• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,426 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.4%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,720

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,325
110,295
259

ravikumar1

New Member
25
80
13
bhai slogan ko kisi ne phone per bataya tha ki jab bhi kuch hone wala hota hai to veer wahan aa jata hai aur jab slogan mara tha tab ek ladki ko wahan per raghu ne dekha tha to iske bare me aage pata chalega kya aur pranjal ne jis ladki ka naam liya tha madhuri tab pari ne kaha tha it might be her . jis ladki ko veer ne apna blazer diya tha uska naam bhi madhuri tha to shyad wo hi pranjal wali ladki ho shayad aage ke updates me pata chale. waise story bahut acchi hai jab sari baatein detail me likhi jati hain to padhne me maja bhi aata hai story ka pace bhi bahut accha hai na jayda fast na hi bahut slow great work
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,325
110,295
259
bhai slogan ko kisi ne phone per bataya tha ki jab bhi kuch hone wala hota hai to veer wahan aa jata hai aur jab slogan mara tha tab ek ladki ko wahan per raghu ne dekha tha to iske bare me aage pata chalega kya
Pahaad waali ladki ka raaz jald hi khulne waala hai. :declare:
pranjal ne jis ladki ka naam liya tha madhuri tab pari ne kaha tha it might be her . jis ladki ko veer ne apna blazer diya tha uska naam bhi madhuri tha to shyad wo hi pranjal wali ladki ho
Yes! Wahi thi. Tabhi toh Pari ne kaha tha. It might be her.
waise story bahut acchi hai jab sari baatein detail me likhi jati hain to padhne me maja bhi aata hai story ka pace bhi bahut accha hai na jayda fast na hi bahut slow great work
Pace abhi contest ke kaaran slow ho gaya thoda. Kyuki uske liye bhi mene story likhi na. Par hum waapas se apne schedule me aa jayenge ab. Thanks a lot. Keep supporting. ✨
 
70
76
18
अभी तक मैंने जितनी भी कहानियाँ पढ़ी हैँ वो चाहे जिस फोरम में हो उनमे से मुझे ये कहानी सबसे बढ़िया लगी ।
भाई आपकी willing poewr op लेवल की है ।
कभी कभी तो आप कहानी को उस मोड़ पे ले जाते है की ..........अब क्या ही कहे ।
अभी लास्ट के जो आपके अपडेट आये थे तब मेरे एग्जाम चल रहे थे but अपडेट्स की इत्ती ज्यादा curiosity थी की एग्जाम के एक घंटे पहले चेक कर लेते थे की शयद अब आ गयी हो अपडेट्स । 🥲
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,325
110,295
259
अभी तक मैंने जितनी भी कहानियाँ पढ़ी हैँ वो चाहे जिस फोरम में हो उनमे से मुझे ये कहानी सबसे बढ़िया लगी ।
भाई आपकी willing poewr op लेवल की है ।
कभी कभी तो आप कहानी को उस मोड़ पे ले जाते है की ..........अब क्या ही कहे ।
अभी लास्ट के जो आपके अपडेट आये थे तब मेरे एग्जाम चल रहे थे but अपडेट्स की इत्ती ज्यादा curiosity थी की एग्जाम के एक घंटे पहले चेक कर लेते थे की शयद अब आ गयी हो अपडेट्स । 🥲
Exams dhyaan se do bhai. Updates yahi rahenge. Kahi jayenge nahi. :D
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,325
110,295
259
Update 135 ~ Speak to me!

Ab tak...

“Rango ka mishran hai crimson.
Khoon ka rang hai crimson.
Mujhse kismat bhi haarti hai sweetie,
Kyuki mein hi hu Crimson!!”

Ladki (smiles) : Ab aage?

Crimson (smiles) : Aage kya ab sweetie. Mera shikaar… Aa chuka hai.


Ab aage...

Charles de gaulle Airport
Paris, France.


Raat 12:30 ke aas-paas ka samay tha. Veer apni destination par pohuch chuka tha. City of love ~ Paris. France ki iss adhbhut city me uske aane ki ekmaatr wajah uske bagal se chal rahi ye khubsoorat haseena thi.

Ava!!!

Message Ava ka hi aaya tha usse. Veer ko yaha aata dekh Ava khud bhi hairat me thi. Usse nahi laga tha ki Veer uske ek bulaave par aa jayega.

Veer : Toh? Kuch explain karengi aap?

Usne Ava ke bagal se chalte hue pucha. Airport ekdum khaali tha isliye Ava chehre par mask nahi lagaayi thi. Warna media ki bharmaar ho jaati.

Par Ava toh jaise abhi bolne ke mood me hi nahi thi. Woh tezz qadmo ke saath aage badhte jaa rahi thi. Usse khamosh dekh Veer ne dobaara prashn nahi kiya.

Baahar nikal Ava ne Veer ko apni luxury car me bithaaya aur khud driver seat par baith gayi.

Dono jald hi waha se nikle aur kuch hi derr me woh ab ek prakaar ke kisi set ke baahar the.

‘Hmm? Film set?’

[No Master! Ava actress nahi hai. Singer hai. Ho sakta hai ye video shoot ke liye set ho.]

Pari ki baat se Veer sehmat tha. Ava ko dekh ke lagta nahi ki woh acting profession me abhi qadam rakhne waali thi.

Ava : Come!

Usne ishaara kar car se utar Veer ko bulaaya. Veer uske peeche peeche chal diya.

Jald hi woh dono ek vanity van ke paas pohuche toh wahi khada ek guard aage badh unke paas aaya,

Guard : Miss? He is-!?

Ava : He’s my guest. He will be staying with me.

Guard : But Miss it’s against the-

Ava (glares) : I told you right? HE IS STAYING WITH ME! Any questions?

Guard : N-No-!

Guard agle hi pal sarr jhuka ke side ho gaya. Vanity van ka gate khol Ava andar ghusi aur Veer ko aane ko boli. Andar jaate jaate Veer ne dekha ki woh guard kaise gusse se usse ghoor raha tha.

Ghoore bhi kyu na? Ava jaisi god-level celebrity kisi mard ko apne aas-paas bhatakne tak nahi deti thi. Aur abhi woh Veer, ek jawan ladke ko apne saath vanity van ke andar le jaa rahi thi?

Kaise yakeen kar le woh? Aur ye privacy rules ke bhi against tha. Par Vanity van Ava ki hi thi. Sab kuch yaha jo ho raha tha woh uski mukhya paatr thi. Guard chaah ke bhi iss maamle me apni taang nahi ada saka.

Woh chaahta toh abhi ek pic leke news viral kar deta. Ava ko fir iska saamna karna padta. Lekin aise me guard ki apni naukri hi chali jaati. Behtar tha shaant raha jaaye.

*Click*

Gate band hua aur andar aate hi Ava ne ek raahat ki saans lete hue apna handbag sofe par patak diya.

Andar ghuste hi Veer sabse pehle toh taajub ho utha. Ye vanity van thi?


R

‘Such luxury!!’

[I agree!]

Agar ye ayyaashi nahi thi toh kya thi?

Ava ne jaise uske khayaal padh liye. Woh sofe par baithate hue muskura ke usse dekhi,

Ava : Do you like it?

Veer : Like it? I love it! Aisi van me insaan 24 ghante reh jaaye. Baahar hi na nikle. Van nahi, ye chalta firta mini ghar hai.

Veer ki utsukta dekh woh khush thi. Par agle hi shan uske hontho se muskaan gaayab ho gayi aur chehre par maayusi chhaa gayi. Woh khidki se baahar dekhte hue boli.

Ava : Sirf chand lamho ki khushi rehti hai Veer!

Veer shaant baithe Ava ke haav bhaav dekhta raha. Uske liye ye sab paisa, ayyaashi nayi thi. Parantu, yahi baat Ava, Kaera, Sonia, Suhana jaisi ladkiyo par laagu nahi hoti thi.

Unke liye jaise ye aam zindagi thi. Aisi zindagi jisme zyada koi excitement nahi tha.

Veer : Well? Kya keemat hogi iski lagbhag? You have any idea?

