• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-113 (C)





Nischal naag Dansh ka prayog nahi kar sakta tha, kyonki koi bhi uska sathi pass nahi tha. Aisi shoorat me uska prabhav sab par barabar padta... Hawa me udd rahe dragons babies kisi tarah unchai par to gaye, lekin agle hi pal jo Nischal ne apne aankhon ke aage ka najara deka... Khatrnaak aur utna hi dahla dene wala tha…


Daudte huye wo giants hawa me chhalang laga'kar dragons ko pakad'kar bhumi par patak'kar unhe raund shuru kar diye... Aur unhe kuchalte huye nikal rahe the Chhote-chhote fighter plan ko pakad kar patak rahe the... Nischal wapas daudne ke liye nikla hi tha tabhi Surpmarich ne uske paun me wahi lep se humla kar chuka tha jis lep ka prayog wahan Jivisha par Pratham karta ya kar chuka hota...


Yahan bhi maut ka sikanja kas chuka tha aur sath me khada tha Astak jisne Nischal ke sar jama diya. Nischal ka sharir thand ko pacha nahi pata tha, iss baat ka fayda utha'kar Astak ne uske brain ko minus temprature par le ja raha tha...


Idhar Serin ko kisi football ki tarah khel rahe the ye log... Dragon babies lagatar paun ke niche raunde ja rahe the…. HuYu aur uski poori team tin ke dabbe bane huye the. Ye log giants ko apne metallic suit se, chhote bade jhatke dena to chahte the, lekin inki gati aisi thi ki kab maar'kar nikal ja rahe the, pata hi nahi chal raha tha...


Sabse budi sthiti to un Nilbhut sainikon ki hui. Jo bahar nikale huye the.… Takriban 12 lakh Nilbhut samuday ke log kuchle ja rahe the. In giants ke paun me wahi chain bandhi thi, jis wajah se ye bhumigat nahi ho pate, lekin apne bade se panje ko bhumi par patakar wahan se bhumigat Nilbhut sainikon ko nikal'kar sidha muh me rakh kar chaba rahe the…


Nischal ke sarir par mitti ki lep chadh raha tha. Giants iss size ke the, Nischal ranbhumi ke mahol ko nahi dekh pa raha tha. Uska dimag jam gaya tha aankhen band si hone lagi, bus wo mehsus kar raha tha ki uske logon ki jaan khatre me hai... Bus usse mehsus ho raha tha ki uske bacche mar jayenge... Bus usse mehsus ho raha tha ki usse yahan nahi pahle apne logon ke sath hona chahiye tha...


Dimag garam na jane kitne digree tak hua ho... Sar ke upar ka barf bhaap ban'kar uddne sa laga... Surpmarich aur Astak uske bilkul karib the aur hans rahe the... Nischal apni nidra se jaagne ki kosis kar raha tha. Matr ek lep se uske paun hi to bandhe the, lekin sarir se mano jaan nikal gayi ho..


Wah hath uthana chahta tha, lekin hath utha nahi pa raha tha... Nischal ke kaan me kahin dur se dard bhari chinkh aa rahi thi... Uske sabhi logon ki chinkh... Nandni aur doctor Ansh ki chinkh. Sharirik urja uski shunya ho rahi thi kintu dimag garam, poora garam ho raha tha.


Sar par jama barf chhan-chhan kar'ke bhaap ban'kar udd raha tha… Apne logon ki pira usse mehsus ho rahi thi... Ek pal me, Nandni ke sath bitaya har dirishya dimag me naach gaya aur jo aanshu kabhi apni maa ke khone par chhalke the, wo aanshu aankhon se bahne lage.…


Ek yodhha ranbhumi ke sabse bade niyam ko tod chuka tha. Chal rahi ladai me wo apne aanshu baha raha tha... Ragon me khun ki raftaar bilkul madyam thi. Hath me kanjar tha aur inch bhar ke fasle par Nischal ka shikar... Lekin hath uthana to dur wah hila bhi nahi pa raha tha... Kintu dimag vichlit tha... Aankhon me gussa.. aur jahan me ek hi khyal... "Mere log musibat me hain, main nahi pahuncha to wo maare jayenge"


Nischal aankh munda, poora dhyan kendrit kiya. Dhyan lagaane ke kuchh pal baad hi Nischal ka kalpnik sharir sidha ghus gaya Surpmarich ke dimag me.… Achambhit aur akalpniya tha. Itihaas me aaj tak jo kabhi nahi hua, wah sambhav ho chuka tha... Nischit mirtyu ki jakad se Nischal apne kalpnik sharir ko bahar nikal chuka tha...


Jaise hi Nischal Surpmarich ke dimag ke ander ghusa, bahar uske muh se dard bhadi chinkhon ke sath sirf itna hi nikalta raha.… "Nahiii, nahiii, nahiii, aaaaaaaaa... Nahiiiii.… Aaaaaaaaaa.. Nahiii… yeee sambahavvvv nahiiii"


Surpmarich ki sari siddhiyan to uss mitti ke lep me uljhi thi, aur nischit Mirtyu ke liye japa gaya mantr ab usse hi uljha chuka tha. Dard se bibilata hua Surpmarich ne lakh kosis kar lee lekin lep me uski siddhiyan uljhi thi aur apne kalpnik sarir ko apne hi dimag me nahi bhej pa raha tha.


Ek second me 10 tarah ke kaat mantr ke jaap se kosis kar liya.. kuchh der me 1000 mantr phoonk diye... Aur anth me dard se bil-bila'kar apne sar ko dono hath se pakad'kar baith gaya... Naak se uske khun nikal dhar nikal raha tha. Shwans tootne laga tha. Ladkhadakar Surpmarich ka wo ansh bhumi par gir gaya... Apne hath Nischal ke ore kar'ke Astak ko kuchh dikhana chah raha tha, lekin Astak kuchh samjh nahi pa raha tha...


Itne me hi Nischal ki aankehn khul gayi... Mahaj 2 minute me wah, Surpmarich ke dimag ke ander ghus'kar, uske dimag ko tahas-Nahas kar chuka tha. Surpmarich ka wo ansh lagatar Astak ko apne hath se ishare karke Nischal ko marne ke liye kahna chah raha tha, lekin Astak ko kuchh samjh me nahi aaya.…


Idhar Nischal ka kalpnik sharir jaise hi uske sarir me lauta… jhatke me Nischal ne apni aankhen khol lee aur marta hua Surpmarich ke ansh Joy ko dekhne laga... Dard se wo karrah raha tha, uski aankhen badi ho'kar nikli ja rahi thi.… Kisi tarah shwans bachate…. "Aaaaaaaa, Nischal, kaiseeeee, kaiseeee mirtyuuu lipt sharpp se tumhara kalpnikkk sharirer bahar nikalll saktaaa haiiiii"…..


Apni baat kahte huye Joy ke pran nikal gaye.… Ghinuna sa dikhne wala Astak, wahan kya hua jab'tak samajh pata, Nischal ek laat Astak ke sine par aisa jamaya, wo kahin dur ja'kar gira. Nischal ran'bhumi ke ore hawa hote, Surpmarich ke mrit sharir se kahta chala.… "Dobara jab tum kisi ke sharir me ghus'kar wapas jinda hona, tab iska jawab dhundhna aur mujhe bhi bata dena"….


