• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
nice update ..vidhi ka shak karna sahi tha rane par ..
2 police jeep ko takkar maari aur sab ghayal ho gaye 🤔..nakaab posh bahut hi planning ke saath kaam kar raha hai ..
aur vidhi ki baat sahi ho sakti hai koi na koi police wala jarur nakab wale se mila hua ho sakta hai 🤔🤔..
par wo truck pe khoon kiska laga tha ?

aur us ladki ne kise dekha nakab wale ko ya uske saathi ko ?
.
itna to pakka hai ki nakab posh ins..dushyant se aage chal raha hai ..
vidhi ke ghar par security ka intejaam to ho gaya par dekhte hai nakab posh usko bhedne ke liye kya karta hai 🤔🤔🤔..

ab dushyant ko avinash ke saath saath vidhi ki security ke baare me bhi sochna hoga ..
Bahut bahut shukriya KEKIUS MAXIMUS bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,:hug:
 
TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Greattt shubham bro. Such a mind blowing update and your writing skill. :applause: :applause: :applause:

Vidhi and inspector ke bich ki conversation mast thi bro. Uska ek police ki tarah sochna dilchasp laga. So possible hai ki uska shak jayaj ho. Dcp se is case ke bare me baate hui and dcp ne special and trained police walo ko dene ko kaha hai. Isse avinash and vidhi ki security majbut hogi but nakaab posh kya security dekh kar ghar me ghusega ye ek sawal hai. :coffee1:

Nakaab posh ne to gajab kar diya. Idhar inspector vidhi ke sath dcp se mil kar aa raha tha and udhar nakab posh ne mauke pe kamaal ka chhakka maar diya. Laga hi tha ki wo baahar hi avinash ko target karega but avinash ke sath sath sare police wale bhi buri tarah jakhmi ho gaye. Inspector ne vikrant ke upar sab chhod diya tha. Use avinash ko safety se lane ke liye khud bhi sath me rahna chahiye tha and security majbut rakhni chahiye thi. :coffee1:

Investigation me inspector ko jyada kuch pata nahi chala but truck par lage khoon se shayad koi suraag mile use. So let's see what happens next. :coffee1:

:celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf:
Bahut bahut shukriya VIKRANT bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,:hug:
 
TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
BEGUNAAH
Update - 16

Ab Tak,,,,,,

Inspector dushyant soch raha tha ki kaha wo avinash aur vidhi ki security ke liye pukhta intjaam karne ke liye dcp ke paas gaya tha aur kaha us naqaab wale ne badi safaayi se apne kaam ko anjaam de diya tha. Din dahaade aisa karnaama kiya tha us naqaab wale ne jo ki soch aur ummid se pare tha. Dushyant ke zahen me ek sawaal uchhal kood macha raha tha ki naqaab wale ne itna bada kaand kyo kiya.? Matlab ki agar is accident me avinash ki jaan chali jati to.? Kya naqaab wale ne avinash ko jaan se maarne ke liye hi is accident ko anjaam diya tha ya fir ye accident pahle se hi planed tha. Matlab ki usko utna hi karna tha jitne me kisi ki jaan na ja sake. Khaas kar avinash ki to bilkul bhi nahi. Dushyant ko apna ye vichaar ekdam sahi laga. Yaani naqaab wale ne sab kuch plan kar ke kiya tha. Iska matlab ye hua ki wo apni dhamki ko pura kar gaya tha. Magar uske track record ka kya jo wo har baar avinash ko ek hi jurm me fasa kar kaayam kiye huye tha.?

Ab Aage,,,,,,

"Ye chot kaise lagi tumhe.?" Bed par baithe shakhs ke baye hath ki ungli par patti baandhte huye us aurat ne kaha jo marhoom film actress saundarya jaisi dikhti thi.
"Jaldbazi karne ka nateeja hai ye." Shakhs ne sapaat lahje me kaha_____"Aur jaldbaazi me kiye gaye kaam me koi na koi galti zarur ho jati hai."