Ava : Agar tumhare Rupee me convert kare toh around 25 crores.

Keemat sunn Veer ne apni collor adjust ki aur niwala nigla.

Ava : I have a few more.

Veer : A-A few more-!?

Ava : How about this? Agar tum meri help karte ho. Toh mein tumhe ye ek gift kar dungi. Of course, ye extra gift rahega.

Koi bhi agar Veer ki jagah hota toh ye offer ek baar me sweekar kar leta. Payment ki payment toh mil hi rahi thi, saath me 25 crore ki ek vanity van?

Bhala aisa offer kaise thukraya jaa sakta hai?

Par Veer muskuraaya aur usne apna sarr naa me hilaaya.

Veer : Offer accha hai Miss Ava.

Ava (frowns) : It's Nat! Not Ava!

Veer : Hmm! Toh Miss Nat, offer waqai accha hai. But sorry!

Ava : Huh?

Veer : Mein ye van khud khareedunga apni. I don't need it as a gift.

Woh ab khud kama raha tha. Usse ab iss tarah se kisi se cheezein lene ki zaroorat nahi thi. Agar usse van pasand thi toh woh khud apne paiso se usse le lega ek din.

Ava : O-Ohh!? Matlab tum meri help ke liye ready ho?

Veer (smiles) : Of course! Itna lamba safar kar ke mein bhala yaha tak kyu aaunga nahi toh!?

Ava : Right!

Veer : But first…! You'll have to answer some of my questions.

Ava (nods) : Go on!

Veer : Why me?

Ava : Huh?

Veer : Mein hi kyu? Tamaam log hai jo aapki madad kar sakte hai fir aapne mujh jaise ek college student ko kyu choose kiya?

Ava (sighs) : It's because I have no one else.

Veer : Hmm?

Ava : Mene Divya ko call kiya tha. Socha tha last time ki tarah wo meri help kar degi. But wo last case ko hi lekar busy hai.

Veer : I see!

Ava : Fir mujhe tumhara dhyaan aaya. Mujhe pata tha ki last case ko tumne hi solve kiya tha. Divya se mene Pitcher, Nightwalker jaise high-level criminals ke baare me jaan liya tha.

Veer : Ohh?

Ava : Hmm! Mujhe laga ki agar tum unhe solve kar sakte ho. Then surely tum meri help kar paoge.

Veer (smiles) : Par aapko nahi lagta ki aap mujh jaise ek student ko bula ke yaha uski jaan khatre me daal rahi ho? Hmm?

Veer ki baat par iss baar Ava chinta me aa gayi aur nazre churaane lagi,

Ava : I- I know! I know it's risky. Lekin mein tumhari safety ka poora dhyaan rakhungi. Mene bodyguards ko hire kiya yai. Security hire ki hai. Wo tumhare saath me rahenge. Tumhaare orders maanenge.

Veer : Ohh!

Ava : Yes! Tumhe bas…! Usse pakadna hai jo mere peeche pada hai. I believe tum ye kar sakte ho. Vegas me tumne ye kiya tha. You are my last hope!

Veer ne dekha kaise hamesha attitude me rehne waali ye singer aaj kitni chinta me thi. Ava ko usne iss tarah pehle kabhi nahi dekha tha. Uska confidence hamesha sky-high rehta tha.

Lekin aaj woh ghabrayi hui thi.

Veer : Police kyu nahi?

Ava : Tum iska answer jaate ho Veer!

Veer ne ek gehri saans lii. Woh waqai jaanta tha. Akhiri baar bhi Ava ne uss waqt Police ko involve karne se mana kiya tha.

Police ka involvement matlab case public hona. Na sirf fir ye khabar media me felti, balki reporters rai ka pahaad bana ke iski galat afwaah bhi felaane lagte. Jiske chalte Ava ki image media par bigadne lagti.

Ye qadam uske badhte fame par keechad uchhaal jaata.

Veer : Toh security aur bodyguards ka kya? Kya wo aapki madad nahi kar paaye?

Ava : Agar wo successful ho gaye hote toh mein tumhe yaha kyu bulaati Veer?

Veer : I see!

Ava : Mere upar attack hua tha.

Veer : What?

Ava (nods) : Koi hai jo mujhe kidnap karna chahta hai. Uska iraada kidnap karna hai ya mujhe maarna, ye mein abhi nahi jaanti.

Veer : No no! Wait! Kya kaha? Kidnapping? Aap itni surety se kaise keh sakti ho?

Ava : Because I was attacked Veer. Fortunately, mein security ki help se bach nikli. Isliye uske turant baad mene tumse request karna theek samjha.

Veer : That's…!

Ava : Isliye wo baahar guard tumhe dekh ke itna alert ho gaya tha. I'm sorry. Uski taraf se-

Veer : No no! It's alright. Mujhe kaafi kuch clear ho gaya hai.

Ava : Hmm!

Veer : Wese aap toh Vegas me thi na? Aapki mom?

Ava : Unhe mene yahi shift kar diya hai. Unhe mein akela kaise chorr sakti hu. Paris me mera tour lamba hai. Ye bahar laga set dekh rahe ho?

Veer : Yeah!

Ava : Kal mere new music video ki last shooting hai yaha.

Veer : Wow! Congrats I guess!?

Ava (smiles) : Thank you!

Veer : Kaafi busy schedule hai.

Ava : Yes! Uske baad mera night me yaha concert bhi hai.

Veer : Well that's good!

Ava : T-Toh!? Tumhara answer? You're helping me right?

Veer kuch shan tak shaant raha. Fir Ava ko dekh bola,

Veer : Fine! I agree!

Veer ki haami sunte hi Ava ki khushi ka thikana na raha. Uske chehre par raahat saaf jhalak rahi thi.

Laga jaise kayi raato se wo bechain thi aur aaj kisi ne uski orr madad ka haath badha diya ho.

Ava : Thank you! Charlotte ki tarah mein bhi kisi ka shikaar nahi hona chaahti. I'll be in your care then.

Charlotte ka naam sunn ke Veer ko yaad aaya. Ye toh wahi young talented singer thi jo Pitcher ki Mithridatism practice ki ek shikaar ho gayi thi. Ava ki dost thi woh.

Bechaari zeher ke zariye maari gayi thi. Veer dekh paa raha tha ki Ava iss maamle ko leke bohut hi bhay me thi.

Maamla kaafi pechida tha matlab.

Veer yaha jaan boojh ke aaya tha. Anjaan shaks se ladne ke liye usse sabse zyada points ki zaroorat thi. Aur iss se behtar opportunity kya ho sakti thi uske liye?

Usse umeed thi ki jald hi usse missions milenge aur unke zariye woh points bhi ikhatta kar payega. Kyuki haal hi me usne 5000 points gawaaye the.

Woh apni jagah se utha aur usne saamne rakhe jug se paani glass me nikaal ke Ava ki orr badhaaya.

Par Ava apni nazre ferr chinta me doob gayi.

[Iss Ice princess ke dil me jagah banaane ke liye aapko mehnat karni hogi. Her favourability towards you is only 32.]

Veer ne bura nahi maana. Usne glass saamne table pe rakha aur mud ke woh baahar jaane laga.

Ava : Where are you going?

Veer : I have a duty now. Duty to protect you. Yayi bahar hi rahunga. Hope aap mere samaan ka khayal rakhengi.

Apna suitcase wahi chorr usne darwaza khola.

Ava : Y-Yes sure! But tum thake hue hoge aur-

Par Veer uski baat sunn'ne ke liye ruka hi nahi.

*Thud*

Darwaza band kar woh baahar chala gaya.

Ava andar baithi ek soch me pad gayi. Aur saamne glass ko dekhti rahi.

***

Idhar baahar aate hi Veer ne guard ko bataya ki woh bhi ek bodyguard ki hi tarah hai, toh guard bhi thoda ab uske prati narm ho gaya.

'Pari! Mere stats dikhao.'

[Ye rahe Master.]

*Ding*


IMG-20230221-193641

Veer ke saamne uske stats aa gaye.

'Hmm! Aur mere paas points kitne hai?'

[Aapke paas 15,692 points baaki hai Master.]

