• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,819
158
Aur haan mobile me hi type karta hun main to ... Pahle badi badi aankhen hua karti thi... Jab iPad aur laptop tha... Ab aankhon par itna jod para ki aankhen chhoti hui gayi hai... :cry: :cry: :cry:
To do teen din aakhne badi karne me Laga do. Koi baat nahi, jab mood ho tab hi do. Itani shandaar ladai dikhai hai ki ab usaki hi khumar se nikalane me do teen din to lag hi jaayenge. Waise ek baat; " ye jivisha ka Khumar kabhi nahi utarata".
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-109





Maharathi saje, ranbhumi saja, dhak gaya aakash.



Pahunche fir veeron ki toli karne anth'hin samrajya ka vinash..


Ajib sa mahol tha. Megh saman charo ore ka ghanghor kaala mahol. Manhushiyat jiske pag-pag par virajman. Aakash poora vimano se dhak kar aur bhi uss mahol ko kaala bana rahi thi...


Nischal apne bade se viman me baith'kar niche maut ke vyakul log ko hi dekh raha the... Niche anginat narbhakshi aur uska mukhiya, apne najren aakash ke ore gadaye kewal peratiksha me the ki kab Nischal aur uski fauj niche utre aur wo ek he pal me unki leela samapt kar de...


Aakash se vimano ka jakhira dhire-dhire niche aa raha tha. Sabse niche Nischal ka hi viman tha aur uske charo ore se York planet ka hawai kshetr gherta anginat viman...


Sabhi viman me ek sath Pratham flash hua... "Kyon dar to nahi lag raha na Sahjade"…


Astak:- Kya soch raha hai chuhe, aaj mere iss giant fauj ke paun tale tu aur tere log kuchle na jaye yahi soch'kar niche aane me teri fat si rahi hai...


Nischal, Serin ke ore dekh'kar muskuraya... Serin kisi dost ki tarah kahndhe par hath dalti.… "Sirf hum dono, kandhe se kandha mila'kar"…


Ek yodhha jo aaj apni poorn kshmta ke sath nikli thi... Serin apni leather tight yudhh ke poshak me thi. Kamar ke dono ore uski apni wo talvar thi, jise dono (Nischal aur Serin) ne mil'kar kabhi Jaal mahal me poore 128 din me banaya tha...


Mishrit dhatu ki yah talvar, Guru Vashudhar ke margdarshan me bani thi… 4 alag-alag prakar ke dhatu jo iss Brahmand ke charo kono se layi gayi thi... Serin ki kamar me 20 meter ki patli blade kisi kamarband ki tarah chamak rahi thi...


Kandhe ke dono kinare patli si chain bandhi thi... Ek chain Serin ki to dusri Nischal ki thi... Aur viman ke bahari kinare se laga tha 2 khas hathiyar...


Nischal, apne baju ki pakad ko tight karte…. "Hum aaj bhi ussi ran'niti se utarenge Serin... Sirf main... Command ab tumhare hath me hai Serin aur uske baad Aerobok. Ab main chala...


Jamin se lagbhag 4000 fit ki unchai... Sharir par bhasm lapete, gale aur hath me badi si rudraksh ki mala lapete... Dhamnnn ki ek jordar awaj se jaisi wahan ki bhumi kaanpi ho...


Log chillaye... Maro isse.…


Sakdon hath hawa me the... Ek sath hi bijli, aandhi aur toofan sabhi hathon me samete.. lekin shayad ye bhid hi dhal thi Nischal ki, kyonki jab charo ore se jhund ghere ho to kitne hath humle kar sakte the Nischal par... 10, 20, 50… iss se jyada haath uthte to khud ke hi logon ko ghyal karte...


Gahri bhul wali yudhh yojna jahan na to yuddh me sainikon ki katar thi jo dusron ko maarne ke liye jagah se aur na ki yudhh karne ka koi formation... Thi to kewal wahan bhid aur kayi kashmtawale Astak ke vansaj chillate huye...


Nirbhik Sahjada, apne nirdayi khanjar ke sath kud chuka tha. Dushmano ke hath hawa me, 100 hath bijli aur acid ke humle ko vyakul aur idhar...


Nabj me khun ki raftaar, Nischal ke daurne ke raftaar se bhi atydhik... Garm shwans aisi thi ki aas paas ka mahol ko poora garm kiye huye the... Bus chand pal ruka wo, paglaye vansajon ki chinkh suna, unke hath hawa me dekha aur agle hi pal, na to wo hath the aur na hi halakh se kisi ki aawj nikli...


Uski toofani daur ki raftaar shuru hote hi maut ki chinkh nahi nikal rahi thi, lekin hawa me Kate fate sharir ke chitre, ek sath jab hajaro ki sankhya me jabtak bhumi par girne ko hote, algle hajaron ke chitre hawa me hote...


Fir to kaatne me koi raham nahi thi... Daur aur santulan ka pura najara Nischal pesh kar raha tha jabki Surpmarich ki kripa se arbon ki sankhya me vansaj sainik, Nischal ke saman tej daur rahe the...


Tej daur to rahe the, lekin utna tej daud'kar, khuli aankhon se dekhna aur humala karte aage badhna bhi to aana chahiye.… Aankh munde andhi daur thi, fir to Abhedi chamri ko bhedne ki bhi jaroorat nahi thi... Tej daudte huye jab vansaj sainik Nischal se takrate, tab aukkad bhi samjh me aa gayi...


Na to Nischal ki abhedi chamri thi aur naa hi takkar se bachne ki ratti bhar bhi kosis... Bus jo tha, wo tha aage badhne ka junnon aur mahaakal ban'kar sabko kaal ke gaal me pahunchana... Takkad to aise ho rahi thi jaise ek fraction second me bomb phootna shuru tha...


Aate takarate aur boom. Chithre unke jamin par bikhre pare hote… Bhasm me lipte uss sharir par ratti bhar bhi asar nahi... Bus aage badhne ki than rakhi thi... Nischal aage badhta raha jise takkar maarne ka shauk tha wo takkar maarte rahe, lekin na Nischal ruka aur na hi ruka uska beraham khanjar...


Jis bhay ki baat Jivisha uss raat kar gayi thi... Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar… trarrateee aur kaanpte vansaj sainik bus hawa me haath utha'kar vayumandaliya urja ko samet hi rahe hote, itne me to Nischal unke chithre udaa'kar aage badh chuka hota...


Bhay aur khuff ka aisa manjar dikha raha tha ki baukhlayi vansaj sena paglon ki tarah bijli gira rahe the. Acid ki bauchhar kar rahe the... Nischal to tej daud ke sath nikal jata, chapet me kewal unke hi log aate, aur wahi ghayal hote ja rahe the... 5 me se 2 kosika vibhajit karne wali judwa ki maut to Zoren par hui thi... 1 kosiska vibhajit karne wale vansaj bilkul aage, Nischal ke daud ke raste me khade the...


Wah bhid wala rasta jahan apni fauj ke bich chhipa tha Astak aur Joy.… Ussi raste par 1 kosiska vibhajit karne wale vansaj, Nischal ke intzar me tha. Ek kilometer ka kshter hi khali tha, jisme kewal kosikayen faili hui thi aur yadi wahan ladai hoti to aisa lagta Nischal hawa se lad raha... Hawa se ladtna padts to yahi sahi, lekin aaj uske kadam kahan rukne wala tha...


Nischal aur uska beraham khanjar, pahunch chuka ths uss khali se 1 km ke kshetr ke pass, jahan vyakul anginat naa dikhne wale dushman ghat lagaye the...


Yun to uski daur ko koi kosika nahi pakad sakta tha... Lekin fir bhi Nischal uss jagah ko paar karne se pahle ruka... Dushmano ka ilaka saaf karke wo ruka tha... Aur jaise hi ruka kadakti bijli uske ore iss raftaar se, aur itna jyada vistar se pahunch rahe the ki sampark matr me aane se Nischal ka sharir ko khak kar de...


Ek hath me khanjar to ab dusre hath me tha naag dansh aur Nischal apni jagah par khada... Apne hath ke uss lambe se naag dansh ko samne ke ore utha liya… Aakash ke kilometet ke kshetr ko ghere biljli aur acid ka badal, khud-v-khud naag dansh ke muh se connect ho gaya, aur simat'te huye sab uske anader sama gaya. Thik agle hi pal Nischal ne sar ke upar se naag dansh ko gol ghuma'kar, jaise hi bhumi par patka...


Jo sameta tha usska 100 guna bahar aaya... Naag dansh ke vish me lipt, jiski chapet me thi 10km ke aas-pass ka ilaka aur uss kshetr ke sabhi vansaj fauj kale padkar, hawa me raakh bankar unki haddiyan tak udd chali thi... aur ussi ke sath jal chuka tha Astak ke vansaj ka wo abhiman bhi, jis akele ke dum par poore planet ko hi nigalne ka dawa karte the...


Kosika me vibhajit hone wala vansaj to bijli aur acid ke humle ke baad, Nischal par humla karne ki soch raha tha, lekin uss se pahle hi jhulas gayi thi har ek kosokauen.. jisme kisi ke ander ghus'kar nigalne ka dum tha...


"Tumhare ye badal, bijli, barshat mere kahar se nahi bacha sakte… yahan karne ko tum sab ke pass ek hi kaam hai, wo hai apne sathiyon ki maut dekhna. Kyonki maut tumhe kab chapet me legi, wo tum mehsus nahi kar paoge... Dekhna to dur ki baat hai"…


Thama karvaan fir chala... Hajaron Kate fate chitre, fraction of second me, hawa me hote. Un kate chithron ke niche aane se pahle, fir se hajaro chithre hawa me hote.… Rakranjit yah dharti hui ja rahi thi aur dark universe me kauff failaane wale, mutne lage the... Dimag sabke kabu hone ke baad bhi dekh rahe vansaj apne maut ke dar se thar-thar kaanp rahe the...


Bus kuchh pal ka fasla aur fir samne hote 2 dharti ke bojh, jise chid'kar iss dharti ko paavan bana dena tha... Badh chala fir Sahjada… mahakaal ka roop dharan kiye sabko chidte huye…


Tej si gati thi, laal aankhen aisi ki bhay ka parichayak sa bana tha, aur aankhon ke samne hi the dono... Joy aur Astak bade se aasan par baithe... Kadam to Nischal ke rukte nahi, lekin fir ek bhool ka ehsas Nischal ko bhi ho chala... Ek purani taknik, jo vilupt ho chuki thi, wo Nischal ke raftaar ke aade aa gayi... Jispar usse sochna chahiye tha...


Veg parivartak. Ek kushal dakshat ki bahut purani taknik, Jis se har Viggo ki gati ko shunya ki ja sakti thi... Usse ek jagah par khade hone ko vivash kiya ja sakta tha. Taiyari ke dauran ek chhoti si chuk thi jispar kisi ka dhyan nahi gaya aur samne Nischal ke saman hi 2 tej dushman dushman the.


Fir agle hi pal 2 khanjar utne hi teji ke sath Nischal ke uss nile sarir me ghus gaya... Rakht ki dhar khanjar ke niche se bahne lagi... Ek khanjar Astak ne bayen ore Nischal ke sine me ghusaya, to dusra khanjar Joy ne dayen ore se… Tej dard ki chinkh me wo lakh varg kilometer ka kshetr tharra gaya tha….


Dard ki wo aawaj upar vimano ki srinkhla par bhi sunai dee... Serin ussi pal ko rawana to hui... Lekin vimano ki shrinkhla ghiri hui thi adrishya vimano se... Ye bhi Zoren grah ki hi taknik thi, jo kisi jamane me, Mahamahim ne dur daraj ke technician se develope karwaya tha...


Serin apne samay se niche kudne wali thi, lekin kab unke vimano ki gherabandi hui kisi ko pata tak nahi chala... Aur Serin fans'kar rah gayi thi...


Nischal ki chinkh aur bhi tej hoti ja rahi thi, jab aage se ghusa khanjar pichhe pith se nikal gaya aur dhire-dhire dono ore se uske badan ko chidte huye niche aa raha tha...


