• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Final Chepter :-: The Master:- A





Poori shristhi hi niyam se bandhi hai... Kahin ek jagah hone wali ghtna kisi dusri jagah ki ghtna ko janm deta hai… isliye niyam jab bhi toote hain, uske achhe aur bure dono parinamo ne janm liya...


Ek jhalak yadi jivan uttpatti aur vikas ki dekhe to... Rachiyta ne sab ko saman adhikar dekar jine ke liye swatantr roop se iss bramand me, anekon tarah ke jiv ka nirman kiya... Vikas ke kram me maanav ne khud ka vikas samast jivon se upar rakha aur shreth hone ki bhavna kuchh yun ander aate gayi, fir pahle apne alawa dusre jivon ko jaanvar aur kide makode ke shreni me rakh diye, jinme pran to hote hain kintu wo manav jaise jiv ke saman nahi...


Wahin fir jaise-jaise kahani aage badhti gayi to maanav ne apne shreth hone ki bhavna ko antrik roop se viksit kar liya, jinme kamjor maanv ko bhi unhi janvaron ya kide makodon ki shreni me la khada kiya jinke pran ki koi ahmiyat nahi... Aur yahin se shuru hui thi shakti pane ki hor.


Vikash aur khud ko shreth dikhane ke iss hor me fir manav apne jigyasa me dhundh chuke the… ek alag duniya.. Ek chhipi hui duniya, Jise Opposite World ya Viprit Duniya kahte the...


Parkriti ke kayi rashyon me se yah Viprit Duniya sabse bada rahashya tha jise rachayita ne santulan banane ke liye viksit kiya tha. Iss chhipi hui duniya ki energy sadaiv santulan banaye rakhne ke kaam me aati thi. Isse kuchh is prakar se samjha ja sakta hai ki.…


Jaise atmosphere me oxyzen jivan dene wala gas hota hai, lekin yadi kewal oxyzen hi ho to bhi jivan sambhav nahi... Sabhi jiv-jantu kuchh dino se jyada survive nahi kar payenge. Isliye santulan banane ke liye ek viprit gas jo jivan ko hani pahunchati hai, CO2 uska hona bhi anivarya hai…


Thik waise hi Rachiyta ke banayi hui yah adbhut sanrachna, yani ki poore brahmand me santulan banaye rakhne ke liye ek viprit duniya bani thi. Rachayita ke parellel world ki duniya jahan ek ore mul duniya thi, jisme brahmand ko banaye rakhne ki sakaratmak shaktiyan thi. Jivan basta tha.


Wahin viprit duniyan me brahamand ko banaye rakhne ki nakaraymak shaktiyan thi. Wahan par ek maatr jivan basta tha, wo bhi kewal andheron me rahta aur kabhi bahar nahi aaya...


Nakaraymak shaktiyan ka yah arth nahi tha ki wah jagah ya viprit duniya galat thi. Isse aise bhi samjha ja sakta tha ki 2 viprit shaktiyan thi… Yadi uss duniya ki shakti ko sakaratmak urja ka kendr mante to mul diniya ki shaktiyan thik uske viprit kahi jati.… Viprit kahna achha ya bura ka sandarv nahi tha, balki 2 viprit urja ke kendr ko darshane ke liye kaha gaya tha...


2 viprit duniya me ek dusre ki viprit shaktiyan basti thi, thik waise hi dono jagah ke base jivan ke liye, uske prakriti me bhi santulan banaye rakhne ke liye sakaratmak aur nakartam, antrik shaktiyan basti thi. Ye 2 duniya ke ander ka santulan tha jo wahan ki prakriti rachti thi.


Yahi prakriti hai... Prakriti apne har energy source me balance banaye rakhne ke liye, dono tarah ke energy ka srijan karti hai... Thik waise hi parellel world me 2 duniya thi, jiske viprit duniya ko koi nahi janta tha. Jahan mul diniya me sabhi prakar ke jiv baste the, viprit duniya ek chhupi hui duniya thi, ya yun kah le ki yah nature ka ek Ristrcted area tha, jahan 2 duniya ke bich deevar thi... aur jigashu manushya shakti ki talaash me dhundh chuke the iss viprit duniya ka rasta...


Unhone na sirf rasta dhundha varan wahan apne jivan ko bhi basaya… Wahan ke negative shaktiyon ke bich paida hua aam baccha bhi, mul duniya se kayi guna jyada majboot aur kshmtavan hota tha, jo ki apne vaicharik aur tarkik guno ke aadhar par, wahan bhi achhe aur bure log dono ho sakte the...

