kyu mujhe dar lag raha hai....Lagta hai kuch buraa hone waala hai....Bhagwaan please Rahul ko safe rakhna aur jaldi se waapas bhej dena....

Nisha aaj bahut dino baad Rahul ko dekhna chaahti thi....Aur Rahul ko na dekh kar wo bahut dar gyi thi....Man mai bahut si feelings aa rahi thi Rahul ko lekar aur har ek pal uska dar badhta jaa raha tha....Wo udaas chehra ke saath darte hue apne room me chali gayi.....Abb to Riya bhi jaa chuki thi jo usse abhi samjhaa sakti thi....Bas issi tarah Nisha Rahul ki intejaar kar rahi thi....Tadap rahi thi Rahul ko dekhne ke liye aur usse baat karne ke liye....Uski man me bahut saari khayaal aa rahe the....

Nisha:- (In her mind) Rahul itna subah kaha jaa sakta hai....Pehle to kabhi nahi gaya....Kahi mujhse naraaj to nahi ho gaya....Meri hi galti hai....Usse samajh nahi paayi aur kitna kuch keh diya maine uske baaare me.....Kahi iss vajah se wo mujhse naraaaj to nahi ho gaya....Uske baad to Rahul ne mujhse baat bhi nahi kiya....Lekin Riya kehti hai ki Rahul abhi bhi mujhse pyaar karta hai....Samajh me nahi aa raha kya sach hai aur kya jhuth....Rahul jaha bhi ho please jaldi se aa jaao....Maafi maangna hai tumse....Bahut baat karna hai tumse....Saari sawaalon ka jawaab jaana hai mujhe....Tumhe acche se dekhna hai....Tadap rahi hu tumhe na dekh kar....Tumse abb dooriyan bardaast nahi ho raha hai....Please aur mat tadpa

Ye sochte sochte Nisha ki aankho se aansu behne lage....Wo bas Rahul ka intezaar kar rahi thi....


Idhar Rahul bhi Riya ko dekhne ke baad Mandir me aa gaya....Ye wohi mandir tha jaha Rahul aur Nisha saath me aaye the.....

Mandir pahunchne ke baad Rahul bhagwaan se pray karta hai aur kehta hai....

Rahul:- Bhagwaan aaj tak mai tumhe nahi maanta tha....Aaj bhi yata nahi ki tum ho ya nahi....Agar ho to ek baat pucchna chaahta hu....Meri galti kya itna bada hai ki mujhe ye sazaa mil raha hai....Naahi maine kisi ka bura chaaha, naahi be vajah kisi ko taklif pahunchaaya....Sabhi ke liye accha hi chaaha....Bas Nisha ke saath accha nahi kiya....Wo bhi jaan boojhkar nahi kiya....Galti ho gayi mujhse....Galti to sabhi se hota hai na....To fir mujhe maafi kyu nahi mil raha....Maafi to chhodo galti sudhaarne ka mauka tak nahi milaa....Mujhe to lagta hi nahi hai ki tum iss duniya me ho.....Agar ho aur tumhaara nyaay saccha hai to mere saath aaj ye na hota....Mujhe ye bhi lagta hai kabhi kabhi ki meri sabse badi galti ye hai ki mai tumhe nahi maanta....

Tumhe maana jaroori to nahi....Kya tumhe nahi maana paap hai jo aaj mere saath ye sab ho raha hai....Mai to sochta tha ki insaan ki mahaanta uske karm se hota hai....Accha karm karna, dusro ke liye bura na chaahna shaayad mai isse apna achaayi samajhta tha.....Lekin mai galat saabit hua....Aaj yakin ho gaya ki duniya me agar sabse bada karm koi hai to wo hai aapki bhakti....Aap sirf apne bhakt ki suno...Jo aapko na maane usko ek galti karne par aisa saza do ki wo jindagi bhar usse na bhul paaye....Aur aapki bhakti karne lage.....

Lekin aap jitna bhi mujhe saza do, ya fir jaan se hi kyu na maardo mai jhukunga nahi.....Are nahi chaahiye mujhe aapka bhikh me diya hua pyaar....Agar Nisha khud mujhe apni dil se maaf kar degi to hi mujhe sukoon milega.....Chaahe mujhe kitna bhi tadpaaao, mera jindagi ka majaak banaao lekin fir bhi mai nahi tutunga.....Ye umeed kabhi nahi chhodunga ki Nisha kabhi na kabhi mujhe apnaayegi....

Mera mandir aane ka matlab ye nahi tha ki mai rote hue aapse maafi maangu aur Nisha ki maafi ka bhikh maangu....Mai to yaha iss liye aaya tha kyu ki yaha par mera aur Nisha ki yaadein juda hai....Aaj firse puraana yaad ko tajaa karne aaya hu....