Uske hath ka naag dansh uss chhaliya Surpmarich ke hath me thi. Nischal ka beraham khanjar Astak ke hath me... Dard aur gusse me lipt Nischal ki wo chinkh bhayawaah thi, jise sun'kar sab hans rahe the...


Ek chhaliya, aur ek kurur shashak ne mil'kar Nichal ko poora trap kiya tha... Nischal ke sine ke dono ore ghusa khanjar to aam hi thi, lekin usme lipt astak zahar, jise ek Dakshat samuday wale, Viggo ko marne ke liye istamal karte the, khanjar ko itna khas bana chuke the ki Nischal ka pahle se Nila sharir, ab gadha nile rang me tabdil hota ja raha tha… dur se dekhne par uska sharir bilkul kaala hi najar aa raha tha...


"Tumne kya socha, yahan aaoge aur mere samrajya ko tabbah kar doge"…. Gusse se pagal Astak ne khanjar se Nischal ke badan ko niche chidte huye chillaya.…


"Tumhe kya lagta hai mere hazaron varsh ki siddhi ko tum challenge kar jaoge... Bhulo mat mai Surpmarich hun... Maut bhi mujhe nahi maar sakti aur main jise marne ka soch lun, fir usse koi nahi bacha sakta"…. Surpmarich bhi chinkhte huye apni baat kaha aur khanjar ko Astak ke khanjar ke samanatar hi niche chidte huye la raha tha…


"Yahan tu mar raha hai, wahan teri jodi... Jiske gurur ki kahani meri raniyan khatm kar rahi... Wo raniyan jiske samne wo tinka barabar nahi, gurur ke sath mahal me ghusi thi shikar karne"… Astak chillaya aur sath hi sath Nischal ke najron ke samne ek screen par core planet ka najara dikhaya...


Surpmarich naag dansh ke upar lage naag ko apne hathon se noch kar bhumi par patka aur naag-dansh ko poori tarah se nishkriya karne ke baad, uss chhote se naag ke fan ko apne paun tale raund'kar, ek laat maar'kar kahin dur fenkte... "Ye tumhare 2 kaudi ke hathiyar... Inse mukabla karoge"…


Wahin Astak ji tod kosis karta raha khanjar ke energy stone ko nikalne ki, jab wo nahi nikal paya tab khanjar ko apne kamar me daal'kar…. "Niche tu mar raha hai... Upar teri bahan maregi kyonki tum dono ke maut ki kahani likhi ja chuki hai"…


Joy:- Hume andhere me rakh'kar khud par itna yakin ki 200 carore jahajon ka beda le'kar yahan aa gaya... Tujhe kya laga Vardali apni marji se wahan thi... Wo humare hukm ki gulaam hai... Kuchh sach bata'kar tujhe aisa phaansa ki tu sochta raha hum middle Universe se jankari lete rahenge, aur tum wahan mujhe rokte rahoge… Earth aur Middle Universe ki poori mission compromised hai, aur tumhari vajah se Vardali ko Orja bhi mil chuki hai...


Astak:- "Yahan tu hai, teri bahan hai, teri jodi hai. Middle universe ke tamam yoddha ke sath, tere 200 carore viman me se 199 carore viman Dark universe me hai... Jo ab humare 1000 carore viman ke ghere me hai"...

"1 caror viman ke sath tera wo viggo viman Zoren ke space station se kya kar lega. Usse de diye 2000 carore viman, joojhte huye kisi tarah apne air-strike ki kshmta dikhane ke liye... Baki mere 2000 carore viman me load ho chuke hain 40000 carore vansaj... Na sirf Middle Universe ke grahon par tabahi ka manjar hoga, balki humari fauj unpar kabja kar'ke, poore samuday ko hi nigal jayegi... Abhiyan pahle 10 grah se shuru hoga jo aakhri Zoren par khatm hoga"...

"Tum jaise badjaat ko sunane ab aa rahi hai meri sharv'shresth rani, kyonki usne tay kiya tha ki iss yudhh ka live telicast wo poore universe me dikhayegi... thik waise hi commentry jaise tu aur tere sathiyon ne kiya tha kabhi"…
O Teri ye kia tha astak or suprmirch ne chlave se nischal ko phans k khanjar us ki body Mai utar dia

Kia ye Jo joy ne kaha k vardali un ka hi ek piyada h kia ye Sach h
Usy orja bhi mil gayi

Let's see what happend
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-110






Ek ghinauni si jagah jahan kadam rakhte hi aisa mehsus hone lage ki yadi narak ki koi kalpna ki hogi, to issi jagah ko dhyan me rakh'kar ki hogi… Core planet ke bacche paida karne ki factory se lekar, usse jinda kaccha chaba jane ki ghinauna harkaten dur se hi iss core planet par mehsus ho jaye...


Apni maa ki sabse ladli dragon baby Meena, jab apni maa ke sath pahla kadam uss bhumi par rakhi, anjaane se dar ke sath apna bada sa sarir jitna sikod sakti thi, usse sikod'kar Jivisha ko bhinch lee.


Jivisha hawa ki badi si baahn banati uske poore sar par ek baar me hath ferti... "Teri maa abhi tere sath hai, kisi baat ki chinta karne ki jaroorat nahi hai tumhe. Nayla kisi ko bhi utarne mat kaho, sab viman me hi rahenge aur jaisa samjhaya hai wahi hoga. Meena tum Nayla ke sath viman me jao"..


Meena:- Maaaaa...


Jivisha:- Pagal hum unhe darane aaye hain… aur yaad hain na tumne maa ki kasam uthayi hai... Wo Arhcemia yahain hai...


Meena, Nayla ke sath viman me chadhti... "Maa hume jaldi call karna, intzar kar rahi hun"…


Shwetna:- Jakar suit up karo... Tum dushman ki jamin par ho… Tunhara darna tumhari maa ko kamjor bana sakta hai aur unki jaan ja sakti hai... Isliye dil majboot karo aur khud ko taiyar karo…


Meena haan me sar hilati hui wahan se ander chali gayi... Jivisha, Shwetna ke sath core planet ke core ilake me uss mashtishk mahal ke ore badhne lagi...


Jivisha:- Yahan ka mahol kitna ghinauna hai na...


Shwetna:- Ajib se narbhakshiyon ke hone ki bu hai Shashika... Sare gale se log jo insano ko chabate hain.…


Jivisha:- Mujhe bhi kuchh aisa hi lagta hai.... Ruko...


Viman takriban 200 meter ki duri par thi. Jivisha ne Shwetna ko rukne ka ishara kiya... Samne kuchh hi duri par wo bada sa mashtisk mahal... Jivisha kisi tarah ki seema ka anubhav kar'ke rukne ka ishara ki...


Jaise hi uske kadam ruke... Arhcemia ke tej hansi ki awaj charo ore gunjne lagi... "Tumhare chham-chham karte huye paun ki awaj ruk kyon gayi badjaat, aao aage badho"..


Shwetna:- Kash kuchh sanskaar sikh ler hoti... Chhodo ye bhi.. kash kuch jigra bhi hota ander... Tera grah, teri dharti, fir bhi dubki hui hai apne mahal me... Tum jitni ghinauni ho, utni hi badi darpok bhi"…


Arhcemia:- Ye yudhh niti hai... Aur hum apne surakha ghere me... Tumhari vishal si fauj mere darvaje par hai aur hum yaha 18 raniyan aur 120 upraniyon ke sath ander... Tum apni fauj le'kar ghuso..


Shwetna:- Kyon wo Surpmarich kisi rani me apna bij daal raha hai kya, iss planet ke kisi hisse me, jo wo yahan nahi hai... Ohhh shayad 121 up Raniyon ki ginti hogi... Ek uss Surpmarich ke sath bachhe ka bij le rahi, isliye 120 up rani aur Surpmarich ki koi charcha nahi..


Arhcemia:- Tujhe yudhh ke bich sambhog ka bada khyal aa raha... Kyon tere ya teri shashika ke ander bij nahi dala ab tak, iss baat se irshya to nahi... Kahin iss baat ka to malal nahi ki itna siddhiyon wala, tumhe ab tak apna bij kyon na de paya jabki ek lambe samay tak tha to tere hi pass...


Chham se payal ke chhamakne ki aawaj aayi aur Jivisha apna kadam aage badha chuki thi. Shwetna ne jaise hi kadam badhana chaha, usse Jivisha ke hath pichhe dikh rahe the jo na me ishare karti, aaage badh rahi thi…


Shwetna naag dansh ke baare me kahne lagi, lekin Jivisha usse bhi mana karti hui chali. Ek suddh aatma, ek kale ghanghore ilake me apne gurur aur abhiman ke sath ek ek kadam badhati hui chali ja rahi thi...


Chham-chham payal ki awaj ek lay me aana shuru ho chuki thi... Jivisha khuli aankhon se uss jagah ke charo ore ka najara dekh rahi thi... Ek bahut bada brain jiske ander Jivisha thi aur samne wo mahal tha. Uss brain ka central nervous system...


Ek dead brain me ghusne ka natija Jivisha janti thi. Ek dead brain me gum hona usse pata tha... Ek dead brain se agar Jivisha khud bahar nahi aa pati hai, tab jo bahar aayegi wo Jivisha nahi hogi...


Ek aisa prangan jo anant universe jaisa tha. Iska kendr to issi ke garv me tha lekin iska sanchalan kahin aur se ho raha tha. Koi aisa jiska gyan aur shaktiyan anant thi... Aur aise sanchalak ke prangan me Jivisha bina uske anumati ke ghusi thi…


Chham-chham karti wo aage badh rahi thi aur tabhi samne chudail ki shkal aur thik waise his bhesh me, hawa ke do shaye Jivisha ka rasta roke khade… Jivisha apni tej chamakti nili aankhon se dono ko ghurti... "Humla karne ke liye muhrat dekhogi kya???"…


"Tum yahan humare humle jhel paogi kya??"
"Tumhe maarne se pahle humne socha baat kar len"…


Dono ek ek kar'ke apni baat rakhi. Haalanki Jivisha unki baten sun kam rahi thi aur charo ore ka jayja jyada le rahi thi..… itne me wo dono Jivisha ke aas-pass mandrane lagi...


Agle hi pal Jivisha kisi shaye ki tarah uss mahol me gayab ho gayi aur attahas se paripoorn uski hansi.… "Mujhse hi khelne ki kosis rahi ho dono, tum aur tumhari jaisi maujood sabhi aatmaon se ek hi baat kahna chahungi.... Aaj main bilkul baat karne ke mood se nahi aayi aur aage jab koi mujh se milo to yah ummid mat rakhna ki main kisi ko chetavni de'kar marungi"…


Jivisha apni baat khatm kar niche bhumi par aayi aur apne ek hath ka sikanja jaise hi usne kasa, un dono Sayon ke gale par Jivisha ka panja kasta chala gaya...


Dono saye apne gale par aise hath pakdi, mano poori takat laga'kar Jivisha ke hath hatana chah rahi ho... Shawns na le pane ki ghutan unke chehre par saaf dekhi ja sakti thi...


Mahol aisa ho gaya ki unke pran ab tab me nikalne wale the. Lekin issi bich 16 raniyan samne ek sath khadi dikhi, jisme sabse aage Arhcemia thi. Jivisha ko dekh'kar wo jor-jor se hasti hui.....


"Vish-Jivisha ke badle murkh Jivisha kah dun to galat nahi hoga… number 8 jo bharm jaal ki mahir hai aur number 12 jo hamesa adrishya rahti hai, unhe hi maarne chali thi... Hahahaha... Ab dekho iss jagah ka kamal"…


Arhcemia ne hath ka ishara kiya aur... Aur wo dono Shaye bhi un 16 ke sath aa'kar khadi ho gayi, aur Jivisha hairani se samne dekhne lagi..


Number 12:- Kyon jhatka laga kya? Bechari hairan hai...


Jivisha:- Kitne log iss haram me gulaam ho, jo aapas me naam ke badle number se bulate ho...


Arhcemia:- Ab to main bhi baat karne ke mood se nahi hun... Iss badjaat ki itni himmat ki ye humare ilake me aise tan kar khadi thi... Iski wo nagin sathi hume lalkaare... Pakad kar lagbhag pran nikal lo iske, lekin maarna mat, kyonki abhi pahle inhe joker to bana lene do...


