• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Saya. Dobara chudel ki prem kahani (Completed)

Shetan

Well-Known Member
17,846
52,376
259
मुझे पूरा विश्वास है कि आपने कुछ बढ़िया ही सोचा होगा तृतीय भाग के लिए। शमीर की साइड स्टोरी को लिखते हुए ही आपने उसके लिए एक अलग कहानी लिखने की ओर संकेत दिए थे, उसकी भी प्रतीक्षा रहेगी।
उत्कंठा इतनी है कि प्रतीक्षा करना कठिन हो रहा है। लगता है आप बस अपडेट देती जाओ और मैं पढ़ता जाऊं।😅
100% love story fantasy world aur action se bharpur hogi. Sudh Hindi me likhne ki kosis rahegi. Jesa ki aapne kaha. Bas saya 2 par thik se kam kar lu
 

Game888

Hum hai rahi pyar ke
3,499
7,074
158
Moone Boy Waiting GIF by HULU
 

Shetan

Well-Known Member
17,846
52,376
259
Wow doston 4 lakh views complete.

Thankyou so much doston. Aap sab ki madad se saya 2 aage badh pai.
 

Shetan

Well-Known Member
17,846
52,376
259

Shetan

Well-Known Member
17,846
52,376
259
A

(1)

Jeeyara ne jagga ko pahele hi itala kar diya tha ki Deepika koi shetani puja kar rahi he. Jeeyara ne to joda bana ne ka vada bhi kar diya tha. Matlab usne jahir kar diya tha ki jeeyara Deepika ki nahi jagga ki taraf he. Jagga ke dill me ek hi khayal aa raha tha ki kya Deepika sach me uski bali degi. Tabhi to bharosa dilane ke lie hi jeeyara ne vada kiya.
Jagga janta tha ki chudele apna vada nahi todti. Matlab saf tha ki Deepika jagga ki bali dene ke plan me he. Par Deepika ka makshad kya he. Use hasil kya karna he. Vo safe house me tha. Deepika aur jeeyara dono gayab thi. Jagga soch raha tha ki jakar unhe dhundhe. Par ek dill kahene laga. Agar bali deni he to vo khud hi uske pas aaegi.
Tabhi door khula aur jeeyara andar aai. Aur jagga ke samne akar khadi ho gai. Red hot one-piece gown bahot hi hot look tha. Par uske face par chinta ke bhav saf dekhe ja sakte the.

Jeeyara ; bali ka wakt ho gaya he. Vo tumhe bula rahi he.
IMG-20231124-101347
Jagga sock to tha. Par fir bhi hasa

Jagga ; tum pagal ho. Vo muje sidha bali ke lie bula rahi he. Aur me sidha vaha aa jaunga. Tum pagal to nahi he

Jeeyara ; use nahi pata ki uska plan mene bata diya tumhe. Tum muje gaddar mat samzo. Me tumhe dhokha nahi de rahi.

Jagga ne jeeyara se muh fer liya. Vo khada huaa aur apne hathiyar taiyar karne laga.

Jagga ; sala tum sabhi ek jese ho.

Jeeyara ; tum mujpar bharosa kar sakte ho. Me tumhe kuchh hone nahi dungi.

Jagga ; muje kisi ki jarurat nahi. Me apne aap ko bacha sakta hu.

Jeeyara jagga ke samne akar bad pe beth gai.

Jeeyara ; vo jese hi tumpar war karegi. Me uspar war kar dungi. Tab to tumhe mujpar bharosa karoge na???
IMG-20231124-101346
Jagga vese to dono se ek sath ladhai karne ki taiyari me tha. Vo bhagne valo me se tha nahi. Upar se use vo bhi pata karna tha. Akhir Deepika ko bali dene ki jarurat kyo he. Vo kise takat dena chahti he. Ya khud pana chahti he. Vo jese gaheri soch me dub gaya ho. Jeeyara bhi jese yakin dilane ko bechen ho. Vo afsos jahir karte hue room me tahalne lagi.

Jeeyara ; ek chudel ne joda bana ne ka vada kiya. Tab bhi tumhe bharosa nahi. Kam se kam ek bar to bharosa karo.
IMG-20231124-101344
Jagga kuchh sochne laga. Aur taiyar ho gaya. Usne gupt chhote hathiyar chhupa rakhe the.

Jagga ; thik he. Chalo...

Jagga jeeyara ke sath chalne laga. Jeeyara chalte hue bar bar jagga ki taraf dekh rahi thi. Jiska abhash jagga ko bhi tha. Jeeyara ne bade romantic tarike se ahista se jagga ka hath pakad liya. Jagga ne turant jeeyara ki taraf dekha.

Jeeyara ; tumne meri jaan bachai he. Me tumhe dhokha nahi dungi. Deepika ne kuchh kiya to me khud hi use mar dalungi. Sachi.

