• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,005
173
UPDATE – 100 (CENTURY)



Tabhi ek police ki jeep aakar deva ke bangle ke samne rukti hae. sare guards satark ho jate hae. aur gate khol dete hae. to gadi andar jakar porch me rukti hae samne hall me sabhi log baethe the. To sabki najar bahr jati hae……..



DN – deva beta ye police yaha kyu aayi hae?



Deva bahar dekh kar muskra deta hae. – kuchh nahi babu ji ye bhi hamare mehman hi hae sagai me aaye hae.



Jeep se kaveri utarti hae police ki vardi me aur hall me aakar sabse milti hae



Kaveri – kya deva itni jaldbaji me bulwa liya are pahle se bata dete to taiyari se aati mae bhi.



Deva – tumhe taiyari ki kya jarurat hae jyoti hae na tumhare liye tumhari sari taiyraiya to ek prakar se hui padi hae. waese akeli kaese aayi tumahre pati dev nahi aaye?



Kaveri – are unhe duty se fursat kaha. Isiliye mae hi chali aayi.



Deva – achha kiya ab aao baetho pahle nashta kar lo fir mae tumhe haweli chhod aauga.



Fir kaveri waha sab ke saath baeth jati hae baate karne aur nashta kar ke free hoti hae aur fir diya use andar le jati hae to waha use ladies ke saath koi ek ghanta lag jata hae bato me. Fir deva use apni gadi me bitha kar haweli chhod aata har aur ek bar fir se sabko kal time se aane ka bol deta hae.



Isi tarah ki taiyariyo me din nikal jata hae. mehman sare aa hi chuke the. Devki ke ghar se bhi sab aa chuke the jo ki poonam ke ghar pe hi ruke the. Aur deva ke nanihal wale bhi sab aa gaye. aur rat me sab k saath khana khane ke baad deva apne room me chala gaya. Aaram karne. Poore gaanv me dheere dheere sannata pasarne laga. Rasoiye subah jaldi aane wale the jinhe gurum aur nagarjun hi sambhalne wale the. nilam poonam ke paas thi, aur rudra deva ke room me so raha tha. Deva ko jane kyu nind nahi aa rahi thi. to wo chhat pe chala jata hae. aur tahalne lagta hae. thodi der ke baad use chhat pe aahat sunai deti hae. wo dekhta hae ke diya aayi hui thi.



Diya – kya hua deva tu yaha kyu tahal raha hae?



Deva – bhabhi bas yu hi nind nahi aa rahi thi. socha tahal lu. Par tum kyu jag rahi ho is waqt?



Diya – nind to mujhe bhi nahi aa rahi thi. mae apne room se nikli hi thi ke tujhe upar aate dekha isiliye mae bhi upar aa gayi ek baat bataoge?



Deva – ha kyu nahi , poocho na?



Diya – mujhe ye dono maharaj aur maharaniyo ki teri kahani kuchh hajam nahi hui. aur us din aesa kuchh nahi hua tha ye mae bhi janti hu agar hua hota to mujhe tu ya poonam kuchh na kuchh jaroor batate, aakhir chakkar kya hae kaun hae ye log aur itne important kaese aur kyu hae tere liye ke tune inki wajah se babu ji se jhooth bola?



Deva – aap sach kah rahi hae. aapka shaq aur aapki soch sab sahi hae. mae vada karta hu ke aapko sab sach bata duga lekin bas kal ka din nikal jane do. Aur mere ek jhooth se agar itne sare chehro pe khushiya aa rahi hae. aur kisi ka koi nuksan nahi ho raha to aesa jhooth to achha hi hu na bhabhi?



Diya – bat to teri sahi hae aur maene bhi yahi socha isiliye sab ke samne kuchh nahi kaha. Waese ye log jo bhi hae bahot ache hae. tumhe to sach much apne bete ke jaesa hi chala rahe hae. maharani nilmani to tujhse aese baat kar rahi thi jaese sach me tumhari maa hi ho.



