• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Shruti ka chakkar lafange Bilal ke saath.

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
Hello Friends
Assalamualaikum aaj Friday ki iss shaam maine ek series start ki hai yeh series short stories ki series hongi aur romance par based hogi.
Meri koshish rahegi ki main aapka bharpur entertainment kar paaun.
Long stories main likhta nahin aur mujhe jamti bhi nahi isliye main short stories pe hi daanv khelne ki soch raha hoon. I hope aap logon ko pasand aayegi jo sex chahte hain woh yeh page abhi chhodd kar nikal jaayein kyunki unko ismein aisa kuch bhi nahi milega siway halke fulke romance,kisses aur intimate scene ke jo pornography se toh related nahin honge.
Toh bina dair kiye story par aate hain darasal yeh jo series chalegi iss mein actress change hoti rahengi lekin actor ek hi rahega Bilal jo ki main hoon, Ji haan kaafi hadd tak yeh stories meri real life par based hain jo kaafi filmy rahi hai aur ab bhi hai. So let me introduce the lead actress of my story.
Shruti ✓


3a6320a27d56f06f2cf13b43ed0801c8
Age :- 22
Figure :- 36D 30 34
Colour :- Fare.

Bilal Badshah


FPW-R64-Xw-AIt-G4-H
Age :- 24
Skin :- Fare
Toh friends kahani start actually meri aur Shruti ke iss age se nahi hoti kahani shuru hoti tab se jab main aur Shruti school mein thhay.
Yahan jagah aur baaki saare naam jo aayenge sab kalpanik honge so agar kuch match kar bhi jaata hai toh avoid it. Shruti ek upper high class society ki Brahmin family se belong karti thi. Uss waqt uski age 18 saal thi yu keh lijiye ki jawaani ki dehleez pe kadam rakh chuki thi aur khubsurat itni ki jab class mein aane ke liye apni gaadi se utarti toh saare ladke usey hi ghoorte rehte jaise woh bhanwre ho aur Shruti ek haseen sa khila hua phool. Par Shruti kisi se bhi baat nahi karti thi woh apne dost khud banati thi. Woh padhne mein itni tezz thi ki aaj tak usey teachers ke guidance ke alawa kisi se notes tak lene ki zarurat nahi padi. School mein bhi uske naam ki hi saheliyaan thi Rashmi aur Mona jo uski saheliyaan kam chamchi zyada thi. Kayi baar toh kuch ladkon ne seedha Love letter likh kar Mona ke zariye pahunchaya par unn ladkon ki bhi shaamat aayi kyunki Shruti ke father ki achhi pahunch thi aur woh uss ladke ka career poori tarah tabaah kar dete thhay jo unki beti par chance maarta. Shruti aur main same class mein thhay 12 class.

Yeh toh huyi ab tak Shruti ki baat ab meri baari.

Main Bilal Khan urf Bilal Badshah jo yahan ke mashoor local don cum MLA Ashrar Khan urf Ashrar Badshah ka janasheen jinki iss area mein bahut chalti thi sab mujhse ulajhne se darte thhay aur jo ulajhte thhay unko main unko suljhata tha ki dobara kisi se bhi ulajhna bhul jaaye. School mein sabhi mujhe jaante thhay aur mere Waalid ke naam se kaanpte thhay aur main bhi bachpan se bada khoonkhar tha, Illegal sangat mein rehkar ek tarah se waisa mindset ho gaya tha mera ya yu keh lijiye ki mere Waalid chahte thhay ki unke baad unki jagah main loon.

Main hamesha school apni bike par aata tha ek din aise hi school ke main gate par ek Car aakar space gher kar khadi thi aur main just uske baad wahan pahuncha maine turant horn dena start kar diya aur 2 se 4 gandi gaaliyaan bhi di.
Abey oye gaadi hata dikhta nahi kya tere baap ka gate hai saale jaanta bhi hai main kaun hoon ??
Tabhi uss gaadi se ek haseen si pari jitni sundar ek hoor pari hi keh lo utri. Ji haan woh Shruti hi thi jo meri taraf gusse se dekhte huye boli :- mere baap pe jaate ho abhi batati hoon ki kiska gate hai, aur raaste se ek patthar uthakar mere bike ke headlight par de maari jis se headlight toot gayi. Mera toh paara chadha gaya aur main bike se utra aur uski taraf badha hi tha ki uska driver cum bodyguard beech mein aa gaya aur mere saath uski maar peet dhakka mukki shuru ho gayi. Dhire dhire wahan sab log jama hone lage school ke official security ne uske driver aur mujhe chhuddaya. Main bahut gusse mein tha kyunki Shruti ke bodyguard ne mere chehre par punches laga diye thhay aur main sirf uski shirt phaadne ke alawa kuch nahi kar saka tha.

