- 2,753
- 9,227
- 159
Update- 08 (A) (Megha Update)
" beta avni......................tujhe hua kya.............kya tujhe fir se wahin sapna aaya................." aur uski maa ne bade pyaar se apni beti ke sir par apne hathon se dulartey hue ussey poocha ....................wahin uski masoom si beti bina kuch kahe ek baar fir apne maa ke seenay se lag gayi aur fir foot foot kar dubara se roo padi..................wahin uski maa usey aise hi apne seenay se lagaye rahi.................shayad..........wo apni beti ko auron se kahin zyada strong banana chahti thi..........magar niyati ko shayad kuch aur hi manzoor tha....................
Ab Aage.........................................................................
Avni......................umra 20 saal.........................khoobsurat aur jawan dil ki ladki....................jo humesha idher udher ghumti rehti aur sabke beech hansti khilkhilati...........aur humesha shararat karti.............ek chanchal swabhaav ki ladki................magar beetey kuch dinon se uske chehrey par hansi jaise gayab ho gayi thi aur uski jagah jaise udaasi ne gher liya tha..............wajah tha uska wo sapna.............jisey wo aaye din humesha apne khawabon mein aksar dekha karti thi...............aur wo sapna usey bahut pareshan karta tha......................aur jisey wo chaah kar bhi bhoola nahin pati thi...................
" maa........................main sach kehti hoon ...........mujhpar yakeen karo..............kyon aapko meri baateion par yakeen nahin hota.............kya main aapse jhoot bolungi............bolo naa............." aur avni apne sir par dono haath rakhti hui................apne chehrey par apne dono haathon ko le jati hain aur apne aankhon mein aaye aansoon ko poochney lagti hain...............aab bhi uske chehrey par khauff saaf nazar aa raha tha..............jisey samney baithi uski maa bade gaur se dekh rahi thi................
" main janti hoon meri baachi ki tu jhoot nahin bol rahi..............magar jo tu keh rahi ............kya teri in baateion par koi yakeen bhi karega...........nahin naa.............." aur uski maa bade pyaar se avni ke sir par apne hathon ko ferti hui dheere se bol padti hain............magar avni aaj kuch zyada hi bechain thi apne sapnon ko lekar..........wo aaj kahan itni aasani se mananey wali thi............
" maa..............aap chahe mujhpar yakeen karo ya na karo............magar ye sach hain ki didi har roz mere sapnon mein aati hain...............humesha wahin safed si suit pehney hue.................wo samney wahin usi jagah par khadi hokar bus mujhe niharti rehti hain............magar wo mujhse kuch kehti kyon nahin.............kya wo mujhse naraaz hain..............kuch der tak wo waise hi chup chaap se khadi rehti hain fir achahank se kahin gayab ho jati hain..........ye mera bhram nahin ho sakta maa...............ye mera bhram nahin ho sakta..............." aur avni ki aankhon mein fir se aansoon ki dhara foot padti hain wahin uski maa bus taktaki lagaye apne beti ko niharey jaa rahi thi...............usey lab bhale hi khamosh they magar dil mein jaise toofan sa utha tha...............bhale hi wo kuch nahin bol rahi thi magar uski aankhon mein aansoon ye bata rahe they ki uske dil mein zakhm kitna gehra hain..............
" maa.................jis din wo mujhse aakhri bar mili tha us din bhi didi ne wahin safed rang ka suit pehna hua tha..................mujhe aachey se yaad hain us din unka janamdin bhi tha aur wo us din poorey 26 saal ki ho gayi thi.............aur dekhon na maa............unke janamdin par hi didi...............aur aap kehti ho ki ye mera bhram hain...........baar baar ek hi sapna kya kabhi iteefaq ho sakta hain........nahin naa.......................mujhe kahin na kahin aisa lagta hain ki didi ke saath zaroor koi bahut bura haadsa hua hain...................unhein jaan se mara gaya hain.............na ki unka accident hua tha...................wo to mehaz ek jhooti kahani banayi gayi thi ki sakshi didi ka car accident mein unki maut ho gayi thi............." aur aavni ek hi saans mein apne dil ki sari baatein apni maa ke samney bolti chali jati hain wahin uski maa ke aankhon mein ek baar fir se aanson chalak padte hain........wo kya samjhati apne beti ko...............aaj uske paas kehney ke liye ek shabdh nahin bache they...........
kavita......................umra 55 sal...............halanki aab uske sir ke bal safed ho chuke they magar wo aab tak apni badi beti sakshi ko bhool nahin payi thi..............reh rehkar ek teesh uske munn mein baar baar uthathi jo uske dil ke zakhmon ko fir se hara kar deti............aur aankhon mein chupe un samundar ko fir usey sambhalna utna hi muskhil ho jata jitna wo kadwa saachayi ko maan lena...............ki aab uski phool jais baachi is duniya mein nahin hain...........ye har ek maa ke liye bahut badi peeda hoti hain jisey wo kabhi maananey ko taiyaar nahin ho sakti.........