Jivisha:- Oo yahan chhoti si samasya hai...


Aur itna kah'kar Jivisha bilkul dhuyen ki tarah gayab ho gayi... Charo ore se chham-chham ki awaj aane shuru ho chuke the... 18 raniyan aur sath me Arhcemia apne dimag ko poore mahal me khula chhode thi...


Issi bich Jivisha ek baar fir attahas se paripoorn apni hansi hansti... "Ek adrishya aur dusri bharm jaal"…


Hansi ke bich Jivisha ne 2 Raniyon ke bare me kahi... Sabhi Jivisha ko dhundh rahe the aur issi bich un sab ko wo dono raniyan hawa me dikhi.. number 8 aur number 12 ki kali lahrati hui body, bilkul hawa me aise bandhi thi, mano faile hui rui ko poora kaskar bandh diya gaya ho aisi sikudi hui thi dono.


Jab tak koi unhe madad kerne ke liye apni jagah se hil pata, dhuuu se aag lag gayi... Jaise petrol chhidak kar kisi ne machis laga di ho... Ek pal pahle Jivisha ne sabko apni baton se khincha aur agle hi pal dhuu-dhuu karke unka sharir jalne laga...


Chham-chham payal ki awaj charo ore se aise aa rahi thi, mano koi in logon ke kaan me rod ghusa'kar teasing kar raha ho. Pratham issi mashtishk mahal me baitha hua tha… jise York ladai ke maidan se kuchh der ke liye relief mili thi..


Surpmarich bhi ab bachi hui 16 Raniyon ke sath khada tha. Agle hi pal wo 3 Raniyon ke sath gayab hua... Ek rani jisme bijli ki shakti thi, ek rani jisme hawa ko bandhne ki shakti thi, aur ek rani jonk ki bhanti thi jo kisi ke bhi upar chipak'kar usse poora apne ander chuste huye khinch sakti thi...


Surpmarich Sampurn mantr ka malik tha, jo kisi bhi aatma ko bandh sakta tha... Wahin Jivisha Akshnd mantr ki malkin, jo apne mantr jaap se apne aatma ko vibhajit kar sakti thi... Haan lekin dono mantr me sadaiv Sampoorn mantr upar hi raha hai, kyonki ye aatma ko sidha sharir se jod deti hai... Uske baad yadi aatma tooti to mul sharir tootega aur natija nischit mirtyu...


Ek shaitan 3 shayak ke sath apni siddhi ka parichay dene nikla... Ek mashtishk jaal jo Jivisha ke shaktiyon ke viprit kaam karta tha... Ek masthisk jaal jo mrit mashtisk ke saman tha aur Jivisha mrit mashtisk ke viprit kaam kar rahi thi..


Mantron ka jaap jaise hi hawa me failna shuru hua, wahan arbon aatmayen na jane kaun-kaun se bil se nikalna shuru kar chuki thi… Wo aatmayen uss mashtishk jaal ki rakshak thi shayad, jise Surpmarich jagaa chuka tha aur usse teen hisson me bant diya tha, jiski mukhiya wo teen raniyan tha...


Jis rani ki jaisi shakti thi, wo arbon kali aatmayon ke pass apni shaktiyon ke sath-sath uske mukhiya rani ki shaktiyan bhi sama gayi.…


Chham-chham ki aawaj charo ore se aati... Kaali raat sa mahol tha. Arbon kaale saye ki laal aakhen tim tima rahi thi… Bahar se dekhne par kisi ko kuchh pata nahi chalta ki ander kya ho raha hai... Uss mashtishk ki seema ke ander ghus'kar Jivisha bhi abhi tak uss mahal yani CNS tak nahi pahunch payi thi...


Ek vikrut siddh purush Pratham ne apna poora jaal bichha diya tha… Jivisha bhi arbon dushmano ke bich ghiri, apni maujoodgi se sabko bhaybhit kee hui thi... Ek ore se hawa ko hi bandhne wali arbon aatmayen thi.. to dusri ore se arbon aatmayen bijli ka aisa kadkate najare dikha rahi thi, jiske sampark me aate hi, Jivisha poori tarah se achet ho jati... To teesri, arbon aatma ko jonk (leech) ki tarah cipkana aata tha... Bus wo ek mauke ki talash me the ki kaise bhi kar'ke ek baar wo Jivisha se chipak jaye... Fir ek ke baad ek sabhi parijivi parbhakhi (Parasite Predators) apne hi sathi aatma se chipkate huye, Jivisha ke upar poorn roop se chipak jaye...


Idhar Jivisha... Apne wahan hone ke poorn parichay deti, fijaon me chham-chham kar'ke apne Payal kee dhun charo ore bikher rahi thi… Jivisha uss jagah ke charo ore hawa ki tarah mandra rahi thi... Janlewa zahar ki tarah phail chuki thi... Akshnad mantr ka jaap aisa tha ki arbon ke bich me hath aa'kar bhi hath nahi aa rahi thi. Aur in sab ke bich jab uska kahar barasta tab koi mauka na milta bachne ka..


Hathon ke ek ishare se, zoom se ujli si raushni wahan charo ore phail jati aur uss raushni ki chapet me aa'kar kali aatmayen dhuyen ki tarah bikhar jati... Sabhi kaali aatma Jivisha ke charo ore mandra ke usko quid karne ki kosis me juti thi, aur Jivisha itni teji se unke vprit ghum'kar, unki kaali aatmaon ko baandh'kar iss had tak apna pressure badha deti, ki jhundh ke jhund foot'kar bhikhar jaate…


Wah aise humle kar rahi thi ki aatmaon ko Jivisha me bhakshak (consumer, eater) najar aane laga tha aur sabhi apne mukiya Raniyon ke sath poorn bhay se aage badh rahi thi... Dayra simat'te ja raha tha, Jivisha ka kahar baraste ja raha tha... Issi bich 4 leech aatma kisi tarah chipakne me kaamyab ho gayi...


Jaise hi wo Jivisha ke sharir par pahunchi fir to Jivisha par ek sath arbon aatamyen jakar chipak gayi... Uski gati sthir thi, uske sharir ko nigla ja raha tha.…. Surpmarich ne turant hi sampoorn mantr ke jaap se, Jivsha ke aatma ko suke sharir se bandh diya... Aur uske agle hi pal...


Aatma khinchne wali Astak ki rani ne turant apna fanda fenka aur Jivisha ki lagbhag aatma khinch kar quid kar chuki thi, matr kuchh ansh bache huye the... Aur Jivisha ke sharir par chipka tha jonk... Aisa lag raha tha Jivisha ander aur bahar dono jagah se mari thi... Bus itni jaan baki ki wo aankehn khol'kar sab dekh sakti thi..
Zabardast awesome interesting update

Jivu bhi in sab ki pakr Mai a gai
Dekhte hain kia hota h agy
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,679
174
Kamal karte ho bhaya
Pahle to Luna bhabhi ji :D ne jo formation dikhaye hai gragon baby or earth space craft ke sath milkr (ab bhabhi hi bolna padega jb Luna ji ko astak ki foj nhi rok payi vo kitni Khatarnak hogi samajh lijiye Isiliye) vo mere liye akalpniya hai Vaise to Nainu bhaya ke liye vo dialog fit baithta hai "jha pr sari duniya sochna khat karti hai vha se hmare Nainu bhaya sochna suru karte hai " kya kohram machaya hai Luna ji ne astak ke vanshajo pr Lagbhag 70% to uda hi di hogi
Fir aati hai apni jivisha bhabhi ji :D ab inse to bach kr kahi ja hi nhi sakte kya kya nhi kiya inhone pure universe se sampark sadha hua hai inhone kaha tk bhagoge :D isliye jivisha, Luna se no majak or ha vo apni nagin svetna vo to or hi jyada Khatarnak hai sala sar se Kon ghusta hai be sar pe baithne tk to Thik tha, Chalo sar pe tandav bhi thik hai pr sar se ghusna na baba na e jyada ho rha mere liye is nagin pr line marna band ab se mere liye meri Gharvali hi Thik hai abhi bat karunga usse pta chla naraj ho gyi to oh ha to kaha tha Mai jivisha ne apne baccho or pidit viggo samuday ke sath milkr jo tandav racha hai mera halakh sukh gya tha padh kr mujhe lga kahi mera flart Karna pta Chal gya to kya hoga mera :D
yha apne supermachis ne kayi jagah apni tili jalane ki Kosis ki pr bechara astak ki raniyo me aisa khoya ti jivisha ke samne apni tili jla hi na paya to aag kaha se lagti baba :D
Yaha surpmarich ko sabak le lena chahiye ki jb jivisha ne bar bar btaya ki Mai vish Nailayani nhi hu to usi ki siddhi kyo prayog kr rha hai pr e to bhaya kutte ki dum hi rha na to jivisha ki bat samajh paya or na hi kuchh alag kr paya purani chori ki gyi siddhiya Ha bhai akhir hai bhi to pakka vala chor :D
Nishchal bhaya to magarmaksh ka chara bn gye pr dekhne vali baat hai ki kaise jugad Lgate hai mahabali bs nishchal ka khanjar astak prayog na kr paye
To jyada bor na karte huye itna hi kahunga mere bs ki na hai nain11ster bhai ki adhabhut akalpniya vilakshan granth ka sar sankshep likh saku
🙏🙏🙏 :adore: :adore: :adore: 🙏🙏🙏

Superb awesome updates
maine 5 part se revo na diya strange world 1st me busy tha usko finish krke aaya hu abhi revo dene jana hai uska bhi

:applause::applause::applause:Awesome wonderful writing skills & great story teller one and only nain11ster bhai
:applause::applause::applause:

:popcorn::popcorn::popcorn::popcorn::popcorn::popcorn::popcorn::popcorn::popcorn:
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-111




Shwans tootne se lage the.. Sharir jawab sa de chuka tha… dimag dono ke bojhil se the aur aakhen khuli hui... Ek lambe dard ki chinkh ko bardast kar gaye the... Pahle Nischal jis dard me tha... Wahi dard Jivisha bhi mehsus kar rahi thi...


2 bol (Astak aur Joy) chuke the, chinkh chinkh'kar... Teesri apna shikar pakadne ke baad ab sabse ru-baroo thi... Astak ke 4000 carore Viman ke vishal bede poore Middle Universe ko gher rahe the. Inme se 2000 carore vimano ka beda Zoren ki seema par, Viggo viman aur uske 1 carore ke bede ko ghere the. Vimano ki sankhya itni thi ki, Viggo Viman Universe ke kayi lakh kilomter tak dushman jahajon se ghira tha...


Yadi dushman vimano ko Viggo viman shikast deti hui rasta banati, to bhi usse lamba waqt lagte rasta bananane me. Waise bhi Luna ke pass itna waqt nahi tha, kyonki 64000 carore vansaj fauj ke sath, 2000 carore viman, middle universe ke har 6000 grahon me se, un grahon par utarte jahan jivan tha. Wo mahaj kuchh der me sabhi 6000 grah ek saman dikhte… bina jivan aur aabadi bina...


York ke maidan me Nischal fansa, Core planet par Jivisha. Jitne sare viman Dark universe me ghuse, sab 1000 carore ke bede me fase. Luna fansi thi 2000 carore vimano ke bich. Aur 64000 carore vansaj sipahi ke sath 2000 carore viman phail raha tha poore middle Universe me...


Arhcemia fir connect hui... OMU (organization of Middle Universe) se.. apne logon ke fajihat aur ghor apman ka badla lene... Tabahi ka manjar poore Middle universe me failta najar aa raha tha... Aur ussi ke sath Arhcemia sabhi planet ke kone-kone me lagi screen par dikh rahi thi...


Split screen par ek ore jahan sabhi log poore Middle Universe par 2000 carore ke khatre ko, sabhi jivan wale planet ke ore badhte dekh rahe the, wahin unki surakha ki jimmedari liye commanding viman, Viggo viman ko iss kadar ghera gaya tha ki wo nikal na sake...


Ek split screen par inke lagbhag 200 carore viman jo Dark Universe pahunche the, unhe ghera ja chuka tha aur Astak ke vimano se Middle Universe ke vimano ki jung shuru ho chuki thi... Bus in vimano ke liye York ka vayumandaliya kshetr bhadi par gaya...


