Bilal jan
My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
- 15,901
- 39,800
- 258
Awesome update dostUPDATE – 163
FB – maharaj aap in logo ko nahi le ja payege ye baat to maene pahle hi kahi thi ke inke grah anukul nahi hae isiliye aap inhe yahi chhodiye inhe ye sangharsh karna hoga yahi rah kar, par aap chinta na kare inki suraksha ke liye dev ne bahot intjam kiye hae. aap log poonam ke pariwar ko bhi le lijiye aur chaliye. Kyu ki samay bahot kam rah gaya hae.
Ab aage……
Fir FB, SD, aur BS waha se nikal jate hae. aur ghar me sannata pasra hua rah jata hae.
Jaese hi din nikalta hae. aur nagarjun ghar me jata hae to use waha koi najar nahi aata jab ki aesa kabhi nahi hua tha ke subah subah jab wo ghar me jaye to use savitri ya diya najar na aaye. Wo turant sab ke kamre dekhta hae lekin sare kamre khali pade the. Diya ka kamra payal ka kamra aur DN ka kamra sab khali the nagarjun pareshan ho jata hae. wo yaha waha dekh raha tha tabhi use hall me table pe ek kagaj najar aata hae.
Mae Deenanath aur uski patni ko utha ke le ja raha hu jisme himmat hae mere farm house pe aakar unhe le jaye
THAKUR
Ye do line padhte hi nagarjun ka gussa satwe aasmna pe pahuch jata hae. wo turant shalaka ko bulata hae. uske yad karte hi shalaka samne aa jati hae
Shalaka - kya hua janeman aaj subah subah bula liya?
Nagarjun ka chehra kathor hua pada tha. Shalaka bhi bhanp jati hae ki koi gambheer bat hae. wo nagarjun ke hath se kagaj le ke padhti hae to uski bhi aankhe lal ho jati hae.
Shalaka - chalo un kutto ki mout aayi hae. ye sala thakur apni zaat dikhane se baaj nahi aayega. Dev ne bhi pata nhi kyu use chhod diya. par aaj hum log nahi chhodege is neech ko.
Tabhi waha gurum pahuchta hae.
Gurum - ye laila majnu kaha ja rahe hae gusse me?
Shalaka wo kagaj gurum ki taraf badha deti hae.
Gurum wo kagaj padh ke pahle to gusse me aata hae lekin achanak wo shant ho jata hae.
Gurum - nagarjun teri security koi mamuli nahi. Upar se tumne shield cover bhi kiya hae ghar ko. Fir aesa kaese hua ke maa aur babu ji ko koi le ke chala gaya aur tu nahi jan paya?
Nagarjun aur shalaka bhi apna gussa bhul kar sochne lagte hae. unhe kuchh samajh nahi aa raha tha.
Nagarjun - chalo camera dekhte hae
Teeno doudte hue basement wale room me jate hae. aur recording check karne lagte hae…………
……………. Kuchh der tak sab samanya dikhta hae to shalaka recording speed bada deti hae. kuch der bad unhe main gate pe thakur dikhta hae. akela. Wo hath bada ke kuch mantra padh raha tha. Kuchh der ke baad wo ek taraf ishara karta hae to koi 10 aadmi kale kapdo me najar aate hae jo teji se doudte hue. Ghar ke andar ghuste hae aur ek ek kamra check karne lagte hae. sare hi kamre khali the lekin DN ke kamre me DN aur savitri the jinhe wo behosh karte hae aur utha ke le jate hae. aur fir thakur camera ke samne aakar hasta hae. aur fir screen blank
Gurum – mujhe laga hi tha ke aesa kuchh hoga lekin mae conferm karna chahta tha. Ab mae batata hu. Koi aesi power hae jisne nagarjun ki power ko thodi der ke liye loos kiya. Isi beech maa aur babu ji nikale gaye. Le jane wale to sadharan log the lekin ham me se kisi ko pata nahi chal paya kyu ki uski sahayat ki thakur ne jiske pas koi power aa gayi hae ab ye kaese aayi ise dekhna padega.
