• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,785
17,859
189
S
UPDATE - 102

Udhar……. jab se channo aayi thi gurum usi me khoya hua tha. Aur mouke ki talash me tha ki kab use akele me channo se baat karne ka mouka mile lekin sagai ke kamo me use fursat hi nahi mil rahi thi. aur jab wo free hota to channo ko dusri ladies gher ke baethi milti. Aakhir sagai ke baad jab sare log khana khane gaye to channo gurum ko dhundhne lagi jo kuchh doori par ek ped ke neeche baetha tha aankhe band kiye hue. Asal me wo ankhe band kiye hue bhi apni shield cover ko hi check kar raha tha aur bahri khatro pe hi najar laga ke baetha tha jo ki use door tak najar nahi aa rahe the. Tabhi kisi ne use kandhe se pakad ke hialaya to uska dhyan toota

Gurum – hmmm kaun? Are channo tum, aao aao mae tumhara hi intjar kar raha tha.

Channo - mera intjar yu ankhe band kar ke? bhala kyu?

Gurum – yu hi bas tumse baat karne ko ji chah raha tha lekin tumhe to fursat hi nahi subah se dekh raha hu.

Channo – achha ji subah se aap mujhe dekh rahe the. DevaBhaiya ko batau kya?

Gurum hans kar – bata do mae koi tumhe chura ke thode hi le ja raha hu mae to bas dekh raha tha ke kab tumhe samay mile aur tumse baat kar saku?

Channo – aesi kya baat hae jis ke liye pareshan the aap?

Gurum – channo aaj inhe ek bandhan me bandhte hue dekh kar mujhe ye ahsas hua ki ye bandhan har kisi ke liye kitne jaruri hote hae is bandhan ke bina jindagi adhuri hae na

Channo – aap sahi bol rahe hae gurum, lekin jaruri nahi ki har kisi ko ek aesa jeevan sathi mile jaye jis ke saath wo befikar ho kar apni poori jindagi bita sake kuchh aese bhi abhage is duniya me hote hae jinhe unke jivan sathi hi majhdhar me chhod ke chale jate hae duniya ki thokre khane ke liye .

Gurum – channo aesa kyu kah rahi ho?

Channo - chhodiye gurum ji. Kuchh aur baat kijiye na

Gurum – ok to fir ab mujhe apne bare me batao mae aaj tumhe janna chahta hu.

Channo – gurum ji baat ghum fir ke wapas wahi aa gayi , aap mujhe janne ki baat chhodiye, aur ye bataiye ab aapne aage ka kya socha hae kuch karna hae jindagi me ya yahi isi gaanv me basne ka vichar hae?

Gurum - vichar to duniya ko muthhi me karne ka hae par samajh nahi aata kis ke liye karu ye sab. koi hae bhi to nahi mera jis ke liye mae kuchh karu.

Channo – fir to aapko shadi kar leni chahiye wo bhi jaldi hi.

Gurum – channo, abhi maene tumse tumhare bare me janna chaha to tumne mujhe is kabil nahi samjha ke mujhe kuchh khud ke bare me bata bhi sako bhala koi ladki mujhe apni jindagi me kya shamil karegi?

Channo – ye aap kaesi bate kar rahe hae gurum ji. Bhala mae hu hi kya jo aapke samne bhi khadi rah saku? Aap kabil ki baat karte hae mae to ye soch rahi hu ke mae kisi kabil nahi aur meri jindai ki bekar ki bato se aap bor ho jayege , aur fir mae aapko apni bate bata ke bor nahi karna chahti bas isiliye kuchh nahi kaha lekin aap to khud apne aap me bahot ache hae. aapko pakar to kisi bhi ladki ki jindagi sawar jayegi. Wo to koi khushkismat hi hogi aur sabse badkismat wo hogi jo aapko inkar kare.

Gurum ne achanak channo ka hath apne hatho me le liya

Gurum – channo mae nahi janta tum kya ho, kaun ho, aur tumne ab tak kaesi jindagi ji hae mae kuchh nahi janta tumhare bare me lekin fir bhi aaj mae bina kuchh jane tumse tumhara hath mangta hu. agar tum mujhe is kabil samjho to ….

