- 2,801
- 13,184
- 159
Thanks Bhaiबोहत शानदार अपडेट था .....
Bilkul thik bhai Swarn Mani milne se sari mehnat to safal ho gayi lekin gaanv me jo hua hae us ke liye ab dev and party ka reaction kya hoga ye dekhne layak baat hae. aur aane wale updates me ye bhi clear ho hi jayega. thanks for your review.Chalo itne dino ki mahnat safal hui aur swarn mani mil gayi. Magar thakur, aghori aur uske guru ka kaam tammam hona baaki hai. Kya dev ke maa baap bach gaye hai ya thakur ne unko maar diya hai. Dekhte ab chandaal chukadi kya karti hai aghori aur uske gang ke saath.
Thanks for your Review bhai , dev aur poonam taqatwar to ban gaye lekin uski keemat jo unhe bharni padi hae uska reaction kya hoga ye abhi suspance hae. aur sath hi yaha ye bhi ek bat aati hae ke kya inki taqat sach me aghori se upar hui hae ya uske barabar ya ab bhi aghori hi unse ek kadam aage hae? kya uske guru ne ye nahi dekha ye nahi socha ke swarn mani agar dev ko mil gayi to kya hoga? kya usne apni taraf se koi taiyari ki hae ya yu hi dev ko swarn maeni mil jane se wo peeche hat jayege? sawal khatam nahi hue hae my friend abhi bahot kuchh hona hae. lekin ha is tilism ka safar to abhi khatam ho hi gaya....... par kya sach me khatam ho gaya tilism? wo koun si jagah hae jaha FB ne swarn mani milne ke bad dev ko jane ki bat kahi thi. sochiye... milte hae agle update me.Sawrn mani milne se DEV or Poonam ab sabse takatwer ban gaye Trikal n bhi bhawis m sahayata kerne ki baat kahi ager zaroorat padi tow jo achchi baat h ab dekhte yeh sab dekhne k baad Dev & team kia kerta h thakur or aghora ka
Badhiya shaandaar lajawab update bhai
Awesome updateUPDATE – 168
Trikal – dhanyawad dev, poonam. aaj aap logo ki vajah se mujhe is kaid se mukti mili.
Itna kah kar usne apne hath ko upar uthaya aur kuchh mantra padhne laga. To upar hawa me ek sunahre rang ka bahot bada hira najar aane laga jiske do safed pankh bhi the. Aur us me se bhaot adbhut prakash nikal raha tha. Aur wo dheere dheere neeche aane laga. Uski roshni se poora kamra bhar gaya tha.
Ye thi SWARN MANI
Trikal - poonam dev ke baju me khadi ho jao aur dev tum poonam ka hath apne hath me is tarah lo jaese kanyadan ke samay dulha dulhan ka hath apne hath pe rakhwata hae.
Dev ne apna hath aage badaya aur poonam ne uske khule hath pe apna hath rakh diya. Idhar Trikal ne kuchh mantra padh ke swarn mani ko ishara kiya. Swarn mani hawa me tairti hui aage badhi aur dev aur poonam ke hath pe aake baeth gayi. Dono ko bahot tej thandak ka ahsas hua aur poora sharer ek ajeeb sfurti se bhar gaya. Man me khushiyo ki lahar daudne lagi.
Trikal ne aakar dev ke kan me kuchh kaha aur fir poonam ke kan me bhi kaha.
Trikal – ab jab bhi tum dono is tarah hath mila ke ye mantra padhoge swarn mani tumlogo ke hath me aa jayegi aur fir tum jo chahoge wo hoga. badi se badi taqat iske hote tum dono ka kuchh nahi bigad payegi. Iski sahayta se tum murde me bhi jan dal sakte ho. Lekin uski kuchh alag vidhi bhi hae. Jan to aa jayegi lekin use jivit awastha me khada karne ka rasta kuchh alag hae. Yadi kabhi koi aesi paristhiti hui to mujhe yad karna dev mae aa jauga. Isi mantra ko dubara padhne se ye mani tum dono ke andar sama jayegi , is mani ka upyog tum dono me se koi ek akela bhi kar sakta hae. Lekin sath me karne se iski shakti kai guna badh jayegi. Akele karne se iski shakti seemit hogi . halaki uska samna bhi koi nahi kar payega. Ab tum log jana chaho to ja sakte ho.
Tabhi ek bar fir poonam ke hoth hilne lage. Ab mera bhi koi kam nahi raha to mae bhi ja raha hu poonam mae tumse aur baki sabse vida lene aaya tha.
Rudra – tune kiya hi kya?, aur tu tha hi kab? jo jane ki ijajat mang raha hae?
Shankra – pahli bat mae yaha tumhare ya kisi aur ke liye nahi aaya tha na hi yaha apni upasthiti darz karwane aaya tha. Mae to sirf poonam ki khatir aaya tha use bachane. Lekin jab mujhe laga ki use koi khatra nahi Trikal se , aur wo khud tumhari parde ke peeche se sahayta kar raha hae to fir mae bhi peeche ho gaya tha. Ab chalta hu poonam apna dhyan rakhna. Lekin hum log jald hi milege mujhe bhavishya najar aa raha hae aur us samay mae tum sab se sa-shareer miluga tab shayad rudra ko mujhse koi shikayat nahi rahegi.
Itna kah kar poonam ke hoth hilna band ho gaye aur wo normal ho gayi.
Nilam - didi wo shankra chala gaya.
Poonam - ha mujhe pata hae maene suna usne jo bhi kaha yaha pe. Wo sach bol raha tha. Hum sab bhavishya me fir ek hone wale hae kinhi ajeeb se halato me. Is bar se kahi jyada khatarnak rasto par. Tab wo hamare sath hoga.
Trikal - kya ab mae tum logo ko tumhari duniya me bhej du?
