• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-113 (E)






"Kitni formation copy karenge… hum random formation lenge... Pahle 1 se 8 ke koi bhi. Dobara samjha rahi hun, kewal 1 se 8 formation hi istamal hoga. Bich me koi aur istamal kiya to main uske liye taiyar na rahungi.. 1 se 8 formation, straight aur reverse, dono policy... Speed, accurecy aur body language, jo bachpan se sikhte aur karte aa rahe hain..


Ye dono abhi baat kar hi rahe the ki issi bich ek sath kayi bade dhamakon ne wahan ke mahol ko dahla diya... Aur dekhte hi dekhte hawa me jet fighters par humle shuru tha...


Upar unke 1000 carore viman the jise khatm karne ka bida Canon aur Saras ki team ne uthaya tha, unpar bade-bade missile launcher se humle shuru ho chuka tha... Upar se niche aane wali missiles, chemical me ghul jayegi... Lekin niche se upar jane wale missiles...


Serin:- Yah ek complete army hai... Aur hum dono khade hain ek complete army ke against...


Serin aur Nischal ek dusre ko dekh rahe the, tabhi uss army ka commander samne aaya.…


"Apni sena ke backup ke intzar me hai kya re chuhe. Tu to nirbhik sahjada hua karta tha na, fir apni half blood ke pichhe kahe ghus raha... Kahin humare vansh badane ke bare me soch-soch kar, tum dono itne utsahit to nahi ho gaye, ki aapas me ghus'kar vansh badha rahe... Waise Sahjade teri dono (Jivisha aur Serin) whore hai to kafi dilkash… abhi apni half blood ke kapde utar kar bhej de, hum ye bombari rok denge"…


Serin:- Ye hume hi uksa raha hai…


Nischal:- Ye pridict hua na... Ja aage badh... Aur bhulna mat, Speed se jyada jaroori hai, accurecy aur complete concentration... Hum zig-zag policy se humla karenge… jaldi ja aur uske jaal me fans ja...


Serin, apne hath ka ek talvar Nischal ko badha dee. Kinare latka, Nischal ke khanjar ki copy khanjar ko Serin ne chain ke ek sire me lock kar diya. Serin aur Nischal ko dushman commander ne uksaya tha. Jaisa uss commander ne pridiction banaya tha, ye dono uske prediction ko sach karne ja rahe the, taaki Serin ke gusse ka fayda uthane ka soch'kar, ye log apne formation se loop de... Haan lekin unki peridiction to tej daur aur bhid ko kaat'ne wali hi thi… Kyonki dono yahi to karte aaye the..


Ek khatarnak yudhh niti jo dono bachpan se karte aa rahe, tum jis humle ki ummid humse karo, hum wahi humla karenge.… Kyonki ye kahani thi bharose ki. Ek dusre par bharosa iss had tak tha ki kahin bhi ghusne se pahle sochte nahi the…. Abhi dushman ne dono ko ladte kahan dekha tha... Ek sangathit arbon fauj ki army VS Nischal aur Serin.…


Serin ko agle 2 minute tak gussa dikhana tha, iss bich Nischal ne Aerobok ke sath telepaithy kar'ke usse yudhh me aane se saaf mana kar diya, kyonki uske log iss tarah ke yudhh ke liye prashikshit nahi the... Aerobok lagbhag 1 carore 70 lakh ki fauj ko naag-dansh ke ghere me agle aadesh ke liye taiyar rakhe tha. Idhar jab'tak


Serin gusse ka sanket deti, apni talvar hawa me upar ki. Jaise hi hawa me talvar upar gayi, kadakti hui tej bijli se talvar ka point jud gaya, jo Serin ke gusse ke sath talvar me bijli ki shakti bhi badhne lagi... Aur uss poori bijli ko Serin ne sena-nayak ke upar chhod diya... Wah senanayak na hila aur na hi bachne ke koi upay kiya...


"Jaise tum humare bijli aur barshat jhelne ke kabil ho, thik waise hi hum bhi hai... Tere ye 2 kaudi ke paintre yahan kaam na aayega... Haan kapde utar le to tujhe hum batayenge ki kaise kayi bij mishrit bacche paida hote hain"….


Wah sena-nayak bole chale ja raha tha aur idhar Serin aur Nischal samjh chuke the ki inke poshak jo hain, wo har vayumandaliya jhatka jhelne ko taiyar hain… speed, dimag me ghusna.. aur tisra hathiyar tha vayumandaliya aavran. Serin bhi samjh chuki thi ye teeno hathiyar pakke se compromised hain... Inke bharose fasenge, jaisa Nischal ne aasanka jatayi thi...


Serin bijli ke jhatke de'kar ek baar gussa dikha chuki thi... Ab fir se uss sena nayak ne gussa dilaya tha... Iss baar Serin daur gayi... Serin ke daur lagate hi sena-nayak bhi Nischal ke gati ke saman hi daurte huye apne sena ke bich chala gaya...


"Bhagta kahan hai badjaat, aa ab dikha na mujhe kaise mishrit bij se bacche paida karte ho harami"… Serin bhi gusse ka izhar karti hui daur laga chuki thi... Serin kafi tej daurti hui chain ko bhumi me ghusayi aur chaugune force ke sath wo hawa me thi... Jaise hi wo hawa me aayi... Poora aakash hi tope ke gole se bhar chuka tha, aur nishana hawa me chhalang lagati Serin. Iss poore sangathit army ki najren ek pal ko hawa me...


Itna waqt kafi tha, Nischal apni raftar se daurte huye apne khanjar lage chain ko hawa me fenk'kar Serin ke paun se lapeta... Serin jamin par thi, thik ussi waqt wo sare tope ke gole uske upar se cross kar chuke the. Thik uske pal bhar baad, Serin niche aur Nischal hawa me tha.. aur iss bich Serin ki talvar chali, kaman ke 3 fauji ko Serin ek sath kaat'ti hui apne chain ko hawa me uchhal dee. Chain Nischal ke paun me lag'kar usse niche khincha aur Serin hawa me. Nischal niche jamin par aane ke sath hi teen sainikon ko sulaya aur chain hawa me uchhal diya...


Ek second me dono aage pichhe 3 baar hawa me hote. Teeno bar tope ke gole sar ke upar se gujar jate aur kuchh lashen niche giri hoti. Sena ka dhyan bus chand pal ke liye bhatka hota aur utne hi loop me dono kaam kar'ke hawa me hote.


Niche aakar 3 logon ko katne ke turant baad chain fekne ki accurecy, kyonki dono ke chain ke ek chhod par khanjar laga hua tha... Jo utni gativan chain ke sath fenke jane par yadi chuk hoti, to jis ang ko khanjar lagta, uske nuksan ki kalpna bhi muskil thi... Aur timing... Tope ke gole hawa me asardar the, isliye ek pal me apne sathi ko niche lana aur uske agle pal me tope ke gole ke upar ya niche se hawa me cross karna... Timing…


Dono hi apne timig aur accurecy ke sath apne dushmano ko chaunka rahe the... Issi bich tope ke humle ko rok diya gaya... Jis katar se log mare the, uss jagah ko turant bhar diya gaya aur sabhi sainik ek dusre se chipak'kar katar ko complete shied kar chuke the… Serin hawa me thi aur Nischal jamin par aur agle hi pal dono bilkul katar ke shurwat me khade the... Aage jo 3 sipahi khade the wo dhal ka tikon banaye bus pahle humle ka intzar kar rahe the...


Nischal aur Serin ko bhi gyan tha ki inki speed Nischal ke barabar hai... Khule hath ka ek humla aur dushman ke bhala ya talvar kab ghusts pata hi nahi... kyonki wahan maujood teeno hi unke hi barabar speed rakhte the.


Ek chhanik najron ka sampark aur agle hi pal Serin tej daudti hui, samne ke dhal ko apne dono hath se pakadti ulti chhalang upar hawa me lagayi… Serin ke paun hawa me, hath upar se dhal ko pakde…. Sealed open tha aur teeno sainikon ke hathiyar Serin ke hath se ek bindu jitne duri par thi. Samne se Nischal utni hi teji dikhate huye, talvar ke ek lahar se teeno ka gala kaat chuka tha. Udhar Serin wo dhal liye hawa me roll karti jaise hi 2 katar ke bich land ki...


Serin hawa me roll kar rahi thi, tabhi bich se 15 logon ka formation kafi teji se toota aur katar utni hi teji se apne pahle ki bhanti formation banati hui jud gayi... Unki bhi timing gajab ki thi, kyonki iss baar jab Nichal ne Serin ko hawa se khinchne chain feka, tab raste me hi repulsive force apply tha. Nischal chain se Serin ko khinch nahi paya.


15 sainik jo katar se alag huye the, Serin ke hawa me hone par hi, apna cirle kafi teji se banate, Serin ke land karne se pahle hi, uspar hawa me bhale se humla kar rahe the. Serin, roll karti dhal ke bich apna poore body ko cover karti, wahan bich circle me land hui. Wo jaise hi land hui, ek complete circle me quid...


Wah circle bahar ke ore se dhal se pack tha aur ander hathiyar ke sath sainik taiyar. Serin humla kare ki na kare ussi duvidha me thi... Ek hath me khanjar aur dusre hath me talvar liye Serin khadi charo ore dekhi.


Serin ke upar humla hone ki soorat me, wo jitni teji se ek ko marti, utni hi teji se kayi sainik uske jism me apni talvar ghusa chuke hote. Chhanik mamla tha jo Serin ke jahan me kudne se le'kar land hone ke bich aaya tha. 15 sainik utni hi teji ke sath apne hathiyar chala chuke the.. kisi ka nishana gala to kisi ka koi aur ang… Hahiyar chale, itni tej ki palak jhatakne ka mauka nahi, lekin taiyar the wo ranbhumi ke har khel ke liye. Serin ke paun bhumi par pade. Hathiyar chale aur wo bhumigat thi...


Nischal aur Serin iss chhote se humle ke baad naag-dansh ki shuraksha me ek yuddh viram lete huye.… "Ye kamal ki Sena hai Nischal…. Yadi inke sath inka commander hota to hum dono akele kabhi jit nahi pate…."


Nischal:- Ab bhi jit gaye hain, tumhe aisa kyon lag raha hai... Pichhle 15 minute me 40 log maare hain aur bhumigat hone ki taknik na hoti to tum poori tarah se ghayal ya mar chuki hoti...