Channo ki ankho me ansu aa jate hae– gurum ji maene kaha na abhi ke wo koi badkismat hi hogi jo aapko inkar kare. To dekh lijiye mae hi hu wo badkismat ladki. Jis ke samne khushiya darwaja peet rahi hae aur wo khushiyo ke liye darwaja nahi khol rahi. …. Ji ha gurum ji. Mae aapke jajbato ki ijjat karti hu lekin ye sambhav nahi hae. mae aap ke pyar ke layak nahi hu. Mujhe itni ijjat na dijiye. Mae is kabil bilkul nahi hu.

Gurum – channo ro mat. Maene tumhe ab tak nahi jana sirf mere dil ne tumhe chaha hae aur maene tumhare samne apne dil ki baat rakhi hae. mae koi tum par taras kha kar tumhe apnana nahi chahta aur na hi mujhe kuchh bhi janna hae tumhare bare me. Bas tum mera hath tham lo. mujhe aur kuchh nahi chahiye.

Gurum apna hath aage kiye baetha tha lekin channo sirf roye ja rahi thi. aur tabhi wo ek dam se uthi aur palat ke aage badh gayi gurum ki najre jameen ki taraf hi thi aur uski aankho se bhi do boond ansu tapak pade. Tabhi

Deva – ye kya ho raha hae bhai dono hi ro rahe ho meri sagai me. Mujhe sagai nahi karni chahiye thi kya ? kyu gurum kya kahte ho?

Gurum – are deva bhai kaesi baate karte ho aap. Bhala meri poonam bhabhi jaesa koi hae kya poore bramhand me. Aap dono to ho hi ek duje ke liye. To aap logo ke rishte pe mae kyu rouga. Mae to bas yu hi.

Deva channo ko kandhe se pakad ke gurum ke paas aata hae.

Deva – maene sab sun liya hae, channo tum bekar me chinta kar rahi ho. Bhagwan ek darwaja band karta hae to dusra usse bhi behtar darwaja kholta hae gurum ka hath tham ke tum jindagi ki sari khushiya paogi ye ek bhai ka vada hae. jao aur gurum ka hath tham lo khush raho beta. Itna kah kar deva channo ka hath gurum ke hath me de deta hae. aur channo ke sir pe hath fira deta hae.

Deva – meri bahan ka khayal rakhna gurum. Ab mae chalta hu tum dono ki wajah se apni hone wali dulhan ko akela chhod ke aana pada mujhe. Ab tum log baeth kar bate karo mae chalta hu.

Itna kah kar deva jane lagta hae to gurum aage bad ke deva ke gale lag jata hae aur channo bhi deva ke gale lag jati hae aur rone lagti hae.

Gurum – thank you bhai thank you very much aapke kitne ahsan ho gaye mujh par. Jis tarah bhagwan sirf deta hi hae bina kisi swarth ke usi tarah aap bhi mujhe bas diye ja rahe ho pahle ek achhi jindagi, fir apni dosti aur bhai jaesa pyar, fir itna achha pariwar aur ab channo ke roop me aapne mujhe meri saanse de di jeene ka sahi maqsad de diya.

Deva – chal be imotional mat ho. Kuch nahi kiya maene. Chalo thodi der ke baad andar aa jana mae chalta hu.

Fir deva andar chala jata hae. aur gurum channo ka chehra utha ke upar karta hae aur uske galo pe bahte aansu apne hotho se chus leta hae. aur tabhi channo gurum ke gale se lag jati hae aur rone lagti hae.

Gurum bhi uski peeth sahlate hue – are ab kyu ro rahi ho ab to trumhare bhai ne hi tumhara hath mere hath me diya hae na. ab to tumhe koi etraj nahi na.

Channo ke hotho pe muskan aa jati hae. wo garden hila kar na me ishara karti hae.