'Hmm!'

[Well! Pehle 19,692 points the. Fir aapne woh skill purchase kii toh aapke 5000 points deduct ho gaye. Fir Ragini Bhabhi ke saath elope karne ke aapko 1000 points aur mile.]

'I see! Aur stat ke ek point ko badhaane ke liye mujhe-'

[50 points Master. 1 point badhaane ke liye aapko 50 invest karne honge.]

'Tch! System mujhe loot raha hai sach me.'

[Aage ye aur mehnga ho jayega. It's better to invest beforehand.]

'Tum sahi ho Pari. Miss Ava ki situation ke hisaab se, Strength, Intelligence pe mujhe focus karna chahiye. Right?'

[Basically, abhi appearance ko chodh ke aap saare stats me invest kar sakte ho. Also, Master…!]

'Hmm?'

[Ab aapko ek Advanced Martial Arts skill le leni chahiye. Usse perfection par laane ke liye bhi aapko time lagega. Iss se better time nahi ho sakta.]

'Right! Please! Purchase it for me Pari.'

[At you service Master.]

*Ding*

[Advanced Martial Arts skill is available now.]

[8000 points have been deducted.]

[You are now left with 7692 Points.]

'Dil me dard ho raha hai points ko jaate dekh. Kitni mehnat se mene ye collect kiye the Pari.'

[Ye Gold-tier skill hai Master. Pehle waali Silver-tier thi. Mehngi toh hogi hi.]

'Gold-tier ke baad bhi koi tier hai?'

[Yes! Diamond-tier.]

'Tab toh mujhe Diamond-tier skill purchase karni chahiye thi na?'

[No Master! They are trash!]

'What????'

[No! I mean-! Listen! Aap wese bhi directly Diamond-tier skill nahi le sakte. Aapko pehle ye Gold-tier skill ko seekhna hoga.]

'Woh mein samjha. Lekin tumne trash kyu kaha? Gold-tier se behtar Diamond-tier hai toh woh trash kaise ho sakti hai?'

[Skill kharab nahi hai Master. Mere kehne ka matlab tha ki uspe points waste karna bewakoofi hai. Woh bohut zyada mehangi hoti hai.]

'Well~'

[Listen! Mein aapko ek hack batati hu.]

'Huh?'

[Diamond-tier skill se better Legendary Skills hoti hai. Seer vision aur Sylvia's Venom cure yaad hai na aapko?]

'Mujhe yaad hai. Unke baare me kaise bhul sakta hu.'

[Woh dono Legendary Skills thi. Diamond-tier skills ke upar hoti hai ye. Par ye mission ke through hi milti hai. Toh mera kehna ye hai ki jab best cheez available hai. Toh uss se neeche ki cheez kyu le hum?]

Veer muskuraaya.

'Samajh gaya meri Pari. Samajh gaya! Gold-tier skills utni costly nahi hoti isliye unpe kharcha karna sahi hai. Par Diamond-tier expensive hoti hai aur unpe kharcha karna efficient nahi hai. Iss se accha hai ki seedhe fir Legendary skills ko hi target kiya jaaye. Yahi na?'

[Exactly Master! See? Aap kitni jaldi samajh gaye.]

'Ab stats ko bhi dekh le zara hum?'

[Kyu nahi! Kahiye! Kispe invest karna hai?]

'Strength ko 120 se 140 pe kardo Pari.'

*Ding*

[1000 points have been deducted.]

[You are now left with 6692 Points.]

'Intelligence ko 130 se 150 pe kardo.'

*Ding*

[1000 points have been deducted.]

[You are now left with 5692 points.]

'Ye mehngayi!!'

[Anything else?]

'Endurance aur Agility. Dono ko 120 se 140 pe kardo.'

*Ding*

[2000 points have been deducted.]

[All done Master. Ye rahe aapke new stats.]


IMG-20230221-205153

Veer results se khush tha. Par bache hue points uske dil par chot kar rahe the.

'I hope mujhe yaha kam se kam enough missions mil jaaye.'

***

Raat guzri aur naya din hua. Aaj Ava ka yaha par akhiri shoot tha.

Veer subaah se hi uske ird-gird ghoomta raha.

Logo ko usne check kiya, par kahi koi gadbad dikhayi na di usse.

Iss waqt bhi woh dur khada hua tha.

Clapperboard waale ne board clap kiya, aur shooting shuru ho gayi.

Alag alag angles se shoot ko record kiya jaa raha tha. Veer Ava ke dance steps dekh uski sundarta me khoya hua tha.

Soch raha tha ki inn teeno dosto me, bhala inki kya alag kahani rahi hogi?

Inhone bhi kitne kasht sahe honge. Pita ka saath nahi raha. Maa jeevit hote hue bhi coma me hai.

Puraane dosto se berr ho gayi hai. Kisi se koi touch na raha.

Ab jab woh Ava ki sthiti ko gaur kar raha tha toh usse andaaza hua ki bechari Ava toh aur bhi zyada sehen kar rahi thi.

Woh akeli thi.

Kaera ke liye kam se kam uska chhota bhai, Raghu, Jassi, Julia aur Kishor toh the. Bhale hi Kishor ka ek bohut bada haath tha Kaera ke emotions jaane me.

Par kam se kam woh apni beti ki hifaazat toh kiye hue tha.

Sonia ke paas Suhana jaisi behan thi, ameer maa-baap aur Prakash Uncle jaise loyal supporters.

Par Ava ke paas? Uske ird-gird toh koi bhi nahi tha. Woh poori tarah se akeli thi.

Ye security, ye bodyguards par woh bharosa kaise kar sakti thi.

Akele hi usne itna paisa aur itna fame banaaya. Kitni mehnat lagi hogi usse ye sab akele khada karne me.

Sabse badi baat thi ki usne abhi tak himmat nahi haari thi. Ab bhi woh apni maa ko apne saath leke chal rahi thi.

Shoot khatam hote hi Ava ek chair par baith gayi. Raat me hi uska concert bhi tha. Schedule itna tight tha ki usse saans lene tak ki fursat nahi mil rahi thi.

Baithate hi uski nazre Veer ko dhundhne lagi. Veer kahi nazar nahi aa raha tha. Ek bechaini uske seene me janm li,

Par tabhi uski nazar dur khade ek ladke par padi.

Veer ne usse dekh ek nod di. Aur agle hi pal Ava ke hontho par ek raahat ki muskaan saj gayi.


Naber-Bebi

Woh yahi tha!

[She's strong like you.]

Pari ki awaaz idhar Veer ke mann me aayi.

'I agree Pari! Miss Ava ki willpower behad strong hai.'

*Ding*

[Ava's favourability : 34]

'Ohh?'

[Mujhe laga aapko dikha du. Kya ice break ho rahi hai? Hmm?]

Veer bas muskuraaya.

'Mein bas teeno ko ek saath firse hassi khushi dekhna chaahta hu.'

Pari achanak hi maun reh gayi. Kuch derr baad woh boli,

[You are such a kind soul Master.]

Ava ka kaam khatam hote hi, woh set ke bagal se maujood hotel me upri floor par apne kamre me change karne chali gayi.

Abhi uska ek interview tha. Jo T.V par broadcast kiya jaane waala tha.

Veer uski vyastata dekh ke hi hairaan tha.

Ava ne usse free chodha hua tha toh woh hotel ko bhi bareeki se check kar raha tha. Filhaal koi gadbad nahi thi.

Woh abhi corridor me khada hi tha jab Ava usse aati hui nazar aayi.


Pehle toh usse dekh muskuraayi.

513047cf-26c6-4641-b5e2-16844f196588

Par fir uske bagal se usse hawa ki tarah ignore kar yu nikal gayi.

Hande-Er-el-GIF-Hande-Er-el-Discover-Share-GIFs-1

'Huh?'

Veer uski iss harqat ke baare me sochta ki tabhi usne dekha,

Dur jaati Ava lift ke saamne ruki aur usse dekh punaah muskuraayi.

Aur sharaarti dhang se usse haatho ki gun dikhaate hue uspe goli chalaayi.