Wahin ek kinare Jivisha ko dikhaya ja raha tha, jo hawa me thi... Aise lag raha tha poore badan me anginat chhed kar diye hon, khun se lahu luhan poora badan aur paun se niche tap-tap karte khun chu raha tha…


Nischal bhi ye najara dekha... Khud kitne dard me tha wo yaad nahi, lekin Jivisha ka dard dekh'kar wo chhatpata gaya... Jabki 2 khanjar, dayen aur bayen kinare se, na jane ander kis-kis organ ko chidte huye kamar tak pahuncha tha...


Khanjar ke niche se lagatar khun ki dhar bah rahi thi. Jivisha ki aankhen khuli thi. Dimag bhi poore hosh me tha aur screen ka najara usse Nischal ki toot'ti shwans ka aabash karwa raha tha... Uske aanshu chhalakne lage...


Aur 4 split screen ke bich Arhcemia ki wo paglon wali hansi... Apne heros ko marte dekh aur har grah par badhte khatre ko bhhanp'kar, aam log apne pariwar ko samete... Anjaane bhay ko apne ore badhte dekh rahe the…


"Abhi to yudhh ka pahla ghanta bhi nahi bita hai aur tum sab ghutno par ho. Kya socha rakha tha Astak aur uski vansaj sena ke bare me... Koi aam sena nahi thi ye badjaton, jo tum sab ne kabhi humara mazak bante dekha tha... Mera wada hai aaj ka din khatm hote-hote tumhe apni hansi ka poora pachtava ho jayega"...

"Abhi to bus badhti maut ko dekh'kar aanshu aa rahe honge... Abhi to in 2 nakaaron ko dekh'kar ye ehsas hua hoga ki kamjor ko kabhi bhi lalkarna nahi chahiye... Bus kuchh der ruko, fir inke jaisa haal tumhara bhi hoga... Kaat do in dono ka gala"….


"Abhi itni jaldi bhi kya hai, Arhcemia… jo log mujhe nahi jante unhe main apna parichay deti hun... Mera naam Luna hai, aur main uss bekhuff Sahjade ki sagird hun jo agni ki shwans apne jism me bhar raha hoga"…

"Meri kabiliyat ko dekh'kar mere master ne apne post se retirement le liya, aur mujh par poore middle universe ki sena ke kaman ka bhar daal diya... Arhcemia tu Dark Universe ko sambhal, kyonki aaj ka din khatm hone se pahle, tujhe bhi samjh me aa jayega ki apni maand se dobara apne jahaji bede ko bahar bhej'kar kitni badi galti ki hai... Aur mai Luna, Aizem ki ek jungi sipahi aur OMU ki sena-nayak, wada karti hun, aaj hum koi raham nahi katenge"…

"Soldiers inke 4000 carore viman humari seema ke kafi ander ghus aaye hain… rasta seal karo aur sabko maza chakhao... Ek bhi viman aur uska sawar jinda na jane paye... Screen par bhaukne wali iss joker ko iski aukaad dikhao"…


Antriksh ko ghere arbon mile vimano ka beda... 2000 carore dushman ke viman gol-gol ghera banaye, Viggo viman ke sath 1 carore viman ko ghere khade... Luna ne jaisi hi apni awaj buland ki, middle Universe ke nirjan plnets se jahajon ke bede udd chale...


199 carore Middle universe ke viman kone-kone se ek sath nikle. Kul 199 tukdiyon ki formation me thi... Jisme 2.5 lakh Hayber metel ke viman ke bich me, circle formation ke sath aage 1 carore viman aage badh rahe the... Jo apne sath bich me 5 lakh earth ke fighter jet samete the...


Yun to Astak ke vimano ka humla alag-alag planet par hota, lekin Dark Universe ke vimano ki sankhya itni vishal thi ki universe ke uss hisse me, hawai kshetr me pichhe hone ki jagah hi nahi bachi thi...


Asatk ke sabhi viman phaile huye the aur kayi sare jhundon me alag-alag direction me the... Jin tukdiyon ko planet par utarna tha, wo apne viman ka direction planet ke ore kiye the, aur jinhe Viggo viman aur uske 1 caror ki tukdi par humla karna tha wo sab ke sab viggo viman ke ore mude the...


Viggo viman aur uske 1 carore bede ke pass to arbon miles ka, dushman ke vimano ki ghumavdar sidhiyan bani thi... Humla karne ke liye ek bade circle ke thik kuchh fasle pichhe, pahle circle ke thik upar dusra circle... Aur aise hi fasla bana'kar ek ke thik upar dusra circle banaye 2000 carore viman apni formation bana rahi thi…


Luna ki command ka pahla order ke sath hi 199 tukdiyan apne formation me, 199 alag alag hisson se bahar aayi. Sabhi vimano ke bede apne round circle me aage badh rahe the... Sabhi viman apne aage ke viman se auto coonnect ho'kar, auto pilot mode par chal rahe the...


Sabhi jet viman Luna ke dusre order ke sath hi apne jahaji bedon ko chhod'kar nikal gaye... 8 carore earth ke, makhhi ke saman bhin-bhinate huye aircrafts, un pichhle vimano ke thik pichhe aa chuke the jo apni direction badal sakte the


Bilkul satika ran'niti thi ye Luna ki... Caroron viman ek direction ko face kar rahe the… humla ki soorat me yadi pichhe wala viman, apne aage ke viman ko jabtak space na de, tab tak wo sahi dhang se round laga'kar mudne me asmarth hote... Fir unhe upar ya niche hokar mudne ke liye wah jagah leni padti.. Aur iss vajah se unki katar ki band baj jani thi.


Astak ke viman ke bedon ki itni sankhya thi ki Middle Universe ke vimano ko samne se face karne ke liye unhe mudne ke liye katar todne hi padti aur ek baar katar tootne ke baad bhi inki padesani khatm nahi honi thi, iss baat ka poora calculation Luna kar chuki thi. Kyonki yah koi 100 viman ki katar to thi nahi, jo katar todne ke baad bhi aage-pichhe, upar-niche hokar, sabko apna target dikh jaye


Jaise hi viman mudne ke liye katar todti... Arbon viman chos ki pistion me hote… upar-niche, dayen-bayen... Iss paristhiti me pichhe ke arbon vimano ka target lock kar ke humla kar pana sambhav nahi tha... Jabki Luna ke commanding 1 carore ki tukdi ke pass poora aakash khula tha, aur dushman ke mahaj aage ke kuch lakh viman hi un tukdiyon par nishana laga paate...


Luna apni poori niti laga chuki thi.. 1 carore vimano ki 1 tukdi, 199 alag-alag position par pahunchi aur sidha humla... Missile artilleries ek sath load hona shuru... Jaise hi humla hona shuru hua Central command se, 199 alag-alag positions se humla shuru tha...


Arhcemia sabhi vansaj ke dimag control ki hui thi. Pratham commanding de raha tha... Lekin kaise de wo commanding... 199 position ke liye uske pass 199 alag-alag team ki tukdi kahan thi.. Ab jab commanding aisi ho... "Team Alfa, 5 lakh jahaj pichhe, 5 lakh jahaj 30⁰ north, 5 lakh jahaj west 90⁰, north 120⁰"… Fir to command sunn'ne wala team Alfa ko jaise pahli awaj aayi command ki, to picche mud gaya... Ab Alfa me kaun se 5 lakh jahaj... Arbon jahaj aur sab ke sab Alfa... Ab jab itne confusion me viman ke crew ho to humla kya kare aur kaise kare...


Itne sare position par commanding dena, Surpmarich ke baap ke bus ki baat nahi thi... Uska dimag fuse isliye bhi ho chuka tha kyonki Middle Universe ki pahli kahani ke sath-sath, dark universe me dusri aur teesri kahani chal rahi thi aur anth me yahi faisla hua ki unko bhagya me bharose chhod diya jaye...


4000 carore viman ka commanding head, pahle ghante me hi ghutne tek chuka tha... Kisi ko kuchh samjh me aane se raha ki unite counter attack kaise kare.. Pichhe se aage, 1 carore ki tukdi ko dekh pana muskil tha usme bhi 199 alag alag position me... 1 carore vimano ki formation aisi, ki kisi bhi hawai tukdi aur unke sena naykon ke pasine chhut jaye...


Astak ke lakhon viman ek sath humla karte.. Bilkul hawa me gol deewar sa bana, 2.5 lakh Hyber metal ke viman ka circle aur pichhe poore 1 carore viman ki shrknkhla. Hyber viman ek sath hawa me khade ho'kar apne dushmano ke bade-bade missile humle ko bina anti blastic missile ke sidha jhel rahe the.


Aur jab missile unke ore aa rahi hoti, tabhi Hyber metel ke 1 viman se, pichhe ke 4 viman ko command chala jata... Pichhe ke 4 viman kis angel me target karenge. Sab direction pahle se set hota… 2 second ke liye Hyber metal ki viman, apne pichhe ke vimano ke liye window open karti, 10 carore missile ek sath apne sadhe huye target ke ore aur vimano ka malwa space me...


Rahi sahi kasar earth ke figter jet plane poori kar rahe the... Sab apni tej uddan aur vimano ke bich se gujarte huye, bilkul safe passage lete, dushman vimano ke bich me pahunch chuke the... 199 alag-alag postion se 8 caror earth aurcraft arbon vimano ke jhund ke bich me the... Aage se 1 carore ka beda, Astak ke viman ko dhuan dhuan kar rahe the… bich se ye fighter plane apne single comand ke sath, 32 caror missile ek sath daagne ke turant baad, apne vimano ko dushmano ke viman ke bich se nikal'kar, dusri positin le lete...


Ab to aalam ye tha ki ye log sikudna shuru ho chuke the... 199 alag-alag position se viman jab aage badhne lage, tab unke 199 carore viman0 ke aapas ke bich ki duriyan kam ho rahi thi, aur kinaro se caroron dushman ke viman, jo jabarn unka air space ghere huye the, badi teji se sath saaf hote ja rahe the...


Kis position par humla kare, iss baat ne sabke hosh udda diye... Ab tak bina 1 bhi viman gawaye, Luna lagatar apne viggo viman me baith'kar command de rahi thi... 2000 carore viman jo Viggo viman ke charo ore sidhinuma round circle lagaye the... Ab tak in 2000 caror bedon ko bhi samjh me aa gaya tha ki tadat se kuchh nahi hota, jung aunsasan aur sahi ran'niti se hi jiti jati hai...


Haan lekin arbon missile ka nishana jaroor Viggo viman aur uske sath 1 carore viman the.. 2000 carore vimano se Ghirne ke sath hi, jitne non Hyber Matel viman the wo apne protection formation me pahunch chuke the, jahan kartab hi kartab chal raha tha...


Missile ka jawabi humla, Bitti, Gopal aur uske 10 logon ke team ke hath me thi.. Luna ko bus 1 baar un 10 dragon babies ko samjhana para tha... Kewal 1 baar us dragon babies ne key press accurecy test diya tha. Bitti aur Gopal ki team ke pass Viggo viman se le'kar wahan ke 1 carore, plus 2.5 lakh Hayber metal viman ki missile commanding sab Swatantra roop se thi...


The commanding station, Viggo viman, apne shashakt team leader Luna ki poori dekh rekh me, har bit'te pal ke sath Dark Universe walon ko air strike kise karte hain, wo samjha rahi thi…


Hyber metal vimano ko humle se fark to padne se raha, lekin arbon misslie kisi ek viman ko lage, to body bhale damage na ho, lekin wo apne position se disposition to jaroor hogi...


Sabhi accurate calculation ke sath anti blastic missile ka beda bitti aur uske 4 sahayak dragon babies ke hath me tha... Unki commanding itni tej thi ki kin aati missile ko hawa me blast karna hai aur kise takrane rikna hai, yah sab calculate kar ke poore bede ka accurate balance banayi hui thi...


Wahin 4 sahayak ke sath Gopal poore marak misslile ko oprate kar raha tha... Screen par najar banaye, kis ore se humla kitna tej ho raha hai, aur uske poori team ka nishana 5 alag alag direction...


