• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Completed )

Ritima

Banned
293
1,015
139
UPDATE 34













GURUDEV- tehro vats ye kya kar rahe ho tum.





Main- pranam gurudev aap is waqt.





Gurudev- me to har waqt tumhare sath hi rehta hu. Ab tum ye batao ki ye kya kar rahe ho tum.




Main- gurudev me ek kavach bana raha the is prithvi per. Taki ab fir koi asur yaha aake tabahi na macha sake.




Gurudev- parantu vats agar vo yaha aayenge nahi to tum unka badh kaise karoge.




Main- unka vadh to me prithvi ke bahar bhi kar sakta hu gurudev. Per agar vo yaha aaye to bina bajah Masum log mare jate hai. Sirf is liye kyuki vo mera pata lagana chahte hai.





Gurudev- tumhara sochna uchit hai vats. Parantu ye koi Hal nahi hai. Tumhe kya lagta hai ye kavach kya koi or nahi bana sakta. Agar ye sahi faisla hota to bahut pehle hi aisa ho chuka hota. Jara soch kar dekho. Is bare me. Tum ek tarah se is pore sansar ke chakra me rukavat lane wale the.





Main- aapka kehna uchit hai guruvar. Per jab log marte hai bina bajah ke vo mujhse dekha nahi jata hai. Me kya karu iske liye.



Gurudev- vats ye kavach banana iska hal nahi hai. Per ha ek upay hai. Tum kavach na banakar kuch aisa chakra banao jisse jab bhi koi asur prithvi per pravesh kare to tumhe uske bare me turant hi suchna Mil jaye. Or tum satark ho jao.





Gurudev ka ye vichar mujhe sahi laga.




Main- dhanyabaad gurudev aapne meri samasya ka samadhan nikal diya. Isse me un detyo per bajar rakh paunga. Or agar vo kuch galat karne ka prayas karenge to unko sabak bhi sikha paunga.





Gurudev- bilkul vats. Or agar logo ke marne se tumhara man vichlit ho to ye sochkar chalna ki tumhara jeevan ka uddesya kya hai. Or jab koi bada lakshya hamare jeevan me hota hai to hame kurabani to deni hi padti hai. Fir vo kisi bhi surat me ho sakti hai. Or iska jeeta jaagta udaharan hai SHRI KRISHNA ka jeevan. Tumhe ye to pata hi hoga ki Bhagwan Shri Krishna hamesha har pristhiti me apna sanyam banaye rakhte the. Or chehre per ek manmohak muskan jise dekhkar sabhi ka hriday bhar jata tha. Or ye bhi yaad rakho ko unhone apne pore jeevan me kitne balidaan diye hai. Sabse pehle to unhe apne mata pita se vichadna pada. Apne hi mama ka vadh karna pada. Or sirf 11 vars ki aayu me unhone Sara ghar baar chhod diya or unke pyare gokul vasiyo se door ho gye. Apne mitra or sakaho se door ho gye. Or fir lout kar bhi nahi aapaye kabhi. Or uske baad apne hi bua ke parivar ka vinash dekha unhone.


Unka jeevan kitne sangharsho se bhara hua tha. Tumhe unke jeevan se seekh leni chahiye. Or mujhe ummid hai ek baar tumne unke jeevan se prerna le li. Fir tumhe jeevan me kabhi bhi dukhi nahi hona padega.






Ye sab bate sunkar Mera mind pora blank ho gya tha. Kyuki gurudev ki kahi har baat sahi thi.




Gurudev- or vats ek baat ka or smaran rakho ki tum sabhi ko nahi bacha sakte. Lekin tum jyada se jyada logo ko bacha sakte hai. Or tumne abhi tak ye sab bahut achhe se kiya hai. Jara socho ki agar tum samay per kuch nahi karte to kitne hi or mare jate. Lekin tum apna shourya dikhaya or jyada se jyada logo ko bacha liya. Bas yahi soch kar tumhe aage badna hai.






Main- gurudev aapki kahi gyi har ek baat seedhe mere hriday me utar gyi hai. Me hamesha ye bate yaad rakhunga jo aapne kaha hai. Or use hi apna jeevan ka mul mantra banaunga.





Gurudev- mujhe tumse yahi aasha hai vats. Apne jeevan ke karya ko safal karo. Or jab bhi man vichlit ho to Mujhe pukaarna me aajaunga tumhare man ko shant karne ke liye.





Main- me yaad rakhunga gurudev.



Gurudev- tumhara kalyan ho vats.



Maine gurudev ko pranam Kiya or dhyan se bahar aagya. Or sochne laga ki gurudev ne kitni badi bato ko kitni aasani se samjha Diya. Ab mera man thoda shan't hai or andar se achha bhi feel ho raha tha. Or ab samay tha kuch aisa karne ka jiske bare me gurudev ne kaha tha




Maine fir se apni aankho ko band Kiya or thirdeye ko open kiya. Or usse kuch aisa kavach banane ko kaha jisse koi bhi asur agar prithvi per aaye to mujhe uski suchna turant hi mil jaye. Ek aisa adrishya kavach Jo kisi ko koi nuksan na pahuchaye vas asuro per najar rakhe.