Nischal hawa sa tha... Daur chuka tha ranbhumi ke ore.… Astak ke sine par laat jamane ke sath hi giants ka bada varg ab Nischal ko nishane par liya. Caroron giants uske ore, utni hi tej gati se daure chale aa rahe the… Nischal daurte huye apni chain ek giants ke sine me fasaya... Ek to Nischal apni poorn raftar me, upar se wo chain ka chumbakiya khinchav.… Nischal ki gati ko char guna jyada badha gayi.… Udhar un giants ki raftar bhi Nischal ke barabar...


Jaise hi Nischal ne chain ek giants ke sine me fasaya, 100 kilometer ki lambi katar ke sabse aakhri wale giants ko faadte huye uske pith ke ore se bahar nikla... Kisi bhi giants ko pata hi nahi chala ki mahaj ek second me kya ho gaya… wo teji se daur rahe the aur duarte rahe... Daurte-duarte kab maut aayi pata hi nahi chala aur Nischal, us 1 second me.… Apne ore daur rahe giants ki ek lambi katar ka sina faad'kar, khun se sarobar hokar, pith se nikal chuka tha….


Lambe giants ki katar. Unche, lambe, dekhne me vishal aur dil me kampan paida karne wale. Utna vishal danav jis gati se daur raha tha, usse dekha nahi ja sakta tha. Lekin uske daur ki kampan vyabaah thi… Nischal bekhuff sa, jungle ke sher ki tarah sina tane, poorn dahar ke sath maidan ke kisi bhi hisse me, vishal se vishal aur majboot se majboot partidvandi ko chunauti de raha tha aur unki chunaiti swikaar bhi kar raha tha….


Kamjor yojna to Astak ki bhi nahi thi. Aaj yadi complete mettalic suit nahi hota, ya fir Saras aur Canon ke aircrafts "Hayber metal" se mask nahi hote, to rundne wali ye daur Nischal ke har ajij ko nigal chuki hoti. Apne aakrosh aur dridh sahas ka parichay jab Nischal ne diya, adrishya hokar daudrne wale giants ek sath dikhne lage. Kaleja faad kar Nischal nikal chuka tha. Bhayanak aur lahar wali chinkh ek sath uthi. Ek ke upar ek gir kar marte huye giants lashon ka uncha dher laga diye...


Jo jahan tha apni jagah ruk'kar wo najara bhi apne aankhon se dekhe, jab daurte huye vishal se danav ek dard bhari lambi chinkh ke bad dhamn se gir rahe the. Uske pichhe wale bhi waise hi chinkh'kar ussi ke upar girte. Wo bhi kya najara tha jab lakhon giants ke chinkh se maidan gunj uthi aur shreni kram me dhamn se poori katar hi laybadhh girti hui najar aane lgi.


Sabka dhyan aakarshit hua. Issi bich Nischal ko mahaj 10 second ka window mila tha, utne der me Nischal apne sabhi bacche Serin, Nandu, Anash HuYu aur uski poori team ko ek kinare samet'kar, Nischal Naag Dansh bhumi me gaad chukha tha…. Jaise hi naah dansh bhumi me gada, ek baar fir poora maidan khali ho chuka tha…. Nischal ne turant Nilbhut sainikon ko upar naag-dansh ke ghere me aane ko kaha.…


Uske sabhi log pahunch chuke the… Nischal Aerobok ke kandhe par hath rakhta... "Humara kitna nusksan hua hai Aerobok"..


Aerobok:- Sahjada takriban 26 laakh log... Jinme se kaiyon ko ye chaba gaye... Aur...


Nischal:- Aur kya???


Aerobok:- 4 bacche gambir hai...


Nischal, ka dil dard se kaanp utha tha... Khud ko poorn shanti dete... "Aerobok main aur Serin yahan se in logon ko saaf karte niklenge... Hum apne ek bhi log pichhe nahi chhodenge... Jaise hi maidan saaf ho bhumigat ho'kar har kuchle sainik ko surakha ghere ke ander lao... Astak vansaj ko naag-dansh ke bare me shayad bata diya gaya hai. Wo maidan ke iss hisse me nahi aayenge. Dekho kisi me jaan baki hai to jivan do...


Aerobok:- Uske baad...


Nischal:- Mujhse puchh rahe ho uske baad... Upar aasman me dekho wo 2 carore chhote viman, 1000 carore viman se lad rahe... Aur un chhote viman ki apeksha kshmta me dushman ke sabhi viman advance hai... Lekin wo chhote viman wale jit rahe hain... Jante ho kyon…


Aerobok:- Kyonki chhota ya bada hona... Adhik ya kam takat hona mayne nahi rakhta, bus khud par bharosa aur hum me kya khas hai...


Nischal:- Aaj pani nahi to kya hua uske naak to bade hain... Unhe tej daurte huye dekh nahi sakte to kya hua... Bhumigat hone par usse upar mehsus to kar sakte ho...


Aerobok:- Hum samjh gaye Sahjade... Sabhi Nilbhut sainik... Taiyar rahenge unka chara ban'ne ke liye... Apne sathiyon ke jane ka jitna dard hai, uss se bhi jyada khatarnak dard bhari maut unhe denge...


Nischal:- Haan lekin khud ki jaan bacha'kar. Pahle inki ran'niti samjhne do. Yadi inki ran'niti ka gyan na ho to yudhh me kudna mat. Ladne jao aur fans'kar mar jao fir wo vyarth ka marna hoga aur aage kahin hume tumhari jaroorat hogi fir madad ke liye tum na rahoge... Ye yudhh ka maidan hai aur yahan marne walon ke liye aanshu nahi bahate... Dhairya rakho aur apne mauke ke liye thoda intzar karo...


Aerobok:- Ji Sahjade…


Nischal:- Nandni tu thik hai...


Nandni:- Haan thik hun...


Nischal, Nandni ke chehre se khun saaf karte…. "Doctor sahab aap thik hai"…


Ansh:- Haan main thik hun... Lekin HuYu..


Nischal:- Gaya kya???


HuYu:- Haan maar dalo mujhe hi... Main viman me hi thik hun... Yahan to sab paglon ki tarah daur rahe.. Koi dikhta hi nahi...


Serin:- HuYu sabko lekar viman me jao... Aur dekho ki wahan se kya kar sakte ho... Chale bhai...


Serin ke aankhon me Angaar the aur ab uske dono hathon me thi uski sabse kahar barsane wala hathiyar... Nischal apne hath se khanjar nikalte haan chalo.…
Vichitr update mitr
Apno ke bichudne ke ahasah se hi kamjor prani bhi adbhut prakarm ka pardarshan karta hai
Yahan per mahabali ne jaishe apne kalpnik sharir se joyo ka ant kiya vaakai kabile taareef hai aur apne logo ko surakshit kiya pal bher me hi v tut pada agni baan ke jaishe astak ki sena per
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-113 (D)






Naag-dansh ka takriban 100 kilometer ka dayra ban raha tha... Serin aur Nischal uss khali se maidan me dhime-dhime chale... Dayre me jitne sainik kuchle gaye the wahan tak ke sabhi Nilbhut sainikon ko Aerobok samet chuka tha aur aage koi najar hi nahi aa raha tha…


Aerobok chillaya… "Jo jamin me ghuse hain wo jamin ki gahrai unki nahi... Chalo unhe dikha de"...