"Achha aisi kya galti ho gayi tumse.?" Aurat ne shakhs ko tirchhi nazar se dekhte huye puchha.
"Sab kuch to plan ke hisaab se hi hua tha saundarya." Shakhs ne kaha______"Magar last me jaldbazi ke chakkar me galti ho gayi. Truck se baahar nikalte wakt truck ke gate par hath khich gaya. Gate ke kor par halki si chaddar nikli huyi thi jise maine jaldi ke chakkar me nahi dekha tha aur jaise hi main gate pakad kar niche kooda to gate ke us kor par hath khich gaya aur us nukile chaddar ne ungli me cut maar diya. Us wakt time nahi tha mere paas is liye mujhe waha se bhaagna pada. Warna do pal lagte us jagah se apne khoon ko saaf karne me."

"Ye to sach me bahut badi galti ho gayi tumse." Saundarya ne patti baandh kar bed par us shakhs ke bagal se baithte huye kaha______"Us khoon ki vajah se tum fas sakte ho. Police us khoon ke sample se tumhare bare me pata karne ki koshish karegi."

"Fikar ki koi baat nahi hai dear." Shakhs ne saundarya ke gore gore gaal ko sahlate huye kaha______"Police ko mere us khoon ke sample se zyada se zyada mere DNA ka hi pata chalega aur DNA ke adhaar par wo mere bare me kuch bhi pata nahi kar sakti."

"Tum bhool rahe ho mere jaanu dot com." Saundarya ne bhi shakhs ke gaalo ko sahlate huye kaha_____"Ki tumhare DNA se police ko pata chal sakta hai ki tum aur tumhare us dushman ka gahra relation hai."

"Aisa to tab hoga na dear." Shakhs ne muskurate huye kaha_____"Jab police mere aur us namuraad ke DNA ko match karme ka sochegi aur hamare desh ki nikammi police ko itna zyada sochna pasand hi nahi hai."

"Har police wala nikamma nahi hota mere sona." Saundarya ne shakhs ke hotho ko halke se chumne ke baad kaha_____"Kuch log dusre kaam se zyada sochne wala kaam bhi karte hain. Khair chhodo aur ye bataao ki aaj kya hua waha par.?"

"Tumhari baat maan kar maine apne track record ke opposite kaam kiya hai." Shakhs ne kaha______"Halaaki is baar situation aisi thi ki track record ko continue nahi kar sakta tha. Kyo ki wo kamina police ki protection me tha. Maine use warn bhi kiya tha magar wo nahi mana. Is liye tumhari baato par hi amal karne ka socha aur bas game ko sahi se anjaam diya."

Kahne ke sath hi shakhs ne saundarya ko sara kissa suna diya. Sari baate sunne ke baad saundarya use ajeeb bhaav se dekhne lagi thi. Uske chehre par kayi tarah ke bhaav aate jate nazar aaye.

"Aisa karne ko to nahi kaha tha maine.?" Saundarya ne chintit bhaav se kaha______"Agar aise me uski jaan chali jati to socha hai kya ho jata.? Ham kabhi nahi jaan pate ki usne unhe kaha nazarband kiya hai.?"

"Tum mujhe bevkoof samajhti ho kya.?" Shakhs ne naagwari bhare andaaz se kaha_____"Are itna main bhi samajhta hu ki uski jaan agar chali jayegi to hamare liye badi bhaari musibat ho jayegi. Maine sab kuch plan kiya hua tha aur usi plan ke anusaar hi sab kuch kiya hai. Wo accident aisa kiya hi nahi gaya jisse ki uski jaan chali jaye. Magar haan itna to zarur tha ki usse usko sabak mil jaye next time ke liye."

"Tumhare is kaand se." Saundarya ne kaha_____"Ye bhi samajh lo ki wo police inspector ab ghayal sher ki tarah tum par jhaptega. Is liye ab tumhe apna har kadam pahle se bhi zyada foonk foonk kar rakhna hoga."