Itna kehkar Rahul mandir ke ek kone me jaaka baith gaya.....Hamesha ki tarah uske chehre me udaashi aur dard ki ek lakeer tha....Wo fir se apni ateet ki yaad me kho gaya.....Nisha ke saath jab pehli baar mulaakat hua tha tab se lekar abb tak ki saari ghatna ko yaad karne laga.....Jab Rahul ko Nisha ki thappad ka yaad aaya uske chehre me ek halka sa muskaan aa gaya aur kehne laga....

Rahul:- Rahul tu paagal hai.....Koi kisi ladki ke saath aise behave karta hai kya....Dosto ke jodd dene par chala gaya propose karne aur thappad khaa kar aa gaya....Galti tera tha to khaayega nahi kya....Wo to Nisha thi iss liye ek thappad hi pada....Agar koi aur hota to pata nahi tera kya hota.... Kaash meri iss galti ko bhi Nisha par thappad maar kar hi sahi lekin maaf kar de....Lekin iss baar to Nisha iss tarah se naraaj ho gayi ki naa hi maar rahi hai aur naa hi maaf kar rahi hai....

Rahul dhire dhire Nisha ki saath me suruwaat me hua jhagada yaad karne laga.....Wo fir se khud se kehne lagta hai....

Rahul:- Kitni pyaari lagti thi meri Nisha....Jab mujh se fight karti thi....Rahul tu bhi ajeeb type ka insaan tha....Koi aise bematlab gussa kaise ho sakta hai itni pyaari ladki ke saath....Chhoti chhoti baato par aise koi gussa karta hai kya....Aaj bhi Nisha ka wo pyaara sa chehra ki yaad aata hai.....Kitni khush rehti thi wo....Lekin aaj....Aaj to uska chehra aisa ho gaya hai ki kitne dino se muskuraaya naa ho....Sab teri galti hai Rahul sab teri....

Aise hi Rahul dhire dhire apni galti ko yaad karne lagta hai.....Apne galti yaad aate hi Rahul ko khud par hi gussa aane laga.....Wo khud ko Nisha ki gunehgaar maane laga aur khud ko kosne laga....Wo ek baar fir aatmaglaani ke saath apne flat ki taraf waapas laut aaya.....

Rahul aur Nisha to apne soch me hi vyast the lekin koi tha jo inn dono ke khilaaf saajish ka planning kar rahe the....



Ye aur koi nahi Aditya aur Raju the....

Aditya:- Wow yaar Raju.....Tujhe to professional chor ban jaana chaahiye....

Aditya ne bahut khus hokar kaha to Raju usse gusse se dekhte hue kehta hai....

Raju:- Ek to tera maine itna help kiya....Thanks kehna to dur tu ulta mera majaak udaa raha hai....

Aditya:- Oh sorry yaar.....Excitement me galti se bol diya yaar.....Thanks yaar ....Tune bahut bada kaam kiya hai yaar.....Abb Nisha ko hamse koi nahi bacha sakta.....Kahi koi galti to nahi hua na....Kisi ne tujhe dekha Rahul ka mobile churaate hue....

Aditya abhi bahut khus tha....Aakhir jo plan kiya tha unn dono ne itna lambe time se wo abb puraa hone waala tha....

Raju:- Nahi yaar....Kisi ne nahi dekha....Aditya to thaa nahi apne room me....Mobile ko bed par chhod kar mandir gaya tha.....Aur Nisha....Wo to abhi naraaj hai Rahul se....Apne room se wo baahar hi nahi nikli....

Aditya:- Pata nahi ye Rahul hamaare baare me kya sochta hai....Nisha se ye fir se pyaar karne laga hai....Lekin hame bataaya tak nahi......Kya socha tha isne hame pata nahi chalega.....Kahi isse hamaara sachaayi pata to nahi chala????

Raju:- Agar pata chal bhi gaya hai to kya hua.....Hame bas apne kaam se matlab hai....Ek baar Nisha akele mil jaaye gir usko maar denge.....Tab to Rahul bilkul toot hi jaayega...Aur hamaara kaam aur asaan ho jaayega.....Bas tu Rahul ki mobile se Nisha ko messsage bhej "I am in danger....Please come to the market".....Aur market ki ek jagah ka address sms kar dena jaha ham log rahenge....Wahi se uthaa kar Nisha ko ek khaali jagah par le jaayenge aur apne kaam ko anjaam denge....

Aditya:- Idea to thk hai....Lekin agar Nisha na aayi to.....Mera matlab hai ki Nisha to Rahul se naraaj hai na....To fir Rahul ki bulaane se kyu aayegi.....

Raju:- Bhai please tu message sent kar....Jyaada dimaag mat laga....Ye pyaar ka locha tujhe samajh me nahi aayega.....Dekha hai maine Nisha ki aankho me....Wo Rahul se pyaar to karti hai magar naraaj hai abhi.....Jab wo message dekhegi aur Rahul ko uske flat me nahi dekhegi to Rahul khatre me hai ye soch kar turant bhaag kar market aa jaayegi....

