• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Alok

Well-Known Member
11,184
27,747
258
इंतज़ार
 
Boby

Well-Known Member
2,801
13,177
159
UPDATE 257

Shalaka - I know . . . to kya pata chala waha ?

Dev – hua kuchh aesa ke. ……………..

Fir dev ne mahal me hui kal rat ki sari ghatna bata di dono ko

Shalaka - ok to rajkumari prana ne bataya ke unke pita pretraj ko tumse koi khas kam hae aesa kya kam ho sakta hae pretraj ko ki unhone tumhara itna intjar kiya aur is jagah ki suraksha ke liye apni beti ko hi bitha diya. wo seedha naglok ja kar tumhare pita maharaj se bhi pooch sakte the tumhare bare me. Kyu ki jaha tak mae janti hu prêt lok walo se hum dono ki hi nagriyo ki koi dushmani nahi rahi hae. balki unse to maître sambandh hi hae.

Rudra - koi khas hi vajah hogi varna wo intjar ke liye to kisi bhi pahredar se bol dete apni beti ko yaha nahi rahne dete.

Dev – ha mae bhi yahi soch raha hu. Chalo jyada sochne ki koi bat nahi waha to chal hi rahe hae to wahi pata chal jayega ki asal baat kya hae.

Rudra – tumhe kya lagta hae waha koi khatra to nahi hoga na?

Dev – nahi yar mujhe nahi lagta waha koi khatra hoga. Kyu ke jaese ki abhi sahalaka ne kaha, hamari to pretraj se kabhi koi dushmani rahi nahi hae.

Shalaka – dev aap naglok me apne pita ji se sampark kar ke pooch kyu nahi lete kahi unki koi dushmani rahi ho to baat bigad sakti hae abhi.

Dev – nahi shalaka iski jarurat nahi kyu ke. Mae nag lok ke har dost aur har dushman ko janta hu aur pret raj kam se kam hamare dushmano ki list me nahi hae ye mae janta hu. Isiliye pita ji maharaj se bat karne ki koi jarurat nahi,

Rudra - ye sahi baat hae pretraj ki naglok se koi dushmani nahi hae.

Shalaka – fir to koi bat hi nahi hae chalo baki bate to prana aur pretraj bata hi dege. Ab khana khatam ho chuka ho to chala jaye rudra?

Rudra – ha chalo mae to kab se kah raha hu tum log hi bekar ki bato me baeth gaye aur yaha hotel aa kar bhi samay kharab kiya. tum logo ko sach me samay ki koi kadar hi nahi hae. waha prana intjar me hogi wahi kuchh khane ka intjam kar deti. Par nahi tum logo se koun bahas kare time waste karna to koi tum logo se seekhe. Such a ugly peoples. Lets moov now guys. What are you waiating for christmas?

Dev aur shalaka ek dusre ka mooh dekhne lage kyu ki rudra to aage badh chuka tha gadi ki taraf inhe itna suna kar.

Dev – ye sala kisi janam me nahi sudhar sakta,

Fir dev aur shalaka bhi gadi me aa gaye aur dev ne gadi badha di mahal ki taraf,

Thodi der ke baad unki gadi mahal ke gate ke pas khadi thi. usi samay mahal ka gate apne aap khul gaya aur dev ne gaadi aage badha di.

Poora mahal veeran pada tha. Jagah jagah sukhi hui jhadiya aur farsh pe tahniya bikhri hui thi, kahi pe koi ped ki badi badi tahniya toot ke giri hui thi aur mahal ki deewaro ke plastar udhde hue the kuch jagah par, deeware behad purani ho chuki thi khidkiyo ke halat bhi khasta thi jin pe koi glass to laga hi nahi tha.

