• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Alok

Well-Known Member
11,185
27,749
258
Waiting for next update Boby bhai
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,889
143
UPDATE – 255



Rudra – Nahi dhanna us mahal ki keemat itni nahi jitni tum soch rahe ho.



Dhanna - Mafi hujur mae anpad gawar hu isiliye 10-20 hajar shayad jyada bol gaya aap jo chahe de dijiye mujhe kuchh nahi pata uski keemat ke bare me.



Deva muskrate hue – are pagal iske kahne ka matlab tha ke tune jo keemat boli usse kahi jyada hae uski keemat. Ha ye alag bat hae ke jo uski sahi keemat hogi wo isiliye ab mayne nahi rakhti kyuki wo shahar se door bhi hae aur bhutiya bhi isiliye uski koi keemat nahi rah gayi hae market me. lekin mae tumhe uski sahi keemat dena chahta hu wo bhi jo tu chahe.



Dhanna ne ek najar apni biwi pe dali jo bas ab tak sun rahi thi lekin uski bhi samajh me kuchh nahi aa raha tha.



Deva - tum hi batao kitna lena chahoge us mahal ka …… deva ne dhanna ki biwi se kaha



……….. mera pati sahi kah raha hae hujur hum anpadh gawar log hae hame apna nam likhne ke alava kuchh aata hi nahi. hame kya pata uski keemat kitni hogi jab se shadi kar ke aayi hu mere pati ne ek bar mujhe wo mahal dikhaya tha wo bhi bahot door se. Dhanna ki biwi ne najre jhuka ke kaha.



Rudra - chalo thik hae agar tum log nahi bata sakte to mae kuchh kahu?



Ab sabhi rudra ki taraf dekhne lage



Rudra - dekho bhai dhanna hum tumhe us mahal ke 10 caror dege. Itna kafi hae?



…………..10 caror ka nam sun kar dhanna aur uski biwi ke mooh aur ankhe fat gayi wo dono kabhi rudra ko dekhte kabhi ek duje ko.



Dhanna – malik aap ye kya kah rahe hae itna bada majak? bhala us khandhar ke liye aap hame 10 caror kyu dege? Nahi malik mujhe jeete ji mat mariye mujhe dil ka doura pad jayega abhi.



Deva – rudra sahi kah raha hae. tumhe manjur hae to bolo?



Dhanna – hujur aap bhagwan ho mere liye meri 7 pushte aap ke paer dho kar peeye to bhi kam hae mae to 10-20 hajar bol raha tha aap 10 caror bol kar bhi mujhse pooch rahe hae?



Deva – wo isiliye kyu ki tum jano ya na jano lekin hum jante hae ke ye bhi us mahal ki asli keemat nahi hae. par tum kuchh bata nahi pa rahe ho to thik hae suno, us mahal ke badle me ham tumhe dege 10 caror, ye bangla jisme tum baethe ho, iski har ek cheez, iske garage me khadi hui car. Aur us mahal me jab hotel ban jayega to tum apne pariwar ke sath ya kisi ke bhi sath jab chaho jitne din chaho aakar rah sakte ho kha pee sakte ho, Poore maje kar sakte ho wo bhi bilkul free. Waha tumhare liye ek alishan kamra hamesha taiyar aur khali milega chahe mahal poora kyu na bhara ho tumhara room hamesha waha khali rahega aur uski chabi bhi hamesha tumhare pas rahegi waha aane ke liye tumhe kisi se poochne ki jaroorat nahi jab chaho aao jab chaho jao jo khana peena hae khao piyo. wo chabi tumhe jald hi mil jayegi. kuchh aur chahiye to wo bhi bata do?



Dhanna turant utha aur deva ke paero me let gaya. – mere bhagwan mujhe maaf kijiye maene aapko pahchana nahi aap itna dene ke baad bhi mujhse pooch rahe hae meri kya aukat hae ke mae kuchh mangu? Mae 70 janam me itna na bana pata jo aapne mujhe is 1 ghante me de diya hae. aapne mujhse to kuchh liya hi nahi sirf diya hi diya hae. aur aesa to bhagwan hi kar sakta hae aap jaroor bhagwan ya koi devdoot hi hae.