"Wo sala jhaptega to tab na jab wo mujhe talaash kar payega." Shakhs ne halki muskaan ke sath kaha______"Abhi to wo apni nakaami par aanshu baha raha hoga. Waise ek baat to hai yaar aur wo ye ki uski girl friend bahut hi khubsurat hai. Us raat jab maine use dekha tha to mera imaan dol gaya tha use dekh kar. Main chaahta to uska ras nichod sakta tha kyo ki itna to time tha mere paas magar fir irada badal liya maine."

"Kyo bhala.?" Saundarya ne uski aankho me dekhte huye kaha_____"Irada kyo badal liya tha apna.? Chale jate na uske paas aur nichod lete use."
"Yakeenan wo jawaani ki us dahleez par thi dear." Shakhs ne usi muskaan ke sath kaha_____"Jaha se ras tapakne lagta hai magar fir mujhe khayaal aaya ki usse kahi zyada raseeli to meri saundarya hai."

"Ab baate na banaao tum." Saundarya ne jaise tana maarte huye kaha_____"Sab samajhti hu main. Sare mard ek jaise hi hote hain. Sundar ladki dekhi nahi ki laar tapakne lagti hai."
"Yaar agar itni hi meri laar tapak rahi hoti." Shakhs ne saundarya ke chehre ko apni hatheliyo me bharte huye kaha_____"To kya uska ras paan karne uske paas nahi jata.?"

"To chale jate na." Saundarya ne bura sa muh banate huye kaha______"Tumhe rokne ke liye main thode na thi waha par."
"Tum agar waha hoti." Shakhs ne kaha_____"To main tumhe dikhate huye us ladki se kahta ki dekh lo tumse kisi bhi maamle me meri saundarya kam nahi hai. Is liye apni khubsurti ka ghamand to bhool kar bhi na karna."

"Mujhe bahlane ka tareeka achha hai." Saundarya ne muskurate huye kaha______"Magar main in baato se bahalne wali nahi hu. Uske liye tumhe mujhe jee bhar ke pyar karna hoga."
"Ohh aisi baat hai kya.?" Shakhs ne kaha_____"Chalo fir aaj isi khushi me sari raat tumhe pyar karuga. Ab khush ho na.?"

Shakhs ki baat par saundarya ke chehre par khushi ki chamak ubhar aayi aur usne lapak kar shakhs ke hotho par apne hoth rakh diye. Shakhs ne bhi use apni baaho me kas liya. Abhi wo use bed par letaane hi wala tha ki uska mobile phone baj utha. Ye dekh kar us shakhs ne saundarya ko beman se chhoda aur fir apni paint ki jeb se mobile nikaal kar mobile ki screen par flash kar rahe number ko dekha.

<>•<>•<>

Naqaab wale ne jo kaand kiya tha usse police department me halchal ho gayi thi. Aath police wale aur ek sub inspector us haadse se buri tarah zakhmi ho gaye the. Dcp manjrekar ko kyo ki dushyant ne sab kuch bata diya tha magar uske baad aaj jo kuch hua tha usse maamla sangeen ho gaya tha. Dcp ke sath kayi aur alla adhikariyo ne is bare me dushyant ko aade haath le liya tha. Aakhir dushyant ki safaayi aur badi jaddo jahad ke baad office me sab ke beech thodi shaanti huyi thi. Uske baad alla adhikariyo ne dushyant ko shakht nirdesh dete huye hukum diya tha ki is kaand ko karne wale us naqaab posh aur uske sathiyo ko fauran talaash kiya jaye.

Inspector dushyant apne alla adhikariyo se faarig hone ke baad apne flat gaya, jaha wo vikrant se mila aur uska haal chaal pucha uske baad wo shaam ko lagbhag saadhe saat baje vidhi ke ghar pahucha. Vidhi ke ghar ko har taraf se security dwara laish kar diya gaya tha. Ab waha par koi parinda bhi par nahi maar sakta tha.

