Update- 07 (A) (Megha Update)
" to kya kare aab.............ek kaam karte hain..........chalkar dekhtey hain ki ander koi hain kya....................!!!!!!!!!!!" aur moin pareshan sa hota hua apni van se dubara se neechay utarta hain aur saath hi saath jawed bhi utar jata hain........fir wo dono peechay van ke taraf chal padte hain..........jab jawed us van ke darwaze ke paas pahunchta hain wo ek chabi se uski lock ko kholta hua us darwaze ko ek hi jhatkey mein poora khol deta hain aur ander jab un dono ki nazrein padti hain dono ek dusare ka mooh dekhney lag jate hain....................dekhna tha aagey un sab ki zindagi mein kaun sa mod aane wala tha..........
Ab Aage.................................................................
Samney us van ka darwaza khula pada tha...............aur us van ke ander wahi do laashein waisi hi rakhi hui thi............ jaise pehle thi................jawed torch jalata hua idher udher dekhney lagta hain magar usey ander kuch nazar nahin aata..........jaise hi wo torch neechay farsh ki taraf jalata hain ander se ek billi tezi se nikalti hui seedha moin ke upar jhapat padti hain................aur moin ke mooh se ek durr bhari cheekh nikal jati hain.............
moin issey pehle sambhalta wo billi uske nazreion se ojhal ho chuki thi..................wahin jawed moin ko aise dara hua dekhkar uspar zoron se hans padta hain.........
"hahahahahah.................durr gaya fattu................ek billi ko dekhkar................mard banta hain isi pe...........thoo hain tujhpar..............." aur jawed moin ko dhikkarta hua fir uspar hansey lagta hain wahin moin ki bolti band ho jati hain...........sach to ye tha ki is waqt wo kafi dara aur ghabraya hua sa tha............usney bahut kareeb se us billi ki aankh dekhi thi...........jo aam billiyon ke mukabley thodi alag thi...........us billi ki aankhein poori tarah se laal thi............jaise us billi ki aankhon mein khoon utar aaya ho............magar ye nazara jawed nahin dekh paya tha...........
" aaaaaaaahhhhhhhhhhhhh.....................kitna dard ho raha............" aur moin apne hathon ki taraf dekhta hua dard se karaah uthatha hain..............billi ke is tarah achanak jhapatney se uske ek haath par uske panjey aur nakhoonon ke nishaan gad gaye they jiske wajah se uske haath par teen bade bade lakreein ban gayi thi.............jipar se aab khoon nikal raha tha.............
" chal kal ke akhbaar mein nikalwa deta hoon ki mere dost par raat mein.......... ek sunsaan si jagah par...........ek billi ne achanak se humlaa kar diya...........aur usey mere dost ko ghayal kar diya................maza aayega..................ye khabar padhkar logon ko............" aur jawed maze leta hua fir se zoron se hansey lagta hain wahin moin gussey se ander hi ander jawed ko gaaliyaan deta hain magar samney uske kuch kehta aur nahin...........
magar moin ko ye baat samajh mein nahin aa rahi thi ki us cabin mein aakhir billi aayi kahan se...............aur agar aayi bhi to wo insanon jaise darwaze par kaise dastak dene lagi................ye uski samajh mein aabhi bhi nahin aa raha tha..........wo is waqt kafi uljhan mein nazar aa raha tha...........
" tu yahin par ruk.............main aabhi hulka hokar aata hoon................" aur jawed itna kehkar fauran samney ki jhaddiyon ke taraf mootney chal padta hain wahin moin sadak par baitha hua............. apne haathon ko un jakhmon par apne mooh se dekhta hua phoonk raha tha................is tarah phoonkney se usey thodi jalan se rahat mil rahi thi..........
"kkkkkkkkaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr........" ki ek tezz awaaz ke saath achanak fir se jaise sab kuch shant ho jata hain wahin moin apne charon taraf idher udher dekhney lagta hain....................jab wo peechay ki taraf mudata hain to usey us van ke darwaze par ttttthhhhhaaaaaaaakkkkkkkkkkkk......................ttttthhhhhhhhhaaaaaaaaaakkkkkkkkk..........ki awaaz ke saath van ke darwaze khulte aur band hote se nazar aate hain..........magar kamal ki baat to ye thi ki is waqt hawa bilkul bhi nahin chal rahi thi upar se van ka darwaza mote lohe ka bana tha to wo kaise itni aasani se kabhi khul raha tha to...............kabhi band ho raha tha....................ye moin ke samajh mein nahin aa rahi thi..............
ho na ho jawed shayad us darwaze ko lock karna bhool gaya tha................aabhi bhi usmein chabi latak rahi thi.................moin apni jagah se uthatha hain aur fauran us van ke darwaze ke taraf chal padta hain...............jaise hi wo us darwaze par apna haath rakhta hain wo darwaza apni jagah par jaise ruk sa jata hain............aab na hi wo darwaza khul raha tha................ aur na hi band ho raha tha .................aur na hi wahan koi aur hulchal ho rahi thi...........