Situation ye thi ki ek hi waqt me anti blastic missile ke sath, 5 alag-alag positions par, Viggo viman ke sath 1 carore viman ki missiles target kar rahi thi... Itni confusion create hoti ki caroron anti blastic missile ke sath aa rahi caroron distroyer missile aise ulajte ki... Dushman viman anti blastic missile ko bhi nishana bana rahe the, jo pahle se unhi ke kisi ek missile ko rokne ja rahi hoti...


Haan Astak ke vimano ki sankhya itni thi ki viggo viman ko hara pana koi muskil kaam nahi hota, lekin koi command na hone ke karan sab indipendent command me the... Yahan bhi unke round circle dhwast hote ja rahe the... Bitti aur Gopal ki team unki charity me koi kasar nahi chhod rahi thi...


Luna ne ab apne pass ke 5 lakh makkhiyon ko khula chhoda... Earth ke aircrafts madmast apni chal me bilkul vimano ke bich se ghuste huye humla karte upar ke ore badhna shuru kar chuke the…


Inke circle aise dahna shuru ho gaye mano kisi building ki sidhiyan dhwast ho'kar girna shuru ho chuki ho.. Charo ore se hawa me kewal missile hi missle the... Charo ore dhuvan aur malva... Un dhuyen aur malwe ke bich se, hawa me klaa dikhate 5 lakh earth aircrafts. Kab wo apni 40 lakh missles, ek poore circle par girate, kisi ko bhanak tak nahi lagti. Itne close range se ye log missiles gira rahe the ki inke anti blastic missile tak ke pass koi jawab nahi...


Charo ore ke lagatar humle ko dekh'kar Luna ne ek video conferencing OMU mukhyalay ke sath ki... Aur mukhyalay ne Luna ko OMU me sabhi planet par live kiya.


"Aap ki surakha ki jimmedari OMU ke hathon me hain aur aap sab surakhsit hain. Humare war heros ko laut aane dijiye, fir ek jaam jit ke naam toast karenge"….


Chal rahe ladai ke bich Luna apne logon ko poorn aaswashn de'kar, ek baar fir charo ore najar dene lagi... Vimano ki ghamashan aur missile ki ladai me ek ore jahan 199 tukdiyan aage badhti hui apne dushman vimano ko charo ore se samete ja rahi thi, wahin lagbhag 8 carore earth ke aircrafts unhe bich se aisa dard de rahe the, ki jawabi humle me dushman ke viman bus charo ore apne arbon missile ka beda kahin bhi daag rahe the, jo poora beasar...


Wahin Viggo viman ko ghere khade 2000 caror viman ke bedon par to shurwati kahar naa ke barabar hi tha... Lekin jab se earth ke fighter jets ko bahar chhoda gaya.. fir Viggo viman ke artilleries commanding officer, Bitti aur Gopal baith'kar, missile dagne ki series par aise kaam karte gaye, ki inki poori circle teji se dhwast hona shuru ho chuki thi…


Jis circle ko Earth ke fighter plane dha rahe the uss circle ke upar bahut se viman tabah hone ke liye mare ja rahe the, aur dragons team unhi par dhyan kendrit kiye thi...


Umda ran'niti ke sath ab to in 2000 carore vimano bede me bhi teji sendh lagna shuru ho chuka tha… ladte huye takriban 10 se 12 ghante ho gaye jab Luna ke pass command mila aur cease fire ke order mile...


Sabhi viman apni poretection ghere me laut chuke the… Dushman ke bache huye takriban 300 carore viman se bhi firing band ho chuki thi. Issi ke sath Luna apne sabhi viman ko wapas apne base par laut'kar sabhi causlties report karne bol di...


Middle Universe me yudhh samapti ke sath hi adhikarik ghoshna jari karte huye Luna sabko suchit kar dee... "Hum apna kshetr surakhit karte huye, jit hasil kar chuke hain... Dark Universe ke ander se ab tak koi suchna nahi pahunchi hai... Jald hi hum poore yudhh ke bare ek adhikarik ghoshna jari karenge"…
Chalo koi to achi Khabar mili Luna k ranneti or us ki comonding lajawab thi jis ki waja se wo jeet hasil kr payi

Earth fighters viman ne Kamal kr dia or us se bhi badhiya Kamal dikhaya dragon babes ne

Astak k vanshaj or un ki viman ki best ranneti na hone ki waja se maar Kha gay
Or suprmirch bechara munh dekhta rah gia
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-112 (A)



Khel-khel me har khiladi apna best dene ke liye hi utra tha. Kaun kis par bhadi padta iska aaklan to nahi kiya ja sakta tha, kyonki dono hi paksh ek dusre ko maarne ki kshmta rakhte the. Bus kaun apne pitare me, kaun sa chaukane wala dav bacha'kar rakhta hai, aur kitni kusalta se usse aajmata hai hai, poora khel ussi par depend tha. Yahan kamjor kaun hai...


Arhcemia ka jaise hi ishara hua "kato gala dono ka"... Ek bhuchal sa jaise utha ho uss mashtishk mahal me... Chham-chham ki ek sath lakhon awaj ki khuff to uss dhun ko sun'kar paida ho jaye... Aur jab mahal se bahar nikal'kar sabhi ne dekha to hosh gum the…


Sanbse aage Jivisha khadi thi, uske thik pichhe anginat ujle Shaye, kuchh masthisk mahal ke seema ke ander to kuchh seema ke bahar... Jivisha apni payal ki chham-chham ke sath 2 kadam aage badhayi, aur ussi ke sath lakhon paun chham-chham ke sath aage badhe...


Payal ka wo ek sath chham-chham ki awaj, wahan base bhooton ke dil me bhi khuff pida kar de. Ek pal ke liye sabka kaleja kaanp gaya. Khuffnak awaj aur hairan kar dene wala manjar tha, kyonki abhi bhi to Jivisha upar mahal me hi tangi thi. Lahuluhan aur lagbhag mari si haalat me.... Arhcemia kuchh bolne ko hui, tabhi Surpmarich usse rokte.... "To tumhe mashtishk mahal ka raaj pata chal gaya"…


Jivisha:- "Bhag lo abhi yahan se Surpmarich mukhaute, kyonki iss shakti khand me jo striyon ke sath anyay hua hai, uska hisab chukane main apne sath lakho maa ko le'kar aayi hun. Ek istri aur uske navjaat par huye anyay ki kahani sun'kar inke dilon me itni aag lagi hai ki kuchh pal me yahan sabko barbad karke niklegi"...

"Jaan bacha sakte ho to aaj tum sab apni jaan bacha lo, bhagne ke liye sara brahmand khula hai.. Lekin wada hai tum sab se, aaj bhagte waqt tumhe yah ehsas ho jayega ki ye brahmand kitni chhoti hai".…


Jivisha hunkar bharti apni dono bahen failayi aur dekhte hi dekhte wahan Nilbhut samuday ki lakhon istriyon ki kalpnik sarir, uss mashtishk mahal me praves kar chuki thi...


Surpmarich ka ek Ansh Pratham mantr jaap se wahan ki sabhi kaali aatmon ko jagana shuru kiya, jo iss mashtishk mahal ki rakshak thi... Jivisha ki atthas bhadi hansi thi aur ussi ke sath kahar ka manjar shuru ho chuka tha...


Dono hath Jivisha ne jaise hi failaye, sabhi Nilbhut striyan uss mahal me charo ore failti chali gayi... Samne fir sankhya kitni hi uss jagah ke rakshak aatmaon ki... Nilbhut samuday ki striya saanp ka fanda itni teji se sabke gale me dalti ja rahi thi, ki sabki aatma dhuan ban'kar hawa ho rahi thi...


Atma khinchne wali Rani Bhakshnee, judi arbon aatmaon ke sath aur har kisi ke hath me tha aatma khinchne ka fanda…. Humla ke mukhya kendr, Jivisha par ek sath arbon aatmaon ka fanda ek sath hawa me uchhalta aaya…


Hawa me charo ore se fande hi fande. Jivisha apni jagah khadi, na hili aur na hi gayab hui... Apni jagah khadi rahi... Uski atthas se paripoorn hansi, jaise Lalkaar thi... Gulamon ki basti me ek azad panchhi ne apne bhay ka chhota sa parichay pahle karwaya tha… Ab to sabke jinda rahne ki aajmaish kar rahi thi Jivisha…


Aatma khinchne wale fande ke upar fanda chadha tha. Itne sare fande ki Jivisha kahin gayab si ho gayi… Aisa laga kisi ped par itne fande lage ki fande ki motai 100 pipal ke vriksh ke saman ho gayi...


Charo ore se arbon aatmaon ki jor aajmaish shuru. Fanda dhire-dhire simat'ta chala ja raha tha, lekin kis ore… Arbon aatmayen ek sath poore jod laga'kar wah fanda khinch'kar poore ke poore Jivisha ko nichod lena chah rahi thi, isliye poori takat laga'kar ek sath wo apne sire ko khinch rahi thi...


Pahle 10 minute ki kosis aur sab mil'kar apne fande ko ek inch na khinch payi… Yah najara dekhne ke sath hi Surpmarich wahan se Arhcemia aur 8 Raniyon ko le'kar bahar nikal aaya... Aur idhar Jivisha apne raudra roop me tandav karna shuru kar chuki thi...


Arbon hath jo fande ko thame the poore jor laga'kar apne sire ko khinchne lage... Ek inch bhi fande ko khinch to nahi paye, lekin Jivisha gol ghumna shuru kar chuki thi.. Arbon aatmayen jor laga'kar fande ka sira khinch'kar khud ko aage badhne se rokne ki, ji tod kosis karne lagi par jaise-jaise Jivisha gol ghum rahi thi, Jivisha ke badan se fanda lipat'ta chala ja raha tha..


Bhakshnee ki khud ki apaar shakti, jiske ander kayi carore aatmaon ki shakti thi. Aur uske sath madadgar arbon aatmayen jo na jane kitne hazar varshon se uss mashtishk mahal me thi. Sabhi poori takat lagaye dono hath se fande ka sira poori takat se pakdee hui thi. Khud ko khinchen se rokne ke liye, aiediyon ko uss bhumi me lagbhag gaad dee thi, ye caroro aatmayen… lekin aediyon ke jod par bhi khud ko khinchne se nahi rok pa rahi thi... Arbon aatmayen aediyon ke support par viprit takat laga'kar bachna to chah rahe the, lekin inch dar inch arbon khisssssss khissssss ki aawaj ke sath, khinchti hui ja rahi thi...


Jivisha gol-gol ghunti rahi fanda simata gaya, ek circle me hazaron aatma aakar Jivisha ke upar poora lipti, uske upar dusre circle ki aatmayen, fir teesre... Jivisha gol-gol ghumti rahi, aatma ke upar aatma poora lipat'ti chali ja rahi thi... Sabse niche wali aatma unhi ke aatma khinchne wale fande ka davab jhel nahi payi…


Ab to har ek round circle par, niche ki aatma poori tarah se dhuan ban'kar uddna shuru ho gayi. Jivisha ghumti rahi aur aatmaon ko mukti milti gayi... Wahin Nilbhut samuday ki striyan, jo ek maa bhi thi... Har uss maa ke dard ka badla le rahi thi jo iss shakti khand ka shikar hokar apne bacche tak ko kha gayi...


Haiwaniyat ke iss shakti khand par beraham thi Nilbhut stri... Prakop aisa ki bharm jaal rani samne aayi apne caroron aatmaon ke sath bharm dikhana shuru kiya... Aur tabhi un sabhi aatmaon ne uss fijaon me hi zahar ghol diya...


Zahar naag phans sammohan ka. Bacche paida karne wali iss factory me jaise hi Nilbhut striyon ne naag phans sammohan istamal kiya, sabhi machine jaise pagal ho gayi... Iss kshetr ki sabse kamjor nabj, jiske chapet me to ab wo bhi the jo aatma ko khinchne wale fande ko jakde huye the...


Astak ki 8 raniyan yahan mahal me thi... Jisme se 4 mahal ke bahar lad rahi thi… 4 apne guton ke sath mahal ke ander intzar kar rahi thi... Ek ore kahar Nilbhut striyon ka.. Mantr mugadh hokar nachti hui 3 raniyan bhi wahin par thi... Sharp fanda gale me lagta aur dhuyen ki tarah kaali aatma udti rahi...