Dushyant upar se bhale hi khud ko beparwaah show kar raha tha magar sach to ye tha ki wo andar se behad tanaaw me tha. Uski soch ke vipreet us naqaab wale ne achha khasa kaand kar diya tha jiske liye use apne alla adhikaariyo ke saamne sharminda hona pada tha. Baat agar sirf avinash ki hoti to itna kuch use sunne ko nahi milta aur na hi baat itni zyada badh jaati magar yaha to ek sub-inspector aur aath aath police walo ki jaan par ban aayi thi. Agar is accident me kisi ki jaan chali jaati to dushyant ko apni naukari se bhi haath dhona pad sakta tha.

Inspector dushyant ke haath us naqaab wale ke khilaaf koi bhi pukhta saboot ya suraag nahi laga tha, jiski vajah se wo naqaab wale tak pahuch sakta. Truck ke darwaze par lage khoon se use kuch badad mil sakti thi agar wo khoon us naqaab wale ka hua to warna naqaab wala uski pahuch se waise hi door tha jaise zameen par khade kisi insaan ke liye chaand ko pana. Dushyant ko forensic report ka intzaar tha. Wo man hi man dua kar raha tha ki truck ke darwaze par laga khoon us naqaab wale ka hi ho. Halaaki khoon ke DNA ka pata chal jane se bhi koi faayda nahi hone wala tha kyo ki us DNA me ye to likha nahi hoga ki wo khoon kisi naqaab wale ka hai. Kahne ka matlab ye ki dushyant us khoon ki DNA report se bhi kuch haasil nahi kar sakta tha.

Raat me vidhi ne sabke liye khana banaya. Dushyant ne khud ja kar avinash ko uske kamre me khana khilaya aur use araam se so jane ke liye kaha. Uske baad dushyant aur vidhi ne sath hi khana khaya. Is beech vidhi ke puchhne par dushyant ne use sab kuch bata diya tha. Vidhi maujuda situation ko bakhubi samajh sakti thi. Is liye usne dushyant ko zyada tension na lene ke liye hi kaha.

"Maamla itna bigad gaya hai vidhi ki ab main chain aur sukoon se nahi rah sakta." Dushyant ne gambheer bhaav se vidhi ki taraf dekhte huye kaha_____"Meri zindagi me aisa pahli baar hua hai ki mujhe kisi case ke silsile me itni badi nakaami aur apne alla adhikariyo ki daant ka saamna karna pada hai. Isse pahle maine jatil se bhi jatil cases solve kiye hain aur unke liye mujhe apne alla adhikariyo se shabashi hi milti thi magar ye case mere liye jaise manhusiyat ka pramaad ban gaya hai. Sab meri hi galti hai vidhi. Mujhe avinash ke matter me interest lena hi nahi chahiye tha."

"Waqt hamesha ek jaisa nahi rahta dushyant." Vidhi ne samjhane wale bhaav se kaha______"Balki badalta rahta hai. Ham agar kabhi jeet'te hain to kabhi haarte bhi hain. Ham winner hone par khushiya manaate aur looser banne par dukhi hote hain, jabki haarne se hame dukhi nahi hona chahiye. Balki ye soch kar khush hona chahiye ki hame apni ek galti ya ek kamjori ka ilm to hua jise hame next time ke liye sudhaar lena chahiye. Tumhare liye ye ek achha avsar hai khud ko winner saabit karne ka. Is liye is haadse ko bhool kar ek naye sire se shuruaat karo aur pura focus us naqaab wale par lagaao. Aisa kabhi nahi ho sakta ki jurm karne wala kabhi pakda hi na jaye. Aaj nahi to kal uske khilaaf koi na koi saboot ya suraag zarur milega jiski vajah se wo kanoon ki chapet me aayega. Tumhe us saboot ya suraag ko kisi bhi haal me khojna hai aur haan mujhe pura yakeen hai ki mera sweet sa dost us naqaab wale ke khilaaf aisa koi suraag zarur khoj lega. Chalo ab smile karo...mujhe tumhara ye sad sa chehra bilkul bhi achha nahi lag raha....rondu kahi ke."