Bache huye sainikon ke sath Aerobok ek baar fir bhimigat hua... Nischal aur Serin uss khali se maidan me aaram se chal rahe the.… "Kyon re vishes aur sharv'shresth samuday... Kis bil me ghus gaye… ya apne paida hone par afsos sa ho raha hai"


Koi jawab na aaya tab Serin jor se hansti hui.… "Kyon be badjaat... Itni hi teri aukaad thi… dar se kaanp raha hai kya kisi bil me chhip'kar"…


Serin abhi itna hi boli thi ki tabhi ek ke baad ek lakhon chhatpatate huye giants bhutal par aaye... Uski dard bhadi chinkh kafi dur se aa rahi thi, lekin itni unchi thi ki kaan faad rahi thi….


Nischal:- Tu kya sochta hai bill me chhipa rahega to maut nahi aayegi.… Tere baap tujhe bil se nikalne ghus chuke hain aur vishwas maan, mere diye maut me awaj nahi aati lekin unke diye maut ka dard itna hoga ki sab yahi soch rahe honge ki kaash maut Nischal ke hathon hoti to jyada achha hota...


Serin:- Wo dekh Astak…


Nischal:- Fir sochna kya hai... Daur laga... Raste me koi mile ki naa mile, usse jab dhar dabochenge tab sab apne aap bil bila'kar bahar aayenge...


Serin:- Naah iss fauj ka commander Surpmarich to maara gaya, bina command ki fauj abhi bahar aayegi jab Aerobok dobara kahar barsayega... Ruk ja ab to sab ko saaf karte huye chalenge... Abhi inki manmauji fauj, shadi ke baarat ki tarah niklegi... Jinhe bus haath utha'kar hawa se kuchh khinchna hai… bus itna hi...


Serin kahna bilkul sahi tha, lekin wahan se kewal giants hi nahi nikle balki nayi nikli fauj uss se bhi vishal thi... Arbon maar chuke the lekin jab fauj nikalna shuru hui to iss baar ki sankhya aur bhi jyada thi. Sabhi ke sabhi Nischal ki tarah tej dhavak aur sath hi sath inki apni kshmta aur iss baar ki ran'niti to bilkul alag...


Unke formation ko dur se hi dekh'kar… "Tune kya kaha tha manmauji fauj, bina commander ka... Suchna de pahle Nilbhut sabhi sanik bahar aaye aur surkaha gehre me jaye, warna inki taiyari dekhkar lagta hai uhne jamin me hi gaad denge"...


Serin ne turant suchna bheji, Nilbhut sainik, sabhi unke piche katar laga'kar khade ho gaye... Nischal unhe samjha'kar wapas Naag-dansh ke ghere me bheja...


Yahan aa'kar Nischal aur Serin dono wakai kafi surprise the. Ek anumanit tha ki jo inki shaktiyan hai, jaise ki bijli, acid rain ya fir anya vayumandaliya urja, in sab ke sath ladenge... Nischal aur Serin ne mil'kar taiyari bhi ussi hisab se ki thi...


Lakin jaise-jaise yudhh aage badh raha tha, inke ladne ke tarike bhi badal rahe the... Pahle vayumandaliya energy se lad rahe the, tab to Nischal and team ke liye mano bewakoof se sainik bhid lagaye khade the jo ek hi tarah ke yudhh karte aa rahe hain aur iss vajah se Nischal kahar ban'kar toota...


Fir pahle veg parivartak ne chaunkaya. Uske baad jaise hi Nischal ki poori team maindan me aayi, fir inki ran'niti ka pahla hissa dikha, jisme wakai Nischal ki team ko bahut bada nukshan ho jata yadi Hyber metal na hota…


400-500 fit wale giants Nischal ki gati se daud rahe the aur daudte huye humla kar rahe the... Yah itni gati se daur rahe the ki Nischal aur Serin ko chhod'kar koi bhi inhe dekh nahi sakta tha... Naubat yahan tak aa gayi ki yuddh ke maidan se sabki jaan bachani pari...


Nischal ne jaise hi naag-dansh ka prayog kiya ek baar fir sabhi sipahi bhumigat ho gaye... Haan iss baar thode surprise moves Nilbhut ne diye the jamin ke ander. Nilbhut ki bhumigat humla ka inke lakhon ki tadat par ek sath asar para... Par jab iss baar bahar aaye...


Poori fauj ladai ke formation me thi... 3 ke tikone formation ki poori katar bani thi. Gajab ki ye formation thi, jise Nischal aur Serin pahli baar dekh rahe the. Iss formation me 1 sipahi ke dayen aur bayen 2 sipahi khade the… Jo bich wala sipahi tha wah bilkul sidha khada tha... Uske dayen aur bayen khade sipahi, uske ek kadam aage khade the, jiska angel halka apne sidhe khade sipahi ke ore tha... Mano teeno mil'kar ek dusre ko support denge... Aur aise hi trikon ran'niti ki poori line thi, aur iss prakar ki 1000 line lagi thi...


Har kisi ke paun me wo ring bandhi thi, jinse inhe bhumigat nahi kiya ja sakta tha... Sabhi ke hath me dhal thi jo humla hone ki soorat me ek left se angel deta dhal ko, dusra right se aur bich wala samne se dhal laga'kar aage ke humle ko sealed kar deta, jiske pichhe in teeno ka poora sarir cover rahta...


Surakha intazamat ke baad inke hathiyar bhi kuchh alag dikh rahe the... Badan par bomb ki tarah kayi gole latke the, lekin ye bomb nahi ho sakta tha, kyonki yahan ka atmosphere bomb ke rashayan ko hawa me ghol dega...


Bich wale sainik ke hath me bhala tha aur dono kinare wale sainik ke hath me talvar, pichhe pith par ek bag tanga tha jiske ander na jane kaun sa rahasya chhipa hua tha...


Koi bhi unka sainik aage nahi badh raha tha aur apne jagah par hi khade ho'kar dhal par talwar patak rahe the, mano Nischal ko hi aage badhne ke liye kah rahe ho... Aur kahna chah rahe ho, "hume Naag-dansh ke prabhavit ilake ka gyan hai, ladai to uske bahar hi hogi"...


Nischal iss formation ka aaklan kar hi raha tha tabhi uski najar upar hawa me gayi... Serin apne chain me lohe ka pahad arthat hathoda dur se chala chuki thi... Wah hathoda kafi uncha udta hua unke upar gir raha tha, tabhi jaise Serin aur Nischal ne apni aankhen mij lee ho...


Lohe ke uss 100 tan vajni hathode par anginat hawa ke jhonke, ek sath aur itne laybadh tarike se takra rahe the, mano wo log air soccer khel rahe ho... Jisme ball ko goal tak nahi balki out of the stadium pahunchana tha...


Serin lagatar 8-10 kosis ki. Nischal poora observation karta raha... Lakh Milo lambi line me, bich se yah hawai hamla ho raha tha fir chahe wo hathoda sabse aage ke line par hi kyon na par raha ho...