Mera aisa sochte hi layer nikalna start ho gyi. Or isbaar ye layer seedhe meri thirdeye se nikal rahi thi. Or badalo ko cheerti Hui aakashganga me fail rahi thi.

Dheere dheere us layer ne pori prithvi ke charo taraf ek adrishya ghera bana liya. Or aisa hote hi achanak se mujhe kuch asure ke sanket mile. Jo alag alag vesh me isi prithvi per nivash kar rahe the. Mujhe karib 1000 se jyada asuro ke sanket mile jo alag alag jagho per vichran kar rahe the bilkul aam insano ki tarah. Or inke yaha aane ka jo maksad tha vo ek hi tha ki us divyastra ki khoj ki jaye. Ab mujhe ye samaj me nahi aaraha tha ki in sabka Kiya kya jaye. Inko maar du ya fir sahi samay ka wait karu. Yani ki divyastra ka.

Me janta tha ki ye nirnaye mujhe hi Lena hoga. Isme gurudev mujhe yahi kahenge ki jo dill keh raha hai uski baat mano. Or mera dill keh raha tha ki in asuro ne kal varsho se koi bhi aisa kaam nahi kiya hai jiski bajah se inhe mara jaye. Lekin dimaag keh raha tha ki Inka kya bharosa kal ko kuch bhi kar sakte hai.



Mere dill or dimaag dono ke beech Jung chal rahi thi ki Inka kya kiya jaye. Or akhir kaar bahut sochne ke baad maine ye nirnaye liya ki filhaal in per najar hi rakhi jaye. Agar inme se koi bhi galat kaam karta paya gya use usi waqt nipta dunga.



Yahi sochkar Maine dhyan ko samapt Kiya. Kyuki ab kavach ban chuka tha or ab koi or kaam to tha nahi. Bas aaram karna tha. Kyuki 2-3 rato se theek se soya nahi tha me. Isliye me seedha kamre me pahucha or sone chala gya.





Kahi kisi anjan jagah per ek bahut hi chamkeeli cheez chamak rahi thi. Jaise koi madi ho. Uski roshni bahut hi suhavani thi. Ye madi hawa me latki hui thi. Or gol gol ghum rahi thi apne aap. Ye jagah konsi thi pata nahi lekin ye madi ek gufa me chamak rahi thi. Or iska ujala itna tha ki us pori gufa ko roshni de raha tha. Lekin gufa ke bahar nahi. Kyuki gufa pori tarah se pack thi. Matlab is gufa ka koi bhi pravesh darwaja nahi tha. Iske andar kaise jaya jaye ye kisi ko pata nahi tha. Or aisa bhi nahi hai ki koi chattan ne is gufa ke darwaje ko dhak liya ho. Balki ye ek band kamre ki tarah tha. Jisse bahar jane ka koi bhi rasta nahi tha. Na to koi khidki or na hi koi darwaja. Or dusri taraf kuch ajeeb se log us gufa ke bahar khade the or un patharo ko todne ki kosis kar rahe the. Jaise vo us gufa ke andar Jana chahte hai. Kafi log lage hue the baha per lekin koi bhi safal nahi ho pa raha tha un patharo ko todne me. Tabhi us madi me se roshni ki ek kiran un patharo ko cheerte hue bahar nikli jise dekhkar baha khade sabhi log hairan ho gye. Unhe apni aankho per bharosa nahi ho raha tha ki ye kiran in patharo ko cheer kar bahar nikal aai hai. Lekin agle hi pal us kiran ne apna aakaar badana suru kiya. Jise dekh kar baki sabhi or hairan hone lage ki ye kya bo raha hai. Or uske agle hi pal us kiran se itna ujala hua jisme baha khade sabhi log ek tarah se andhe ho gye. Ab baha keval ujale ke kuch nahi dikh raha tha. Or fir vo ujala dheere dheere kam hona suru hua. Kuch hi sec me baha per pora andhera chha gya or vo kiran bhi pori tarah se gayab ho gyi. Or jo log bahar khade the. Ab unki jagah keval rakh ka dher bacha tha. Matlab ki us kiran ne sabhi ko bhasm kar diya tha.

Tabhi us jagah ki ek halki si chhabi najar aai or achanak se bahut hi bada visfot hua. Jisme us jagah ke parkhache udd gye. Vo sari gufa or baha moujood pathar sare kankad me badal gye.


Or itna bhayanak vishfot tha ki kisi ki bhi aatam kaamo jaye ye dekhkar.
Tabhi achanak se meri aankhe khul gyi or me uth kar baith gya
Mera pura chehra is waqt pasine me latpath tha. Tabhi mujhe yaad aaya visfot ka or me charo taraf dekhne laga maine turant hi room ki khidki khol kar bahar dekha. To mujhe sab normal dikha charo taraf ghanghor andhera chhaya hua tha. Mera mind thoda reset hua or mujhe yaad aaya ki me to so raha tha. Matlab ki ye sab ek sapna tha. Lekin ye Sapna aaya Kyu. Kahi iska koi Matlab to nahi hai. Baise jo jagah dikh rahi thi vo ek pahad jaisa tha. To ho sakta hai kisi pahad me visfot hua hoga. Lekin kyu. Or kaise.or Jo madi dikh rahi thi vo kya cheez thi.