"Mujhe pata hai." Dushyant ne hotho par halki muskaan saja kar kaha_____"Ki tum mujhe bahlaane ki koshish kar rahi ho magar shayad is wakt mere liye itni asaani se bahal jana asaan nahi hai."
"Iska to ek hi matlab hua." Vidhi ne kaha_____"Ki tum khud ko sach me looser saabit kar rahe ho. Wo naqaab wala bhi shayad yahi chaahta hoga ki tum is haadse se hataash ho jaao aur fir is case se yaani ki avinash ke raaste se hat jaao. Us soorat me uske liye avinash ke sath kuch bhi karne me koi bhi mushkil nahi hogi."

"Avinaash ke maamle ko chhod kar peechhe hat jane ka sawaal hi paida nahi hota vidhi." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Ye sach hai ki is haadse ne mujhe buri tarah vichlit kar diya hai magar main is haadse ki vajah se avinaash ke maamle ko chhod nahi sakta. Kyo ki ye mere liye ek chunauti ban gayi hai. Apne liye bhi aur apne alla adhikariyo ki nazar me khud ko behtar saabit karne ke liye bhi. Jhatka to laga hai mujhe is sabse is liye ab mujhe pahle se zyada is maamle me satarkta aur samajhdaari akhtiyaar karni hogi."

"Very good." Vidhi ke gulaabi hotho par muskaan thirak uthi, boli_____"That' like a good boy. So ab kya karne ka socha hai.?"
"Us naqaab wale ki tarah mujhe bhi sochna padega." Dushyant ne kaha______"Use meri har gatividhi ki khabar hoti hai. Iska matlab wo khud ya fir uska koi aadmi har pal ham par nazar rakhta hai. Use achhi tarah pata tha ki us din ke haadse ke baad hamne avinash ke liye security tight kar di hai is liye ghar ke andar ghus kar avinash ke sath kuch bhi karna uske liye asaan nahi tha. Isi liye usne avinash ke sath kuch karne ke liye alag tareeka apnaya magar wo tareeka tabhi safal hota jab avinash use ghar se baahar khuli jagah par milta. Iske liye usne tumhe darane ka raasta chuna. Use pata tha ki uski is harkat se mujh par asar hoga aur main tumhare liye bhi security provide karuga magar do do jagah ko secure karne me kahi na kahi security ki tightness me kami aayegi aur mumkin hai ki main avinash ko ya tumhe ek jagah ek sath hi rakhne ka sochu. Aisa hua bhi, aur yahi wo naqaab wala chaahta tha. Use pata tha ki dono ko ek jagah rakhne ke bare me main tumhare ghar ka hi sochuga aur fir avinash ko apne flat se tumhare yaha laauga. Ham kyo ki ye kalpana bhi nahi kar sakte the ki itne police walo ke rahte huye wo naqaab wala is tarah ka koi hamla karega is liye beparwaah the jabki uska to plan hi tha ki ham avinash ko baahar nikaale aur wo avinash ko target bana le."

"Baat to tumhari theek hai." Vidhi ne kaha______"Magar beparwaah kahna sahi nahi lagta mujhe. Seedhi si baat hai ki jab avinash ko tumhare flat se yaha lane ke liye nikala gaya tab us jeep me vikrant ke sath chaar police wale the aur uske peechhe bhi ek jeep thi jisme chaar police wale. Iska matlab ye hua ki aisa tabhi kiya gaya na jab hamare zahen me ye khayaal tha ki hame avinash ki us naqaab wale se suraksha karni hai kyo ki usko naqaab wale se khatra hai. Yaani aisa khayaal ye darshata hai ki ham beparwaah nahi the. Ab sochne wali baat ye hai ki jab hamare zahen me aisa khayaal tha to naqaab wala apne maksad me kaise kamyaab ho gaya.?"

"Kya kahna chaahti ho tum.?" Dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Yahi ki kahi aisa to nahi ki naqaab wala kisi ki madad se hi apne is haadse ko anjaam dene me kamyaab hua hai.?" Vidhi ne ek hi saans me kaha tha.