Wahin Jivisha lagatar gol ghum kar apne upar aatmaon ka ambar sa laga di... Apne sarir ke upar lipte aatmaon par rassi ka khinchav itna tej rakhi thi ki mano ulta ab wo fande se aatmaon ko jakad kar uss ki leela samapt karne me juti hui thi...


Thik uss waqt jab Surpmarich 8 Raniyon ko le'kar mashtisk mahal se hawa hua, ek sochi samjhi ran'niti ke tahat wahan se nikla tha... Surpmarich ek sunischit ran'niti ke tahat mashtisk mahal me pahuncha tha. Jahan 18 Raniyon me se 10 rani poorn roop se mashtisk mahal me thi, wahin 8 Raniyon ke sath Surpmarich kisi anya sthan se anterdhyan ho'kar unke kalpnik sharir ke sath mashtishk mahal me pahuncha tha.


Thik waise hi jaise Jivisha Nilbhut ki striyon ke sath pahunchi thi, kalpnik sharir ke sath. Haan lekin iss baar Jivisha ka kalpnik sharir chaukane wala tha, kyonki wo kalpnik sharir na ho'kar jaise apne vastavik sharir ke sath praves ki ho.


Surpmarich ne yah tay to kiya tha ki Jivisha apne kalpnik sharir ke sath Mashtishk mahal pahunchegi... Lekin iss prakar chaunka'kar pahunchegi uski ummid na thi. Akshand mantr ke prayog se apne aatma ke chhote se hisse ko, apna sampoorn roop de'kar Jivisha pahle akeli aayi...


Surpmarich bhi chhal niti ka bahut purana khiladi tha. Jaldbaji nahi kiya aur Jivisha ke maarne ki dusri niti jo usne pahle se soch'kar rakhi thi, uspar kaam karne se pahle uske yun akele aane ka karan samajhne ki kosis karne laga...


Jahan ek ore Surpmarich apne siddhi ke jor par matr 8 aatmaon ko apne sath jod'kar, 8 kalpnik sharir ke sath mashtishk mahal me ghusa tha... Wahin Surpmarich ne jo aage anubhav kiya usme Jivisha apni aadhi shakti ke sath, Nilbhut samuday ki lakhon striyon ke kalpnik sharir ke sath jud'kar tandav karne mashtisk mahal me ghus chuki thi.


Surpmarich ko Jivisha ki shaktiyon ka aabhash ho chuka tha. Wah samajh chuka tha ki Jivisha na sirf mashtishk mahal ke bare me janti hai, balki koi to hai jisne Jivisha ka gyan iss had tak badha diya hai ki wo mashtishk mahal ke ranbhumi me jit rahi hai.


Surpmarich jab sunischit hua ki Jivisha apne aatma ko 2 bhag me vibhajit kar'ke, ab wo poori tarah se yahan pahunch gayi hai... Waqt tha asli dav khelna ka... 1000 carore vansaj fauj iss core planet par bhi the... Aur unke bich thi 8 rani aur Surpmarich ka sharir... Apne sath 8 Raniyon ko le'kar wo sharir me praves kiya aur turant hi poori fauj ke sath nikal gaya Jivisha aur baki Nilbhut striyon ke achet sharir par humla karne...


Jivisha ka kalpnik sarir iss waqt mashtisk mahal me asankhya aatmaon ko mukti dene me vyast thi. Viman me ginti ke log, kyonki Nilbhut sabhi ladakon ki aatma bhi Jivisha ke sath, iss se achha mauka kya tha, Jivisha aur uske shathiyon ke sharir ko nasht kar'ke apni jit sunischit karne...


Mahal se 200 km ki duri par tha 1000 carore vansaj fauj ka jamavda... Aur wo dhire-dhire aage badh chale.… Ek bahut badi bhul aur Surpmarich ke poore galat aakaln ke sath.…


Iss core planet par ek smuday aur basta tha, jispar Astak ke julm ki kahani kuchh aisi thi ki, unke samuday ke 20-30 ghar aur takriban 150 se 200 logon ki chhoti-chhoti bastiyan, pichhle hazaron salon se, pidhi dar pidhi pratarit hoti aa rahi thi…


Yah mul roop se Arhcemia ka hi samuday tha, lekin ek lamha wo unhe khushi ka na de saki thi... Wo samuday aur koi nahi balki Viggo ka sabse pratarit samuday tha… Shayad wo yahan se vilupt ho bhi jate... Apni gulaam bhare nasib se khud ko aazadi bhi dilva dete...


Lekin atmhatya jaisi kayarta ko na apna'kar, har pal ye khud ko taiyar karte rahe... Bhale ek chhoti si Viggo basti par lakhon giddhon ki najar thi... Bhale Arhcemia apne samuday ka dimag me ghus'kar uski mansa ko parakh leti aur utna hi kurur ho jati... 100 julm ek baar me sahte the, baagi hai iss baat ko jatate rahe aur baar-baar mana karne ke baad bhi apni taiyari karte rahe...


Surpmarich aur Arhcemia, apne pichhe 7 Astak rani aur 1000 carore ki fauj liye aage badhte rahe... Iss se pahle ki wo bade se maidan ko paar kar'ke kuchh fit chaude rajsahi sadak par, poori fauj viman ke samne la khada karte… Wahan unka rasta roke khade the wo 12 lakh Viggo samuday ke sabhi log... Aur un sab ka netritv karti sabse aage khadi thi Shwetna...


Sadiyon se atyachar ki aag me tadapte log, sadiyon se apman me ghut'te jhulaste log. Sadiyon se jise badjaat kaha gaya aur jiske khun ko gaali de'kar dhudhkarte rahe... Uske samuday ke har ladaka jo samrthya rakhta tha ladne ka, apne hathon me talvar liye wahan apni bhujayen chaudi kar rahe the...
Ufffff kia game khela h Meri jivu ne Sirf apni atma k kuch ansh ko pehle mastik mahel Mai bheji taky in ki ranneti samjh sake

Ab jb wo adhi atma or shamta k sath nilbhut smudy k sath ayi h to kher to barse ga hi
In atmao ko mukti de Rahi h unhi k fande k sath Maza hi a gia

Jb jb Meri jivu samne ay to dushman ka bhay esa k motne pe otaro ho Jay rooh kaanp Jay kleja phat k khoon ki ulti kr dy

Or Sala ye suprmirch to chalak lomri h is ne socha ho ga Meri jivu ka sharir hi nasht kr de ga or kissa hi khtam Sala fatu kahi ka

Vigo sumdy k log Jo khaar khay Bethe the archima or astak se jinho ne in ka jina Haram kr rakha tha ab samne hai shewtna k sath in ki band bjane ko

Let's see what happend
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-112 (B)







"Tummmmmmmm"… Arhcemia un samuday ke logon ko "tum badjaat gandi khun"… kahne hi wali thi ki uske honth sil gaye... Arhcemia telepathy karne wali thi, tabhi uski sari mansik tarange uske dimag me ek baar fir waise hi ghusne lagi jaisa kabhi Orja ne uske tarangon ko uske dimag me sametna shuru kar diya tha...


Arhcemia ne turant hi apna teleportation band kiya aur thik ussi waqt bich se rasta khula... Chhammmm... Chhammmm... Chhammmm... Chhammmm... Wahi khatarnaak payal ke chham-chham ki awaj... Iss baar poore lahra'kar aur echo ke sath aa rahi thi... Har chham ki uth'ti dhun aisi thi ki kaleja na chahte huye bhi baith jata...


Aur tabhi samne se wah alokik swaroop bhi najar aane lagi jo bilkul chamak rahi thi... Jivisha ko dekh'kar hi Arhcemia ke sath sabhi rani aur Surpmarich sabhi khauff me aa gaye. Kisi gauravsali rani ki tarah bilkul gurur ke sath aa'kar wo sabse aage khadi hui.


Uske kamarband ke dono kinare se 2 latakte mayan ki talvaar, iss baat kee gawah thi ki aaj Jivisha ki talvar chalegi... Saree ka faada bich se 2 bhagon me vibhajit ho chuka tha, ye chetavni thi ki rani swyam iss yudhh ko aage rahkar ladne wali hai...


2 kalpnik hissa shakti swaroop Jivisha ka Mahal aur Viman me tha aur apne ek tihai shakti ke sath Jivisha khud ladai ke maidan me, apne poorn goroor aur abhimaan ke sath khadi thi... Uss mashush si jagah me Jivisha ka hona hi un sabke dil me khauff paida kar rahi thi, jo yahan ki bhumi, jal aur aakash ko apne shaktyon se badhe huye the.…


"Tum ne to aaj wakai mujhe sochne par majboor kar diya ki ek jivan kaal me aakhir itni siddhiyan kaise le sakta hai koi. Ya fir Vish-Kritima shuru se chhalava karti aa rahi hai aur wo bhi meri tarah sanjoye rahi apni skatiyan"… Surpmarich jab apni kah raha tha, uski jhujhlahat saaf jhalak rahi thi.


Jivisha uski aawaj me uska chid'chidapan saaf mehsus kar sakti thi... Lekin aaj shayad wo bilkul bhi baat karne ya kisi ke ke prashn ka uttar dene ki ikkchhuk thi…


"Meenaaaa... Beta apni kasam nibha... Aur jab iss Arhcemia ke badan ko noch'kar, har ek ang ko alag karna to fir koi raham mat dikhana, bina dare aage badho"…


Jivisha ne Meena ko bina dare aage badhne ke sanket diye aur hawa me bade-bade dragons 50 ki sankhya me the.. Complete mettalic suit ke Kamal ki desine, kamal ki dur darshita aur kisi chij ke nirman me Decca technology ka koi jabav nahi. Apne lambe meteallic pankh failaye, rang-birange rang ke complete mettelic suit pahne 50 dragon wahan ke aakash ko dhake the...


Shwetna apni hath hawa me utha'kar sabhi dragon babies ko apni postion hold karne boli.… Ek kadam wo aage badhti...


"Humne suna hai yahan ki aakash aur jamin sab tumhari hai... Isliye dono kshetr ko parakhne ke liye hum chale aaye aur dekho sath me kuchh dost bhi laye hain... Jyada chaukne ki jaroorat nahi hai kyonki jis Vardali ko tumne kaam par lagaya tha usne apna kaam bahut khubsurti se kiya hai... Aaj hume bhi dikhao ki ye jamin aur aakash kitni tumhari hai aur apne iss kide makodon ki fauj se hume kitna nuksan pahuncha sakti ho"


"Sathiyon na raham karo na ruko... Bus badhte raho aur khauff ka manjar dikhate raho"…


Jivisha apne dono hath me talvaar thame hawa me ki... Arhcemia ne bhi humle ki hunkaar bhadi aur daur chale dono ore se...


12 lakh Viggo apne pratisodh ki aag ka badla lene badh chale... 1000 carore ki vishal sena samne se dauri chali aa rahi thi aur ye 12 lakh Viggo dono kinaron se line bana'kar tej daur'kar unhe kinaron se poora gher rahe the... 50 bekauff dragon babies aakash me uddte aage badh chale...


Sabhi vansaj fauj aakash me apne hath upar kiye apne charo ore phaile dushman par bijli, acid aur toofan ki barshat kiye. Wahin Jivisha apne aatma ke 2 tukde uss mahal me tandav kar chhod aayi aur ek tihai shkatiyon ke sath khud ran bhumi me khadi… apne dono hathon me talvar liye...

Talvar bhi aisi ki jo dikhne me to matr kuchh fit ki thi, lekin jis ore talvar ka ishara ho jaye, fir wo maidan ke aakhri tak talvar apna kahar dikhati. Aakhir me khade narbhakshiyon aur in sade se badan ke malikon ko ek sath Jivisha ke talvar ka aabash ho jata, kyonki jab talvar chalti tab dikhta hawa ka wo adrishya talvar jo chalne ke sath hi apna aakaar (shape) dikhata…


Hawa hi jaise aaj Jivisha ki saarthi bani ho... Lahrati wo teji ke sath ja khadi thi dushmano ke bich me... Vansaj sena ke har hath jo vayumandal se energy khinch rahe the... Jivisha ke bayen hath ki lahrati talvar uss energy ko kaat rahi thi… aur aaj to jaisi unka abhedi sharir makkhan bana hua tha... Jivisha pahle aage badhi aur apne dayen hath ke talvaar ko lahra'kar ek sath bhumi par lakhon sar ek sath gira'kar bhumi ko rakhtranjit kar, yudhh ka aagaj poore khuffnaak aur berahmi ke sath karti.….