Serin mritak sainik ke paun ki wo chain bandhne lagi, jis se bhumigat nahi kiya ja sakta… Samne taiyar khade sainik bhi Serin ko aisa karte dekh rahe the, aur unke kheme me ye baat phail gayi...


Serin, ek chain Nischal ke ore fenkti... "Bandh lo, inke sena nayak achhe honge... Bahut achhe honge, lekin main bhi master Serin hun..… Junior hum ek formation me ladenge... Ek ke piche ek... Around the circle, 360⁰… Mujhe ye poori jagah jaldi khali chahiye…. Koi sawal"…


Nischal:- No senior...


Serin:- Ek sath.. ek gati se... Poore anusasan, ekagrata ke sath.. abhi...


Dono kadam se kadam mila'kar daud rahe the... Serin, kataar ke aage ke Dhal ko pakad'kar hawa me thi. Iss bar 2 sainik samne Nischal ko aur ek sainik Serin par hathiyar chalane ki poori taak me...


Bus aankhon ke ishare the, chain wo sainik repulsive kar sakta tha jo Serin par humla karne ki tak me tha. Serin apne chain me lage khanjar ko hawa me chalayi aur 2 jo samne Nischal ka intzar me the, unhe Serin saaf kar chuki thi, jabki bich wala jabtak apna bhala chalata Nischal ki chain lagi khanjar dur se chali aur Nischal daur'kar wahan tha jahan Serin land karne wali thi...


15 log upar dhyan kiye Serin par humle ko utsuk the. Nischal ko ek chhoti si window mili aur Nischal ek round apni khanjar ko ghuma chuka tha... Serin jabtak land karti, tab'tak Nischal khanjar lahra'kar 15 logon ka gala kaat chuka tha aur pass baithe sinik, jo apne kinare se dhal lagaye, kataar ko kinare se protect kar rahe the, uske dhaal ke tip ko pakad'kar iss baar Serin ki tarah Nischal hawa me tha...


Nischal jaise hi hawa me hua, Serin apni talvar ka war uss sainik par karti hui, usse kinare se chidh'kar talvar ko bhumi me ghusayi aur uske handel ke support leti ek baar fir wo hawa me thi.. Bich ke sainik jo thik Serin ke niche the, jaise hi dhal hata'kar Serin par humla karte, Nischal land hote-hote, apni chain me lagi khanjar ek baar poora lahrate huye niche land kar raha tha... Serin ke niche wale sainikon ka dhyan Serin par aur Nischal ka khanjar kahin dur se lahrate huye aati aur uska gala kaat chuki hoti...


Wahi Nischal jahan land ho raha hota, uske pass ke sainik, Nischal par humla karne wale hote, Serin hawa me hi apne khanjar ki lahra deti un sainikon ke ore... Aur natija wahi, jabtak dhyan Nischal par humla karne me lagaye, tab'tak galaa kat chuka tha…

 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-113 (F)





Sab gati aur santulan Khel tha jo in copy karne walon ke bus ki baat nahi tha aur naa hi hawa me rah'kar itna achook war karte huye land karne ki kashmta Brahmand ke kisi bhi sainya tukdi me thi.


Ek baar Serin to ek baar Nischal hawa me hota. Adbhut gati ke sath, ek dusre ko save kar'ke maarne ki policy ka koi tod nahi tha inke pass. Aur aisa nahi tha ki wo sirf ek code ko follow kar rahe the… Kabhi Serin, Nischal ke pass wale sainik ko maarti to kabhi unhe chaunkate huye, humle me tabdili kar'ke, apne apne pass wale sainikon ko maar rahe the…


Aisa lag raha tha jamin se maar karna ab achha nahi lag raha… Bus jaim ko chhu maatr le, utne hi waqt ke liye niche aate aur fir dono bari-bari hawa me. Nischal aur Serin dono hi hawa me hote. Ek ke pichhe thik dusre uchhal rahe the aur natije wahi ho rahe the... Humla karne ki itni rendom taknik, kisi ko kuchh samjh me nahi aa raha tha aur inke log humla karne se pahle hi mare ja rahe the… wo bhi kafi teji me...


Tabhi bich se ek awaj hui aur sabhi sainikon ne dhal chhod'kar, naye formation me aa gaye... Wo log bhi ek dusre ko apni talvar se protect karte humla karte. Vijayi muskan ke sath Nischal aur Serin jamin par khade huye. Sabhi sainik dono ke gher chuke the. Sab ek sath teji se humla karne ko taiyar khade... Nischal aur Serin bhi taiyar. Hathon me hathiyar aur sath khade the, lekin ulti disha me... Dono ke pith ek sath aur face opposite...


Dono ke bayen hath ki khanjar sine tak uncha, wahin dayen hath ki talwar niche ke jamin ko face kar rahi thi... Charo ore se utne hi tej sainik unko ghere.. kaun pahle humla kare... Dono ko ek dusre ki kashmta ka pata tha aur dono hi ore se utna hi sachet...


Ek chhan ko sab ruke the... "Come on boys chalo ab ruke kyon ho... Koi nahi I am on"…


Kahte huye Nischal teji se sainkon ke circle ke itna karib tha, ki dayen ya bayen se teesra ya uske baad ka hi sainik talwar se humla kar sakta tha... Nischal ne apne samne wale ke gale me khanjar utarne ke sath hi.… dayen hath ki talvar se, dayen ore ka humla rokne ke baad talvar se uss hamle ka javab diya.


Dayen ore ke action ke sath me hi, apne bayen kinare wale sanik ke khanjar ke humle ko, vayumandaliya aavran ke chhote se dhanche rok'kar, uske gale me khanjar utara diya. Aage ke teen sainik jate hi, wahan ke sainikon ne bhi dono ko chunautiyan dena shuru kar chuke the...


Takraye jab apne hi barabar kshmtaon wale dushman se... Fir to dono bhai bahan ki talvaren lahra rahi thi... Dono bhai bahan utne hi anushashit aur poorn dhyan ke sath utre the... Inki lagatar practice ka natija yahan ke sainik dekh rahe the.…


Ye fauj bhi utne hi anusasan me the... Kataar koi tod nahi rahe the... Humla bhi ussi raftar se kar rahe the, kewal prashikshan ki kami rah gayi, jo Nischal aur Serin ke mukable kuchh bhi nahi tha...


Na to inme humla karne ka sahi aaklan tha aur naa hi ye logon me in dono jaisi ekagrta, prashikshan aur na hi ek hi waqt me 360⁰ me hathiyar chalane ka anubhav tha... Astak ki sena ke alawa koi dusri sena hoti to apne dushman ko dekh'kar ek baar "Wahhhh !!!" jaroor kar deti...


Dono ek dusre ke viparit khade... Dayen hath ki talvar lahrati, tannn ki awaj aati jo ek he waqt me apne 4-5 dushmano ke talvar ko humle ko jhel gaye... Thik ussi waqt jab talvar lahrati, dono ke chain me lage khanjar 360⁰ ghum jati… Dono kaam ek sath poori safai se sath me karte, lahrate talvar ke sath hi khanjar ko hawa me gol ghuma dena...


Tej raftaar ki ladai me, bus jo najar aati wo... Tannnn... Tannnn... Tannnn… aur issi awaj ke bich me Nischal apne sar ko bayen ore poora jhuka leta... Jiss se usse dayen ore ke sainik dikhe aur Serin dayen ore apna gardan poora jhukati, aur tannn ke awaj ke bich jab inki gardan poora jhookti, aur khud ke gardan ko jhukane ke sath hi inke khanjar ek baar lahra chuke hote, jo circle ke 2 kataar ko kaat chuke hote...


Nischal sur Serin ko ek hi waqt me apne sabhi angon ke prayog karne ke liye prashikshit kiya gaya tha. Wahin dushman inke chain ke char guna gati ko, ghumne se rok to sakte the. Lekin chain thik ussi waqt chalti, jab Astak vansaj humla kar rahe hote... Aur ye log humle par dhyan dete waqt, unke chain par repulsive force daal hi nahi pa rahe the. Dono bhai bahan ke berahm khel poore josh se shuru ho chuka tha…


Lahrate talvar ke sath unka lachila badan lagatar lahrate huye ghatak humla kar rahe the. Dushman bhi utne hi sangathit aur tej. Unke humle se dono bhai bahan kabhi bachte to kabhi kharoch bhi lagti, to kabhi unki talvar scratch bhi dete huye nikal jate... Khas'kar Nischal aur Serin ke sharir ke bayen hisse ko hamla jhelne par raha tha.... Kyonknki uss hath me chain thi, jiske upar ya niche se badan ko hathiyar chhu hi jati…


Kitna bhi Lahuluhan sharir kyon na hua, lekin na to dhyan bhatka aur na hi inke maarne ki gati me koi kami aayi... "Tannnn-tannnn-tannnnn" talwar se bhale aur talvar ke takrane ki awaj aa rahi thi aur agle hi pal, lash girne ki awaj...


Serin aur Nischal poora anushasan dikhate... Humla kiye chhanik ruke, aas pass se hote huye humle ko baanp'kar unhe roke aur rokne ke sath hi jawabi humla ho jata... Bachna aur humla karne ki yah taknik, itni adbhut thi ki pata hi nahi chalta ki ye dono ruke bhi the...


Dushman bhi apni kshmta dikha rahe the... Bayan hissa kamjor tha, yah jaan'kar ab tukdiyan charo ore se gherne ke badle 8 kataar me khadi ho gayi thi... 4 kataar dayen aur 4 kataar bayen ore se humla karne.… lagataar badalte formation se bhi Nischal aur Serin ko koi fark nahi para tha, kyonki inka dimag pahle se sangathit humla karne ki yojna bana chuka hota...


Naye formation se dono ko raahat hui thi.. Kyonki ab sidha maarne me pareshani nahi hogi... Chain se khanjar ko lahrana nahi parega... Lekin issi ke sath pareshani bhi badhegi, kyonki circle me dushman ke humle utne asardar na hote, jo samne se hone wale the...


In logon ne bhi socha dono sath ladenge isliye 4-4 ki 2 kataar bana lee, lekin ab dono hi samne se apne-apne kataar ko face karne wale the... Khanjar ab dono ke haath me aa gayi aur talvaar khun ke pyase...


Ab to bus khel shuru karna tha. Nischal aur Serin dono apne khanjar ko kamar me daal chuke the… Bayen hath chhote-chhote vayumandaliya aavran bana kar bayen ore ke humle ko rokne ko taiyar... Aur fir lahrana shuru hua dono ke talvar... Raftaar se bus kalai hi to palat rahe the, wo bhi bilkul lachile pakad ke sath...