Channo – gurum bhai ne mera hath aapke hath me de to diya hae aur mae bhi bhai ki bahot ijjat karti hu mae unke faisle ko inkar nahi kar sakti lekin mae chahti hu ke aap ab mere bare me sab jan lo aur fir faisla karo ke kya aap mujhe apni jeevan sathi banana chahoge ya nahi. Kyu ke sab janne ke baad agar aap chaho to mujhe abhi chhod skate ho mujhe bura nahi lagega. Aur mae deva bhaiya ko bhi samjha dugi unke man me aap ke liye koi burai nahi aayegi. Aakhir ye aapki poori jindagi ka sawal hae kisi dabav me shadi jaese mamlo ke faisle kar lena uchit nahi .

Gurum – to shuru karo kah do jo kahna chahti ho. Mae sun raha hu.
Pper fantastic excellent updates
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Darkk Soul

Active Member
1,098
3,688
144
aapke itne pyar ke liye aapka bahot bahot dhanyavaad aapka har comment hame khud hamari poori story ko hamari hi ankho ke aage chala raha hae jisse hame ye bhi pata chal raha hae ke kahi kuchh chhut to nahi gaya agar chhuta hae to use future update me cover karna hoga. aapka bahot bahot dhanyavaad bhai ummir hae aapka saath yu hi bana rahega story ke ant tak .

aur ha aapki is baat se hum sahmat hae ke dev nam aajkal khub chal raha hae story me lekin ye sabki apni choice hae. bhai koi kisi ko rok nahi sakta well har dev ka charrector har story me alag ja raha hae ye sabse achhi bat hae.

लेखक महोदय, आपका रिप्लाई पा कर बहुत अच्छा लगा. आपके कहानी का हर अपडेट बहुत ही अच्छा है; साथ ही आपका हर अपडेट बाद में आने वाले अपडेट के प्रति कौतुहल और प्रतीक्षा को बढ़ा देता है. आप ऐसे ही शानदार तरीके से लिखते जाइए. :)

👏 👏 👏👏
 
Boby

Well-Known Member
2,801
13,184
159

bahot bhaot dhanyavaad bhai aap ka reply pa ka bahot achha laga
bas apna sath aur sneh yu hi banaye rakhe story me
 
Naik

Well-Known Member
21,306
77,081
258
UPDATE - 102

Udhar……. jab se channo aayi thi gurum usi me khoya hua tha. Aur mouke ki talash me tha ki kab use akele me channo se baat karne ka mouka mile lekin sagai ke kamo me use fursat hi nahi mil rahi thi. aur jab wo free hota to channo ko dusri ladies gher ke baethi milti. Aakhir sagai ke baad jab sare log khana khane gaye to channo gurum ko dhundhne lagi jo kuchh doori par ek ped ke neeche baetha tha aankhe band kiye hue. Asal me wo ankhe band kiye hue bhi apni shield cover ko hi check kar raha tha aur bahri khatro pe hi najar laga ke baetha tha jo ki use door tak najar nahi aa rahe the. Tabhi kisi ne use kandhe se pakad ke hialaya to uska dhyan toota

Gurum – hmmm kaun? Are channo tum, aao aao mae tumhara hi intjar kar raha tha.

Channo - mera intjar yu ankhe band kar ke? bhala kyu?

Gurum – yu hi bas tumse baat karne ko ji chah raha tha lekin tumhe to fursat hi nahi subah se dekh raha hu.

Channo – achha ji subah se aap mujhe dekh rahe the. DevaBhaiya ko batau kya?

Gurum hans kar – bata do mae koi tumhe chura ke thode hi le ja raha hu mae to bas dekh raha tha ke kab tumhe samay mile aur tumse baat kar saku?

Channo – aesi kya baat hae jis ke liye pareshan the aap?

Gurum – channo aaj inhe ek bandhan me bandhte hue dekh kar mujhe ye ahsas hua ki ye bandhan har kisi ke liye kitne jaruri hote hae is bandhan ke bina jindagi adhuri hae na

Channo – aap sahi bol rahe hae gurum, lekin jaruri nahi ki har kisi ko ek aesa jeevan sathi mile jaye jis ke saath wo befikar ho kar apni poori jindagi bita sake kuchh aese bhi abhage is duniya me hote hae jinhe unke jivan sathi hi majhdhar me chhod ke chale jate hae duniya ki thokre khane ke liye .