Deva – maa to maa hi hoti hae na uska swabhav kabhi badal sakta hae kya?



Diya – kya matlab? mae samjhi nahi.



Deva – aapse kaha na maene bhabhi ke mae aapko sab sach sach bata duga abhi aap pareshan mat ho aur ha un me se kisi ko bhi kisi cheez ki kami na hone paye is baat ka aap dhyan rakhna kyu ke agar wo mere maa baap hae to aapke to ek tarah se saas sasur hi hue na to ab apne saas sasur ka dhyan rakhna poora poora. Samjhi darling



Diya muskrate hue – ji mere munne ke papa jaroor dhyan rakhugi apne naye saas, sasur ka.



Fir deva diya ko gale se laga leta hae aur use lip kiss karta hae. thodi der ke baad deva use chhod deta hae.



Deva – ab aap jao aur aaram karo aapko jyada der jagna nahi chahiye.



Diya – kal to tumhe bhi din bhar aaram nahi milega. Jakar so jao tum bhi . ya mood ho to yahi so jaye dono subah jaldi neeche chale jayege.



Deva – nahi mae apne hone wale bachhe ki maa ko itne kathor farsh pe sula ke use pareshan nahi karuga. Ha pareshan karna hi hoga to makhmal ke bistar pe lita kar pareshan karuga . samjhi meri jaan. Ab jao aaram karo.



Diya fir deva ke gale lag jati hae aur fir apne kamre me chali jati hae. deva nagarjun se sampark karta hae.



Deva – nagarjun…………..



Nagarjun – kya hua dev sab thik hae na?



Dev – ha bhai sab thik hae tumne poore intjam kar diye hae na?



Nagarjun – ha dev maene sab intjam kar liye hae koi tension nahi hae. abhi Mumbai se koi khatra nahi hae aur na hi aghori se. Sab par hamari poori najar hae is bar koi laparwahi nahi hae hamari taraf se agar kisi ne koi choo chaa ki to fad dalege salo ko fir jise jo samjhana hoga dekha jayega. Par ummid nahi kisi ke action me aane ki sab apbni hi taiyariyo me hae. Jo ki hae to hamare khilaf hi lekin filhal kuchh nahi karne wala koi. Aghori kal jinn lok gaya tha jinn badshah se milne lekin abhi tak uski taraf se jaldi attack ka koi sanket nahi hae,



Deva – tum poore area ko shield cover kar do is waqt koi bhi yaha dhyan dega to samajh jayega ke yaha bahot sari shaktiya ikatthi hae. dono maharaj maharani, mae rudra tum poonam nilam shalaka gurum sab ki shaktiya door se hi samajh aa jayegi un logo ko .



Nagarjun thik hae deva mae ek khas suraksha chakra laga deta hu. jisse yaha ki shaktiyo ki bhanak bahar na jaye.



Deva – bas pita ji maharaj ka group yaha se sakushal chala jaye fir un logo ko dekh lege. Mae nahi chahta pichhli bar ki tarah aghori ya koi aur akraman kare.



Nagarjun - tum chinta mat karo. Mae shield cover de hi raha hu. Usi kam me laga hua hu mae bhi. Waese bhi fakeer baba hae hi unhone is taraf soch kar pahle se sabki shaktiya adrashya hi ki hui hae unhone mujhse baat ki thi.



Deva – thik hae kal puri tarah sawdhan rahna.



Nagarjun - thik hae deva mae shalaka aur gurum teeno sambhal lege hum log jyada sawdhan rahege kal. Tum chinta mat karo pichhli bar ki tarah is bar us aghori ko koi mouka nahi milne wala hae pichhli bar hum me se koi bhi is taraf soch kar sawdhan nahi tha jab ke usne tumhare sagai wale din hamle ki poori yojna banai hui thi. isiliye wo safal raha. Par is bar usne wahi kadam uthaya to apni mout ko dawat hi dega samjho. Aur usse aesi bewakoofi ki ummid nahi hae. kyu ki is bar hum me se koi bhi asawdhan nahi hae. tum aaram karo.