Mujhe kuch bhi samaj me nahi aaraha tha ki is sapne ka u aana kya sandesh laya hai. Mujhe itna lata tha ki is aapne ka koi na koi mahatva to jarur hai. Lekin kya?


Bahut sochne per mujhe vo divyastra ki yaad aai. Or gurudev ki baat bhi ki vo bivajit ho gya tha. Alag alag bhago me. To kahi ye jo madi dikh rahi thi. Vo usi divyastra ka hi to bhag nahi hai.


Ye soch dimaag me aate hi mera vision clear ho gya or mujhe samaj me aagya ki iska divyastra se koi na koi connection hai. Or iske bare me vistaar se keval gurudev hi samjha sakte hai. Kal pratah. Unhi se puchhunga me.


Ye nirnay Maine liya or uske baad maine thanda pani piya apna chehra saaf kiya or diwara sone ki kosis karne laga.abhi raat ke 3 baj rahe the.mujhe 5 baje tak hi uthna tha matlab 2 ghante baad. Isliye aaram se so gya. Lekin man me us aapne ka khayal aate hi rahe. Or pata nahi kab meri aankh lag gyi.






Bahi dusri taraf shukracharya apna yagya kar rahe the. Raat me hi unka yagya bhi suru hua tha. Ek ke baad ek ahuti vo dete ja rahe the. Or jab pori 100 aahuti ho gyi. Uske baad shukracharya kuch mantro ka ucharan karne lage. Kafi der tak vo lagatar mantra ka path karte rahe or akhir kaar yagya kund se ek bhayankar jwala nikli jiski lapto ne shukracharya ki aankhe khol di. Unhone aankhe khol kar dekha to vo lapat ne ek akriti bana li thi. Jo dekhne se kisi devi ki hi lag rahi thi. Shukracharya ne un devi ko pranam kiya.




Devi- shukracharya kahiye aaj mera aavahan Kyu kiya hai aapne.




Shukracharya- mata is sevak ka pranam SWIKAAR kare.




Devi- swikaar Kiya.



Shukracharya- mata ham asuro per sankat aagya hai. Parantu hame us sankat ke bare me kuch bhi gyat nahi hai. Hamari sari kosiso ko bifal kar de raha hai. Kisi shakti ka janm hua hai prithvi per. Mujhe uske ware me janna hai. Vo kon hai kiska Avtar hai ya fir kisi shakti hai uske pass. Or uska badh ham kaise kar sakte hai. Mujhse sab kuch janna hai.





Devi- shukracharya tum kitne vivash ho gye ho. Mujhe tumse aise aasha bilkul nahi thi. Tum khud us shakti ka pata lagane me saksham ho. Fir bhi tumne Mera aavahan Kiya.





Shukracharya- devi. Hamne kai kosise kar ke dekh li hai. Badle me hamare vo asur mare gye hai. Per hame safalta bilkul nahi mili hai. Isiliye maine aapka aavahan Kiya hai. Kripa karke hamara margdarshan kare.






Devi- me dekh rahi hu tumhari kosiso ko. Tumne apna pora jor fir bhi nahi lagaya hai. Tum bas 1-2 haar se ghabra gaye ho.





Shukracharya- kuch aisa hi samaj leejiye mata. Jab mere itne shaktishali asur uska kuch nahi bigaad paye to Maine or kya kar sakta hu.





Devi- theek hai shukracharya ab me aai hu to tumhe kuch na kuch bata kar hi jaungi.





Shukracharya- aapki kripa hogi mata.




Devi- jis shakti ki tum baat kar rahe ho. Uska sambandh saakshat mahadev se hai. Or me tumhe ye bhi bata du ki tumhara koi bhi asur use parajit nahi kar sakta hai. Chahe vo kitni hi shaktiyo ka prayog kyu na kar le. Isliye tumhe kuch or sochna hoga us shakti ke liye. Or iska janm hua hai us divyastra ke liye. Or vo divyastra pa kar hi rahega. Tumhe agar vo divyastra prapt karna hai to tumhe apna pora jor lagana hoga. Abhi vo shakti thodi Kam takatvar hai kyuki uski shaktiya seemit hai. Lekin agar ek baar vo divyastra usne prapt kar liya fir uski shaktiyo ki koi Seema nahi hogi. Or us douran me yahi kahungi ki apni jaan bachane ke bare me sochna. Bhool kar bhi uske samne mat jana Verna kaam khatm samjho.





Ye sab sunkar shukracharya ki dhadkane tezi se badne lagi thi.




Shukracharya- mata vo kaisi dikhti hai. Ham use kaise dhunde. Or sabse jaruri ki use kaise haraya ja sakta hai.