Jagga janta tha ki chudeli vada bhi ek tarike se dhokha diya ja sakta he. Jeeyara ne vada kiya ki vo joda banaegi. Par us se pahele hi jagga mar gaya to use vada nibhane ki jarurat bhi nahi. Fir bhi use vaha tak jana hi tha. Akhir vo tha hi vaha is lie. Jeeyara jagga ko kikar ke jungle ki taraf le gai. Charo taraf zadiya hi zadiya. Sabhi zadiya kato se bhari thi.
Andhera bhi khub tha. Kyo ki pedo aur zadiyo ne thodi bahot jo chandni se ujala ho rakha tha. Use bhi rok hi diya tha. Par ek jagah se thoda ujala aa raha tha. Jese aag jala rakhi ho. Thoda aage badhte hi jo jagga ne dekha vo sock ho gaya. Koi ladki bilkul nangi mombattiyo ke ghere me khadi he. Ghane lalmbe bal. Khubshurat kaya.
Dekhne se hi pata lag raha tha ki vo koi kamseen hi ladki he. Vo aur koi nahi balki Deepika hi thi.
IMG-20231124-101343
Jeeyara ne jagga ko hatho ke hishare se ek taraf aane ka hishara kiya. Jagga ek taraf ho gaya. Vo us gole ke pas hi tha. Jagga ne charo tarf najre ghumai. Aur har chij ka bariki se muayna kiya. Kala jadu ka bahot kuchh saman tha. Gidgad ki puchh, lomdi ka bheja, kai prakar ke pashuo ka mal. Sher aur dusre kai janwaro ki khopdiya.
Kai jadi butiya, mashale. Aur uske sath ek chamakta huaa khanjar. Jagga ko vishwas ho gaya ki jeeyara sahi bol rahi thi. Jagga ne Deepika ki taraf dekha. Nangi Deepika thode se dikh rahe ashman me chand ki taraf dekha. Laherate matkate nangi hi vo kuchh kadam aage jane lagi. Khade hokar apne dono hath fela diye. Aur koi alag hi bhasha me kuchh badbadane lagi.
IMG-20231124-101341
Us bhasha ko jagga bhi janta tha. Aur jeeyara bhi. Jeeyara kisi ko ladhne ke lie takat dene ki prathna kar rahi thi. Shetan aur bhagvan ke bich karar ke vo mantra the. Jisme shetani ruh ko sirf kuchh wakt ke lie ashim takat milegi. Vo takat jeeyara ki maa kayra ke lie kar rahi thi. Mantro ke douran kayra name bhi pukara gaya to jagga ko jeeyara par bhi shak hone laga. Jagga kabhi jeeyara ko to kabhi Deepika ko dekhta. Tabhi ekdam se Deepika palat gai. Aur jagga ko dekhne lagi.
Uski ankho me bahot kuchh tha. Shararat dhokha, badla. Sab kuchh jese mahesus kiya ja sakta ho.
IMG-20231124-101340
Deepika vese hi matvali chal se chalti hui un dono ki taraf aane lagi.

Deepika ; muje bas thode se khoon ki jarurat he. Bolo...hmmm kon dega muje bas thoda sa khoon??

Bolte hue Deepika us gole ke pas aai. Aur us khanjar ko uttha liya. Vo mushkurati hui kabhi jagga ko to kabhi jeeyara ko dekhti he. Jagga bhi taiyar tha. Use Deepika se jyada jeeyara se dar tha. Kyo ki vo ek chudel thi. Jagga Deepika ko to aram se sambhal sakta tha. Par ek chudel se ladhna uski takat ko jan na kamjori jan na wakt bahot kuchh dhyan me rakhna padta he. Vahi Deepika dhire dhire nazdik aa chuki thi. Bas 2 kadam ka fashla bacha tha. Uski ankho me kaminapan, shararat mushkan dekhi ja sakti thi.

Deepika ; (smaile) batao na jagga. Mere pyar. Mere lie kurbani kon dega.....

Deepika ne achanak hamla to kiya. Par jagga par nahi jeeyara par. Kyo ki jeeyara jagga ke bahot karib thi. Deepika ne sidha vo khanjar jeeyara ke gale me ghop diya. Jeeyra jamin par padi tadapne lagi. Tab jakar jagga ko samaz aaya ki khanjar hi chandi ka he. Matlab Deepika jeeyara ki hi bali dena chahti he.

Deepika ; (smaile) bechari jeeyara.... Soch rahi thi ki me apne pyar ki kurbani dungi..
IMG-20231124-101339
Par jagga ne achanak aage akar vo khanjar nikal diya. Jeeyara turant vaha se bhag gai. Vo ekdam se gayab ho gai. Deepika joro se chillai.

Deepika ; (sock) nahiiii........

Deepika turant bhag kar aai. Aur jagga ki colar pakad li.

Deepika ; (gussa chillana) tum pagal ho gae ho. Ab me bali kiski dungi.

Jagga jan na chahta tha ki kya Deepika uski bali dene ki kosis bhi karegi ya nahi.

Jagga ; (gussa) kyo???? Tumhari dost to chali gai. Par me to hu.

Deepika ne jagga ko dhakka de diya.

Deepika ; (gussa) bevkuf mat bano. Tum jante ho. Mai tumse pyar karti hu.

Sab to thik tha. Par in sab me Deepika ka plan to fail ho gaya tha. Vo kayra ko takat nahi de pai.

Jagga ; tumhara bhai khatre me he. Hame kal subah tak nikal jana chahiye.

Deepika ekdam se sock ho gai.
 
Top