Dev – ek minut kya mae fakeer baba se bat kar sakta hu?
Trikal – ha kyu nahi tumhari poori shaktiya tumahre pas hae bilkul kar sakte ho.
Dev ek taraf ho gaya aur aankhe band kar ke fakeer baba ko yad kiya. To uski ankho ke aage fakeer baba ka chehra aa gaya.
Dev man hi man bat karne laga – pranam baba
FB – jeete raho dev.
Dev – hamne swarn mani hasil kar li hae baba ab kya aadesh hae aapka?
FB – mujhe khushi hae dev ke tum log apne maksad me kamyab hue. Mujhe meri shaktiyo se ye suchna mil chuki hae mae tumhara hi intjar kar raha tha…..
Dev – baba Trikal ka kahna hae ke hum jaha chahe wo hame turant bhej dega. To ab aapka kya aadesh hae?
FB – turant wapas aao dev aur apne gaanv pahucho waha bahot kuchh hua hae. jo tumhe mae abhi nahi bata sakta.
Dev – baba sab thik hae na?
FB – janne se behtar hae yaha aa jao aur khud dekho, tumhari dharti ke samay ke hisab se tum 6 mahine se jyada waqt bahar bita chuke ho. Itne me bahot kuchh badal gaya hae.
Dev – lekin baba aapne kaha tha ke hame kahi aur bhi jana hae. to fir aap wapas kyu bula rahe hae?
FB – waha baad me chale jana usse jaruri abhi dusri bate hae tum log turant gaanv pahucho ab mae chalta hu.
Dev ne aankhe kholi lekin uske chehre ki chinta dekh ke baki sab bhi pareshan ho gaye.
Rudra – kya hua dev kya kaha fakee baba ne?
Dev – kuch uljhi hui baate ki hae unhone. Mujhe samajh nahi aaya kuchh bhi. Lekin unka kahna hae ke bina der kiye gaanv pahucho.
Rudra – to fir sab bhul jao aur gaanv chalo.
Dev – ha yahi sahi hae. abhi hame jane me bhi samay lagega.
Trikal – koi samay nahi lagega dev tum sab ek duje ka hath pakad lo mae tum logo ko turant tumhari dharti pe wapas bhej deta hu.
Dev – dhanyavad Trikal.
Trikal – dev jane se pahle tumse mae kuchh kahna chahta hu. Halaki tumhare pas apni khud I kai sari adbhut shaktiya hae aura b to swarn mani bhi hae tumhe kisi ki sahayta ki jarurat nahi hae, lekin agar kabhi bhavishya me tumhe lage ke mae tumahre kisi kam aa sakta hu to swarn mani ko hath me lekar mujhe yad karna ye mere pas bhi rahi hae to mujhse jud chuki hae . tumhare yaad karte hi mae tumhare samne aa jauga. Aur meri samast shaktiya bhi tumhari sahayta ke liye hajir rahegi.
Dev – thik hae Trikal mae yad rakhuga.dhanyavaad.
Fir sabne ek duje ka hath pakda aur Trikal ne kuchh mantra pad ke unki taraf hath badaya aur sabhi waha se dhua ban ke ud gaye. Aur thodi der ke baad jab unhone aankhe hkholi to khud ko gaanv ki sarhad pe paya.
Dev – mujhe bechaini ho rahi hae rudra kuchh gadbad hae.
Dev ne aankhe band ki – shalaka…………
Do minut ke andar shalaka dev ke samne aa gayi khoone se lathpath. Wo us samay farm house pe hi thi dev ki awaz sun ke turant uske paas aa gayi.
Shalaka ko is halat me dekh kar sab chonk gaye.
Poonam – kya hua shalaka tum aesi halat me?
Shalaka – baate bad me pahle sab mere saath chalo . shalaka ne ankhe band ki aur sabhi waha se adrashya ho kar farm house pe pahuche. Waha ke halat dekh kar sab chonk gaye. Shalaka ne unhe farm house me bahar hi visible kiya. Wo log bahar se andar aane lage aur kadam kadam pe lashe dekh kar dev aur rudra ki ankho me shole nachne lage wahi haal nilam aur poonam ka bhi tha.
Thanks Raja BhaiFantastic Bahot behtreen update Bhai
Wah sankara ne dev ko yaad dilva diya or ek gyan bhi diya jo Bahut hi mahatvapurn hai... Superb update bhai sandar jabarjastUPDATE - 152
……….ha ha ha ha ha aa ja meri Rajni Rani aaj mae teri pyas bujhata hu apne is mote aur lambe ling se aur tu meri pyas bujha de apni is komal yoni se. vanku ki hawas me dubi awaz gunjne lagi aur rajni ki cheekhe…………..
Ab Aage……
……..Mae Trikal ka gulam nahi vanku ye tu bhi janta hae. inhe chhod varna anjam achha nahi hoga. Tu mera mukabla nahi kar sakta. Shankara ki gurrati hui awaz nikli poonam ke hotho se.
….Shankara tu bhul raha hae ke ye meri jagah hae aur fir mujh par Trikal ka hath bhi hae. tu mera kuchh nahi bigad payega. Chala ja yaha se vanku ne kaha.
Shankra yani poonam ne palat kar dev ko dekha jo use hi dekh raha tha.
Shankra – dev tum hi bacha sakte ho sabko. Fakeer baba ne tumhe bahot kuchh diya hae.
Dev – ha lekin yaha meri bahot si shaktiya kam nahi kar rahi hae.
Shankra - wo mae janta hu tum is jagah ka manchitra lene jab gaye the to us samay tumhara padav kaha hua tha? Aur kya waha se tumhe kuchh mila tha jis se tum hamesha waha ja sako bina rok tok.