Hande-Er-el-GIF

Khil-khila ke fir woh lift me chali gayi.

Idhar Veer uski iss harqat se stabdh reh gaya.

'Mujhe laga tha unhone mujhe ignore kar diya.'

[She was toying with you.]

'Kam se kam unke hontho pe pal bhar ke liye muskaan toh aayi. Dekh ke accha laga ki woh mere saath playful hai Pari.'

[Yes! Aap usse safe feel karwa rahe ho. Toh zaahir hai woh dheere dheere khulti jayegi.]

'Hmm!'

***


Night ~ 8:09 PM

Samay guzra aur Ava apne iss interview se bhi fursat ho chuki thi.

Woh Veer pe bharosa rakhi hui thi.

Uska concert shuru hone waala tha. In fact, shuru ho chuka tha parantu, woh 9 minute late thi.

Fatafat make-up artists dwaara woh taiyaar hui aur stage par chali gayi.

Itni bhaari tadaad me janta waha thi, jo shor macha macha ke Natalia ka naam chillaa rahi thi.

Log posters liye usse cheenkh cheenkh ke support kar rahe the.

"Natalia~ Natalia~ Natalia~"

"We love youuuu Natttt~"

"You're the bessstttt Natalia~"

Tamaam awaazo dwaara venue bheed se khacha-khach bhara hua tha.

VIP seats ke paas hi Veer maujood tha. Ek baar fir aaj woh Ava ka fame dekh hairat me reh gaya.

Ye kamaaya tha Ava ne. Akele!

Woh khud waha baith ke uski sureeli awaaz sunn'na chaahta tha. Par aisa karne ke liye uske paas waqt nahi tha.

'Pichli baar Divya aur Miss Suhana bhi thi. I really miss them. Na jaane kya kar rahi hongi woh dono.'

Veer ko woh raat yaad aa gayi jab woh unn dono ke sang pehli baar Ava ke concert aaya hua tha. Ussi raat ko usne Zoey ko bhi alvida kaha tha. Nightwalker mansion me Emma ke sang wahi toh dusri female survivor thi.

'Na jaane woh bhi kaha hogi. Did she make it?'

[Mujhe yakeen hai woh jald hi ek model banegi Master.]

'Hmm!'

Idhar stage pe Ava ne apne hazaaro fans ko dekh ek gehri saans lii. Shor apne aap hi fir shaant ho gaya.

Log uski mantra-mugdh kar dene waali awaaz sunn'ne ke liye bekaraar the.

Ava ke peeche kuch supporting singers bhi the jo uske gaaye jaane waale kuch hisso ko dohraane ke liye khade hue the.

Aur fir usne apni awaaz ka jaadu shuru kiya,


Thinkin' through on my way (my wayyy)
Never ever will concede right now (yeah)
Breakin' through from my chains (my chains)
Always thought, gonna succeed right now (yeah)

I'll be okayyy, that's what you said,
And I just blinked it like twice and you be gone!

Ridin' through waves, withering days,
Please make it happen to my place, I don't know what to say.


Speak to me!
Your body lying there.

Speak to me!

I don't know what to say.

Speak to me.
Your body lying there.

Speak to me!!!

Gaane ke bol sunte hi logo ki aankhein paani paani ho chali.

Janta, khaas kar ladkiya emotional ho uthi. Ava ki khud ki aankho se aasu beh rahe the. Woh apna poora shat pratishat de rahi thi. Doob chuki thi gaane me.

Aisa lag raha tha woh yaha ab hai hi nahi. Kisi aur realm me jaa chuki hai.

Janta ye samajh rahi thi ki Ava apne secret boyfriend ke liye ye emotional gaana gaa rahi thi.

Par Veer jaanta tha.

Uski bauhe peeda ke maare sikudi hui thi. Muh adh-khula tha.

Ye kaisa dard ho raha tha usse apne seene me Ava ko iss qadar dekh?

Woh chinta me usse dekh raha tha.

Jaanta tha ye gaana kiske liye tha.

Uski maa Grace Martin ke liye. Gaane ke shabd keh rahe the ki mujhse baatein karo. Tumhara shareer yu hi pada hua hai. Mujhse baatein karo.

Ye uski guhaar thi. Ki uski maa coma se uthe aur uss se baatein kare. Woh gaa ke bata rahi thi ki usne kin musibato ka saamna kiya hai uske hosh me na rehne se.

Veer apni nigaahein bhaari janta par firaa raha tha. Aur harr guzarte pal uske seene me ye dard badhta hi jaa raha tha.

Yaha khade ek ko bhi ye andaaza nahi tha ki ye gaana kiske liye tha. Sab apni mann-ghadan baatein hi maan rahe the.

Lekin woh jaanta tha. Jaanta tha ki Ava kitni peeda me thi iss waqt. Woh aasu uski maa ke liye the.

Veer ne apni mutthi kassi. Usne thaan liya tha ki kaise bhi kar ke woh Ava ko iss mushqil se nijaat dilayega.

Par woh ussi sheher me ho rahi baaki gatividhiyo se anjaan tha.

***


Park de Belleville
Night ~ 8:48 PM


Kuch kilometres ki hi duri par iss raat park ki ek lohe ki bench par do log baithe hue the.

Ek kaala aadmi jo suit pehna hua tha. Aur ek japani ladki jo ek business outfit me thi.

Dono ek dusre ko nahi dekh rahe the par baat ek dusre se hi kar rahe the.

Woh dono hi French the. France ki naagrikta praapt thi unhe. Aur french bhaasha me hi vartalaap kar rahe the.

"Terashima!!!" Aadmi ne kehna shuru kiya. "Hume aaj se hi active hona hai na?"

Terashima : Mene tumhe kitni baar kaha hai Chris. Dheeme bola karo. Aur mera naam Hana hai. Terashima mera surname hai.

Chris : Toh kya hua? Japanese me surnames se hi toh pehle bulaya jaata hai na? Mein toh tumhara hi culture follow kar raha hu.

Terashima: You-!! Forget it. Let's talk about the important matter.

Chris : Tumne sawaal ka jawaab nahi diya. Hume aaj se hi active hona hai na?

Terashima : Hmm! Par asli game hone ki expectations tum kal se hi rakho. But advanced me alert rehna bhi zaroori hai.

Chris : Hmm! Toh abhi?

Terashima : Abhi hume sirf orders follow karne hai. Then we'll act according to the situation.

Chris : Fine by me! I can't wait.

Terashima : Keep your composure. Ye important hone waala hai.

Chris : Yes! Yes!

***


American Hospital of Paris~
Night ~ 10:07 PM


maxresdefault-1

Sheher ek hi tha. Magar alag alag jagaho par alag alag ghatnaaye janm le rahi thi.

Hospital ki iss ek upri floor par khidki ke bagal se ek patient apne compartment me bistar par laiti hui thi.

Uski aankhein band thi. Chehre par koi bhaav nahi.

Uske shareer se judi kayi machines nirantar kaam kar rahi thi. Na jaane kab se woh iss avastha me padi hui thi.

Deen-duniya ki khabro se vanchit thi woh.

Parantu,

Woh bhale hi shaant mudra me laiti ho. Par uske aas paas sab kuch shaant nahi tha.

Hospital ke saamne waali hi building ke ek floor par ek aadmi smoke kar raha tha.

Uss building se hospital me laiti uss patient ko dekha jaa sakta tha.

Woh dheere dheere aage chal ke khidki ke paas aaya.


268949408987274736-GIF

Aur…!

'I have found you…! Grace Martin!!!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Yes! The song lyrics are written by me again. Ava ke do songs ki jhalak dekh li humne. Update consists of around 4k words. Kahani wapas se schedule par aa gayi hai apne. Toh apna apna kaam karke jaane ka. Likes thokne ka aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad! ✨
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,325
110,295
259
Super update bhai

Again as expected amazing update bro.