Shalaka – ek minut lekin wo log maa babu ji ko le gaye. Baki log kaha gaye ghar se. unhe kaun le gaya.
Tabhi waha fakeer baba aate hae. teeno unhe namaskar karte hae.
FB – tum log pareshan mat ho bachho baki sab surakshit hae naglok me. Is ghar ke log bhi aur poonam ke ghar ke log bhi. Lekin dev ke ye wale maa babu ji ki jindagi khatre me hae. asal me thakur ko aghori ka saath mil chuka hae. wo tum logo ko uljha raha hae. tum log ja sakte ho waha lekin ek baat yad rakhna haweli walo ki jimmedari bhi tumhari hae unhe hum naglok nahi le ja sakte.
Lekin baba…………… gurum ne kahna chaha par………
FB - isi ke saath deva ne jin ladkiyo ko aashray diya hae jo uski nayi building me hae unhe bhi bachana hae. aur tum log ho sirf char. Aur tumahre nishane hae teen haweli , nayi building ki ladkiya, aur deva ke maa babuji.
Gurum – baba jab aap sab ko yaha se le gaye to maa babu ji ko kyu nahi le gaye?
FB – beta ye badi taqato ke faisle hae unhe ye sangharsh poora karna hae isiliye hamari koshisho ke bavjud hum unhe nahi le ja paye.
Baba lekin un ladkiyo aur haweli ki ladies ko to aap surakshit kar sakte hae na. gurum bola
FB – nahi beta ye hamari duniya ke niyam ke virudhh hae. is tarah hum poori yaha ki duniya waha nahi le ja sakte. Kuch bate hae jo dev yar poonam se judi hae jinki wajah se jo jo ja sakte the unhe hum le gaye sab ko nahi le jaya ja sakta. Aur fir tum log to yaha ho hi. Ishwar karega sab kuchh tumhari soch se bhi achha hoga. Jao ab der mat karo unhone jal faila diya hae ab jakar use kato jao.
Itna kah kar FB adrashya ho gaye.
Shalaka – mera ek vichar hae. mae aur channo haweli ki ladies ko le kar new building me pahuchte hae waha pe abhi bhi ladkiya hae. agar takur ko pata chal gaya to wo unhe barbad kar dega. Hum sab alag alag ho ke kisi ko nahi bacha payege. Abhi thakur maa babu ji ko kuchh nahi karega jab tak hum me se koi waha nahipahuchta kyu ki agar use unhe marna hi hota to wo unhe le ke nahi jata. Jahir hae wo unhe hamare samne tadpa ke sukh lena chahta hae. to waha jane ka abhi koi fayda nahi. Pahle waha chalte hae jaha abhi thakur ka dhyan nahi hae,
Nagarjun – sahi kaha tumne chalo haweli aur waha ki charo ladies ko adrashya kar ke new building me pahuchate hae.
Fir charo teleport ho kar haweli pahuchte hae. jaha wo mala, kamini, rati aur jyoiti ko adrashya kar dete hae. aur fir channo ko sath le kar sabhi seedhe pahuchte hae new building. ye wahi building hae jo deva ne shalaka se kah kar banvayi thi jisme usne Wilson ki gang se riha karwayi hui ladkiya rakhi hae. iske bare me baad me baat karege.
Is waqt us nayi building me sabhi pahuch chuke the. 18 ladkiya thi waha. Aur char haweli ki ladies. Aur gurum and party.
Shalaka – nagarjun tum is building ko best security aur sabse majbut shield do. Tum jante ho ab thakur tumhari ghar wali shield ko break kar chuka hae to aesi shield dena ki wo sala break karna to door us shield se andar bhi na jhank sake.
Nagarjun – nishchint raho. Ab uski ek nahi chalegi. Use yaha khali maedan hi dikhega chahe wo kisi bhi shakti se dekh le. Use yaha kuchh nahi dikhega. Na yaha ki aawaz sunega. Is building ke andar ke logo ko wo kisi bhi angle se trace nahi kar payega chahe kuchh bhi kar le na wo na sala uska baap aghori. Na hi koi aghori ka baap. Ye vada hae mera.