Dev ne thodi der socha aur sir utha kar apne hath ki taraf dekha usme vanraj ki di hui anguthi thi.
Bilkul thik dev mae isi ki bat kar raha hu. Tum inhe bacha sakte ho shankra ne kaha.
Dev ne apni ankhe band ki aur us ungli ko apni hath ki taraf kiya jo bel se bandha tha. Tabhi jhatke se wo bel khul gayi dev ne dusri bel ki tarf hath kar diya wo bhi khul gayi.
Dev jameen pe kood ke pahucha . aur usne apna hath seedha us moti bel ki taraf kiya jo rajni ki saree me gum hone hi wali thi. vanraj ki anguthi se ek tej roshni nikli aur seedha jakar vanku ke us ling se takrai ek tej dhamake ke saath uske cheethde ud gaye. Aur vanku ki cheekh bhi gunj uthi aur achanak sabke sahreer se bandhi bel chhutti chali gayi. Rudra daud kar us ling tak pahucha aur use apne paer se daba ke khada ho gaya jo dheere dheere wapas sarak raha tha. Lekin rudra ke paer rakh dene se vanku ki cheekhe tej ho gayi isse uske dard ka ahsas ho raha tha. Tabhi rudra ne apani kamar se ek bada sa khanjar nikala aur seedha us ling ke beecho beech ghusa ke bahot aage tak cheerta chala gaya us ling ya moti bel se khoon ka fawara baha ja raha tha. Aur wo cheez bahot teji se fadfada rahi thi. Jaese kisi janwar ka kata hua dhad fadfadata hae.
Dev – rudra chhod use wapas aa.
Rudra kafi aage tak use cheer aaya tha. Uska gussa to thanda nahi hua tha lekin vanku ki cheekhe goonj rahi thi poore jangle me.
Thodi der bad sab kuchh shant ho gaya.
Dev – shankra tumne kaha tha ke tum poonam ko musibat me nahi padne doge. Aur use bacha loge. Fir aaj kya ho gaya tum pahuche nahi?
Shankra - dev mae jhooth nahi bolta lekin Trikal ne mujhe dusri jagah uljha diya jisse mera dhyan poonam se hat jaye. aur fir usne yaha hamla karwa diya. isiliye mae yaha nahi pahuch paya par aage se aesa nahi hoga. Aur tumhe bhi vanraj ko nahi bhulna chahiye tha.
Dev – ha mae unki di hui anguthi ko bhul hi gaya tha. Lekin ye to sab tilismi hae yaha vanraj ki anguthi ne apna kam kaese kar diya?
Shankra – har jagah pe prakratik cheeje hi hae chahe wo dharti lok ho, naglok ho, tilism nagri ho, ya Trikal ka ye tilismi chakra prakrati apna swabhav nahi badalti. Hum use istemal apne tareeke se kar sakte hae. ab pani sheetal hota hae, pyas bujhata hae to wo har jagah bujhayega aesa to nahi ke sirf dharti lok pe hi pyas bujhayega yaha aakar bhukh mitayega ya jalayega. Usi tarah ye ped ye van jaese vanraj ke rajya me hae waese hi yaha hae.unka prabhav to har jagah ek sa rahega to unki shakti bhi asar har jagah karegi isiliye maene tumhe vanraj ki yad dilai. Kuchh bhi vyarth nahi hota kisi se bhi milna is sansar me vyarth ka nahi hae. agar aap kisi se mil rahe ho matlab aapke karam usse kahi na kahi jude hote hae fir chahe wo kisi bhi janam ke kyu na ho. har kisi ka koi na koi matlab koi maksad juda hae. ise mat bhulna.
Rudra – Shankara kya tum bata sakte ho swarn mani kaha hae ya us tak kaese pahuche?
Shankara - Rudra kyu bhul jate ho ye baat bar bar? Tum sab jante ho ke ye trikal ka tilism hae aur ye poonam aur dev ke nam se bandha hae. yani inke alava koi nahi janta ke swarn mani kaha hae halaki jante to ye dono bhi nahi hae lekin agar koi us mani tak pahuch sakta hae to wo hae poonam aur dev ya fir inse dugni mehnat kar ke tum aur nilam bhi pahuch sakte ho. Kyu kit um logo ko inka sath hasil hae aur shaktiya bhi tum logo ke pas bahot jyada hae. Lekin tum charo ke alava to koi yaha ke bare me janta hi nahi sivaye trikal ke. Kyu ki usne hi ye sab banaya hae. rahi bat meri to mae sirf wahi tak ja sakta hu jaha tak poonam ke kadam pad chuke hae. usse aage nahi. Aur mae jaha ja hi nahi sakta uske bare me kaese bata sakta hu?
Rudra – samajh gaya bhai tu indirectly inkar hi kar raha hae? bhale hi majbur hae tu mae samajh sakta hu.
Shankara - pure brambhand me aesa koi nahi jo tumhe swarn mani tak pahucha sake sivaye dev aur poonam ke aur maje ki bat batau meri shaktiya mujhe bata rahi hae ke ye dono us mani tak pahuch kar bhi use hasil nahi kar payege.
Rudra - abe heart attack dega kya?
Shankara – puri bat to sun le.
Rudra – bol lekin heart attack na dena bhai
Shankara - mae ye kahna chahta hu ke poonam ya dev bhi us mani ko hasil nahi kar payege agar us waqt tum aur nilam inke sath na hue to. Ye us mani tak pahuch kar bhi usse utni hi door hoge jitne ye is waqt hae. isiliye dhyan rakhna ek duje ka sath na chhodna.
Dev – shankara mae kuchh puchu?
Shankara - pooch dev lekin jaldi mera samaya yaha pura hone wala hae mujhe jana hoga jaldi hi.
Dev – kya hum sahi marg pe hae?