Kalai ke ishare the aur apne sharir ko dono bus thoda left aur right ke ore ghuma rahe the... Talvar bijli se tej aage ke ore lahra rahi thi... Wah itni tej lahra'kar bayen se dayen aati, mano talvar khud pukaar kar kah rahi ho... "Dum hai to iss tej se lahrate talvar ke bich se apne hathiyar ghusa'kar dikhao. Yadi mujhe paar kar liye to mere malik ka badan tumhara"


Lahrata talvar jaise cutting machine bana tha aur ab dono bhai bahan poore raftaar ke sath inki tukdi ko naapna shuru kar chuke the... Lachila badan, kalai ki poori raftaar... Utne hi tej badhte unke kadam aur lahrate talvar ke bich me sainik ke humle bekar se huye ja rahe the. Jab nichal ki talvar kalaeyon ke sahare lahrati, 4 kate gale aur 4 laash ko paar kar'ke, aur 4 lash girane badh jaate...


"Na raham karenge"… Nischal ki talvar lahrayi aur gala se lalkaar.… "Na rukenge".. Serin ka bhi talvar chala... aur dono ek dusre ka josh badhaate aage badhte rahe...


Dayen ore se dono majboot the, lekin bayen ore ka vayumandaliya aavran kuch kamjor sa tha. Dono ke badan ke bayen hisse me talvar aur bhalon ke nok ki scrach se, badam lahuluhan se tha. Lekin rukne ka waqt kahan tha... Ek rukte to dushman ko pichhe se humla karne ka poora mauka mil jata...


"Main hata to wo mar jayegi"… Bus yahi chal raha tha dono ke dimag aur aur dono ka sharir kuchh pal ka aaram maang raha tha... Sharir ke ek hisse se khun nikal raha tha... Fir bhi dono apne dum par apne barabar ki kashmta ke dushmano ko, kaat'te huye aage badh rahe the... raftaar to kabhi ruki hi nahi.. haan par ek sangathit army ko katne ki raftaar bahut hi dhimi thi... Warna jis hisab se dono ki talvar chal rahi thi... 2000 carore vansaj ko to ab tak kaat chuke hote...


Ek sangathit army, jaisa ki Nischal aur Serin ko sahuru se pata tha... Iss baar formation nahi badla kyonki unhe bhi mehsus ho raha tha ab ye bhi ghayal hain... Bus ab dono ko aur ghyal karna tha. Dono ko aur bhi jyada dard dena tha... Aur issi mansa ke sath shuru hua dushmano ke bomb ka kahar... Jo mar gaye saink unke laashon par tange the bomb...


Jo khade the unke badan par tange the bomb aur oprate kahin aur se hona shuru hua... Bomb footna shuru huye aur uske ander se 1/2 inch ke kayi hazar shakt kaaten utne hi teji se hawa me bikhar gaye.. Kisi ped se laye gaye natural kaanten. Aam kaaten to honge nahi, upar se 1 bomb me 1000 kaanten... Aisa lag raha tha maarne se pahle poore tadpane ki taiyari chal rahi ho...


Bomb footne ke sath hi hawa me kaanten bikhre the… Ek sath hazar ki sankhya me bomb foot rahe the. Dushmano ke surksha taknik. Bomb ke humla hone ki shoorat me automatically bachne ke sare intzam ho gaye. Poora body cover aur aankhon me chasma laga. Haan ye poshak un kaaton se bachne ke liye hi the.. lekin ye kaaten to kuchh jyada hi jalim nikle, apne sainikon ke poshak ko bhi bhed gaye... Haan unpar asar kam tha lekin kaaten ghusne ka dard se wo sab bhi bilbila gaye...


Wahin in dono ke poore badan me to wo chhote-chhote kaanten ghuse hi. Khuli aankh se dono humla kar rahe the, aur dono shayad palak jhapkana bhi bhul chuke ho. Dono ke palke bhi jhapki aur kuch kaanten aankhon me bhi ghuse...


Ho rahe humle se dhyan hata nahi sakte the aur dono ke sar se le'kar paun tak kaanten hi kanten ghusna shuru... Ek sath kayi hazar kaaten ghusti dard deti aur wo kaanten sharir ke ander hi gayab ho jati. Sharir me sama'kar wo kaaten itna pira de rahe the ki ander ka khun tak jal raha tha... Lekin aaj fikr kahan kisi bhi baat ki.. sar par kafan bandhe nikle deewane 2... Nikle the manjil tak pahunchane kisi ko...



Na hi ruke aur naa hi khud par bhi raham kiya. Na dhyan toota na ekagrata. Aankhon me ghuste kaanton ki bhi parwaah na kiye. Khanjar berahmi se gale me ghuste rahe... Dayen ore se talvar humle ko ro'kar lahrate rahe aur sath hi sath bayen ore se dushman ke talvar, bhale aur khanjar ki tip lagatar ghus jati, usse bhi sahte rahe... Aage badhte rahe aur lashen girate rahe...


Kataar tha ki khatm hone ka naam na le... Lashon ke dher bante ja rahe the aur dono hi thik ek dusre ke piche kadam se kadam badhate huye lashen gira rahe the... Bomb girte, vishaile kaanten chubhte unke iss humle ko bhi jhelte rahe... Halakh se Nischal aur Serin ki chinghar nikalti.… Khuffjada tha wahan ka najar. Dono ki awaj jaise dahsat thi. Aankhen poore khun me doobi laag... Jitne jyada unhe kaanten chubhte kaatne ki raftaar bhi utni hi badh rahi thi...


Mahakaal ka sawaroop the aaj dono... Bahte khun ki garmi dur tak mehsus ki ja skati thi. Inke badhte kadam khauff ke parichayak the... Na khud par raham kiye na dhusmano par...

 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,519
188
Kabhi kabhi lagta hai ki main itna honest kyon hun.... Naina was spreading so lot of negativity... Shayad koi dusra hota to ya to Apasyu ko hata deta ya naina ko ... Khair :D

Fir baat logon ke jahan me aa gayi takat comprision ki.... Abhi kya hun kah dun ... People are so mindless in enemity... Wo takat compare karne me lage hai and what a beautiful quote... Apasyu ko jyada takatvar dikhaya...

Matlab jab bhi ye wakya aankhon ke aage aaye na to din me feeling aati hai... Idhar samne aa'kar bol... Lagata hun Chamet...

Khair yahan bhi chahta to logon ki jalan badhane ke liye main bahut kuchh ulat fer kar sakta tha kisi ko pata chale bina with complete logic bhale koi mane ki na mane... But ye imandari hai ki jati nahi...

Villan ke side thi Hella ... Main chahta to yahan Hella aur messa ke charcha na hone deta taki logon ke jahan tak me kuchh na aata... Lekin yahan bhi imandari...

Main kahani me har wo chij kar sakta tha jo ek reader ke baton ke support ko sire se nakar de.... But yet u see... Khud hi likhta hun aisa ki readers ko aur majbooti milti hai unke apne theory me...

Khud me hi sochta hun ab to... Kya mujhe un baton ko gayab kar dena chahiye tha ya un facts ko aane hi nahi dena chahiye tha jo readers ko halla karne par support kare kyinki sab to mere hi hath me tha...

Fir anth me ek hi baat hoti hai.... jo hai wahi aayega bhale iss se reader ko bolne ka mauka kyon na mile :D ... Achha lagta hai jab wo log iss vishwas ke sath post karte hai ki unke likhne ke baad bhi kisi charecter ke image ko thika bhar bhi fark na padega...

So Asif bhai aaj bhi bhid me samil ho len. Aur laga ke Nischal aur Hella ka naara .. abhi idhar to ranbhumi saji hai aur samne hai arbon sainik




Update to 10.30 me hi aata lekin yahan network ke aisi ki taisi hui hai
Na na na Mai to ap k sath ho na itna nirash na hone ka
Or Nara to afun lagta hich nahi h
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,473
158
Update:-113 (E)






"Kitni formation copy karenge… hum random formation lenge... Pahle 1 se 8 ke koi bhi. Dobara samjha rahi hun, kewal 1 se 8 formation hi istamal hoga. Bich me koi aur istamal kiya to main uske liye taiyar na rahungi.. 1 se 8 formation, straight aur reverse, dono policy... Speed, accurecy aur body language, jo bachpan se sikhte aur karte aa rahe hain..


Ye dono abhi baat kar hi rahe the ki issi bich ek sath kayi bade dhamakon ne wahan ke mahol ko dahla diya... Aur dekhte hi dekhte hawa me jet fighters par humle shuru tha...


Upar unke 1000 carore viman the jise khatm karne ka bida Canon aur Saras ki team ne uthaya tha, unpar bade-bade missile launcher se humle shuru ho chuka tha... Upar se niche aane wali missiles, chemical me ghul jayegi... Lekin niche se upar jane wale missiles...


Serin:- Yah ek complete army hai... Aur hum dono khade hain ek complete army ke against...


Serin aur Nischal ek dusre ko dekh rahe the, tabhi uss army ka commander samne aaya.…


"Apni sena ke backup ke intzar me hai kya re chuhe. Tu to nirbhik sahjada hua karta tha na, fir apni half blood ke pichhe kahe ghus raha... Kahin humare vansh badane ke bare me soch-soch kar, tum dono itne utsahit to nahi ho gaye, ki aapas me ghus'kar vansh badha rahe... Waise Sahjade teri dono (Jivisha aur Serin) whore hai to kafi dilkash… abhi apni half blood ke kapde utar kar bhej de, hum ye bombari rok denge"…


Serin:- Ye hume hi uksa raha hai…


Nischal:- Ye pridict hua na... Ja aage badh... Aur bhulna mat, Speed se jyada jaroori hai, accurecy aur complete concentration... Hum zig-zag policy se humla karenge… jaldi ja aur uske jaal me fans ja...


Serin, apne hath ka ek talvar Nischal ko badha dee. Kinare latka, Nischal ke khanjar ki copy khanjar ko Serin ne chain ke ek sire me lock kar diya. Serin aur Nischal ko dushman commander ne uksaya tha. Jaisa uss commander ne pridiction banaya tha, ye dono uske prediction ko sach karne ja rahe the, taaki Serin ke gusse ka fayda uthane ka soch'kar, ye log apne formation se loop de... Haan lekin unki peridiction to tej daur aur bhid ko kaat'ne wali hi thi… Kyonki dono yahi to karte aaye the..