Devi- vo shakti filhaal ek balak ke rup me hai prithvi per. Or use dhundne ke liye Bharat ke Uttar disha me prayas karo. Or use pehchanne ke liye me tumhe divyadristi pradaan karti hu. Tum isse usko pehchan paoge or dekh paoge. Lekin tabhi jab vo tumhare ye tumhare asure ke aaspass moujood hoga. Or rahi baat uske kaise haraya ja sakta hai. To me kahungi ki prayas karte raho. Sayad tum safal ho jao. Or fir bhi na ho to use harane ke bare me nahi balki apne vash me karne ke bare me sochna. Tumhe tumhara jawab mil jayega.




Uske baad devi ke hath se ek chhoti si lo billi or shukracharya ki aankho me sama gyi. Or is dristi se vo dev ko dekh sakte the jab bhi bo kisi asur ke aaspass hoga. Pehle unhen dev ki jagah per ek tez prakash dikhta tha. Lekin ab dev ki shakl dikhegi.

Ye sab jaankari prapt karke shukracharya bahut kush the. Unhone devi ko pranam kiya or aisa karte hi dev bapis se agni kund .me chali gyi. Or unke jate hi shukracharya kush ho gye kyuki unhe bahut hi bahumulya jaankari mil chuki thi is shakti se judi. Or uska tod bhi mil chuka tha. Lekin ye baat to vo bhi jante the ki is shakti ka sambandh swayam mahadev se hai. To isaka matlab ye tha ki shakti ko kabu karna ya harana lagbhag na mumkin hai. Lekin kosis to kar hi sakte hai.






Bahi ye sab guru parsuram ji ko pata chal gya ki shukracharya ko dev ke bare me kafi jaankari mil chuki hai devi se. Or vo isko leke chintit bhi ho gye the. Unhe ab chinta satane lagi thi ki agar dev ka raaj khul gya to sabhi per bahut bada sankat aajayega. Or unhe iska koi Hal bhi nahi mil raha tha. Isliye vo seedhe nikal gye kailash pervat ke liye. Mahadev se milne ke liye.

Halaki abhi raat thi. Lekin vo brham kaal Tak baha pahuch jayenge. Yahi soch kar vo nikal pade.



Bahi devraj ko bhi iski jaankari mili. Or unhone brhma ji ke pass Jane ka nischay Kiya. Subah sabse pehle.




Bahi main aaram se so raha tha in sab se bekhabar. Apni neend ka aanand le raha tha.




Subah ke 4 baje tak gurudev mahadev ke samne pahuch gye. Abhi mahadev apne dhyan me leen baithe hue the. Isliye gurudev ne mahadev ki istuti karna prarambh kar diya.


Kafi der tak gurudev mahadev ki istuti karte rahe. Tab Jake mahadev ne apni aankho ko khola.



Gurudev ne mahadev ko pranam Kiya. Or mahadev ne unhe aasirbaad Diya.




Gurudev- mahadev sankat aane wala hai arnav per.



Mahadev- ham jante hai persuram.



Gurudev- fir iska koi upaay bhi bataiye bhagwan. Shukracharya ke man me ab jo vichar chal raha hai. Agar vo sach me parivartit ho gya to anarth ho jayega.





Mahadev- persuram arnav ki ab kathin pariksha suru hone wali hai. Use in sabka hal khud hi dhundna hoga. Or aap to jante hi hai ki vo aisa karne me saksham hai. Shukracharya ke man me jo vichar aaya hai vo unke anusar theek hai. Or sach kahu to yahi ek tarika hai arnav ko jeetne ka. Parantu vo mera ans hai. Or use jeetna aasan kaam nahi hoga kisi ke liye bhi. Ye baat bhi aap jante hai. Fir aap chinta kyu kar rahe hai.






Gurudev- bhagwan me Arnav ke liye chinta nahi kar raha hu. Mujhe uske gharwale or aam insano ki chinta hai. Jinka istemaal asur arnav ke khilaaf kar sakte hai. Or arnav sayad unke samne vivash ho jayega. Iske liye koi upay bataye bhagwan.




Mahadev- persuram aap to jante hi hai ki jab sansar ki bhalai ka prasn aata hai tab in sabse upar uthkar sochna hota hai. Or ab arnav ki yahi pariksha honi hai. Kya vo apne saansarik rishto me hi uljha rehta hai ya fir unse uper uthkar apna kartavya nibhata hai. Asuro ko Arnab ki sachai pata chalegi tab vo har sambhav prayas karenge parantu unke har prayas ko bifal karna hai or unse Masum insano ki raksha bhi karni hai. Fir chahe vo uske gharwale ho ya fir koi or.






Gurudev- bhagwan aap to jante hi hai. Is kalyug ka prabhav kitna ghatak hota hai. Insano ki budhi ko hi bhrasht kar deta hai. Parantu arnav ne abhi tak apne charitra ka bakhubhi parichay diya hai. Lekin hai vo aadha insan hi. Kahi saansarik moh maya me fas kar usne kuch galat faisla le liye to kya hoga. Hai to abhi vo ek baalak hi.




Mahadev- aisa na ho isiliye hi to aapko uske gurudev ka dayitv sopa gaya hai. Ye aapki jimmedari hai. Aapko use marg bhatakne se rokna hoga. Uski sahayta karni hogi har mod per. Aage or bhi sankatkari samay aane wala hai. Jisme arnav ki har sambhav pariksha hogi. Jisme use khara utarne ke liye aapke margdarshan ki avashakta padegi.






