Arnav ke dil mein Sumona ke liye pyaar tha ya hawas? Iska jawaab who khud hi nahi jaanta tha, usko bas apne sawaalon se matlab tha….
Ab aagey dekhte hai ki, agli subah in dono ke liye kya lekar aa rahi hai???
Ab aagey........
Agli subah, arnav apni aankhien kholta hai aur ek angdai lekar baith jaata hai…phir uthkar bahar balcony ki taraf dekhta hai toh, thoda bahut kohra hota hai, aur upar se suraj ki kirne uske chehre pe lag rahi thi….
Woh kirno ko apni aankhein band karke apne chehre pe mehsoos kar raha tha, ki tabhi uska door knock hota hai….
Who jaakar door kholta hai, toh saamne uski maa hoti hai…
Maa: beta ab tabiyat kaisi hai?
Arnav: ab toh mein ek dum fit hoon, naa sar mein dard ho raha hai, aur na mujhe chalne mein koi takleef….
Maa: khair phir bhi tum 2 ya 3 rest karlo, uske baad sab theek ho jaayega…
Arnav: Theek hai…
Maa: kuch dawai aur naashta dete hue bolti hai, ki tu fresh hokar apne medicine aur nashta kha lena…
Aur waise bhi mujhe 9 baje tak hospital nikalna hai, aaj kuch emergency hai, kuch bhi problem ho toh Yogita ko bata dena….
Arnav: haan mein gardan hila deta hai…
Maa: chal mein abhi nikalti hoon, mujhe tayaar bhi hona hai hospital ke liye, aur koi bhi takleef ho toh mujhe phone kar lena…
Arnav: OK mummy, aap chinta mat kariye….kuch hoga toh mein jarur phone karunga…
Maa: OK, good.
Maa ke jaane ke baad, arnav manoj ko phone lagata hai…thodi der ring hone ke baad manoj call uthata hai….
Manoj: neend mein uthte hue bolta hai, “Haan bol Arnav”?
Arnav: yaar mein ghar par hoon, aur tu mujhe 10 ya 10:30 baje tak, ghar ke peeche se pick karlena….
Manoj: tu ghar kab aaya?
Arnav: mein kal shaam ko hi aa gaya tha….
Manoj: kuch sankoch karke bolta hai,chal theek hai aa raha hoon mein….
Asal mein manoj, ab chahta hi nahi tha ki woh Harisha ke khoj mein jaaye, lekin kahin na kahi uske man mein bhi tha, kyun harisha ne aisa kiya, woh usse puchna chahta tha ki kyun tune mere saath aisi dagawaaji ki?
Ab dono dheere dheere tyaar ho rahe the, apni manjil ki taraf jaane ke liye….
Arnav washroom mein fresh hone chala jaata hai…aur kuch der baad fresh hokar bahar aa jaata hai…
Table pe rakhi hui dawai aur nashta kar leta hai….phir thodi der ke baad Yogita ko apne kamre mein bulata hai….
Yogita: haan bhai bulaya aapne?
Arnav: yogita meine dawai aur nashta kar liya hai, ab mein aaram karna chahta hoon, isliye mujhe koi disturb nahi karega jab tak mein na kahun…
Yogita: toh bhai dopahar ki medicine kaise khaaoge?
Arnav: ek kaam kar, afternoon ki medicine mujhe abhi dede, jab time hoga toh mein khalunga…aur dopahar ka khana door ke paas rakhdena…mein jab uthunga tab mein kha lunga….
Yogita: theek hai jaise aapki marji…
Arnav: chal ab jaa yahan se aur mujhe aaram karne de…
Yogita:Theek hai bhai…
Phir yogita chali jaati hai, aur arnav ne apna door band kar liya…
Kuch der baad manoj ka call aata hai aur kehta hai, mein ghar ke peeche khada hoon jaldi aaja…
Manoj: 5 minute de mein abhi aaya…
Jaane se pehle manoj apne bed pe takhiya daalkar, unke upar chaddar uda deta hai, jisse yeh lage ki woh abhi so raha hai…
Phir manoj apne balcony mein jaata hai, aur ek pipe pakadkar neeche utar jaata hai….
( balcony jyaada upar nahi thi, isliye koi zyaada dikkat nahi hui)
Neeche utarne ke baad seedha manoj ki bike par baith jaata hai…aur kehta hai bhai jaldi chal….
