• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792

Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...

Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....

Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...

Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Update:-1

Yatrigan kripya dhyan de Pune-Indore Express ki platform sankhya badal dee gayi hai.. Ab wo platform number 2 ke badle 5 par aayegi.. Aap ko hui asuvidha ke liye hume khed hai...

Jaise hi yah announcement hua, 40-50 ladkon ki bhid ek sath hungama karte huye kahne lage... "Huhhhh !!!! Ye railway wale, kha-m-kha pareshan kar rahe"…

Bhid ki awaj sunkar police wale daure chale aaye, aur tabhi wahan par ek ladka khada hokar kahne laga... "Aap sabhi followers se nivedan hai ki jyada shor na kare, isse madam ko aur any yatriyon ko taklif hoti hai..

"Huh, in railway walon ko to bus announcement karne aata hai.. aapko hui asuvidha ke liye khed hai".. Jaise hi yah announcement hua Jivisha platform kramank 2 se uthkar 5 par jane lali...

Bla ki khubsurat, jiske chehre ki chamak itni tej thi ki aas pass ke log na chahte huye bhi uske chehre ko dekhne lagte.. uski wo nili aakhen itni madhosh kar dene wali thi ki jis par najar bhar dhal'kar dekh le, wahin apne sine par hath dhal'kar baith jaye..

Is hushn par uske sarir ki banawat, bilkul chharhara badan, patli kamar aur aakrshit karne wale uroj.. kul milkar jise dekh'kar ek bar to gahri shwans khinch'kar khud se hi sawal karne lago… "Kaun hogi ye".. baki khatrnak armano ki to charcha he chhod dijiye...

Railway ki announcement par Jivisha gusse me uth'kar jab platform number 5 ke ore ja rahi thi, uske piche jane wale aashikon ki koi kami nahi thi... Aisa lag raha tha ek jagah ki puri bhid khali ho gayi hai…

"Alexa khyal rahe koi mujhe iriitate na kare aur na hi ashlil harkat. Aur abhadr comments huye to fir"… Jivisha ithla'kar chalti hui, usi ladke se kahne lagi, jisne announcement ke baad ladkon ki bhid ko samjha'kar chup karwaya tha, aur unhe shant rahne ki hidayat diya tha...

Alexa:- Don't worry Jivisha, mere hote huye koi dusra aise karne ki himmat nahi kar sakta.. .

Jivisha ghur'kar apne bayen dekhti... "Alexa, are you joking"

Alexa:- No miss !!! Alexa is in the mood of flirting...

Jivisha:- Alexa ab mai tumse baat nahi karungi…

Alexa:- To fir khana nahi pachega tumhara...

"Alexaaaaaaaa"…. Jivisha dhime se nakiyati hui kahne lagi... Pratikriya me Alexa ne smile dete kaha... "Looking aweosme today, smile please"…

Jivisha mobile thi to Alexa uske ghar ke bahar ka network. Bahar jahan bhi wo hoti Alexa usse company deta.. Haalanki uska naam kya tha ye to Jivisha ne bhi kabhi nahi puchhi, lekin ek wahi cute sa ladka tha jiski company Jivisha ko bahut pyari lagti aur uske javab dene ke andaj ko dekhkar uska naam Alexa rakh dee...

Jivisha pahunchi platform number 5 par aur jahan wo baithi wahan charo ore achanak he bhid bhad badh gayi.. isi bich dhuvan udati aur horn bajati hui train bhi pahunch gayi.. Jivisha jakar B3 coach ke pass khadi ho gayi…

Train lagi aur train se Jivisha ki sabse pyari saheli, Nandni apna bag liye utar rahi thi... Nandni jaise hi niche utri... "Kaisi hai meri Nandu"… Jivisha pure utsah ke sath gale lagti aur utni hi fiki prakriya ke sath Nandni, Jivisha ke gale lagti khud se hi kahne lagi… "football he bana de mujhe"…

"Arreeeeeeee, tu to kuch bol hi nahi rahi"… Jivisha, Nandni se alag hote hui kahne lagi…

Nandni:- Maine socha pahle tujhe hi pura bolne dun.. kyonki mai kuch bolti to tu bich me rok'kar mujhe kuchh kahne lagti.. iss se achha mai sochi tujhe hi mauka de diya jaye…

Jivisha:- Tera to ilaj karwana hoga Nandu, bahut tane dena sikh gayi hai...

Nandni kya javab de kuch samjh me he nahi aaya isliye bade aaram se kahne lagi, "Ghar chalegi ya saari baten yahin par kar legi"…

"Haan-haan, ghar hi to le jane aayi hun tujhe.… Aaaaaaaaaaaa... Pagal andha kahin ka, dekh kar nahi chal sakte"….

Jivisha, Nandni se baat kar hi rahi thi ki tabhi ek ladka daudta hua aaya aur dono ke bich se dhakka dekar bhagne laga.. jaise hi Jivisha chillayi, takriban 40-50 ladke ek sath chillaye... "Sale Jivisha ko dhakke markar bhagta hai.. pakad sale ko"…. Aur dekhte hi dekhte ladkon ki bhid daud'kar us ladke ko pakadne ki kosis me jut gaye...

Nandni:- Ab ye mat kahna ki ye bhis tere followers hai..

Jivisha:- bilkul sahi samjhi hai.. inme se tujhe koi pasand ho to bata dena... Teri setting karwa dungi..

Nandni:- Duffer kyon pran lene par tuli hai... Meri shadi pahle se ho gayi hai..

Jivisha:- Yaad mat dila fir tu, chupchap shadi kar li aur mujhe bataya tak nahi..

Pass hi ek piller tha, Nandni us piller par apna sar patakti… "sala kisne tere dimag ka reset button dabaya hai, uska gala ghont dungi main"…

Jivisha:- Aree aree aree.. mujhe Azad karwane wale ka gala ghontegi to mai tera divorce karwa dunga..

Nandni:- Mera divorce baad me karwana pahle apne aashikon ko sambhal...

Dono jabtak baten kar rahi thi, tabtak Jivisha ke aashikon ki bhid ne puri mehnat karke us ladke ko pakad laya, aur lakar Jivisha ke samne khada kar diya.. itne me he ek ladka sharmate huye... "Jivisha ise maine pakda"…

Najren nichi karke wo apne aediyon se jamin ko maslate is kadar Sharma raha tha ki Nandni aur Jivisha apni aakhen badi kiye use he dekhne lagi…

Jivisha:- Bhai tum pahle khud ko to sambhalna sikh lo... Aur tum sab aise bhid laga'kar.… Please irritate mat karo.. wo Alexa kidhar hai..

Nandni:- What !!! Alexa …

Jivisha:- Yes Alexa..

Nandni, apna bag uthati.. "Bus kar bahan chal yahan se ghar chalte hai.. tera pagalpan to din-w-din badhta ja raha hai"..

Jivisha:- Chup'kar, Alexa where r ju....

Alexa:- Present here..

Jivisha:- Alexa yahan ke bidh ko kinare karke is ladke ko meri car me bithao, akele me hisab kitab lungi ki ye mujhe dhakka mar'kar bina sorry bole kyon chala gaya..

Ladka:- Dekho mera naam Vyom hai.. aur mere piche log pade the isliye mai bhag raha tha... Ab chhodo mujhe aur jane do..

Jivisha, us ladke Vyom ko upar se niche tak dekhti… "Achhe mast hatte-katte gabdu ho... Chehre se thode pareshan jaroor dikh rahe ho lekin itne bhi nirash nahi lagte ki apna naam vyog rakh lo"..

Vyom kandhe ko jhatakte huye khud ko 2 ladkon ki pakad se chhudate…. "Bahut hi ghatiya kosis thi joke karne ki, chhodo ab rasta do, aur apne namuno ko sambhalo"…

Vyom, Nandni aur Jivisha ko kinare karte huye wahan se nikal gaya.. Jivisha uski baat par kuchh der tak sochne ke baad… "Alexa abhi ye kya bol'kar gaya"..

Alexa:- Tum bahut badi jhalli ho.. duffer ki synonyms ho..

Jivisha:- Alexa !!!!

Alexa:- Tumne puchha to bataya..

Nandni Alexa aur Jivisha wala drama dekh'kar jod-jod se hansti hui kahne lagi… "Wo ladka gaya bhi aur tu khadi khadi dekhti rah gayi.. chal ab"…

Dono thodi hi der me ek bunglow ke bahar khade the, jispar swarn villa likha hua tha… Nandni subah-subah pahunchi thi aur pura pariwar hall me hi chay par mil gaya..

Nandni ko dekh'kar lagbhag uska pura pariwar ander hi ander hans rahe the, jiski gawahi un sabke chehre de rahe the... Nandni un sabko dekh'kar apna bag darwaje par hi patakti… "Hans lo aap log lekin koi is nautanki ko mat samjhana"…

Jivisha:- Oye tu kyon itna chidhti hai.. dekh post graduation hum kar nahi paye to 2 sal sath rahkar kar lete hai.. kaun si badi baat hai...

"O bawri meri shadi ho gayi hai tu samjhti kyon nahi... Aur teri bhi to.." kahte huye Nandni khamosh ho gayi...

Jivisha:- Tu chill maar mere bade papa, Sudhanshu Rajput, ke yahan tera wo doctor aa sakta hai tujhse milne ke liye, itni chinta mat kar.. aur fir 2 sal ki baat hai, Kasak ke sath yun nikal jayenge.. tu thak gayi hogi aaram kar le...

Nandni apna bag lekar upar chali gayi aur Jivisha sabke bich baith'ti hui kahne lagi.. "Papa mai kya soch rahi thi"..

Papa Himamshu... "Haan beta tu kya soch rahi thi"…

Jivisha:- Mai soch rahi thi ki post graduation ke sath-sath na mai IPS ki bhi taiyari karun..

Himanshu apni beti ki baat sunkar chay me biskut dubo'kar kuch der chhodte huye... "Jivisha beta is biscut aur chay ki kahani se tum kya sikhi"..