Ek khatarnak yudhh niti jo dono bachpan se karte aa rahe, tum jis humle ki ummid humse karo, hum wahi humla karenge.… Kyonki ye kahani thi bharose ki. Ek dusre par bharosa iss had tak tha ki kahin bhi ghusne se pahle sochte nahi the…. Abhi dushman ne dono ko ladte kahan dekha tha... Ek sangathit arbon fauj ki army VS Nischal aur Serin.…


Serin ko agle 2 minute tak gussa dikhana tha, iss bich Nischal ne Aerobok ke sath telepaithy kar'ke usse yudhh me aane se saaf mana kar diya, kyonki uske log iss tarah ke yudhh ke liye prashikshit nahi the... Aerobok lagbhag 1 carore 70 lakh ki fauj ko naag-dansh ke ghere me agle aadesh ke liye taiyar rakhe tha. Idhar jab'tak


Serin gusse ka sanket deti, apni talvar hawa me upar ki. Jaise hi hawa me talvar upar gayi, kadakti hui tej bijli se talvar ka point jud gaya, jo Serin ke gusse ke sath talvar me bijli ki shakti bhi badhne lagi... Aur uss poori bijli ko Serin ne sena-nayak ke upar chhod diya... Wah senanayak na hila aur na hi bachne ke koi upay kiya...


"Jaise tum humare bijli aur barshat jhelne ke kabil ho, thik waise hi hum bhi hai... Tere ye 2 kaudi ke paintre yahan kaam na aayega... Haan kapde utar le to tujhe hum batayenge ki kaise kayi bij mishrit bacche paida hote hain"….


Wah sena-nayak bole chale ja raha tha aur idhar Serin aur Nischal samjh chuke the ki inke poshak jo hain, wo har vayumandaliya jhatka jhelne ko taiyar hain… speed, dimag me ghusna.. aur tisra hathiyar tha vayumandaliya aavran. Serin bhi samjh chuki thi ye teeno hathiyar pakke se compromised hain... Inke bharose fasenge, jaisa Nischal ne aasanka jatayi thi...


Serin bijli ke jhatke de'kar ek baar gussa dikha chuki thi... Ab fir se uss sena nayak ne gussa dilaya tha... Iss baar Serin daur gayi... Serin ke daur lagate hi sena-nayak bhi Nischal ke gati ke saman hi daurte huye apne sena ke bich chala gaya...


"Bhagta kahan hai badjaat, aa ab dikha na mujhe kaise mishrit bij se bacche paida karte ho harami"… Serin bhi gusse ka izhar karti hui daur laga chuki thi... Serin kafi tej daurti hui chain ko bhumi me ghusayi aur chaugune force ke sath wo hawa me thi... Jaise hi wo hawa me aayi... Poora aakash hi tope ke gole se bhar chuka tha, aur nishana hawa me chhalang lagati Serin. Iss poore sangathit army ki najren ek pal ko hawa me...


Itna waqt kafi tha, Nischal apni raftar se daurte huye apne khanjar lage chain ko hawa me fenk'kar Serin ke paun se lapeta... Serin jamin par thi, thik ussi waqt wo sare tope ke gole uske upar se cross kar chuke the. Thik uske pal bhar baad, Serin niche aur Nischal hawa me tha.. aur iss bich Serin ki talvar chali, kaman ke 3 fauji ko Serin ek sath kaat'ti hui apne chain ko hawa me uchhal dee. Chain Nischal ke paun me lag'kar usse niche khincha aur Serin hawa me. Nischal niche jamin par aane ke sath hi teen sainikon ko sulaya aur chain hawa me uchhal diya...


Ek second me dono aage pichhe 3 baar hawa me hote. Teeno bar tope ke gole sar ke upar se gujar jate aur kuchh lashen niche giri hoti. Sena ka dhyan bus chand pal ke liye bhatka hota aur utne hi loop me dono kaam kar'ke hawa me hote.


Niche aakar 3 logon ko katne ke turant baad chain fekne ki accurecy, kyonki dono ke chain ke ek chhod par khanjar laga hua tha... Jo utni gativan chain ke sath fenke jane par yadi chuk hoti, to jis ang ko khanjar lagta, uske nuksan ki kalpna bhi muskil thi... Aur timing... Tope ke gole hawa me asardar the, isliye ek pal me apne sathi ko niche lana aur uske agle pal me tope ke gole ke upar ya niche se hawa me cross karna... Timing…


Dono hi apne timig aur accurecy ke sath apne dushmano ko chaunka rahe the... Issi bich tope ke humle ko rok diya gaya... Jis katar se log mare the, uss jagah ko turant bhar diya gaya aur sabhi sainik ek dusre se chipak'kar katar ko complete shied kar chuke the… Serin hawa me thi aur Nischal jamin par aur agle hi pal dono bilkul katar ke shurwat me khade the... Aage jo 3 sipahi khade the wo dhal ka tikon banaye bus pahle humle ka intzar kar rahe the...


Nischal aur Serin ko bhi gyan tha ki inki speed Nischal ke barabar hai... Khule hath ka ek humla aur dushman ke bhala ya talvar kab ghusts pata hi nahi... kyonki wahan maujood teeno hi unke hi barabar speed rakhte the.


Ek chhanik najron ka sampark aur agle hi pal Serin tej daudti hui, samne ke dhal ko apne dono hath se pakadti ulti chhalang upar hawa me lagayi… Serin ke paun hawa me, hath upar se dhal ko pakde…. Sealed open tha aur teeno sainikon ke hathiyar Serin ke hath se ek bindu jitne duri par thi. Samne se Nischal utni hi teji dikhate huye, talvar ke ek lahar se teeno ka gala kaat chuka tha. Udhar Serin wo dhal liye hawa me roll karti jaise hi 2 katar ke bich land ki...


Serin hawa me roll kar rahi thi, tabhi bich se 15 logon ka formation kafi teji se toota aur katar utni hi teji se apne pahle ki bhanti formation banati hui jud gayi... Unki bhi timing gajab ki thi, kyonki iss baar jab Nichal ne Serin ko hawa se khinchne chain feka, tab raste me hi repulsive force apply tha. Nischal chain se Serin ko khinch nahi paya.


15 sainik jo katar se alag huye the, Serin ke hawa me hone par hi, apna cirle kafi teji se banate, Serin ke land karne se pahle hi, uspar hawa me bhale se humla kar rahe the. Serin, roll karti dhal ke bich apna poore body ko cover karti, wahan bich circle me land hui. Wo jaise hi land hui, ek complete circle me quid...


Wah circle bahar ke ore se dhal se pack tha aur ander hathiyar ke sath sainik taiyar. Serin humla kare ki na kare ussi duvidha me thi... Ek hath me khanjar aur dusre hath me talvar liye Serin khadi charo ore dekhi.


Serin ke upar humla hone ki soorat me, wo jitni teji se ek ko marti, utni hi teji se kayi sainik uske jism me apni talvar ghusa chuke hote. Chhanik mamla tha jo Serin ke jahan me kudne se le'kar land hone ke bich aaya tha. 15 sainik utni hi teji ke sath apne hathiyar chala chuke the.. kisi ka nishana gala to kisi ka koi aur ang… Hahiyar chale, itni tej ki palak jhatakne ka mauka nahi, lekin taiyar the wo ranbhumi ke har khel ke liye. Serin ke paun bhumi par pade. Hathiyar chale aur wo bhumigat thi...


Nischal aur Serin iss chhote se humle ke baad naag-dansh ki shuraksha me ek yuddh viram lete huye.… "Ye kamal ki Sena hai Nischal…. Yadi inke sath inka commander hota to hum dono akele kabhi jit nahi pate…."


Nischal:- Ab bhi jit gaye hain, tumhe aisa kyon lag raha hai... Pichhle 15 minute me 40 log maare hain aur bhumigat hone ki taknik na hoti to tum poori tarah se ghayal ya mar chuki hoti...


Serin mritak sainik ke paun ki wo chain bandhne lagi, jis se bhumigat nahi kiya ja sakta… Samne taiyar khade sainik bhi Serin ko aisa karte dekh rahe the, aur unke kheme me ye baat phail gayi...


Serin, ek chain Nischal ke ore fenkti... "Bandh lo, inke sena nayak achhe honge... Bahut achhe honge, lekin main bhi master Serin hun..… Junior hum ek formation me ladenge... Ek ke piche ek... Around the circle, 360⁰… Mujhe ye poori jagah jaldi khali chahiye…. Koi sawal"…


Nischal:- No senior...


Serin:- Ek sath.. ek gati se... Poore anusasan, ekagrata ke sath.. abhi...


Dono kadam se kadam mila'kar daud rahe the... Serin, kataar ke aage ke Dhal ko pakad'kar hawa me thi. Iss bar 2 sainik samne Nischal ko aur ek sainik Serin par hathiyar chalane ki poori taak me...


Bus aankhon ke ishare the, chain wo sainik repulsive kar sakta tha jo Serin par humla karne ki tak me tha. Serin apne chain me lage khanjar ko hawa me chalayi aur 2 jo samne Nischal ka intzar me the, unhe Serin saaf kar chuki thi, jabki bich wala jabtak apna bhala chalata Nischal ki chain lagi khanjar dur se chali aur Nischal daur'kar wahan tha jahan Serin land karne wali thi...


15 log upar dhyan kiye Serin par humle ko utsuk the. Nischal ko ek chhoti si window mili aur Nischal ek round apni khanjar ko ghuma chuka tha... Serin jabtak land karti, tab'tak Nischal khanjar lahra'kar 15 logon ka gala kaat chuka tha aur pass baithe sinik, jo apne kinare se dhal lagaye, kataar ko kinare se protect kar rahe the, uske dhaal ke tip ko pakad'kar iss baar Serin ki tarah Nischal hawa me tha...


Nischal jaise hi hawa me hua, Serin apni talvar ka war uss sainik par karti hui, usse kinare se chidh'kar talvar ko bhumi me ghusayi aur uske handel ke support leti ek baar fir wo hawa me thi.. Bich ke sainik jo thik Serin ke niche the, jaise hi dhal hata'kar Serin par humla karte, Nischal land hote-hote, apni chain me lagi khanjar ek baar poora lahrate huye niche land kar raha tha... Serin ke niche wale sainikon ka dhyan Serin par aur Nischal ka khanjar kahin dur se lahrate huye aati aur uska gala kaat chuki hoti...


