• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-113 (G)





Mahakaal ka sawaroop the aaj dono... Bahte khun ki garmi dur tak mehsus ki ja skati thi. Inke badhte kadam khauff ke parichayak the... Na khud par raham kiye na dhusmano par...


Nandni jo viman me baithi bahar ka najara dekh rahi thi. Kafi lamba samay ho gaya tha usse bhi baithe-baithe… Bardast ke bahar... Upar se poori kataar kewal pichhe se aage badhte huye najar aa rahi thi, jabki Nandni ko to dekhna tha poori kataar ke Kate badan ek sath hawa me, jo ki pichhle kayi ghante se nahi ho raha tha… Chinta aur pareshani to sabko thi, lekin Nandni ki seema paar kar gayi thi… rah-rah kar ek hi khyal aata.…


"Sangathit log jab Nischal aur Serin ki raftaar rok sakte hain to thoda-thoda kar'ke usse ghayal bhi kar sakte hain... Aur ye itni vishal fauj hai ki gujarte waqt ke sath unka thoda bhi, Nischal aur Serin kr liye bahut jyada sabit hoga"… Fikr itni thi ki wah gahri shwans leti apne aankhon se gire aanshu ko ponchhti kuchh sochi aur sabko bahar aane boli...


Niche aa'kar pahla sawal Aerobok se hi kee... "Dono akele lad rahe hai aur iss baar koi line kat nahi rahi?? Dono ke raftaar ko rok'kar jaise ladai kar rahe hai dushman... Aerobok tum humla kyon nahi kar rahe"…


Aerobok:- Aise sangathit humle ke liye hume prasikshan nahi mila hai, isliye hume dur rahne ke liye kaha gaya hai… ladne gaye to bhi marenge, aur aage jab jaroorat hogi tab hum nahi honge, isliye Sahjade ne hume hold par daala hai..


Nandni... "Mujhe batao fir tumhe prashikshan kis baat ki mili hai"… ..


Aerobok:- Hum unhe bhumigat kar nahi sakte... Bhid me ladne gaye to bich me fansa'kar wo maar denge... Jab ladai me in dono ke kaam hi nahi aaye, fir faltu ka marne kayon jana aisa Sahjade ka kahna hai...


Nandni:- Tumhare ek ke jahar ka asar nahi hoga shayad, wahin yadi ek sath kayi log jahar ko hawa me chhodo to...


Aerobok:- Hmmmm !!!! Zahar ander ghus'kar jala dega...


Nandni:- To ruke kyon ho jaoooo abhi... Bhid ka dhyan khincho... Zahar hawa me itna gholo ki shwans na le paye…


HuYu:- Ruko... Nischal ka samjh me aaya lekin Serin jab zahar ko shwans ke jariye legi...


Nandni:- Mask banao jhatpat fir, bina der kiye...


HuYu:- Aise mask to har space ship me hote hain... Lekin wahan tak pahunchaye kaun...


Nandni:- Aerobok sabko taiyar rakho aur mere ishare ka intzar karna... HuYu sabhi complete suit wale ko lekar bahar aao.... Ab agar giants football khelne aayenge to hum unhe acche se football khilayenge...


HuYu:- Wo kaise... Jaise abhi wo Canon aur Saras apne viman me baith'kar, apne aircrafts ko command de rahe hain aur niche se anti blastic missile se dushman ke missiles ko rok bhi rahe... Waise hi ab teesra kaam bhi karenge.. hawa me giants ke sar ko missile se nishana banayenge... Jaise unke missile hawa me kaam kar rahe waise humare bhi karenge…


Darasal pichhe kayi ghanton se ye log bhi apne ore se naakaam kosis kar chuke the.. Sangathit army ke charo ore arbon giants khade the, jo kisi ko madad ke liye ander pahunchne hi nahi de rahe the... Utne bade sharir ke sath, Nischal ki tarah tej daurna sabke liye sar dard bana tha aur koi chah'kar bhi unki madad ke liye ab tak nahi pahuncha paya tha...


Duhman jaise poori taiyari kar'ke aaye ho ki pahle kisi tarah dono bhai-bahan ko maar girao, uske baad to aaram se shikar hoga… aur shayad apne iss maksad wo log safal hote bhi najar aa rahe the...