Jivisha:- Yahi ki koi to gahri baat hai jo aap is chay me ghul chuki biscut ke madhyam se samjhana chahte hai.. shayad ye previous year ke IPS interview me puchha gaya sawal hai na papa..

Jivisha ka jawab sunkar piche se khi-khi ki awaj aane lagi. Itne me Swarn Villa Ghar ke sabse chhota sadsya aur Jivisha ke bade bhaiya Ravi aur Bhabhi Nandita ka Beta Chirag, apna school bag uthaye, honthon par "Tera hone laga hun, jabse mila hun" geet gungunate chala ja raha rha tha...

Himanshu:- Chirag yahan aa..

Chirag:- Off O dadu kitni baar bola hun ki school jate waqt distrub mat kiya karo, mujhe der se school pahunchne ki aadat nahi...

Maa Priya Rajput:- Mera ladla pota, kitni pareshani hoti hogi na tujhe dur school jane me.. yahan pados ka school bhi ab higher secondary ho gaya hai.. mai soch rahi thi, sixth class se baki ki padhai yahin pados ki school se kar leta..

Chirag:- Are nahi dadi, aap logon ke liye ek din school deri se chala jaunga, koi badi baat hai kya?

Himanshu:- Chirag ek baat bata, ye maine biscute dali chay ke cup me.. isse tu kya samjha..

Chirag:- Mere sath timepass kar rahe ho taki main school deri se jaun.. jab baat sajis ki ho rahi hai to aaj is ghar me faisla ho hi jaye..

Chirag ki maa aur Jivisha ki bhabhi Nandita, Chirag ko aankhen dikhati... "Juban jyada lambi hoti ja rahi hai kya, chal chupchap school ja"..

Jivisha:- Huhh ! Acha nahi hoga mere bache ko kisi ne chheda to.. betu tu school ja.. papa aap kya kahna chahte ho sidhe kah do na, baat kyon ghuma rahe ho..

Himanshu:- Isme baat kya ghumana hai beta.. jaise chay me biscute dubo'kar mai time pass kar raha, waise tu bhi IPS preparation ke naam par time pass kar rahi. Pahle bina chit kiye koi to exam pass kar le.. IPS banegi... Charprasi bhi ban jaye na to paun dho'kar pi lunga..

Jivisha apne dono hath aage dikhati… "Bas Mukhiya ji, itni bejjati aaj ke liye kafi hai.. Ab to mai jabtak Ips nahi ban jati .. tabtak sochungi ki kya karna hai.. lekin aap yah mat samjhna ki mai ye baat bhul gayi... Mukhiya ji ab junoon si hogi IPS banne ki..

Priya:- Best of luck beta.. IPS na bhi ban saki to gum mat karna… PS to pahle se hai..

Jivisha, apni maa Priya ko sawaliya najron se dekhti... "PS ka matlab maa"..

Priya:- Wahi beta jo tere naam ke aage suit karta hai.. Pagli-Sanki Jivisha.. short me PS Jivisha..

"Huh".. karti hui Jivisha wahan se uth'kar sidhe pahunchi apne ksmre me, jahan Nandni bistar par leti thi.. Jivisha uske pass let'ti.. "Ac compartment se aayi hai, fir bhi leti hai, chal uth.. pahle kuch kha le fir sona"…

Nandni:- Subah bhukh lagi thi to station par daba'kar bread omelet khayi thi..

Jivisha:- Chal na uth bhi ja, kitna soyegi.. din me so lena na... Mujhe tere sath dher sari baten karni hai.. aur tumhare doctor se bhi..

Nandni:- Mai bhi bahut sari baten karna chahti hun, lekin abhi ek nap le lene de.. Mere compartment me ek family thi aur unke gode me baby.. bechara baby andhre me rota tha aur light par wo khelne lagta.. ab wo khel raha tha to halla-gulla hota raha aur natija mai bhi uth'kar baith gayi..

"Mai tujhe bahut miss kar rahi thi.… Achhe sath wale waqt kitni jaldi bit jate hai na"… Jivisha kuch pal khamosh hokar kahne lagi...

Nandni, Jivisha ke ore karwat leti usse dhyan se dekhti.… "Tujhe sach me uske bare me ek lamha yaad nahi"..

Jivisha:- "Mai teri dost hun ya wo Nischal, jo tu har din mujhse yahi sawal puchhti hai... Pahle mai teri baat sunkar sochti thi ki mere sath wo "Sadma" film wala haal hua hai jisme shree devi pagalpan se thik hoti hai aur Kamal Hasan ko bhul jati hai.."

"Sirf tere kahne par mai apne ander ye feeling lati rahi 'ki nahi jiski chahat sachhe dil ki hogi, usse mujhe bhi pyar ho hi jayega'.. Isliye mai kayi dino tak yahi manti rahi ki mera bhi ek boyfriend hai jise mujhe samjhna hai.. lekin hua kya.."

"Kahan hai tumhara Nischal..… Kabhi-kabhi Nischal ke naam par tu mujhse khaffa si dikhti hai.. tere ander dikhta hai ki tu uski kami si mehsus karti hai.. Kya rishta kya nibhaya usne... Mujhe yaad nahi shyad mai pagalpan ka shikar thi, to fir wo kahan hai aur usse kyon kuch bhi yaad nahi.."

"Sach to ye hai ki wo jo koi bhi tha, uske jindgi se wo hisse gayab ho gaya, jisme hum the. Aur meri jindgi se un logon ka.. ek bus bich ki kadi tu bachi hai, jise sab yaad hai lekin koi fayda nahi, kyonki sachai tu bhi janti hai.. wo nahi lautega.."

"Mai to uske bare me yah bhi nahin kah sakti ki bhul'kar aage badh jati hun. Kyonki jab dimag me koi tasveer hi nahi to kya hi kar sakti hun mai.. bus tere liye mayus hai dil.. kyonki ek dost ki kami tumhe mehsus ho rahi aur mere rahte meri bahan aisi kami mehsus kare, aisa bhala ho sakta hai kya.. isliye tera rona band.."

"Haan samjhti hun ki ab tujhe jindgi ke dusre maze mil rahe kamini. Tu apne us nirdayi dost ko jo mujhse bhi badh'kar tha, usse tu apne pati ke sath chipak'kar bhi yaad kar sakti thi.. lekin mere pass tere wo bhi maze khatm.."

"Lekin janeman.. Are O Jumma, Meri Janeman.. jarra idhar to najre daal de.. Chumma De De Chumma… "

Kahti hui Jivisha apne honth dhire-dhire badhane lagi... Nandni hadbada kar uth'ti hui Jivisha ko takiye marti… "Tu kitni bhi sensible baten kar le, ant me aukaad par utar hi aati hai.…"…

"Abhi to sirf aukaad par utri hun janeman.. aage aage dekhti ja.. dil jigar jaan kahan kahan mai utarti hu"…

"Ae pagal.. tu dur hat.. lipatna-chiptna chhod"

"Ek dost to hun mai, to ab pati ki hi yaad aayegi na... La uss kami ko bhi puri kiye deti hun..."

"O jhalli.. bus kar tere rahte kisi ki yaad aa sakti hai kya... Mera bachpan laut aaya"…

"Pakka na... Ya jawani ke overdose ab bhi chadha hai"…

"Ab ye Jawani ka overdose matlab"

"Har baat ka matlab ho, kabhi-kabhi lay me betuki baten nikal jati hai.. punchline dekh bus.. jawani ka overdose.. mast hai na"..

"Tu pagal ho gayi hai"…

Kuch hi der me dono ki hansi us kamre me gunjne lagti hai... aur chahakti hui Jivisha ko dekhkar Nandni muskurati hui khud se kahne lagi… "Shayad aaj tunhare sawalon ka jawab nahi mere pass aur shayad kabhi na bhi ho, kise pata.. tu to hai na mere pass, mai isi me khush hun… wo bhi jahan ho khush rahe..."
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Update:-2

Somewhere In Universe...

Fauj ke kayi 5 bade-bade jahaj ek unknown planet par utar rahe the.. Har viman ke upar saaf aksharon (word) me likha hua tha.. "Middle State Of Aizem Planet"…

Sare viman kisi Aizem Grah ke Madhya Rajya se the, jinke hajaron ke tadat ki sainya tukdi us jagah par utar rahi thi.…

Viman ke land hote hi sainik apne viman se bahar utar'kar ek katar bana rahe the. Har sainik jaise hi us jamin par apne paun rakhta, bus itna hi khyal unke man me aata, "Kya manhush si jagah hai"

5 katar me tukdi khadi thi, aur har sainik umda technology se laish hathiyaron ke sath khade the... Har katar ke sabse aage me uss tukdi Front Officer khada tha, aur un 5 Front Officer ko command dene ke liye ek Suzerain thi.

Sabhi soldier jabtak katar laga rahe the, Suzerain Meerasi apne ek chief officer Nizal ke sath char kadam chal'kar us jagah ka muvayna karne lagi.. khusk hawa, hawa me ret ke kan.. charo ore bilkul tapa dene wala tapman aur jahan tak najar jaye kewal ret hi ret...

Kuch hi samay me puri tukdi katar me thi, Nizal bhi aakar apni team ke sath khada ho gaya.… Aur Meerasi apne tukdi ko mission samjhati...

"Aizem ki Uttari seema walon ne humare rajya me isi planet ke kisi janwar ko chhoda tha.. Us janwar ka tracker tum sabke screen par flash ho raha hai... Har tukdi ko uss janvar ko chhip'kar dhundhna hai.. anukul mauka dekh'kar usse maar dalo aur sabse aham baat.… Uttari seema wale iss kshetr me ghuse the, is baat ka sboot dhundh nikalo, chalo jao jao jao jaldi se jao"…

Meerasi sabhi soldiers ko command dene ke baad apne commanding viman me gayi aur wahan se har kisi par najar banayi hui thi.. jaise-jaise ye kshetr explore ho raha tha, Meerasi ko apne air-conditioned viman me bhi pasine aane lage the...