Wahi Nischal jahan land ho raha hota, uske pass ke sainik, Nischal par humla karne wale hote, Serin hawa me hi apne khanjar ki lahra deti un sainikon ke ore... Aur natija wahi, jabtak dhyan Nischal par humla karne me lagaye, tab'tak galaa kat chuka tha…
Adbhut lajawab update bhai
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,473
158
Update:-113 (F)





Sab gati aur santulan Khel tha jo in copy karne walon ke bus ki baat nahi tha aur naa hi hawa me rah'kar itna achook war karte huye land karne ki kashmta Brahmand ke kisi bhi sainya tukdi me thi.


Ek baar Serin to ek baar Nischal hawa me hota. Adbhut gati ke sath, ek dusre ko save kar'ke maarne ki policy ka koi tod nahi tha inke pass. Aur aisa nahi tha ki wo sirf ek code ko follow kar rahe the… Kabhi Serin, Nischal ke pass wale sainik ko maarti to kabhi unhe chaunkate huye, humle me tabdili kar'ke, apne apne pass wale sainikon ko maar rahe the…


Aisa lag raha tha jamin se maar karna ab achha nahi lag raha… Bus jaim ko chhu maatr le, utne hi waqt ke liye niche aate aur fir dono bari-bari hawa me. Nischal aur Serin dono hi hawa me hote. Ek ke pichhe thik dusre uchhal rahe the aur natije wahi ho rahe the... Humla karne ki itni rendom taknik, kisi ko kuchh samjh me nahi aa raha tha aur inke log humla karne se pahle hi mare ja rahe the… wo bhi kafi teji me...


Tabhi bich se ek awaj hui aur sabhi sainikon ne dhal chhod'kar, naye formation me aa gaye... Wo log bhi ek dusre ko apni talvar se protect karte humla karte. Vijayi muskan ke sath Nischal aur Serin jamin par khade huye. Sabhi sainik dono ke gher chuke the. Sab ek sath teji se humla karne ko taiyar khade... Nischal aur Serin bhi taiyar. Hathon me hathiyar aur sath khade the, lekin ulti disha me... Dono ke pith ek sath aur face opposite...


Dono ke bayen hath ki khanjar sine tak uncha, wahin dayen hath ki talwar niche ke jamin ko face kar rahi thi... Charo ore se utne hi tej sainik unko ghere.. kaun pahle humla kare... Dono ko ek dusre ki kashmta ka pata tha aur dono hi ore se utna hi sachet...


Ek chhan ko sab ruke the... "Come on boys chalo ab ruke kyon ho... Koi nahi I am on"…


Kahte huye Nischal teji se sainkon ke circle ke itna karib tha, ki dayen ya bayen se teesra ya uske baad ka hi sainik talwar se humla kar sakta tha... Nischal ne apne samne wale ke gale me khanjar utarne ke sath hi.… dayen hath ki talvar se, dayen ore ka humla rokne ke baad talvar se uss hamle ka javab diya.


Dayen ore ke action ke sath me hi, apne bayen kinare wale sanik ke khanjar ke humle ko, vayumandaliya aavran ke chhote se dhanche rok'kar, uske gale me khanjar utara diya. Aage ke teen sainik jate hi, wahan ke sainikon ne bhi dono ko chunautiyan dena shuru kar chuke the...


Takraye jab apne hi barabar kshmtaon wale dushman se... Fir to dono bhai bahan ki talvaren lahra rahi thi... Dono bhai bahan utne hi anushashit aur poorn dhyan ke sath utre the... Inki lagatar practice ka natija yahan ke sainik dekh rahe the.…


Ye fauj bhi utne hi anusasan me the... Kataar koi tod nahi rahe the... Humla bhi ussi raftar se kar rahe the, kewal prashikshan ki kami rah gayi, jo Nischal aur Serin ke mukable kuchh bhi nahi tha...


Na to inme humla karne ka sahi aaklan tha aur naa hi ye logon me in dono jaisi ekagrta, prashikshan aur na hi ek hi waqt me 360⁰ me hathiyar chalane ka anubhav tha... Astak ki sena ke alawa koi dusri sena hoti to apne dushman ko dekh'kar ek baar "Wahhhh !!!" jaroor kar deti...


Dono ek dusre ke viparit khade... Dayen hath ki talvar lahrati, tannn ki awaj aati jo ek he waqt me apne 4-5 dushmano ke talvar ko humle ko jhel gaye... Thik ussi waqt jab talvar lahrati, dono ke chain me lage khanjar 360⁰ ghum jati… Dono kaam ek sath poori safai se sath me karte, lahrate talvar ke sath hi khanjar ko hawa me gol ghuma dena...


Tej raftaar ki ladai me, bus jo najar aati wo... Tannnn... Tannnn... Tannnn… aur issi awaj ke bich me Nischal apne sar ko bayen ore poora jhuka leta... Jiss se usse dayen ore ke sainik dikhe aur Serin dayen ore apna gardan poora jhukati, aur tannn ke awaj ke bich jab inki gardan poora jhookti, aur khud ke gardan ko jhukane ke sath hi inke khanjar ek baar lahra chuke hote, jo circle ke 2 kataar ko kaat chuke hote...


Nischal sur Serin ko ek hi waqt me apne sabhi angon ke prayog karne ke liye prashikshit kiya gaya tha. Wahin dushman inke chain ke char guna gati ko, ghumne se rok to sakte the. Lekin chain thik ussi waqt chalti, jab Astak vansaj humla kar rahe hote... Aur ye log humle par dhyan dete waqt, unke chain par repulsive force daal hi nahi pa rahe the. Dono bhai bahan ke berahm khel poore josh se shuru ho chuka tha…


Lahrate talvar ke sath unka lachila badan lagatar lahrate huye ghatak humla kar rahe the. Dushman bhi utne hi sangathit aur tej. Unke humle se dono bhai bahan kabhi bachte to kabhi kharoch bhi lagti, to kabhi unki talvar scratch bhi dete huye nikal jate... Khas'kar Nischal aur Serin ke sharir ke bayen hisse ko hamla jhelne par raha tha.... Kyonknki uss hath me chain thi, jiske upar ya niche se badan ko hathiyar chhu hi jati…


Kitna bhi Lahuluhan sharir kyon na hua, lekin na to dhyan bhatka aur na hi inke maarne ki gati me koi kami aayi... "Tannnn-tannnn-tannnnn" talwar se bhale aur talvar ke takrane ki awaj aa rahi thi aur agle hi pal, lash girne ki awaj...


Serin aur Nischal poora anushasan dikhate... Humla kiye chhanik ruke, aas pass se hote huye humle ko baanp'kar unhe roke aur rokne ke sath hi jawabi humla ho jata... Bachna aur humla karne ki yah taknik, itni adbhut thi ki pata hi nahi chalta ki ye dono ruke bhi the...


Dushman bhi apni kshmta dikha rahe the... Bayan hissa kamjor tha, yah jaan'kar ab tukdiyan charo ore se gherne ke badle 8 kataar me khadi ho gayi thi... 4 kataar dayen aur 4 kataar bayen ore se humla karne.… lagataar badalte formation se bhi Nischal aur Serin ko koi fark nahi para tha, kyonki inka dimag pahle se sangathit humla karne ki yojna bana chuka hota...


Naye formation se dono ko raahat hui thi.. Kyonki ab sidha maarne me pareshani nahi hogi... Chain se khanjar ko lahrana nahi parega... Lekin issi ke sath pareshani bhi badhegi, kyonki circle me dushman ke humle utne asardar na hote, jo samne se hone wale the...


In logon ne bhi socha dono sath ladenge isliye 4-4 ki 2 kataar bana lee, lekin ab dono hi samne se apne-apne kataar ko face karne wale the... Khanjar ab dono ke haath me aa gayi aur talvaar khun ke pyase...


Ab to bus khel shuru karna tha. Nischal aur Serin dono apne khanjar ko kamar me daal chuke the… Bayen hath chhote-chhote vayumandaliya aavran bana kar bayen ore ke humle ko rokne ko taiyar... Aur fir lahrana shuru hua dono ke talvar... Raftaar se bus kalai hi to palat rahe the, wo bhi bilkul lachile pakad ke sath...


Kalai ke ishare the aur apne sharir ko dono bus thoda left aur right ke ore ghuma rahe the... Talvar bijli se tej aage ke ore lahra rahi thi... Wah itni tej lahra'kar bayen se dayen aati, mano talvar khud pukaar kar kah rahi ho... "Dum hai to iss tej se lahrate talvar ke bich se apne hathiyar ghusa'kar dikhao. Yadi mujhe paar kar liye to mere malik ka badan tumhara"


Lahrata talvar jaise cutting machine bana tha aur ab dono bhai bahan poore raftaar ke sath inki tukdi ko naapna shuru kar chuke the... Lachila badan, kalai ki poori raftaar... Utne hi tej badhte unke kadam aur lahrate talvar ke bich me sainik ke humle bekar se huye ja rahe the. Jab nichal ki talvar kalaeyon ke sahare lahrati, 4 kate gale aur 4 laash ko paar kar'ke, aur 4 lash girane badh jaate...


"Na raham karenge"… Nischal ki talvar lahrayi aur gala se lalkaar.… "Na rukenge".. Serin ka bhi talvar chala... aur dono ek dusre ka josh badhaate aage badhte rahe...


Dayen ore se dono majboot the, lekin bayen ore ka vayumandaliya aavran kuch kamjor sa tha. Dono ke badan ke bayen hisse me talvar aur bhalon ke nok ki scrach se, badam lahuluhan se tha. Lekin rukne ka waqt kahan tha... Ek rukte to dushman ko pichhe se humla karne ka poora mauka mil jata...


"Main hata to wo mar jayegi"… Bus yahi chal raha tha dono ke dimag aur aur dono ka sharir kuchh pal ka aaram maang raha tha... Sharir ke ek hisse se khun nikal raha tha... Fir bhi dono apne dum par apne barabar ki kashmta ke dushmano ko, kaat'te huye aage badh rahe the... raftaar to kabhi ruki hi nahi.. haan par ek sangathit army ko katne ki raftaar bahut hi dhimi thi... Warna jis hisab se dono ki talvar chal rahi thi... 2000 carore vansaj ko to ab tak kaat chuke hote...