Baat phir mere Abbu aur Shruti ke Papa tak pahunchi aur dono ko bulawa bheja gaya tha. School authorities mere iss rawaiye se pareshan ho chuki thi isliye unhone mere Abbu se kaha ki woh mujhe hamesha ke liye nikaal rahe hain aur Shruti ke Papa ko yeh nasihat di ki ab Shruti ko usi school ke kisi alag branch mein daakhila le lena chahiye kyunki woh jaante thhay ki Shruti ko aur uski family ko mere Papa apni power aur position ke dum par yahan chayn se toh nahi jeene denge.

Shruti ke Papa ne iss Kolkata sheher ko Alvida kaha aur bina bataye kisi dusre sheher mein raaton raat shift ho gaye aur mujhe yahan school se hamesha ke liye nikaal diya gaya.

Main apne kamre mein akela baitha tha aur mera chehra chot se zakhmi tha main badle ki aag mein jal raha tha par ab Shruti na jaane kahan ja chuki thi uss waqt toh main bhi sirf uska naam hi jaanta tha aur kuch nahi kyunki mujhe bhi lafange baazi se fursat milti toh ladkiyon ke baare mein sochta na. Abhi main inn khayalon mein gum hi tha ki mere Waalid aa gaye.

Ashrar ( Mere Waalid ) :- Mere sar par haath pherte huay bole.
Mere bachhe tere chehre par laga zakhm ka hisaab abhi baaki hai woh hoga sabr rakh.
Allah Taala par yakeen rakh.
Tera baap tera badla bhale hi na le saka ho lekin upar waale par yakeen rakh woh saala sheher chhoddkar bhaaga hai desh chhoddkar toh nahi bhaaga na main uska apne network se pata laga hi lunga tu fikr mat kar. Chal dawa laga le beta uss haramzaade ne tere chehre par nahi mere seene par waar kiya hai. Tu chal uth dawa laga le Hakeem sahab se aur kuch kha le.

Bilal :- Mujhe bhukh nahi hai Abbu jab lagegi tab kha lunga aur aap inn zakhmon ki nahak hi parwah kar rahe hain yeh toh chhoti si kharoche hain main aap jaise Sher ki aulaad hoon iss se bade bade zakhm seh sakta hoon.

Asrar :- Subhanallah ! Waqayi tu mera naam raushan karega.

Yahan Delhi mein :-

Mohanlal Pathak aur unki family
Mohanlal Pathak
Age 40
Ritu Pathak
Age 36
aur Shruti Pathak ke baare mein toh aap jaan hi chuke hain.

Mohanlal aur Ritu aapas mein kuch baatein kar rahe thhay Delhi land hone ke baad.

Ritu :- Suniye ji hum yahan itni dur shift ho gaye woh Gunda yahan Delhi tak toh nahi chala aayega na ?

Mohanlal :- Aray tum bhi kya khamkha baat lekar baith gayi ab hamara future Delhi hai aane waale kal ke baare mein socho na ki jo beet gayi ab hamari Beti Shruti ke baare mein socho uska future banana hai waise bhi achha hi hua kisi bahane toh humne hawa paani badla aur Kolkata se baahar shift huay.

Shruti tabhi uth gayi uski aankh khuli toh usne apne aap ko apne naye ghar mein paaya woh ab tak soyi huyi thi. Woh lambe safar ke thakaan se chur thi. Tabhi uska cell phone bajne laga uthakar dekha toh Rashmi ka naam blink ho raha tha.

Phone receive kar ke :- Hello ! Haan bol Rashmi kaise phone kiya ?? Aur suna sab theek hai na ??