Gurum – channo aesa kyu kah rahi ho?

Channo - chhodiye gurum ji. Kuchh aur baat kijiye na

Gurum – ok to fir ab mujhe apne bare me batao mae aaj tumhe janna chahta hu.

Channo – gurum ji baat ghum fir ke wapas wahi aa gayi , aap mujhe janne ki baat chhodiye, aur ye bataiye ab aapne aage ka kya socha hae kuch karna hae jindagi me ya yahi isi gaanv me basne ka vichar hae?

Gurum - vichar to duniya ko muthhi me karne ka hae par samajh nahi aata kis ke liye karu ye sab. koi hae bhi to nahi mera jis ke liye mae kuchh karu.

Channo – fir to aapko shadi kar leni chahiye wo bhi jaldi hi.

Gurum – channo, abhi maene tumse tumhare bare me janna chaha to tumne mujhe is kabil nahi samjha ke mujhe kuchh khud ke bare me bata bhi sako bhala koi ladki mujhe apni jindagi me kya shamil karegi?

Channo – ye aap kaesi bate kar rahe hae gurum ji. Bhala mae hu hi kya jo aapke samne bhi khadi rah saku? Aap kabil ki baat karte hae mae to ye soch rahi hu ke mae kisi kabil nahi aur meri jindai ki bekar ki bato se aap bor ho jayege , aur fir mae aapko apni bate bata ke bor nahi karna chahti bas isiliye kuchh nahi kaha lekin aap to khud apne aap me bahot ache hae. aapko pakar to kisi bhi ladki ki jindagi sawar jayegi. Wo to koi khushkismat hi hogi aur sabse badkismat wo hogi jo aapko inkar kare.

Gurum ne achanak channo ka hath apne hatho me le liya

Gurum – channo mae nahi janta tum kya ho, kaun ho, aur tumne ab tak kaesi jindagi ji hae mae kuchh nahi janta tumhare bare me lekin fir bhi aaj mae bina kuchh jane tumse tumhara hath mangta hu. agar tum mujhe is kabil samjho to ….

Channo ki ankho me ansu aa jate hae– gurum ji maene kaha na abhi ke wo koi badkismat hi hogi jo aapko inkar kare. To dekh lijiye mae hi hu wo badkismat ladki. Jis ke samne khushiya darwaja peet rahi hae aur wo khushiyo ke liye darwaja nahi khol rahi. …. Ji ha gurum ji. Mae aapke jajbato ki ijjat karti hu lekin ye sambhav nahi hae. mae aap ke pyar ke layak nahi hu. Mujhe itni ijjat na dijiye. Mae is kabil bilkul nahi hu.

Gurum – channo ro mat. Maene tumhe ab tak nahi jana sirf mere dil ne tumhe chaha hae aur maene tumhare samne apne dil ki baat rakhi hae. mae koi tum par taras kha kar tumhe apnana nahi chahta aur na hi mujhe kuchh bhi janna hae tumhare bare me. Bas tum mera hath tham lo. mujhe aur kuchh nahi chahiye.

Gurum apna hath aage kiye baetha tha lekin channo sirf roye ja rahi thi. aur tabhi wo ek dam se uthi aur palat ke aage badh gayi gurum ki najre jameen ki taraf hi thi aur uski aankho se bhi do boond ansu tapak pade. Tabhi

Deva – ye kya ho raha hae bhai dono hi ro rahe ho meri sagai me. Mujhe sagai nahi karni chahiye thi kya ? kyu gurum kya kahte ho?

Gurum – are deva bhai kaesi baate karte ho aap. Bhala meri poonam bhabhi jaesa koi hae kya poore bramhand me. Aap dono to ho hi ek duje ke liye. To aap logo ke rishte pe mae kyu rouga. Mae to bas yu hi.

Deva channo ko kandhe se pakad ke gurum ke paas aata hae.