Haan par wahan ki prakriti me ulte niyam chalte the, isliye uss jagah par jivan basane ke liye bahut jyada masakkat karni padi thi, lekin jo bhi shakti ki talash me uss Viprit Duniya me pahunche, fir wapas nahi aa paye, kyonki unhe ander jana to pata tha, kintu wahan se bahar nahi nikal paye...


Khud ko sharv'shresth sabit karne ke chakkar me ek aisi duniya me ja base insan, jahan basna hi aprakritik tha. Kabhi apne kshmtaon ke sath ye bahar to nahi nikal paye, lekin Viprit Duniya me rahne wale aprakritik manav, khud ko kuchh jyada hi takatvar banate chale gaye.


Viprit Duniya me koi mul duniya ka insan to nahi aa sakta tha, lekin Viprit Duniya me basne wale insan ki uttpatti pahle mul duniya me hi hui thi... Apne jivan ke shurwaat se hi kuchh log mul duniya ko poora samjhte. Yahin ki duniya se wo poori shakti arjit karte gaye aur fir jab mul duniya ki samast shaktyon ka gyan ho gaya fir wo apni shakti badhane ke liye Viprit Duniya me pahunche the... Isliye Viprit Duniya me rahne walon ke pass, dono takten samahit thi… Mul duniya aur viprit duniya ki takten...


Viprit duniya ki takat, mul duniya ki takton se upar kaise ho gayi, aur ye mul duniya jiska nirman rachayita ne jivan basane ke liye kiya tha, unhe takat ki kya aawasykta thi... Iska jawab to shayad Manav vikas ke kahani me chhipi hai, lekin yahan kis prakar ke vises takat ki baat ho rahi thi aur aisa kya kar gaye the Viparit Duniya ke log, jinki takat mul duniya, jahan wo kabhi paida huye the, uss duniya se bhi atyadhik ho gayi???...


To iska jawab bhi khud prakriti hi hai. Prakriti ne sabhi jivion ko samanya roop se ek jivan chakr me bheja, jo Prakrit ke niyam se bandhe hote the. Har jiv me bhavna dee aur jivan jine ki poori swatantrta... Aur unme jivan banaye rakhne ke liye prakriti ankool mahol bhi sath me deta tha. Ye ankool mahol hi shaktiyan thi... Yahi anookl mahol dene ke liye jo "natural source of energy" hai uski takten asimit hoti hai...


2 alag-alag vatavaran me jine wale logon ki kashmtayen bhi alag-alag hoti hai.. thik ussi prakar un 2 mahol me jivan banaye rakhne ke liye bhi alag-alag tarah ki energy sources hoti hai... Iske alawa kuch shakti jo manav khud ki siddhi se arjit kar sakta hai…


Jaise ki prakriti mul rahasyon ko samajh kar kritim sansadhan ka vikas karna.. jise vigyan kahte hain... Ya fir prakriti me base jivan ko sanjone ke liye ek vatavaran se nikal'kar dusre vatavaran tak jana aur apne mul anuvansik gun me tabdili le aana...


Khair shaktiyon ki uttpatti aur vikas itna bada vishay hai jisme kabhi-kabhi rachayita bhi ulajh kar rah jate hai. Ek hi waqt me kayi source of energy nirantar kaam karte rahti hai... Na sirf brahmand ke alag-alag grah par jivan banaye rakhne ke liye balki un grahon ko apne aksh par ghumne se lekar, barabar aur viprit force ka ek aisa jaal sa buna hota hai ki, har ek grah apne nischit position par hota hai. Wah grah apne dhuri par chakkar kaat'te huye din aur Raat laata hai aur yah bhi jivan banaye rakhne ke sath-sath har grahon ke ander uske jivan banaye rahne me bhi madadgar sabit hoti hai...


Aur issi source of energy par jab kayi grah ghumte huye ek nischit point par aate hain, tab kayi tarah ke energy aapas me aa'kar jud jati hai... Aur ussi energy ke prabhav kayi sare grahon par padta hai... Issi kram me kabhi-kabhi uss energy ki chapet me janm lene wale insan, ya anya jiv ke anuvansik gun me aisa badlav aa jata hai ki wo khud me source of energy kahe jane lagte hain...