Deva – thik hae sare intjam kar ke tum bhi so jao. Aur shalaka ko bhi sone do



Fir deva bhi apne kamre me aakar so jata hae.



Idhar nagarjun aur shalaka basement wale room me baethe aaram kar rahe the.



Shalaka - kya hua deva se kya baat ho rahi thi?



Nagarjun – kuchh nahi deva ko chinta ho rahi thi ke pichhli bar ki tarah koi khatra na aa jaye kal ke din usi Vishay me baat kar rahe the.



Shalaka – pahli bat to aesa hoga nahi aur agar kal us sale aghori ne ya kisi aur ne kuchh kiya to unki to mae faad ke rakh dugi



Nagarjun muskrate hue– tum gusse me bahot khubsurat lagti ho shalaka………..
Laajwaab update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,005
173
UPDATE - 101



Nagarjun muskrate hue– tum gusse me bahot khubsurat lagti ho shalaka………..



Shalaka – achha , to kya mae waese khubsurat nahi lagti?



……. koi andha hi hoga jo tumhe khubsurat na kahe. Nagarjun ne uski ankho me dekhte hue kaha.



Lekin tum to ankho wale ho fir bhi kabhi tareef to nahi ki meri shalaka ne bhi usi tarah nagarjun ki ankho me dekhte hue kaha.



…. tum ek rajkumari ho, mae tumhare samne kuchh nahi bhala mae kaese tumahri tareef kar sakta hu?



….aaj bola hae fir kabhi aesa mat bolna nagarjun, aur mae tumahre liye koi rajkumari nahi hu samjhe. Hum to ab tak bahot ache dost hae na? kabhi mene rajkumariyo wali koi harkat ki hae kya? Shalaka ne mooh fulate hue kaha.



achha baba nahi karuga aesi baat aage se. maaf kar do ab mujhe nagarjun ne bhi kano ko hath lagate hue kaha



aese nahi tumhe to saja dugi mae, maaf nahi karugi tumne aesa bola kaese.



….. ok manjur hae bolo meri saja kya hae? Nagarjun ne ab hathiyar dal diye the.



kal tum sirf wo pahnoge function me jo mae kahugi shalaka ne adhikar se kaha aur muskrane lagi.



ohh god itni badi saja? Chalo thik hae batao kya pahanna hea mujhe kal?



Shalaka wahi rakhi almari se ek suit nikal ke nagarjun ko deti hae.



ye lo kal tum ye pahnoge.



ye kab liya tumne? Nagarjun suit ko aplta palta ke dekhte hue bola



jab mae shoping karne gayi thi to tumhare liye le liya tha. Kyu ki tumhe to shoping karne ki fursat thi nahi tum yaha jo busy ho gaye the ab apne dosto ka itna khayal to rakhna hi padta hae na.



….. are waah par mere liye kyu liya tumne ye mae kuchh bhi intjam kar leta yaar?



…..sawal nahi bas maene kaha na kal tum ise pahnoge, to pahnoge baat khatam. Shalaka ne ankhe tarerte hue hokum suna diya.



ok , par tum kya pahnogi kal?



Shalaka ne usi almari se apna dress nikal ke dikhaya wo bhi same tha mehroon colour ka eavning gown



wowwww its to beautifull bahot achhi lagogi tum isme



….ek kam karte hae mae ise pahanti hu tum bhi mujhe ye suit pahan ke dikhao shalaka ne chahkte hue kaha



kya abhi? Are rahne do na kal pahnuga to dekh lena. Nagarjun talne laga



……nahi mae chahti hu ke tumhe is suit me sabse pahle mae hi dekhu. Jo kal possible nahi hoga. Aakhir maene khareeda hae tumahre liye itna huq to banta hae. Aur mae ye bhi chahti hu ke meri is dress me sabse pahle tum mujhe dekho. Chalo change kar lete hae aur nayi dress pahan ke dekhte hae.



to kya ise tum mere samne yahi pahnogi? Nagarjun ne shalaka ko chhedte hue kaha. Aur muskrane laga.