Dev ne gaadi andar le jakar mahal ke entrance gate pe roki to rudra ne apni taraf ka darwaja kholte hue kadam bahar nikala lekin tabhi waha bahot tej hawaye chalne lagi aur poori dhool mitti ud kar teji se car ki taraf aane lagi. Rudea ne turant gate band kar diya. Tabhi dev ne apni taraf ka darwaja khola aur apna paer bahar nikal ke jameen pe rakha to tej hawaye aese shant ho gayi jaese kuchh hua hi nahi tha, fir dev bahar aa gaya aur rudra aur shalaka ko bahar aane ka ishara kiya. Ab wo dono bhi bahar aa gaye is baar kuchh nahi hua. Teeno mahal ke entrance gate pe khade the apni apni kamar pe hath rakhe mahal ko dhyan se dekh rahe the. Usi waqt

Mahal ke andar se chham chham karti payal ki awaj aane lagi aur kuchh hi minto me waha ek behad khubsurat ladki najar aane lagi. Ek dam safed colour ke chamakdar lahange choli me uske kale lambe baal khule hue the, Safed chamakdar chunni ko sir pe clip kar ke chhod diya thausne, uske kale ghane balo ki lat baar baar uski khubsurat gore chehre pe aa rahi thi. usne red colour ki lipistic lagayi hui thi maathe pe silver bindi. Hatho me lal safed chamakdar chudiya. Aur uske gore paero me chandi ki payal jo uske chalne se chhanak rahi thi. paero me ek keemti shandar safed jutti.

Rudra, shalaka, dev teeno use bina palke jhapkaye dekh rahe the. Wo ladki un teeno ke samne aa kar khadi ho gayi, aur muskrane lagi. Bari bari se usne teeno ko dekha. Fir dev se uski najre mili to dono muskrane lage.

Ladki- ek baar fir se aapka swagat hae dev aaiye.

Shalaka – tum prana hi ho right?

Prana - absolutely right shalaka.

Rudra - tumhe bhi English aati hae? dev ne to kaha tum pret ho?

Prana – aese to aap bhi ek ichhadhari naag hae rudra but I know you also talk in English very well.

Rudra – ohh believe me I do, like I live angrej behind

Prana – to fir mae kyu nahi bol sakti English? Are yar mae bhi isi duniya me koi 100-150 saal se to hu hi. Bahot kuchh hua hae is beech is dharti par kai sare yudh maha yudh bahot kuchh dekha hae maene. Aur bahot kuchh seekha bhi hae. usme English bhi aati hae. aur fir hum logo ki shaktiyo ke samne ye bhasha ki samasya kab aati hae?

Shalaka - bilkul thik kaha tumne rajkumari prana.

Prana - are rajkumari shalaka aap hame sirf prana hi kahiye hame achha lagega.

Shalaka – to fir aaj se tum bhi hame sirf shalaka hi kahogi. Tabhi hamari dosti lambi chalegi.

Prana - ok done. Now we are friends shalaka?

Shalaka prana ko gale lagate hue. – ofcourse darling we are.

Rudra – ye kya drama hae be. Ye to chipka chipki chalu ho gayi A shalaka sambhal apne aap ko varna abhi nagarjun ko boluga tu ladkiyo se chipakti hae.

Shalaka – shutup rudra.

Rudra - kya shutup? Ye to galat baat hae na prana dost to hum bhi hae fir tumne gale sirf shalaka ko kyu lagaya?

Shalaka – ab mae bulau kya Nilam ko? Prana se gale milna hae tumhe?

Prana muskrate hue– aaiye andar chalte hae.

Fir ye charo andar chal padte hae. prana unhe ek haal me lati hae jo ek dam saaf suthra tha aur waha koi gandagi ya badbu nahi thi waha shandar sofe rakhe the jis par ye baeth jate hae

Dev - nice, hamare liye kafi maehnat ki hae tumne prana.

Prana - are dev ye to kuchh nahi bas ab tak aesi koi jarurat nahi padi isiliye is mahal ko buri halat me rakhna pada. Ab aap aa gaye to us buri halat me kaese aapka swagat karti?

Rudra – lekin rajkumari prana aesi bhi kya jarurat thi jo aapne is mahal ko hi apna adda banaya.

Prana - dekho pahli baat to ye ke mae aap logo ki dosti chahti hu ab har ek ko mae nahi bolugi ke mujhe rajkumari mat kaho. Ab agar mujhe kisi ne rajkumari kaha na to mae pitaji maharaj ko hi bula dugi fir karte rahne unse baate mae chali jaugi apne pret lok kyu ki kam to unhe hi hae. mae to bas pahle yaha ki security guard thi aura b sirf messenger. And I think I done my work nicely here so I am already done.