Ek sangathit army, jaisa ki Nischal aur Serin ko sahuru se pata tha... Iss baar formation nahi badla kyonki unhe bhi mehsus ho raha tha ab ye bhi ghayal hain... Bus ab dono ko aur ghyal karna tha. Dono ko aur bhi jyada dard dena tha... Aur issi mansa ke sath shuru hua dushmano ke bomb ka kahar... Jo mar gaye saink unke laashon par tange the bomb...


Jo khade the unke badan par tange the bomb aur oprate kahin aur se hona shuru hua... Bomb footna shuru huye aur uske ander se 1/2 inch ke kayi hazar shakt kaaten utne hi teji se hawa me bikhar gaye.. Kisi ped se laye gaye natural kaanten. Aam kaaten to honge nahi, upar se 1 bomb me 1000 kaanten... Aisa lag raha tha maarne se pahle poore tadpane ki taiyari chal rahi ho...


Bomb footne ke sath hi hawa me kaanten bikhre the… Ek sath hazar ki sankhya me bomb foot rahe the. Dushmano ke surksha taknik. Bomb ke humla hone ki shoorat me automatically bachne ke sare intzam ho gaye. Poora body cover aur aankhon me chasma laga. Haan ye poshak un kaaton se bachne ke liye hi the.. lekin ye kaaten to kuchh jyada hi jalim nikle, apne sainikon ke poshak ko bhi bhed gaye... Haan unpar asar kam tha lekin kaaten ghusne ka dard se wo sab bhi bilbila gaye...


Wahin in dono ke poore badan me to wo chhote-chhote kaanten ghuse hi. Khuli aankh se dono humla kar rahe the, aur dono shayad palak jhapkana bhi bhul chuke ho. Dono ke palke bhi jhapki aur kuch kaanten aankhon me bhi ghuse...


Ho rahe humle se dhyan hata nahi sakte the aur dono ke sar se le'kar paun tak kaanten hi kanten ghusna shuru... Ek sath kayi hazar kaaten ghusti dard deti aur wo kaanten sharir ke ander hi gayab ho jati. Sharir me sama'kar wo kaaten itna pira de rahe the ki ander ka khun tak jal raha tha... Lekin aaj fikr kahan kisi bhi baat ki.. sar par kafan bandhe nikle deewane 2... Nikle the manjil tak pahunchane kisi ko...



Na hi ruke aur naa hi khud par bhi raham kiya. Na dhyan toota na ekagrata. Aankhon me ghuste kaanton ki bhi parwaah na kiye. Khanjar berahmi se gale me ghuste rahe... Dayen ore se talvar humle ko ro'kar lahrate rahe aur sath hi sath bayen ore se dushman ke talvar, bhale aur khanjar ki tip lagatar ghus jati, usse bhi sahte rahe... Aage badhte rahe aur lashen girate rahe...


Kataar tha ki khatm hone ka naam na le... Lashon ke dher bante ja rahe the aur dono hi thik ek dusre ke piche kadam se kadam badhate huye lashen gira rahe the... Bomb girte, vishaile kaanten chubhte unke iss humle ko bhi jhelte rahe... Halakh se Nischal aur Serin ki chinghar nikalti.… Khuffjada tha wahan ka najar. Dono ki awaj jaise dahsat thi. Aankhen poore khun me doobi laag... Jitne jyada unhe kaanten chubhte kaatne ki raftaar bhi utni hi badh rahi thi...


Mahakaal ka sawaroop the aaj dono... Bahte khun ki garmi dur tak mehsus ki ja skati thi. Inke badhte kadam khauff ke parichayak the... Na khud par raham kiye na dhusmano par...
Adbhut lajawab update bhai waiting for next update
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,473
158
nain11ster bhai kya kahu kuch samajh hi nahi aa raha he shabd nahi mil rahe he aap ki tariph karne ke liye jese jese story badh rahi he romach badhta ja raha he kya aap bata sakte he ki jisa kab aayegi nischal or serin ke pass ab to intzar karna mushkil ho raha he ki kab aayega agala update
 

Battu

Active Member
1,321
4,742
159
Bhai dono bhai bahan achchhe anushasan se aur technic se lad rahe he par yaha jivisha se help milti to achchha rahta. Ye nishchal kya bar bar khun ugalne lagta he sala hero he ki kya. Isse lakh guna badhiya fighter aur dimag ki dhani to jivisha he yah josh me hamesha nukhsan hi uthata he. Vese dekhte he ki nain bhai is badha ko kese paar karwate he.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-113 (A)





Kharbon ke fauj ki bhid ke madhya me khada tha 2 kurur, Astak aur Surpmarich ka ek ansh JoY. Dono apni baat kah'kar bade se screen par Arhcemia ko sun rahe the. Bich ka 100 meter ka dayra khali tha aur uske pichhe paglon ki tarah bhid lagaye the Vansaj Fauj. Arhcemia apni baat samapt karti chinkhi... "Kaat dalo gala"


Astak muskuraya, Nischal ki beraham khanjar ko ussi ke gardan par berahmi se chalane ke liye aage badha... Tabhi kahin dur se "ghannn-ghannn" karti engine ki tej awaj Astak aur Surpmarich ke karib aati sunai dene lagi.


Uss engine ke awaj ke bich me Astak vansaj ki chinkh to aa rahi thi, lekin kuchh bhi dikh nahi raha tha… aur bhid ko raund'kar ek fighter jet jab tak un dono ko dikhta, Astak aur Surpmarich ke sar ke pass fighter jet ka, samne ka muh tha... Astak aur Surpmarich dono chaunkte huye ladkhada'kar jamin par gir gaye. Aur jab khade ho'kar wapas Nischal ke ore mude... samne Serin khadi thi, jo fighter plan ko thumbs up kar rahi thi...


Surpmarich aur Astak jaise hi mude Serin chain ko aage fenki, jisme fase Astak aur Surpmarich aur agle hi pal Serin ne dono ko dhair paith 8-10 baar dhobi pachhar deti jamin par kisi hathode ki tarah patakti hui... "Kya be itna sasta hai kya mere bhai ka gala, jo chid dega"… kah'kar milo dur fenki. Fir chain ko lahra'kar pichhe viman ke ore fenki aur uske dono hath hawa me...


Chain jakar fansi viman me tange uske 2 vishalkay hathiar se. Chain chumbak ki bhanti uss hathiyar ko fansa'kar sidha Serin ke hath me le aayi... Jiska pakadne wala muthiya hi kewal patla tha baki to uske hathiyar ko dekh'kar Nischal ka muh khula hi rah gaya...


"Sale humara technology (veg parivartak) istamal kar'ke mere hi bhai ko fansa rahe.… Dhammmm... Dhammmm"… hathiyar ko jaise hi jamin par patki, tej dhamak ki lahar Nischal ke badan ne bhi mehsus kiya ...


Nischal:- Ab ye kya hai...


Serin:- Hammer Of Thor... Badal bijli wali shakti to nahi aayi, lekin size bada kar dee hun... Issi se aaj sabko thok-pit kar barabar kar dungi.…


Serin ko movie me thor ka hammer itna pasand aaya ki uske hath me thi 2 hammer... 100 tan ki 1 hammer... Metal ko kitna bhi pighla'kar sukoda kyon na gaya ho, dekhne se lag raha tha koi lamba-cahuda aur moti deewar hai, jiske niche ka handel bus pakadne layak banaya gaya tha...


"Tum dono yahan bhi comedy kar lo"…. Jivisha dono ke samne aati hui kahne lagi... ..


Nischal ka khun bah raha tha. Yun to uska sharir kisi bhi zahar ko sokh sakta tha lekin ye Astak jahar kafi dard de raha tha... Fir bhi Nischal Jivisha ke roop me ek baar ulajh hi gaya.... Issi bich Serin ne uske pet se dono chaku nikal diye.…


Jivisha ke hath ka ishara hua aur Naag Dansh puranar-jivit ho'kar Nischal ke pass tha aur uska lep dhire-dhire Nischal ke sarir me samane laga. Wahin Astak jo khanjar apne pass rakha tha usse Serin chain se khinch chuki thi…


Idhar Nischal ka upper body recover ho raha tha udhar Serin usse gusse me ghurti.… "Veg parivartak haan"…


Nischal:- Mujhe khyal nahi raha Serin...


Serin:- Isliye to sath chalne kahi thi... Ab tu nakara ho gaya hai... Khud ki haalat thik kar, jabtak main aur bhabhi yahan ki bhid ko shant karte hain…


Serin jab'tak Nischal se baat kar rahi thi, Jivisha wahan ho rahe vayumandaliya humle ko roke khadi thi... Vansaj fauj paglon ki tarah nochne ke liye unke ore badhne ka pryas kar rahi thi, aur Jivisha apne lahrate panje ke sath unki poori bhid ko hi pichhe dhakel rahi thi…


Serin, Nischal se baat karti ek jhalak apne ird-gird chal rahe mohol par bhi rakhi thi. Nischal se baat samapt hone ke se pahle hi, bhumi par "Dhammmm... Dhammmm... Dhammmmm.… Dhammmmm".… Serin ka hathoda ek ke baad badi teji se padne laga...


Ek to wo 100 tan ka hathoda.. jab jamin par padti to uski awaj ki lahar poore sharir me mehsus hoti... Upar se jab dushmano ke bhid par wo dono hathode bari bari se, ek second me 20 se upar baar padte aage baddhe, uske dhamak ki khuff aur usme chatni ban'ne ke khyal se hi kayi vansajon ko heart attack sa aane laga tha...


"Ye sadi si sharir ke malik Astak vansajon abhedi chamri... Achha hathiyar lekar aayi ho Serin"


Kisi bowler ki aatma Jivisha ke iss hisse me sama gayi ho... Wo apne dono hath ko utni hi teji se lagatar ghumati ja rahi thi aur dono hathode "dhamnnn dhamnnn" ki awaj ke sath bhid ko chatni banakar aage dham-dhamane badh rahi thi...


Serin:- Bhabhi dum hai to hath se uthao… aise kalabaji kar'ke to koi bhi utha sakta hai...


Baaten chalu thi, Jivisha ka dham-dhamana bhi jari tha aur Serin ka frustration bhi... Uske 20 meter ke blade se katne ke liye 20 meter to kya, kuchh hi second me 200 meter se upar ke dayre ko Jivisha khali kar chuki thi, pass koi dikhe tab na Serin uss par apne blade chalaye...