Nandni HuYu ko lagbhag order deti hui kahne lagi... Jakar cordinate karo aur dragon babies ko missile command dene kaho... In logon ki commanding kamal ki hai, sab Nischal ke sath the... Aur ander jakar mask lao aur mask ke sath Sonu ko bhi bhejna... Jarra main mask un tak pahuncha dun... Chalo aalsiyon jarra kaam kar lo... Kewal wahi dono heros nahi hai... Hum sab me ek hero basta hai...


Humle ki nayi niti tayar thi. Ek baar fir 30 complete mettelic suit hawa me udde... Unke uddne ke sath hi aaram kar rahe giants bhi uth khade huye... Issi bich Nandni, aur Sonu… dono complete matellic suit ke sath ander yudhh ke maidan ke ore badhe…


Dragon baby Sonu yun to aaram se Saras aur Canon ke sath hi baitha tha, lekin tab se baith'kar wo chhote aircaft ko hi dekh raha tha. Kaise wo size me chhota sa aircrafts, bhid me ghus'kar humla karte aur apne se vishal dhusmano ke bich se nikalte...


Nandni ke baithne ke sath hi... "Maasi seat belt bandh lo kyonki hawa me Gulati bhi khana par sakta hai... Isliye taiyar rahna"…


Nandni:- Chal jhampa aaj in champa ko masakali banana hai...


"Lo hum udd chale fir dhushmano ke bich"…. Bade-bade giants ke bich se ghusa Sonu.… "Maasi hum jab baba aur bua ke pass honge tab unke dayen-bayen lagataar humla kar'ke dhuwan-dhuwan kar denge. Taki unhe mask lagane ka mauka mile, fir hum wapas honge... Taiyar...


Nandni:- Haan bilkul taiyar...


Hawa me poori unchai liya Sonu. Iss bich Nandni metallic suit ke weapons on ki... Fire on command... Suit ke fire ke sath hi bijli ke kamal ke 1 megawatt ka single jhatka taiyar tha...


Sonu, unchai par gaya aur teji se dive lagaate huye kahne laga... "Massi ye giants kafi tej hai dikhenge nahi... Aap bus in giants ko chaunka do, taki hume ander jane ka mauka mile...


Nandni ne haami bhadi aur dive ke kuchh der baad hi Nandni ne fir se aag ka dariya banaya aur solon ke dariya ke bich tej current ka ek poora jaal faila dee.


"Uffffff wo giants"… bahut der se shant iss mahol me Nandni ne khuff ka manjar ek baar fir dikhaya... Aag to badan ko matr jala rahi thi, jo unki chamri ke karan thodi beasar si thi jabki ek megawatt ki bijli unke dil ki dhadkan rok chuki hoti…


Nandni to bus hawa me charo ore aag aur bijli chala rahi thi… wahin Sonu hawa me achanak hi kayi sari kalabajiyan karta, bilkul chhote se aircraft ki tarah... Dono ko kuchh dikh nahi raha hota, lekin thoda niche aate tab pata chalta hawa me aag lagi thi aur tej bijli ke jhatke se hawa me uchhla giant jamin par gir raha hota...


Giants me gati thi aur wo giants bhi Nischal ki tarah daur sakte the, jo dikhta nahi tha... Aur unke issi strong point ke karan HuYu ke dimag ki batti bhi jali. HuYu apni team ko naag dansh ki seema ke aas-pass hi rakhe tha... Giants chal rahi ladai me ghus nahi sakte the isliye kinare se hi lambi kataar ki deewar banaye khade the... Sabhi 30 logon ne high laser ka humla kiya... Hona to iss se kuchh nahi tha lekin giants par huye achanak iss humle ne unhe bhi chauka diya...


Pichhe khade giants ke sathi bhannaye, jaise aage walon se kah rahe ho, "in tuchh logon ki itni himmat". Idhar HuYu ke aadesh the, humla karo aur bina ruke naag-dansh ki seema me ghuso… Ek chhoti si kosis uksane ki aur unhe dikhane ki, kee wo naag-dansh ki seema se bahar aa'kar humla kar rahe hain... Giants me gati thi aur unhe pata tha ki palak jhapakte hi wo sabko daboch lenge..