Shalaka nagarjun ki ankho me dekhte hui……… kya tum aesa chahte ho?



……………………….. Nagarjun sirf shalaka ki ankho me dekhta rahta hae kuchh kah nahi pata.



…….filhal to mae ise bathroom me pahnti hu tum yahi change karo bad me soch ke batana fir kabhi. Kyu ki new dresses to aati rahegi na.



Itna kah kar shalaka wo dress leti hae aur bathroom me ghus jati hae aur nagarjun use jate dekhta rahta hae. fir wo bhi apne kapde utar ke shalaka ka diya hua suit pahan leta hae. ek dam groom suit tha. mehroon clolour ka pent, blazer, same colour ki satin ki shirt aur tie, sab kuchh pahan lene ke bad wo shoes bhi pahan leta hae aur shalaka ka wait karta hae. thodi hi der me shalaka bahar aati hae wo behad khubsurat lag rahi thi us eavning gown me.



Nagarjun to ankhe fade shalaka ko dekhta rah jata hae jisme se uske unnat uroj bhi kuchh dikh rahe the. Aur un dilkash urojo ki gahri ghati bhi. Ek dam tane hue uroj. Peeche uski gaand ek dam ubhri hui. patli kamar aur lambe ghane kale baal jo khule hue the .



Shalaka - aese kya dekh rahe ho kaesi lag rahi hu mae is dress me?



N – awesome yaar….. you are so much hot . bahot khubsurat lag rahi ho. Kal khud ko bacha kar rakhna kahi kisi ki najar na lage tumhe.



S – tum ho na mujhe sabki najar se bacha ke rakhna .



N – jaroor, ab ye batao mera dress kaesa lag raha hae?



S – tum to dulhe lag rahe ho is dress me. Dekhna kahi kal hi tumse koi shadi ke liye na kah de.



N – jise kahna hae jab wo kahegi tab hi mae shadi karuga. Yu kisi ke bhi kahne se nahi.



S – achha? kaun hae wo hame bhi batao hum tumhari sifarish kar dege.



N – batana hi hota to itna samay intjar nahi karta.



S – to ab mat karo intjar use kah do varna kahi der na ho jaye ab samay jyada nahi bacha .



Dono ek duje ki ankho me hi apne apne sawalo ke jawab dhundhne me lage hue the. Lekin dono me se ki bhi dhundh nahi paa raha tha.



N – ab tum jao change kar lo aur so jao kal bahot kaam hae.



S – hum yahi so jate hae na



N – thik hae jaesi tumahri marji. Yahi so jao bed pe. Mae dusre pe so jata hu.



Fir dono hi change kar lete hae aur Nagarjun ek bar suraksha vyavastha par fir se bareeki se najar maar ke so jata haes shalak bhi dusre bed pe leti hui thi, nind to inhe bhi nahi aa rahi thi dono hi apne apne bistar pe karwate badalte rahe aakhir aadhi rat ke baad ja kar unhe bhi nind aayi.



Dusre din subah se hi sab taiyar hone me lage hue the nishchit samay par sare mehman deva ke bangle pe aa jate hae jisme haweli se bhi sab shamil the. Us ke baad teeno hone wali dulhane aati hae fir Pooja aur hawan hota hae. isi sab me dophar ho jati hae. teeno dulhe aur teeno dulhane bahot hi shandar lag rahe the. Fir teeno jode ek duje ko mala pahnate hae. fir aati hae anguthi pahnane ki bari.



DN – are savitri deva aur payal ko anguthiya do , aur padma bahan aap bhi bachhiyo ko anguthiya do to ye rasam bhi poori ho jaye.



Tabhi maharaj BS - kshama chahte hae Deenanath ji lekin ye soubhagya hame de. Ham bachho ke liye anguthiya laye hae agar aap logo ki ijajat ho to ye wali anguthiya hi bachhe pahnaye ek duje ko.