Deva – Utho dhanna aesa nahi karte, tum galat samajh rahe ho maene tumhe kuchh nahi diya ye sab tumhare unhi purvajo ka aashirvaad hae unhi ki sampatti hae jo aaj tumhe mil rahi hae mae ye sab dekar tum par koi ahsan nahi kar raha hu. Mae to us mahal ki keemat de raha hu jo tumhara hi hae tumhare purvajo ne tumhe diya hae agar aabhar manna hae to apne purvajo ka mano jinke liye abhi tum kah rahe the ki unhone tumhe kuchh nahi diya aur wo mahal ek abhishap hae tumhari jindagi ka.



Dhanna ka ro ro kar chehra bheeg gaya tha aankhe lal ho gayi thi uski biwi ki bhi aankhe rone se lal ho gayi thi. ab ye ansu unki khushi ke the ya apne un shabdo ke liye the jo unhone apne purvajo ke liye the ye wahi jane



Deva – lekin us mahal ke alava bhi mujhe ek cheez chahiye tumse.



Dhanna – malik mera poora pariwar aapka gulam ban kar rahega mae, meri biwi, meri beti sab.



Deva – Nahi dhanna tum log mere gulam kyu banoge. Tum sab ajad the aur azad hi rahoge. Kisi ke gulam nahi. Lekin mujhe chahiye ye ke aaj ke baad na to tum koi nasha karoge na hi apni biwi ya bachhi pe hath uthaoge. Balki ek jimmedar mard bankar apna pariwar chaloge. Mehant se kamaoge khaoge. Jo tumhare neeche kaam karege chahe wo is ghar ke noukar hi kyu na ho unhe insan hi samjhoge apna gulam nahi. Kul milakar ek ache insan banoge, adarsh pati, aadarsh pita banoge.



Dhanna – mae vachan deta hu hujur mae aaj balki abhi se waesa hi ban jauga jaesa aap chahte hae.



Rudra – ha ab to banega hi kyu ke tumne deva bhai ko vachan de diya ab tujhe koi nasha pakad bhi nahi payega. Aur tune agar nashe ko pakda to yad rakhna jo de sakta hae wo wapas lene ki bhi taqat rakhta hae.



Deva – dusri baat tumhara nam wahi chalega jo tumhare mata pita ne rakha tha yani dhanraj. tumhari beti ka nam bhi tumne rakha tha raj nandini to wo bhi isi nam se jani jayegi use ab tum sach much hi ek rajkumari ki tarah palna aur use sare sukh dena.



Dhanna haerani se - aap itna sab kaese jante hae?



Rudra - kitni baar haeran hoge yar, humne tere pas aane se pahle teri poori kundali dekhi thi isiliye deva bhai sab jante hae tere bare me. Ab khush ya aur kuchh janna hae?



Dhanna – nahi saab mae bhala kya jan pauga aap logo ko aap to har pal mujhe haeran kiye ja rahe hae. aapka bahot bahot dhanyavaad.



Deva dhanna ki biwi se – aapka nam aarti hae na .



Aarti - ji saab



Deva – Aarti hum log court ja rahe hae. mahal ke kagajat banwane me thoda time lagega. Ab se ye ghar aapka hi hae ghar me 2 -3 noukar noukrani bhi hae jo ke is waqt ghar ke peeche bane hue apne kamro me hae. koi bhi kam ho unhe awaz dijiyega. aap chahe to ghar ka darwaja andar se band kar lijiye upar ke kamre me aapki beti ke liye sari sahuliyate hae. Aur sath hi dusra kamra aapka hae jisme aap dono ki jarurart ki har cheez hae. wahi ki almari me sabke kapde bhi hae aap fresh ho lijiye aur agar jarurat ho to noukaro ko awaz laga dena jisse wo aakar khana bana dege. Kisi me itni himmat nahi ke aap me se kisi ke sath badtamiji se baat kare. To nishchint ho kar ab yaha rahiye aur apni jindagi ki ek nayi shuruat kijiye.



Shalaka inhe inke kamre dikha do aur waha ki sari cheeze samjha do.

………….aur ha dhanna is bangle ke kagaj aur 10 caror tumhare kamre ki almari me hae jao ek bar dekh ke aao aur apni tasalli kar lo fir court chalna hae hame.



Dhanna - kaesi bat kar rahe hae malik mae aur dekhne jau meri itni himmat nahi ki aapki bat ko parakhne ki galti karu aapne kaha ke almari me paese hae to hae. use dekhne ki jarurat nahi hae. aap chaliye mae chalta hu aap ke saath



Thodi hi der me shalaka , aarti aur uski beti khushi khushi neeche aati hui dikhi .