Gurudev- me samaj gya bhagwan. Aapke kehne ka uddeshya. Me harsambhav prayas karunga apne dayitv ko nibhane ke liye.





Mahadev- or ha persuram Aapko jaankar khusi hogi ki us divyastra ka ek bhag jaagrit ho gya hai. Or iska aabhas bhi arnav ko ho chuka hai.




Gurudev- mujhe gyat hai bhagwan. Me use uchit margdarshan dunga. Or mujhe pora viswas hai ki vo jald hi us divyastra ko prapt kar lega.




Mahadev- mujhe bhi usse aisi hi aasha hai. Ab aap jaiye arnav jald hi aapse sampark karne wala hai.



Gurudev- jaisi aapki aagya bhagwan…




Gurudev ne mahadev ko pranam Kiya or mahadev ne apni aankhe fir se band kar li. Or dhyan me baith gye. Bahi gurudev fir se apne aasharam ki traf nikal gye.













To be countinue……………...
Excellent update
 

Sakal

Member
288
901
93
UPDATE 40













Me kab tak dhyan me baitha raha iska mujhe thoda bhi andaja nahi tha. Me dhyan me puri tarah leen tha. Bas gurudev ke dwara diye gye mantra ka jaap karne me. Tabhi mujhe ek aawaj sunai di.

Aawaj bahut tez thi aisa lag raha tha ki jaise jiski vo aawaj hai vo mere samne hi khada hua hai. Un aawajo ki bajah se mera dhyan toot gya or Maine aankhe kholi to mere samne lagbhag 20-20 ft ke bahut hi lambe or bhayanak jeev khade hue the. Itne bhadde the ki dekh kar hi ulti ho jaye.vo mujhe ghoor rahe the. Or vo kul 4 the. Mujhe laga shayad ye vahi jeev hai jinke bare me is ELF ne bataya tha. Sayad sunghte hue aagye honge. Isliye me khada hua.



Main- kon ho tum sab.


Maine jor se bola taki meri aawaj unke kano Tak pahuch sake. Tabhi mere peeche se kisi ki aawaj aai is aawaj ko me janta tha. Ye ELF ki aawaj thi




ELF- ye bahi jeev hai jinke bare me Maine bataya tha. Ye tumhari bhasa nahi samjhenge.




Main- tum yaha kya kar rahe ho. Tumhe to yaha aane se mana kiya gya hai na.




ELF- ha lekin maine in jeevo ko tumhare pass aate hue dekha tha isliye me tumhari madad karne aaya hu.




Main- kis prakar ki madad




ELF- yaha se bhagne ki madad.



Main- me nahi bhagne wala kahi bhi. Agar tum inki bhasa jante ho to inko kaho ki agar apni jaan pyari hai to bapis lout jaye. Verna sabhi ka sarvnash kar dunga me.





ELF- tum samaj nahi rahi ho. Ye hame masal kar rakh denge. Or dusri baat inke pass amarta ka vardan hai





Main- ye sambhav nahi ho sakta. Is prithvi per koi amar nahi hai. Fir ye kaise ho sakte hai.




ELF- ye baisi amarta nahi hai. Drashal inko ye vardan hai ki ye kam se kam 1000 saal tak jinda rahenge. In salo me inhe koi nahi hara sakta or na hi unhe maar sakta hai. Isliye jab tak inki aayu samapt nahi ho jati ye ajey hai or amar bhi.






Main- agar aisi baat hai to bakai chinta ka visay hai. Fir bhi unse baat to karni hi hogi. Akhir ye chahte kya hai.





ELF- inhe bas apna bhojan chahiye jo ki ham hai.




Main- lekin inhone abhi tak ham per hamla kyu nahi kiya. Ye chahte to jab me baitha hua tha dhyan me tab hi mera kaam tamam kar dete.





ELF- kyuki ye usi per hamla karte hai jo pehle in per hamla karta hai. Agar ham aise hi shanti se khade rahe ya yaha se bhag jaye to ye hame kuch nahi karenge. Lekin agar hamne inke uper ek pathar bhi feka to fir hamara bachna na mumkin hai.





Main- fir to koi baat hi nahi hai. Main- bapis se dhyan me baith jata hu. Ye aise hi khade rahenge.hamla to karenge nahi





ELF- darashal isme bhi ek samasya hai. Inka prabhav bahut hi khatarnak hai. Ham na chahte hue Bhi in per hamla kar hi dete hai. Agar ye hamare samne rahe to inke prabhav se ham inhe kisi na kisi tarah Lalkaar hi denge. Or agar aap dhyan me baithenge to bhi ye shor machate rahenge taki aapka dhyan pora na ho.jaise unhone abhi kiya.





Main- to ab kya kiya jaye.





ELF- ek hi rasta hai. Bhag lo yaha se



Elf ki bato se mujhe bhi yahi lag raha tha ki bhagna hi sahi. Rahega. Lekin fir ye khyal aaya ki vo ans ko kaise paunga agar yaha se bhag gya to. Or gurudev ne bhi kaha tha ki dherya banaye rakhna hai. Lagta hai yahi hai vo pariksha jisme mujhe khara utarna hai. Isliye maine tay kiya ki me ab bina dhyan kiye hi yaha baithunga inke samane or inper hamla na karne ki kosis karunga or apna dherya banaye rakhunga.