To finally veer nikal gaya he apni journey par paris crimson festival shuru hogya he,

But sawaal buhat sare he veer ava (Natalia) ke pass kyu gaya he kiya veer ko jo msg aya tha wo Natalia ka hi tha,
Kiya Natalia ka crimson festival se koi connection he,
Bhavana ko veer pe shaq he ke wo business ke liye nhi gaya he,
Veer ne profit path ka use karna bhi shuru kar diya he,
Ragini ke reaction bhi bhavana note kar rahi he dekha jaye to bhavana khud mysteries se bhari hui he usko smjhna bhi mushkil he,
Bhumika ne veer ko 1 bhariya idea diya he hotel ka maybe is se veer ko apne business me help mile gi,
Maybe next update me pata chale ke veer Natalia ke pass kiya kar raha he aur main villain ke bare me bhi hume aage jake kuch pata chale,

Zabardast update tha bhai dil khush hogya aur ab aap wapis flow me wapis bhi aage ho update dene me,

Lot's of love for your writing skills bro.

Extraordinary update sir g

To kyaa system wala Banda yahi hai or Ava ne veer ko kyun bulaya hai fir se kuch questions rah gye

awesome update bro & kaera ka kiya hua vo update adhura reh gaya

Mast update h bhai...🔥🔥🔥🔥🔥

Nice update

Jabardast update bhai 👏👏👏😊🥰

Zabardast update janab

Super bro

Khi wo sath wali ladki ava to nahi mujhe to lagta he veer ko buland me mistry man ka hath he ava kisi tara ise judi he

Nice update bro

Sander update ragini ek bhi moka nahi chuk rahi sab bate karte rah jate ye apana kam kar jati aur bhavana ne veer ki chori pakda li lekin boli kuch nahi
Bhavana ko pata chala ke parivaar pe koi khatra he

So it begins.

Once again veer is going for a trip tbh never thought Ava (Natalia) would text him and that too "need you" maybe next part me clear ho jaye.
But ngl it's pretty hard to digest Ava would text him sirf do baar hi to mile hai dono vo bhi Max ek hour hi hoga! Maybe she is in danger?

It's good to see shweta and veer are getting close especially the way veer response to her i think it's first time veer being kind to her and she deserves that

I was bit right about bhumika it was business related lol fir bhi ye ni janti thi ki vo hotel hi offer kr degi😅
But her idea of using hotel name on food truck is pretty great 👍
I think we are seeing the true nature of bhumika now cos phele to vo shweta ki shadow me chupi rahti thi.
And the way she want to cheer up tej shows her kind and caring heart.

So veer is in Paris still no confirmation on kaera's mission.

And someone else is in Paris THE MAN which really gives a creepy wibes.

One especially mention of bhavna
A mother always knew when his kid is lying ❤️

Really amazing update as always 👍

Bhumika ne achha Dicision liye he jis me wo veer ke karib bhi ho jayegi aur hotal ke chalte profit achha hoga sathe me hotal jayada popular hoga

Wese kaera ke mison ka kuch pata na chal wo message kaera to nahi tha asa lagata heto kya kaera ke mison ka time badha he kya

Staring paragraphs are very soothing very emotional. Family ka pyar parwah kise pasand nhi.
Lekin last me msg ka raaj khulna bahut surprising tha. Maine eva ko bilkul expect nhi kia tha. That was a big surprise.
Ab aate h last paragraph pe. To crimson arc asli me abhi suru hone wala h. Aur abhi ke circumstances ko dekh ke ek confusion v ho gya h ki eva sach me khatre me h ya vo villen crimson ke sath jo unknown ladki h, kahi vo ladki hi eva to nhi? Kuch kha nhi ja sakta 50-50 chances h kuch v ho sakta h aur aap to vikhyat hi h unexpected krne ke lie😅.
Mja aaya update pdh ke.

Superb, fabulous update 😍😍

Awesome fantastic update 🤩🤩🤩

Superb bhai

Behad sandar update bhai lagta he jabardast action dekhne ko milega


Bahut khoob...

Awsome bhai

now adventure begins

Super fantastic update bro 💗💗

Good update, aagy action bhi start hony wala or lagta hay abb Nataliya ki opening bhi ho jani ;)

Nice update bhai

Jabardast update bhaiya

Bahut hi badhiya update diya hai Werewolf bhai....
Nice and awesome update....

Awesomee Updateee

Nice update

To Crimson festival ki shuruaat ho chuki hai dekhte hain veer kya kar pata hai....
Is aadami ki Baton se Yahi lagta hai ki ismein hi veer ko message kiya tha paris aane ke liye..
Per nataliya Ka Veer ko Airport se receive karna Kahani Ko alag Disha mein bhi le ja raha hai Shayad nataliya bhi is crimson festival se Judi Hui Na Ho......
Shnadar update bhai..

अब जो होगा वो कमाल ही होगा।

वीर के संग ओर वीर के द्वारा भी धमाल ही होगा


जाना ये है नताशा को क्यो टारगेट किया जा रहा है। और अब वीर सीधे उसके बुलाने से कैसे आया

Awesome update

Super awesome update luvd it

Bahut hi shandaar update hai bhai maza aa gaya

Nice update

Hmm to din ki shuruat parking ke sath veer ke liye coman hai na jane kitne mission ko usne bahar hi anjaam diya hai
And now ab wo paris main hai

Ragini bbechari har baar uske sath yahi hota hai par veer wo humesha use mana leta hai is baar bhi mana hi lega or in dono ka short sex accha tha

Kisi ne sach hi kaha hai aap chahe kisi ko bhi chutiya banalo but apni maa se jooth bolna bekar hai kyu ki aap unse hote hai aapse wo nahi or bhavna ne to 9 mahine veer ko apne pet main pala hai wo kese nahi samajh

Well wolfi brother kya hume aisa kuch dekhne ko milega is arc main ki veer ghayal ho or bhavna ko bechaini ho or bhavna ka veer keliye jarurat se jyada fikra mand hona shweta se bhi jyada

Or bhai no dobut shweta ko veer ke sath pyaar dikhao but bhavna ka bhi barabar ka haq hai to kuch secne uske bhi dalo Jese veer ka apni mom ke sath time spend parna apni mom ke sath sona jarurat pade to wo karna jo raat ko shweta veerke sath karti hai it's humble request brother wo secne bahut accha jayega samjho na bro

Or veer wakai sahi derection main hai business ke kyu ki profit path humne dekha jisme 4 alag chize hai hai jiski inshan ko jarurat hoti hai food, perfume, pharma, and clothes ye saari chize veer ko raato raat Arab patients bana sakti hai

Or veer ek dum sahi raste pe ja raha hai but but but abhi usn sab ka wqat nahi hai kyu festival ki shuruat ek bhayanak mout se ho chuki hai or crimson ek sanki lagta hai bhai kya crimson naam ke is darinde ka HOK gang se koi connection hai kyu ki ye crimson to unke jese to theek but unse bhi sanki or pagal lagta hai iske pass system ka hona aise hai jese bander ke hath main talvaar

Lagta hai is arc main veer ka or crimson ka kaafi khoon bahega or bhai kya veer or crimson sirf final bettel main hi rubru honge ya final bettel se pehle bhi hume crimson or veer apas main bhidte dikgenge

Or bhai yaha ava ka hone se kuchh or question bhi samne aate hai kya suhana, sonia, ava, and keara bhi crimson se connected hai bhai jese jese update aate hai dimaag ghumta hai Thriller next leval hota hai or exaitment to pucho hi mat

Well outstanding update bhai

Dekhte hai kya hota hai

Jabardast update

Now veer will hunt the hunter...
Let's begin the hunt

Beautiful update bhai kya yahi task hain Crimson...

Superb update

Nice update...