Soldier tukdiyon ki vaman jaise-jaise us kshetr ko scan kar rahi thi, kafi visamtayen aur khuffnak si jagah dikh rahi thi.. Har 50 kilometre par yahan ki jalwayu aur kshetr puri tarah se badla hua tha...

Retila ilake ke samapt hote hi ek bahut lambi aur utni si chaudi nadi wahan se gujarati thi, jiske pani ki dhara itni tej thi ki wo ummid ke pare the.. Uske thik aage jungle aur pahad shuru hote the, jiske pedon ki unchai aasman chhute the.

Jungle bhi kafi ajib, jiske bare me na to aaj tak kabhi dekha aur na hi suna... Har ped takriban 2000 fit mota aur 8000 se 10000 fit uncha tha.. aisa lag raha tha building ke badle yahan ped hi khade rahte hai...

Unki sakhayen itni moti thi ki aisa lag raha tha wo sakha na hokar, 1000 sal purana koi bargadh ka ped nikla ho dayen bayen se.… aur har sakha par viman ke barabar ki chidiyon ne jaise ghosla bana rakha ho...

Shwansen to tab ruk gayi, jab soldier aircarft ko achanak hi dayen-bayen puri takat se modne pare, kyonki junglon ke aage badlon se bhi unche pahad the, jinme se kayi to sakriya jwalamukhi the...

Meerasi, apne opretor ko dekhti hui... "Kya isliye is planet ka naam, Final Planet rakhe huye the kyonki iski jamin par ruke to hum apne final place ko dekhenge"…

Operator:- Meerasi mujhe nahi lagta ki yahan ki jamin par utarkar, yahan ke kisi janwar ko le jaya bhi ja sakta hai... Wo janwar yahin ke kshetr ki kisi antriksh yatri ki galti se apne elaake me pahuncha hoga."…..

Operator aur Meerasi dono baat kar hi rahe the, tabhi samne ke screen par jaise hi najar gayi, Meerasi chillati hui kahne lagi.… "Abort the mission"… "I repeat abort the mission"…

Najron ke samne kaleja chid'kar bahar nikal aaye aisa drishya tha. Dur-dur tak jahan najar jaye bada sa sapaat maidan, jahan par the Final Planet par basne wale jiv...

Koi apne kaamsutra me laga hua tha, to kayi aapas me khel rahe the.. maidan ke is bhag me halke laal rang me nar aur halke pile rang me madayen thi, jo 5-6 ke jhundh me the aur aapas me kayi sare kamo me sanlipt the...

Maidan ke is hisse me kya ho raha tha uska aaklan karna bilkul hi muskil tha, kyonki ek najar jo wahan ke jiv ko dekh le, wo heart attack se mar jaye... Sabhi stanpayi (mammals), apne dono paun par khade hone wale.. nar ka pura sharir halke balon se cover the..

Unke sarir ki banawat to insano ki tarah hi thi.. purn nange insan jis swaroop me milenge, unki roop Rekha aur banwat bhi waisi hi thi.. kewal jo anter tha wo uske sharir ka rang jo halke laal aur halke pile rang ka pratit hota tha.. aur unka aakar...

Aakhen fat jaye unka aakar dekh'kar, kuch aur fat jaye dekhkar wo to anterman ki pukar hai. Baharhaal jo najron ke samne the... unka aakar kuch yun tha ki paun ka ek panja 15 fit ki lambai ka hoga.. unka sarir kam se kam 30 fit ka ilaka gher leta ho, aur unki lambai kam se kam 200-300 fit to hogi hi... dekhkar hi shwans tham jaye..

Alag-alag disha se urr'kar jaise hi pancho viman us maidani ilake me the, sabki fat'kar hath me aa chuki thi... Meerasi abort the mission kah to rahi thi, lekin wahan khel rahe bachon ne jaise koi urrta hua khilona pakad liye ho.. pal bhar me hi pachon viman wahan khel rahe bachon ke hath me thi, aur pal bhar me hi sab jamin par..

Jaise hi yah ghatna hui, wahan ke kuch niwasi ne dekha aur sab ek sath chillane lage... Kaan faad wo chillana tha, jise sunkar kya-kya fat chuka tha viman me baithe sainikon ka, wo to wahi achhe se explain kar sakte the. Un giant insano ka samanya roop se baat karna hi behra kar de, fir to ye log jod-jod se chilla rahe the...

Mission abort hone se pahle hi pachon viman chhatigrast hokar maidan me the aur charo ore se unhe giant insan ghere... "Sabhi abhi bahar aa jao"… Itna kahkar ek giant insan ne pachon viman ke bich khali jagah me mukka maar diya...

Mukka parne se jo wahan kampan aur awaj paida hui, uske bhay se sabhi apne viman se bahar nikal aaye.. har kisi ke chehre par dar saaf dekha ja sakta tha.. kayi sainikon ke halakh sukh chuke the to kayi apni paint gili kar chuke the…

3000 hazar ki bhid me chand logon ko chhod diye jaye to sab yahi soch rahe the ki paun ke niche kuchle jayenge ya chutki se masle jayenge..

Meerasi yah najara dekhkar oprator ko missiles activate karne boli aur viman ko unke ilake me lene ke liye kah di.. Meerasi ke order turant follow huye... 2000 fit ki unchai par Meerasi ne apne viman sthir ki aur upar se announce karne lagi... "Hum dushman nahi hain dost hain.. hum yahan kisi ko nuksan pahunchane nahi aaye, humare logon ko jane do"

Meerasi ki awaj niche pachon viman me lage bhonpu se gunjne lagi, jise sunkar wahan ki fijaon me paglon wali hansi gunjne lagi… Ek giant insan ne jhuk'kar apne mutthi me 4-5 sainikon ko utha liya aur uske pass wale uske sathi ne uske hatheli par tali baja dali...

Sabhi soldirs aise hatheli par chipak gaye jaise machhar ko markar chipka diye ho.. aur wo giant insan apni hathli wahan ke khade viman ke ore kar diya.. Meerasi ka khun puri tarah se khaul gaya.. ataack ke aadesh dekar Meerasi ne apne viman me loaded chhote missaile se humla kar di..

Niche se goliyan barasni shuru hui aur upar ke viman se missile... 5 minute me hi wo ilaka dhuwan-dhuwan ho chuka tha. Meerasi operator ko rukne kahi aur dhuwa chhatne ka intzar karne lagi..

Jaise hi wahan ka dhuwan hata, samne giant insan khamosh khade the.. unme se ek ne fir se apne hatheli par 4-5 soldier ko rakha aur uska dusre sathi ne tali dete huye sanbko hatheli par chipkate huye kahne laga… "Yahan kewal tumhara bahubal kaam aayega, baki ke hathiyar Jin tatvon (ingredients/chemical) ke bane hai yahan ke jalwayu unhe un tatwon me ghol degi"…

Meerasi ko aisa laga jaise wo sadme me na kahin chali jaye.. test karne ke liye usne ilaka saaf karne wala missile chhod dee, jo 20 kilometer ke kshetr ko malwe me tabdil kar deta, bina dimag me dusra khyal laye ki niche wahan uske log fase hai..

Missile chhuta aur agle hi pal kewal wahan dhwan hi dhuwna tha aur dhuwan jab chhata tab is baar sabhi giant hans rahe the. Is baar 10 giant ke hateli par takriban 150 se jyada soldier...

Tabhi achanak wahan hooting hone lagi.. sabhi soldiers ek sath chillane lage.. hatheli par bhi jo khade apni maut ka soch rahe the.. wo sab bhi siti bajane aur hooting karne me lage the…

Haan unki awaj bahut dhimi giants ke kano me ja rahi thi, lekin jaa jaroor rahi thi... Upar aasman me jab unhone dekha to Meerasi ki viman ke sath dusra viman bhi pahunch chuka tha... Unhe aisa laga jaise us viman se koi chhoti si chij chhalang laga'kar niche kudi hai, jo teji se unke ore badh rahi hai...

Niche sainikon ki dhimi aa rahi hooting par wo sab hansne lage, mano kah rahe ho "pagal kahin ke" aur agle hi pal har hatheli par tali tokhne ke liye unka dusra sathi taiyar tha...

Ye bada sa 20 fit ka panja hawa me ek sath aur agle hi pal aise laga jaise wahan ke mahol me khamoshi si chha gayi... 10 giant jo apne hath upar kar chuke the, jabtak apne hath niche karte, kisi ke bahubal ne un giants ki pariksha leni shuru kar di thi...

10 giant jo hath uthaye tali marne ko taiyar the.… ek ke baad dusre aur fir teesre ne mehsus kiya ki ek hawa ka patla jhonka unke pass aaya aur gaya.. aur itne hi der me unka vishal, sharir sar se lekar paun tak, kayi hisson me bantkar khun ki dhar chhodte huye jamin par gira para..

Uss Bahubali ne tabahi ka yah manjar, sabhi giant ke palak jhapkne se pahle hi dikha chuka tha.. 10 uthe hath jo apne sathi ke hath par tali ki thap dete. Wo sabhi hath niche aane se pahle kat chuke the...

Kisi bhi giant ke muh se awaj nikalne se pahle hi bhadi bhadkam maans ke lothre maidan me the, aur ek ladka apne logon ke bich sina tane khada tha, jiske bade se khanjar se khun tapak raha tha…

Sabhi sainik wapas se hooting karne lage.. charo ore.. Nischal, Nischal, Nischal, Nischal... ki gunj hone lagi…

Pal bhar ka hi samay to liya tha Nischal ne aur 200 se 300 fit se unche 10 tower ko wo apne khanjar se mahaj chand second me chid-faad'kar niche jamin par gira chuka tha... Unke pass itna waqt bhi nahi tha ki apni maut ki pira par chilla de.. Na hi Nischal ne unhe itna waqt diya ki pahle wale giant ke ander jab wo khanjar dal raha tha, to aakhri wala apni tali ki thap de de.. aisa laga jaise slow motion me 10 hath niche aa rahe the jo inch dar inche niche aate-aate kat fat'kar bikhar gaye...