Shankara – dev jaesa ke maene kaha abhi ke mujhe aage ki jankari nahi hae. aur maene to maanchitra bhi nahi dekha hae wo bhi tumne hi dekha hae to usi se gadna kar lo. Waese jaha tak mera andaja hae tum log shayad sahi disha me ho lekin mae pakke tour pe nahi kah sakta. Ye tum logo ke upar nirbhar karta hae. apni sujh bujh se aage badho kisi ke bahkave me mat aana aur ek duje ka sath mat chhodna chahe kuchh bhi ho jaye ek duje pe vishwas rakhna. Ab mae chalta hu.
Tabhi poonam ke shareer ko halka sa jhatka laga aur wo samanya ho gayi. Aur daud kar dev ke gale se lag gayi dev ne use apni baho me bhar liya aur rajni ko bhi apne pas bulakar use bhi gale se laga liya
Dev – tum thik ho?
Rajni - ha mae thik hu dev. Tumhara bahot bahot dhanyavaad tumne meri jan bacha li varna aaj meri jindagi ka akhri din hota.
Dev – nilam sab thik hae na ?
Nilam - ji dev bhaiya hum sab thik hae.
Ye log aage chalne lage lekin jaese jaese ye log jangle me aage badh rahe the andhera bhi badhta ja raha tha. Kyu ke aage jangle gahrata jar aha tha.
Rudra - us tau ki maa ki ankh kah raha tha ke ye jungle jyada bada nahi hae yaha to ye khatam hone ka nam hi nahi le raha hae.
Nilam – kyu tujhe kahi jana hae kya date pe? Ye jangle khatam ho bhi jayega to kya bada kam ho jayega hamara safar to khatam nahi hoga na?
Rudra - are meri chandramukhi tu to badi ho gayi re kitni samajhdari ki bat kahi hae ye to hum me se koi janta hi nahi tha. Thanks for inform
Nilam - any time sir ji
Rudra – chonch band rakh apni badi aayi sir ji wali yaha chalte chalte halat kharab ho rahi hae aur tujhe maskhari sujh rahi hae?
Nilam - na ji sujh to aur bhi bahot kuchh raha hae aap kaho to shuru ho jau? Nilam ne rudra ko ankh marte hue shokh ada se kaha.
Rudra – dekh nilam chup ho ja bhagwan ke liye chup ho ja mae sada hua hu tu aur mat sada yaar.
Inki aesi hi chuhal baji chalti rahi
Dev – rudra - mujhe lagta hae hum log jangle se bahar pahuchne wale hae pahle andar ghutan type ki lag rahi thi lekin ab hawa dheere dheere khul rahi hae. lekin abhi rat bhi gahri hoti ja rahi hae to subah hi aage badege chal tent laga dete hae yahi par.
Rudra – tu sach me bhai hae mera mae bhi yahi kahne wala tha yar chal jaldi kar thoda kamar to seedhi kar hi lete hae
Nilam dheere se - bas apni kamar hi seedhi karna meri tange utha kar meri kamar mat tod dena.
Rudra ne jalti hui ankho se use dekha to wo muskra ke poonam ki taraf bhag gayi.
Thodi der me tent lag gaya aur sabhi andar let kar aaram karne lage. Dheere dheere kar ke sabko nind aa gayi lekin dev aur rudra ne bari bari se jag kar nigrani ki rat bhar.
Subah ki pahli kiran ke sath hi sabhi apne nitya karam me lag gaye aur fir rajni ne hi khane peene ka intjam kiya nashta kar ke ye log uth khade hue.
Rudra - chalo aage chale
Dev ne bhi garden hilayi aur sabhi aage badhne lage.
is bar unhe kuchh nahi hota wo kareeb teen ghante tak aage badhte rahe aur jangle khatam hone ko aa gaya samne hi hariyali najar a rahi thi. par jaese hi jangle khatam hua in sab ki budhhi hi chakra gayi samne ka najara dekh kar. Kyu ki samne jot ha uski to un me se kisi ne kalpna tak na ki thi.
UPDATE- 153
is bar unhe kuchh nahi hota wo kareeb teen ghante tak aage badhte rahe aur jangle khatam hone ko aa gaya samne hi hariyali najar a rahi thi. par jaese hi jangle khatam hua in sab ki budhhi hi chakra gayi samne ka najara dekh kar. Kyu ki samne jo tha uski to un me se kisi ne kalpna tak na ki thi.
Ab Aage…….
kyu ki inhe jo hariyali samne najar aa rahi thi. sirf wo hariyali hi waha nahi thi jangle khatam hote hi unhone dekha ke samne jaha hariyali hae waha par kuchh ghode khade hae aur us par kuchh aadmi baeth hae. sab ke hath me latest banduke thi. unki banduke jis shaks ki kanpati pe lagi thi wo the dev ke maa aur babu ji. Unki left side registan najar aa raha tha ye same wahi registan lag raha tha jisse inhone prevesh kiya tha. Waha unto ke peeche gurum aur channo bandhe hue the aur unth unhe ghaseet rahe the un dono ki halat bahor kharab ho chuki thi. Dono ka pura badan unhi ke khoon me ranga hua tha. Channo to shayad behosh ho chuki thi aur gurum hosh me tha lekin dard ke mare wo bhi karah raha tha. Aur uski bhi ankhe kisi bhi pal band hone ko thi.
un utho pe bhi kuchh log baethe the jo in sab ko dekh kar ruk gaye aur hasne lage. Tabhi rudra ne dev ko ishara kiya to right side maharaj bhairav singh aur maharaj sumant dev ko kuchh log gher ke khade the jinke hath me talware thi. dono hi maharaj buri tarah talwaro se ghayal hue dikh rahe the. Aur is samay wo dono hi nihatthe un talwaro ke ghere me gahayal khade ummid se dev ki taraf dekh rahe the.
