UPDATE - 102
Udhar……. jab se channo aayi thi gurum usi me khoya hua tha. Aur mouke ki talash me tha ki kab use akele me channo se baat karne ka mouka mile lekin sagai ke kamo me use fursat hi nahi mil rahi thi. aur jab wo free hota to channo ko dusri ladies gher ke baethi milti. Aakhir sagai ke baad jab sare log khana khane gaye to channo gurum ko dhundhne lagi jo kuchh doori par ek ped ke neeche baetha tha aankhe band kiye hue. Asal me wo ankhe band kiye hue bhi apni shield cover ko hi check kar raha tha aur bahri khatro pe hi najar laga ke baetha tha jo ki use door tak najar nahi aa rahe the. Tabhi kisi ne use kandhe se pakad ke hialaya to uska dhyan toota
Gurum – hmmm kaun? Are channo tum, aao aao mae tumhara hi intjar kar raha tha.
Channo - mera intjar yu ankhe band kar ke? bhala kyu?
Gurum – yu hi bas tumse baat karne ko ji chah raha tha lekin tumhe to fursat hi nahi subah se dekh raha hu.
Channo – achha ji subah se aap mujhe dekh rahe the. DevaBhaiya ko batau kya?
Gurum hans kar – bata do mae koi tumhe chura ke thode hi le ja raha hu mae to bas dekh raha tha ke kab tumhe samay mile aur tumse baat kar saku?
Channo – aesi kya baat hae jis ke liye pareshan the aap?
Gurum – channo aaj inhe ek bandhan me bandhte hue dekh kar mujhe ye ahsas hua ki ye bandhan har kisi ke liye kitne jaruri hote hae is bandhan ke bina jindagi adhuri hae na
Channo – aap sahi bol rahe hae gurum, lekin jaruri nahi ki har kisi ko ek aesa jeevan sathi mile jaye jis ke saath wo befikar ho kar apni poori jindagi bita sake kuchh aese bhi abhage is duniya me hote hae jinhe unke jivan sathi hi majhdhar me chhod ke chale jate hae duniya ki thokre khane ke liye .
Gurum – channo aesa kyu kah rahi ho?
Channo - chhodiye gurum ji. Kuchh aur baat kijiye na
Gurum – ok to fir ab mujhe apne bare me batao mae aaj tumhe janna chahta hu.
Channo – gurum ji baat ghum fir ke wapas wahi aa gayi , aap mujhe janne ki baat chhodiye, aur ye bataiye ab aapne aage ka kya socha hae kuch karna hae jindagi me ya yahi isi gaanv me basne ka vichar hae?
Gurum - vichar to duniya ko muthhi me karne ka hae par samajh nahi aata kis ke liye karu ye sab. koi hae bhi to nahi mera jis ke liye mae kuchh karu.
Channo – fir to aapko shadi kar leni chahiye wo bhi jaldi hi.
Gurum – channo, abhi maene tumse tumhare bare me janna chaha to tumne mujhe is kabil nahi samjha ke mujhe kuchh khud ke bare me bata bhi sako bhala koi ladki mujhe apni jindagi me kya shamil karegi?
Channo – ye aap kaesi bate kar rahe hae gurum ji. Bhala mae hu hi kya jo aapke samne bhi khadi rah saku? Aap kabil ki baat karte hae mae to ye soch rahi hu ke mae kisi kabil nahi aur meri jindai ki bekar ki bato se aap bor ho jayege , aur fir mae aapko apni bate bata ke bor nahi karna chahti bas isiliye kuchh nahi kaha lekin aap to khud apne aap me bahot ache hae. aapko pakar to kisi bhi ladki ki jindagi sawar jayegi. Wo to koi khushkismat hi hogi aur sabse badkismat wo hogi jo aapko inkar kare.
Gurum ne achanak channo ka hath apne hatho me le liya
Gurum – channo mae nahi janta tum kya ho, kaun ho, aur tumne ab tak kaesi jindagi ji hae mae kuchh nahi janta tumhare bare me lekin fir bhi aaj mae bina kuchh jane tumse tumhara hath mangta hu. agar tum mujhe is kabil samjho to ….