Hathoda fail hua, tab Nischal ke ishare par chain try kiya gaya... Nischal ke muh se nikal gaya... "Kamina Surpmarich ka mukhauta, sab sikha gaya"… Ye chain Astak ke vansajon me se ek ki thi, jise Nischal ne Desert Planet par jita tha aur wahan Astak vansaj Dreda ke marte hi yah chain Nischal ke pass khud aayi thi, jiska ek hissa Serin ke pass bhi gaya tha... Ab jiski uttapti pata ho, uska tod kyon nahi bana sakte.…


Nischal aur Serin jis niti ke sath yudhh ke maidan me utre the.… "Dushman ke humla karne ki har badi takat ke tod ke sath"…. thik waise hi inke sath hua tha. Nischal aur Serin ke istamal karne wale har hathiyar ke sath, humla karne ke har jaani hui niti ka tod tha. Serin, Nischal ke kandhe par hath rakhti.… "Ye inki taiyari"…


Nischal:- "Ye Hella ke sardaron ki vansaj tukdi hai. Inhi ke sath Hella aur Messa tarah-tarah ke formation me ladte the... Jahan Messa ke yudhh niti ko Hella se kargar mani gayi thi aur Messa ko kamjor sena (vansajon ke mukable, gulaam sena) ka sena-nayak bana'kar bheja gaya tha"...

"Hella aur uske sardar jab bore hote the tab Messa ke pass ja'kar uski yudhh niti ko dekhte the.… Messa yahan se jane se pahle apne ek sardar ko har sambhavna par kaam karne ke liye deput kiya hoga"...


Serin:- Hmmm !!! Ab kya karen humare pass force hi nahi hai yudhh ke liye... Ye to dono front se ladne ko taiyar hain... Bich me ghuse to poori line hi chipak jayegi.. aur hum bus inke dhal ke upar taal banayenge…. Inke dimag me ghus'kar yadi lado to...


Nischal:- Mere khyal se ye teeno baton ke liye taiyar honge... Humari daur, shayad ussi ke liye koi jaivik hathiyar ya kisi natural source ko uss bomb me bandhe hai... Yahan se daur lagate hi wo bina soche bomb se humla karenge aur samne ke raste par bomb hi bomb hoga...


Serin:- Pahle isse hi try karte hain. Yadi teri baat sach hui ki ye humare daur ke liye taiyari kar'ke aaye hain, fir aage baat karenge un dono par... Tu daur aur main chain se tujhe khinch lungi...


Nischal haami bharte huye daura. Wah na dikhne wali hi gati thi, aur Nischal ke daur shuru hote hi, bina der kiye poori line aise chipki, jaise ek bartan ke pichhe dusra bartan ghusa dete hai aur charo ore se dhaal ka cover bana liya...


Matr fraction second me Nischal unse aadhe km ki doori par tha aur utni hi ekagrta se Serin apna dhyan lagaye hui thi. Nischal ke gati me chhanik parivartan hua aur agle hi pal Nischal chain se khincha hua Serin ke pass...


Serin:- Un logon ne apna bomb istamal nahi kiya...


Nischal:- Charo ore jarvattam buti ki bu aa rahi hai…


Serin, hairani se.… "Jarvattam buti"…


Nischal:- Haan Jarvattam buti... Dard to deti hai lekin nuksan nahi... Shayad hume dard de'kar dhyan bhatkane ki kosis kar rahe ho...


Serin:- Aur uske bomb ka kya, jiski aasanka jatayi thi...


Nischal:- Jarvattam buti se kisi ko maar nahi sakte, kisi ko kharoch nahi de sakte... Siway dard ke wo kuchh nahi de sakta... Matlab saaf tha ki wo chal rahe yuddh me hume dard de taki dhyan bhatke.... Tange huye bomb ko hath nahi lagaye, matlab hathiyaro ke prayog ko bhi sikhaya gaya hai... Koi ghabraya nahi, balki apne tej gati se kewal wo poori line sealed kiye the. Poori katar apne upar, tej daur ke sath dhakka lene ko taiyar thi....


Serin:- Iska matlab yadi tu inke dimag me ghusta hai to ho sakta hai kosika me tootne wala koi vansaj tumhare achet sharir ke ander ghus jaye...


Nischal:- Nah ye log taiyari naag-dansh ko dhyan me rakh'kar kiye hain... Yadi naag dansh ke prabhavi kshetr se main apne kalpnik sharir ko bahar nikala, aisi soorat me kya karenge, ye uski taiyari kar'ke aaye honge...


Serin:- Kaisi taiyari...


Nischal:- Mere achet hote hi shayad naag-dansh ke prabhav ko khatm kar dena...


Serin:- Hahaha... Ye hui na baat... Aise bekar ke sainikon se lad'kar kuchh bore si ho gayi thi... Chunauti ye hoti hai... iss poori tukdi par hum "sanyukt niti (joint attack plan)" se humla karenge...


Nischal:- Soch le copy master dikhti hai ye sena. Inke pass mere jaisi gati bhi hai... Formation change karte der na lagegi.… Sharir par tanga bomb dekh, ho na ho kuchh to khatarnak natural chij uske ander pack hogi... Gati copy, regular ladne wale hathiyar aur taknik ki jaankari, vayumandaliya aavran ka bhi tod nischit taur par hoga hi...


Serin:- Kewal iss talvar ko chhod'kar, humare hathiyar ke bare me kise nahi pata... Aur kisi ke pass talvar hai, to
uss hathiyar ke bare me pata kya karna mera bhai, katenge hi uss se.. kaun sa jamin khod'kar kheti karenge??… Haan humare regular moves unhe pata hai jo humare hathiyar ko khatarnak banate hain... To kya wakai hume unhi chand moves se ladna aata hai kya???

"Kitni formation copy karenge… hum random formation lenge... Pahle 1 se 8 ke koi bhi. Dobara samjha rahi hun, kewal 1 se 8 formation hi istamal hoga. Bich me koi aur istamal kiya to main uske liye taiyar na rahungi.. 1 se 8 formation, straight aur reverse, dono policy... Speed, accurecy aur body language, jo bachpan se sikhte aur karte aa rahe hain..
Parsanshniye update dost
Waah kya gazab ki ranniti taiyaar ki hella v messa ne
Kamaal kar diya chhori hella tabhi toh teri demand badh rahi hai lockdown me
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-113 (E)






"Kitni formation copy karenge… hum random formation lenge... Pahle 1 se 8 ke koi bhi. Dobara samjha rahi hun, kewal 1 se 8 formation hi istamal hoga. Bich me koi aur istamal kiya to main uske liye taiyar na rahungi.. 1 se 8 formation, straight aur reverse, dono policy... Speed, accurecy aur body language, jo bachpan se sikhte aur karte aa rahe hain..


Ye dono abhi baat kar hi rahe the ki issi bich ek sath kayi bade dhamakon ne wahan ke mahol ko dahla diya... Aur dekhte hi dekhte hawa me jet fighters par humle shuru tha...


Upar unke 1000 carore viman the jise khatm karne ka bida Canon aur Saras ki team ne uthaya tha, unpar bade-bade missile launcher se humle shuru ho chuka tha... Upar se niche aane wali missiles, chemical me ghul jayegi... Lekin niche se upar jane wale missiles...


Serin:- Yah ek complete army hai... Aur hum dono khade hain ek complete army ke against...