Rashmi :- Kya khaak theek hai panga tune liya aur qeher hum sab par toot raha hai tu pata nahi raaton raat kahan gayab ho gayi yahan Asrar Khan ke gundon ne poora school jala daala. Students aur teachers ke saath maar peet ki. Hum bhi aur Mona ki family bhi yeh sheher chhoddkar kahin aur ja rahe hain yeh sab teri vajah se hua Shruti aainda future mein kabhi mujhe ya Mona ko call karne ki galti mat karna tera hamse koi waasta nahi.

Yeh kehkar Rashmi ne call cut kar diya aur Shruti ke toh gusse ka thikana na tha.

Yeh Asrar Khan zarur us kaminey ladke ka kuch lagta hoga, Hadd hai Gunda gardi ki ! Hey Bhagwaan yeh ladka dobara zindagi mein mujhe kabhi na mile varna main nahi jaanti ki main iska kya karungi.

Idhar Kolkata mein :- School mein tod fod aag jani aur maar peet ke jurm mein Abbu ko Jail ho gayi unse istifa le liya gaya MLA ki kursi chhin gayi. Ghatna din dahade huyi thi gawaah dher saare thhay Abbu ko 35 saal ki saza huyi.

Ab mera gussa saatve aasman par tha main kahin se bhi Shruti ko dhundhkar usko sabak sikhana chahta tha. Badla lena chahta tha kyunki Abbu aaj iss haalat mein usi ki vajah se thhay varna mushkil se mushkil waqt mein apna aapa na khone waale Abbu aaj apne bete ke pyar mein aapa kho baithe.

Doston filhaal yahin tak aage ke update chahiye toh bataiyega ki kahani kaisi lagi.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: prasha_tam

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
Sorry Bhai jaan aapne comment kiya aur mere notification mein show nahin kar raha isliye mujhe laga kisi ko meri story pasand nahi aa rahi isliye maine likhna chhodd diya tha.
 

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
Thanks for the comment aise hi comment karte rahiyega aur dusro ko bhi meri story suggest kijiyega taaki likhne ki motivation mile.
Main jald hi dusra update deta hoon.
 

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
update regularly
Dunga Bhai shaam tak update de dunga Bas likes aur comments aane chahiye woh toh koi karta nahi but story padhni sabko hai.
 

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
Kehte hain waqt ke paas har ghaav ka marham hota hai jo zakhm ko bhar deta hai, lekin kuch zakhm aise hote hain jo waqt ke saath aur gehre hote jaate hain. Jail mein Abbu ko political mafia aur unke kuch local competitors ne Jail ke andar hi apni zehrili sajish ka shikar bana diya sirf itna hi nahi mujhe maarne ki koshish bhi ki gayi lekin mere Abbu ke kuch wafadar logon ki vajah se main bach nikla aur mujhe bhi sheher chhoddna pada.

Sahi kaha hai kisi ne iss duniya mein sultanate sirf uss upar waale ki hai jiska koi kuch nahi bigaad sakta baaki sab jo iss galatfehmi ka shikaar hain ki woh apni sultanate ke Badshah hain unko mere hashra se sabak lena chahiye ki kuch bhi iss duniya mein hamesha ke liye nahi hai woh ( Allah ) chahe toh ek pal sadak mein par la de.

Kahan main soch raha tha ki Abbu ke mukhbir aur unke network ke zariye Shruti aur uske khaandaan ko dhundh nikalunga aur unke aashiyane ko jala kar raakh kar dunga aur kahan mera hi aashiyana ujad gaya.

Meri madad mere ek dost Ilyeas ne ki jo Indore mein rehta tha aur yahan ki gang mein chhutwaiya mawaali tha lekin tha mere liye farishta jisne mujhe sar chhupane ke liye chhat di kyunki ab toh na mere paas ghar tha aur na hi shaano shaukat waali zindagi.

Sirf ek uss ghatna ne ya phir yu kahoon ki uss ladki ne meri poori zindagi ko jahannum mein tabdeel kar diya tha.
Mere dil mein Shruti ke liye ab nafrat hadd se jiyada thi uss raat main maut ke mooh se nikal kar apna sab kuch chhoddkar, apne bachpan ka sheher, ghar, gali, dost yeh sab pichhe chhoddkar yahan tak ke apne Abbu ki yaadon ko bhi chhod Indore aana pada.