Zabardast update bhai

Waiting for update 135 😜😜😜

जब मैंने ASAP का message पढ़ा था तब मुझे लगा था की ये message पक्का foreign से आया होगा क्योंकि इस अपडेट से crimson festival शुरू होना था और crimson festival के india में शुरू होने के कम chance थे

लेकिन मुझे लगा था ये message Suhana या divya के ओर से होगा, एक बार सोनिया और kaira भी लगी थी लेकिन ava का खयाल एक बार भी नहीं आया, जबकि ये इतना मुश्किल भी नहीं था, ये arc Trinity पर focussed रहेगा तो it's obvious की ava तो आनी ही थी, so 10/10 suspence creation के लिए

सोनाली का मुंहफट और बेबाक अंदाज सबको पसंद आ रहा है लेकिन देखना होगा की जब उसे सच्चाई पता चलेगी की उसका खानदान वीर का slave है तो क्या उसका behavior ऐसा ही रहेगा या फिर बदलेगा

लेकिन ये देख कर खुशी है की कम से कम सोनाली को इस बात का अहसास है की आज उसका परिवार इतना सुख चैन से जीवन जी रहा है,उसे पढ़ने को मिल रहा है तो उसका इकलौता कारण वीर है वरना वो तो शायद बेच दी गई होती, यही कारण की वीर से इतना गुस्सा होने के बाद भी उसकी कोई बात नही काटती है

Food truck Buisness को manage करना सच में उसके लिए दिक्कत होता होगा आखिर गांव की लड़की को अचानक ही इतना बड़ा भार दे देंगे तो दिक्कत तो होगी ही,
वीर यदि ट्रक पर आधे घंटे को भी आता तो उसे बहुत हेल्प हो जाती, but ठीक है धीरे धीरे tacle कर लेगी

मुझे लगा था इस अपडेट में राज खुलेगा की वीर ने 5000 खर्च करके कौन सी skill खरीदी है, लेकिन अब लग रहा वो उसी वक्त पता चलेगा जब उसका use करेगा,

इसके पीछे के 2 update kaira से releted थे तो मैं उत्सुक था की kaira के reaction का कुछ glimpse देखने को मिलेगा लेकिन ऐसा नहीं हुआ, i hope आगे एक अपडेट ऐसा होगा जिसमें सब कुछ होगा।
जिसमें kaira का reaction भी होगा, उस डायरी में क्या था, सुहाना प्रकाश से kaira से related बात जान कर चौंक क्यों गई थी और बाकी बातें भी

सब वीर को allure करने के लिए कुछ न कुछ करते रहते है लेकिन भावना ऐसा कुछ भी नही करती और फिर भी एक ही पल में दिखा देती है की वो वीर की असली मां है सगी मां, भावना को तुरंत समझ में आ गया की वीर झूठ बोल कर गया है
और मैंने observe किया है
वीर सबसे आसानी से झूठ बोल लेता है लेकिन जैसे ही भावना कुछ पूछती हैं वीर सही से झूठ नही बोल पाता और बोल भी देता है तो ऐसे बोलता है की भावना तुरंत समझ जाती है की वीर ने झूठ बोला है

वीर ने भावना को एक्सवेशन के लिए जाने से क्यों रोका है, मुझे लगा वीर बस अपनी मां को दुलार दिखा रहा था की वो नही चाहता की उसकी मां उस से दूर जाए, क्योंकि भावना को अब किस से खतरा हो सकता है
और काला धागा शायद नजर से बचाने के लिए होगा

वैसे मां वाली हरकते भावना से ज्यादा तेजल करती है(सवाल पे सवाल)

Supply के लिए जो 3 लोग थे जिनमें 1 question mark था, kaira, शैली के साथ जो तीसरा शक्स होगा वो शायद तमन्ना है, ऐसा मुझे लगता है हो सकता किसी नए की भी entry हो जाए

Ava ने बुलाया है वीर को, obvious सी बात है की कोई खतरा होगा तभी बुलाया है emergency में, लेकिन वो लड़का जिस से वो बस 2 बार मिली है जिसे वो ठीक से जानती भी नहीं है अचानक उसे ही क्यों बुलाया, वो चाहती तो दिव्या से मदद ले सकती थी या हो सकता है दिव्या ने ही वीर से मदद मांगने को कहा हो क्योंकि वो सुहाना के साथ busy होगी, i hope इस राज से पर्दा उठेगा की वीर को ही क्यों बुलाया??

Kaira का mission जल्दी ही पूरा होना चाहिए क्योंकि जिस हिसाब से festival की तैयारी unknown guy ने की है वीर को खूब सारे points की जरूरत पड़ेगी।

एक चीज और जो मैंने observe की है जैसे ही Famiglia Arc से related चीज़े आती है ज्यादातर readers को पसंद आती है, क्या करे indians को सास बहू वाले drame बहुत पसंद आते है।

वैसे मेरे एक प्रश्न का उत्तर दीजिए,
Kaira और ava में ज्यादा खूबसूरत कौन है?

लगता है revos कुछ ज्यादा लंबा हो गया
Last अपडेट पर review नहीं दिया इसीलिए दोनो अपडेट पर के एक साथ देने का सोचा था so इसके लिए sorry रहेगा

एक बहुत उम्दा और अच्छा अपडेट
And as always waiting for next update ❣️❣️

Nice behtarin mast awesome update bro

Agla update bhi padh liya hai. Aatish, Slogan, Nightwalker ke baad ab ek aur villain aa gaya, Crimson. Iske review thodi der me deta hoon.

Paris tour bhi kaafi dangerous hone wala hai .. jo msg aaya tha woh idhar se aaya tha. And Ava ne bulaya hai par mystery man bhi idhar hai to kuch planing ke sath veer ko yaha bulaya gaya hai. Veer ko marenge to nahi agar marna hota to kab ka mar chuka hota.. uske pass bhi system hai or veer se jyada power full bhi to jaroor kuch kam hoga jo veer se karvana chahta ho shayad iss liye bulaya ho..

Khair veer Paris pahoch gaya hai or Ava lene airport par aayi hue hai.

jane se pehle veer ne business ko aage badhane ke liye apne family member ko jodd liya hai or unhe kam sop diya hai. Bhumika ka idea bhi Shandar hai.

wahi bhavna ko to pata hai ki veer juth bol kar jaa raha hai.. bhavna bhi mystery se bhari padi hai.. bhavna ko samajna bhi muskil hai..

Awesome update bhai.

In sab ko padh ker lagta hai ki 'Seer Vision' use ker ke Veer sham tak behosh raha aur uske baad 3 din tak wo diary padhta raha. Seer Vision ek tarah se Veer ko Kaera ki memory dikha hi nahi rahi thi, balki usko weh feel bhi kara raha tha aur sath hi sath unko refresh bhi ker raha tha jisase baad me diary padh ker Kaera bhi apni memory hi nahi, balki apne us samay ke emotions ko dobara ji gayi thi. Shayad yehi emotion shock tha.

Tej aur Bhumika se duriyan teji se kam ho rahi hain. Pehle part me khubi se dikhaya hai ki ab Veer ki family kitni sunder ho gayi hai, sabko uski chinta hai.

Kya khoob likha hai, maa to maa hi hoti hai, bacche ki ek-ek nas janti hai, chahe weh bachpan se usase dur hi rahi ho.

Ye least expected tha. Ab dekhna yeh hai ki kya weh bhi Veer ko fasane ke plan me shamil hai ya nahi. Mere khyal se nahi hai. Weh is hinsak duniya se nikalne ki koshish me hai.

Aatish ke mouthorgan ki yaad aa gayi.

Iska matlab ye log cruise per hi nahi, island per bhi hain. Veer ko bach ker rehna padega. Anyways, thrill and chase have started.

Brilliant update


Outstanding nd amazing 🤩😍❤️

Zabardast update bhai. Crimson Festival start ho gaya hain aur jaisa naam hai waisa hi shuruwaat hui hain. I think veer ki journey ka ab Tak ka sabse khatarnak mode hain yah aur dekhna zabardast hoga ki veer is se kaisay nikalta hain.

Ohhh bc...maa chod di crimson ne🤯.. So basically ye bnda khud hi crimson h or isi ke naam se hi Syd ye crimson arc h👀
.. Wahh bc, shi h bhai😏....well guys ab sbi apni apni kursiyon ki peti bandh lo kyuki actions ka roller-coaster suru ho gya h🥴, wo system wala bnda laut aya h ya yu kahe uski mrzi se veer ko khub-ba-khud uske pas ana pda😵.. Mza aane wala h....and one more thing veer sbko kaafi shi tarah se smja kr aa gya but akhir ye baat b uski maa ne pkd hi li k wo kuch to chhupa kr ja ra h...kya dimag h bhai bhavna ka.. Such a intelligent woman she's is😌!!!.. After all akhir maa kiski h😎...khair jo b hoga manzure 'warewolf' hi hoga🤣😁🤭...bTw eagerly waiting for the next update bro🙄... Much love ❤️💯🙏

Zabardast update


Nice update

Fabulous update

bro aapka jaisa koi dusra nahi ho sakta.... u are unique

MA samajh gyi! akhir kyo na samajhti MA hai vo!