Vansaj jo hathode ki Chapet me aaye fir to unke hone ka koi saboot bhi na tha aur jo bach gaye wo chhipte huye bhag rahe the…. Dar ne to Arhcemia ke dimagi control ko bhi paar pa liya tha.. Aur Jivisha ko dham-dhamane me itna maza aa raha tha ki wo Serin ki baat sun bhi rahi thi aur hathode bhi chalaye ja rahi thi.…


Jivisha:- Tum hogi Bahubali… lekin ye hathoda main nahi dene wali... Waise bhi tera bhai uthega to counting waise bhi kam ho jayegi... Shuru ho ja...


Serin apne sena ko poora command di... Command dene ke sath hi 2 carore earth ke fighter jet ne command sambhal liya... Saras Singh aur Canon Cooper ki command me 2 carore jet, ussi technology se chhipe the jis technology ka prayog karke Surpmarich ne poore 1000 carore vimani bede ko chhipaye rakha tha aur baad me gher liya tha….


Idhar Cooper aur Saras ne command diya aur HuYu ki technology apna kamal dikhati, dushman ke sare viman ko visible kar dala... Jaise hi viman visible huye... Canon.… "Boys pahle apne mukhya viman ke pass se kachra hatao aur apne army ko niche jane ka rasta do... Baad me to humari counting badhane ke liye bahut se viman hai"…


Saras:- Boss ye abhi jo aircraft se logon ko kuchalte nikle the na, bhallaldev ke rath wali feeling aa rahi hai... Aage ke pankhe, dushman ke chithre udda rahe"


Canon:- Ye dushman hai ya saitan, humara normal blade hota to toot gaya hota... Sale hathon se bijli fenk rahe…


Saras:- Kya order hai commander..


Canon:- Maza to mujhe bhi aa raha tha...


Saras:- to fir chala jaye...


Ek hi viman me commander aur sahayak commander sawar ho'kar nikle. Shayad iss waqt Surpmarich ko afsos ho raha ho... Kyonki 6000 caror ke fauj ko chhod'kar usne baki force ko viman me load kar diya tha aur yahan inke maarne ki gati aisi thi ki jab'tak Nischal ke kadam ruke, tab'tak to 4-5 carore sainik ko wo akela ludhka'kar unke pass pahuncha tha... Upar se mahal me lagatar ho rahe humle se ab in vansajon ke "cut proof skin" badi aasani se katna shuru ho chuka tha… abhi to Nischal utha bhi nahi tha, uske alawa 2 beraham utne hi teji se action me the..


Ek hathora para dusra hathoda hawa me dusra jamin par to pahla hawa me... Ek ke baad ek "dhammmm-dhammm" ki awaj aa rahi thi aur chapet me aane wale log jamin me papad ban jate... Aisa nahi tha ki ye hathoda kewal samne hi padti, hawa se niche kisi bhi disha me "dhammm dhammm" macha rahi thi…


Wahin Serin bhi apne blade liye khadi hui, Jivisha ko dekh'kar naak sikudte... "Galat kiya hai bhabhi"…


Jivisha, ek hi baar me dono hathoda dhammm se patakti…. "Love u... Chalo ab shuru ho jao"…. Bilkul Madhya maidan me khadi thi dono, charo ore se bijli ke ghere ek sath Jivisha aur Serin ke upar...


Jivisha to mano aaj kah rahi ho, "apne bharose ladne aao, kyonki ye badal, bijli aur har vayumandaliya energy ke humle par hum reserach kar aaye hain"...


Serin bhi apni 360⁰ cutting machine blade on kar chuki thi.… Kamar ke hight par blade chalati, wo charo ore ghum'kar badi teji se aatank machana shuru kar chuki thi. Fir to hathode maar'kar jamin me sabko thokne pitne se le'kar, berahmi se badan ko bicho bich chid'kar wahan aatank aur tabahi ki kahani gadh rahi thi...


Pichhle 10 minute se "dhamnn dhumnnn' ke sath-sath Serin ki cutting lagaatar jari thi... Tabhi achanak se khacha'khach bhada ye yudhh ka maidan bilkul khali ho gaya. Jahan tak najar jaye poora khali aur bichhi hui lash ke alawa koi najar nahi aa raha tha. Bus kayi milo kilometer dur bindi matr me, Astak aur Surpmarich najar aa rahe the... Maidan me Jivisha aur Serin khadi aur wahin kuchh duri par Nischal leta hua tha. Uske poore sharir par naag-dansh ka chipchipa lep chadha hua tha...


Serin:- Bhabhi yahan ki aabadi kahan gayab ho gayi..


Jivisha:- Bhumi ke Niche…


Serin:- Ab kya karen…


Jivisha:- Wo dhurt Surpmarich humare hi shaktiyon se khel raha hai... Lekin bhul jata hai ki iss khel ke hum purane khiladi rahe hain…


Tabhi Jivisha ne Surpmarich ke ansh Joy ko hi bandhna shuru kar diya... Idhar 2 caror Nilbhut ladaka bhi niche utar chuke the aur utarte hi bhumigat hokar uss kshter ko poora gher liye, jahan Jivisha aur Serin khadi thi, aur Nischal leta tha. Sabhi Nilbhut ladaka mustaid. Wo Surpmarich ke bichhaye jaal se, teeno ko jamin ke ander bhumigat hone se bacha rahe the...


Tabhi Jivisha ko ehsas sa hua ki Surpmarich usse apne ore khinch raha hai... Apni ek tihai shkati ke sath khadi Jivishsa.… "Serin wo chhaliya mantr phoonk raha hai, aur usse lag raha hai main poorn roop se yahin khadi hun". .


Serin:- Kyon core planet se inka sampark nahi ho raha hai kya???


Jivisha:- Core planet par sarvanash ho raha hai sampark kya khak karenge... Maine inke aapas ke bich ki sampark pranali hi tod dali hai... Iss chhaliya ke pichhe main ja rahi hun tum yahan sambhalo... Bus kuchh der aur.… Jaise hi Surpmarich ki sewa samapt hui ye sabhi galich bahar honge ..


Nischal:- Jivisha ruk jao...


Jivisha:- Lekin Nischal…


Nischal:- Viman me jo 20 lakh Nilbhut striyon ka achet sharir para hai uski suraksha, tumhari jimmedari hai... Yahi faisla hua tha… tumhare 3 hisson ka...


Jisvisha muskurati hui apna sar jhukati... "Jaisa aap chaho patidev… le apna hathoda pakad Serin, baad me fir kabhi iss se aatank machaungi"…


Jaise hi Jivisha wahan se gayab hui, waise hi Nischal ko dur ek fauj ki tukdi aati hui najar aayi.… "Serin mujhe lagta hai ye bharm jaal wali fauj hai"…

"Serin, ek kaam karo, apne iss papad machine ko chain me fasao aur jahan se tumhe log aate dikh rahe hai, uss se 10 meter dayen aur bayen apne hathoda ko patko... Fir patakne ki range aadhe meter se ghatate hui chali jana.. wo bhi zig zig fornation me patko... 10 meter dayen ke ore kabhi aage to kabhi pichhe, to kabhi ek hi jagah 2 baar... Aur thik bayen bhi aise hi.…


Serin:- Bade shauk se bhai..….


"Dhamnnn.. dhamnnn... Dhammm... Dhammmm"… har dhamak ke sath dur se aate huye sabhi bharm jaal wale sainik, ek chhote se prediction ke sath, uss 100 tan ke hathode ke niche aakar bilkul chatni bane ja rahe the. Ussi ke sath Nischal tej daud lagaya. Hawa sa gayab hua aur kuchh dur aage ja'kar apni gati par viram lagaya.
Jordaar yudh niti se sarober adbhut update dost
Dham dham ki dhavni thor ki
Le gai fouj ashtak v joy ki
Kar gai kamaal serin v jivi ki jodi
Bacha le gai mahabali ko
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-113 (B)






Jahan ruka, wahan ruk'kar hawa me poori raftar se apna khanjar, kewal aur kewal apne badan se bus aadhe inch ke fasle par lahra raha tha. Nischal ka khud me hawa ke sath khone jaisa ehsaas tha... Uski najar dur se uss kan ya fir kosikaon ko dekh chuki thi, jo arbon ki tadat me dono ke ore badh rahe the...


Hawa me ghuli thi kosikayen, aur thik ussi prakar hawa ke bahaav jaise lahra raha tha Nischal. Bilkul madmast aur bilkul khoya sa. Uski khanjar, uske kalai ke ishare ki gulaam thi... Aankhen ek-ek kosikaon ko dekh rahi thi, jiska ek ansh ander galti se gaya to poora sharir kha jayega...


Nischal gativan tha. Nischal urjavan tha. Apne prakram se uss chauthe vansaj Kiyuke ko dikha raha tha, matr wo aur uska khanjar kafi hai, fir kar lo koi bhi tillishm, har tillishm ka javab wo matr khanjar se de sakta hai... Hawa me dhuyen ki tarah vilin tha Nischal aur uss se bhi khatrnak gati se lahra rahi thi uski khanjar...


Uske khanjar chalane ki gati bhi aisi ki 1 second me poore lahrate huye, apne poore badan ke charo ore 10 baar khanjar chala chuka hota. Fir dhire-dhire khanjar chalane ke duri badhti gayi aur apni jagah se teji ke sath wo 10 meter ke dayre me lagatar hawa me 2 minute tak khanjar chalata raha.


Pahle kosikayen humla karne badhi thi. Baad me jaan bachane ka khuff hawi hua. Bhul kar gaya tha Kiyuke aur Nischal kisi ko bhi chhodne ke irade se nahi tha... Serin ka hathoda, Nischal ke charo ore chal raha tha. Bharm jaal ke sainik uske bhi najdik the...


Serin ke hathode ki dhamak uss jagah charo ore thi... Bus ye dhyan aur ekagrata ka khel tha… Kiyuke bhagoda, un hathodon ke bich se nikalna chahta tha lekin Nischal… uski gati aur aakalan... Na to Serin ne hathoda chalane ki raftaar ko kam kiya aur na hi Nischal uss mote se hathode ki aad me usse bhagne diya...


Ek-ek kosikaon ko daura-daura kar bich se chidta gaya. Mahaj 2 minute ke iss hawai khel ke baad, jab Nischal sunischit hua ki usne arbon kosikaon ko kaat dala hai... Fit naag dansh ke zahar ko wahan ke charo ore chhod diya, taki poori tarah se sunischit ho jaye... Kiyuke ki leela samapt kar, wapas Serin ke pass pahunch gaya.…


Serin:- Ye kya kar'ke aaya….