Main- tumhara kehna sahi hai ELF lekin me yaha se kahi nahi ja sakta hu. Mujhe yahi per rukna hoga.





ELF- lekin kaise rukoge. Tum kisi na kisi tarah in per hamla kar hi doge. Or fir yaha yudh suru ho jayega





Main- me apne aap per pora niyantran rakhunga ki inper me bilkul bhi hamla na karu.baki jaisi mahadev ki ikchha.


ELF ne kafi samjhaya mujhe lekin me uski nahi mana or bahi per neeche baith gya. Lekin ELF ki baat jab maine nahi mani to vo pahadi se neeche chala gya. Or me bahi baitha raha. Ab mera samay bilkul bhi nahi kar raha tha mere samne vo charo ELF bhi baith gye the. Or intjaar kar rahe the ki kab me unper koi hamla karu. Lekin maine kuch nahi kiya. Halaki meri bahut ikchha ho rahi thi ki inse me ladu or inko dikh du ki me kya cheez hu. Lekin maine baisa nahi kiya apne man ko bahut hi kosis karke main kabu me rakhe hue tha. Lekin ye kab tak chalne wala tha pata nahi. Sayad jab tak ye jeev khud yaha se nahi chale jate. Dopehar se sham Hui or sham se raat. Mujhe na to bhook lag rahi thi na hi pyas. Bas me ek Tak unhe dekh raha tha. Or vo mujhe. Aise hi kai din nikal gye lekin me apni jagah se nahi hila.mera dimaag hilne laga tha mera gussa bad raha mere dimaag me pagalpanti chalu ho gyi thi. Lekin me kisi tarah use kabu me rakhe hue tha. Me nahi chahta tha ki dimaag ki ek galti sabhi per bhari pade isliye me data raha apni jid per kitne din pata nahi. Agar ginti ki jaye to karib 7-8 din. Lekin me baisa hi baitha hua tha. Or akhir kaar vo din aahi gya jab vo jeev apni jagah se hile or khade ho gye or bapis se us khai ke dusri taraf chale gye ek ek karke. Vo char the isliye ik din me ek hi jata tha or agla uske dusre din. Aise hi char Dino me baha se sabhi jeev chale gye. Sayad unki ummido per pani fir gya tha. Sabhi ke jate hi ELF mere pass aagya or usne mujhse kaha.





ELF- bakai me Tumne kamaal kar diya. Itne dino tak tumne jo dherya or sanyam ka parichay diya hai baisa koi nahi kar sakta is sansar me. Tum adbhut ho dev.




Main- tariff ke liye sukriya ELF. Lekin agar tumne mujhe saabdhan nahi kiya hota to me unse lad jata or sara kaam kharab ho jata. Isliye asal me tumhari madad ke bina ye sambhav nahi ho pata. Isliye tariff ke haqdar to tum ho.



ELF- mujhe jo sahi laga maine baisa hi kiya.



Abhi hamari bate chal hi rahi thi ki achanak se ek or aawaj mere Kano me padi.



Main- kon hai

Mere ye kehte hi mere samne ek Roshni utpann Hui.

Ye dekhkar us ELF ne bhi apne hatho ko jod us roshni ko pranam Kiya or baha se chala gya.


Maine apne hatho ko joda.



Aawaj- vats main prasann hu tumse.



Main- aapkon hai



Aawaj- vats me prithvi hu.



Main- pranam prithvi mata.



Prithvi- vats tumne apne dherya ka bahut hi khub parichay diya hai. Tumne un jeevo ke samne baith kar unper bina hamla kiya samay nikala hai. Or tum chahte to unper hamla kar sakte the ya fir jab is pahad ko tod kar andar bhi ja sakte thi. to tumne baisa Kiya kyu nahi.





Main- mata Maine apne swapn me dekha tha ki jo bhi is pahad ko todne ki kosis karta hai uska vinash ho jata hai. Or mere gurudev ne bhi kaha tha ki keval apna dherya banaye rakhna. Isliye maine kuch bhi nahi kiya.





Prithvi- matlab agar tumhe vo swapn nahi aaya hota to tum isko todne ki kosis karte.




Main- nahi mata. Me bahi karta Jo mujhe gurudev kehte. Agar vo todne ko kehte to me todta. Parantu unhone shaktiyo ka istemaal karne ko mana kiya tha. Isliye maine keval pratiksha ki. Taki koi rasta mil sake mujhe.






Prithvi- achha vats tumhe agar vo ans mil jata hai to tum usse kya karoge.




Main-mata gurudev ke anusar Mera janm asuro ke vinash ke liye hua hai. Or is divyastra ko sambhalne ke liye. Taki koi bhi buri shakti ke hatho me ye vinashkari shakti na aaye. Isliye me nahi karunga jo mera dayitv hai jiske liye mera janm hua hai.






Prithvi- vats tumhe gyat hai tum kabse yaha ho.