Rudra – are yar naraj kyu hoti ho hum sab dost hi hae lekin meri majak har koi hajam nahi kar sakta yad rakhna .

Prana - ha to agar shalaka tumhara majak handle kar sakti hai to mae bhi kar lugi par itni bhi ijjat dene ki koi jarurat nahi hae.

Rudra – ye sala ladkiyo ke saath yahi problem hae ijjat do to problem lo to problem.

Shalka aur Prana dono khadi ho gayi kamar pe hath rakh ke aur ek hi sur me ek sath - kya kaha rudra tumne?

Rudra ne In dono ke tevar dekhe aur palat kar dev ko dekha to wo bhi use kha jane wali najro se ghur raha tha.

Rudra hath jodte hue – maaf kar do deviyo mera aesa koi irada nahi tha ye chandi roop mat dikhao kamar se hath hatao aur baeth jao dekho mae kaan pakad raha hu.

Dono hi rudra ko ghurti hui baeth gayi aur fir shalaka prana aur dev teeno hasne lage
 
Boby

Well-Known Member
2,801
13,177
159
UPDATE – 258

Rudra – abe darate bhi ho haste bhi ho ajeeb ho yar tum log.

Prana - bas kar rudra ek hi din me pet dukhne lagega mera. You are too much.

Dev – aesa hi hae ye varna darta to ye mujhse bhi nahi. Ha jaan chhidakta hae ye hum sab pe ye bhi sach hae.

Prana - how sweet

Shalaka – rahen de koi fayda nahi. Sweet bolne ka

Rudra – ab tere ko kyu jalan ho rahi hae

Shalaka - kyu jab ye mujhse gale mili tab tujhe bhi to jalan hui thi na. waese prana iske chakkar me mat aana iski nilam hae pahle se.

Prana - are nahi shalaka mera aesa koi irada bhi nahi hae. don’t worry lekin ha ye achha kiya jo bata diya nilam ke bare me ab to mae seedha nilam ko hi bula dugi agar isne jyada pareshan kiya to. Ab mae apne lok jane ki dhamki nahi dugi balki nilam ko bulane ki dhamki dugi ise.

Rudra- nahi devi use mat bulana wo bhi koi kam nahi hae tum logo se.

Waha fir hasi gunjne lagi. Tabhi waha ek tej prakash hone laga sabhi satark ho gaye dev prana ko dekhne laga to prana muskarane lagi . kuchh hi der me wo roshni khatam hui aur waha ek ache deeldaul wala aadmi khada tha lamba choga sir pe mukut kamar me ek bhari talwar daadhi aur mooch se bhara hua khatarnak chehra badi badi lal aankhe. Ye hae PRET R AJ PRAKALA.

Prana ne jhuk kar unka abhivadan kiya.

Prana – pita ji maharaj aaj aapka diya hua kaarya poora hua. Aapko jinka intjar itne lambe samay se tha aaj mae unhe aapse milwa rahi hu. Inse miliye ye hae nag lok ke yuvraj dev singh. Aur inke saath hae inke param mitra rudra aur tilism nagri ki rajkumari shalaka.

In teeno ne bhi pret raj ka abhivadan kiya.

Dev – aaiye maharaj virajiye.

Prakala – dhanyavaad dev singh ji

Dev – sabse pahle to mae kshama chahuga maharaj mujhe koi andaza nahi tha ke aap ko meri jarurat hae varna mae aapse svayam milne chala aata. Aur aapko yaha aane ka kasht nahi lena padta. Par aapne itna kasht kyu liya hamse milne ke liye? aap hamare pita ji maharaj ke pas sandesh bhej dete mae aapke pas aa jaata.

Prakala -nahi yuvraj hum aesa nahi kar sakte the. Kyu ki jab hame aapse milne ki jarurat mahsus hui to hamne pata karwaya tha kintu us samay aap apni nagri me moujud nahi the ye tab ki baat hae jab nagri ki ladayi Ho chuki thi. tab hamare gurudev ne hame ek khas kaarya sonpa tha jis wajah se hame aapse milna tha ab kaarya hamare gurudev ne hame sonpa tha to hame hi aana tha aapke pas aapko bulana shobha nahi deta.