Idhar in Sabki ankho me angare nachne lagte hae dev, rudra, nilam sabhi bhayanak krodh me aa jate hae. aur sab alag alag disha me jane hi lagte hae unhe bachane ki tabhi poonam ki awaz aati hae.
Poonam – ruk jao………. sab apni apni jagah pe. koi kadam mat badhana?
Waha pe sab apni apni jagah se inhe madad ke liye bula rahe the.
Dev – kya bakwas hae poonam hamare apne musibat me hae tum hame rok rahi ho? Kya aaj tumhe apni shaktiyo pe ya mujh par bharosa nahi raha? Kaese tum hamare bado ko is tarah asahay aur lachar deh sakti ho? Sabki chhodo kya tumhe apne pita shree ki peedha bhi najar nahi aa rahi hae? nahi poonam aaj mae nahi rukuga. Itna kah ke dev fir se aage badhne lagta hae. dusri taraf rudra badh raha tha aur registan ki taraf nilam badh rahi thi.
poonam cheekh kar - ye tilism hae dev………. ruk jao…… ye galti mat karo tum sab samajh kyu nahi rahe ho……. Ye chal hae Trikal ki……………
Poonam ki baat sun ke sab ko hosh aa jata hae aur sabhi ke kadam ruk jate hae.
Rajni - dev poonam sahi kah rahi hae. ye Trikal ka tilism hae yaha ye sab hona ya dikhna normal hae apne apno ko musibat me dekh kar tum sab vichlit mat ho. Ye Trikal ki chal hi hae.
Rajni ki bat sun kar sab apne kadam wapas khinch lete hae.
Ek taraf dev ke babu ji use bula rahe the. Dusri taraf maharaj BS aur SD ko wo log talwaro se ghayal kar rahe the to wo bhi cheekh kar dev aur poonam ko madad ke liye bula rahe the. Teesri taraf gurum aur channo lahu luhan ho chuke the aur dev ko aawaz de rahe the .
Dev – mujhse ye sab dekha nahi ja raha poonam agar ye tilism na hua , agar ye sab sach hua to mae khud ko maaf nahi kar pauga. Kyu ki meri hi ankho ke samne mere apne til til kar mar rahe hae mae unke samne khada hu unhe bacha sakta hu . lekin mae yaha tumhari bat man kar chup chap khada hu.
Poonam gaur se teeno jagaho ko dekh rahi thi. bechain wo bhi ho rahi thi lekin use samajh me aa raha tha ke ye sab tilism ka mayajal hae.
Poonam – dev ye hamae liye teen tarfa musibat me fase log nahi hae balki teen raste hae hame kisi ek me jana hoga kyu ke rasta to koi ek hi sahi hoga.
Rudra – lekin bhabhi yaha har taraf hamare log musibat me dikh rahe hae kyu na hum alag alag jaye
Dev – nahi hum jaha bhi jayege saath hi jayege alag nahi hona hae ye sahi nahi hoga.
Nilam - dev bhaiya sahi kah rahe hae. hame ek jagah hi ek sath jana hoga. Aur mujhe lag raha hae ke hame samne hi jana chahiye. Kyu ki yaha sara khel dimag ka hae. to agar socha jaye to saf pata chalta hae. ke yadi aesi buri sthiti me koi aa sakta hae to wo dev bhaiya ke maa aur babuji hi. kyu ke Maharaj SD aur BS to khud shaktishali hae. triakl ka bas un par nahi chal sakta unhe vash me karte karte uski bahot si shakti vyarth ho jayegi . gurum aur channo ke pas bhi taqate aa gayi hae. to unhe yaha is halat me la pana itna asan nahi hae. usme bhi trikal ko apni bahot si shakti un par kharch karni hogi. in logo ko bebas nahi kiya ja sakta aur inke pas apni raksha karne ki shaktiya hae. lekin maa babu ji ke pas aesa kuchh nahi. to agar ye sach hua bhi to unhe hi bachana uchit hoga.
Poonam – bilkul thik mae nilam se sahmat hu. Ise apni ki musibat na man kar agar teen darwajo ke roop me dekha jaye to fir us najariye se hi dekh lo gurm au channo lahu luhan hae yani marne ki kagar par, idhar dono maharaj bhi talwaro ke saaye me khade hae yani full khatra wo bhi lahuluhan hi hae. lekin samne maa aur babu jib hale hi khatre me najar aa rahe hae banduko kin ok par hae lekin wo ab tak surakshit kyu hae unke jisme pe kahi koi kharoch nahihae aur wo jaha khade hae waha bharpoor hariyali hae yani pragati unnati. Baki dono taraf mout ka nanga nach aur yaha jindagi. Ye bhi ek ishara hi hae sahi rasta hone ka isiliye hame samne hi jana chahiye. Hariyali ki taraf. Baki jo log samne najar aa rahe hae wo najar ka dhokha hi hae.
Dev – mana ke tum log sahi ho lekin agar tum log galat nikle to?
Sab chup rah gaye. Kisi ke pas koi jawab nahi tha. Kafi der ho gayi teeno taraf se cheekh pukar jari thi aur ye log samne khade ho kar bas usi taraf dekh rahe the kuchh kar nahi rahe the. Dev bari bari se teeno taraf dekh raha tha achanak uski ankho me chamak ubhar aayi.
Dev – chalo samne chalte hae
Rudra – kisi aur taraf kyu nahi?
Dev - baad me batauga ab chalo samne .
Sare log ek saath us hariyali wale raste ki taraf badhte hae jaese hi wo log aage badhte hae aur sare is maidan ki taraf aa jate hae jaha dev ke maa babu ji pe kuchh log hathiyar tan kar khade the. Lekin ab har taraf sirf hara bhara maidan hi tha na waha koi gunde the na dev ke maa babu ji.