Manoj bike start karta hai, aur nikal jaata hai sumona ke ghar ki taraf…lekin aaj uska munh kuch ukhda ukhda sa tha….
Arnav: kya hua manoj aaj Itna sant kyun hai….
Manoj: yaar kuch nahi, sach bataaun ab mujhe harisha ke baare mein pata nahi karna hai…woh ab khud nahi chahti hogi mujhse milna….
Agar usse mujhse sach mein pyaar hota toh woh kisi bhi tarah mujhse contact karti….lekin aisa kuch hua nahi…
Arnav: teri baat sahi hai aur tera gussa bhi, lekin yeh toh soch ki humein bhi toh apne sawaalon ka jawaab mile, ki aakhir tum logo ne aisa kyun kiya?
Manoj: saayad isi liye toh mein aaya hoon…chalo ab wahan pahunchkar dekhte hai ki kya maazra hai….
Kuch der baad woh dono sumona ke apartment ke paas pahunch jaate hai…
Phir manoj apni bike park karta hai, aur dono apartment ke andar chale jaate hai….phir steps lekar 3rd floor par pahunchte hai aur room no 123 ke aagey ruk jaate hai…
Manoj, arnav ki taraf ishara karte hue bolta hai ki knock kar…(lekin aaj dono ke dil mein ek ajeeb sa dar tha)
Arnav: door knock karta hai….
Kuch der baad door khulta hai, aur jaise hi khula arnav kuch bolne ko hota hi hai…ki woh chup ho jaata hai….
Arnav ke saamne ek 30 ya 35 saal ki lady khadi hoti hai, uske maang mein sindoor, gale mein mangal sutra, aur reddish brown ki saare, aur matching blouse pehne khadi thi….arnav ne usse pehli baar dekha tha…
Ek baar arnav ko laga kahin woh galat room pe toh nahi aagaya….usne room number dekha toh woh 123 hi tha….
Phir bhi arnav ne himmat karke bola…
Arnav: namastey maam, mein sumona se mil sakta hoon?
Lady: thoda confuse hokar puchti hai kaun sumona?
Arnav ko ek dum jhatka lagta hai, aur shocked hokar woh us lady ko dekhne lagta hai…udhar manoj bhi shock mein tha…
Arnav: pareshaan aur chonkte hue bola, maam aap yeh kya bol rahi hai, aisa mazaak mat kariye. Sumona andar hogi aur usse kahiye Arnav bahar khada hai…
Lady: bade hi sarafat se aur naram awaaz mein kehti hai, ki lagta hai aap logon ko koi galat fehmi ho gayi hai…ya phir aap galat address pe aa gayein hai…kyunki yahan koi Sumona nahi rehti hai….
Arnav: aap jhoot kyun bol rahi hai? Sumona yahi rehti hai, aur saayad woh haadse se dar kar ghar mein chhup kar baithi hai…
Usse aap kaho ki chinta waali koi baat nahi hai, koi tumpar ungli nahi uthaayega…
Lady: thoda chidkar arey ajeeb ladke ho tum, ek baar mein tumhe samajh nahi aata kya? Yahan koi Sumona nahi rehti hai…
Arnav: ab thoda gusse mein aakar kehta hai, AAP YEH KAISE BOL SAKTI HAI , KI SUMONA YAHAN NAHI REHTI HAI?
Kyunki mein 5 din pehle yahan sumona ke saath aa chuka hoon…
Lady: chonkte hue, kya tum 5 din pehle yaha aaye the?
Arnav: ji haan, aur mere saath sumona bhi thi…
Lady: ab thoda chidte hue kehti hai, kya tum dono bhang peeke aaye ho kya, jo subah subah aisi faaltu baat kar rahe ho?
Arnav: aisi kya faaltu baat kar di maine?
Lady: faaltu baat nahi hai toh kya, we were not here from the last 20 days so, how can you say that you were here?
