UPDATE - 158
Poonam nind se bhari aawaz me – so jao meri jan is tarah bechain mat ho abhi waqt nahi aaya hamare Milan ka fir poonam dev ke hotho ko apne hotho me lekar ek bar chus kar chhod deti hae aur dev bhi poonam ko baho me liye so jata hae. ek sukoon bhari nind.
Ab Aage.........
Dusre din rudra ki awaz aati hae to dev ki aankh khulti hae. wo dekhta hae ke poonam uth chuki thi lekin dev se lipat ke leti hui thi. uski ek taang dev ki kamar pe chadi thi. dev uske chehre ko pakad kar upar karta hae aur dono hi ek meethe se lip kiss me kho jate hae thodi der ke baad poonam muskra ke alag hoti hae to dev uske mathe ko chum kar khud se alag karta hae.
Dev – aaja rudra bahar se kyu awaz laga raha hae.
Rudra andar aata hae. – yar wo khatera ko achha kahu ya kamina samajh nahi aa raha.
Dev muskrate hue – kya hua ? ab kya kar diya subah subah usne?
Rudra – bahar nikal ke dekh usne to hame yaha hamesha ke liye rukwane ka intjam pakka kar diya hae.
Teeno bahar aate hae to bahar rajni aur nilam pahle se khade the. Aur wo bhi samne dekh rahe the dev ne bhi udhar dekha to muskra diya.
Rudra – bhai tu hans raha hae?
Dev – yar usne to ladies ke nahane ka aur hum sab ke fresh hone ke liye temprery let bath hi banaya hae na usme pareshan kyu hota hae? kya tujhe in ki jarurat nahi padni ?
Rudra – majak mat kar yar hame kya yaha aur rukna hae jo ye sab banaya usne?
Dev – nahi rukna yaha lekin fresh to hona hi hae na isme burai bhi kya hae chalo sab log fresh ho ke aao fir taiyar ho ke chalte hae. aur ha tum logo ne dekha ya nahi lekin hamari cottage me usne naye kapde bhi rakhe hae. hum sab ke hisab se. Nahao aur naye kapde pahan ke taiyar ho jao tab tak wo bhi aa jayega
Rudra ko kuchh samajh nahi aaya lekin wo dev ki baat man ke bathroom me ghus gaya aur fresh ho ke naha liya aur taiyar ho gaya aese hi ek ek karke sab ho ke aaye ant me dev gaya jab wo bahar nikla to samne khatera khada tha aur table pe garma garam nashta bhi laga tha aur sabhi pas hi khade the.
Dev – are bhai khatera ne intjam kiya hae nashte ka, khade kyu ho chalo nashta kare fir chalna bhi hae . kyu khatera?
Khatera – ha marne se pahle taiyar ho ke nashta karne me burai bhi kya hae?
Rudra ne use ghura. Lekin kaha kuchh nahi.
Khatera – tu mujhe nahi kha payega nashta kha . aaja baith ja
Dev hi aage badh ke nashta uthata hae aur fir sab nashta le lete hae.
Rudra – kyu be kursi nahi lagayi hamare liye?
Khatera – hum itna bhi aaram nahi dete ke aadate bigad jaye. Chup chap kha lo aur koodo nadi me marne ke liye. Insano ko talte hue bahot dino se nahi dekha aaj to ye najara dekh kar hi jauga mae. Fir tum log upar jakar aaram karna aur mae yaha ek lambi nind luga jab tak tum log fir wapas nahi aa jate. Halaki usme bahot samay lag jayega yaha ki kuchh marammat bhi karni hae chalo jaldi khao aur mar jao.
Khatera bhi ab rudra ko hi dekh raha tha aur use gusse me dekh kar maje le raha tha lekin dev ne ishare se rudra ko shant rahne ko kaha. To rudra bhi bina kuchh kahe nashta karne laga.
Sabne nashta kiya. Aur dev ke sath aakar khade ho gaye jo nadi ko dekh raha tha.
Dev – to chale sathiyo?
Poonam – lekin dev samasya kaha suljhi hae wo to wahi hae na ab tak. Chale kaese?
Dev bina jawab diya aage badha to rudra ne uska hath pakad liya.
Rudra – kya karta hae yar ruk ja kuchh sochna padega. Aese mat badho aage. Dekh nahi raha aag ki nadi hae bhayankar shole uth rahe hae aag lagi hui hae.
Dev ne rudra ko dekh kar muskra ke apna hath chhudaya aur wahi se ek patta leke nadi ke pas gaya aur usme dubaya aur fir khade ho kar apna paer nadi me rakh diya. Sab ki sanse ruk gayi thi.
Lekin dev muskra raha tha. Dev aag ki nadi me khada tha. Usne poonam ko ishara kiya to poonam bhi aa gai aur uske saath hi rudra nilam aur rajni bhi aage aa gaye dev ne hath badaya to poonam ne dev ka hath tham liya fir wo aur baki sab bhi nadi me aa gaye. Aur tabhi ek jhatke me sari nadi ki aag gayab ho gayi aur sabko saaf neela pani najar aane laga jo teji se kal kal karte hue bah raha tha.
Sabhi chonk gaye.
Rudra – ye kya hae bhai?