DN – are bhai saab aapne kyu takleef ki?



SD – kamal karte hae DN ji bhala isme takleef kaesi kya hamare bachhe hamse naguthiya nahi le sakte? Are bhai ye to inki hi hae. Inka haq hae in par. Aakhir ye log hum se alag to nahi.



DN – Bilkul sumant dev ji jaroor. Aapne sahi kaha.



Aur fir maharj BS ne dev ko wahi hiro se jadi sone ki anguthi di jo pichhli bar usne poonam ko pahnai thi.saath hi rudra ko bhi waese hi anguthi di aur SD ne poonam ko pichli bar wali anguthi di. Sath hi unhone payal aur nilam ko bhi waese hi hero se jadi sone ki anguthi di. Teeno jodo ne ek duje ko anguthiya pahna di. Aur taliyo ki gad gadahat ke saath unki sagai sakushal sampanna hui.



Lekin itni bhari aur itni keemti anguthiya sare gaanv me charcha ka Vishay ban gayi.



DN – maharaj aapne bachho ko itni keemti anguthiya kyu di. Iski kya jarurat thi.



BS – bachho se keemti bhi bhala kuch hota hae kya DN ji? Aur aesa kah kar aap hame paraya kar rahe hae.



DN – mae apne shabdo ke liye mafi chahta hu aapka poora haq hae lekin fir bhi ye anguthiya to bahot jyada keemti hae. aapko yakeen anhi hoga is ek anguthi ki keemat me ye poora gaanv khareeda ja sakta hae.



SD – is anguthi se hamare bachho ko khushiya mil jaye to ham samjhege hamne poori duniya hi khareed li DN ji ab chhodiye bhi in anguthiyo ki baate. Aaiye kuchh kha lete hae badi bhukh lag rahi hae.



Fir ye teeno yu hi ghumte hue kuchh khane lagte hae. udhar dono maharania bhi ladies ke saath baethi thi aur waha bhi charcha ka Vishay wahi anguthiya thi. ise sare gaanv ki aurate poonam aur nilam ki anguthiya dekh dekh kar lalcha rahi thi. kyu ki anguthiya behad shandar thi hi. Halaki payal ko ramu ne ek sone ki anguthi hi pahnai thi. jo ki jahir hae un anguthiyo ke samne kuchh nahi thi. lekin payal ko maharani kaushaya aur neelmani ne sone ka set aur dusre heere jadit gahne diye the jo ki use bhi khas bana rahe the. Kul mila kar teeno ladkiya is samay poore gaanv walo ki najro me apsaraye lag rahi thi. aur wo sabhi inke gahno ki aur inki tareefe karte nahi thak rahi thi.

Udhar……………..
Anmol update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,005
173
UPDATE - 102



Udhar……. jab se channo aayi thi gurum usi me khoya hua tha. Aur mouke ki talash me tha ki kab use akele me channo se baat karne ka mouka mile lekin sagai ke kamo me use fursat hi nahi mil rahi thi. aur jab wo free hota to channo ko dusri ladies gher ke baethi milti. Aakhir sagai ke baad jab sare log khana khane gaye to channo gurum ko dhundhne lagi jo kuchh doori par ek ped ke neeche baetha tha aankhe band kiye hue. Asal me wo ankhe band kiye hue bhi apni shield cover ko hi check kar raha tha aur bahri khatro pe hi najar laga ke baetha tha jo ki use door tak najar nahi aa rahe the. Tabhi kisi ne use kandhe se pakad ke hialaya to uska dhyan toota



Gurum – hmmm kaun? Are channo tum, aao aao mae tumhara hi intjar kar raha tha.



Channo - mera intjar yu ankhe band kar ke? bhala kyu?



Gurum – yu hi bas tumse baat karne ko ji chah raha tha lekin tumhe to fursat hi nahi subah se dekh raha hu.



Channo – achha ji subah se aap mujhe dekh rahe the. DevaBhaiya ko batau kya?