Gahri si chinkhen aur gusse se pagal giant insano ka swaroop pal bhar me aaya.. aur tabhi Nischal apne viman me lage bhonpu se sabko sunane laga...

"Doston ye kanjar beraham hai... Ek baar jab katna shuru karti hai to fir tum dekhoge ki tumhari aabadi kam ho rahi hai, lekin kuch kar nahi paoge... Charo ore bebas sa mahol hoga aur mai tumhe chinkhne ka bhi waqt nahi dunga"…

"Mai har safar par apni aakhri manjil soch'kar nikalta hun.. jise bhi mere khanjar ka shwad chakhna hai wo aage aa jaye.. Aur yadi aisi chahat na ho to humne aapas me bahut khun baha liya, koi hai jo baat kare ya fir tum sabko kaat'kar hi mai apne logon ko yahan se le jaun"…
 
Last edited:

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,813
32,597
259
Update:-1

Yatrigan kripya dhyan de Pune-Indore Express ki platform sankhya badal dee gayi hai.. Ab wo platform number 2 ke badle 5 par aayegi.. Aap ko hui asuvidha ke liye hume khed hai...

Jaise hi yah announcement hua, 40-50 ladkon ki bhid ek sath hungama karte huye kahne lage... "Huhhhh !!!! Ye railway wale, kha-m-kha pareshan kar rahe"…

Bhid ko awaj sunkar police wale daure chale aaye, aur tabhi wahan par ek ladka khada hokar kahne laga... "Aap sabhi followers se nivedan hai ki jyada shor na kare, isse madam ko aur any yatriyon ko taklif hoti hai..

nice update ..to jivisha ki memory poori khali ho gayi hai nishchal ke baare me ..par aisa kya hua tha jo wo sirf usko bhul gayi 🤔🤔..

alexa pehle laga ladki hogi aur baadme pata chala wo ladka hai 😁😁..aur ye naam usko jivisha ne diya hai ..( aur naina ji ki baato se shayad writer inspire ho ,wo bhi alexa review kehte rehti hai 😁😁.. ) ..

platform par bheed sirf jivisha ke liye thi 🤩🤩.aur wo vyom kya bolke gaya jivisha samajh hi nahi paayi 🤣..

chirag lambe jagah school me jata hai kyunki wo commissioner ki ladki shayad waha padh rahi hai 😁😁..

ab jivisha i.p.s banne ki taiyari kar rahi hai aur maa baap ne sahi kaha ki timepass kar rahi hai ..

par ye nishchal kaha chala gaya ? kya apne planet par gaya 🤔🤔.. last me kaha tha ki romance ke saath romanch bhi karna hai us ajnabi villain ko dhundkar 🤔🤔🤔..
lagta hai kahani aage chal rahi hai aur kuch khatarnak flashback aa sakta hai ..
 
KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,813
32,597
259
Update:-2

Somewhere In Universe...

Fauj ke kayi 5 bade-bade jahaj ek unknown planet par utar rahe the.. Har viman ke upar saaf aksharon (word) me likha hua tha.. "Middle State Of Aizem Planet"…

Sare viman kisi Aizem Grah ke Madhya Rajya se the, jinke hajaron ke tadat ki sainya tukdi us jagah par utar rahi thi.…

Viman ke land hote hi sainik apne viman se bahar utar'kar ek katar bana rahe the. Har sainik jaise hi us jamin par apne paun rakhta, bus itna hi khyal unke man me aata, "Kya manhush si jagah hai"

5 katar me tukdi khadi thi, aur har sainik umda technology se laish hathiyaron ke sath khade the... Har katar ke sabse aage me uss tukdi Front Officer khada tha, aur un 5 Front Officer ko command dene ke liye ek Suzerain thi.

Sabhi soldier jabtak katar laga rahe the, Suzerain Meerasi apne ek chief officer Nizal ke sath char kadam chal'kar us jagah ka muvayna karne lagi.. khusk hawa, hawa me ret ke kan.. charo ore bilkul tapa dene wala tapman aur jahan tak najar jaye kewal ret hi ret...

Kuch hi samay me puri tukdi katar me thi, Nizal bhi aakar apni team ke sath khada ho gaya.… Aur Meerasi apne tukdi ko mission samjhati...

"Aizem ki Uttari seema walon ne humare rajya me isi planet ke kisi janwar ko chhoda tha.. Us janwar ka tracker tum sabke screen par flash ho raha hai... Har tukdi ko uss janvar ko chhip'kar dhundhna hai.. anukul mauka dekh'kar usse maar dalo aur sabse aham baat.… Uttari seema wale iss kshetr me ghuse the, is baat ka sboot dhundh nikalo, chalo jao jao jao jaldi se jao"…

Meerasi sabhi soldiers ko command dene ke baad apne commanding viman me gayi aur wahan se har kisi par najar banayi hui thi.. jaise-jaise ye kshetr explore ho raha tha, Meerasi ko apne air-conditioned viman me bhi pasine aane lage the...

Soldier tukdiyon ki vaman jaise-jaise us kshetr ko scan kar rahi thi, kafi visamtayen aur khuffnak si jagah dikh rahi thi.. Har 50 kilometre par yahan ki jalwayu aur kshetr puri tarah se badla hua tha...

Retila ilake ke samapt hote hi ek bahut lambi aur utni si chaudi nadi wahan se gujarati thi, jiske pani ki dhara itni tej thi ki wo ummid ke pare the.. Uske thik aage jungle aur pahad shuru hote the, jiske pedon ki unchai aasman chhute the.

Jungle bhi kafi ajib, jiske bare me na to aaj tak kabhi dekha aur na hi suna... Har ped takriban 2000 fit mota aur 8000 se 10000 fit uncha tha.. aisa lag raha tha building ke badle yahan ped hi khade rahte hai...

Unki sakhayen itni moti thi ki aisa lag raha tha wo sakha na hokar, 1000 sal purana koi bargadh ka ped nikla ho dayen bayen se.… aur har sakha par viman ke barabar ki chidiyon ne jaise ghosla bana rakha ho...

Shwansen to tab ruk gayi, jab soldier aircarft ko achanak hi dayen-bayen puri takat se modne pare, kyonki junglon ke aage badlon se bhi unche pahad the, jinme se kayi to sakriya jwalamukhi the...

Meerasi, apne opretor ko dekhti hui... "Kya isliye is planet ka naam, Final Planet rakhe huye the kyonki iski jamin par ruke to hum apne final place ko dekhenge"…

Operator:- Meerasi mujhe nahi lagta ki yahan ki jamin par utarkar, yahan ke kisi janwar ko le jaya bhi ja sakta hai... Wo janwar yahin ke kshetr ki kisi antriksh yatri ki galti se apne elaake me pahuncha hoga."…..

Operator aur Meerasi dono baat kar hi rahe the, tabhi samne ke screen par jaise hi najar gayi, Meerasi chillati hui kahne lagi.… "Abort the mission"… "I repeat abort the mission"…

Najron ke samne kaleja chid'kar bahar nikal aaye aisa drishya tha. Dur-dur tak jahan najar jaye bada sa sapaat maidan, jahan par the Final Planet par basne wale jiv...

Koi apne kaamsutra me laga hua tha, to kayi aapas me khel rahe the.. maidan ke is bhag me halke laal rang me nar aur halke pile rang me madayen thi, jo 5-6 ke jhundh me the aur aapas me kayi sare kamo me sanlipt the...

Maidan ke is hisse me kya ho raha tha uska aaklan karna bilkul hi muskil tha, kyonki ek najar jo wahan ke jiv ko dekh le, wo heart attack se mar jaye... Sabhi stanpayi (mammals), apne dono paun par khade hone wale.. nar ka pura sharir halke balon se cover the..

Unke sarir ki banawat to insano ki tarah hi thi.. purn nange insan jis swaroop me milenge, unki roop Rekha aur banwat bhi waisi hi thi.. kewal jo anter tha wo uske sharir ka rang jo halke laal aur halke pile rang ka pratit hota tha.. aur unka aakar...

Aakhen fat jaye unka aakar dekh'kar, kuch aur fat jaye dekhkar wo to anterman ki pukar hai. Baharhaal jo najron ke samne the... unka aakar kuch yun tha ki paun ka ek panja 15 fit ki lambai ka hoga.. unka sarir kam se kam 30 fit ka ilaka gher leta ho, aur unki lambai kam se kam 4000 fit to hogi hi... dekhkar hi shwans tham jaye..

Alag-alag disha se urr'kar jaise hi pancho viman us maidani ilake me the, sabki fat'kar hath me aa chuki thi... Meerasi abort the mission kah to rahi thi, lekin wahan khel rahe bachon ne jaise koi urrta hua khilona pakad liye ho.. pal bhar me hi pachon viman wahan khel rahe bachon ke hath me thi, aur pal bhar me hi sab jamin par..

Jaise hi yah ghatna hui, wahan ke kuch niwasi ne dekha aur sab ek sath chillane lage... Kaan faad wo chillana tha, jise sunkar kya-kya fat chuka tha viman me baithe sainikon ka, wo to wahi achhe se explain kar sakte the. Un giant insano ka samanya roop se baat karna hi behra kar de, fir to ye log jod-jod se chilla rahe the...

Mission abort hone se pahle hi pachon viman chhatigrast hokar maidan me the aur charo ore se unhe giant insan ghere... "Sabhi abhi bahar aa jao"… Itna kahkar ek giant insan ne pachon viman ke bich khali jagah me mukka maar diya...

Mukka parne se jo wahan kampan aur awaj paida hui, uske bhay se sabhi apne viman se bahar nikal aaye.. har kisi ke chehre par dar saaf dekha ja sakta tha.. kayi sainikon ke halakh sukh chuke the to kayi apni paint gili kar chuke the…

3000 hazar ki bhid me chand logon ko chhod diye jaye to sab yahi soch rahe the ki paun ke niche kuchle jayenge ya chutki se masle jayenge..