Dev – ye aag ka dariya sirf ankho ka dhokha tha. Jo mujhe rat ko hi samajh aa gaya tha. Mae aadhi rat ko yaha aa kar baetha tha aur nadi me tahni mar raha tha sath hi is problem se nikalne ka hal bhi soch raha tha. Tabhi mera dhyan apne hath me pakdi hui tahni pe gaya aag me dalne par bhi tahni ko kuchh nahi hua. Maene use nadi se nikal ke hath pe maara to mujhe thandi lagi aur usme name bhi thi. mae samajh gaya ke yaha aag nahi pani hae. fir mae chup chap ja ke so gaya. Aur abhi hum sab isi nadi me khade hae. rudra jhatke se peeche muda to ab waha khatera nahi tha. Na hi koi cottage na nashte ka saman. Waha ab khali maedan tha.
Rudra – kya tilsim hae yar? Manna padega trikal ko sala aag ka dariya sirf suna tha usne dikha hi diya aur wo bhi aesa ki himmat hi na ho aage badhne ki great. Hame bhi hila diya yar.
Nilam - koi jarurat nahi uski itni tareef karne ki chup chap chalo aap.
Dev – nahi nilam rudra sahi kah raha hae aur ye sach bhi hae aakhir pareshan to hum sabhi hue the na ye bat to manti ho tum bhi to agar hamara dushman kahi hamse aage nikal gaya to uski tareef karne me burai bhi kya hae bahot sahi chaal chali usne aur wo kamyab raha. Kahte hae bewkoof dost se Akalmand dushman hamesha behtar hota hae. aur wo meri bhi pahli paand rahe hae aur trikal unme se ek hae.
Rajni - dev ek bat samajh nahi aayi jab yaha ye aag ka dariya sirf ankho ka dhokha tha to nakshe me aesa kyu dikhaya gaya ke hamare liye ye nahi balki dusri taraf wala rasta sahi tha aakhir kal rat hamne yahi dekha tha na. to kya naksha bhi game plan hi hae?
Dev - nahi rajni naksha apni jagah sahi hae agar hum dusre raste pe jate to hame koi dikkat nahi aati aur yaha bhale hi bhramit karne ke liye hi sahi lekin ye aag ka dariya to aaya hi na. waha kuchh nahi aata saf suthra rasta milta. Aur tum logo ko bata du ke is raste pe mushkil khatam nahi hui hae uska aana abhi baki hae. aur ye sab mae pahle hi naksha dekh kar samajh chuka tha.
Rudra – tune kab dekha naksha? Aur kaesi dikkate?
Dev – is raste pe aane se pahle hi mae naksha dekh chuka tha aur man hi man maene is chunouti ka samna karne ki than li thi ek karan ye bhi tha is taraf aane ka.
Poonam – hum sab jante hae aap koi galat faisla nahi karege. lekin fir bhi saf rasta chhod kar is taraf aane ka karan?
Dev – samay meri jan samay. Wo jo dusra rasta tha wo kafi lamba tha lekin milta wahi jakar jaha hum log abhi ja rahe hae aur ye rasta chuna isiliye kyu ke ye bahot chhota hae us ke mukable. Tum ise shortcut hi kah sakti ho.
Nilam - lekin dev bhaiya abhi aapni jin mushkilo ki bat ki wo kya hae?
Dev – batata hu lekin usse pahle ek bat kahna chahuga, halat kaese bhi ho jaye koi ghabrayega nahi. Chahe kuchh bhi ho jaye.
Sabhi - ok
Dev – to jo aage ki mushkil hae wo ohhhhhhhhh…………………..
abhi unhone aadhi nadi hi paar ki thi ke achanak nadi me bahav tej ho gaya aur bahot sambhalne par bhi unme se koi nahi sambhla sab ek taraf teji se bahne lage aur nadi ke beecho beech bane ek pani ki surang me girte chale gaye sab ka bura hal tha har koi sambhalne ki koshish kar raha tha. Lekin mouka kisi ko nahi mila. Aur ek ek kar ke sabhi ke hosh gum hote chale gaye. Aur sabhi pani me doobte chale gaye.
Wahi nadi kinare khatera fir se najar aane laga jo ek ped ke peeche se nikla aur dono hath apni kamar pe rakh ke jor jor se hasne laga.
Khatera - Trikal se bada koi nahi. Aakhir kar trikal hi jeeta trikal jeet gaya. Khud ko bahot chalak samajhte the na tum dev. Hahahahahahahaha. Badhai ho mahan trikal aap ki jeet ki badhai ho. Ha ha ha ha ha ha.
Idhar tilism nagri me fakeer baba ne maharaj bhairav singh ko bulwaya tha. To ek kamre me maharaj bhairav singh fakeer baba aur maharaj sumant dev teeno baethe the.
BS – Fakeer baba aapne hame kyu bulwaya koi vishesh karan ?
FB – ha maharaj maene aapko yaha ek vishesh karan se bulwaya hae. asal me is waqt dharti pe dev aur rudra nahi hae. na poonam na nilam wo sab is waqt Trikal ke tilismi chakra me vyast hae. wo aa nahi sakte lekin ek khatra dev aur poonam ek pariwar ki taraf badi teji se badh raha hae. yadi use na roka gaya to anarth ho jayega. Aur fir dev ya poonam ko sambhalna mushkil .
SD – aesa kya khatra hae baba hame bataye
FB – wahi batane ke liye aap dono ko ikathha kiya hae maharaj. Asal me aghori aur uske guru ne bahot neech chal chalne ka faisla kiya hae. unki yojna hae ke……………………………….
Aur fakeer baba unhe aghori ki yojna batate hae.