Arnav: yeh baat sunte hi woh pagla gaya, uska dil baithne laga, aur woh ghabrakar dabi awaaz mein kehta hai maam mera yakeen karo mein yahan 5 din pehle aa chuka hoon, aur sumona hi mujhe leke aayi thi…
Aur usne kaha tha ki woh yahan rent pe rehti hai…abhi abhi usne medical college mein 1st year ka admission liya tha…
Lady: ab yeh jyaada ho raha hai, yeh ghar mera khud ka hai, maine isse 5 saal pehle kharida tha…aur mein apne husband aur bachho ke saath rehti hoon…
Aur kaun sumona, jo tumhe yaha leke aayi? Woh bhi mere ghar mein?
Arnav yeh sunkar aur bhi zyaada pareshaan ho jaata hai, phir woh kehta hai…
Arnav: aapko mujhpe vishwaas nahi hai naa…mein batata hoon aapke ghar ke andar kya kya hai…
Saamne hall hai, wahan par maroon rang ka sofa rakha hai, aur hall ke paas ek wall hai jo hall ko aur kitchen ko alag karta hai, aur us kitchen ke paas ek master room hai, aur side mein ek chhota sa room bhi hai….aur aapko yakeen na aayein toh aapke hall ki wall pe ek photo lagi hui hai, jo thodi dhundli si hai, usme do ladki khadi hai, usme se ek hai ‘Sumona’….
Itni detail se sunne ke baad ab chonkne ki baari us lady ki thi, who ek nazar apne ghar mein dekhti hai aur sochti hai, isne toh har ek baat sahi kahi hai….woh bhi thodi pareshaan ho jaati hai…
Woh lady arnav ko ghoorte hue dekhti hai aur phir arnav aur manoj ko andar aaney ke liye bolti hai…
Woh dono andar jaakar baith jaatey hai…phir woh lady bolti hai, ki mera naam ‘Sunitha’ hai….
Sunitha: arnav ke taraf dekhte hue boli, ab tum mujhe puri baat batao…
Arnav: sex ki baat chhodkar, aur jo jo ghar mein hua sab bata deta hai…
Sunitha: puri baat sunkar phir aaram se bolti hai, ki pehli baat mein kisi Sumona ko nahi jaanti, aur dusri baat jo tumne photo ke baare me kaha hai ki, usme do ladkiya hai…
Toh woh galat hai, kyunki usme 2 nahi sirf ek hi ladki khadi hai, aur woh mein hi hoon…
Agar aap chaho toh us photo ko dobara dekh sakte ho…
Arnav: yeh sunte hi jhat se photo ko dekhta hai, usme sunitha ke Kahe hisaab se ek hi ladki thi….
Yeh dekh arnav ko bijli ka woh jhatka lagta hai, ki uska har ek ang hill jaata hai, kyunki woh photo mein ek hi ladki khadi thi, aur photo ek dum clear thi( us din toh yeh ek dum dundhli dundhli si thi)
Arnav: yeh kaise ho sakta hai, us din toh yeh tasveer bilkul dhundhli si thi aur dusra isme do ladkiya thi….
Arnav, manoj ko dekhkar ek laachar shakal bana ke kehta hai…us samay manoj bhi chup tha…
Phir sunitha kehti hai..
Sunitha: ho sakta hai kisi ne tumko paagal banaya hoga, ya mein abhi chaahun toh tum logon ko tresspassing ke chakkar mein jail bhi bhijwa sakti hoon…
Lekin mein isliye nahi kar rahi hoon, kyunki mere ghar se koi cheez gayab nahi hui hai….
Aur aaj kal bina chaabi ke taala kholna kaunsi badi baat hai, aur tumhe maine isliye ghar ke andar aaney diya kyunki tumne is ghar ke ek ek details batai jo bilkul sahi tha, agar koi chor hota toh woh dobara yahan kabhi nahi aata…
Ab tum dono yahan se jaa sakte ho…(bahar ki taraf ishara karte hue kaha)
Tabhi manoj bol pada Harisha kahan hai?
Ab chonkne ki baari, sunitha ki thi…
Sunitha: tum harisha ko jaante ho?
Manoj: hanste hue kehta hai ki main (harisha urf sumona) ko achhe se jaanta hoon….
Manoj ki baatein sunkar Arnav aur Sunitha dono chonk jaate hai…
Arnav: yaar yeh keh raha hai, Harisha aur Sumona ek hi hai???
Manoj: haan arnav woh dono ek hi hai, kyunki mere ghar mein interview call letter milta hai, aur isme Harisha ka address hai..