………… aarti mae aata hu thodi der me tab tak tum log kuchh kha pee ke aaram kar lo. dhanna ne chahkti hui aawaz me apni biwi se kaha.



Deva – ek minut dhanna kya mae tumhari beti se baat kar lu?



Dhanna – aap mujhse poochkar mujhe sharminda na kare malik aap hi ki beti hae ye bhi.



Deva – Rajnandini beta idhar aao.
Lovely update
UPDATE – 256



Wo bachhi khushi se bhagti hui dev ke pas aa gayi dev ghutno pe baeth kar use pyar se sahlate hue



------- beta ye ghar aapka hae, is ghar ki har cheez aapki hae ye sab aapke papa ka diya hua hae thik hae na?



Rajnandini - lekin uncle ye to aapka ghar hae na? mera ghar to wo hae jaha se mae aap logo ke sath gadi me baeth ke aayi thi. aap bhul jate ho kya? Aur yaha meri saheliya bhi nahi hae. mae kis ke sath khelugi? “Rajnandini ne bahot masumiyat aur bholepan ke sath deva se kaha to deva ke sath sath sabke chehre pe muskan chha gayi”.



Deva – beta ye mera ghar nahi hae, aapke papa mummy aur aapka ghar hae. aapke papa ne mujhe kaha tha banwane ke liye aur mujhe ye bhi kaha tha ke jab hamari bitiya ka jamandin ho usi din ye ghar hame chahiye ab ye ban gaya to mae aapko yaha le aaya to hua na ye ghar aapka? Aur aaj aapka janamdin bhi hae to ye sab aapke papa ne aapke janamdin ka tohfa diya hae aapko. is ghar me aapke liye dher sare khilone bhi hae. jo sab aapke hae. aur rahi bat saheliyo ki to yaha ke aaspas ke gharo me bhi aapki umar ke bachhe hae jald hi unse aapki dosti ho jayegi to aapki wo kami bhi poori ho jayegi.



Rajnandini khushi se uchhal padi – are wah mae to bhul hi gayi thi aaj mera janamdin hae. lekin mere papa bahot ache hae unhe yad tha aur kitna bada aur achha ghar diya hae aaj unhone mujhe gift me. Aur aap bhi bahot ache hae uncle aapne mere papa ke kahne pe itna achha gahr bana diya varna hamare purane ghar me to mere khelne ki jagah hi nahi thi.



Dev – to ab aap bhi apne papa ko khushi degi na beta.



Rajnandini - kaesi khushi uncle?



Dev - Papa aapko ache school me bhejge waha aapki nayi saheliya banegi. Aap khub padh likh kar apne mummy papa ko khush kijiyega thik hae?



Rajnandini - jaroor uncle mujhe to bahot showk hae padhne ka lekin jab hum wo chhote se ghar me rahte the to papa mujhe padhne nahi bhejte the. Ab mae jaroor padhugi aur 1st bhi aaugi.



Deva uske sir pe hath fer ke – bholenath hamesha aapki raksha karege, kabhi aapko koi takleef nahi aayegi, ye mera vada hae aap hamesha khush rahogi. Aur ek din bahot badi docter bhi ban jaogi.



Rajnandini – sach uncle?



Deva – ha beta sach. “ Itna kah kar dev ne apne gale se ek rudraksh ki mala nikal kar us nanhi pari ko pahna di. Beta ise hamesha apne pas hi rakhna. Ye bhole nath ka ashirvaad hae. koi bhi mushkil ho musibat ho wo aapko chhu bhi nahi payegi.



Rajnandini – ji uncle mae ise ab kabhi khud se alag nahi karugi. Lekin jab tak mae docter banugi tab tak to aap budhe ho jayege lekin agar aapki tabiyat kharab ho to mere pas hi aana mae dawayi de dugi.



Uski is bat pe sab hasne lage.



Rudra – ha beta hum budho ka ilaj tum hi karna tabhi to tumhe docter bana diya uncle ne. inhone kuchh soch ke hi kaha hoga. Hey bholenath kya hoga hame jiska ilaj ye pari karegi ek din. Aap krapa karna. Rudra hath jode upar dekhte hue baat karne laga



Dev – achha beta ab hum chalte hae hame bhulna mat shayad hum fir kabhi jaroor milege.



Rajnandini – mae aapko vachan deti hu mae aapko kabhi nahi bhulugi. Thank you uncle aapne itna achha ghar banwa ke diya.