Nagarjun turant chhat pe jata hae aur apne hath faila ke. Teji se mantra padhne lagta hae. koi 5 minut tak wo hath failaye mantra padh raha tha. Achanak jaha building thi waha khali maidan ho jata hae. koi waha se nikal bhi jaye to use ahsas nahi hoga. Ke yaha kuchh hae. full transparent like air. Jo Hae to sahi lekin kisi ko nahi dikhni ab .
Fir nagarjun neeche aata hae. - ab ye building hamare group ke alava kisi ko nahi dikhni. Ab chale maa babu ji ke paas. Lekin channo tum fir bhi inke hi saath rahogi. Aur agar koi viprit halat samne najar aaye to turant hame aawaz dena. Hum pal me tumahre pas hoge.
Channo – thik hae bhaiya…. Aap sab jaiye aur maa babu ji ko bachaiye kyu ki agar kuchh bhi gadbad hui to dev bhaiya aur Rudra ka samna nahi kar payege hum log. Na hi unse najar mila payege. Isiliye aap log sab jaiye yaha ki chinta mat kijiyega. Dev bhaiya ki taqat hae mere pas aur uska mukabla karna kisi ke liye bhi mamuli bat nahi hae. aap log nishchint rahe.
Gurum – dhyan rakhna deva nahi hae, hum sab ki jimmedariya jyada hae aur itne sare logo ki jimmedari abhi sirf tum par hae.
Channo – deva bhaiya ka hi ashirwad hae mujh par bhi aap nishchint rahiye. Sab achha hi hoga. Aap log jaiye der mat kijiye. Kahi kuchh anarth na ho jaye……………….
Nagarjun - wo Sala Rudra Sahi Kahta Hae Dev Ne ek se badhkar ek nagine chun rakhe hae apni team me. sab jitne masum usse kahi jyada khatarnak. bhai gurum tu sambhal ke rahna inhe to sari jindagi tere sath hi rahna hae ab.
aese mahoul me bhi nagarjun ki ye thitholi sun sab ke chehre pe muskan aa gayi lekin halat ki gambheerta ko dekhte hue baki sab turant waha se nikal pade sab ke dilo dimag me andhiya ud rahi thi. future ka soch kar.
To aakhir swarn mani tak pahunch hi gaye sab. Pata nahi trikaal kya batane waala hai. Mya uske maa baap thakur aur aghori ke changul se bach payenge.UPDATE 164
Aese mahoul me bhi nagarjun ki ye thitholi sun sab ke chehre pe muskan aa gayi lekin halat ki gambheerta ko dekhte hue baki sab turant waha se nikal pade sab ke dilo dimag me aandhiya ud rahi thi. future ka soch kar.
Ab Aage---------
Sabhi log nikal kar thakur ke farm house pahuchte hae jaha pe is waqt tak kareeb 50 guards ne poore farm house ko ghera hua tha. Jo door se hi najar aa rahe the.
Idhar mout ka jaal bichh chuka tha dev ke maa aur babu ji ki jindagi mout ki kagar par thi aur udhar tilismi chakra me ek mahal ke chhote se talab ya swimming pool kah lo usme ek ke baad ek panch bejan jism pani par taerte najar aa rahe the dev, poonam, rudra, nilam aur rajni ye sab us nadi ke beech bane kue (Well) me gire aur behosh ho gaye the lekin nikle the ek mahal ke andar. Aur ye sab abhi Gaanv ke halat se poori tarah anjan the.
Wo sabhi behosh the lekin fir bhi koi doob nahi raha tha. Sabhi log pani me gire patto ki tarah tair rahe the.Thodi der ke baad koi unhe pani se nikal ke. Bahar lita deta hae…….
……chalo bhai tum logo ke hosh me aane ka waqt aa gaya hae………….
aur fir sabse pahle dev ki ankhe khulti hae. samne dekhta hae to muskra deta hae. aur ek kone me baeth ke sabke hosh me aane ka intjar karta hae. dheere dheere sab ko hosh aa jata hae sabse aakhri me rudra ki ankhe khulti hae. aur wo jab sabko surakshit dekhta hae to khush ho jata hae lekin jaese hi samne dekhta hae.
