UPDATE - 101
Nagarjun muskrate hue– tum gusse me bahot khubsurat lagti ho shalaka………..
Shalaka – achha , to kya mae waese khubsurat nahi lagti?
……. koi andha hi hoga jo tumhe khubsurat na kahe. Nagarjun ne uski ankho me dekhte hue kaha.
Lekin tum to ankho wale ho fir bhi kabhi tareef to nahi ki meri shalaka ne bhi usi tarah nagarjun ki ankho me dekhte hue kaha.
…. tum ek rajkumari ho, mae tumhare samne kuchh nahi bhala mae kaese tumahri tareef kar sakta hu?
….aaj bola hae fir kabhi aesa mat bolna nagarjun, aur mae tumahre liye koi rajkumari nahi hu samjhe. Hum to ab tak bahot ache dost hae na? kabhi mene rajkumariyo wali koi harkat ki hae kya? Shalaka ne mooh fulate hue kaha.
achha baba nahi karuga aesi baat aage se. maaf kar do ab mujhe nagarjun ne bhi kano ko hath lagate hue kaha
aese nahi tumhe to saja dugi mae, maaf nahi karugi tumne aesa bola kaese.
….. ok manjur hae bolo meri saja kya hae? Nagarjun ne ab hathiyar dal diye the.
kal tum sirf wo pahnoge function me jo mae kahugi shalaka ne adhikar se kaha aur muskrane lagi.
ohh god itni badi saja? Chalo thik hae batao kya pahanna hea mujhe kal?
Shalaka wahi rakhi almari se ek suit nikal ke nagarjun ko deti hae.
ye lo kal tum ye pahnoge.
ye kab liya tumne? Nagarjun suit ko aplta palta ke dekhte hue bola
jab mae shoping karne gayi thi to tumhare liye le liya tha. Kyu ki tumhe to shoping karne ki fursat thi nahi tum yaha jo busy ho gaye the ab apne dosto ka itna khayal to rakhna hi padta hae na.
….. are waah par mere liye kyu liya tumne ye mae kuchh bhi intjam kar leta yaar?
…..sawal nahi bas maene kaha na kal tum ise pahnoge, to pahnoge baat khatam. Shalaka ne ankhe tarerte hue hokum suna diya.
ok , par tum kya pahnogi kal?
Shalaka ne usi almari se apna dress nikal ke dikhaya wo bhi same tha mehroon colour ka eavning gown
wowwww its to beautifull bahot achhi lagogi tum isme
….ek kam karte hae mae ise pahanti hu tum bhi mujhe ye suit pahan ke dikhao shalaka ne chahkte hue kaha
kya abhi? Are rahne do na kal pahnuga to dekh lena. Nagarjun talne laga
……nahi mae chahti hu ke tumhe is suit me sabse pahle mae hi dekhu. Jo kal possible nahi hoga. Aakhir maene khareeda hae tumahre liye itna huq to banta hae. Aur mae ye bhi chahti hu ke meri is dress me sabse pahle tum mujhe dekho. Chalo change kar lete hae aur nayi dress pahan ke dekhte hae.
to kya ise tum mere samne yahi pahnogi? Nagarjun ne shalaka ko chhedte hue kaha. Aur muskrane laga.
Shalaka nagarjun ki ankho me dekhte hui……… kya tum aesa chahte ho?
……………………….. Nagarjun sirf shalaka ki ankho me dekhta rahta hae kuchh kah nahi pata.
…….filhal to mae ise bathroom me pahnti hu tum yahi change karo bad me soch ke batana fir kabhi. Kyu ki new dresses to aati rahegi na.
Itna kah kar shalaka wo dress leti hae aur bathroom me ghus jati hae aur nagarjun use jate dekhta rahta hae. fir wo bhi apne kapde utar ke shalaka ka diya hua suit pahan leta hae. ek dam groom suit tha. mehroon clolour ka pent, blazer, same colour ki satin ki shirt aur tie, sab kuchh pahan lene ke bad wo shoes bhi pahan leta hae aur shalaka ka wait karta hae. thodi hi der me shalaka bahar aati hae wo behad khubsurat lag rahi thi us eavning gown me.
Nagarjun to ankhe fade shalaka ko dekhta rah jata hae jisme se uske unnat uroj bhi kuchh dikh rahe the. Aur un dilkash urojo ki gahri ghati bhi. Ek dam tane hue uroj. Peeche uski gaand ek dam ubhri hui. patli kamar aur lambe ghane kale baal jo khule hue the .
Shalaka - aese kya dekh rahe ho kaesi lag rahi hu mae is dress me?
N – awesome yaar….. you are so much hot . bahot khubsurat lag rahi ho. Kal khud ko bacha kar rakhna kahi kisi ki najar na lage tumhe.
S – tum ho na mujhe sabki najar se bacha ke rakhna .
N – jaroor, ab ye batao mera dress kaesa lag raha hae?