Meerasi yah najara dekhkar oprator ko missiles activate karne boli aur viman ko unke ilake me lene ke liye kah di.. Meerasi ke order turant follow huye... 30000 fit ki unchai par Meerasi ne apne viman sthir ki aur upar se announce karne lagi... "Hum dushman nahi hain dost hain.. hum yahan kisi ko nuksan pahunchane nahi aaye, humare logon ko jane do"

Meerasi ki awaj niche pachon viman me lage bhonpu se gunjne lagi, jise sunkar wahan ki fijaon me paglon wali hansi gunjne lagi… Ek giant insan ne jhuk'kar apne mutthi me 4-5 sainikon ko utha liya aur uske pass wale uske sathi ne uske hatheli par tali baja dali...

Sabhi soldirs aise hatheli par chipak gaye jaise machhar ko markar chipka diye ho.. aur wo giant insan apni hathli wahan ke khade viman ke ore kar diya.. Meerasi ka khun puri tarah se khaul gaya.. ataack ke aadesh dekar Meerasi ne apne viman me loaded chhote missaile se humla kar di..

Niche se goliyan barasni shuru hui aur upar ke viman se missile... 5 minute me hi wo ilaka dhuwan-dhuwan ho chuka tha. Meerasi operator ko rukne kahi aur dhuwa chhatne ka intzar karne lagi..

Jaise hi wahan ka dhuwan hata, samne giant insan khamosh khade the.. unme se ek ne fir se apne hatheli par 4-5 soldier ko rakha aur uska dusre sathi ne tali dete huye sanbko hatheli par chipkate huye kahne laga… "Yahan kewal tumhara bahubal kaam aayega, baki ke hathiyar Jin tatvon (ingredients/chemical) ke bane hai yahan ke jalwayu unhe un tatwon me ghol degi"…

Meerasi ko aisa laga jaise wo sadme me na kahin chali jaye.. test karne ke liye usne ilaka saaf karne wala missile chhod dee, jo 20 kilometer ke kshetr ko malwe me tabdil kar deta, bina dimag me dusra khyal laye ki niche wahan uske log fase hai..

Missile chhuta aur agle hi pal kewal wahan dhwan hi dhuwna tha aur dhuwan jab chhata tab is baar sabhi giant hans rahe the. Is baar 10 giant ke hateli par takriban 150 se jyada soldier...

Tabhi achanak wahan hooting hone lagi.. sabhi soldiers ek sath chillane lage.. hatheli par bhi jo khade apni maut ka soch rahe the.. wo sab bhi siti bajane aur hooting karne me lage the…

Haan unki awaj bahut dhimi giants ke kano me ja rahi thi, lekin jaa jaroor rahi thi... Upar aasman me jab unhone dekha to Meerasi ki viman ke sath dusra viman bhi pahunch chuka tha... Unhe aisa laga jaise us viman se koi chhoti si chij chhalang laga'kar niche kudi hai, jo teji se unke ore badh rahi hai...

Niche sainikon ki dhimi aa rahi hooting par wo sab hansne lage, mano kah rahe ho "pagal kahin ke" aur agle hi pal har hatheli par tali tokhne ke liye unka dusra sathi taiyar tha...

Ye bada sa 20 fit ka panja hawa me ek sath aur agle hi pal aise laga jaise wahan ke mahol me khamoshi si chha gayi... 10 giant jo apne hath upar kar chuke the, jabtak apne hath niche karte, kisi ke bahubal ne un giants ki pariksha leni shuru kar di thi...

10 giant jo hath uthaye tali marne ko taiyar the.… ek ke baad dusre aur fir teesre ne mehsus kiya ki ek hawa ka patla jhonka unke pass aaya aur gaya.. aur itne hi der me unka vishal, sharir sar se lekar paun tak, kayi hisson me bantkar khun ki dhar chhodte huye jamin par gira para..

Uss Bahubali ne tabahi ka yah manjar, sabhi giant ke palak jhapkne se pahle hi dikha chuka tha.. 10 uthe hath jo apne sathi ke hath par tali ki thap dete. Wo sabhi hath niche aane se pahle kat chuke the...

Kisi bhi giant ke muh se awaj nikalne se pahle hi bhadi bhadkam maans ke lothre maidan me the, aur ek ladka apne logon ke bich sina tane khada tha, jiske bade se khanjar se khun tapak raha tha…

Sabhi sainik wapas se hooting karne lage.. charo ore.. Nischal, Nischal, Nischal, Nischal... ki gunj hone lagi…

Pal bhar ka hi samay to liya tha Nischal ne aur 1000 fit se unche 10 tower ko wo apne khanjar se mahaj chand second me chid-faad'kar niche jamin par gira chuka tha... Unke pass itna waqt bhi nahi tha ki apni maut ki pira par chilla de.. Na hi Nischal ne unhe itna waqt diya ki pahle wale giant ke ander jab wo khanjar dal raha tha, to aakhri wala apni tali ki thap de de.. aisa laga jaise slow motion me 10 hath niche aa rahe the jo inch dar inche niche aate-aate kat fat'kar bikhar gaye...

Gahri si chinkhen aur gusse se pagal giant insano ka swaroop pal bhar me aaya.. aur tabhi Nischal apne viman me lage bhonpu se sabko sunane laga...

"Doston ye kanjar beraham hai... Ek baar jab katna shuru karti hai to fir tum dekhoge ki tumhari aabadi kam ho rahi hai, lekin kuch kar nahi paoge... Charo ore bebas sa mahol hoga aur mai tumhe chinkhne ka bhi waqt nahi dunga"…

"Mai har safar par apni aakhri manjil soch'kar nikalta hun.. jise bhi mere khanjar ka shwad chakhna hai wo aage aa jaye.. Aur yadi aisi chahat na ho to humne aapas me bahut khun baha liya, koi hai jo baat kare ya fir tum sabko kaat'kar hi mai apne logon ko yahan se le jaun"…
nice update ... aizem grah ke log ek jaanwar ko dhund rahe the jo unke ilaake me aakar gaya tha ..

jis tarah ka waha ka warnan kiya hai padhne me maja aa gaya ,,ped ki unchaai ,,aur un giant ka description romanchak tha 👿..

to us jagah par aisa atmosphere hai ki hathiyar kaam nahi aate 🤔 un giant ne apni darindagi dikha di aur jab nishchal ki entry huyi maja aa gaya 😍😍😍..sabko kaat diya usne ..
aur ab wo giant baat hi karna chahenge aisa lagta hai 😁😁..
 
ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,117
158
wah bro behatrin update .................bro ye jivisha ki yaddast kese chli gyi.............wo to bhut hi powerful ledy thi na.,.........kher yaddast gyi to gyi but andaz abhi bhi whi h..........or yha nischal ka action seen kya hi khe ............dhoom macha di londe ne............overall behatrin starting..............
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,857
20,215
158
Update:-2

Somewhere In Universe...

Fauj ke kayi 5 bade-bade jahaj ek unknown planet par utar rahe the.. Har viman ke upar saaf aksharon (word) me likha hua tha.. "Middle State Of Aizem Planet"…

Sare viman kisi Aizem Grah ke Madhya Rajya se the, jinke hajaron ke tadat ki sainya tukdi us jagah par utar rahi thi.…

Viman ke land hote hi sainik apne viman se bahar utar'kar ek katar bana rahe the. Har sainik jaise hi us jamin par apne paun rakhta, bus itna hi khyal unke man me aata, "Kya manhush si jagah hai"

5 katar me tukdi khadi thi, aur har sainik umda technology se laish hathiyaron ke sath khade the... Har katar ke sabse aage me uss tukdi Front Officer khada tha, aur un 5 Front Officer ko command dene ke liye ek Suzerain thi.

Sabhi soldier jabtak katar laga rahe the, Suzerain Meerasi apne ek chief officer Nizal ke sath char kadam chal'kar us jagah ka muvayna karne lagi.. khusk hawa, hawa me ret ke kan.. charo ore bilkul tapa dene wala tapman aur jahan tak najar jaye kewal ret hi ret...

Kuch hi samay me puri tukdi katar me thi, Nizal bhi aakar apni team ke sath khada ho gaya.… Aur Meerasi apne tukdi ko mission samjhati...

"Aizem ki Uttari seema walon ne humare rajya me isi planet ke kisi janwar ko chhoda tha.. Us janwar ka tracker tum sabke screen par flash ho raha hai... Har tukdi ko uss janvar ko chhip'kar dhundhna hai.. anukul mauka dekh'kar usse maar dalo aur sabse aham baat.… Uttari seema wale iss kshetr me ghuse the, is baat ka sboot dhundh nikalo, chalo jao jao jao jaldi se jao"…

Meerasi sabhi soldiers ko command dene ke baad apne commanding viman me gayi aur wahan se har kisi par najar banayi hui thi.. jaise-jaise ye kshetr explore ho raha tha, Meerasi ko apne air-conditioned viman me bhi pasine aane lage the...

Soldier tukdiyon ki vaman jaise-jaise us kshetr ko scan kar rahi thi, kafi visamtayen aur khuffnak si jagah dikh rahi thi.. Har 50 kilometre par yahan ki jalwayu aur kshetr puri tarah se badla hua tha...

Retila ilake ke samapt hote hi ek bahut lambi aur utni si chaudi nadi wahan se gujarati thi, jiske pani ki dhara itni tej thi ki wo ummid ke pare the.. Uske thik aage jungle aur pahad shuru hote the, jiske pedon ki unchai aasman chhute the.

Jungle bhi kafi ajib, jiske bare me na to aaj tak kabhi dekha aur na hi suna... Har ped takriban 2000 fit mota aur 8000 se 10000 fit uncha tha.. aisa lag raha tha building ke badle yahan ped hi khade rahte hai...

Unki sakhayen itni moti thi ki aisa lag raha tha wo sakha na hokar, 1000 sal purana koi bargadh ka ped nikla ho dayen bayen se.… aur har sakha par viman ke barabar ki chidiyon ne jaise ghosla bana rakha ho...