Gurum hans kar – bata do mae koi tumhe chura ke thode hi le ja raha hu mae to bas dekh raha tha ke kab tumhe samay mile aur tumse baat kar saku?



Channo – aesi kya baat hae jis ke liye pareshan the aap?



Gurum – channo aaj inhe ek bandhan me bandhte hue dekh kar mujhe ye ahsas hua ki ye bandhan har kisi ke liye kitne jaruri hote hae is bandhan ke bina jindagi adhuri hae na



Channo – aap sahi bol rahe hae gurum, lekin jaruri nahi ki har kisi ko ek aesa jeevan sathi mile jaye jis ke saath wo befikar ho kar apni poori jindagi bita sake kuchh aese bhi abhage is duniya me hote hae jinhe unke jivan sathi hi majhdhar me chhod ke chale jate hae duniya ki thokre khane ke liye .



Gurum – channo aesa kyu kah rahi ho?



Channo - chhodiye gurum ji. Kuchh aur baat kijiye na



Gurum – ok to fir ab mujhe apne bare me batao mae aaj tumhe janna chahta hu.



Channo – gurum ji baat ghum fir ke wapas wahi aa gayi , aap mujhe janne ki baat chhodiye, aur ye bataiye ab aapne aage ka kya socha hae kuch karna hae jindagi me ya yahi isi gaanv me basne ka vichar hae?



Gurum - vichar to duniya ko muthhi me karne ka hae par samajh nahi aata kis ke liye karu ye sab. koi hae bhi to nahi mera jis ke liye mae kuchh karu.



Channo – fir to aapko shadi kar leni chahiye wo bhi jaldi hi.



Gurum – channo, abhi maene tumse tumhare bare me janna chaha to tumne mujhe is kabil nahi samjha ke mujhe kuchh khud ke bare me bata bhi sako bhala koi ladki mujhe apni jindagi me kya shamil karegi?



Channo – ye aap kaesi bate kar rahe hae gurum ji. Bhala mae hu hi kya jo aapke samne bhi khadi rah saku? Aap kabil ki baat karte hae mae to ye soch rahi hu ke mae kisi kabil nahi aur meri jindai ki bekar ki bato se aap bor ho jayege , aur fir mae aapko apni bate bata ke bor nahi karna chahti bas isiliye kuchh nahi kaha lekin aap to khud apne aap me bahot ache hae. aapko pakar to kisi bhi ladki ki jindagi sawar jayegi. Wo to koi khushkismat hi hogi aur sabse badkismat wo hogi jo aapko inkar kare.



Gurum ne achanak channo ka hath apne hatho me le liya



Gurum – channo mae nahi janta tum kya ho, kaun ho, aur tumne ab tak kaesi jindagi ji hae mae kuchh nahi janta tumhare bare me lekin fir bhi aaj mae bina kuchh jane tumse tumhara hath mangta hu. agar tum mujhe is kabil samjho to ….



Channo ki ankho me ansu aa jate hae– gurum ji maene kaha na abhi ke wo koi badkismat hi hogi jo aapko inkar kare. To dekh lijiye mae hi hu wo badkismat ladki. Jis ke samne khushiya darwaja peet rahi hae aur wo khushiyo ke liye darwaja nahi khol rahi. …. Ji ha gurum ji. Mae aapke jajbato ki ijjat karti hu lekin ye sambhav nahi hae. mae aap ke pyar ke layak nahi hu. Mujhe itni ijjat na dijiye. Mae is kabil bilkul nahi hu.



Gurum – channo ro mat. Maene tumhe ab tak nahi jana sirf mere dil ne tumhe chaha hae aur maene tumhare samne apne dil ki baat rakhi hae. mae koi tum par taras kha kar tumhe apnana nahi chahta aur na hi mujhe kuchh bhi janna hae tumhare bare me. Bas tum mera hath tham lo. mujhe aur kuchh nahi chahiye.