Deva – maene sab sun liya hae, channo tum bekar me chinta kar rahi ho. Bhagwan ek darwaja band karta hae to dusra usse bhi behtar darwaja kholta hae gurum ka hath tham ke tum jindagi ki sari khushiya paogi ye ek bhai ka vada hae. jao aur gurum ka hath tham lo khush raho beta. Itna kah kar deva channo ka hath gurum ke hath me de deta hae. aur channo ke sir pe hath fira deta hae.

Deva – meri bahan ka khayal rakhna gurum. Ab mae chalta hu tum dono ki wajah se apni hone wali dulhan ko akela chhod ke aana pada mujhe. Ab tum log baeth kar bate karo mae chalta hu.

Itna kah kar deva jane lagta hae to gurum aage bad ke deva ke gale lag jata hae aur channo bhi deva ke gale lag jati hae aur rone lagti hae.

Gurum – thank you bhai thank you very much aapke kitne ahsan ho gaye mujh par. Jis tarah bhagwan sirf deta hi hae bina kisi swarth ke usi tarah aap bhi mujhe bas diye ja rahe ho pahle ek achhi jindagi, fir apni dosti aur bhai jaesa pyar, fir itna achha pariwar aur ab channo ke roop me aapne mujhe meri saanse de di jeene ka sahi maqsad de diya.

Deva – chal be imotional mat ho. Kuch nahi kiya maene. Chalo thodi der ke baad andar aa jana mae chalta hu.

Fir deva andar chala jata hae. aur gurum channo ka chehra utha ke upar karta hae aur uske galo pe bahte aansu apne hotho se chus leta hae. aur tabhi channo gurum ke gale se lag jati hae aur rone lagti hae.

Gurum bhi uski peeth sahlate hue – are ab kyu ro rahi ho ab to trumhare bhai ne hi tumhara hath mere hath me diya hae na. ab to tumhe koi etraj nahi na.

Channo ke hotho pe muskan aa jati hae. wo garden hila kar na me ishara karti hae.

Channo – gurum bhai ne mera hath aapke hath me de to diya hae aur mae bhi bhai ki bahot ijjat karti hu mae unke faisle ko inkar nahi kar sakti lekin mae chahti hu ke aap ab mere bare me sab jan lo aur fir faisla karo ke kya aap mujhe apni jeevan sathi banana chahoge ya nahi. Kyu ke sab janne ke baad agar aap chaho to mujhe abhi chhod skate ho mujhe bura nahi lagega. Aur mae deva bhaiya ko bhi samjha dugi unke man me aap ke liye koi burai nahi aayegi. Aakhir ye aapki poori jindagi ka sawal hae kisi dabav me shadi jaese mamlo ke faisle kar lena uchit nahi .

Gurum – to shuru karo kah do jo kahna chahti ho. Mae sun raha hu.
Bahot behtareen shaandaar update bhai
Bahot khoob superb lajawab
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,003
173
UPDATE - 99

Uske baad rudra apne kamre me chala jata hae aur dev bhi taiyar hone lagta hae. fir nashte ki table pe

DN – ha to bachho kya planning hae tum sab ki kaha tak pahuchi taiyariya?

Nagarjun – babu ji bahot kuchh to nipat gaya hae bacha hua aaj nipat jayega.

DN – Lekin beta ab samay hi kaha hae. aaj se to mehman aane shuru ho jayege na. deva ke nanihal se bhi aaj sab aayege.

Rudra – mehmano se yaad aaya babu ji aaj mere aur nilam ke mummy dady bhi aayege.

DN – are wah ye to badi khushi ki baat hae. par beta wo to ghar ke member hue na mehman nahi.

Rudra – babu ji yaha to wo mehman hi hae na.

Deva – tu gadha hi hae. wo yaha apne bete aur beti ki sagai ke liye aa rahe hae to ye unka ghar hua na mehman to hoti hui sagai dekhne aayege na pagal.

DN – deva sahi kah raha hae rudra wo yaha mehman nahi balki mezban hoge. Kyu ki unke bachho ki sagai hae. Wo kisi aur ki sagai ko enjoy karne nahi aa rahe hae.

Rudra - ji babu ji.

DN – to kitne baje aayege tum dono ke mummy papa?