Shwansen to tab ruk gayi, jab soldier aircarft ko achanak hi dayen-bayen puri takat se modne pare, kyonki junglon ke aage badlon se bhi unche pahad the, jinme se kayi to sakriya jwalamukhi the...

Meerasi, apne opretor ko dekhti hui... "Kya isliye is planet ka naam, Final Planet rakhe huye the kyonki iski jamin par ruke to hum apne final place ko dekhenge"…

Operator:- Meerasi mujhe nahi lagta ki yahan ki jamin par utarkar, yahan ke kisi janwar ko le jaya bhi ja sakta hai... Wo janwar yahin ke kshetr ki kisi antriksh yatri ki galti se apne elaake me pahuncha hoga."…..

Operator aur Meerasi dono baat kar hi rahe the, tabhi samne ke screen par jaise hi najar gayi, Meerasi chillati hui kahne lagi.… "Abort the mission"… "I repeat abort the mission"…

Najron ke samne kaleja chid'kar bahar nikal aaye aisa drishya tha. Dur-dur tak jahan najar jaye bada sa sapaat maidan, jahan par the Final Planet par basne wale jiv...

Koi apne kaamsutra me laga hua tha, to kayi aapas me khel rahe the.. maidan ke is bhag me halke laal rang me nar aur halke pile rang me madayen thi, jo 5-6 ke jhundh me the aur aapas me kayi sare kamo me sanlipt the...

Maidan ke is hisse me kya ho raha tha uska aaklan karna bilkul hi muskil tha, kyonki ek najar jo wahan ke jiv ko dekh le, wo heart attack se mar jaye... Sabhi stanpayi (mammals), apne dono paun par khade hone wale.. nar ka pura sharir halke balon se cover the..

Unke sarir ki banawat to insano ki tarah hi thi.. purn nange insan jis swaroop me milenge, unki roop Rekha aur banwat bhi waisi hi thi.. kewal jo anter tha wo uske sharir ka rang jo halke laal aur halke pile rang ka pratit hota tha.. aur unka aakar...

Aakhen fat jaye unka aakar dekh'kar, kuch aur fat jaye dekhkar wo to anterman ki pukar hai. Baharhaal jo najron ke samne the... unka aakar kuch yun tha ki paun ka ek panja 15 fit ki lambai ka hoga.. unka sarir kam se kam 30 fit ka ilaka gher leta ho, aur unki lambai kam se kam 200-300 fit to hogi hi... dekhkar hi shwans tham jaye..

Alag-alag disha se urr'kar jaise hi pancho viman us maidani ilake me the, sabki fat'kar hath me aa chuki thi... Meerasi abort the mission kah to rahi thi, lekin wahan khel rahe bachon ne jaise koi urrta hua khilona pakad liye ho.. pal bhar me hi pachon viman wahan khel rahe bachon ke hath me thi, aur pal bhar me hi sab jamin par..

Jaise hi yah ghatna hui, wahan ke kuch niwasi ne dekha aur sab ek sath chillane lage... Kaan faad wo chillana tha, jise sunkar kya-kya fat chuka tha viman me baithe sainikon ka, wo to wahi achhe se explain kar sakte the. Un giant insano ka samanya roop se baat karna hi behra kar de, fir to ye log jod-jod se chilla rahe the...

Mission abort hone se pahle hi pachon viman chhatigrast hokar maidan me the aur charo ore se unhe giant insan ghere... "Sabhi abhi bahar aa jao"… Itna kahkar ek giant insan ne pachon viman ke bich khali jagah me mukka maar diya...

Mukka parne se jo wahan kampan aur awaj paida hui, uske bhay se sabhi apne viman se bahar nikal aaye.. har kisi ke chehre par dar saaf dekha ja sakta tha.. kayi sainikon ke halakh sukh chuke the to kayi apni paint gili kar chuke the…

3000 hazar ki bhid me chand logon ko chhod diye jaye to sab yahi soch rahe the ki paun ke niche kuchle jayenge ya chutki se masle jayenge..

Meerasi yah najara dekhkar oprator ko missiles activate karne boli aur viman ko unke ilake me lene ke liye kah di.. Meerasi ke order turant follow huye... 2000 fit ki unchai par Meerasi ne apne viman sthir ki aur upar se announce karne lagi... "Hum dushman nahi hain dost hain.. hum yahan kisi ko nuksan pahunchane nahi aaye, humare logon ko jane do"

Meerasi ki awaj niche pachon viman me lage bhonpu se gunjne lagi, jise sunkar wahan ki fijaon me paglon wali hansi gunjne lagi… Ek giant insan ne jhuk'kar apne mutthi me 4-5 sainikon ko utha liya aur uske pass wale uske sathi ne uske hatheli par tali baja dali...

Sabhi soldirs aise hatheli par chipak gaye jaise machhar ko markar chipka diye ho.. aur wo giant insan apni hathli wahan ke khade viman ke ore kar diya.. Meerasi ka khun puri tarah se khaul gaya.. ataack ke aadesh dekar Meerasi ne apne viman me loaded chhote missaile se humla kar di..

Niche se goliyan barasni shuru hui aur upar ke viman se missile... 5 minute me hi wo ilaka dhuwan-dhuwan ho chuka tha. Meerasi operator ko rukne kahi aur dhuwa chhatne ka intzar karne lagi..

Jaise hi wahan ka dhuwan hata, samne giant insan khamosh khade the.. unme se ek ne fir se apne hatheli par 4-5 soldier ko rakha aur uska dusre sathi ne tali dete huye sanbko hatheli par chipkate huye kahne laga… "Yahan kewal tumhara bahubal kaam aayega, baki ke hathiyar Jin tatvon (ingredients/chemical) ke bane hai yahan ke jalwayu unhe un tatwon me ghol degi"…

Meerasi ko aisa laga jaise wo sadme me na kahin chali jaye.. test karne ke liye usne ilaka saaf karne wala missile chhod dee, jo 20 kilometer ke kshetr ko malwe me tabdil kar deta, bina dimag me dusra khyal laye ki niche wahan uske log fase hai..

Missile chhuta aur agle hi pal kewal wahan dhwan hi dhuwna tha aur dhuwan jab chhata tab is baar sabhi giant hans rahe the. Is baar 10 giant ke hateli par takriban 150 se jyada soldier...

Tabhi achanak wahan hooting hone lagi.. sabhi soldiers ek sath chillane lage.. hatheli par bhi jo khade apni maut ka soch rahe the.. wo sab bhi siti bajane aur hooting karne me lage the…

Haan unki awaj bahut dhimi giants ke kano me ja rahi thi, lekin jaa jaroor rahi thi... Upar aasman me jab unhone dekha to Meerasi ki viman ke sath dusra viman bhi pahunch chuka tha... Unhe aisa laga jaise us viman se koi chhoti si chij chhalang laga'kar niche kudi hai, jo teji se unke ore badh rahi hai...

Niche sainikon ki dhimi aa rahi hooting par wo sab hansne lage, mano kah rahe ho "pagal kahin ke" aur agle hi pal har hatheli par tali tokhne ke liye unka dusra sathi taiyar tha...

Ye bada sa 20 fit ka panja hawa me ek sath aur agle hi pal aise laga jaise wahan ke mahol me khamoshi si chha gayi... 10 giant jo apne hath upar kar chuke the, jabtak apne hath niche karte, kisi ke bahubal ne un giants ki pariksha leni shuru kar di thi...

10 giant jo hath uthaye tali marne ko taiyar the.… ek ke baad dusre aur fir teesre ne mehsus kiya ki ek hawa ka patla jhonka unke pass aaya aur gaya.. aur itne hi der me unka vishal, sharir sar se lekar paun tak, kayi hisson me bantkar khun ki dhar chhodte huye jamin par gira para..

Uss Bahubali ne tabahi ka yah manjar, sabhi giant ke palak jhapkne se pahle hi dikha chuka tha.. 10 uthe hath jo apne sathi ke hath par tali ki thap dete. Wo sabhi hath niche aane se pahle kat chuke the...

Kisi bhi giant ke muh se awaj nikalne se pahle hi bhadi bhadkam maans ke lothre maidan me the, aur ek ladka apne logon ke bich sina tane khada tha, jiske bade se khanjar se khun tapak raha tha…

Sabhi sainik wapas se hooting karne lage.. charo ore.. Nischal, Nischal, Nischal, Nischal... ki gunj hone lagi…

Pal bhar ka hi samay to liya tha Nischal ne aur 200 se 300 fit se unche 10 tower ko wo apne khanjar se mahaj chand second me chid-faad'kar niche jamin par gira chuka tha... Unke pass itna waqt bhi nahi tha ki apni maut ki pira par chilla de.. Na hi Nischal ne unhe itna waqt diya ki pahle wale giant ke ander jab wo khanjar dal raha tha, to aakhri wala apni tali ki thap de de.. aisa laga jaise slow motion me 10 hath niche aa rahe the jo inch dar inche niche aate-aate kat fat'kar bikhar gaye...

Gahri si chinkhen aur gusse se pagal giant insano ka swaroop pal bhar me aaya.. aur tabhi Nischal apne viman me lage bhonpu se sabko sunane laga...

"Doston ye kanjar beraham hai... Ek baar jab katna shuru karti hai to fir tum dekhoge ki tumhari aabadi kam ho rahi hai, lekin kuch kar nahi paoge... Charo ore bebas sa mahol hoga aur mai tumhe chinkhne ka bhi waqt nahi dunga"…

"Mai har safar par apni aakhri manjil soch'kar nikalta hun.. jise bhi mere khanjar ka shwad chakhna hai wo aage aa jaye.. Aur yadi aisi chahat na ho to humne aapas me bahut khun baha liya, koi hai jo baat kare ya fir tum sabko kaat'kar hi mai apne logon ko yahan se le jaun"…
:superb: :good: :perfect: awesome update hai nain bhai,
Behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
nishchal ne kya dhamakedar entry maari hai, Dil Khush kar diya hai :happy: ,
ab dekhte hain ki aage kya hota hai
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,347
304
Update:-1

Yatrigan kripya dhyan de Pune-Indore Express ki platform sankhya badal dee gayi hai.. Ab wo platform number 2 ke badle 5 par aayegi.. Aap ko hui asuvidha ke liye hume khed hai...