Mujhe aadhe raaste tak Abbu ke logon ne hi chhodda tha via road wahan se mere dost Ilyeas ke logon ne mujhe pick kiya saath mein Ilyeas bhi tha isliye jab maine uski apne dost ke roop mein haami bhari tabhi mere Abbu ke logon ne mujhe uske saath jaane diya.

Uske baaki ke log dusri gaadi mein thhay aur main Ilyeas ke saath dusri gaadi mein.

Main bhaagte bhaagte thak chuka tha aur gaadi mein baithne ke baad haanf raha tha tabhi Ilyeas ne baat shuru ki.

Ilyeas :- Tu darr mat Bilal ab tu safe hai kuch hi waqt mein hum Madhya Pradesh ke border mein honge lekin yeh sab achanak hua kaise.

Usne mujhe paani dete huay puchha !!

Bilal :- Indore pahunchkar sab batata hoon filhaal mujhe sone de aur paani peekar main gaadi mein hi so gaya aur kuch hi ghanto ki long drive ke baad subah ke 5 baje hum Ilyeas ke ghar pe thhay.

Ghar kya ek chawl keh lijiye jiske pehle maale ke ek kamre mein Ilyeas rehta tha usne darwaza khola hum andar aaye usne mujhe aaram karne ko kaha aur kehkar kuch khaane peene ka bandobast karne chala gaya.

Uske 8×10 ke kholi mein sirf ek hi bistar tha jispar main lait gaya aur apni hi soch mein doob gaya kamre mein chhayi shaanti mein main phir se uss din waali ghatna ke baare mein sochne laga jiski vajah se aaj yeh naubat aayi thi. Kaise ek pal mein ho gaya na sab kuch maine horn bajayi gaaliyan di usne bike ka kaanch toda mujhse jhadap ho gayi mera school se nikaala jaana uska bhi sheher chhodd dena phir Abbu ka Jail jaana unka intekaal mera Kolkata se bhaag kar Indore aana.

Woh toh apni duniya mein khush hogi lekin main toh........ Kehte huay mere gaalon se aansu dhulak aaye.

Jab insaan ki zindagi mein itni buri ghatnayein ghat rahi ho toh usey lafzon mein bayaan karna kitna mushkil hota hai uss insaan ke liye yeh woh hi jaanta hai. Maine turant aansu pochhe aur uth kar baith gaya dekh toh ghadi mein subah ke 6 baj gaye thhay savera poori tarah se apne charam par aa chuka tha yaani Suraj apni laali bikher raha tha.

Bilal :- Raat toh dhal gayi Shruti aur Savera bhi ho gaya lekin meri zindagi mein Raat ke andheron ko chhoddkar apne saath jo Savere ka ujala tum le gayi ho.
Kasam khuda ki isey main apni taqat se palat dunga chahe kitna bhi waqt lage lekin tumhein ab dhundh nikalna hi meri zindagi ka maqsad hai.

Friends abhi filhaal jaldbaazi mein ek short update diya hai aaj hi ek aur update dunga. Kahani kaisi lag rahi hai apne likes aur comments ke zariye bataiyein warna likhne ka motivation nahin milta hai so please story ko read karke sirf chhoddiye mat apna ek like chipka dijiye aur zyada pasand aati hai toh comment kijiye taaki aur bhi achhe se likhne ka motivation mile kyunki sochkar likhne mein bahut time lagta hai aur waqt nikalkar likhna padta hai doston.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: prasha_tam

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
Doston agar agla update chahiye toh apna beshkimti comment dijiye aur bataiye kahani aapko pasand aa rahi hai ya nahi ??
 

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
Dunga Bhai shaam tak update de dunga Bas likes aur comments aane chahiye woh toh koi karta nahi but story padhni sabko hai.
Bhai update aa gaya hai padhkar batao kaisa hai aage bhi dunga agar achha lagta hai toh
 

Passionate Writer

I write the story with full dedication & passion.
56
62
19
update regularly
Bhai update aa gaya hai padhkar batao kaisa hai aage bhi dunga agar achha lagta hai toh
 
Top