Ek chhota sa dav aur fans gaye caroro giants iss chakkar me... HuYu & team humla karne ke sath hi seema me ghuse… Unhe to pata bhi nahi tha ki koi daura bhi hai... Lekin idhar ye, aadhe inch ke fasle ko tay kar'ke seema me pahunche aur udhar najron ke samne charo ore rakh hi rakh uddna shuru ho raha tha…


Saikron hi mare the abhi arbon baki the aur iss giants sena ke ander command nahi hi tha. Bhid bari thi lekin shurwat ho gayi thi… Kisi ko apne sathi ke marne ka afsos ho ki na ho lekin samne se unhe raakh bankar hawa me bikharte dekh, in maha daanav ke ego ko thes to pahuncha hi tha...


Naag-dansh ki seema se bahar dekh'kar jahan pahla khep saikda tha, wahin dusra khep hazar ka hua aur teesra lakhon ka... Naag-dansh ki seema me ghuste hi sidha raakh hi bante... Aise raakh bankar udd rahe the, jaise aag me raakh bana kagaj, hawa ke jhonkon par uddata hai... Aur inki gati hi ab inka kaal thi, kyonki lakhon ki bhid ka ek khep matr 1 second me khatm ho raha tha... Aur ego aisa hurt hua tha ki 10 second se HuYu & team ko maarne ki kosis jari thi aur humle rukne ka naam nahi le raha tha.


Idhar Sonu ke pass to jaise divya dristi thi... Haalanki divya dristi nahi thi, balki iss baar wo apne instinct par kaam kar raha tha... Hawa ki dwani prakahne ki kashmta jo har panchhi ke ander hoti hai.. aur issi andaje se, samne se aa rahe giants se bachte huye uspar humla kar raha tha aur karwa bhi raha tha...


Nandni bhannayi... "Ye sale laton ke bhoot... Beta tu aage badh Nischal aur Serin ke ore, ye harami jo boreder khinche hain, unhe main maza chakha dun"…


Nandni ne Apne hath ghuma'kar, yun kafi dur se lahrati hui, gol-gol jalebi path banane lagi.… Shayad ungli 1 ya 2 kilometer ke kshetr tak ka ishara kar gayi ho. Utni dur se ugli ke ishare se gol-gol jalebi ka path banate hui.. Aakhir aate aate Sonu ke charo ore hi ek electrical path bana diya Nandni ne. Uss path se lagatar 5 megawatt ki supply jari thi... "Aa jaa harami daurte huye… naa dikh mujhe..... Sonu maar sale ko samne se aise wave ki sine ke aad paar ho jaye..."…


Idhar Nandni ka kahna tha, udhar Sonu ne diya ek jhannatedar wave jo hawa me... Misisle firne jaisa sound karta, 1 sidhi line me khade 8-10 giants ka sina faadta hua nikal gaya... "Shabaas beta... Ab ek kaam kar apni jahag ruk aur hawa me dayen-bayen se aise hi sina faad wave chhodta rah"...


Bhanna se gaye sabhi giants. Paglon ki tarah ab inke ore bhi daur laga diye aur dur se hi jab pahle giant ko jhatka laga to uske pichhe aa rahe dusra fir teesare…. Wahan lakho giants the, jo kisi na kisi vidhi ek dusre se chipke the... "Sale harami, 5 mega watt bijli kha'kar bhi khade hain"..


Sonu, hanste huye... "Bhag le maasi hum, mujhe ander ghusne ka rasta dikh raha hai... Warna bijli ke jhatke se abhi to apna sir pit rahe hain, kuch der baad hume football bana'kar pitenge"…


Nandni:- Haan haan... Nikal-nikal..


Idhar Nischal aur Serin… dono rakt me sarobar, apne badan me caroron kanton ka dard aur vish chubhoye... Bina ruke aur bina raham kiye, lagatar lad rahe the... Kabhi dono dayen se bayen badhte to kabhi bayen se dayen.… "Nischal, bhai main aur nahi sambhal sakti... Meri himmat toot rahi hai... Gala sukh raha hai"..


Nischal:- Kaam kar le aalsi... Aaj pahli baar to dhang se ladne aayi hai....


