Ek anjaan humsafar
Well-Known Member
- 2,901
- 4,037
- 143
Wow, superb turn of events. Jab Vinod koyi bhi suraag haath na lagne par pareshaani ke seema par joonjh Raha tha, tab Sakshi ne khud chalkar Uske pass aati hai aur kamaal Ka suraag bhi De deti hai , wow that's a great masterstroke, dear broUpdate- 13 (B) (Megha Update)
" tum agar janana hi chahtey ho na ki main itni raat gaye kissey milney gayi thi..............to suno.....................main apni beti sakshi se milney wahan gayi thi..................aur main ussey mili bhi..............shayad is wajah se us waqt meri aankhon mein aansoon they.................main ek maa hoon na.......bhala kaise main apne zazbateion ko sambhal pati................is liye main sakshi se milne chali gayi............." aur itna kehkar kavita fauran apni jagah se mudi aur seedha apne ghar ke taraf chal padi.................
wahin peechay khada suresh ka mooh poori hairat se khula tha.....................aankhein uski badi ho gayi thi...................sach to ye tha ki usey apne kanon par zara sa bhi vishwaas nahin ho raha tha.............wo waise hi kuch der tak bahar hi khada rehta hain.............fir apna sir khujata hua apne kamrey ki taraf chal padta hain.......................
**************************************************************************************
dusare din police station mein.................................
vinod ke chehrey par barah baje hue they..................is waqt usey apne aap par to gussa aa hi raha tha...........saath mein uske staff ke jitne bhi members they unpar bhi gussa aa raha tha............aur aata bhi kyon na................itne din ho gaye they aur police un sab katlon ka ek bhi suraag tak pata nahin laga payi thi.............
"mere poorey carrier mein aisi ghatnaa aaj tak kabhi issey pehle nahin hui...............kaatil ka ek bhi soorag tak nahin mil paa raha........upar se hum aabhi tak is 26 number pe aakar aatke pade hain..............jab 26 khoon aur ho jayengey tab hum kuch karengey kya!!!!!!!!................rajesh.................mujhe progress report do.................ye media wale to aur naak mein dum kar rakhe hain..............pata nahin in salon ki gand mein kaun sa keeda humesha ghusa rehta hain jo inhein humesha katata hi rehta hain..........khud to ye na kabhi sootey hain aur na humien chain se kahin soney dete hain..........." aur is baar vinod jhallata hua bol pada..............tabhi uske mobile ki ring baj uthi....................phone doctor ka tha.................
" sir......................aapko ek baat batani thi...............kal ke un do doctors ki hatya ki postmortem report aab aa gayi hain................jo main aapko aab batane wala hoon usey sunkar apko vishwas nahin hoga................." aur udher se doctor apni baat kehta hua kuch der ke liye chup ho jata hain wahin agle hi pal vinod jhallata hua bol padta hain............
" kya vishwaas nahin hoga.....................tum yehi kehna chahtey ho na ki un do doctors ki hatya un do murdon ne ki hain...............yehi baat hain na............" aur vinod jaise gussey se tilmila jata hain wahin wo doctor chup hokar fir se bol padta hain............
" arey waah!!!!!! .......aapko kaise pata chala sir.................." agle hi pal wo doctor turant bol padta hain wahin vinod ka gussa aur satwey aasman par chadh jata hain............
" aisa hain tum apni lab band hi kar do..................koi fayda nahin hain tumhara ye lab chalane se.............arey doctors to police ko help karney ke liye koi na koi clue dete rehtey hain.............aur ek tum ho ki clue bhi de rahe to sirf murdon ka.................agar izazat do to main in murdon ki giraftari ka warant nikalwayun...............iam sorry doctor!!!!!!!!!! iam so sorry.......................main is samay poori tarah se disturbed hoon..............i will call you back......................" aur is baar vinod apna phone gussey se katata hua table par fenk deta hain..........aur apne dono haathon se apna chehra chupata hua fir se apni soch mein doob jata hain wahin staff ke sare members taktaki lagaye vinod ko bus dekhey jaa rahe they............
kuch der tak aise hi khamosh rehney ke baad vinod apne chehrey se apne dono haathon ko hatata hain aur sabki taraf ek nazar dalta hua " iam sorry............."bus itna kehta hua fauran us policestation se bahar ki taraf nikal jata hain wahin sabhi staff ke log bus usey hi dekhey jaa rahe they.......na hi kisi ne vinod ko rokney ki koshish ki.......aur na kisi ne kuch poochney ki.............
***************************************************************************************************
raat ke 9 baje they...........bahar sadkein poori tarah se veeran aur soonsan thi.................vinod khana khakar us soonsaan sadak par akele tehal raha tha..............sardi ka mausam tha to raat ke 9 baje bhi bahut zyada raat lagti thi............kyon ki log zyadatar apne gharon se bahar nahin nikalte they.............waise to vinod ko chain apne kamrey mein bhi nahin tha is wajah se wo apne room se bahar akele tehal raha tha...............aur apne aapko behlane ki koshish kar raha tha................magar dimag mein aab bhi wahi sab sawal ghoom rahe they jinke jawab usey aab tak nahin mile they...............
kuch der tehalney ke baad usi sadak par ke khoobusat si ladki aati hui dikhayi di.....uske haathon mein ek bada sa bag tha.................usney ek safed rang ka suit pehnahua tha............dikhney mein wo behad hi khoobsurat aur aakharshak lag rahi thi..........jisey dekhney ke baad kuch pal tak vinod taktaki lagaye usey hi bus dekhta raha...........jab wo ladki vinod ke paas aayi wo uske taraf haule se muskuratey hue usey bade gaur se niharney lagi.............wahin vinod bhi chaah kar apni nazrein us ladki ke chehrey par se nahin hata paa raha tha...........
" zara suniye.....................kya aap bata sakte hain ki yahan se tezpur kitni door hain..............main sehar se aa rahi hoon.................gadi late hone ki wajah se raat mein kuch samajh nahin aa raha ki main is waqt apne ghar kaise jawun............" samney khadi wo ladki apne haathon mein ek parchi vinod ki taraf dheere se badhati hui boli.........wahin vinod to jaise us ladki ki khoobsurati aur uski meethi boli mein jaise doob sa gaya tha.................
" zara batayengey mujhe aap ye address..............." aur is baar us ladki ne us parchi ki ore ishara karte hue .........vinod ki taraf dekhti hui dheere se bol padi wahin vinod bade dhyaan se us parchi ki taraf ek tuk deney laga..........................jispar likha tha.......................
" aman villa....................... Bunglow no 26 .............tezpur..............."
To Be Continued....................................................

Awaiting your upcoming update