Achha beta ab hum log chalte hae apne mummy papa ka dhyan rakhna. Bye.



Rajnandini - aap log bahot ache hae . bye bye.



Fir deva and party dhanna ko le kar waha se nikal jate hae court ki taraf aur waha ja kar poori formality karte hae jisme lagbhag poora din nikal jata hae. sab kuchh niptane ke baad deva dhanna ko uske bangle pe chhod deta hae aur fir nikal jata hae.



dhanna gate pe khada ho kar bheegi ankho se deva ki gadi ko jata dekh raha tha. Aur unhe dil se duaye de raha tha jinhone uski jindagi ko ek hi din me palat ke rakh diya. dheere dheere deva ki gaadi uski ankho se ojhal ho gayi aur dhanna khushi khushi apni family ke pas chala gaya…..



Gadi teji se Mumbai ki sadko ko cheerti hui Mumbai se bahar bhagi ja rahi thi aur gadi chalane wala is samay deva tha.



Rudra – dev ab kaha chal rahe ho?



Dev – mahal



Rudra - yar pahle pet pooja kar le kya bahot bhookh lag rahi hae din bhar kuchh khaya nahi hae.



Shalaka - ha deva waha bhi kuchh milega nahi to khana to kam se kam kha ke hi chalte hae



Rudra - ha mae to rat ka bhi le ke hi chaluga kyu ki us biya ban me to kuchh nahi milne wala khane ko.



Dev – abe tu chuhe kha kar pet bhar lena.



Rudra - abe kya bhonk raha hae chuhe to maene tab bhi na khaye jab mae ek sadharan sanp tha ab kya khauga pagla gaya hae kya?



Shalaka – shhh chup karo rudra wo majak kar rahe hae.



Rudra - A shalaka samjha le apne jijje ko aese bhayanak majak na kiya kare mere saath varna ………



Dev ne tej brake mari aur gadi skid hoti hui ruk gayi



Dev rudra ki taraf palatkar – varna…….. varna kya…………….?

Rudra - are bhai t t t tu naraj mat ho mae to kuchh kah hi nahi raha waese bhi mujhe koi bhukh nahi lagi hae ye to shalaka hi bol rahi thi bas mae to yu hi iska sath de raha tha tu aankhe mat dikha bhai chal gadi chala tu mera raja bhaiya hae na.



Shalaka fir hasne lagti hae to rudra - ab tu kyu battisi nikal rahi hae?



Shalaka - rudra bahar dekh deva ne restaurant ke pas gadi roki hae tum to aese dar gaye mano deva tum par hamla kar raha hae.



Rudra - haye???? Ha to sahi hae maene to dekh hi liya tha na ke gadi restaurant pe ruki hae varna dev se kaun darta hae chalo chalo khana kha lete hae.



Rudra teji se gadi se utar ke hotel me ghus jata hae idhar shalaka aur dev dono hasne lagte hae fir wo bhi utar ke andar chale jate hae khana khane.



Khana khate hue rudra - dev ab waha ka kya socha hae.



Dev - dekho aaj to mujhe samay hi nahi mila aesa ke mae tum logo ko kuchh bata saku lekin kal rat mae gaya tha us mahal me



Shalaka aur rudra chonkte hue - kya?????????



Dev - ha mae gaya tha waha.



Shalaka - kya bat kar rahe ho dev tum waha gaye kal rat? wo bhi aese achanak tumhe bataya tha na maene ke waha khatra hae waha sachmuch me hi kuch khatarnak atmaye hae jo tumhe nuksan pahucha sakti thi ye koi dharti ke sadharan log nahi jinse akele hi koi bhi ja kar nipat sake . ye to achha hua tumhe kuchh nahi hua varna kya pata vaha kitna khatra hae tumhe kuchh ho jata to?



Rudra – ruko shalaka bat kuchh aur hae. mae dev ko ache se janta hu. Bol dev tum waha kaese gaye aur waha kya hua.



Dev – mae kal waha sukshm roop me gaya tha. Sirf waha ke halat janne kyu ki mae bina waha ke halat jane aese hi tum logo ko waha nahi le jana chahta tha. Jaesa ki tum logo ne hi kaha waha kuchh bhi ho sakta tha aese me tum logo ki jaan ko khatre me mae nahi dalna chahta tha. No never



Shalaka - I know . . . to kya pata chala waha ?



Dev – hua kuchh aesa ke. ……………..
Nice update
 
Top