"Kya matlab.???" Dushyant halke se chaunka.
"Din dahaade itne police walo ke rahte huye aise haadse ko safalta se anjaam dena koi asaan baat nahi hoti." Vidhi ne apne ek ek shabd par zor dete huye kaha______"Ye koi aanan faanan me kiya gaya accident nahi ho sakta, balki iske liye pahle se plan banaya gaya hoga aur plan tabhi banega jab pata ho ki avinash ko us raaste se us time laya jayega. Khud socho ki itna jaldi naqaab wala kaise do do truck accident karne ke liye le aaya.? Iska matlab use sab kuch pahle se hi pata tha aur aisa karne ke liye uske paas plan banane ke liye achha khasa wakt bhi tha. Nazar rakhne bhar se itna kuch wo nahi kar sakta tha dushyant, matlab saaf hai ki use sab kuch kisi aise byakti ne bataya jo tumhare hi police department ka hai."

"Tumhare kahne ka matlab hai." Dushyant ne uski taraf gaur se dekhte huye kaha______"Ki is sabke bare me us naqaab wale ko vikrant ne bataya hai.?"
"Bilkul." Vidhi ne sir hilaate huye kaha______"Tum maano ya na maano magar mujhe us par pura shak hai ki wo us naqaab wale se mila hua hai aur is sab me uska bhi barabar ka haath hai."

"Pata nahi kyo tum us vikrant par itna shak kar rahi ho.?" Dushyant ne maano jhunjhlaate huye kaha_____"Bhala wo aisa kyo karega.? Kya use pata nahi tha ki aisa karne se uski jaan bhi ja sakti thi.?"

"Jaan gayi to nahi na.?" Vidhi ne sapaat lahje me kaha_____"Ye plan banaya hi is tarah se gaya tha ki kisi ki jaan na ja sake. Vikrant bhala ye kyo zaahir karega ki wo kisi se mila hua hai.? Balki sabke sath zakhmi ho kar usne khud ko paak saaf hi darsha diya. Wo to yahi chaahta tha ki tum us par kisi tarah ka shak kar hi na sako."

Vidhi ki baat sun kar dushyant turant kuch na bol saka tha balki ektak uski taraf dekhta rah gaya tha. Wo hairaan tha ki vidhi aisa kaise soch sakti thi.? Uske chehre par aise bhaav the jo uski baat ke sach hone ka thos saboot de rahe the. Dushyant ke mano mastishk me halchal si paida ho gayi thi.

"Ab yu deede faad faad ke kyo dekh rahe ho mujhe.?" Vidhi ne halki muskaan sajate huye chutki baja kar kaha______"Kya bhasham kar dene ka irada hai.?"
"Tum achhi tarah jaanti ho." Dushyant pahle to hadbadaya fir muskurate huye kaha_____"Ki main aisi khwaahish nahi kar sakta. Tumhare bhasham hone se pahle main khud bhasham ho jane ki hasrat rakhta hu."

"Ab ye kya hai.?" Vidhi ke pure jism me jhurjhuri si daud gayi thi.
"Agar nahi samjhi ho to jane do." Dushyant ne kaha.
"Waise kya lagta hai tumhe.?" Vidhi ne uski is baat se apne hotho par ubhar aayi muskaan ko jaldi se dabaate huye kaha______"Wo khoon kiska ho sakta hai.?"

"Kuch kah nahi sakta." Dushyant ne kaha______"Bas dua karo ki wo khoon us naqaab wale ka hi ho."
"Chalo ek pal ke liye maan lete hain ki wo khoon us naqaab wale ka hi hoga." Vidhi ne kaha______"To usse kya hoga.? Kya sirf khoon ke base par tum us tak pahuch jaaoge.?"

Vidhi ke sawaal ka jawaab dene ki jagah dushyant achanak hi kursi se utha aur fir badi tezi se us taraf daud laga di jis taraf seedhiyo ke paas ek mota sa pillar tha. Uski beawaaz ki gayi is harkat se vidhi bhauchakka si rah gayi thi. Wo khud bhi ghabra kar apni kursi se uth baithi thi. Abhi usne uske peechhe jane ke liye apne kadam badhaaye hi the ki tabhi dushyant waapas aa gaya.