Rudra – sale tu kab aaya yaha?
Khatera – mae to parchai hu aapki Trikal ne mujhe aapke sath lagaya hae. mae kabhi jata hi nahi aur jata bhi hu to aapki khabar rakhta hu.
Dev – ye kaun si jagah hae?
Khatera – ye Trikal ka mahal hae.
Sabhi ek saath - kya????????????
Dev – Trikal ka mahal?
Rudra – to aakhir tune hame faans hi liya na?
Khatera – maene kaha kuchh kiya tum log hi meri bat ko har bar ansuna kar ke aage badhte rahe aur aakhir yaha tak pahuch hi gaye. Ab chalo andar.
Sab log andar jate hae to andar bahot bada shahi hall tha deewaro pe tarah tarah ki paintings thi talware lagi hui thi. jo dikhne me hi bahot jyada bhari lag rahi thi. chhat pe vishal jhoomar latak raha tha. Deewaro par bade hi robdar shaksiyat wale insane ki paintings lagi hui thi. jo ajeeb se kapde pahne tha. Aur kahi khada hua dikh raha tha to kahi singhasan pe shaan se baetha hua dikh raha tha.
Dev – khatera ye kis ki paintings hae yaha par?
Khatera - Tum logo ko yaha baethna hae to yaha ki saaf safayi kar lo aur fir aaram karo mae bad me aauga aur tum logo ke khane peene ka saman la duga. ........usne dev ki bat ko suna ansuna kar diya.
Rudra – hum log kyu kare yaha ki safai sala noukar samjha hae kya? Abe sasti se sasti hotel me bhi chale jao to waha bhi sab saf to milta hae baethne ko jagah to milti hi hae. aur tu to kah raha tha ye trikal ka mahal hae sala isse jyada saaf to dhaba hota hae be. Ye koi mahal hae abe bhutiya haweli hae ye sale sharam nahi aati khandhar ko mahal kahta hae? yahi aukat hae tere us trikal ki? kuchh noukar laga kar mahal saf nahi kar sakta kahe ka bhagwan hae be wo?
Khatera – tu jo chahe bolta rah rudra mujhe gussa nahi aane wala. Aata hu mae.
Itna kah kar khatera gayab ho jata hae.
Dev – Trikal ka mahal hae ye. Yaha aana bhi sab ke naseeb me nahi hota be. Tujhe to yaha jhadu marne ko mil rahi hae, khush kismat hae tu. chalo shuru ho jao.
Rudra – waah BC tu to aese bol raha hae jaese jhadu marne se yaha gold medal milega. Kahe ki khushkismati hae isme.
Rudra bura sa mooh bana ke dev ko dekhta hae. to dev hans deta hae.
Poonam – kya dev aap bhi rudra ko pareshan kar rahe hae. hum teeno mil ke safai kar dege aap nishchint raho. Fir teeno ladies safai me lag jati hae jab koi bhari cheez hatane ya sarkane ki jarurat padi to dev aur rudra ne kar di. Beech beech me rudra aur dev bhi unka hath bata rahe the. Koi 2-3 ghante ke baad poora hall chamak raha tha. Bas jhoomar chhod ke kyu ke wo bahot upar tha.
Rudra ghum raha tha waha ki har cheez ko kotuhal ki najar se dekh raha tha. kabhi paintings ko chhu kar dekh raha tha. jisme moujud shaks ki aakhe kuchh khas thi. uske chehre ka roub tasveer me bhi alag hi dam rakhta tha. , kabhi waha tangi talwar utha ke dekhta jo sach much kafi vajni thi aur hire jade the un talwaro me lekin kahi kahi se gayab the. wo bhi ye samay ki maar hi thi jo har cheez pe dikh rahi thi.
fir yu hi ghumte ghumte uski naajr waha plate form pe rakhe ek hiran pe gayi nakli hone ke nate wo kafi bada tha jisse wo asadharan dikh raha tha. Use dekh kar yu lag raha tha abhi chalang mar ke nikal jayega it was just real. Wo bade gaur se us hiran ko dekh raha tha. Jo sone ka bana hua tha. Aur abhi safai hone ke baad kafi chamak raha tha. Uski peeth pe jaha asli hiran ki peeth pe kale gol nishan hote hae. Waha is hiran ki peeth pe alag alag hire lage hue the jo chamak rahe the. Lekin us hiran ki ankho me kuchh nahi tha waha bas do gadhe the. Usme se lal roshni nikal rahi thi aur halka halka dhua sa. jaese ke usme aag lagi hui ho.