Serin aur Nischal ek dusre ko dekh rahe the, tabhi uss army ka commander samne aaya.…


"Apni sena ke backup ke intzar me hai kya re chuhe. Tu to nirbhik sahjada hua karta tha na, fir apni half blood ke pichhe kahe ghus raha... Kahin humare vansh badane ke bare me soch-soch kar, tum dono itne utsahit to nahi ho gaye, ki aapas me ghus'kar vansh badha rahe... Waise Sahjade teri dono (Jivisha aur Serin) whore hai to kafi dilkash… abhi apni half blood ke kapde utar kar bhej de, hum ye bombari rok denge"…


Serin:- Ye hume hi uksa raha hai…


Nischal:- Ye pridict hua na... Ja aage badh... Aur bhulna mat, Speed se jyada jaroori hai, accurecy aur complete concentration... Hum zig-zag policy se humla karenge… jaldi ja aur uske jaal me fans ja...


Serin, apne hath ka ek talvar Nischal ko badha dee. Kinare latka, Nischal ke khanjar ki copy khanjar ko Serin ne chain ke ek sire me lock kar diya. Serin aur Nischal ko dushman commander ne uksaya tha. Jaisa uss commander ne pridiction banaya tha, ye dono uske prediction ko sach karne ja rahe the, taaki Serin ke gusse ka fayda uthane ka soch'kar, ye log apne formation se loop de... Haan lekin unki peridiction to tej daur aur bhid ko kaat'ne wali hi thi… Kyonki dono yahi to karte aaye the..


Ek khatarnak yudhh niti jo dono bachpan se karte aa rahe, tum jis humle ki ummid humse karo, hum wahi humla karenge.… Kyonki ye kahani thi bharose ki. Ek dusre par bharosa iss had tak tha ki kahin bhi ghusne se pahle sochte nahi the…. Abhi dushman ne dono ko ladte kahan dekha tha... Ek sangathit arbon fauj ki army VS Nischal aur Serin.…


Serin ko agle 2 minute tak gussa dikhana tha, iss bich Nischal ne Aerobok ke sath telepaithy kar'ke usse yudhh me aane se saaf mana kar diya, kyonki uske log iss tarah ke yudhh ke liye prashikshit nahi the... Aerobok lagbhag 1 carore 70 lakh ki fauj ko naag-dansh ke ghere me agle aadesh ke liye taiyar rakhe tha. Idhar jab'tak


Serin gusse ka sanket deti, apni talvar hawa me upar ki. Jaise hi hawa me talvar upar gayi, kadakti hui tej bijli se talvar ka point jud gaya, jo Serin ke gusse ke sath talvar me bijli ki shakti bhi badhne lagi... Aur uss poori bijli ko Serin ne sena-nayak ke upar chhod diya... Wah senanayak na hila aur na hi bachne ke koi upay kiya...


"Jaise tum humare bijli aur barshat jhelne ke kabil ho, thik waise hi hum bhi hai... Tere ye 2 kaudi ke paintre yahan kaam na aayega... Haan kapde utar le to tujhe hum batayenge ki kaise kayi bij mishrit bacche paida hote hain"….


Wah sena-nayak bole chale ja raha tha aur idhar Serin aur Nischal samjh chuke the ki inke poshak jo hain, wo har vayumandaliya jhatka jhelne ko taiyar hain… speed, dimag me ghusna.. aur tisra hathiyar tha vayumandaliya aavran. Serin bhi samjh chuki thi ye teeno hathiyar pakke se compromised hain... Inke bharose fasenge, jaisa Nischal ne aasanka jatayi thi...


Serin bijli ke jhatke de'kar ek baar gussa dikha chuki thi... Ab fir se uss sena nayak ne gussa dilaya tha... Iss baar Serin daur gayi... Serin ke daur lagate hi sena-nayak bhi Nischal ke gati ke saman hi daurte huye apne sena ke bich chala gaya...


"Bhagta kahan hai badjaat, aa ab dikha na mujhe kaise mishrit bij se bacche paida karte ho harami"… Serin bhi gusse ka izhar karti hui daur laga chuki thi... Serin kafi tej daurti hui chain ko bhumi me ghusayi aur chaugune force ke sath wo hawa me thi... Jaise hi wo hawa me aayi... Poora aakash hi tope ke gole se bhar chuka tha, aur nishana hawa me chhalang lagati Serin. Iss poore sangathit army ki najren ek pal ko hawa me...


Itna waqt kafi tha, Nischal apni raftar se daurte huye apne khanjar lage chain ko hawa me fenk'kar Serin ke paun se lapeta... Serin jamin par thi, thik ussi waqt wo sare tope ke gole uske upar se cross kar chuke the. Thik uske pal bhar baad, Serin niche aur Nischal hawa me tha.. aur iss bich Serin ki talvar chali, kaman ke 3 fauji ko Serin ek sath kaat'ti hui apne chain ko hawa me uchhal dee. Chain Nischal ke paun me lag'kar usse niche khincha aur Serin hawa me. Nischal niche jamin par aane ke sath hi teen sainikon ko sulaya aur chain hawa me uchhal diya...


Ek second me dono aage pichhe 3 baar hawa me hote. Teeno bar tope ke gole sar ke upar se gujar jate aur kuchh lashen niche giri hoti. Sena ka dhyan bus chand pal ke liye bhatka hota aur utne hi loop me dono kaam kar'ke hawa me hote.


Niche aakar 3 logon ko katne ke turant baad chain fekne ki accurecy, kyonki dono ke chain ke ek chhod par khanjar laga hua tha... Jo utni gativan chain ke sath fenke jane par yadi chuk hoti, to jis ang ko khanjar lagta, uske nuksan ki kalpna bhi muskil thi... Aur timing... Tope ke gole hawa me asardar the, isliye ek pal me apne sathi ko niche lana aur uske agle pal me tope ke gole ke upar ya niche se hawa me cross karna... Timing…


Dono hi apne timig aur accurecy ke sath apne dushmano ko chaunka rahe the... Issi bich tope ke humle ko rok diya gaya... Jis katar se log mare the, uss jagah ko turant bhar diya gaya aur sabhi sainik ek dusre se chipak'kar katar ko complete shied kar chuke the… Serin hawa me thi aur Nischal jamin par aur agle hi pal dono bilkul katar ke shurwat me khade the... Aage jo 3 sipahi khade the wo dhal ka tikon banaye bus pahle humle ka intzar kar rahe the...


Nischal aur Serin ko bhi gyan tha ki inki speed Nischal ke barabar hai... Khule hath ka ek humla aur dushman ke bhala ya talvar kab ghusts pata hi nahi... kyonki wahan maujood teeno hi unke hi barabar speed rakhte the.


Ek chhanik najron ka sampark aur agle hi pal Serin tej daudti hui, samne ke dhal ko apne dono hath se pakadti ulti chhalang upar hawa me lagayi… Serin ke paun hawa me, hath upar se dhal ko pakde…. Sealed open tha aur teeno sainikon ke hathiyar Serin ke hath se ek bindu jitne duri par thi. Samne se Nischal utni hi teji dikhate huye, talvar ke ek lahar se teeno ka gala kaat chuka tha. Udhar Serin wo dhal liye hawa me roll karti jaise hi 2 katar ke bich land ki...