Poonam – maene kaha tha na dev sab tilism hae? lekin apni bhawnao pe kabu rakhna mushkil hota hae yadi hum kahi aur gaye hote to pata nahi kya ho jata. Dekho yaha pe maa babu ji hae hi nahi.
Dev – ha mae samajh gaya tha. Isiliye aage badne ko kaha
Rudra – waah mere samjhdar. kaese samjha tu ab bata jara. Pahle to maidane jung me kudne ja raha tha na?
Dev – dono maharaj duri tarah ghayal the jitni der hamne lagayai sochne me aur jitney wo ghayal the itni der me to unhe pran tyag dene chahiye the lekin wo usi halat me the. Registan me gurum aur channo ka jo roop tha wo bhi badalta najar nahi aa rhaa tha wo log ek hi baat repeat kar rahe the bar bar jaese ki koi GIF ki image hoti hae.ya koi Vedio Loop. baar baar same repeat. Wahi halat yaha bhi the. Gunde khade the aur maa babu ji chilla rahe the lekin gunde unhe dekh bhi nahi rahe the bas hamari taraf dekh kar hase ja rahe the agar sab asli hota to wo log hame dekhte hi maa babu ji ko goli mar ke bhagne lagte. Lekin unhe dekh ke ek pal ko bhi nahi laga ke unhe waha se jane ki koi jaldi hae. wo log to bas shan se khade the. Abe yar dev and team samne ho to ache achho ki pent geeli ho jaye ye sale tatpunjiye dant dikha rahe the unki yahi over hoshiyari se mae samajah gaya ke sab nakli hi hae. aur maene isi taraf aane ka socha kyu ki mujhe bhi Neelam ki theory sahi lagi thi. Is taraf aane wali.
Rudra – waah bhai waah kya dimag use kiya hae. Badhiya hae.
Rajni - poonam na rokti to sab bichhad gaye hote aur is bar Trikal ka yahi plan tha ke hum sab alag alag ho jaye kyu ki wo samajh gaya hae ke hame ek saath todna uske bas me nahi alag ho kar hum jaldi marege.
Dev – isiliye to maene kaha ke jaha jayege sath jayeg akele nahi.
Poonam - hum logo ne tilism ka ek aur tala tod diya hae dev. Ye sab Trikal ke tale hi hae jo hum dono ke graho ke ek hone ki wajah se asani se toot rahe hae. varna koi aur in sare talo ko paar nahi kar pata. Yaha tak ke hum me se koi ek bhi aata to uske liye mushkile jyada hoti. Aur ab tak shayad wo mar chuka hota. Ab hum log shayad swarn mani se jyada door nahi aur nahi ab ye trikal ka tilism lamba chalne wala hae is trikal ki ye lanka jane ka time aane hi wala hae.
Dev – isiliye fakeer baba ne itna intjar kiya tha. Hum dono ke saath hone ka. Ab sab samajh me aata ja raha hae.
Rudra – Ha bhai tum sahi kah rahe ho hum dono ko bhi jab FB ne Sadhna se uthaya tha aur tumhare gaanv ki taraf ravana kiya tha to kaha tha ke hame jis maksad ko pura karne jana hae wo khatro se bhara hua hae aur usme ham charo ka sath rahna aur sath hona jaruri hae. aur kal shankra ne bhi yahi kaha tha ke ek dusre ka sath kabhi mat chhodna balki ek duje pe yakeen rakhna.
wo log aage badhte hi ja rahe the filhal unke raste me koi rukawat najar nahi aa rahi thi lekin sabhi us suhane mousam me faile kisi bhi anjan khatre ke liye puri tarah taiyar the aur apna har kadam foonk foonk kar hi rakh rahe the.
Rudra – hum log jitni sawdhani se chal rahe hae sala khatra bhi utni hi smartness ke sath aa jata hae kabhi paero se jameen khasak jati hae to kabhi paer hi jameen se uth jate hae kabhi bheekh dena bhari pad jata hae to kabhi kha pee ke paer pasar ke aaram se so jane par bhi kuchh nahi hota.
Rajni - yahi tilism hae jitni der tum savdhan rahoge khatra utna door rahega jaha ek pal ko bhi tumhari savdhani hati aur khatra tumhare sar pe hoga ye yad rakhna. aur jaruri nahi ke har bar khatra achanak aaye kai baar to tum dekh bhi paoge ke sankat samne hae lekin kar kuchh nahi paoge wo bindas bhi aa sakta hae tumhari ankho ke samne ek challenge ke roop me
Nilam – aa gaya challenge ban kar ab isse kaese niptoge maharathi. Apan sab ki to chatni ban jani hae na koi dimag kam karega na taqat………
Rudra – kya bola
Nilam - wo dekho samne ise kahte hae sankat………..
Wao to pahle Poonam ne apne dimag ka prayog kiya rudra nilam dev ko rokne ke liye vo to Apne priyajan ko tadafta dekh kr kuchh sochna hi chhod diya tha or sidhe bhidne Chal diye. Fir aapsi sahmti se Bich vale raste me gye... Superb update bhai sandarUpdate - 154
Tabhi unke samne 2-3 fit ke ajeeb janwar aa gaye jo hight me to Bandar ke barabar the lekin bahot hi tej aur nukeele unke dant the. Poonch bhi lambi thi. aur ant me nukeeli wo hajaro lakho ki sankhya me the. Yani chah kar bhi inse par nahi pa sakte the. Unke itni badi sankhya ke baad kya hae abhi najar hi nahi aa raha tha yu achanak itni vishal sena dekh kar Sab tension me aa gaye ke ab kya hoga.
Rajni – ab ye kya nayi musibat hae?
