• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,276
143
bhai aapka vichar achha hae lekin tilismi wala chepter agle update me hi khatam ho jayega. aur aapko lamba intjar bhi nahi karna padta . lekin ye xforum hi band hua to hum kya kare. ha band se yad aaya hum soch hi rahe the ki kisi se pooche kya aap bata sakte hae ke xforum itne din band kyu ho gaya tha? anyway xforum on hua hae to update ke liye koi intjar nahi karna padega.thanks for your review.
Dost main to roj access kar paa raha tha sirf jab site update hoti thi tab chod kar. Main ye url use karta hoon DuckDuckGo browser par jo cookies, trackers or popup ko block rakta hai.


Aap bhi try karo it will work.
 
  • Like
Reactions: Tiger 786 and Luffy

Boby

Well-Known Member
2,801
13,184
159
Dost main to roj access kar paa raha tha sirf jab site update hoti thi tab chod kar. Main ye url use karta hoon DuckDuckGo browser par jo cookies, trackers or popup ko block rakta hai.


Aap bhi try karo it will work.
i must try bro
 
  • Like
Reactions: Tiger 786
15,608
32,143
259
Thank bhai for your review. lekin aapke review me mae kuchh corrections karna chahta hu . ek to ye ke mannu ki taang todi nahi balki kaati gayi hae, dusri bat ye ke dev gaanv to aa gaya hae lekin aap pathko ke liye abhi usme ek update ki der hae kyu ke aap logo ke hisab se to abhi dev tilism se nikla hi nahi hae na, to pahle to hame wapas tilism hi chalna hae aur dev ko lekar aana hae. wo bhi agle update me.
tang ki baat sahi kaha par maine todna aur kaatna ek hi matlab se kaha ..
kabhi kabhi sahi shabd nahi milte comment karte waqt ...
 

Boby

Well-Known Member
2,801
13,184
159
tang ki baat sahi kaha par maine todna aur kaatna ek hi matlab se kaha ..
kabhi kabhi sahi shabd nahi milte comment karte waqt ...
chalta hae bhai yaha waese bhi koun sa award milna hae :DD:
 

Boby

Well-Known Member
2,801
13,184
159
UPDATE – 168



Trikal – dhanyawad dev, poonam. aaj aap logo ki vajah se mujhe is kaid se mukti mili.



Itna kah kar usne apne hath ko upar uthaya aur kuchh mantra padhne laga. To upar hawa me ek sunahre rang ka bahot bada hira najar aane laga jiske do safed pankh bhi the. Aur us me se bhaot adbhut prakash nikal raha tha. Aur wo dheere dheere neeche aane laga. Uski roshni se poora kamra bhar gaya tha.

Ye thi
SWARN MANI


Trikal - poonam dev ke baju me khadi ho jao aur dev tum poonam ka hath apne hath me is tarah lo jaese kanyadan ke samay dulha dulhan ka hath apne hath pe rakhwata hae.



Dev ne apna hath aage badaya aur poonam ne uske khule hath pe apna hath rakh diya. Idhar Trikal ne kuchh mantra padh ke swarn mani ko ishara kiya. Swarn mani hawa me tairti hui aage badhi aur dev aur poonam ke hath pe aake baeth gayi. Dono ko bahot tej thandak ka ahsas hua aur poora sharer ek ajeeb sfurti se bhar gaya. Man me khushiyo ki lahar daudne lagi.



Trikal ne aakar dev ke kan me kuchh kaha aur fir poonam ke kan me bhi kaha.



Trikal – ab jab bhi tum dono is tarah hath mila ke ye mantra padhoge swarn mani tumlogo ke hath me aa jayegi aur fir tum jo chahoge wo hoga. badi se badi taqat iske hote tum dono ka kuchh nahi bigad payegi. Iski sahayta se tum murde me bhi jan dal sakte ho. Lekin uski kuchh alag vidhi bhi hae. Jan to aa jayegi lekin use jivit awastha me khada karne ka rasta kuchh alag hae. Yadi kabhi koi aesi paristhiti hui to mujhe yad karna dev mae aa jauga. Isi mantra ko dubara padhne se ye mani tum dono ke andar sama jayegi , is mani ka upyog tum dono me se koi ek akela bhi kar sakta hae. Lekin sath me karne se iski shakti kai guna badh jayegi. Akele karne se iski shakti seemit hogi . halaki uska samna bhi koi nahi kar payega. Ab tum log jana chaho to ja sakte ho.



Tabhi ek bar fir poonam ke hoth hilne lage. Ab mera bhi koi kam nahi raha to mae bhi ja raha hu poonam mae tumse aur baki sabse vida lene aaya tha.



Rudra – tune kiya hi kya?, aur tu tha hi kab? jo jane ki ijajat mang raha hae?