Channo ki ankho me ansu aa jate hae– gurum ji maene kaha na abhi ke wo koi badkismat hi hogi jo aapko inkar kare. To dekh lijiye mae hi hu wo badkismat ladki. Jis ke samne khushiya darwaja peet rahi hae aur wo khushiyo ke liye darwaja nahi khol rahi. …. Ji ha gurum ji. Mae aapke jajbato ki ijjat karti hu lekin ye sambhav nahi hae. mae aap ke pyar ke layak nahi hu. Mujhe itni ijjat na dijiye. Mae is kabil bilkul nahi hu.
Gurum – channo ro mat. Maene tumhe ab tak nahi jana sirf mere dil ne tumhe chaha hae aur maene tumhare samne apne dil ki baat rakhi hae. mae koi tum par taras kha kar tumhe apnana nahi chahta aur na hi mujhe kuchh bhi janna hae tumhare bare me. Bas tum mera hath tham lo. mujhe aur kuchh nahi chahiye.
Gurum apna hath aage kiye baetha tha lekin channo sirf roye ja rahi thi. aur tabhi wo ek dam se uthi aur palat ke aage badh gayi gurum ki najre jameen ki taraf hi thi aur uski aankho se bhi do boond ansu tapak pade. Tabhi
Deva – ye kya ho raha hae bhai dono hi ro rahe ho meri sagai me. Mujhe sagai nahi karni chahiye thi kya ? kyu gurum kya kahte ho?
Gurum – are deva bhai kaesi baate karte ho aap. Bhala meri poonam bhabhi jaesa koi hae kya poore bramhand me. Aap dono to ho hi ek duje ke liye. To aap logo ke rishte pe mae kyu rouga. Mae to bas yu hi.
Deva channo ko kandhe se pakad ke gurum ke paas aata hae.
Deva – maene sab sun liya hae, channo tum bekar me chinta kar rahi ho. Bhagwan ek darwaja band karta hae to dusra usse bhi behtar darwaja kholta hae gurum ka hath tham ke tum jindagi ki sari khushiya paogi ye ek bhai ka vada hae. jao aur gurum ka hath tham lo khush raho beta. Itna kah kar deva channo ka hath gurum ke hath me de deta hae. aur channo ke sir pe hath fira deta hae.
Deva – meri bahan ka khayal rakhna gurum. Ab mae chalta hu tum dono ki wajah se apni hone wali dulhan ko akela chhod ke aana pada mujhe. Ab tum log baeth kar bate karo mae chalta hu.
Itna kah kar deva jane lagta hae to gurum aage bad ke deva ke gale lag jata hae aur channo bhi deva ke gale lag jati hae aur rone lagti hae.
Gurum – thank you bhai thank you very much aapke kitne ahsan ho gaye mujh par. Jis tarah bhagwan sirf deta hi hae bina kisi swarth ke usi tarah aap bhi mujhe bas diye ja rahe ho pahle ek achhi jindagi, fir apni dosti aur bhai jaesa pyar, fir itna achha pariwar aur ab channo ke roop me aapne mujhe meri saanse de di jeene ka sahi maqsad de diya.
Deva – chal be imotional mat ho. Kuch nahi kiya maene. Chalo thodi der ke baad andar aa jana mae chalta hu.
Fir deva andar chala jata hae. aur gurum channo ka chehra utha ke upar karta hae aur uske galo pe bahte aansu apne hotho se chus leta hae. aur tabhi channo gurum ke gale se lag jati hae aur rone lagti hae.
Gurum bhi uski peeth sahlate hue – are ab kyu ro rahi ho ab to trumhare bhai ne hi tumhara hath mere hath me diya hae na. ab to tumhe koi etraj nahi na.
Channo ke hotho pe muskan aa jati hae. wo garden hila kar na me ishara karti hae.
Channo – gurum bhai ne mera hath aapke hath me de to diya hae aur mae bhi bhai ki bahot ijjat karti hu mae unke faisle ko inkar nahi kar sakti lekin mae chahti hu ke aap ab mere bare me sab jan lo aur fir faisla karo ke kya aap mujhe apni jeevan sathi banana chahoge ya nahi. Kyu ke sab janne ke baad agar aap chaho to mujhe abhi chhod skate ho mujhe bura nahi lagega. Aur mae deva bhaiya ko bhi samjha dugi unke man me aap ke liye koi burai nahi aayegi. Aakhir ye aapki poori jindagi ka sawal hae kisi dabav me shadi jaese mamlo ke faisle kar lena uchit nahi .
Gurum – to shuru karo kah do jo kahna chahti ho. Mae sun raha hu.