Serin:- Ye harami kanten chubho rahe hain... Janta bhi hai kahan-kahan chubhen hain... Tu to khula badan hai.. dekh apne suje badan ko... Main ye tight kapdon me hun aur ander se poora sooja hua hai...


Nischal ek jhalak apne badan ko dekhte.… Jo ajib hi tarike se sooja hua tha... "Aahhh"… Nischal samne wale ko ek laat maar'kar dur kiya aur apni talvar lahrate... "Harami baat kar raha tha... Sence nahi hai kya... Bhonk diya..."


Serin:- Mar to nahi raha bata de to main bhagne ka intzam karungi...


Nischal:- Nahi upar body talvar se cover tha to haamiyon ne paun me khanjar ghop diya...


Serin:- Ek kaam kar baith ja araam se. In salon ke paun kaat'te hain... Pichhe wale jab'tak khabar denge.. hum 1-2 lakh lash to paun kaat-kaat'kar gira denge..


Nischal:- Haan ye sahi hai...


Dono teji se baithe aur utni hi teji se dono ki dard bhadi aaahh nikal rahi thi... Taareef me itne kaatne ghuse the ki teji se jhukte hi aankhon me iss dard ke aanshu to jaroor aa gaye the. Khair dono dard me to chinkhe, lekin sath hi sath, talvar lahra'kar, paun bhi ek hi baar me kaat diye... Aage walon ke girte hi picche wale utne hi teji se aage aaye.


Niche baithne se itna sukoon tha ki ab khud ko bachame ke liye dimag nahi lagana tha, kyonki jo bhi teji se aata, upar dekhte huye hi aata. Ab to bus kaatna tha aur dono dhanadhan paun kaate ja rahe the...


"Kamine jodi ke gulaam, yudhh ke maidan me tera dimag kaam karna band kar diya hai. Tu sanyasi ho jata wahi achha tha… Itni der se thaka raha tha... Aise baith'kar pahle humla nahi kar sakta tha... Dekh to inko, khali jagah bharne ki itni jaldi hai ki, aage aaye ja rahe aur niche se 1 fit chhota ho'kar girte ja rahe"…


Lagbhag 4 round sabke paun kaatne ke baad yudhh jaise viram sa ho gaya tha aur dono samne ka najara dekh, apne muh par haath rakhe... "Aur aaram se humla kar le... Ye sabhi kamine to dur hi aaram se baith gaye, hume gherkar... Ab agar ye log humla karne ke liye 2 circle banaye na, fir batata hun... Ye na ki 2 round paun kaat'kar khade ho jao... Ab karenge ye hum dono ko niche se 6 in chhota… dekh to aage badh bhi nahi rahe hain.. aaram se fail'kar baithe hain"..


Nischal aur Serin ek baar khade ho'kar dekhe... Poore maidan ke sainik baith gaye the... Serin mathe par hath rakhti... "Yaar sach me, yadi double circle me, ek khade aur ek baithe circle ke sath humla hua tab to hum gaye"…


"Aaram se patlthi laga'kar baith... Kaanton se vayumandaliya aavran bacha lega... Thodi der shwans le le"…


"Nischal blood circulation dhima hua to hume nind aa jayegi... Poore badan me chhed kar diya hai haramiyo ne"..


"Ab kya kar sakte hain… bina external help ke hum bure fase hain"…


"Ye sale pahle to aise na the... Ye jitne bhi tough wale dushman hote hain, sab humare nasib me kyon hote hain... Bhej dete bhabhi ke pass... Uske pass thi to in sab se nipatne ki shakti hai"…


"Tapak jati wo bhi... Sale bahut harami fauj lagte hain aur utne hi dhit bhi"…


Tabhi Serin ko Sonu aur Nandni dikhi... "Aahhh bhagwan aaya prithvi ka... Hath jod le re... Kya timing hai"…


Jagah itni khali thi ki Sonu aaram se land kiya... Nandni ke niche utarte hi Nischal bina ruke... "Bilkul muh par dono tape laga lo... Nandu tere pass 10 minute ka waqt hai.. nahi to humara marna tay hai"…


Serin:- Aur haan look, reaction aur kya kyon jaise sawal baad me...