Usne jaan liya ki uska beta jaha ja rha hai Vo jagah khatro se bhari hui hai, sath hi veer ne unke prasn ka Uttar bhi nhi diya jisse unka sak or bhi jyada badh gya hai...

Veer ka apni ma ko yah kahna ki jb tk vo vapas nhi aa jata tb tk Aap Kahi mat jaiyega bahar, veer ke love ko darsata hai, jaha sweta ko yah sab mahsus karne ke liye opportunity gane karni padti hai vhi bhavna ji ko aisa kuchh bhi karne ki jarurt nhi hai vo apne kuchh prasno ke jariye hi apni care love show karva deti hai veer ko...

Bhumika Di jhijhak rhi thi veer ke gale lagne ke liye pr veer ne unhe khud se hath faila kr bula liya, jaha Teju Di ne ek pyari si kissi 😘 bhi le li Uski gale lagte huye...

Ragini bhabhi ke sawal vo tadap or haav bhav bhavna ji ne khub acche se dekhe, Suman ji ne bhabhi ko quick milan karne me madad ki Jabki bhabhi ko pta hi nhi hai ki koi uske liye bahar pahredari karne me lga hai...

Bhabhi ka reaction dekhne layak tha jb veer ke muh se kisi aisi mahila ka naam suna Jise vo nhi janti thi, vo to Suman ne (🤔 Sayad sweta) baat samhal li...

To veer ne apna profit path bta diya hai Ghar me ki Vo kya soch rha hai or Usne logo ko baat diya ki kiske sath karna hai... Vo segment bhi Jabardast tha bhaya...

To us din kaera ke muh se Crimson Red naam aapne aise hi nhi bulvaya tha, Aap hint de rhe the apne villan ka, sath hi is festival ke sabdo ko bhi kisi ne real mtlb nhi nikala, Jaisa ki Apne idhar sayri me btaya to, crimson festival mtlb ek banda Jo khud ko Crimson kahta hai vo apne cruse me ek party rakhta hai jaha pr log apni dark fantasy pura karne aate hai,

Asal me Crimson Arc Jo hai vo House Of The Killers Arc ka bada bhai hai, use knowledge Bahut hai experience Bahut hai Apne Chhote Bhai se (HOTKA se)

Ava ko akhir kyo jarurat pad gyi veer ki Jo use msg karke bulva liya, kahi vo fir se to nhi fas gyi is Crimson ke changul me...

Vo iland kyA us crimson ka hai jidhar se fire huye the vo patakhe barood.

Ava ke sath aaya hai veer pr kya veer ne apne sath aaye passengers ko check bhi nhi kiya, ya Mumbai (veer Mumbai me hi rahta hai na :hmm2: Ya fir Delhi me) ke airport me, kyoki us Crimson ko kaise pta chla ki veer pahuch gya hai sahar me...

:slap:Sala mai gadha hu dimag se nikal jata hai baar baar, us Crimson ke pass to system hai or sayad uske pass bhi mission aaya hoga, Jisne update kr diya hoga veer ki location ka...

Vaise mujhe puchhna tha ki jb host ki maut ho jati hai to kya uska system bhi dismantal ho jata hai ya vo kisi or host ko search krta hai, kya aisa bhi ho sakta hai ki host khud apne system ko kisi dusre person ko de sakta hai...

Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing update with awesome writing skills bhai :applause: :applause:

Bhumika ka veer ko suggest karna ki vo apne food truck me ek line likhva le hotel ka Jise vo veer ke naam karna chah rhi hai, sath hi uska yah tark ki mera hotel mere truck or mera business kahna sahi nhi hoga, Balki uski jagah hamara business hamara hotel hamare truck kahna jyada uchit hoga...

Veer ko yah tark Bahut pasand aaya hai truck ke upar naam likhvana vala...

Superb bhai...

Mind-blowing update Bhai ☺️😊

Nice update bhaii bhit Awla Maza Aya gya par Kar ab new update Ka intazar ha

Yaar yeh itna add kyu AA raha hai

Sandar jabardast jindabad gazab ka update bhai waah:budhabudhi::itsme2:

Ha yahi hai...

Werewolf 🐺 🐺 🐺 🐺
मित्र तो क्रीमसन आर्क शुरू हो गया 😇 😇 🤔 🤔 धमाकेदार शार्क 🦈 के साथ ava के साथ पेरिस मे वीर... प्रॉफिट पथ भी शुरू, सभी स्त्रियों के मन को शांति व उत्तेजना देने के लिए वीर की मनमोहकता , रागिनी की तो 🐺 🐺.. बहुत ही रोमांचक रहा है रोमांस से परिपूर्ण रहे हैं 😍 ❤️ ❤️
इन्तेज़ार है 😍 🤔


SUPERB AWESOME FANTASTIC EXCELLENT MIND BLOWING AND INTERESTING UPDATE BHAI

SHAANDAAR JABARDUST FABULOUS EXCELLENT MARVELLOUS LOVELY 🌹 🌹 🌹 🌹 AND INTERESTING UPDATE BHAI

JABARDUST MIND BLOWING EXCELLENT MARVELLOUS LOVELY AND INTERESTING UPDATE BHAI

Superb update bro...
Waiting for next

Superb update

नेक्स्ट का इंताजर

Nice question xabhi bro👍

" लाली मेरे लाल की , जित देखो तित लाल।
लाली देखन मै गई , मै भी हो गई लाल।। "

वैसे इस दोहे का अर्थ कुछ और ही है पर इस ' क्रिमसन फेस्टिवल ' एपिसोड को देखकर सबकुछ लाल , खून के रंग की तरह लाल फील करने का जी चाह रहा है।

भगवान बचाए इस वाहियात फैंटेसी से और इस निकृष्ट फैटिश से ! रक्त रंजित और लहुलुहान लोगो को देखकर चरम आनंद प्राप्त करने वाले लोग असलियत मे इंसान ही नही होते। ये लोग या तो हैवान होते है या कोई साइको।
गवर्नमेंट को एलान कर देना चाहिए कि ऐसे लोग जहां भी देखे जाए , डायरेक्ट शूट कर दिए जाए।

वैसे क्रिमसन एपिसोड लाॅस बेगास घटना की ही पुनरावृति लग रहा है। और इस निकृष्ट खेल का प्रमुख कर्ता शायद वही शख्स होना चाहिए जिसने खुद को भी सिस्टम से लैस बताया था।

नतालिया मैडम कैसे इन के चंगुल मे फस गई ? और वो अमेरिका छोड़कर फ्रांस मे क्या करने आ गई ?
मुझे तो ऐसा ही लग रहा है कि वो इसी क्रूज मे मौजूद है और शायद वीर की आमद भी यहीं होने वाली है।

इसके पहले इंडिया मे वीर ने अपने व्यापार का दायरा बढ़ाने के लिए एग्रीकल्चर सेक्टर मे जाने का विचार अपने फैमिली के समक्ष रखा और रागिनी भाभी , तेजल और आरोही को इस क्षेत्र पर फोकस करने के लिए तैयार किया।
ऐसा नही है कि एग्रीकल्चर सेक्टर मे अधिक पैसा नही है लेकिन अधिक पैसा सिर्फ वो ही कमा पाते है जिनके पास बहुत अधिक जमीन है। और सिचाई की उत्तम व्यवस्था है।
पंजाब और हरियाणा मे बहुत किसान मिल जायेंगे जो प्योर करोड़पति है।
जिनके पास कम जमीन है , वो बड़ी मुश्किल से गुजर बसर कर पाते है।
मै तेजल को खासतौर पर कहना चाहूंगा कि वो जैविक कृषि पर अपना ध्यान केंद्रित करे।
वैसे तो एग्रीकल्चर सेक्टर महिलाओ के लिए बहुत ही बड़ी और कठीन चुनौती है।