Poonam - Trikal ka ek aur hathiyar hae ye. ye sab hi narbhakshi jeev hae hum sabka safaya chutkiyo me kar dege. Hum kitne bhi taqatwar ho lekin inke samuhik hamle se khud ko nahi bacha payege. Ye hame noch ke kha jayege aur wo bhi kuchh hi seconds me. Jab tak 100 ko marege hajar hum par chadh jayege.
Poonam ki ye baat sun ke sab ke thande paseene nikal gaye
Dev - lekin ye aage kyu nahi badh rahe hae? ab tak to inka hamla hum par ho jana tha.
Rajni - wo isiliye dev kyu ki jaha hum khade hae ye unka chhetra nahi hae lekin hamara rasta kuchh hi kadam par samapt ho jayega aur hamare kadam inke chhetra ki dharti par hoge tab ye hamla karege.
Rudra – are wah tab to hum inhe yahi se mar sakte hae apni shaktiyo se kyu ke ye log to aage aayege nahi fir kya farak padta hae inki sankhya kitni bhi kyu na ho.
Rajni - nahi rudra jis tarah ye hum par hamla nahi kar sakte usi tarah yaha se inka hum bhi kuchh nahi bigad sakte. Unhe maarne ke liye bhi hame unki jameen pe jana hoga. ye tilism ka niyam hae.
Rudra - ohhhhh…..sala tilism…. Tilism….. tilism….. is ki maa ka…….. pagal kar diya hae is trikal ne. Mujhe mil jaye to uske pichwade ko lal kila ban duga.
Rudra – ek minut ekminut ye hamla to tab hi karege na jab hum inki jameen pe kadam rakgee to hum kadam rakhe hi kyu? Hum yahi rukte hae na?
Nilam - are yar kis se pala pad gaya? nikalo inko tilism se, gaanv bhejo koi wapas inko.
Rudra – oye……. Kya bak rahi hae?
Nilam - are aur kya kahu ? yaha kitni der khade rahege yahi khade rahne ko aaye kya hum log? Aur kya guaranty hae ke hame yahi tika hua dekh kar trikal peeche se koi dhakka nahi lagva dega. Us halat me hum bina lade hi mare jayege.
Rudra – ha yar mera to dimag hi kam nahi kar raha hae tu shani ho gayi hae yaha aakar maa bahot khush hogi aese shani bahu paa kar
Dev jo poore halat pe gour kar raha tha.
Dev – har samasya apne samadhan ke saath paida hoti hae poonam, duniya me aesi koi samasya nahi jiska samadhan na ho. Isiliye is samasya ka nahi isse bachne ka tareeka socho.
Poonam – nahi dev ye possible nahi lag raha.
Kuchh der ke sochne ke baad achanak
Poonam - ha hum me se tum hi ek ho jiski speed samay se bhi tej ja sakti hae. apni speed se inka mukabla karne ki koshish karo lekin wo sirf koshish hogi kyu ki inki sankhya anant hae. mujhe nahi lagta ke speed bhi kushh kar payegi. Is samooh ko samuhik roop se hi khatam kiya ja sakta hae. is samay rajni me bhi kam power nahi hae. wo tilismi nagri ki maharani rah chuki hae to yaha to iske pas bhi bahot taqat hae hi. Ye us jagah pahuch kar inke nikakne ke marg ko rok sakti hae. jisse inki sankhya badhti na jaye. Kyu ki tumne inhe marna shuru bhi kiya to waha se badhti hui sankhya tumhe kisi na ksisi samay thaka degi aur wo pal tumhari hi nahi hum sabki jindagi ka aakhri pal hoga. Isiliye rajni inke nikalne ki jagah pe jakar inhe aur badhne se rokegi. Aur tum inhe khatam karne ki koshish karo.
Reudra – par samuh me to hum bhi hamla kar sakte hae na jaese abhi aapne kaha inhe samuh se hi mitaya ja sakta hae.
Poonam – ha wo to hae. isiliye hum sab koshish karege.
Dev - uski jarurat nahi hae. hum me se koi koshish nahi karega. Hum sab bas khade ho kar dekhege aur jarurat padne pe hi dakhal dege. Inhe mitayega koi aur. Rajni tum teleport ho kar waha tak jao itna kar logi na
Rajni - ha dev waha tak mae apni shakti ka istemal kar sakti hu yaha koi rukawat nahi hae. mae waha milti hu. Tum sab inhe nipta ke aao
agar tumhe lagta hae shankra mitayega to bhul jao wo is samay kahi aur vyast hae. rajni ke jane ke baad poonam boli
Dev - tum meri hone wali biwi ho to bhala mae tumhe shankra ke bharose kaese chhod sakta hu janeman. Dekho hame kaun bachayega.
Itna kah kar dev apni shirt utarne lagta hae aur rudra ko dekhta hae rudra bhi dev ko hi dekh raha tha. Tabhi uske bhi dimag ki ghanti bajti hae aur wo muskra ke apni shirt kholne lagta hae.
Nilam - are ye tum log nange kyu hone lage?
Rudra – bas mood ho raha hae.
Nilam – dhatt…….
Poonam bade dhayn se dev aur rudra ko dekh rahi thi. itne me dono apni shirt khol ke khade ho gaye
Dev – SHER KHAAN………………………………..
Rudra – DREGON…………………………………….
Palak jhapakte hi dev ki peeth se sherkhan kooda aur rudra ki peeth se dregon aur dono aakar unke samne khade ho gaye. Tabhi ek jhatke me nilam aur poonam ke hath apne aap seedhe hue aur unme se bhi sherni aur lady dregon kood ke bahar aayi aur apne partners ke saath khadi ho gayi.