Raju ne iss tarah se kaha jaise wo apne plan me pura confident ho....

Aditya:- Accha thik hai....Lekin abhi abhi mujhe yakin nahi hai ki wo aayegi.....

Itna keh kar Aditya ne wo message Nisha ko send kar diya Rahul ke mobile se.....

Raju:- Chal abb car me baith.....15 minute intejaar kar.....Nisha daudte hue aayegi.....

Iske baad Raju aur Aditya chale gaye apne car me....Baaki ka plan ko anjaam dene....


Raju ne jo plan banaya tha wo plan thik waisa hi saabit hone laga jaisa usne socha tha.....Mobile me message dekh Nisha ne jaldi se mobile me dekha....

Rahul ka message dekh pehle to usse kuch raahat milaa lekin jaise hi message padha uske pair ke niche se jameen hi khisak gayi......Jis baat ka dar tha usse wohi hua.....Rahul khatre me hai....Ye baat jaane ke baad wo ek pal bhi waha nahi ruki.....Jis haal me wo baith kar aansu bahaa rahi thi ussi haal me chali gayi market ki aur daudte huye.....Kisi bhi haal me usko Rahul ko bachaana tha....Wo paagalon jaisa daud kar gayi sms me likhe gaye address ki aur.....


Jab Aditya ne dekha ki Nisha sach me aa rahi hai....Usne aur der nahi kiya....Fir se ek message bheja ki Wo(Rahul) black car ki andar hai.....

Ye message paate hi Nisha ne chaaro aur apni najar daudaaya.....Side ki taraf hi ek black car tha.....Wo bina kuch soche pahunch gayi car ke paas aur khidki se andar dekhte hue boli....

Nisha:- Rahul....Tum thik to ho na....

Nisha ne chinta bhari aawaj me bas itna hi bol paayi thi ki Raju ne jaldi se chloroform waala rumaal Nisha ko sunghaaa diya....Chloroform ka asar bhi bahut jald ho gaya aur kuch hi pal me Nisha behosh ho gayi....Jaise hi Nisha girne waali thi Aditya ne piche se pakar kar usse car me daal diya....Unn logo ka kismat accha tha ki subah hone ki vajah se koi uss jagah par abhi maujood nahi tha.....

Jaise hi Aditya ne Nisha ko car me daal kar khud bhi car me baitha Raju ne car ko aage badha diya.....


Kuch der chalne ke baad Rahul bhi udaas, pareshaan hokar apne room me aa gaya.....Wo thoda thaka hua sa mehsoos kar raha tha....Wo bed par lait kar sone lagta hai....

5 minute hi hua tha usse sote hue ki dekhta hai ki gate se koi andar aa raha hai.....Rahul bhi chaunk gaya aur sochne laga ki iss vakt kaun aa sakta hai uske room me....Nisha aur Raj to pehle se hi naraaj the....

Rahul ne mushkil se apni aankh khola to Vijay ki chehra dhundhla sa najar aaya....Ye dekhte hi Rahul ki neend ek dam se udd gaya....Jab wo puri tarah se hosh me aaya aur saamne dekha to sach me Vijay tha....

Vijay ne bhi der karna thik nahi samjha.....Aur jaldi se kehna suru kiya....

Vijay:- Rahul....Wo Nisha.....

Vijay bas itna hi keh paaya tha ki Rahul Vijay ke paas aakar usse ek jordaar thappad maarta hai aur uske collar pakadte hue kehta hai....

Rahul:- Kya hua kamine....Kya hua Nisha ko.....Jaldi se bol....Warna tujhe yahi jinda gaad dunga....

Rahul ki aawaj me Vijay ke liye nafrat aur barson se daba hua gussa tha.....Picchle kuch mahino ke gussa bhi Rahul ne Vijay par hi nikaal diya....

Vijay:- Agar aur maarna hai to jaldi se maar....Lekin meri baat acche se sunn.....Nisha ko Aditya aur Raju ne kidnap kar liya hai....

Vijay ne bhi bahut jaldi me ye sab bata diya.....Wo koi der nahi karna chaahta tha.....

Rahul:- Kya?????

Rahul ki aawaj me shock ke saath ek dar bhi tha.....Usse samajh me nahi aa raha tha ki Vijay ye kya bol raha hai.
 

Akkialex

New Member
90
140
48
Aditya ne Rahul ke mobile se Nisha ko danger Ka message Karke kidnap Kar liya wahan Vijay ne Rahul ko Nisha ki kidnapping ke baare me bata Diya ab Rahul Nisha ko bachane jayega
Acchha h action dekhne ko milega lekin usko baad Kahi fir se Nisha ko Rahul par doubt na ho Jaye kyonki Message to Rahul Ke mobile se Aaya tha Nisha ko.
Agar is Baar ye hota h to shayad Rahul aur badasht na kar PAYE dekhte h aage kya hota h.
Keep posting Bro???
 
Top