Rudra ko bada ajeeb lag raha tha ke ye kaesa tilism hae samne painting hae lekin chehre asli lag rahe hae, talware hae unki nakkashi gayb hae, itne ache hiran ki ankhe is buri halat me hae. agar iski ankhe bana di hoti to kitna khubsurat lagta. Fir Wo yu hi tahalta hua aage jata hae to use ek aurat ki moorti dikhti hae jo apna ek hath kamar pe aur ek hath sir ki taraf is andaz me kar ke khadi thi mano waha pe usne ghade pakad rakhe hae lekin koi ghada nahi tha na uski kamar pe na uskie sir pe.
Rudra – chutiye hae sale. khud ko tilism ka king mante hae koi cheez perfect nahi ab Ye itna khubsurat putla banaya hae jaese ye aurat abhi bol padegi. Koi gaanv wali lag rahi hae. lekin iske ghade hi cheen liye ya banaye hi nahi. Akal hi nahi hae. aur khud ko bahot bade tilismi jadugar kahte hae loude.
Rudra yu hi badbadate hue wapas aakar dev ke pas baeth jata hae. Tabhi waha khatera aa jata hae. aur ek taraf ishara kar ke khana laga deta hae.
Khatera – tum log khana kha ke aaram karo aur chaho to bate karo mujhe koi matlab nahi. Itna kah kar khatera fir chala jata hae.
sabhi log khana kha lete hae. aur wahi pe let ke sustane lagte hae koi ek do ghante baad…….. unhe kone me koi baetha najar aata hae.
Rudra – abe tu jata kyu nahi hamse chipka kyu hua hae?
Khatera – yahi kaam hae mera
Dev – Trikal kaha hae?
Tabhi waha ek roshni ka bindu chamakta hae
Khatera hath jod ke apna sir jhuka deta hae – Trikal ki jay ho, Trikal mahan hae.
Trikal – tumhare kam se mae khush hu khatera badiya kam kiya tumne mae tumse bahot khush hu. Inka dhyan rakhna do din baad hosh me aaye hae.
Dev – do din baad?
Trikal – ha dev yaha ke samay ke hisab se do din baad. Do din se tum log isi talab me behosh taer rahe ho.
Dev – Trikal hame yaha kyu laye ho? Jaha tak mae samajhta hu tum hame koi nuksan to nahi pahuchana chahte kyu ki yadi aesa hota to hum sab do din se behosh tumhare samne the tum hame maar sakte the ya bandi bana sakte the par tumne aesa kuchh nahi kiya. Aur ab jabki hum tumhare hi mahal me hae to tum khatera ko hamara dhyan rakhne ko kah rahe ho jaese hum tumhare mehman ho?
Trikal – dev ye sab bate bemani hae in ko chhodo kam ki bat kar le?
………tumhe jis cheez ki talash hae wo yahi milegi isiliye yaha ho tum log.
Dev – kya matlab ?
Trikal – matlab SWARN MANI
Poonam – lekin ……….
Trikal – poonam tum abhi kuchh mat socho. Kyu ki jo mae kahne aaya hu wo sunna jyada jaruri hae………………..
Yani ab yah log tilism ke aakhri padav me pohach Gaye hain. Lekin yaha pee bal se zada buddhi ki pariksha honi hain. Ab dekhte kaisay yah padav puri hoti hain Dev aur uski team ki. Aur tilism tootne tak Kia apne dosto aur Maa baap ko bacha payega Dev.UPDATE 164