Tujhe Sumona college mein milti hai, aur tujhe apne ghar mein hi laakar tere sath sex karti hai(Manoj sex ki baat jaanbhujkar kehta hai,kyunki woh ab bahut gussa tha)
Arnav: magar woh aisa kyun karegi?
Manoj: sunitha ko dekhte hue bolta hai, yeh toh khud Harisha hi batayegi…kyu sahi kaha na?
Sunitha : kya bakwaas kar rahe ho tumlog, tumhe maine thodi izzat kya dedi, tum log toh mere sar par hi chade aa rahe ho…
Waise bhi tumhe harisha kahan milgayi, aur kab tumne dekha, aur kahan?
Manoj: apni jeb se interview ka call letter nikalta hai aur sunitha ko dikhata hai…
Sunitha: woh letter dekhke chonkte hai, aur kehti hai tumhe yeh kahan mil gaya?
Manoj: Mujhe Harisha ek hafte pehle mili thi aur us din jo hua sab bata deta hai( lekin is baar sex ka naam nahi leta hai)
Sunitha: yeh sunte hi shock ho jaati aur bolti hai ki, haan yeh toh sahi hai ki woh interview ke liye aayi thi..
lekin usne jhoot kyun kaha ki woh apne saheli ke paas ruki hai, balki humne toh usko is ghar ki chabhi di thi….
Manoj: chonkte hue bolta hai iska matlab Harisha ne mujhe jhoot kaha ki woh apne saheli ke paas ruki hai?
Sunitha: wohi mein soch rahi hoon…phir kuch sochte hue woh uthkar apne kamre mein jaati hai, aur apna mobile le ke aati hai…
Apne mobile mein kuch group photos nikaalke bolti hai ki bataao inme se Harisha kaun hai?
Manoj: jhat se mobile leta hai, aur un photos ko slide karke dekhta hai….aur kehta hai ki in photos mein to harisha hai hi nahi….
Is baar arnav uski baaton se chonk jaata hai…
Arnav: kya keh raha hai yaar? Abhi toh kehraha tha ki(Harisha aur Sumona ek hi hai) aur ab keh raha hai ki harisha in photos mein hai nahi….
Mein toh paagal ban hi chuka hoon, tu kyun mujhe kyun paagal bana raha hai….
Manoj: uski aankhon mein dekhke bolta hai kasam se yaar, mein jhoot nahi keh raa hoon, in photos mein harisha nahi hai…
Sunitha: apna phone waapas lete hue kehti hai, ki meri sister last mein 3rd waali hai, aur manoj ko dikhati hai…
Saayad tumko yakeen na ho, toh tum baaki ki photos bhi check karlo…
Manoj: baaki ki photos ko check karta hai, aur usme sunitha ne dikhai hui ladki hi thi…
Apne man mein sochte hue (hai bhagwaan yeh sab kya hai, kaun thi jo us raat mere paas aayi thi, woh kaun thi jo arnav ko yahan leke aayi, ab toh mera sar tension mein phat jaayega) mein kya karun?
Sunitha: ho sakta hai tum dono ko kisine paagal banaya hoga, koi hoga jisne apne aapko Harisha batakar tumhe phasaya…
Lekin sochne waali baat yeh hai ki( us ladki ke paas Harisha ka call letter kaise aaya)
Tabhi sunitha apni sister ko phone lagati hai…phone ring hota hai aur kuch der baad wahan se awaaz aati hai…(lekin phone loud speaker mein hota hai, taaki woh dono bhi sunle)
Harisha: haan didi boliye?
Sunitha: (seedhe puchti hai), achha harisha jab tum laghbhag one week back delhi mein interview dene aayi thi, toh tumhara koi docs kho gaya the kya?
Harisha: kuch sochte hue haan didi, yaad aaya mein jab interview deke bahar aayi, toh maine haath mein file pakdi hui thi, toh mein bahar aakar auto ko bulane lagi, toh achanak woh file mere haath se gir gayi…
Aur us file mein jitne bhi papers the woh idhar udhar gir gaye the(usme mere certificates bhi the) isliye mein aur ghabragayi thi…
Lekin maine saare certificates le liye the bas woh interview call letter miss ho gaya tha….
Waise bhi mujhe us letter ki jururat bhi nahi thi, kyunki selection toh ho hi gaya tha…..