Main- mata sayad 12-14 divas ho chuke honge.





Prithvi- sahi kaha vats. Or tum itne dino se bina bhojan or panj ke aise hi baithe hue ho. Maine tumhe dekha hai. Tumne ek pal ke liye bhi apna Dhyan bhang nahi kiya. Or tumhare is samarpan se me prasann Hui. Or isi liye main khud tumhare pass aai hu. Tumhe tumhari majil Tak pahuchane ke liye.





Main- ye to Mera sobhagya hoga mata.jo aapke divya Roshni ke darshan hue mujhe. Me aapko sat sat naman karta hu mata. Or sare prithvi vasiyo ki taraf se aapse shama mangta hu. Kyuki manusyo ne aapko bahut nuksan pahuchta hai. Or aapko dhanyabaad deta hu ki aapne har jeev ko apne andar isthan diya hai. Aapne sabhi ko hamesha hi shama daan diya hai.





Prithvi- tum sach me mahan vo vats. Me prasann hu tumse. Aao ab me tumhe tumhari majil Tak le jati hu.




Uske baad roshni itni jyada bad gyi ki mujhe sab kuch dikhna band ho gya. Sirf safed roshni ke aalwa kuch nahi tha mere aas pass. Or thodi hi der me vo roshni kam ho gyi or jab kam hui to Maine apne aas pass dekha to me kisi gufa jaise band kamre me aagya tha. Jo bilkul baisa hi tha jaisa Maine aapne me dekha tha. Maine apne peeche mud kar dekha to vo ans apni roshni bikher raha tha.




Prithvi- vats yahi hai vo mahan divyastra ke ek ans. Jinka kaam or naam prithvi hi hai. Ye mere hi ans ka ek chhota sa bhag hai.




Ye sunkar Maine us ans ko pranam Kiya.




Main- mata ab mujhe kya karna hoga.




Is per vo hasne lagi.



Prithvi- vats tum sach me bhole ho. Jao or jakar us ans ko apne hatho me le lo baki ka karya vo khud kar lega.




Main- jo aagya mata.



Main apne hatho ko jod kar aage bada jaise jaise us roshni ke karib aaraha tha mera man or bhi jyada shan't hota ja raha tha. Me us ans ke bilkul karib pahuch gya. Or Maine unhe fir se pranam Kiya or uske baad apne hath ko aage badaya or ans ke neeche apni hatheli ko khol diya. Aisa karte hi vo ans meri hatheli per aagya. Or aate hi vo ans mere hatho se hota hua seedha.mere sarir ke un hisso me sama gya jo hamare sharir me prithvi ko darshate hai. Jaise ki hamari haddiya,dant,maas or hamari chamdi. Or in ans ke pravah se mere ye sabhi hisse ek dam se atoot ho chuke the. Inko ab chahe kuch bhi Kyu na unhen itni si bhi kharch nahi aane wali thi. Halaki ye shaktiya pehle se thi mere andar lekin pehle unki limit thi lekin ab koi limit nahi hai. Lekin ek sawal bhi aaraha tha mere man me.



Main- mata ye to divyastra ke ans hai. Fir ye mere andar Kyu sama gaye.




Prithvi- vats ye ans divyastra ke andar hi samaye hai.



Main- me samjha nahi mata.




Prithvi- vats kehne ka arth ye hai ki jab tak is divyastra ke panchon bhag jaagrit nahi ho jate. Tab tak har bhag tumhare andar hi nivash karenge. Or jab uske sabhi bhag tumhare andar samahit ho jayenge tab ye bhag fir se jud jayenge tumhare sarir me. Or ek sampurna divyastra ka roop le lenge. Jiska tum jab chahe tab istemaal kar sakte ho.



Ye sab sunne ke baad me sari bate samaj gya.




Main- me samaj gya mata. Parantu mata ab me 7 Dino se yaha hu to mere dost or pariwar wale sabhi chintit ho rahe honge mere liye.




Prithvi- nahi vats. Tum apni shakti se usi samay me bapis ja sakte ho jab tum gayab hue the.




Main- kya ye prakriti ke niymo ke khilaaf nahi hoga.




Prithvi- nahi vats. Tum abhi jis hisse me ho yaha samay alag tarah se karya karta hai. Tum apni shaktiyo ke istemaal se usi samay me bapis ja sakte ho.isse koi bhi niyam nahi tutega.




Main- theek hai mata aapka bahut bahut abhaar jo aapne mera margdarshan Kiya.




Prithvi- ye mera farz tha vats. Ab jao or samast jeevo ka kalyan karo. Vijayi bhav.




Ye kehke vo chali gyi. Or uske baad maine apni aankho ko band kiya or apni teesri aankh se mujhe bapis le jane ko kaha maine apne hotel ka smaran Kiya. Or agle hi pal me apne kamre me tha. Maine time dekha to abhi subah ke 7 baj rahe. The. Matlab ki main 7 baje us gufa ke bahar tha. Or iske baad hi me andar gya tha. To me usi samay per yaha bapis aagya.




Ab mere pass ek ans aachuka tha or ab me janta tha ki khtra or bad gya hai. Asur mujhse ise chhenne ka prayas to jarur karenge kisi na kisi tarah. Ab isliye mujhe jyada sabhdaan rehna padega.