Ab aisa nahi hai ki grahon ke nischit point par aane se, urja ke prabhav me jamn lene wale sabhi jiv me yah badlav aata hai. Yah badlav pahle to stahn vises hota hai. Alokik energy ka prabhav jis jagah par parega uss jagah par, uss waqt me janm lene wale jiv. Usme bhi sabhi ke janm lene walon ke upar wo energy apna prabhav nahi chhodti balki manav ya any jiv, iss sansar me khud ko itne majboot bana chuke hote hain ki wo iss pure energy ko apne garv tak me sama sakte the, kewal uss nischit jahah me unhi janm lene walon par prabhavit hoga.…


Isliye kisi nakshtr me kisi shakti ka janm lena, kisi ke high blood hone ki mohtaj nahi hoti, balki garv dharan ki gayi maa ki mehnat aur unke jivan sanjone ki takat par yah nakshtr ya yun kahe source of energy meharbaan hoti hai... Jivan sanjona isliye kyonki jab tak kisi ke jivna ka mol nahi pata ho, yah skatiyan fir unke pass se bhatak jati hai... Kyonki in shaktiyon ka nirman hi jivan ko sanjone ke liye hua hai...


Haalanki yah bhi source of energy ki poorn jaankari nahi hai, aur kewal aise nakshtron me paida liye huye jiv ke pass hi shaktiyan nahi hoti... Balki mansik dhyan ke bal se bhi kayi sari energy ko apni ore aakrashit kiya ja sakta tha… Har jiv brahmand ki bani rachna hai, isliye brahmand ki har energy ko wo apni ore aakarshit kar sakte the aur apni shararik aur mansik urja ki mehnat se un energy ko apne ander samahit kar sakte hain…


Kuchh nakshtriya shaktiyan anuvansik hui to kuchh shaktiyan kewal ek pidhi tak simti rah gayi... Viggo iska ek pratyaksh udharahan hai jiski shaktiyan anuvansik hui aur dobara jab kabhi punah nakshtr ka prabhav para to viggo Sigma ka uday ho gaya... Yahan pahle se anuvansik shaktiyon ke upar kabhi-kabhi dobara nakshtr ka prabhav para tha...


Khair yah kewal anuvansik gun Viggo ke pass hi nahi aaye the... Kayi aise samuday hai jimne nakshtriya shaktiyon ke anuvansik gun paye jate hain… iska ek natija prithvi ka sabse balsali insan Drihsya bhi tha… jiske mata paksh yani ki Drishya ki maa ke puravajon ke pass kuchh shaktiyan rahi thi, jiske anuvansik gun transfer hote rahe... Aur jab uss ki maa ke garv me hi Drish par vaigyanik experiment kiya gaya, tab uske DNA na sirf expreiment ke badlav ko jhel'kar survive kiya balki kritim roop se uski shaktiyan badha di gayi, jabki usse apna itihas ka poorn gyan tak nahi…


Inhi shaktiyon ke uday ka ek prabhav Zoren grah par bhi para tha... Yahan par jo energy ka prabhav para wo apne aap me ek rahasya tha... Kyonki yah prabhav wahan ke atmosphere me hi balav kar gaya tha... Aur iss atmospheric badlav ke sath-sath yahan rahne wale jivon par bhi uska anookool prabhav para tha...


Zoren grah par basne wale 2 samuday shape shifters ho gaye, jinme apni kosikaon ko kisi anya jiv jaisa dhalne ki shakti aayi... Issi ke sath wahan ke Dirdh aayu ke poore prajati ko hi aisi siddhiyan mili thi ki wo roop ke sath sath gun aur bhasha bhi chura sakte the, jise dekh'kar accha se accha sidhh purush na samjh paye ki kaun asli kaun nakli... Siway unke samuday ke aur kuchh aise prabhavshali log jo unke bahrupiye ko pakad sakte the...


Haan isliye shayad Zoren ko shakti ka kendr maana gaya tha, kyonki grahon ka prabhav kisi par kam athva kisi par jyada lekin sab jivon par asar kiya tha. Shayad isliye Zoren ke surakhsa ki jimmedari pidhi dar pidhi Vish-Kritima ne uthayi thi, kyonki yahan se nikli buri shaktiyon ko kabu karna bhi utna hi muskil tha… shyad isliye Surpmarich ke ansh ka base shuru se Zoren grah raha tha…


Waise nakshtr ki shaktiyan arthat kayi grahon ke apni Dhuri par ghumne aur thoda-thoda khisak'kar ek nischit point tak aane se kayi sari postive energy milti hai. Thik ussi prakar, ek lambe awadhi ke baad grah khisakte huye ek dusre ke ulti disha me pahunch jate hain, jahan inhe control karne ke liye ek viprit shkati ka prayog hota hai...


