If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
My dear readers sorry do mahine se bhi jyada ka samay ho gaya hum na to hamne koi update diya na, aap logo ko koi rply, na hi koi information. thi kuchh problems jisme jindagi uljhi hui thi. par ab game fir se on hae. lets start
To ab tak aap logo ne padhaupdate 258 me ke parkala apne gurudev ke samne tha aur unse baat kar raha tha
Prakala – kuchh nahi gurudev bas yu hi pareshan hu. Waese aapke darshano ka mujhe labh mila uske liye aapka dhanyavaad kintu aapne kyu kasht kiya mujhe bula liya hota .
Gurudev - nahi prakala karan hi kuchh aesa hae jiske liye mujhe tumse milne aana pada lekin pahle tum apni udasi ka karan batao kyu ki is dasha me tum hamari kahi koi dusri bat samajh hi nahi paoge.
Prakala – Jo aagya gurudev, to meri vyatha ka karan hae do navjavan bachho ki asamay mrityu jo behad dukhad aur dil ko cheer dene wala vakya hae. abhi kuchh din pahle jo kuchh bhi tilism nagri me hua usse nishchit hi aap bhi anjan nahi hoge. Us ladayi ne mujhe vichlit kar diya hae do pariwaro ke do jawan aur janbaaz bachhe is tarah chale gaye. Wo bhi us waqt jab wo dono hi apne aane wale sunahre bhavishya ke sapne bun rahe the. ye baat mujhse sahan nahi ho rahi hae. dev singh aur rajkumari poonam sach me bahot bahadur the jinhone marte marte bhi na sirf us dusht ka khatma kiya, balki apni nagriyo ko bhi surakshit kar gaye aur unhi ki vajah se hum bhi surakshit ho gaye. Kyu ki unki nagriyo ko paar kiye bain koi musibat hum tak pahuch hi nahi sakti. Ab wo dono nagriya to surakshit ho gayi saath hi hum bhi surakshit ho gaye. Aur ye sab hua us samay jab ke wo taiyar bhi nahi the aese yuddh ke liye. sochiye yadi wo dono poori taiyari ke saath maidan me khade ho jate to bhala aesa kaun hae is srishti me jo unhe hara pata, achanak hue hamle ke bavjud bhi us mantrik ko unhone maar dala jo khud poori taiyari se aaya tha. Yadi wo lalkar ke aata to bhala kya hi maar pata wo dev singh aur poonam ko, ye to wo veer bachhe the jinhone apne prano ki ahuti de kar dono nagriyo ko bacha liya Varna us dusht ki yojna to dono nagri wasiyo ko khatam karke khud waha raaj karne ki thi. Yadi aesa hota to shayad musibat humse jyada door nahi thi. kyu ki us kea bad wo mantrik wahi nahi rukta balki hum sabke liye bhi samsya hi khadi karta. Kyu ki hawas to kabhi bujhti hi nahi chahe ho jism ki ho ya satta ki. Aur us dusht ki is ghinouni hawas ka anjam kya hota koi nahi janta. ek tarah se jane anjane un bachho ne hame bhi surakshit kiya hae. par vidhi ka vidhan dekhiye jin do bachho ki vajah se aaj hum sab surakshit mahsus kar rahe hae na to hum unki koi sahayta kar paye na hi unka dhanyavaad. Dekha jaye to ye raaj pat ye raj singhasan sab unhi ki di hui bhent hae ab mere liye. Yadi wo dono apne jeevan ki ahuti de kar us dusht ka khatma na kar dete to hamare liye bhi koi kam mushkile na khadi hoti aane wale bhavishya me.
Gurudev – tum behad sanvedansheel ho prakala aur ek achha hriday bhi rakhte ho. Tumhari yahi sachhai shayad us prabhu ne sun li hae. aur mae ab jo tumhe batane ja raha hu use sun kar avashya hi tumhe behad prasannta hogi.
Prakala - mushkil hae gurudev kyu ki abhi hum itne vyathit hae ki koi bhi baat hame khushi nahi de sakti in hotho pe muskan nahi la sakti kintu fir bhi bataiye aesi kya baat hae gurudev jisse aapko lagta hae ke hame jan kar prasannta hogi.
Gurudev – He Rajan tumhare dukhi hriday ka marham hi laaye hae hum, Raj kumar dev aur Rajkumari poonam mare nahi hae.
Prakala chonkte hue uth khade hue – kya??? Kya kaha aapne gurudev kya sach me gurudev mere kaano ne yahi suna ke dono bachhe jivit hae? lekin unke mata pita ne to hame bataya ke wo dono….
Gurudev – unhone bhi sach hi bataya tumhe.
Prakala - ye kaesi paheli hae gurudev?
Gurudev – asal me wo dono bachhe apna shareer to chhod hi chuke hae kintu jis pashupatinath ki sajisho ke chalte nagri me ladayi chhidi thi use in bachho ki mout ne tod diya aur wo pchtave ki aag me jalne laga.
Bahot roya gidgidaya aur apne papo ki mafi bhi mangi lekin use badi taqato ne shrap diya ki uski saja ye hi hae ke ab use mukti nahi milegi kisi bhi tarah se chahe wo tap kare ya jap. Jab usne kai baar apni galti ki kshama mangi to bholenath ne prasann ho kar us par daya ki aur use kaha ke dev aur poonam ki atmao ko dhundhe aur unhe tapasya me leen kar de aur unhe itna shaktishali bana de ke jab unke dubara janam lene ka samya aaye tab tak wo poori tarah se taiyar ho chuke ho. Aur aesa hi pashupatinath ne kiya aur ab wo dono pavitra aatmaye yani dev aur poonam dono hi us pashupatinath ki sharan me hae jise usne kisi gupt sthan pe rakha hae jisse ke unki sadhna me koi vyavdhan na aaye. Aur wo aane wale yuddh ke liye khud ko taiyar kar sake.
Prakala - ye to behad khushi ki baat hae gurudev par kya ye sab bate unke maata pita nahi jante?
Gurudev – pahle nahi jante the kintu ishwar ke aadesh se pashupatinath ne un toote hue maa bap ko ye khushkhabri de di hae aur ab wo log bhi apne bachho ki wapsi ka intjar kar rahe hae. Jo kuchh waqt ke baad unse yahi aake milege.
Prakala – aapne bahot badi khabar sunai hae mujhe gurudev mae khud us dukh se bahar nahi nikal pa raha tha. Aapne sach hi kaha tha ke hume prasannta hogi aaj aapki ye baat sun kar hum behad prasann hae gurudev isse badi khushkhabri to koi ho hi nahi sakti. Ishwar ka lakh lakh dhanyavaad ke wo dono bachhe sahi salamat wapsi ki rah pe chal pade hae. Kuchh samay baad hi sahi kintu wo aayege. Kintu aapne ye nahi bataya ke apni itni vyastta se samay nikal ke svyam yaha aane ka kasht kyu kiya?
Gurudev – wahi batane ja raha hu putra suno.jis dev aur poonam ke liye tum itne vyakul ho gaye the jab wo dubara janam le kar aayege tab tumhe unse milne ka mouka milega. Yahi nahi tum unki sahayta karne ke ichhuke the na to ab tumhara ye dayitva hae ke tumhe unki sahayta ka mouka us waqt milega.
Prakala – ye to mere liye garv ki baat hae gurudev bataiye mujhe kya karna hoga?
Gurudev – prakala mae tumhe ek cheez dene ja raha hu jise tumhe dev ko dena hae aur ………………….
Vartman
Prakala – aur fir mere gurudev ne mujhe kuchh diya aur sari baat samjha di