" kamal hain............bina hawa ke ye darwaza kaise apne aap ye band aur khul raha...........lagta hain aaj kuch zyada ho gayi.........." aur moin jaise hi us darwaze ko band karney jata hain aur jab uski nazar ander ke nazare par padti hain..........uske chehrey par barah baj jate hain.............uske chehrey ka rang achanak se feeka padh jata hain.............kyon ki aabhi thodi der pehle jin laashon ko wo dekh gaya tha aab us van mein ek bhi laashein usey kahin nazar nahin aa rahi thi..............to is tarah se achanak se kahan gayab ho gayi wo do laashein...........
drugs aur heroine ka khyaal aate hi moin ke to jaise haath pawn fool se jate hain..........uske haath pawn durr se sunn ho gaye they..............shareer mein aisa laga ki jaan hi nikal gayi ho..............laashein is tarah se gayab hone se kahin zyada usey un laashon ke ander bhare us maal ki thi jo bazar mein crores ke they.............agar uska maalik ko ye baat pata lagi to uski jaan gayi samjho...........
moin apne khyalon mein gum tha..................uska dhyaan is baat par nahin jaa raha tha ki is tarah se wo do laashein achanak se kahan gayab ho sakti hain.............tabhi uske kandhon par kisi ka haath usey mehsoos hua aur wo apne soch se bahar nikala....................aur jaise hi usney apni gurden peechay ki taraf ghumayi aur jab uski nazar samney ki taraf gayi uski rahi sahi himmat bhi jawab de gayi..............
un do laaashon mein se ek laash chalkar uske samney aa khadi hui thi...................jiski aankhein bilkul kali thi..........aur chehra bilkul bhayanak sa tha..............daanth thode bahar ki taraf nikle they aur mooh se laar tapak rahi thi..............
" tu.......mujhe ...khooj.....raha.....hain.....naaa.........dekh......main ....tere.....samney....aaa...gaya....mujhe......to....dekhkar.....tujhe.........khus ....hona .......chahiye.......tha.......naa........." aur wo laash achanak se bol pada................wahin moin ki to jaise hawa nikal padi...............uske mooh se jaise jubaan hi band ho gayi ho.............wo wahan se girte padte bhagney laga.................
idher jaise hi jawed hulka hua aur apne pent ki chain band karney laga tabhi uske kandhey par kisi ne apna haath rakha.............jaise hi wo peechay muda dusari laash theek uske peechay khadi thi...................usi rang roop mein.......usi andaaz mein............wahin jawd ki bhi futt ke haath mein aa gayi..........
"kkkaaaaauuuuuuuunnnnnnnnnn hoooo tummmmmmmmmmmmmm........" aur jawed durr se peechay ki tarah bhaga aur ladkhadatey hue achanak se gir pada............wahin wo laash uski baateion ko sunkar zoron se thahaka markar hansey laga..........
" tu.......mujhe......bhool....gaya........gaur....se ....dekh...........agar.........aab........bhi...... nahin.........pehchana.........to.......aab ........pehchaan........lega............."aur tabhi ek side mein ek hulki si roshani hui aur ek saaya jawed ko fir nazar aane laga................wo saaya aur koi nahin balki wahi ladki thi jo rooh bankar wahan us jagah par bhatak rahi thi.............
jaise hi jawed ki nazar us saaye par padi uske pawn tale jameen khisak gayi..............usey to ek pal yakeen nahin ho raha tha ki jo uski aankhein dekh rahi hain kya wo.......haqeeqat hain................ya fir koi sapna..............
" saaaaakksssshhhhi.....................tttttuuuummmmmmmmmmmm............" aur javed ki jubaan jaise ladkhada si gayi..........wahin wo saaya jaise gussey se dahek uthi..........
" sakshi nahin................apni maut bula mujhe.................chaal bhag.............jitna bhaag sakta hain tu yahan se..............aaj main bhi dekhti hoon ki tujhe kaun bachaha hain....................." aur jawed jaise taise girte padte wahan se bhagney lagta hain wahin wo do laashein dono ka peecha karney lagti hain............thode der baad wo saaya bhi gayab ho jati hain.................idher ek taraf moin apni jaan bachata hua bhaag raha tha.................wahin dusari taraf jawed............
Continue..........................................................
bure log sochte hai ki wo jo bure kaam kar rahe hai, agar police ke hathe na chadhe to saza bhi nahi milegi....
Lekin wo kehte hai manushya ko apne apne karmo ka phal ishi jindagi mein bhugatna padta hai... achha karo to achha aur bura karo to bura....
Jindagi bhar jo paap aur bure kaam kiye un dono jawed aur moin ne, aaj unka bhi waqt aa gaya hai, aaj ye dono bhi apne bure karmo ka phal ye dono bhugatne wale hai..
Wo ruh jiska naam sakshi hai wo chahti to ek hi jhatke mein maar sakti thi par wo dara dara ke, tadpa tadpa ke maarna chaahti hai un dono ko.... I think sakshi ke sath kuch to kiya hoga jawed ne isliye wo aise bol rahi thi...
well jo bhi ho ye dono giyo.. lasho ka shaudagar aaj khud lash banne wale hai..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills Ajay sahab