Kyun aap sab yeh kyun puch rahe ho?
Sunitha: kuch nahi bas aise hi, chal theek hai mein tumhe baad mein phone karungi, aur phone disconnect ho jaata hai….
Sunitha: manoj ki taraf dekhte hue bolti hai, saayad aapko aapka jawaab mil chuka hoga, kisi ladki ne woh paper uthaya aur ittefaq se tumse takrai aur tumhe apna naam harisha batakar, apna time paas kiya…
Arnav ke taraf dekhte hue boli, tumhara kissa kuch lajawaab hai, lekin mujhe yeh samajh nahi aa raha ki usne mera ghar hi kyun chuna??
(Is baat ka jawaab toh kisi ke bhi paas nahi tha….)
Sunitha: agar aapko aapke jawaab milchuke ho toh, kripa karke ab aap log jaa sakte hai…aur unki taraf dekhne lagti hai…
Idhar dono ka munh utra hua tha, aur tension mein bhi the, yeh sab baatein sunkar, gardan neeche karke baithe hue the…
Sunitha ko un dono ke chehre ko dekhkar daya aati hai, toh kehti aap dono mere chhote bhai jaise hai, mujhe maalum hai koi do ladkion ne tumhare saath bahut hi ganda mazaak kiya hai( mujhse jo bhi ho sakta tha maine kiya)
Aur agar aagey kabhi bhi meri jarurat ho toh tum log mujhe bezhijak mujhse contact kar sakte ho(aur apna number de deti hai)
Phir dono apna chhota sa munh lekar bahar chal dete hai…ghar se bahar nikalkar shukriya sunitha maam kehkar dono neeche chale aatey hai….
Un dono ko kuch bhi samajh nahi aa raha tha, ki aisa baddha mazaak unse koi kyun karega? Unhone kisi ka bura kabhi kiya nahi, kyun unke saath upar waaley ne aisa mazaa kiya?
Yehi sab sochte sochte sochte dono bike ki taraf chalte hai, tabhi arnav kuch sochte hue ruk jaata hai…
Arnav: bhai us din hum log movie gaye the, who bhi CP mein…chal wahin chalte hai aur unka CCTV check karenge toh sab maalum ho jaayega…
Manoj: tera kya dimaakh kharaab hai? Abhi bhi tu usse milna chahta hai? Tujhe samajh mein nahi aaya ki woh dono ladkiyan apni choot aur gaand ki garmi nikaalne hi aayi thi….
Arnav: agar unhe apni jism ki aag bhujani hi thi, toh woh kisi ke saath bhi kar sakti thi, hum hi log kyun?
Chalo maana ki hum log ittefaq se unse takraayein, lekin ‘Harisha’ ne tera hi ghar kyun chuna, aur sumona ne yeh waala ghar kyu chuna??
Agar unhe sex karna hi tha, toh woh kahin bhi kar sakte the, agar seedhe bol dete ki humein tumse chudna hai, toh hum log kaunse doodh ke dhule hai, jo aisa offer thukra dete….
Aur library waali baat kaise bhool sakta hai, jahan 4 logon ka murder hua aur uski gawah Sumona thi…ho na ho sumona ko kisi ne kidnap zarur kiya hoga….
Manoj: uski baat bade hi dhyaan se Sunta hai, aur phir kehta hai chal maana Sumona ko kisi ne kidnap kiya hoga…
Lekin harisha kee kya mazboori thi?
Arnav: bhai isi baat ka toh pata lagana hai, agar tu kahe toh pehle teri waali ko dhundte hai, bol kya bolta hai(ek dum josh se puchta hai)
Manoj: arnav se pehle teri waali ko dhundte hai aur meri waali ka pata toh wahi ‘Rafiq’ dega…jis raat maine so called “Harisha” ko bachaya tha…
Arnav: toh phir theek hai pehle chalte hai CP ke us theatre mein, aur wahan jaakar pata karte hai…
Manoj: ab thoda josh mein aakar bola, chal theek hai jaldi baith aur chalte hain theatre ke taraf…
Un dono ke dil mein ek naya josh aa gaya tha, ab unhe kisi bhi haal mein un dono ladkiyon ka pata karna tha…
Lekin unhe nahi pata aagey jo hone waala hai, woh unhe andar tak jhakjhor ke rakh dega….