apni maa ke aankhon mein aansoon dekhkar avni bhi dard se tadap uthathi hain aur apne maa ke seenay se lagkar aise hi gumsum si..............ek dusare ko santwanan dete hain ki.............jo beet gaya shayad wo guzara hu ek bhayanak kal tha.............. jo aab kabhi laut ka aa nahin sakta.............magar wo guzara hua kal unhein wo zakhm bhi de gaya tha jo kabhi aab bhaar bhi nahin sakta tha............khaas kar ek maa ke liye jo kabhi apne baachon ko apne se bichadney se hi kanp jati hain to..............unse aise door jane ki sochkar to kavita ki kya halat hogi iska aap andaza laga hi sakte hain.........
**************************************************************************
udher police station mein..................
" sir..................ye rahi us marney wali ki file report................" aur bahadur apne haathon mein thami us file ko vinod ke haathon mein deta hua dheere se bol padta hain..........wahin bahadur thoda pareshan sa nazar aa raha tha jo vinod ke nazreion se shayad nahin chupa tha...............
" kya baat hain barkhurdaar.................kuch hua kya..................kya kaal raat tumhari biwi ne tumhein khana nahin diya...........ya fir usney kal mara..................agar aisi koi baat hain to iam sorry............main ismein tumhari kuch madad nahin kar sakta.........ye tumhara personal problem hain..........." aur vinod cigar ki ek kaash leta hua bahadur ki taraf dekhkar dheere se muskura padta hain wahin bahadur apne sir ki topi ko utartey hue apni gurden dheere se neechay ki taraf jhuka leta hain............
" sir...................aisi koi baat nahin hain...................baat koi aur hain............jisey sukar aapke hosh udd jayengey..................." aur bahadur fir dheere se bol padta hain wahin vinod apni jagah se khada hota hain aur idher udher fir tehalney lagta hain..........
" kya baat hain bahadur.................kaho to sahi............." aur vinod bade gaur se bahadur ke chehrey ki taraf dekhta hua bol padta hain wahin bahadur aagey kehna shuru karta hain.......
" sir kal raat fir se usi jagah par do aur haadsey hue...............aur dono ki maut is baar bahut hi buri tarike se hui..............unke jism mein lakdi ke aar paar ho jane se..............aur inki maut bhi sabse alag hain............humesha ki tarah................sabse hatkar.................aur.............mauke vardaat par wahan do aur laashein bhi mili hain.............aur unki pet mein drugs ,charas, heroine ,bhi kafi matra mein mila hain...............kahin kahin sadkon par bhi drugs bikhra pada tha...............jinemein se ek laash ki pet pehle se fati hui thi...............aur uske pet ke ander kafi marta mein drugs charas aur heroine tha................aur dusare ke pet mein drugs bharkar usey sila gaya tha.............jo humein wahan se mila..............ye rahi un sab ki tasveerein......................" aur bahadur us files ke saath saath kai aur tasveerein vinod aur rajesh ko dikhata chala jata hain wahin vinod ke mooh mein rakha cigar uske mooh se neechaay gir padta hain.....
" what nonsense......................ye tum kya keh rahe ho bahadur.................." aur vinod apni jagah se aise uchal padta hain jaise kisi ne usey jism mein 440 volt ka current chuwa diya ho...........aankhein uski hairat se fati hui thi........wo ek ek tasveerion ko bade gaur se dekhey jaa raha tha.............
" bahadur................ye case jitna seedha dikhta hain utna ye hain nahin................. ye case bahar se jitna seedha hain ye ander se utna kahin zyada peechida aur tedha hain...........aab tak to humne is case ki shuruwaat to ki hain magar ismein ek bhi kadi humare haath nahin lagi..........na kaatil ka koi suraag............aur na koi clue.............upar se aaye din murder ho rahe.............." aur fir vinod us file ke pannon ko bhi kholkar padhney lagta hain................(jo sunsaan sadak par sabsse pehle ek akele insaan ki maut hui thi.............update 01 )
" i see........................to iska naam abdul hain..............aur iski maut us din iske dil ke kale ho jane se hui.............iam right............yani lakwey se...........sab kuch ek stupid sa lagta hain magar sabse pehle is abdul ki history nikalwawo..........ki ye kaha rehta hain.................aur ye kaam kya karta tha.............aur us raat ye itni raat gaye kahan se akele aa raha tha...............fir jitni bhi mautein ho rahi un sab ki details ek ek kar nikalwawo...............ki marney walon mein se kisi ka koi aapas mein connection hain ki nahin................aur hain to kya..................aur kal ke hue un haadson se ye to clear ho gaya ki is sehar mein thoda bahut nahin balki bahut bada ghotala chal raha hain..................yahan par laashon ki hera pheri ho rahi hain.........aur un laashon ke zariye ek sehar se dusare sehar drugs bhi supply kiya jaa raha hain..................wo bhi ambulance ke zariye...............