Jaise hi yah announcement hua, 40-50 ladkon ki bhid ek sath hungama karte huye kahne lage... "Huhhhh !!!! Ye railway wale, kha-m-kha pareshan kar rahe"…

Bhid ko awaj sunkar police wale daure chale aaye, aur tabhi wahan par ek ladka khada hokar kahne laga... "Aap sabhi followers se nivedan hai ki jyada shor na kare, isse madam ko aur any yatriyon ko taklif hoti hai..

"Huh, in railway walon ko to bus announcement karne aata hai.. aapko hui asuvidha ke liye khed hai".. Jaise hi yah announcement hua Jivisha platform kramank 2 se uthkar 5 par jane lali...

Bla ki khubsurat, jiske chehre ki chamak itni tej thi ki aas pass ke log na chahte huye bhi uske chehre ko dekhne lagte.. uski wo nili aakhen itni madhosh kar dene wali thi ki jis par najar bhar dhal'kar dekh le, wahin apne sine par hath dhal'kar baith jaye..

Is hushn par uske sarir ki banawat, bilkul chharhara badan, patli kamar aur aakrshit karne wale uroj.. kul milkar jise dekh'kar ek bar to gahri shwans khinch'kar khud se hi sawal karne lago… "Kaun hogi ye".. baki khatrnak armano ki to charcha he chhod dijiye...

Railway ki announcement par Jivisha gusse me uth'kar jab platform number 5 ke ore ja rahi thi, uske piche jane wale aashikon ki koi kami nahi thi... Aisa lag raha tha ek jagah ki puri bhid khali ho gayi hai…

"Alexa khyal rahe koi mujhe iriitate na kare aur na hi ashlil harkat. Aur abhadr comments huye to fir"… Jivisha ithla'kar chalti hui, usi ladke se kahne lagi, jisne announcement ke baad ladkon ki bhid ko samjha'kar chup karwaya tha, aur unhe shant rahne ki hidayat diya tha...

Alexa:- Don't worry Jivisha, mere hote huye koi dusra aise karne ki himmat nahi kar sakta.. .

Jivisha ghur'kar apne bayen dekhti... "Alexa, are you joking"

Alexa:- No miss !!! Alexa is in the mood of flirting...

Jivisha:- Alexa ab mai tumse baat nahi karungi…

Alexa:- To fir khana nahi pachega tumhara...

"Alexaaaaaaaa"…. Jivisha dhime se nakiyati hui kahne lagi... Pratikriya me Alexa ne smile dete kaha... "Looking aweosme today, smile please"…

Jivisha mobile thi to Alexa uske ghar ke bahar ka network. Bahar jahan bhi wo hoti Alexa usse company deta.. Haalanki uska naam kya tha ye to Jivisha ne bhi kabhi nahi puchhi, lekin ek wahi cute sa ladka tha jiski company Jivisha ko bahut pyari lagti aur uske javab dene ke andaj ko dekhkar uska naam Alexa rakh dee...

Jivisha pahunchi platform number 5 par aur jahan wo baithi wahan charo ore achanak he bhid bhad badh gayi.. isi bich dhuvan udati aur horn bajati hui train bhi pahunch gayi.. Jivisha jakar B3 coach ke pass khadi ho gayi…

Train lagi aur train se Jivisha ki sabse pyari saheli, Nandni apna bag liye utar rahi thi... Nandni jaise hi niche utri... "Kaisi hai meri Nandu"… Jivisha pure utsah ke sath gale lagti aur utni hi fiki prakriya ke sath Nandni, Jivisha ke gale lagti khud se hi kahne lagi… "football he bana de mujhe"…

"Arreeeeeeee, tu to kuch bol hi nahi rahi"… Jivisha, Nandni se alag hote hui kahne lagi…

Nandni:- Maine socha pahle tujhe hi pura bolne dun.. kyonki mai kuch bolti to tu bich me rok'kar mujhe kuchh kahne lagti.. iss se achha mai sochi tujhe hi mauka de diya jaye…

Jivisha:- Tera to ilaj karwana hoga Nandu, bahut tane dena sikh gayi hai...

Nandni kya javab de kuch samjh me he nahi aaya isliye bade aaram se kahne lagi, "Ghar chalegi ya saari baten yahin par kar legi"…

"Haan-haan, ghar hi to le jane aayi hun tujhe.… Aaaaaaaaaaaa... Pagal andha kahin ka, dekh kar nahi chal sakte"….

Jivisha, Nandni se baat kar hi rahi thi ki tabhi ek ladka daudta hua aaya aur dono ke bich se dhakka dekar bhagne laga.. jaise hi Jivisha chillayi, takriban 40-50 ladke ek sath chillaye... "Sale Jivisha ko dhakke markar bhagta hai.. pakad sale ko"…. Aur dekhte hi dekhte ladkon ki bhid daud'kar us ladke ko pakadne ki kosis me jut gaye...

Nandni:- Ab ye mat kahna ki ye bhis tere followers hai..

Jivisha:- bilkul sahi samjhi hai.. inme se tujhe koi pasand ho to bata dena... Teri setting karwa dungi..

Nandni:- Duffer kyon pran lene par tuli hai... Meri shadi pahle se ho gayi hai..

Jivisha:- Yaad mat dila fir tu, chupchap shadi kar li aur mujhe bataya tak nahi..

Pass hi ek piller tha, Nandni us piller par apna sar patakti… "sala kisne tere dimag ka reset button dabaya hai, uska gala ghont dungi main"…

Jivisha:- Aree aree aree.. mujhe Azad karwane wale ka gala ghontegi to mai tera divorce karwa dunga..

Nandni:- Mera divorce baad me karwana pahle apne aashikon ko sambhal...

Dono jabtak baten kar rahi thi, tabtak Jivisha ke aashikon ki bhid ne puri mehnat karke us ladke ko pakad laya, aur lakar Jivisha ke samne khada kar diya.. itne me he ek ladka sharmate huye... "Jivisha ise maine pakda"…

Najren nichi karke wo apne aediyon se jamin ko maslate is kadar Sharma raha tha ki Nandni aur Jivisha apni aakhen badi kiye use he dekhne lagi…

Jivisha:- Bhai tum pahle khud ko to sambhalna sikh lo... Aur tum sab aise bhid laga'kar.… Please irritate mat karo.. wo Alexa kidhar hai..

Nandni:- What !!! Alexa …

Jivisha:- Yes Alexa..

Nandni, apna bag uthati.. "Bus kar bahan chal yahan se ghar chalte hai.. tera pagalpan to din-w-din badhta ja raha hai"..

Jivisha:- Chup'kar, Alexa where r ju....

Alexa:- Present here..

Jivisha:- Alexa yahan ke bidh ko kinare karke is ladke ko meri car me bithao, akele me hisab kitab lungi ki ye mujhe dhakka mar'kar bina sorry bole kyon chala gaya..

Ladka:- Dekho mera naam Vyom hai.. aur mere piche log pade the isliye mai bhag raha tha... Ab chhodo mujhe aur jane do..

Jivisha, us ladke Vyom ko upar se niche tak dekhti… "Achhe mast hatte-katte gabdu ho... Chehre se thode pareshan jaroor dikh rahe ho lekin itne bhi nirash nahi lagte ki apna naam vyog rakh lo"..

Vyom kandhe ko jhatakte huye khud ko 2 ladkon ki pakad se chhudate…. "Bahut hi ghatiya kosis thi joke karne ki, chhodo ab rasta do, aur apne namuno ko sambhalo"…

Vyom, Nandni aur Jivisha ko kinare karte huye wahan se nikal gaya.. Jivisha uski baat par kuchh der tak sochne ke baad… "Alexa abhi ye kya bol'kar gaya"..

Alexa:- Tum bahut badi jhalli ho.. duffer ki synonyms ho..

Jivisha:- Alexa !!!!

Alexa:- Tumne puchha to bataya..

Nandni Alexa aur Jivisha wala drama dekh'kar jod-jod se hansti hui kahne lagi… "Wo ladka gaya bhi aur tu khadi khadi dekhti rah gayi.. chal ab"…

Dono thodi hi der me ek bunglow ke bahar khade the, jispar swarn villa likha hua tha… Nandni subah-subah pahunchi thi aur pura pariwar hall me hi chay par mil gaya..

Nandni ko dekh'kar lagbhag uska pura pariwar ander hi ander hans rahe the, jiski gawahi un sabke chehre de rahe the... Nandni un sabko dekh'kar apna bag darwaje par hi patakti… "Hans lo aap log lekin koi is nautanki ko mat samjhana"…

Jivisha:- Oye tu kyon itna chidhti hai.. dekh post graduation hum kar nahi paye to 2 sal sath rahkar kar lete hai.. kaun si badi baat hai...

"O bawri meri shadi ho gayi hai tu samjhti kyon nahi... Aur teri bhi to.." kahte huye Nandni khamosh ho gayi...

Jivisha:- Tu chill maar mere bade papa, Sudhanshu Rajput, ke yahan tera wo doctor aa sakta hai tujhse milne ke liye, itni chinta mat kar.. aur fir 2 sal ki baat hai, Kasak ke sath yun nikal jayenge.. tu thak gayi hogi aaram kar le...

Nandni apna bag lekar upar chali gayi aur Jivisha sabke bich baith'ti hui kahne lagi.. "Papa mai kya soch rahi thi"..

Papa Himamshu... "Haan beta tu kya soch rahi thi"…

Jivisha:- Mai soch rahi thi ki post graduation ke sath-sath na mai IPS ki bhi taiyari karun..

Himanshu apni beti ki baat sunkar chay me biskut dubo'kar kuch der chhodte huye... "Jivisha beta is biscut aur chay ki kahani se tum kya sikhi"..