भूमिका ने ' फुड ट्रक ' बिजनेस को और भी लोकप्रिय एवं फायदेमंद बनाने के लिए काफी अच्छा प्रस्ताव रखा। उसका होटल पहले से ही फेमस है। होटल के नाम का ब्रांड जुड़ना फुड ट्रक के लिए काफी अच्छा रहेगा। और सबसे महत्वपूर्ण दोनो बिजनेस खाद्य पदार्थ से ही कनेक्टेड है।

लेकिन मुम्बई से फ्रांस बाई प्लेन जाने मे वीर को तीस घंटे कैसे लग गए ? मुझे लगता है शायद दस बारह घंटे का सफर होगा।

अपडेट हमेशा की तरह बेहतरीन था वोल्फी भाई।
आउटस्टैंडिंग एंड जगमग जगमग।

First of all the update was wonderful and scary too.
Update k pehle bhag me pyar or care bohot achhe se dikhaya aap ne. Business idea v kafi achha tha.
Mujhe achha laga k sex scene me aapne jiyada words kharch nehi ki.
Ab atehe Crimson pe iske pas ek gang he jo physico se bhare pade he jinme shooter v he pessa v kafi he pata nehi uske pas kia kia skill he uparse veer ki sari jankari v he jese kaha he kia kar raha he.
Dekhne bali bat yea ho ga Veer kese Crimson ko harata he.
Aap k agle update ka besabri se intezaar rahe ga.

truly bro best store on this site with best writer which have ultimate writing skills

Hello werewolf bhai.....aap Kamal hi ho yr..i mean kaise soch lete ho ye sb.
Aap adbhut ho, adbhutash ho🙏

Nice update

Crimson as usual ek badass villian jaisa situation hai well abtak sabse badass villian samne aaya jiska charecter veer se ek alag hi way me hai haa charecters har person ke same nhi ho sakte but idhar situation alag hai dono ke pass system ek alag atittudness hoga dono me khaskar crimson ka jo veer se bohot aage hai system se but who know kab kon sa pasa veer bhi phek de crimson ke shatranj me jaise crimson ne ek situation create kia ava ke jariye veer ko paris me lane ke liye, may be in this cr. Festival the target of crimson is ava for the festival night,ho sakta hai kyuki pichli bar ki last victim yahi hone wali thi khair ab aate crimson ke kuch common points jo hue (1)Crimson ka ye festival bhi night me hi active obviously jo pichle H.O.K ARC ke killers ke scene hue wo bhi night me hi anzam diye gaye. (2)jo H.O.K tha wo crimson se hi juda hua hai aur isi karan veer bhi uske nazar me aagaya ya pahle se hi. (3)crimson ka atittude me ek alag hi fetish dikhta hai jo ki system ke milne ke baad aur badh gayaho


134 completed

L

Lovely update lag raha hn story mein firse action start hone wala....the hunt is begin...👌👌👌👌💐💐👍

Nice update

Nice update


AB HOGA BANG!!BANG!!:firing::firing:

Amazing update Bhai waiting for more

Kya baat hai bro ek no

Waiting for next update sir g


No it is one of the all time best stories in this forum. We readers always wait eagerly for your regular updates.



Any update?

Bro contest me aap jo story post karo ge us ke bare me update zaro dena


Werewolf bhai next update kab tak aayega?

Bhai update de do bhut time ho gya hai

Mind blowing update

Waiting for next update bhai

Nice update

Nice update

“Rango ka mishran hai crimson.
Khoon ka rang hai crimson.
Mujhse kismat bhi haarti hai sweetie,
Kyuki mein hi hu Crimson!!”

crimson.... crimson.... crimson....
aur shuru ho gya crimson..jiski udeek thi.. intzar tha... Shandar tareeke se shuru huya.. is bar Ava sath hogi kuch haseen lamhe honge ... Kya Divya bhi hogi... Ja Ava ne hi Veer ko bulaya hai.. nhi Divya nhi hogi... Family ko kaam sunp diye gaye hein... Ladies with minds...itni aurtein veer akela unko kahin pr toh ulja kr rakhna hi hoga varna veer ka dimmag chatt kr jayengi woh sabb.... Lekin Maa toh maa hoti hai... Uski peni nazar se veer nhi bach payega.. kitna bhi jhooth bol le..maa ne pakad liya... Lekin maa ko kahin bahr jane se kyu roka veer ne ???.. crimson ke baad pta chal sakta hai... .. Naye Arc crimson ki update ka intezar rahega bhai...

Zabardast update 👍👍👍👍

waiting for update

Werewolf bhai mana abhi update nhi de pa rahe ho par yeh toh bataa do ki naya update mien kya kya hone wala .
Yeh intezaar ke maare maja nhi aa rha 😁😁


Mereko USC ki kahani aur update dono ka hi intezaar hai.

Ha lekin jese pichhli baar Mr.xforum bane tha iss baar USC bhi jitna hai aur agar hamaare vote se jeeto toh hum sab toh bata dena

badhiya update tha lambe itanzar ke baad mila hai crimson festival to kuch dhammal aur naya karna ma hone ka to pakka he hai aur update padhke vakai me maaza aa gaya bhai :freak::freak:

waiting for next update .........

Fantastic update Werewolf

Next update jaldi do... Jaldi... :waiting1:

bas yahi sab chal riya hai kauno writer update noi de raha hai so so kar uth jata hun mai :cry2:

Usi mey lage raho bhai Khao ghumo or so jao 😁😁

Waiting for updates bhai...:tease3::repost::bounce:

Aagla update kab tak aayega Werewolf bhai..

I want a update right nowwwwww


Update aaj aayega y nhi

Dhamaakedaar or jordaar update....

BROTHER YE USC KITNE DIN CHALEGA CAN'T WAIT FOR UPDATE


वेटिंग

waiting for update brother asap

Kaha milegi ap ki USC wali story

Please link send kar do

Bhai kya hi bhayankar maal banaya hai USC ke liye maja aa gaya padh kar

Waiting for next update eagerly

Bro USC wali story gajab kar dia yaar
Awesome story bro

update ka intajar hai bhai .............:reading::reading:

Bhai apki USC vali short story padi apne story ko apne takihke se badiya likha he
Story ke har ek seen ko apne sahi tarikhe se dikhaya he or story ka end to sabse hatake tha uski u mid hi nahi thi es pe to horrors movie bani chayahi he.apko is contest ke liye all the best or asha he ki ap hi winner ho GE..

Bro your USC story super.


Waiting update

Intjaar....


Dear warewolf,
Kahani apke boht achi hai
Readed all your update

But mera view yeh hai ki jis hisab se apne usc ki story likhi hai
Uske according mujhe khi na khi lagne lga hai ki ye story k poll me jo option 2 and option 4 hai khi na khi vo bhi jayaz lgte hai.
Uske hone ki bhi barabar possibility hai.

Overall architect and badshah both story doin good

English to meri v bahut buri hai Bhai lekin bura mat manna tum thora english grammar m dhyan do....


Nice updates👍🎉

Warewolf bhaii
ऐसे बम के धमाको से तो हम ब फटने के लिए तैयार है 😂

bhai slogan ko kisi ne phone per bataya tha ki jab bhi kuch hone wala hota hai to veer wahan aa jata hai aur jab slogan mara tha tab ek ladki ko wahan per raghu ne dekha tha to iske bare me aage pata chalega kya aur pranjal ne jis ladki ka naam liya tha madhuri tab pari ne kaha tha it might be her . jis ladki ko veer ne apna blazer diya tha uska naam bhi madhuri tha to shyad wo hi pranjal wali ladki ho shayad aage ke updates me pata chale. waise story bahut acchi hai jab sari baatein detail me likhi jati hain to padhne me maja bhi aata hai story ka pace bhi bahut accha hai na jayda fast na hi bahut slow great work

Waiting for update brother

Update 135 has been posted.
 
Top