"Kya hua.?" Dushyant waapas aa kar jaise hi kursi me baitha to vidhi ne puchha______"Tum is tarah itni tezi se us taraf kyo bhaage the.?"
"Mujhe laga pillar ke peechhe koi hai." Dushyant ne kaha.
"Ye kya kah rahe ho tum.?" Vidhi buri tarah chaunki.

"Haan par shayad wo mera waham tha." Dushyant ne kuch sochte huye jaise khud se hi badbadaya______"Kyo ki pillar ke peechhe to koi nahi tha. Agar hota to jitni tezi se main us taraf gaya tha to zarur koi dikh hi jata mujhe."

"Mujhe samajh me nahi aa raha ki ye tum kya kah rahe ho dushyant.?" Vidhi ne hairat se kaha_____"Bhala waha par koi kaise ho sakta hai.? Waise waha par tumhe kiske hone ki sambhaavna thi.?"
"Pata nahi." Dushyant ne laparwaahi se kaha______"Baat karte karte achanak hi meri nigaah us taraf gayi thi aur tab mujhe laga jaise us pillar ke pichhe koi hai magar jab maine tezi se ja kar us pillar ke peechhe dekha to koi nahi tha. Iska matlab wo mera waham hi tha."

"Tum us accident ki vajah se." Vidhi ne kaha_____"Kuch zyada hi sochne lage ho. Mera khayaal hai ki tumhe araam karna chahiye. Chalo utho jaao apne kamre me aur araam se so jaao. Ham is bare me kal baat karenge."
"I think you are right." Dushyant ne kaha.
"I'm always right." Vidhi ne halki muskaan me kaha______"Chalo ab jaao tum. Main zara bartan dho lu. Uske baad main bhi sone jaaugi."

Vidhi ki is baat se dushyant kursi se utha aur apne kamre ki taraf chala gaya. Jabki vidhi bartan sametne lagi. Uske zahan me dushyant ki waham wali baat chal rahi thi. Uske man me bhi sawaal ubhar rahe the ki kya sach me pillar ke pichhe koi tha.? Agar tha to dushyant ko dikha kyo nahi.? Kya ye sirf dushyant ka waham hi tha ya fir sach me us pillar ke peechhe koi tha.?

<>•<>•<>
 
KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,850
32,669
259
vidhi ki baato se saaf lagta hai ki uska dimaag ek police wale ki tarah sochta hai 🤩🤩..aur vikrant par shak karna bhi sahi hai kyunki avinash ko shift karne ki baat usko pata thi ..

shayad koi aur bhi police wala jasoos hai nakab posh ka 🤔🤔 piller ke pichhe ka waham sahi hua to waha pe security police ki hi hai aur vikrant dushyant ke flat me hai ....
shayad vikrant ne hi kisiko jasoosi karne ko kaha ho dushyant ki 🤔🤔..

par ek baar aisa laga ki dushyant toot gaya hai aur haar maan gaya hai avinash ki case ko lekar ..jab usne vidhi se kaha ki avinash ki case ko haath me nahi lena chahiye tha ..

vidhi ne usko samjhaya tab wo kuch sambhal gaya ,warna uska dimaag itni baate nahi soch paata ....

vidhi ek sachche dost ki tarah hai 🤩..
 
TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Bhai Anil mohan ya Ved prakash sharma ke novels hai toh kuch yaha post kijiye na
Vijay bhai ye baat main khud aapse kahne wala tha ki AMP ya VPS ke novels agar aapke paas hain to unhe yaha post kijiye,,,,,:D

Aapne pdf section me SMP ke novels post kiye hain to waise hi in do mahaan writers ke bhi post kijiye. VPS ke post karenge to personally mujhe behad khushi hogi,,,,,:jump:
 
Vijay250436

Member
201
207
59

Mere pass unke jyada novels nahi hai. Phir bhi jitna hai post karunga jaldi hi
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,411
28,468
218

Superb update
 
Top