Gurum apna hath aage kiye baetha tha lekin channo sirf roye ja rahi thi. aur tabhi wo ek dam se uthi aur palat ke aage badh gayi gurum ki najre jameen ki taraf hi thi aur uski aankho se bhi do boond ansu tapak pade. Tabhi



Deva – ye kya ho raha hae bhai dono hi ro rahe ho meri sagai me. Mujhe sagai nahi karni chahiye thi kya ? kyu gurum kya kahte ho?



Gurum – are deva bhai kaesi baate karte ho aap. Bhala meri poonam bhabhi jaesa koi hae kya poore bramhand me. Aap dono to ho hi ek duje ke liye. To aap logo ke rishte pe mae kyu rouga. Mae to bas yu hi.



Deva channo ko kandhe se pakad ke gurum ke paas aata hae.



Deva – maene sab sun liya hae, channo tum bekar me chinta kar rahi ho. Bhagwan ek darwaja band karta hae to dusra usse bhi behtar darwaja kholta hae gurum ka hath tham ke tum jindagi ki sari khushiya paogi ye ek bhai ka vada hae. jao aur gurum ka hath tham lo khush raho beta. Itna kah kar deva channo ka hath gurum ke hath me de deta hae. aur channo ke sir pe hath fira deta hae.



Deva – meri bahan ka khayal rakhna gurum. Ab mae chalta hu tum dono ki wajah se apni hone wali dulhan ko akela chhod ke aana pada mujhe. Ab tum log baeth kar bate karo mae chalta hu.



Itna kah kar deva jane lagta hae to gurum aage bad ke deva ke gale lag jata hae aur channo bhi deva ke gale lag jati hae aur rone lagti hae.



Gurum – thank you bhai thank you very much aapke kitne ahsan ho gaye mujh par. Jis tarah bhagwan sirf deta hi hae bina kisi swarth ke usi tarah aap bhi mujhe bas diye ja rahe ho pahle ek achhi jindagi, fir apni dosti aur bhai jaesa pyar, fir itna achha pariwar aur ab channo ke roop me aapne mujhe meri saanse de di jeene ka sahi maqsad de diya.



Deva – chal be imotional mat ho. Kuch nahi kiya maene. Chalo thodi der ke baad andar aa jana mae chalta hu.



Fir deva andar chala jata hae. aur gurum channo ka chehra utha ke upar karta hae aur uske galo pe bahte aansu apne hotho se chus leta hae. aur tabhi channo gurum ke gale se lag jati hae aur rone lagti hae.



Gurum bhi uski peeth sahlate hue – are ab kyu ro rahi ho ab to trumhare bhai ne hi tumhara hath mere hath me diya hae na. ab to tumhe koi etraj nahi na.



Channo ke hotho pe muskan aa jati hae. wo garden hila kar na me ishara karti hae.



Channo – gurum bhai ne mera hath aapke hath me de to diya hae aur mae bhi bhai ki bahot ijjat karti hu mae unke faisle ko inkar nahi kar sakti lekin mae chahti hu ke aap ab mere bare me sab jan lo aur fir faisla karo ke kya aap mujhe apni jeevan sathi banana chahoge ya nahi. Kyu ke sab janne ke baad agar aap chaho to mujhe abhi chhod skate ho mujhe bura nahi lagega. Aur mae deva bhaiya ko bhi samjha dugi unke man me aap ke liye koi burai nahi aayegi. Aakhir ye aapki poori jindagi ka sawal hae kisi dabav me shadi jaese mamlo ke faisle kar lena uchit nahi .



Gurum – to shuru karo kah do jo kahna chahti ho. Mae sun raha hu.
Manoram update mitr
 

Boby

Well-Known Member
2,801
13,184
159
Ish khubsurat kahani ki first century mubarak ho dosto
Sab aap logo ke saath ka hi phal hae bhai bas request hae ke jis tarah aap hame yaha regular padhna chahte hae usi tarah aap log bhi regular hi rahe is tarah se please gayab na ho. aap ki sarahna ke liye dhanyavaad aur is century ke asli haqdar aap sab readers hi hae.

Krapya saath bane rahiye
 
Top