to mera shaq sahi nikala....................wo kamina ram singh mujhe na jane kyon shuru se hi sahi aadmi nahin laga...................uski baateion se aisa laga ki wo mujhse kuch chupa raha hain.............ek kaam karo...........ek aadmi ko uske peechay laga do.............wo kahan jata hain................kissey milta hain .........sab kuch ki pal pal ki khabar mujhe honi chahiye...........mujhe yakeen hain humein kuch na kuch clue to milega hi............
aur dekha jaye to wahan hue vaardaton ki do hi wajah ho sakti hain...................pehli ki koi opposition wali party jaan gayi hogi to dushmani ke chalte usney un do aadmiyon ko jaan se maar dala hoga.................taki unka badla poora ho jaye aur unka maal pakda jaye jissey unka raasta bhi saaf ho jayega................." aur vinod thode der khamosh rehta hain wahin rajesh taktaki lagaye vinod ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain........
" aur dusari wajah kya ho sakti hain sir.............." aur rajesh vinod ki taraf dekhta hua fir dheere se bol padta hain...........wahin vinod aagey kehna shuru karta hain......
" dusari wajah koi to hain is sehar mein aisa jo ye maut ka khel khel raha...............jisey apne marney ki parwaah bilkul nahin hain............wo usi jungle ki aad lekar ye sab kaam kar raha...........agar ye kisi dark energy ka kaam hota to tum hi kaho ki sabki maut ek jaise kyon nahin hoti....................sabki maut alag alag tarike se fir kyon ho rahi...............rajesh...........tum pehle ye abdul naam ke marney wale ka poora detail nikalo................aur main chalta hoon us kamine ram singh se zara nibatney.......................fir dekhtey hain aagey humein kya karna hain................sala case itna pechida ho gaya hain ki samajh mein nahin aa raha ki shuruwaat kahan se kare..........." aur vinod is bar pareshan hota hua bol padta hain wahin wo fauran bahadur ko apne saath lekar ram singh se milne postmortem house ki taraf chal padta hain.....
**************************************************************
thode der baad vinod usi postmortem room ke samney khada tha..............wahin ram singh ki jab nazrein uspar padti hain uske chehrey ka rang jaise feeka padh jata hain..............wo apni jagah se fauran khada hota hain wahin vinod ek cigar apne mooh mein jalata hua..........aur ghadha gadha apne mooh se dhuwaan ram singh ke chehrey par chodhney lagta hain..........aur bade gaur se ram singh ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain...........mano wo uske chehrey ko padhney ki koshish kar raha ho.............
" mujhe yahan par achanak aise dekhkar tumhein zaroor thodi bahut hairani to ho hi rahi hogi .................maine theek kaha na barkhurdaar...............waise zyada hairnan hone ki zaroorat nahin hain.................tum bhi aachey se jante ho ki main yahan kyon aur kis silsile mein aaya hoon...............aacha hoga ki main tumse bekar mein koi behas karun.................tum seedhey seedhay ye bata do ki tum kaam kiske liye karte ho................warna mujhe ungli tedhi karni bhi aati hain..........." aur vinod jaise ram singh ko dhamki bhare andaaz mein bol padta hain wahin ram singh apni gurden neechay jhukaye bus aise hi chup chaap se khada rehta hain.......shayad uske paas vinod ke sawalon ka jawab nahin tha...............ya fir wo uske in sawalon ka jawab dena nahin chahta tha..............
" chup kyon ho barkhurdaar..............kya mooh mein jubaan nahin hain...........ya un logon ne paison se tumhara mooh band kar rakha hain............baat yehi hain.........hain na................open the door...............now............." aur is baar vinod gussey se ram singh par chilla padta hain wahin ram singh vinod ki awaaz sunkaar durkar kaanp sa jata hain...........
wo fauran apne pent ke jab se chabi ka ek gucchaa nikalta hain aur us darwaze ka lock fir kholney lagta hain...............wahin vinod aur bahadur bade gaur se usey hi dekhey jaa rahe they............
" waise mahine mein tum kitni kama lete ho barkhurdaar...................dus hazaar..............bees hazaar...........kya tumhare imaan ki yehi bus keemat hain.........cheee..... cheeee...........sharam aani chahiye tumhein............." aur vinod fir gussey se ram singh par chilla padta hain wahin ram singh apni nazrein neechay jhukaye us kamrey ka darwaza kholta hain aur fir dono ander us bade se room mein chale jate hain..................jab vinod ki nazrein samney bed par dher sari laashon par jab padti hain to samney ke do bed par usey do laashein gayab milti hain................uska shaq sahi tha...................ye wahi do laashein thi jo yahan se kal raat gayab hui thi................
Continue..................................................................