Yahan bhi sabhi grah aapas me hi ek point par mile hote hain aur sabhi energy aapas me mil rahe hote hain. Bus inhi ke bich ek viprit energy in sab par prabhavi hoti hai taki ulti disha me ghum'kar ye sabhi grah apne wapas dhuri tak pahunch jaye..


Nakshtr ke is viprit samagam me bhi shakti ko garv me nihit karne ka niyam wahi hote hai, lekin ye viprit shakti jis grav me samati hai, paida hone walon ki mansikta vikrut hone ke aasar jyada hote hain. Inki skahtiyan bhi samanya nakshtron ke milan wali shaktiyon ki apeksha kayi guna jyada hoti hai...


In viprit shaktiyon ke prabhav se aisa nahi tha ki vikrut jiv paida hota tha, lekin aisi shkatiyon ke sath paida hua insan ya jiv, jab bhatakta tha tab viprit shaktiyon ke gun uske ander apne aap hi samate chale jate hain... Isse kaale shaktiyon ke varis ya upasak kah le to galat nahi hoga, jo apni shakti badhane ke hor me sari haden paar kar dete the...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
कहां रक्तबीज की तरह न खतम वाली सेना और कहां निश्छल और शेरिन जैसे योद्धा ! अस्तक की सेना खतम होने का नाम ही नहीं ले रही है । पर फिर भी बहुत ही जबरदस्त तरीके से दोनों भाई बहन युद्ध कर रहे हैं । एक क्षण में जमीं पर तो दुसरे क्षण आसमां पर । इनकी छद्म युद्ध रणनिती की जितनी भी तारीफ की जाए कम है ।
कभी कभी तो ऐसा लगता है जैसे चक्रव्यूह रचा हुआ हो और दोनों भाई बहन प्रत्येक दरवाजे को अपने कौशल और रणनिती से तोड़े जा रहे हों । अस्तक की सेनाओं का चार , चार या आठ , आठ सर्किल में अपने को संगठित करके युद्ध करना तो यही दिखा रहा है ।

बेहतरीन रणक्षेत्र सजा के रखा है आपने नैन भाई । गाजर मूली की तरह काटी जा रही है अस्तक की अभेद्य सेना । बहुत ही धुआंधार अपडेट । आउटस्टैंडिंग ।
Thankooo soooo muchhh .... Sanju bhai... Waise bhi 4 update par aap comment dete the... 8 update padh'kar 2 comment maar dijiyega :D
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Yaar jaldi vimano se maar do kyo bahubali banane par tule ho ...aur agar wo isi raftar se mare to wo Marne Tak phir se 2000 crore bachche paida Kar lenge isiliye ye karnama chhodo aur koi jugad laga ke ek sath sabhi ko pel do ....
Ham man liye ju log kabhi nhi harne wale hero ho....
:doh: viman dharti par be asar hai na re baba ... Kahe se maar dega... Ulta ye sanyukt fauj hai na re baba... Viman unke pass bji hain... Waise dikh gaya tha ye comment to mujhe bhi laga ohh it's ok sahi bhi hai .. aadmi ki sankhya kan rakhta tab to yuddh khatm ho isliye... Your point well taken :D
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Abhi mujhe ye tukdon tukdon me scene dene me maza na aa raha hai. 2 baat..



1) Screen dekhne me aaj pata na irritate ho raha hun, isliye aaj mobile chhune ka man nahi. Might be halka fever hai ise vajah se ho raha...



2) Mood nahi ab part part me ladai dikhane ka... So kal 4 update aayenge. 4 alag alag page par... Din me hi aa jayega around 12 se 1 pm tak... Taki aap ke pass poora waqt ho itminan se padhne ka.



Uske baad main 1 ya 2 Din ka mobile se break le raha hun. Break to aaj bhi tha. Aur kal bhi rahega. Except kal ke comment reply aur Update posting ke.



So aaj bhar intzar kar len... waise mobile se break unconditional hai. Information accordingly kar dunga, isse jyada serious na le. In case agar availability na hui to advance samjh lene ka..



Thankoooo
Kabhi kabhi kitna bakwas karta hai ye aadmi.. :D .. aisa dobara dekh lijiye to samjh lijiye 4-5 din na dikhne wala hai ye 😂😂😂😂

Janhit me jari
 
Top