Dev – ye to aapka badappan hae maharaj varna umar aur ohde me aap humse bade hae, shreshth hae, us hisab se yadi aapka aadesh hota to hum jaroor aa jate aapki seva me.

prakala – bahot khoob dev singh ji jaesa hamne aapke bare me suna tha aap usse badkar hae aapse milkar khushi hui hame.

Dev – aapse ek prarthna hae ke aap hamare pita saman hae isiliye aap hame sirf dev hi kahe. Aur ab aap hame bataiye ke hum aapke liye kya kar sakte hae. kya pret nagri khatre me hae ya koi aur dushman aapko pareshan kar raha hae?

Prakala – aesa kuchh nahi hae dev, hum aapko poori baat batate hae. To jaese ke hamne aapko bataya ye baat tab ki hae jab nagri me aap logo ki ladai hui us mantrik se. bahot kuchh tabah ho gaya tha usme aur aapki to jaan bhi gayi thi. hamara sambandh naglok se aur tilism nagri se achha hi tha. Dono hi nagriyo se hamari koi dushmani nahi rahi kabhi bhi. Maharaj bhairav singh ji aur maharaj sumantdev ji se jab bhi hum mile hae dostana andaz me hi mile hae. jab hame Nagri ke yuddh ka pata chala to hum turant naglok gaye the us itni badi tabahi se charo taraf mahoul bahot gamgeen ho chukka tha. sanyog se waha maharaj sumant dev bhi the hamne dono maharaj se ye shikayat ki, ke itni badi baat ho gayi to unhone hame kyu nhi bulaya. Hum us mantrik ko chhodte nahi yadi hame mouka milta. Kyu ke koi kitna bhi bada mantrik ho ham sab ki shaktiyo ke aage wo tik nahi pata. Lekin maharaj bhairav singh ji ne hame bataya ke wo waqt aapki sagai ka tha aur us mantrik ne dhokhe se hamla kar diya tha kisi ko bulane ka to chhodiye apni taraf se bhi koi khas taiyari nahi thi aese me bahar se sahayta ke liye kisi ko bhi kaese bulate. Sab kuchh jankar hame behad dukh hua. Aapki aur rajkumari poonam ki mout sirf dono nagriyo ke liye hi nahi balki hum jaese shubhchintako ke liye bhi ek gahra aaghat tha.

Uske baad hum wapas apne lok me aato gaye kintu hum bhi is hadse se ubar nahi pa rahe the. Aur usi douran ek din hamare gurudev hamare pas aaye to maene unhe apni vyatha batayi aur apne dukh ka karan bhi to unhone humse kaha . . . . .

Flash Back. . . .

Gurudev - kya baat hae prakala tum ek shaktishali pret ho pret lok ke raja ho aur ek raja ko is tarah chintagrast nahi hona chahiye. Apne dukh ka karan batao.

Prakala – kuchh nahi gurudev bas yu hi pareshan hu. Waese aapke darshano ka mujhe labh mila uske liye aapka dhanyavaad kintu aapne kyu kasht kiya mujhe bula liya hota .

Gurudev - nahi prakala karan hi kuchh aesa hae jiske liye mujhe tumse milne aana pada lekin pahle tum apni udasi ka karan batao kyu ki is dasha me tum hamari kahi koi dusri bat samajh hi nahi paoge. . . . .
 
Last edited:

Boby

Well-Known Member
2,801
13,177
159
FRIENDS MAE ISSE AAGE BHI POST KAR RAHA THA UPDATE LEKIN MUJHE USME IMAGE DALNI HAE AUR WO UPLOAD NAHI HO PA RAHI HAE. ISILIYE 3rd UPDATE NAHI DE PAYE. PAR JALD HI MIL JAYEGA. FILHAL YE UPDATE AAPKE SAMNE HAE PADHIYE AUR APNE REVIWEWS BHEJIYE. FIR MILTE HAE JLAD HI.
 
Last edited:

Gurdep

Well-Known Member
2,220
2,786
144

MAST UPDATED HA BHAI THANKS
 
  • Like
Reactions: Smith_15
Top