Jivisha:- Yahi ki koi to gahri baat hai jo aap is chay me ghul chuki biscut ke madhyam se samjhana chahte hai.. shayad ye previous year ke IPS interview me puchha gaya sawal hai na papa..

Jivisha ka jawab sunkar piche se khi-khi ki awaj aane lagi. Itne me Swarn Villa Ghar ke sabse chhota sadsya aur Jivisha ke bade bhaiya Ravi aur Bhabhi Nandita ka Beta Chirag, apna school bag uthaye, honthon par "Tera hone laga hun, jabse mila hun" geet gungunate chala ja raha rha tha...

Himanshu:- Chirag yahan aa..

Chirag:- Off O dadu kitni baar bola hun ki school jate waqt distrub mat kiya karo, mujhe der se school pahunchne ki aadat nahi...

Maa Priya Rajput:- Mera ladla pota, kitni pareshani hoti hogi na tujhe dur school jane me.. yahan pados ka school bhi ab higher secondary ho gaya hai.. mai soch rahi thi, sixth class se baki ki padhai yahin pados ki school se kar leta..

Chirag:- Are nahi dadi, aap logon ke liye ek din school deri se chala jaunga, koi badi baat hai kya?

Himanshu:- Chirag ek baat bata, ye maine biscute dali chay ke cup me.. isse tu kya samjha..

Chirag:- Mere sath timepass kar rahe ho taki main school deri se jaun.. jab baat sajis ki ho rahi hai to aaj is ghar me faisla ho hi jaye..

Chirag ki maa aur Jivisha ki bhabhi Nandita, Chirag ko aankhen dikhati... "Juban jyada lambi hoti ja rahi hai kya, chal chupchap school ja"..

Jivisha:- Huhh ! Acha nahi hoga mere bache ko kisi ne chheda to.. betu tu school ja.. papa aap kya kahna chahte ho sidhe kah do na, baat kyon ghuma rahe ho..

Himanshu:- Isme baat kya ghumana hai beta.. jaise chay me biscute dubo'kar mai time pass kar raha, waise tu bhi IPS preparation ke naam par time pass kar rahi. Pahle bina chit kiye koi to exam pass kar le.. IPS banegi... Charprasi bhi ban jaye na to paun dho'kar pi lunga..

Jivisha apne dono hath aage dikhati… "Bas Mukhiya ji, itni bejjati aaj ke liye kafi hai.. Ab to mai jabtak Ips nahi ban jati .. tabtak sochungi ki kya karna hai.. lekin aap yah mat samjhna ki mai ye baat bhul gayi... Mukhiya ji ab junoon si hogi IPS banne ki..

Priya:- Best of luck beta.. IPS na bhi ban saki to gum mat karna… PS to pahle se hai..

Jivisha, apni maa Priya ko sawaliya najron se dekhti... "PS ka matlab maa"..

Priya:- Wahi beta jo tere naam ke aage suit karta hai.. Pagli-Sanki Jivisha.. short me PS Jivisha..

"Huh".. karti hui Jivisha wahan se uth'kar sidhe pahunchi apne ksmre me, jahan Nandni bistar par leti thi.. Jivisha uske pass let'ti.. "Ac compartment se aayi hai, fir bhi leti hai, chal uth.. pahle kuch kha le fir sona"…

Nandni:- Subah bhukh lagi thi to station par daba'kar bread omelet khayi thi..

Jivisha:- Chal na uth bhi ja, kitna soyegi.. din me so lena na... Mujhe tere sath dher sari baten karni hai.. aur tumhare doctor se bhi..

Nandni:- Mai bhi bahut sari baten karna chahti hun, lekin abhi ek nap le lene de.. Mere compartment me ek family thi aur unke gode me baby.. bechara baby andhre me rota tha aur light par wo khelne lagta.. ab wo khel raha tha to halla-gulla hota raha aur natija mai bhi uth'kar baith gayi..

"Mai tujhe bahut miss kar rahi thi.… Achhe sath wale waqt kitni jaldi bit jate hai na"… Jivisha kuch pal khamosh hokar kahne lagi...

Nandni, Jivisha ke ore karwat leti usse dhyan se dekhti.… "Tujhe sach me uske bare me ek lamha yaad nahi"..

Jivisha:- "Mai teri dost hun ya wo Nischal, jo tu har din mujhse yahi sawal puchhti hai... Pahle mai teri baat sunkar sochti thi ki mere sath wo "Sadma" film wala haal hua hai jisme shree devi pagalpan se thik hoti hai aur Kamal Hasan ko bhul jati hai.."

"Sirf tere kahne par mai apne ander ye feeling lati rahi 'ki nahi jiski chahat sachhe dil ki hogi, usse mujhe bhi pyar ho hi jayega'.. Isliye mai kayi dino tak yahi manti rahi ki mera bhi ek boyfriend hai jise mujhe samjhna hai.. lekin hua kya.."

"Kahan hai tumhara Nischal..… Kabhi-kabhi Nischal ke naam par tu mujhse khaffa si dikhti hai.. tere ander dikhta hai ki tu uski kami si mehsus karti hai.. Kya rishta kya nibhaya usne... Mujhe yaad nahi shyad mai pagalpan ka shikar thi, to fir wo kahan hai aur usse kyon kuch bhi yaad nahi.."

"Sach to ye hai ki wo jo koi bhi tha, uske jindgi se wo hisse gayab ho gaya, jisme hum the. Aur meri jindgi se un logon ka.. ek bus bich ki kadi tu bachi hai, jise sab yaad hai lekin koi fayda nahi, kyonki sachai tu bhi janti hai.. wo nahi lautega.."

"Mai to uske bare me yah bhi nahin kah sakti ki bhul'kar aage badh jati hun. Kyonki jab dimag me koi tasveer hi nahi to kya hi kar sakti hun mai.. bus tere liye mayus hai dil.. kyonki ek dost ki kami tumhe mehsus ho rahi aur mere rahte meri bahan aisi kami mehsus kare, aisa bhala ho sakta hai kya.. isliye tera rona band.."

"Haan samjhti hun ki ab tujhe jindgi ke dusre maze mil rahe kamini. Tu apne us nirdayi dost ko jo mujhse bhi badh'kar tha, usse tu apne pati ke sath chipak'kar bhi yaad kar sakti thi.. lekin mere pass tere wo bhi maze khatm.."

"Lekin janeman.. Are O Jumma, Meri Janeman.. jarra idhar to najre daal de.. Chumma De De Chumma… "

Kahti hui Jivisha apne honth dhire-dhire badhane lagi... Nandni hadbada kar uth'ti hui Jivisha ko takiye marti… "Tu kitni bhi sensible baten kar le, ant me aukaad par utar hi aati hai.…"…

"Abhi to sirf aukaad par utri hun janeman.. aage aage dekhti ja.. dil jigar jaan kahan kahan mai utarti hu"…

"Ae pagal.. tu dur hat.. lipatna-chiptna chhod"

"Ek dost to hun mai, to ab pati ki hi yaad aayegi na... La uss kami ko bhi puri kiye deti hun..."

"O jhalli.. bus kar tere rahte kisi ki yaad aa sakti hai kya... Mera bachpan laut aaya"…

"Pakka na... Ya jawani ke overdose ab bhi chadha hai"…

"Ab ye Jawani ka overdose matlab"

"Har baat ka matlab ho, kabhi-kabhi lay me betuki baten nikal jati hai.. punchline dekh bus.. jawani ka overdose.. mast hai na"..

"Tu pagal ho gayi hai"…

Kuch hi der me dono ki hansi us kamre me gunjne lagti hai... aur chahakti hui Jivisha ko dekhkar Nandni muskurati hui khud se kahne lagi… "Shayad aaj tunhare sawalon ka jawab nahi mere pass aur shayad kabhi na bhi ho, kise pata.. tu to hai na mere pass, mai isi me khush hun… wo bhi jahan ho khush rahe..."
first of all thank you nain11ster ji
Kya baat kya baat kya baat.... finally itne dino jivu ne xf pe padharne ki takleef ki.. toh kaise hai dear jivu ji... wah yeh toh khushi ki baat ki unke itne chaahne wale usse bhi khushi ki baat IPS ki taiyari kar rahi hai... :bow:... tusi great ho... par personal life mein atit ko leke kuch gadbari hai... nischal ko leke just bas formal baatein.. aisa kya hua... maybe aapki flashback mein kuch anhoni hua ho... yeh kya hua aisa ki aap, aap jisne dilo jaan chaahti thi ushe bhool ne ki baatein kar rahi hai... nischal ko bhool ke aap reh bhi kaise sakti hai jabki woh aapka pyar aapka sab kuch hai... koi raah pe para patthar nahi jise dekh aise bhool jayenge... sach mein dil dukha dene wali baat hai...
are wahhh nandu ne bhi entry le li hai par itni khoyi khoyi si...xf pe fir se dekh bahot khush huyi.. par kuch khoyi khoyi si hai... kuch toh hua hai... Lekin kya yeh toh writer sahab hi bata sakte hai...
aha arre apna chutku the great chirag... are are hontho pe yeh romantic geet kiske liye jara hume bhi bataiye.. kahi aarshi ke liye toh nahi...
Yeh buri baat hai.. yeh gharwale.. yeh log nahi samajhte pyar karne walo ki ashiqi ke baare mein.. hai na..
Priya ji ko dekh khushi huyi par pehle jaisi hi hai..
aur himashu ji ke wohi gyan ki baatein..
yahan pe ek kami khal rahi hai.... are kasak maidam kidhar kahi nazar nahi aa rahe :peep: are o kasak ji aap bhi bhi is kahani mein wapis aake kahani ki shobha badhaiye...
Nischal kaha hai nain saheb :bat:
Bin uske yeh kahani hi adhuri... kaha hai woh... jivu bhool gayi ushe.. woh bhool gaya sab kuch.. kya hai yeh sab... dijiye jawab...
Aur yeh Alexa yeh wahan kya kar raha hai :bat: ab kis se sawal puchu :p:
insaan hai ki robot :lol:
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji... :applause: :applause: :applause:
 
Top