Nandni:- Ye mask laga lo Serin, hum Zahar ko yahan ki hawa me gholne wale hain…


Nischal:- Achha hai yaar... Jhatpat jao... Doc sahab ko raste se hi bata dena ki humare jadi buti wali drink ka bag nikal'kar rakhe... Bag collect kar aur laut'te waqt, 20, 30 zaharbaaj Nilbhutiyon ko load kar'ke le aana... Jaldi bhaag ab...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
nain11ster bhai kya kahu kuch samajh hi nahi aa raha he shabd nahi mil rahe he aap ki tariph karne ke liye jese jese story badh rahi he romach badhta ja raha he kya aap bata sakte he ki jisa kab aayegi nischal or serin ke pass ab to intzar karna mushkil ho raha he ki kab aayega agala update
Kya baat hai shukriya king bhai... Thode shabd sambhal kar rakh len... Abhi to bahut kuchh dekhna baki hai...

Thanks a lot :hug:
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Bhai dono bhai bahan achchhe anushasan se aur technic se lad rahe he par yaha jivisha se help milti to achchha rahta. Ye nishchal kya bar bar khun ugalne lagta he sala hero he ki kya. Isse lakh guna badhiya fighter aur dimag ki dhani to jivisha he yah josh me hamesha nukhsan hi uthata he. Vese dekhte he ki nain bhai is badha ko kese paar karwate he.

Hero hai aur hero hi rahega... Samne sena hai... Na ki koi gilli danda khelne wala sadak chhap kise khatm kar diye... Dushman guru dushman ab uski kismat me itne tagde dushman hai ki kya kah sakte hain... Bechara Nischal :D

Thanks for your beautiful words
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Vilakshan update bhai
Bhallaldev ka rath bhi apna kamaal dikha gaya
Nandu ansh huyu Sonu Monu v nilbhut sainiko ne bhi apne admay sahash ka prichye dete hue astak sainiko ka vadh kiya
Parntu lagta hai phir se mahabali astak v joy ke bhram jaal me fush gaya hai
Hahaha ... Inspirational ideas aur innovative ideas filmon ke hi hote hain Nevil bahi :hug:

Thanks for your beautiful words
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Vichitr update mitr
Apno ke bichudne ke ahasah se hi kamjor prani bhi adbhut prakarm ka pardarshan karta hai
Yahan per mahabali ne jaishe apne kalpnik sharir se joyo ka ant kiya vaakai kabile taareef hai aur apne logo ko surakshit kiya pal bher me hi v tut pada agni baan ke jaishe astak ki sena per

Yep kafi himmat se bhada wo kshan tha .... Zazaba dikha diya tha Nischal ne... Baharhaal ... Abhi to yudhh poori tarah se baki hai...

Thanks for your beautiful words
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
nain11ster Nishchal to dhurt ansh Ko khatam karte waqt hi bahut Ghayal ho gaya tha to fir wo is yuddh se pehle theek kaise hua?
Aur in dono bewkufon ne complete protection suite kyo nahi pahana?
Nana wo ghayal nahi hua tha Chintu bhai... Mitti ke lep me uski shaktiyan khinchi hui thi bus wo asahay sa ho gaya tha... Use scene me ghayal nahi hua tha...

Complete mettalic suit lekar maar karega bejjati na ho jayegi heros ki... :laughing: .. joke a part...

2 karan the yuddh me unke complete mettalich suit na istamal karne ke...

1) Arbon ki sena ko jaldi samapt karni thi complete metallic suit unke speed ko visible bana raha tha..

2) Surpmarich was the reason. Nischal ke sath jab yudd shuru hua uske baat usse ek ke baad ek surprise mil rahe the.... Matlab saaf tha ki formation aur stertgy sab baad me decide hui thi jab nischal maidan me utra tha...

Yadi Surpmarich ko Hyber metal ka tod nikal leta tab na sirf yahan ladai ke maidan me nusksan uthana padta balki Luna ke sath chal rahe yudh ke bhi natije badal jate...

Nischal aur Serin hi focus the isliye to York ke maidan par poora jaal bichha hua tha... Sabse jyada fauj .. sabse kharanak fauj.. aur khud astak tha maidan me....

Ek baat na bhulen ... Teen alag alag jagah ki ladai ek sath ho rahi thi... Hyber metal ka tod yuddh ka parinam badal deta
 
Top