Serin hawa me roll kar rahi thi, tabhi bich se 15 logon ka formation kafi teji se toota aur katar utni hi teji se apne pahle ki bhanti formation banati hui jud gayi... Unki bhi timing gajab ki thi, kyonki iss baar jab Nichal ne Serin ko hawa se khinchne chain feka, tab raste me hi repulsive force apply tha. Nischal chain se Serin ko khinch nahi paya.


15 sainik jo katar se alag huye the, Serin ke hawa me hone par hi, apna cirle kafi teji se banate, Serin ke land karne se pahle hi, uspar hawa me bhale se humla kar rahe the. Serin, roll karti dhal ke bich apna poore body ko cover karti, wahan bich circle me land hui. Wo jaise hi land hui, ek complete circle me quid...


Wah circle bahar ke ore se dhal se pack tha aur ander hathiyar ke sath sainik taiyar. Serin humla kare ki na kare ussi duvidha me thi... Ek hath me khanjar aur dusre hath me talvar liye Serin khadi charo ore dekhi.


Serin ke upar humla hone ki soorat me, wo jitni teji se ek ko marti, utni hi teji se kayi sainik uske jism me apni talvar ghusa chuke hote. Chhanik mamla tha jo Serin ke jahan me kudne se le'kar land hone ke bich aaya tha. 15 sainik utni hi teji ke sath apne hathiyar chala chuke the.. kisi ka nishana gala to kisi ka koi aur ang… Hahiyar chale, itni tej ki palak jhatakne ka mauka nahi, lekin taiyar the wo ranbhumi ke har khel ke liye. Serin ke paun bhumi par pade. Hathiyar chale aur wo bhumigat thi...


Nischal aur Serin iss chhote se humle ke baad naag-dansh ki shuraksha me ek yuddh viram lete huye.… "Ye kamal ki Sena hai Nischal…. Yadi inke sath inka commander hota to hum dono akele kabhi jit nahi pate…."


Nischal:- Ab bhi jit gaye hain, tumhe aisa kyon lag raha hai... Pichhle 15 minute me 40 log maare hain aur bhumigat hone ki taknik na hoti to tum poori tarah se ghayal ya mar chuki hoti...


Serin mritak sainik ke paun ki wo chain bandhne lagi, jis se bhumigat nahi kiya ja sakta… Samne taiyar khade sainik bhi Serin ko aisa karte dekh rahe the, aur unke kheme me ye baat phail gayi...


Serin, ek chain Nischal ke ore fenkti... "Bandh lo, inke sena nayak achhe honge... Bahut achhe honge, lekin main bhi master Serin hun..… Junior hum ek formation me ladenge... Ek ke piche ek... Around the circle, 360⁰… Mujhe ye poori jagah jaldi khali chahiye…. Koi sawal"…


Nischal:- No senior...


Serin:- Ek sath.. ek gati se... Poore anusasan, ekagrata ke sath.. abhi...


Dono kadam se kadam mila'kar daud rahe the... Serin, kataar ke aage ke Dhal ko pakad'kar hawa me thi. Iss bar 2 sainik samne Nischal ko aur ek sainik Serin par hathiyar chalane ki poori taak me...


Bus aankhon ke ishare the, chain wo sainik repulsive kar sakta tha jo Serin par humla karne ki tak me tha. Serin apne chain me lage khanjar ko hawa me chalayi aur 2 jo samne Nischal ka intzar me the, unhe Serin saaf kar chuki thi, jabki bich wala jabtak apna bhala chalata Nischal ki chain lagi khanjar dur se chali aur Nischal daur'kar wahan tha jahan Serin land karne wali thi...


15 log upar dhyan kiye Serin par humle ko utsuk the. Nischal ko ek chhoti si window mili aur Nischal ek round apni khanjar ko ghuma chuka tha... Serin jabtak land karti, tab'tak Nischal khanjar lahra'kar 15 logon ka gala kaat chuka tha aur pass baithe sinik, jo apne kinare se dhal lagaye, kataar ko kinare se protect kar rahe the, uske dhaal ke tip ko pakad'kar iss baar Serin ki tarah Nischal hawa me tha...


Nischal jaise hi hawa me hua, Serin apni talvar ka war uss sainik par karti hui, usse kinare se chidh'kar talvar ko bhumi me ghusayi aur uske handel ke support leti ek baar fir wo hawa me thi.. Bich ke sainik jo thik Serin ke niche the, jaise hi dhal hata'kar Serin par humla karte, Nischal land hote-hote, apni chain me lagi khanjar ek baar poora lahrate huye niche land kar raha tha... Serin ke niche wale sainikon ka dhyan Serin par aur Nischal ka khanjar kahin dur se lahrate huye aati aur uska gala kaat chuki hoti...


Wahi Nischal jahan land ho raha hota, uske pass ke sainik, Nischal par humla karne wale hote, Serin hawa me hi apne khanjar ki lahra deti un sainikon ke ore... Aur natija wahi, jabtak dhyan Nischal par humla karne me lagaye, tab'tak galaa kat chuka tha…
Romanchak update mitr
Ab senior aur junior ka khel shuru
Aur complete army bhi chuk gai inke aage
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-113 (F)





Sab gati aur santulan Khel tha jo in copy karne walon ke bus ki baat nahi tha aur naa hi hawa me rah'kar itna achook war karte huye land karne ki kashmta Brahmand ke kisi bhi sainya tukdi me thi.


Ek baar Serin to ek baar Nischal hawa me hota. Adbhut gati ke sath, ek dusre ko save kar'ke maarne ki policy ka koi tod nahi tha inke pass. Aur aisa nahi tha ki wo sirf ek code ko follow kar rahe the… Kabhi Serin, Nischal ke pass wale sainik ko maarti to kabhi unhe chaunkate huye, humle me tabdili kar'ke, apne apne pass wale sainikon ko maar rahe the…


Aisa lag raha tha jamin se maar karna ab achha nahi lag raha… Bus jaim ko chhu maatr le, utne hi waqt ke liye niche aate aur fir dono bari-bari hawa me. Nischal aur Serin dono hi hawa me hote. Ek ke pichhe thik dusre uchhal rahe the aur natije wahi ho rahe the... Humla karne ki itni rendom taknik, kisi ko kuchh samjh me nahi aa raha tha aur inke log humla karne se pahle hi mare ja rahe the… wo bhi kafi teji me...


Tabhi bich se ek awaj hui aur sabhi sainikon ne dhal chhod'kar, naye formation me aa gaye... Wo log bhi ek dusre ko apni talvar se protect karte humla karte. Vijayi muskan ke sath Nischal aur Serin jamin par khade huye. Sabhi sainik dono ke gher chuke the. Sab ek sath teji se humla karne ko taiyar khade... Nischal aur Serin bhi taiyar. Hathon me hathiyar aur sath khade the, lekin ulti disha me... Dono ke pith ek sath aur face opposite...


Dono ke bayen hath ki khanjar sine tak uncha, wahin dayen hath ki talwar niche ke jamin ko face kar rahi thi... Charo ore se utne hi tej sainik unko ghere.. kaun pahle humla kare... Dono ko ek dusre ki kashmta ka pata tha aur dono hi ore se utna hi sachet...