"Mukti ko taras rahe logon ko aaj mukti de do Viggo... Kahar ban'kar barso aur dikha do kitni aag dahak rahi hai tumhare sine me. Aaj tumhe inki shakti nahi rok shkti... Kahar bankar toot paroo... Na ruko aur na raham karoooo"..


Lakhon sar kat'kar jamin par gide. Khun ke fawaade chhodta dhar tadapte huye niche bhumi par gir raha tha. Jivisha kurta ka parichay deti jaise hi Viggo ke lambe tadap ko bhadkayi fir to... apne tej daud ke liye mashoor Viggo, poore vansaj fauj ko kinaron se gherte huye... jab unki talvaron ne vansaj fauj ka imtihaan lena shuru kiya, fir to hawa me hath uthana bhool gaye. Vayumandaliya urja istamal kaise karni hai bhool gaye. Hath poora upar utne se pahle Viggo apni poori raftaar ke sath apne hone ka parichay dete aage badh jate.… Hath upar ko ja rahe hote aur gala kat'kar niche jamin par.


1000 carore bhid ko charo ore kinaron se Viggo ne ghera.. khun ke chhinte uddte, maans haddiyan sahit kat'kar jamin par bikharti aur charo ore se Viggo ne kaatna shuru kar diya tha... Bebas aur lachhar Astak Vansaj 12 lakh Viggo se aise ghire ki baukhlahat me bus apne sathiyon ka kata sar hawa me dekh rahe the. Bhagna chah to rahe the lekin inhe poora gherkar marna shuru kar chuke the Viggo ladake...


Arhcemia, Surpmarich aur uske sath 8 raniyan dhire-dhire kadam pichhe le rahi thi… "Surpmarich tumhari siddhiyan kahan gayi, istamal karo na"…


Surpmarich:- Usne sampurn mantr ka jaap sikh liya hai... Meri aatma ko bandh di hai sharir se...


Arhcemia:- Matlab..…


Surpmarich:- Matlab tumhare mahal se khud ko jodna mujhe nakara bana diya hai... Tumhara mahal hi kamjor par gaya hai aur uske sath meri shabhi shkatiyan bhi uss mahal ke adhin ho'kar ghut gayi hai... Hathon se bijli nikal raha hun to 12 volt ka current aa raha hai... Ab kya gudgudi kar dun...


Arhcemia:- Matlab…


Surpmarich:- Matlab ya to bhag lo ya maro.… Mera kya hai main mar bhi gaya to fir sharir badal lunga...


"Hahahaha... Tu shaktiyon ki talash me murkh ban gaya Surpmarich…. Teri siddhi aur skatiyan to adhin ho gayi iss mahal ki... Aur jo teri aatma bandhi thi Zoren ke mahal se, usse humne bandh diya hai... Tumhari aatma ko naya sharir dene wala koi shakti uss mahal se bahar nahi aayega lekin aaj tere charo ansh ka vinash tay hai".….


Jivisha apni baat samapt karne ke baad kaal ban'kar lahrayi... Lahrate talvaron me jaise rakt pyas jagi ho. Hawa ke sath uski lahrati dono talvaren, ek ke baad ek chalana shuru kar chuki thi. Dhar se gardan alag karna shuru kar chuki thi... Ek sath lakhon Kate sar bhumi par. Gardan se rakt ka favada nikal raha aur kannpta hua khun me bhinga badan niche jamin par...


Kinaron se Viggo ki beraham talvaren bhumi ko rakhranjit kiye aage badh rahi thi... Charo ore maut ki chikhen… kati fati lash ranbhumi me bikharte ja rahi thi…. Bich se Jivisha hawa ke rath par sawar, apne talvar ko lahrati bhumi ko rakhtranjit kar rahi thi…. 5 minute viram ke baad Meena bhid se apna target dhund chuki thi... Arhcemia ke milte hi, wo humla karne aage badhi...


Meena ke sath hi uske sabhi sathi aakash se humla shuru kar chuke the. "Sunnnnnn.… Shiiiiiii... Bhommmmm'... Kuchh aise hi hawa se tej dhwani, niche jamin par aati aur agle hi pal... Kisi ki nili wave jamin se takra'kar visphot ke sath-sath, aisi tej bijli ki aandhi sath me le aati ki maans chhod haddiyan kadak jati aur bikhre huye lothre charo ore hote...


Meena aage badhi apni shikar ke ore. Bacchi galti kar gayi 8 Raniyon ke bich ja'kar… aayi thi to Arhcemia ko pakadne lekin bharm jaal ke chapet me fans'kar rah gayi... Aur agle hi pal ek Rani ka panja aur paun itne chaude ho gaye ki Meena ko jamin se patak kar, uske metal lage gardan ko apne paun niche daba'kar kuchalne lagi.. Meena ka 1 pankh body ke niche fansa aur dusre pankh ko wo rani apne bade se panje me jaise hi jakdi... Ek toofan sa utha tha fir...


Jivisha tej hawa ke veg se lahrati hui bich se sabko kaat'ti hui aage badhi... Yudhh ki kaman ab usne diya Shwetna ke hath me, aur khud pahunchi uss madhya me jahan ab tak wo 8 raniyan khud ko mehfuj ki hui thi...


Ek bada sa bharm jaal banane ki kosis aur agle hi pal Jivisha ne apni talawar ko hawa me ghuma'kar, itni tej pichhe jhatka ki dono talvar adrishya gati se pichhe ke ore gayi... Ek Rani jo khud pichhe rakh'kar, aage bharm paida karne ki kosis kar rahi thi aur dusri raani ussi ke samanantar khadi ho'kar Jivisha par khatarnak rashayan ki barish karne wali thi... Jivisha ke hath ki dono talvar tej gati se hawa me lahrati, pichhe khadi dono Raniyon ke gardan ko faadte huye sida jakar viman me ghus gayi... Un dono rani ke sar talwar ki nok par viman se latak raha tha...



Jivisha hawa ki rath par sawar jaise hi pahunchi, apni berahmi se awgat karwati 2 rani ke sar sidha viman se taang di aur samne chal rahe najare ko dekh Jivisha tej chillati.… "Mere bacchon se dur raho"…


Jivisha ke tej gusse se wahan ke charo ore ka vayumandal hi laal sa dikh raha tha aur hawa me bana Jivisha ka vishalkay laal chehra jo kayi varg kilometer tak poore aakash ko dhake tha. Jivisha apne hathon se hawa ka panja banayi aur uss giant rani ke upar aur niche ke jabde ko pakadti hui faadna shuru kar dee...


"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa" … ki bhayanak chinkh se poora maidan hi ek pal ke liye saham gaya…. Jivisha apne hawa ke dono panje se uske vishal hote jabde ko faarna shuru kar di... Itne me Shwetna ne ek dur ka daud liya... Teji se daudte huye wo aayi aur hawa me uncha chhalang lagati jabde ke bich ke gape me, poora talvar chala'kar bich muh ko ho kaat girayi...


Shwetna ne fir maut ki hunkaar bhadi.... "Sathiyon na rukooo... Na raham karooo".


Maidan ke charo ore se Viggo ki tej chinkh ke sath, vansajon ke kaatne ka khel bhi tej ho gaya... Dragon babies hawa se tabahi ka manjar dikhane lage..... "Na ruko, na raham karo"… "na ruko, na raham karo"… "na ruko na raham karo"… Maidan ke charo ore gunj rahi thi...
Mast zabardast ary bahi bache ki jaan lo gy kia esa nazra dikha kr do do feelings ayi

1 khoon kholne laga Meri jivu ki lalkar sun kr,na reham khao na na ruko

2 Meri khud ki ghighi bandh gayi Meri jivu ka esa Roop esa tandav dil dehla dene Wala manzer dekh kr

Meri jivu is best us ki ek hunkar or samne wale ka kleja cheer Jay
Chahy phir wo suprmirch hi q na ho

Dragon babe ki esi halat kr k raniyo ne apni moot ko dawat dy di
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Update:-112 (C)


Samne Shwetna Jivisha aur Meena ke samne 5 raniyan... Meena uth'kar khadi hoti... "Maa ye high blood wale kuchh asahay se dikh rahe hain"…


Jivisha muskurakar, Shwetna aur Meena ko najren ghuma'kar dekhti... "To unhe ab mukti de do. Bahut sewa kar chuki ye apne mahal aur paap ki iss jagah kee"…


Sabhi 5 Raniyon ne vayumandaliya energy ko apna hathiyar banaya... Par Jivisha ke ungli ke jhatke se sab bekar tha... Dhammm dhummm dharammm … wo sab aandhi toofan aur bijliyan chalati rahi.. Aur Jivisha matr apne ungli ke dayen aur bayen jhatke se unhe ehsaas karwati rahi ki ye sab bekar hai...


"Aakkk thuuu teri ye 2 kaudi ki kosisen, Arhcemia. Tu dekhna chahegi maut ka manjar kya hota hau..… Tu dekhna chahegi ki shanti se jo apne gharon me rahte hain wo tujhe kitne dard de sakte hain... Ruk tujhe dikhati hun"….


Jivisha hawa me dono bahen faila'kar ek chhoti si chetvani bhi iss hunkaar me de rahi thi ki upar ka poora aakash hi Jivisha ka chehra ban'kar unhe badi-badi aanken dikha raha tha... Ab to Jivisha ne jo kaha wo kar'ke dikhana tha. Yahan ki kalapi aatmaon ko shanti mil jaye, aisi khuffnaak chinkh core planet ke iss maidan ke kone-kone se gunj uthani thi...


"Shwetna... Zahar me lipt inka sharir dhire-dhire uss bhishan zahar se jalna shuru kar de, mujhe wo dard bhadi chinkh sun'ni hai aur uske baad in sab ke ang-ang ko meri betiyan apne panjon se ukhadegi... Jab'tak uss dhurt ko main uski manjil tak pahuncha dun, jo inhe marta chhod'kar apni shakti ko apne mahal se jod chuka hai"…


Shwetna:- Bade Shauk se Shashika… jarra inke dare huye chehre to dekho...


Jivisha:- Inhe yaad dilao wo khuffnak majar, jab inke uss sare se mahal ki shakti ke dum par, inke kuchh bhatke hume aankh dikhane ki kosis kiye aur kya haal banaya tha unka jo raham ki bhikh me aasan si maut maang rahe the...


Jivisha poore josh me apni baat kahti apne panje ko bhumi se jaise hi de mari... Mahol hi poora jaise tharra gaya ho aur thar se kaleja kaanp gaya un sabhi ka... Sabhi raniyan apne mahal ki siddhiyon ka upyog karna shuri kee... Sabhi 5 raniyon ke ek sharir ho gaye...


Jivisha attahas bhadi hansi hansti.… "Kaash tumhe kuchh aur aata sare huye jivon... Ye sab hume pahle se pata hai… Shwetna main ja rahi…. Lekin mere kano tak inki chinkh sunai deni chahiye"


Shwetna agle hi pal naag dansh ko bhumi me gaadti.… "To khel shuru kare ahankariyon".


Meena:- Hihihihi... Astak ki raniyan... Hihihihi...


Arhcemia:- Tummm badddd...


Arhcemia apne adhure vakye par thi, tabhi Shwetna ne raftar pakdi... bhumigat hoti hui, wo apni poorn sarp roop me Arhcemia ke talwe me ghusi aur sar se nikli... Jitni der me wah "badjaat kahti" utni der me to Shwetna uske sar ke upar se nikal'kar, dusri rani ke sar me ghus'kar talvon se bhumigat hui aur jab Shwetna aakar khadi hui...


Sabhi vansaj sainik Thar-Tharate huye maut ki wo chikh sun'kar bhagna shuru kar diye, jo kabhi Zoren se inhe live dikhaya gaya tha... "Aakhri jahar" to nahi tha Shwetna ke pass, lekin jo zahar tha wo inke liye "aakhri zahar" se bhi kam khatarnak nahi tha... Dhime-dhime wo zahar bhale aage badh raha tha, lekin ander se sarir ke har poorje ko jalata hua badh raha tha...