Ab ye charo in charo ko dekh rahe the. Dev ne apne dono hath dheere dheere neeche se upar uthane chalu kiye rudra ne bhi aesa hi kiya to charo janwar apna aakar badane lage. Aur dekhte hi dekhte daityakar ho gaye. Do safed shero ka joda aur do lal kale dregon ka joda unki moujudgi hi dahshat badhane ke liye kafi thi. ek bar to nilam aur pooanm ke bhi paseene chhutne lage. Tabhi dev aur rudra ne peeche ki taraf ungli uthayi to charo janwar palat ke peeche dekhne lage. Jaha door tak kisi samandar ki tarah wo chhote narbhakshi khade in sabko dekh rahe the.
Dev ne chilla kar kaha - sherkhan HAMLA……………………
Rudra – dregon ATTACK…………………………………
Inka aadesh milte hi. Dono sher aur sherni aage badhte hae aur unhe badhta dekh ke wo narbhakshi bhi aage badhte hae aur inpar kood padte hae lekin sher khan pe jaese hi unhone jump lene ki koshish ki sher khan aur uski partner ne unhe apne panjo me dabochna aur cheerna chalu kar diya. koi unhe chhu bhi nahi pa raha tha. Itni gajab ki speed. Kai narbhakshi to bas inke paero tale hi kuchle ja rahe the. Charo taraf unka khoon hawa me udne laga. Tabhi upar se jaese helicopter ki awaj aane lagi jab dev and party ne upar dekha to upar dono dregon ek dusre ke opposite ud rah e the. Aur upar se aag barsa ke narbhakshiyo ko jala rahe the. Unki aage itni bheeshan thi ke ek bar me hi 100-150 narbhakshi aag me jhulasne lage. Isi beech wo log udte hue neechi udan bharte aur apne dono vishal panjo me bhi kai narbhakshi pakad lete aur unhe apne mooh me daal lete jo mooh me jate hi raakh ho rahe the.
Yaha neeche sher khan aur aur sherni ne samne ka maidan khali karna shuru kiya to dregon aadhe ke bad se shuru ho kar aage badne lage. Sabse last me rajni khadi thi. wo aesi jagah pe pahuch gayi thi jaha se thodi hi doori pe narbhakshiyo ne jammen me kayi hole bana rakhe the aur wahi se wo nikal rahe the. Rajni ne usse pahle ek lambi lakeer khinch di narbhakshi nikal to rahe the. Lekin us rekha ko par nahi kar par rahe the. Jisse unka aur jyada nikalna band ho gaya tha jab tak nikle hue aage nahi badte dusre naye nahi nikal sakte the.
Udhar sherkhan aur sherni apne hisse ke narbhakshi teji se khatam karte hue aage badte ja rahe the. Aur wahi dregon bhi apna kam bahot ache se karte hue apne hisse ke narbhakshi niptaye chale ja rahe the. Koi aadhe ghante me door tak bas maas ke logthde aur khoon ki nadi hi najar aa rahi thi. aur jaha se dregon ka area tha waha se bas rakh hi rakh ek bhi mas ka tukda nahi ek boond bhi khoon nahi. Rudra , dev, poonam aur nilam ab tak rajni ke pas pahuch chuke the. Jaha pe kai sare narbhakshi rajni dwara khinchi rekha ke us taraf khade aage badne ki koshish me kood rahe the. In par sher khan aur sherni ne hamla kar diya ur minto me sabko nipta diya wahi dregons ne un bilo ko nishana banaya jaha se naye narbhakshi nikal sakte the. Unhone upar jakar waha se apne mooh se aag ugalna shuru kiya aur do taraf se aag padne se poore area ki jameen me aag lagne lagi mahoul me garmi badne lagi. Aur garmi itni tej ho gayi ke jameen ke andar jo un narbhakshiyo ka nikalne ka sorce tha use tak dregons ne jala diya. aur fir apni aag band kar ke thodi der upar hi udte rahe aur neeche najar bhi rakh rahe the ka kahi aur se to nahi nikal rahe hae . lekin jab thodi der tak kuchh nahi hua to dono dregons neeche aa gaye aur sher aur sherni ke saath aa kar khade ho gaye. Charo fir se in charo ke samne khade the.
Dev – dhanyawad dosto. Aaj tum sabne hamari madad ki . ab aap log bhi jakar aaram se mil lijiye bahot dino bad aap logo ko milne ka mouka mila hae.
Dev ki bate sun kar rudra poonam aur nilam ke hotho pe muskan aa gayi aur idhar in charo ne palat ke dekha Samne hi pedo ka Ghana jhurmut tha. To charo us taraf chale gaye. Tabhi
Raudra – dregon , sherkhan..
Dregon aur sherkhan furti se palte jaese koi khatra aa raha ho.
Rudra – abe ghabrate kyu ho maene to ye yaad dilane ke liye awaj lagai ke pedo ke peeche bas mil lena. Baki suhagrat hum charo ki ek sath hogi, salo koi gadbad mat karna varna bahot maruga tum dono ko samajh gaye?
Sher khan aur dregone ne majburi me garden jhuka kar..- samajh gaye rudra. Ham yad rakhege.
Rudra – abe tum log bhi bol sakte ho kya?
Dregon - ha hum bol sakte hae aapki bhasha ab hum jaye bhai? Bahot din ho gaye hae mile hue.
Rudra – ja be ja ro mat mae kaha rok raha hu. Jaldi aana.
Charo furti se pedo ke peeche chale gaye.
Tilismi chakra me ghumna to bahot hua ab chalte hae gaanv ki taraf ya fir hum aghori ke pas bhi chal sakte hae to fir kaha chale? Chaliye pahle apne aghori se mil lete hae. aakhir uska pata lagana bhi to hamara hi kam hae na kyu ki dev to yaha busy hae. aur waha uski khabar kisi ne li nahi ab tak. To chaliye fir mil le aghori se………….