Rudra – bas aate hi hoge. Kisi bhi samay pahuch jayege.

DN – thik hae mae to ghar pe hi hu. Tum unhe lene chale jana.

Rudra – ji babu ji

DN – deva rudra ke aur nilam bahu ke maata pita ke liye aur unke aaram ke liye poora intjam tu khud dekhega. Kisi aur se mat kah dena wo tumahre liye bhi mata pita hi hue.

Deva – thik hae babu ji aur koi kam ho to bata dijiye kyu ke fir mae vyast ho jauga.

DN – abhi to tu un sab ke thaharne ka intjam kar de baki kuchh hoga to mae bata duga.

Deva - thik hae babu ji mae un logo ke liye yaha guest rooms thik karwa deta hu aur baki mehmano ke liye apne purane wale ghar ko sahi karwa diya hae. aur agar mehman badh gaye to fir poonam ke ghar me rukwa dege.

DN – dekh lo waese unke ghar me bhi unke apne mehman aayege to waha dikkat hogi. Par apne yaha sab ho sakta hae

Deva – aap nishchint rahiye mae sab kar luga.

Fir sab log apne apne kamo me lag jate hae. itne me deva ko BS ka sandesh mind me milta hae ke wo log bahar wale khandhar me pahuch gaye hae.

Deva turant rudra ko sath le kar waha pahuchta hae to waha sumant dev, kaushalya devi, bhairav singh, neelmani, rudra ke mata pita aur nilam ke mata pita sab aa chuke the. Deva unki veshbhusha change kar deta hae. to wo log bhi modern kapdo me aa jate hae jaese abhi abhi flight se aaye ho. America se.

Deva unhe sab samjha deta hae aur unhe sath le kar ghar ki taraf chal deta hae. Do gadiyo me wo log ghar pahuchte hae ek deva chala raha tha dusri rudra.

Ghar pahuch kar deva apne pariwar walo ko bulata hae.

DN – are wah rudra tumahre mata pita aa gaye?

Rudra - ji babu ji ye mere pita ji hae, ye mata ji, aur ye nilam ke mata pita.

DN dono mardo se hale milta hae aur dono aurto ke samne hath jod ke abhivadan aur swagat karta hae.

Deva – aur ye mere aur Poonam ke mata pita hae babu ji. Ye hae shiv nagar ke maharaj bhairav singh ji mere pita, ye maharani nilamani devi meri maa, dusri taraf ye hae poonam ke pita ji trilok nagar ke maharaj sumant dev aur ye poonam ki maa kaushalya devi…….. maharaj maharani ye hae mere pita ji dinanath ji aur meri maa savitri devi.Ye meri bhabhi diya, mere bade bhai raghu, meri chhoti bahan payal.

Sab log deva ki bate sun kar haeran pareshan the lekin deva ke hotho pe muskan thi.

DN – deva in sab ka sahi parichay do beta hame milwao kaun hae ye?

Deva – bat ye hae ki babu ji us din hum jab mall gaye the na to waha kisi ne maharaj bhairav singh ji ko lootne ki koshish ki thi to maene inki madad ki thi tabhi inhone mujhe apna beta bana liya us hisab se ye dono mere mata pita hae, aur usi din ittefaq se maharani kaushalya devi ki madad poonam ne ki thi shoping me to inhone use apni beti bana liya. Aur jab hum sab waha ikatthe hue to hamne inhe yaha sagai me aane ka nyota diya tha. Isiliye maene kaha ke ye mere aur poonam ke mata pita hae.

Sabhi log deva ke mind ki man hi man trareef kar rahe the ki kis khubsurti se usne sache rishte bayan kar diya aur yaha kisi ko koi shaq bhi nahi hua.

DN – bahot achha kiya tumne deva ki inhe yaha bulwa liya agar inhone tumhe aur meri poonam bahu ko apne bachho ke roop me sweekar kiya hae to sagai me shamil hona in sabka haq bhi hae.

………mae deenanath aap sab logo ka yaha hardik swagat karta hu. Aur aasha karta hu ke aap logo ko yaha kisi tarah ki koi pareshani nahi hogi. Aap log apne bachho ki sagai me yaha aaye aur hamara maan badaya iske liye mae abhari hu aap sabka.