Shankra – pahli bat mae yaha tumhare ya kisi aur ke liye nahi aaya tha na hi yaha apni upasthiti darz karwane aaya tha. Mae to sirf poonam ki khatir aaya tha use bachane. Lekin jab mujhe laga ki use koi khatra nahi Trikal se , aur wo khud tumhari parde ke peeche se sahayta kar raha hae to fir mae bhi peeche ho gaya tha. Ab chalta hu poonam apna dhyan rakhna. Lekin hum log jald hi milege mujhe bhavishya najar aa raha hae aur us samay mae tum sab se sa-shareer miluga tab shayad rudra ko mujhse koi shikayat nahi rahegi.



Itna kah kar poonam ke hoth hilna band ho gaye aur wo normal ho gayi.



Nilam - didi wo shankra chala gaya.



Poonam - ha mujhe pata hae maene suna usne jo bhi kaha yaha pe. Wo sach bol raha tha. Hum sab bhavishya me fir ek hone wale hae kinhi ajeeb se halato me. Is bar se kahi jyada khatarnak rasto par. Tab wo hamare sath hoga.



Trikal - kya ab mae tum logo ko tumhari duniya me bhej du?



Dev – ek minut kya mae fakeer baba se bat kar sakta hu?



Trikal – ha kyu nahi tumhari poori shaktiya tumahre pas hae bilkul kar sakte ho.



Dev ek taraf ho gaya aur aankhe band kar ke fakeer baba ko yad kiya. To uski ankho ke aage fakeer baba ka chehra aa gaya.



Dev man hi man bat karne laga – pranam baba



FB – jeete raho dev.



Dev – hamne swarn mani hasil kar li hae baba ab kya aadesh hae aapka?



FB – mujhe khushi hae dev ke tum log apne maksad me kamyab hue. Mujhe meri shaktiyo se ye suchna mil chuki hae mae tumhara hi intjar kar raha tha…..



Dev – baba Trikal ka kahna hae ke hum jaha chahe wo hame turant bhej dega. To ab aapka kya aadesh hae?



FB – turant wapas aao dev aur apne gaanv pahucho waha bahot kuchh hua hae. jo tumhe mae abhi nahi bata sakta.



Dev – baba sab thik hae na?



FB – janne se behtar hae yaha aa jao aur khud dekho, tumhari dharti ke samay ke hisab se tum 6 mahine se jyada waqt bahar bita chuke ho. Itne me bahot kuchh badal gaya hae.



Dev – lekin baba aapne kaha tha ke hame kahi aur bhi jana hae. to fir aap wapas kyu bula rahe hae?



FB – waha baad me chale jana usse jaruri abhi dusri bate hae tum log turant gaanv pahucho ab mae chalta hu.



Dev ne aankhe kholi lekin uske chehre ki chinta dekh ke baki sab bhi pareshan ho gaye.



Rudra – kya hua dev kya kaha fakee baba ne?



Dev – kuch uljhi hui baate ki hae unhone. Mujhe samajh nahi aaya kuchh bhi. Lekin unka kahna hae ke bina der kiye gaanv pahucho.



Rudra – to fir sab bhul jao aur gaanv chalo.



Dev – ha yahi sahi hae. abhi hame jane me bhi samay lagega.



Trikal – koi samay nahi lagega dev tum sab ek duje ka hath pakad lo mae tum logo ko turant tumhari dharti pe wapas bhej deta hu.



Dev – dhanyavad Trikal.



Trikal – dev jane se pahle tumse mae kuchh kahna chahta hu. Halaki tumhare pas apni khud I kai sari adbhut shaktiya hae aura b to swarn mani bhi hae tumhe kisi ki sahayta ki jarurat nahi hae, lekin agar kabhi bhavishya me tumhe lage ke mae tumahre kisi kam aa sakta hu to swarn mani ko hath me lekar mujhe yad karna ye mere pas bhi rahi hae to mujhse jud chuki hae . tumhare yaad karte hi mae tumhare samne aa jauga. Aur meri samast shaktiya bhi tumhari sahayta ke liye hajir rahegi.





Dev – thik hae Trikal mae yad rakhuga.dhanyavaad.



Fir sabne ek duje ka hath pakda aur Trikal ne kuchh mantra pad ke unki taraf hath badaya aur sabhi waha se dhua ban ke ud gaye. Aur thodi der ke baad jab unhone aankhe hkholi to khud ko gaanv ki sarhad pe paya.



Dev – mujhe bechaini ho rahi hae rudra kuchh gadbad hae.



Dev ne aankhe band ki – shalaka…………



Do minut ke andar shalaka dev ke samne aa gayi khoone se lathpath. Wo us samay farm house pe hi thi dev ki awaz sun ke turant uske paas aa gayi.



Shalaka ko is halat me dekh kar sab chonk gaye.



Poonam – kya hua shalaka tum aesi halat me?



Shalaka – baate bad me pahle sab mere saath chalo . shalaka ne ankhe band ki aur sabhi waha se adrashya ho kar farm house pe pahuche. Waha ke halat dekh kar sab chonk gaye. Shalaka ne unhe farm house me bahar hi visible kiya. Wo log bahar se andar aane lage aur kadam kadam pe lashe dekh kar dev aur rudra ki ankho me shole nachne lage wahi haal nilam aur poonam ka bhi tha.
 
Top