Shwetna kuchh pal rooki aur kahte chali... "Ja apni kasam poori kar le"… Meena hansti hui kas'kar Shwetna ko pakdi… aur apni bhavna jata hi rahi thi ki itne me bijli ke kayi tej jhatke Meena ke complete mettalic suit se takra gaye...


Ander se usse jhatke to nahi lage lekin Shwetna poori tarah se baukhlati hui.… "Sine me ab tak hausla bacha hua hai kya tum sab ke... Sathiyon aakhri baar poore josh se... Dilon me bharo toofan aur karo kaam tamam... Sabhi dragon babies ab visohot band karnge, sikud gaye hain ab inki aabaadi.… Machine ki mehnat bahut kar lee ab jarra bajuon ka jod dikhao"…


Shwetna apni baat kahti chali... Bhumigat ho'kar jab talwon se ghus'kar sar se nikalti aur fir kisi ke sar me ghusti aur talbon se nikalti.. maidan dard bhari chinkh se kaanp utha… Shwetna fir na ruki, fir na raham ki... Jab kahar bankar barsi, poora ran'bhumi uske diye dard ki gawaahi dene laga...


Idhar Meena Arhcemia ko ghurti hui.… "Tumhari himmat kaise hui thi meri maa ko kuchh kahne ki gandi aurat.… Alag-alag parivaron ke 8400 dragon babies ki akeli maa hai wo... Aur tu humare samne apni issi juban se unhe gaali de rahi thi"…


Arhcemia pahle se dard me chhatpata rahi thi. Meena ke ek ishare par ek dragaon niche utarti panje se uska muh faad di, Arhcemia ki aankhen badi ho gayi... Kisi tarah poora dhyan laga'kar wo dono ke dimag kabu karna chahi, par aisa ho na saka...


Chhatpatatee wo apna sar idhar-udhar karne lagi... Uska kaanpta badan uske darr ki gawaahi de raha tha… 6 inch ke chamkte metel ke nakhun... Aur dono nakhun ki tip ke bich me thi Arhcemia ki juban... Meena ke dil me josh aur juban par... "Na ruko aur na raham karo"… kahti hui usne juba khich di...


Jaise hi juban khinchi, uski juban 2 hisson me fat gayi, kewal judi hui nakhun ki tip bahar aayi... Pados me uski sathi ye najara dekh'kar sar upar niche karke jod se hamsne lagi... Arhcemia ke aankhon se dard bahdi khun ke aanshu nikal rahe the…


"Aaaaaaaa... Chhod do mujheeee, Raham karoooo, bahut dard ho raha hai... Main paunnn pakadti hunn, kuchh to rahamn karooo" ki bhikh lagataar maang rahi thi…. Antim samay ke dard ko na to Arhcemia aur na hi uski sathi raniya chel pa rahi thi.. Bus bhikh maange jaa rahi thi...


Nakamyab hui Meena khud se hi gussa hoti.... "Ek kaam sahi se nahi kar sakti tu pagal"… kahti hui Meena ne apne ek ungli uske muh me ghus'kar, iss bar jibh ko roll kar'ke, ungli ke upar lapet dee... Chhati par panja aur jibh ko poora khinch'kar lambi si juban bahar nikalti... "Ab teri juban nahi chalegi kamini"…


Pichhe se sabhi Raniyon ke dard bhadi chinkh ke sath bhikh maangna jari tha. Dard aur berahmi aaj jab khud par haavi ho raha tha, ye log bilbila uthe the. Paglon ki tarah gala faad'kar chhatpata rahe the. Bardast nahi kar pa rahe the. Lekin na to in achhe aur kamjor logon ke dil me jarra bhi raham aaya aur na hi Meena aur uske sathi dragons ne, in sab dard bahdi chinkh aur bikh maangti minnat bhade awaj par koi dhyan dee...


Meena ki sathi dragon... "Tu aankh khol iske... Isne maa ko aankhen bhi dikhayi thi"…


"Kyon nahi shauk se bahan"… kahti hui Meena ne apne bade nakhuno se palkon ko khinch'kar faad hi di... Arhcemia ki badi badi aankhen... Bilkul khuli thi... Aur uski khuli aankhon me nakhun ke tip daalkar, jad sahit ek-ek karke aankhen nikal liye gaye…


Dono dragon na raham kar rahe the aur naa hi ruk rahe the... Pados ki 5 raniya ye sab hota dekh dard me bhi ultiyan karne lagi... Apni haalat Arhcemia jaisi soch'kar, chhatpata kar gala ab to khud ka kaat dene ki bhikh maangne lagi…. Poore maidan ke dard bhadi chinkh ek ore aur inka dard se chillana ek ore... Alag hi dikh raha tha Raniyon ka ye dard me dubi hui minnaten jo baki dragond ko bhi aakarshit kar gaya..


Shwetna ke ishare to pahle hi mile the sabhi dragons ko.... "No more bombari"… isliye karne ko ab bahut jyada kuchh tha nahi un dragons ke liye bhi. Jitne der me wo 1-2 ko pakad'kar maarti, uthne der me to Shwetna uss ilake ko dard me lita chuki hoti.


Idhar khun ke pyase Viggo to Shwetna se bhi char kadam aage the... Talvaar ke vaar se, ek hi vaar me kaat'te aur mud'kar yah tak nahi dekhte ki mara ya jinda hai, kyonki yakin hota tha marenge hi... Aur bus teji se aage badh rahe the..


Sabhi dragon babies ab thi 5 Raniyon ke pass. Arhcemia ke ang ko bade pyar se bhang kiya ja raha tha... Uske dard par sabhi beraham se the… itni bhayawaah tadap thi maut ke pahle ki, kee apni iss zindgi ke liye Arhcemia ko ab pal-pal afsos sa ho raha tha...


Aur issi pachtave ka ehsas, baaki 4 raniyon ko bhi karwana tha... Dragon babies ne to unpar Arhcemia se bhi jyada barbarta dikhayi... Un Raniyon ke nakhuno ke bich me, dragons apni nukili nakhun daal'kar, unke nakun khinch'kar nikal rahe the... Ungli khinch'kar ukhad rahe the... Unke dard bhari chinkh se sabhi dragons ka manoranjan ho raha tha... Aur wo sabhi na hi ruke aur na hi raham kar rahe the...


Jivisha hawa ke rath par sawar pahunchi thi maidan se takriban 80 kilomter ki duri par, jahan Surpmarich ek round circle ke center me baitha tha aur charo ore edge par danda gada hua tha... Jivisha un dandon ke bich se ander ghusne ki kosis ki lekin tej jhatke ke sath wo pichhe ja'kar giri... Aisa laga jaise hazaron volt ka jhatka usse laga tha...


Ye kya tha Jivisha ko bhi pata nahi... Pahle uss ghere ko bijli ke jhatke se hathana chahi, lekin sambhav nahi ho paya... Aandhi, toofan, barish har chij ka prayog karke dekh chuki thi, lekin jis surakha ghere me wo ja baitha tha, Jivisha uss ghere ko paar nahi kar pa rahi thi….


Jivisha gussa'kar wahin jamin par baith gayi... Aur dhyan lagane lagi.… "Kya kar rahe ho mitr"…


Apasyu:- Kuchh khas nahi mahol shant hai.. aur samanya... Wahan ka kya haal hai...


Jivisha:- Ek tihai hisse se lad rahi hun, shayad isliye ye Surpmarich dard de raha hai...


Apasyu:- Sampoorn yojan par baitha hua hoga wo… kyonki uske dono dimag yahan bhi sampoorn yojan par hi baithe huye the...


Jivisha:- Haan to mujhe kaun sikhayega uska tod...


Apasyu:- Aisa kuchh bhi nahi jo tum na kar pao Jivisha. Wo Sampoorn yojan se khud ki sari siddhiyan jagrit kar raha hai... Dhire-dhire uska surakhsa ghera simtega aur uske badan se ja milega…


Jivisha:- Matlab main usse chhu nahi paungi…


Apasyu:- Chhu nahi pahungi se matlab... Tumne uske surakhe ghere ko janchne ke badle chhu kar dekhi thi...


Jivisha:- Nana, main to sidha ander ghus rahi thi…


Apasyu:- Kitni baar sikhaya tha koi seema bandhi ho to usse nahi chhune... Wo aadha kamyab ho gaya hai...


Jivisha:- Timepass band karoge aur bataoge kya karna hai... Isse maarne ke liye main mari ja rahi hun...


Apasyu:- 101 aatmaon ke sath poora dhyan laga'kar mahamrityunjay aur akshmya jaap karti hui ghus jao... Aaj wo bachna bhi nahi chahiye...


Jivisha:- Bachoge to tum bhi nahi mitr lekin abhi kaam jyada hai chalti hun....


Jivisha, Apasyu se sampark todti, sidha apne 100 bacchon aur Shwetna se sampark ki. Sabhi bacche dard dene me vyast the. Shwetna dard de'kar break le chuki thi... Maidan me chand laakh log bache the jise Viggo apne talvar ka maza ba-dastur chakha rahe the ..


Jivisha ke ek awaj par, sabhi dargons, Shwetna aur kuchh Viggo ladake ko load kari aur uddti hui chali aayi... Jivisha isharon me sabko baithne kahi aur Viggo ladakon ko iss kshetr ki rakhvali ke liye bol di...


Apni ikchha shakti se Jivisha 101 aatma ko jod chuki thi... Dhire-dhire wo sab bhi dhyan leen se ho gaye aur agle hi pal 101 aatmaon ke sath Jivisha Mahamrityunjay aur Akshmya mantr ka jaap karti aage badhi, mantrocharan ne Surpmarich ka dhyan bhang kiya..


Ek sampoorn yojan arthat apni poori suruksha, jise koi bhed nahi sakta... Mirtyu bhi chhu nahi sakti jab tak mantr prabhav rakta hai... Uchharan me khathin aur ek galat uchharan se prabhav samapt ho sakta hai...


Jitne prabhavi tarike se sampoorn yojan kiya jayega, fir suraksha ghera simat'te huye uske sharir se sama jayega fir mantr jaap ke sath wo apni poorn suraksha kar sakta tha... Aur sath me apne dushman par utne hi prabhavi roop se humla bhi..
Zabardast awesome interesting update

Chalo is archima ka or is k sath baqi 4 raniyo ka kissa khtam
Boht bari bari phenkti thi ye shewtna or meena gange ne mil k dil ko sakoon pohnchane Wala kaam kra h I like it
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,473
158
Maine quote me 2 screen shot diye hain... Ek me Nischal lad raha hai aur dusre me story end... Dono screen shot ke words dekhiye...

Ek aadarsh update 1800 se 2000 words ka hota hai... Aisa mera maan'na hai... Ab khud andaja laga lijiye ki kahani kitna bacha hai... It's 22 update...

Aur ek baat ... Aaj main update dene ke mood se nahi hun... Bus soch me duba hun ki kya karun ... 11 update ek sath dene me kya hoga... Readers padhenge ka skip karenge... Ya end nahija bus dekhnege yahi manthan chal raha hai..

Poori tarah se soch vichar kar kal post karunga update... Waise bhi log aalsi ho gaye hain end ke waqt desired responce na aawe hai...
nain11ster Bhai dusro ka to nahi pata par aap 11 update 1 sath bhi doge to bhi me ek ek shabd padhunga me koi bhi story ho skeep karke nahi padhta hu ha ye alag baat he ki sex seen me kabhi kabhi hi pura padhta hu warna skeep hi kar deta hu :D wait rahega aap ke Update ka chahe aap 1 sath do ya 2 update do or ho sake to aaj ke 2 update dene ke baad soch lijiye ga ki update 1 sath doge ki do do karke:roflol:
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,154
158
Aapke next update ka intazaar hai bhai. Agar aap meri baat maane to abhi jesa flow chal raha hai usi tarah chalne dijiye, sabhi update ek sath dene se achha hai ki 1-1, 2-2 update hi dijiye. Baki aapki marzi.
 
Top