Ek chhan ko sab ruke the... "Come on boys chalo ab ruke kyon ho... Koi nahi I am on"…


Kahte huye Nischal teji se sainkon ke circle ke itna karib tha, ki dayen ya bayen se teesra ya uske baad ka hi sainik talwar se humla kar sakta tha... Nischal ne apne samne wale ke gale me khanjar utarne ke sath hi.… dayen hath ki talvar se, dayen ore ka humla rokne ke baad talvar se uss hamle ka javab diya.


Dayen ore ke action ke sath me hi, apne bayen kinare wale sanik ke khanjar ke humle ko, vayumandaliya aavran ke chhote se dhanche rok'kar, uske gale me khanjar utara diya. Aage ke teen sainik jate hi, wahan ke sainikon ne bhi dono ko chunautiyan dena shuru kar chuke the...


Takraye jab apne hi barabar kshmtaon wale dushman se... Fir to dono bhai bahan ki talvaren lahra rahi thi... Dono bhai bahan utne hi anushashit aur poorn dhyan ke sath utre the... Inki lagatar practice ka natija yahan ke sainik dekh rahe the.…


Ye fauj bhi utne hi anusasan me the... Kataar koi tod nahi rahe the... Humla bhi ussi raftar se kar rahe the, kewal prashikshan ki kami rah gayi, jo Nischal aur Serin ke mukable kuchh bhi nahi tha...


Na to inme humla karne ka sahi aaklan tha aur naa hi ye logon me in dono jaisi ekagrta, prashikshan aur na hi ek hi waqt me 360⁰ me hathiyar chalane ka anubhav tha... Astak ki sena ke alawa koi dusri sena hoti to apne dushman ko dekh'kar ek baar "Wahhhh !!!" jaroor kar deti...


Dono ek dusre ke viparit khade... Dayen hath ki talvar lahrati, tannn ki awaj aati jo ek he waqt me apne 4-5 dushmano ke talvar ko humle ko jhel gaye... Thik ussi waqt jab talvar lahrati, dono ke chain me lage khanjar 360⁰ ghum jati… Dono kaam ek sath poori safai se sath me karte, lahrate talvar ke sath hi khanjar ko hawa me gol ghuma dena...


Tej raftaar ki ladai me, bus jo najar aati wo... Tannnn... Tannnn... Tannnn… aur issi awaj ke bich me Nischal apne sar ko bayen ore poora jhuka leta... Jiss se usse dayen ore ke sainik dikhe aur Serin dayen ore apna gardan poora jhukati, aur tannn ke awaj ke bich jab inki gardan poora jhookti, aur khud ke gardan ko jhukane ke sath hi inke khanjar ek baar lahra chuke hote, jo circle ke 2 kataar ko kaat chuke hote...


Nischal sur Serin ko ek hi waqt me apne sabhi angon ke prayog karne ke liye prashikshit kiya gaya tha. Wahin dushman inke chain ke char guna gati ko, ghumne se rok to sakte the. Lekin chain thik ussi waqt chalti, jab Astak vansaj humla kar rahe hote... Aur ye log humle par dhyan dete waqt, unke chain par repulsive force daal hi nahi pa rahe the. Dono bhai bahan ke berahm khel poore josh se shuru ho chuka tha…


Lahrate talvar ke sath unka lachila badan lagatar lahrate huye ghatak humla kar rahe the. Dushman bhi utne hi sangathit aur tej. Unke humle se dono bhai bahan kabhi bachte to kabhi kharoch bhi lagti, to kabhi unki talvar scratch bhi dete huye nikal jate... Khas'kar Nischal aur Serin ke sharir ke bayen hisse ko hamla jhelne par raha tha.... Kyonknki uss hath me chain thi, jiske upar ya niche se badan ko hathiyar chhu hi jati…


Kitna bhi Lahuluhan sharir kyon na hua, lekin na to dhyan bhatka aur na hi inke maarne ki gati me koi kami aayi... "Tannnn-tannnn-tannnnn" talwar se bhale aur talvar ke takrane ki awaj aa rahi thi aur agle hi pal, lash girne ki awaj...


Serin aur Nischal poora anushasan dikhate... Humla kiye chhanik ruke, aas pass se hote huye humle ko baanp'kar unhe roke aur rokne ke sath hi jawabi humla ho jata... Bachna aur humla karne ki yah taknik, itni adbhut thi ki pata hi nahi chalta ki ye dono ruke bhi the...


Dushman bhi apni kshmta dikha rahe the... Bayan hissa kamjor tha, yah jaan'kar ab tukdiyan charo ore se gherne ke badle 8 kataar me khadi ho gayi thi... 4 kataar dayen aur 4 kataar bayen ore se humla karne.… lagataar badalte formation se bhi Nischal aur Serin ko koi fark nahi para tha, kyonki inka dimag pahle se sangathit humla karne ki yojna bana chuka hota...


Naye formation se dono ko raahat hui thi.. Kyonki ab sidha maarne me pareshani nahi hogi... Chain se khanjar ko lahrana nahi parega... Lekin issi ke sath pareshani bhi badhegi, kyonki circle me dushman ke humle utne asardar na hote, jo samne se hone wale the...


In logon ne bhi socha dono sath ladenge isliye 4-4 ki 2 kataar bana lee, lekin ab dono hi samne se apne-apne kataar ko face karne wale the... Khanjar ab dono ke haath me aa gayi aur talvaar khun ke pyase...


Ab to bus khel shuru karna tha. Nischal aur Serin dono apne khanjar ko kamar me daal chuke the… Bayen hath chhote-chhote vayumandaliya aavran bana kar bayen ore ke humle ko rokne ko taiyar... Aur fir lahrana shuru hua dono ke talvar... Raftaar se bus kalai hi to palat rahe the, wo bhi bilkul lachile pakad ke sath...


Kalai ke ishare the aur apne sharir ko dono bus thoda left aur right ke ore ghuma rahe the... Talvar bijli se tej aage ke ore lahra rahi thi... Wah itni tej lahra'kar bayen se dayen aati, mano talvar khud pukaar kar kah rahi ho... "Dum hai to iss tej se lahrate talvar ke bich se apne hathiyar ghusa'kar dikhao. Yadi mujhe paar kar liye to mere malik ka badan tumhara"


Lahrata talvar jaise cutting machine bana tha aur ab dono bhai bahan poore raftaar ke sath inki tukdi ko naapna shuru kar chuke the... Lachila badan, kalai ki poori raftaar... Utne hi tej badhte unke kadam aur lahrate talvar ke bich me sainik ke humle bekar se huye ja rahe the. Jab nichal ki talvar kalaeyon ke sahare lahrati, 4 kate gale aur 4 laash ko paar kar'ke, aur 4 lash girane badh jaate...


"Na raham karenge"… Nischal ki talvar lahrayi aur gala se lalkaar.… "Na rukenge".. Serin ka bhi talvar chala... aur dono ek dusre ka josh badhaate aage badhte rahe...


Dayen ore se dono majboot the, lekin bayen ore ka vayumandaliya aavran kuch kamjor sa tha. Dono ke badan ke bayen hisse me talvar aur bhalon ke nok ki scrach se, badam lahuluhan se tha. Lekin rukne ka waqt kahan tha... Ek rukte to dushman ko pichhe se humla karne ka poora mauka mil jata...