Nischal:- Uss Astak ko lagta tha ki uske kosiska me vibhajit hone wale vansaj kewal naag-dansh se hi maaraa ja sakta hai...


Serin:- Matlab abhi jo tune khanjar chalaya…


Nischal:- 355 carore kosikayon ko bicho bich chid'kar aa raha hun...


Serin:- Fir in dare huye prajati ko hum inke anjaam tak pahunchane me der kyon kar rahe...


Nischal:- Thoda ruk le... Jivisha ka ishara hone de... Inka mahal hi inki shakti hai... Dhire-dhire iski shakti kamjor hogi fir humla karenge...


Serin aur Nischal aaram se baith gaye... Kuchh der baad Sonu aur Monu par sawar ho'kar Nandni aur Ansh bhi Wahan pahunche... Baki ke 8 dragons bhi aa chuke the... "Yahan ke log kahan gaye... Aur kya patte laga dun, jinko maara hai uske sharad ka bhoj bhi kha lene"…


Tabhi uss maidan par HuYu bhi complete mettalic suit pahne, apne team ke sath pahunch gaya.… "Ye kya mazak hai Sahjada… hume yudhh karne ka bol'kar aise hold par dale ho... Humare action me aane se pahle hi bahga diya sabko. Jit gaye kya hum??"…


Itne me Canon aur Saras bhi apna fighter plane wahin pass me park karte…. "Ye poora maidan khali kaise ho gaya sir"… Canon ne puchha..


Saras:- Yaar humne apne plane ko bhallaldev ka rath bana diya, lekin katne wali public hi gayab hai..


Nischal, apne sar par hath pit'te.… "Ek aur filmi kida.… Bhai hammer of thor se maar karo na"…


Sabhi Nischal ke ore utsukta se dekhte, mano jaan'na chah rahe ho kya wakai koi aisa hayhiyar hai.… Serin hansti hui samne 2 pahad saman lagbhag 100 fit uncha aur 40 fir chauda hathode ke ore ishara karti... "Wo samne hi to rakha hai"…


Sabhi jo niche baithe the... Hathode ko niche se upar dekhte huye... "Ye kya hai, lohe ki deewar"…


Serin khadi hokar dono ko hath me uthayi aur bhumi par de marti... "Nahi hammer of thor"…


Canon hanste huye… "Ohhh ye foam ka bana hua hathoda darane ke liye"…


Kahte huye bechara pahuncha aur poore takat se hilane ke baad.… "Iska vajan kitna hai"…


Nischal:- Ek ka matr 100 tan..


Saras, Nischal aur Serin ko upar se niche tak dekhte... "Insan ho ya bhoot"…


Nischal:- Get ready team... Taiyar ho jao action ke liye... Aur aap dono apne plane hawa me le lijiye, warna aapka ye bhallal dev wale rath par chiniyon ka kabja ho jayega...


Canon:- Ye chinies log hain kya ??...


Nandni:- Nahi copy karne me uske bhi baap...


HuYu, doctor sahab ko apne sath liya... Nandni, Monu ke upar sawar ho gayi... Nischal aur Serin sabse aage khade.… Nichal jor se hunkar bharte….. "Tum namardon aaj kya 10 kilometer dur se hi dekhte rahna hai"


Serin:- Ye na manege... Tu shuru kar...


Nischal:- Inki urja kam ho gayi hogi... Tu bhid sambhal main un dono ko...


Kahte huye Nischal ne naag dansh nikala aur naag ke muh ko bhumi par de mara... Bhumi ke niche jo 2 carore Nilbhut sainik the wo sab HuYu ke pichhe khade ho gaye aur dekhte hi dekhte, Nischal ke sath sabhi log charo ore se ghire huye the… Naag-dansh ke bhumi par padte hi, jamin se sabhi sainik bil-bila'kar bahar nikle...


Serin hathode ko chain me fasakar wahin chhod aayi jahan se wo layi thi aur apne hath ki ek chain Nischal ko deti... "Chhodna mat, main bhi aayi pichhe se"…


Chain le'kar Nischal ne wapas se daur laga diya... Khauff me to Vansaj sena pahle se thi, lekin Khauff iss baar Nischal jara bhi nahi de raha tha, kyonki wo to bade aaram se nikala, bich se rasta banate huye, aur raste me jo mila usse kaat'te huye…. Bich me thi Serin aur log iss baar Serin ki berahmi jhel rahe the…


Charo ore se Serin ke upar kabhi acid rain to kabhi bijli gir raha tha... Na wo bachne ki kosis ki aur naa hi bhagne ki... Aisa laga jaise hawa se khinch'kar Serin ke sarir par mare gaye sabhi tatav ko Serin apne ander sokh rahi thi…


Apne chehre par lage acid ko pani ki tarah wo ponchhti, Serin apni gati aur kaatne ki kashnta se ek baar fir parichay karwati apna blade ghumayi aur 20 meter ke circle ko gajar mooli ki tarah kaat'te, daud laga dee... Serin 20 meter daud'kar hawa me tej chhalang lagati hui, apne chain ko ghuma'kar kayi sare sainikon usme ek sath fansa'kar upar khinch lee...


Chain ke khinchte hi kayi hazar sainik hawa me upar ke ore teji se khinche... Utni hi teji se Serin niche aayi, lekin upar se niche aane ke kram me Serin ne apna blade poora chalaya… Serin niche jamin par land karte hi fir utne hi teji ke sath kamar ke hight se blade ko lahrate hui charo ore jhatki... Hawa se 2 tukde sarir jabtak jamin par girte Serin 20 meter ka ilaka fir se khali kar chuki thi...


Ek baar fir se 20 meter ka ilaka khali… Serin fir se daud laga di aur wahi sab wapas se dohrane wala tha, lekin bich me Serin ke sare sikar ko saaf karta Saras aur Canon nikal gaye... Saras aur canon ka fighter jet ek fit ki unchai se udd raha tha aur uske aage ki pankhi jaise mixer grinder bana hua tha.… Khar-khar, khar-khar, ki awaj ke sath ek ore se log faste aur dusre ore se laal ras hawa me aur kima jamin par…


Serin apni badi si aankhen kiye unhe dekhti... "Ye prithvi wale wakai kafi daringbaaj hote hain"… Serin hansi aur apne kamar me apna blade dalti, apne chain ko dur kilomere tak fenki aur poori takat se khinch dali... Ek sath kayi hazar dhar se sar alag the aur bina sar ke farfarata hua dhar jamin par...


Idhar Nandni dragon babies ke sath maidan ke dusre hisse me thi. Wahan inke swag hi alag the... Sabhi ek katar me aakash ki unchaeyon par hote aur wahan se kafi tej niche dive lagate... Dive lagate ke sath hi tej vissile sound me koi nili raushni ka khatarnak wave maarta, to koi laal wave... Jaise hi ye wave jamin, ya kisi vansaj se takrati aas pass ke kuchh dur ka ilaka saaf.


Wahin dive maar'kar niche jab vansaj sena ke sar ke karib pahunchte the, ye log ussi unchai par 1 km ka udaan bharte, aur apne muh ko niche kar.. "Fuuuuuuuhhhhh fuuuuhhhh" karte poore ilake ko aag ka dariya bana'kar chalte. Jitni der uss unchai par uddan bharte, upar se aag ke badal bana'kar hawa me udd chalte aur unhi lapton ke bich Nandni apne current ke wo tej jhatke de deti ki ek baar me hi pran udd jate...


Udhar se jawabi humle bhi utne hi tej the... Hawa me jab ye upar ja rahe hote tab vayumandaliya energy se unpar humle hote... Humla kitna bhi tej kyon na ho, mettalic suit ke niche ki body par ko koi asar nahi hota, lekin Nandni bechari, tej jhatka kha'kar dragon ki pith se hawa me sair karne chali jati... Nandni hawa me sair kar'ke jab niche gir rahi hoti tab koi na koi dragon hawa me kalabajiyan dikhate, Nandni ko apne pith par sawar kar leta...


Wahin HuYu apni poori team ke sath full metalic suit pahne, jamin par tha.… Hathiyaro ki ladai to ho nahi sakti thi isliye sabhi apne suit me natural gas hi bhade huye the aur doctor sahab ke hath me thi machis... Natural tarike se sabko aag laga rahe the aur ussi aag ke bavandar ke bich se gujar rahe the...


Wahin 2 caror Nilbhut sainik, vansaj sainiko ko, bhumigat kaise kiya jata hai wo sikha rahe the... Ek sath hi 8-10 carore vansaj sianik gayab ho jate aur poori ki poori jagah khali…


Nischal bhi lambi daur laga chuka tha. Na to Nischal dikh raha tha na hi uske hath ka chalta khanjar, kyonki jis line me vansaj sainikon ko hawa me Kate huye sharir ke tukde dikhte, wo poora rasta hi khali kar'ke dayen baye ho jate. Nischal daudte huye Astak ke karib pahunch raha tha…


Astak aur Surpmarich dono sath me khade hans rahe the... Nischal yun to tej gati se daur raha tha, lekin unke karib pahunchne ke purv hi, usne apne daudte kadam ko kafi teji se roka… Jahan ruka tha wahan se uske aur Astak ke bich takriban 300 se 400 meter ki duri hogi.… "Naah ye nahi ho sakta"….


Nischal apne man me sanka jahir hi kar raha tha, tabhi badi dur se wo chinkh mehsus kar liya... Ye chinkh Serin ki thi aur Nischal jab picche mud'kar dekha to poore maidan me usse giants najar aa rahe the aur har giants Nischal ki gati se bhag raha tha.…


Nischal naag Dansh ka prayog nahi kar sakta tha, kyonki koi bhi uska sathi pass nahi tha. Aisi shoorat me uska prabhav sab par barabar padta... Hawa me udd rahe dragons babies kisi tarah unchai par to gaye, lekin agle hi pal jo Nischal ne apne aankhon ke aage ka najara deka... Khatrnaak aur utna hi dahla dene wala tha…
Vilakshan update bhai
Bhallaldev ka rath bhi apna kamaal dikha gaya
Nandu ansh huyu Sonu Monu v nilbhut sainiko ne bhi apne admay sahash ka prichye dete hue astak sainiko ka vadh kiya
Parntu lagta hai phir se mahabali astak v joy ke bhram jaal me fush gaya hai
 
Top