S – tum to dulhe lag rahe ho is dress me. Dekhna kahi kal hi tumse koi shadi ke liye na kah de.
N – jise kahna hae jab wo kahegi tab hi mae shadi karuga. Yu kisi ke bhi kahne se nahi.
S – achha? kaun hae wo hame bhi batao hum tumhari sifarish kar dege.
N – batana hi hota to itna samay intjar nahi karta.
S – to ab mat karo intjar use kah do varna kahi der na ho jaye ab samay jyada nahi bacha .
Dono ek duje ki ankho me hi apne apne sawalo ke jawab dhundhne me lage hue the. Lekin dono me se ki bhi dhundh nahi paa raha tha.
N – ab tum jao change kar lo aur so jao kal bahot kaam hae.
S – hum yahi so jate hae na
N – thik hae jaesi tumahri marji. Yahi so jao bed pe. Mae dusre pe so jata hu.
Fir dono hi change kar lete hae aur Nagarjun ek bar suraksha vyavastha par fir se bareeki se najar maar ke so jata haes shalak bhi dusre bed pe leti hui thi, nind to inhe bhi nahi aa rahi thi dono hi apne apne bistar pe karwate badalte rahe aakhir aadhi rat ke baad ja kar unhe bhi nind aayi.
Dusre din subah se hi sab taiyar hone me lage hue the nishchit samay par sare mehman deva ke bangle pe aa jate hae jisme haweli se bhi sab shamil the. Us ke baad teeno hone wali dulhane aati hae fir Pooja aur hawan hota hae. isi sab me dophar ho jati hae. teeno dulhe aur teeno dulhane bahot hi shandar lag rahe the. Fir teeno jode ek duje ko mala pahnate hae. fir aati hae anguthi pahnane ki bari.
DN – are savitri deva aur payal ko anguthiya do , aur padma bahan aap bhi bachhiyo ko anguthiya do to ye rasam bhi poori ho jaye.
Tabhi maharaj BS - kshama chahte hae Deenanath ji lekin ye soubhagya hame de. Ham bachho ke liye anguthiya laye hae agar aap logo ki ijajat ho to ye wali anguthiya hi bachhe pahnaye ek duje ko.
DN – are bhai saab aapne kyu takleef ki?
SD – kamal karte hae DN ji bhala isme takleef kaesi kya hamare bachhe hamse naguthiya nahi le sakte? Are bhai ye to inki hi hae. Inka haq hae in par. Aakhir ye log hum se alag to nahi.
DN – Bilkul sumant dev ji jaroor. Aapne sahi kaha.
Aur fir maharj BS ne dev ko wahi hiro se jadi sone ki anguthi di jo pichhli bar usne poonam ko pahnai thi.saath hi rudra ko bhi waese hi anguthi di aur SD ne poonam ko pichli bar wali anguthi di. Sath hi unhone payal aur nilam ko bhi waese hi hero se jadi sone ki anguthi di. Teeno jodo ne ek duje ko anguthiya pahna di. Aur taliyo ki gad gadahat ke saath unki sagai sakushal sampanna hui.
Lekin itni bhari aur itni keemti anguthiya sare gaanv me charcha ka Vishay ban gayi.
DN – maharaj aapne bachho ko itni keemti anguthiya kyu di. Iski kya jarurat thi.
BS – bachho se keemti bhi bhala kuch hota hae kya DN ji? Aur aesa kah kar aap hame paraya kar rahe hae.
DN – mae apne shabdo ke liye mafi chahta hu aapka poora haq hae lekin fir bhi ye anguthiya to bahot jyada keemti hae. aapko yakeen anhi hoga is ek anguthi ki keemat me ye poora gaanv khareeda ja sakta hae.
SD – is anguthi se hamare bachho ko khushiya mil jaye to ham samjhege hamne poori duniya hi khareed li DN ji ab chhodiye bhi in anguthiyo ki baate. Aaiye kuchh kha lete hae badi bhukh lag rahi hae.
Fir ye teeno yu hi ghumte hue kuchh khane lagte hae. udhar dono maharania bhi ladies ke saath baethi thi aur waha bhi charcha ka Vishay wahi anguthiya thi. ise sare gaanv ki aurate poonam aur nilam ki anguthiya dekh dekh kar lalcha rahi thi. kyu ki anguthiya behad shandar thi hi. Halaki payal ko ramu ne ek sone ki anguthi hi pahnai thi. jo ki jahir hae un anguthiyo ke samne kuchh nahi thi. lekin payal ko maharani kaushaya aur neelmani ne sone ka set aur dusre heere jadit gahne diye the jo ki use bhi khas bana rahe the. Kul mila kar teeno ladkiya is samay poore gaanv walo ki najro me apsaraye lag rahi thi. aur wo sabhi inke gahno ki aur inki tareefe karte nahi thak rahi thi.
Udhar……………..