BS – kaesi bate karte hae aap? aaj aap ne hame sweekar kar ke hamara maan badaya hae aur hame in bachho ki khushi me shamil hone ka mouka diya hae hum sab aapke abhari hae.

DN – nahi maharaj abhar kaesa aapne deva ko beta kaha hae, mana hae to ye aapka hi beta hae aur poonam ko apni beti bana ke bhi aapne use apnaya hae to fir abhar ki bat hi kaha rahi maharaj.

SD – DN ji hame maharaj mat kahiye hum aapke samdhi hi hae aur bhairav singh ji to aapke bhai hi hue na.

DN – lekin aap maharaj hae to maharaj hi kahuga mae to.

BS – are koi maharaj nahi ye deva to aese hi kah raha hae. Ab kya yaha bhi raja maharaj hae kya koi. Wo to beete jamane ki bate hae hamare purwaj raja maharaja the ham to bas yu hi.

DN – thik hae bhai saab mae aap logo ko maharaj ya inhe maharani nahi kahuga. Ab ye aapka hi ghar hae aap log bhi aaram kijiye……….. deva in sabka rahne ka intjam kaha kiya hae beta?

Deva – ye neeche wale kamre inhi charo couples ko de dete hae. baki mehmano ke liye dekhege.

BS – beta dev agar koi samasya ho to hum sab purush ek hi kamre me ho jate hae mahilao ko ek alag kamra de do. Dusre aane wale mehmano ko takleef nahi honi chahiye.

Deva – nahi pita ji maharaj aesi koi samasya nahi hae . aapke aashirwad se sab vyavstha ho gayi hae aap log aaram kijiye.

Fir deva waha noukaro ko bulwa ke unke saman jo deva ne hi bana diye the. Sab ke kamro me rakhwa deta hae. aur sab ko nashta karwa ke kamre me aaram karne bhej deta hae. bahar aa kar

Rudra – abe sara ghar to yahi bhar gaya bakiyo ka kya hoga?

Deva – kaun se baki be? Baki bacha hi kaun hae pagla raha hae bekar me kya?

Rudra – abe sale tere nanihal wale bhi to aane hae.

Deva – un ke liye mera purana waala ghar hae na wahi rukege wo log. Use bhi to alishan banaya hae hamne, Aur bhi koi aa jaye to koi dikkat nahi us ghar me bhi 5-6 kamre hae hi mama mami ke liye do kamre chahiye baki jo aayege waha set hoge. Aur kaun sa sabko yaha mahino rahna hae?

Rudra – ye bhi thik hae ab kaun aa raha hae?

Deva – ab mama mami aayege meri kaveri aayegi wo to jyoti ke saath rah legi. Babu ji ke dost aayege shahar se unhe bhi apne purane ghar me rakhuga. Bas. Baki sab yaha ke local log hae .

Fir deva kaveri ko call kar ke aaj hi aane ka nyota de deta hae. aur babu ji ko bol kar sundar lal aur Rajni ko bulwa leta hae . sab log dheere dheere aa rahe the. Aur deva apne hisab se unhe set kar raha tha.

Nagarjun, shalaka, gurum taiyariyo me lage hue the deva aur rudra mehmano me . poonam aur nilam khud ko taiyar kar rahi thi ab sab ko dikhane ke liye to unhe normal hi taiyar hona tha isiliye kabhi facial to kabhi wex to kabhi mehandi inhi sab me busy thi wo dono aur sath me payal bhi thi. payal ko to sach me in sab ki jarurat bhi thi kyu ki wo poonam aur nilam ki tarah magic se to kuch kar nahi sakti thi aur na hi poonam ya nilam use megic se taiyar kar ke apni pol khol sakti thi abhi.

Tabhi ek police ki jeep aakar deva ke bangle ke samne rukti hae. sare guards satark ho jate hae. aur gate khol dete hae. to gadi andar jakar porch me rukti hae samne hall me sabhi log baethe the. To sabki najar bahr jati hae……..
Mohak update mitr
 
Top