"Main hata to wo mar jayegi"… Bus yahi chal raha tha dono ke dimag aur aur dono ka sharir kuchh pal ka aaram maang raha tha... Sharir ke ek hisse se khun nikal raha tha... Fir bhi dono apne dum par apne barabar ki kashmta ke dushmano ko, kaat'te huye aage badh rahe the... raftaar to kabhi ruki hi nahi.. haan par ek sangathit army ko katne ki raftaar bahut hi dhimi thi... Warna jis hisab se dono ki talvar chal rahi thi... 2000 carore vansaj ko to ab tak kaat chuke hote...


Ek sangathit army, jaisa ki Nischal aur Serin ko sahuru se pata tha... Iss baar formation nahi badla kyonki unhe bhi mehsus ho raha tha ab ye bhi ghayal hain... Bus ab dono ko aur ghyal karna tha. Dono ko aur bhi jyada dard dena tha... Aur issi mansa ke sath shuru hua dushmano ke bomb ka kahar... Jo mar gaye saink unke laashon par tange the bomb...


Jo khade the unke badan par tange the bomb aur oprate kahin aur se hona shuru hua... Bomb footna shuru huye aur uske ander se 1/2 inch ke kayi hazar shakt kaaten utne hi teji se hawa me bikhar gaye.. Kisi ped se laye gaye natural kaanten. Aam kaaten to honge nahi, upar se 1 bomb me 1000 kaanten... Aisa lag raha tha maarne se pahle poore tadpane ki taiyari chal rahi ho...


Bomb footne ke sath hi hawa me kaanten bikhre the… Ek sath hazar ki sankhya me bomb foot rahe the. Dushmano ke surksha taknik. Bomb ke humla hone ki shoorat me automatically bachne ke sare intzam ho gaye. Poora body cover aur aankhon me chasma laga. Haan ye poshak un kaaton se bachne ke liye hi the.. lekin ye kaaten to kuchh jyada hi jalim nikle, apne sainikon ke poshak ko bhi bhed gaye... Haan unpar asar kam tha lekin kaaten ghusne ka dard se wo sab bhi bilbila gaye...


Wahin in dono ke poore badan me to wo chhote-chhote kaanten ghuse hi. Khuli aankh se dono humla kar rahe the, aur dono shayad palak jhapkana bhi bhul chuke ho. Dono ke palke bhi jhapki aur kuch kaanten aankhon me bhi ghuse...


Ho rahe humle se dhyan hata nahi sakte the aur dono ke sar se le'kar paun tak kaanten hi kanten ghusna shuru... Ek sath kayi hazar kaaten ghusti dard deti aur wo kaanten sharir ke ander hi gayab ho jati. Sharir me sama'kar wo kaaten itna pira de rahe the ki ander ka khun tak jal raha tha... Lekin aaj fikr kahan kisi bhi baat ki.. sar par kafan bandhe nikle deewane 2... Nikle the manjil tak pahunchane kisi ko...



Na hi ruke aur naa hi khud par bhi raham kiya. Na dhyan toota na ekagrata. Aankhon me ghuste kaanton ki bhi parwaah na kiye. Khanjar berahmi se gale me ghuste rahe... Dayen ore se talvar humle ko ro'kar lahrate rahe aur sath hi sath bayen ore se dushman ke talvar, bhale aur khanjar ki tip lagatar ghus jati, usse bhi sahte rahe... Aage badhte rahe aur lashen girate rahe...


Kataar tha ki khatm hone ka naam na le... Lashon ke dher bante ja rahe the aur dono hi thik ek dusre ke piche kadam se kadam badhate huye lashen gira rahe the... Bomb girte, vishaile kaanten chubhte unke iss humle ko bhi jhelte rahe... Halakh se Nischal aur Serin ki chinghar nikalti.… Khuffjada tha wahan ka najar. Dono ki awaj jaise dahsat thi. Aankhen poore khun me doobi laag... Jitne jyada unhe kaanten chubhte kaatne ki raftaar bhi utni hi badh rahi thi...


Mahakaal ka sawaroop the aaj dono... Bahte khun ki garmi dur tak mehsus ki ja skati thi. Inke badhte kadam khauff ke parichayak the... Na khud par raham kiye na dhusmano par...
Unmaadi update mitr
Vijay rath per sawaar nikal pade deewaane do har aur kahar ban kar tut rahe hai khud bhi itna ghayal hone per in kanto se
Na rukenge na thakenge shtru ko yamlok pahuncha kar hi dum lenge
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Poora update hi to vishleshn hain aage kya nahi samjhe ek baar likhiye to...



No comment Naina help me pls ... Pay some attention
Are aap hi bolte rehte hai ki "hathi chale bajar , kutte bhoke hazar..." :D
to kahe noobs ki baatein suning ju :D
char botal vodka pike mast rahneka.. :booze:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Kabhi kabhi lagta hai ki main itna honest kyon hun.... Naina was spreading so lot of negativity... Shayad koi dusra hota to ya to Apasyu ko hata deta ya naina ko ... Khair :D

Fir baat logon ke jahan me aa gayi takat comprision ki.... Abhi kya hun kah dun ... People are so mindless in enemity... Wo takat compare karne me lage hai and what a beautiful quote... Apasyu ko jyada takatvar dikhaya...

Matlab jab bhi ye wakya aankhon ke aage aaye na to din me feeling aati hai... Idhar samne aa'kar bol... Lagata hun Chamet...

Khair yahan bhi chahta to logon ki jalan badhane ke liye main bahut kuchh ulat fer kar sakta tha kisi ko pata chale bina with complete logic bhale koi mane ki na mane... But ye imandari hai ki jati nahi...

Villan ke side thi Hella ... Main chahta to yahan Hella aur messa ke charcha na hone deta taki logon ke jahan tak me kuchh na aata... Lekin yahan bhi imandari...

Main kahani me har wo chij kar sakta tha jo ek reader ke baton ke support ko sire se nakar de.... But yet u see... Khud hi likhta hun aisa ki readers ko aur majbooti milti hai unke apne theory me...

Khud me hi sochta hun ab to... Kya mujhe un baton ko gayab kar dena chahiye tha ya un facts ko aane hi nahi dena chahiye tha jo readers ko halla karne par support kare kyinki sab to mere hi hath me tha...

Fir anth me ek hi baat hoti hai.... jo hai wahi aayega bhale iss se reader ko bolne ka mauka kyon na mile :D ... Achha lagta hai jab wo log iss vishwas ke sath post karte hai ki unke likhne ke baad bhi kisi charecter ke image ko thika bhar bhi fark na padega...

So Asif bhai aaj bhi bhid me samil ho len. Aur laga ke Nischal aur Hella ka naara .. abhi idhar to ranbhumi saji hai aur samne hai arbon sainik




Update to 10.30 me hi aata lekin yahan network ke aisi ki taisi hui hai
Lalla Lalla Lori, dudh ki katori... Dudh me batasha, nainu ji kare tamasha... :p:


Nothing personal haan ... :D
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Super se upar har ek pehlu har ek mod aur kaafi dilchasp kirdaaro ki bhumika aur fighting skills bhi.... romanchak dono hi update.. bole to


20210511-022612

Heavy action jaari rahe :dwarf:
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 
Top