Bahi duri taraf shukracharya ka dimaag ghum gya tha. Kyuki unhe ye pata chal chuka tha ki pehla ans us shakti ke hath lag chuka hai. Lekin abhi tak unhe us shakti ke bare me kuch bhi pata nahi chala tha. Kyuki jab se unhe ye pata chala ki ans jaagrit ho chuka hai tab se hi unke sare asur us pahad ki khoj me lage hue the. Kyuki jis jis ko bhi us astra ki lalsa thi. ASTRA ne un sabhi ke sapne me jake apne jaagrit hone ka or apni jagah ke bare me bataya tha. Jaise dev ko bataya tha vaise hi shukracharya ko bhi bataya tha. Or unhone sare kaamo ko chhod kar uski khoj jari kar di thi. Or dev ke bare unhe pata karna tha lekin pehle us ans ka pata karna tha. Lekin ab bo nakamyaad ho chuke the. Isliye boura(pagla) gye the.
Isliye unhone apni sari shaktiyo se dhyan me ye pata Kiya ki us ans ki jyoti kis jagah per jyada chamak rahi hai. Jo ki pachmadi hi thi. Kyuki dev bahi tha. Isliye unhone apne asuro ko baha per bhej diya or mayasur ko bhi. Taki vo koi chhal kapat kare ya kuch bhi kare lekin vo ans usse bapis le aaye. Ab mayasur or uske sath Kai asur or dev or uske sath uske dost sabhi is waqt pachmadi me the. Bahi shukracharya ne yagya se prapt divyadristi ko jaagrit Kiya or apne asuro ko dekhne lage. Kyuki unhe ye pata tha ki jaise hi vo shakti kisi asur ke sampark me aayegi unhe us shakti ka chehra dikh jayega or sath me uski jaankari bhi.






Bahi devraj or sare devta ye dekh rahe the or thode chintit bhi the ki ab aage kya hone wala hai. Or brahmadev ne unhen dev ki madad karne se rok diya tha. Vo chahte the ki dev khud hi apni or sabki madad kare. Isiliye Devraj thode jyada chintit the. Kyuki unhe ek bheesad yudh ki aasanka ho rahi thi.



Pawandev- Devraj hame kam se kam arnav ko saavdhan kardena chahiye.




Indradev- mujhe bhi yahi lagta hai lekin han filhaal kuch nahi kar sakte. Brahmadev ka aadesh hai kisi bhi prakar ki madad hamari taraf se nahi mili chahiye arnav ko. Isaliye ham dekhne ke aalwa kuch nahi kar sakte hai. Bas mahadev se prarthna karo ko dev is mushkil ka jaldi hi koi hal dhundle or sabhi asuro ka vinash kar de.




Ye sunne ke baad baki devgad bhi apne hatho ko jod kar mahadev se prarthna karne lage. Ki arnav ki raksha kare. Halaki vo khud bhi jante the ki arnav ye sambhal sakta hai. Parantu unhe chinta to ho hi rahi thi. Jiska koi ant nahi tha.






Bahi karib 9 baje tak sabhi jaag gye. Unki sari thakan bhi mit gyi thi. Sare log ready hoke neeche pahuche. Hamne pehle to pet bhar nasta Kiya or uske baad hamne thoda ghumne ka plan banaya ki kaha kaha Jana hai. Baise to bahut jagah thi yaha dekhne ke liye. Lekin hamne kuch khas jagaho ka chayan kiya. Jaise pandav cave, silvarfall,national park or kuch hills or kuch mandir. Hamne hotel se ek guide ki mang ki jo hame sari jagah ghuma sake. To unhone ek aadmi ko hamare sath kar diya. Or han nikal pade. Vo hame sabse pehle pandav cave le gya or uske baad national park. Jaha hamne kai jaanvaro ko dekha. Or uske baad amgye ham seedhe jharne per jaha ka manmohak drishya dekh kar hamari sari thakan mit gyi. Or lucky or chirag to apne kapde utaar kar turant hi baha nahane chale gye. Lekin Prachi bhi sath me thi isliye me nahi gya. Us bahi ek chattan per baith gya. Or mere sath Prachi




Prachi- tum bhi jao naha lo.



Main- fir tum akeli yaha kya karogi.



Prachi- kya baat hai mere liye itni badi kurbani



Main- kya kare ab dosti ki hai to kurawani to deni hi padegi. Baise tum batao kya chal raha hai aaj kal. Kafi time se baat hi nahi hui hai tumse.




Prachi- chalo tumhe kamse kam yaad to aaya.




Main- ha aab aagya to Bata do. Baise clg me koi pasand aaya kya.




Prachi- ha ek ladka hai thoda akdu sa. Bahi mujhe pasand aagya hai.




Main- kon hai vo dukhnaseeb.




Prachi- kya dukhnaseeb.




Main- ha bhai. Ab tumne use pasand kiya hai to dukhnaseeb hi hua na. Kyuki tum to uski band Baja ke rakh dogi.





Prachi- very funny.


Or Prachi ne apna muh dusri taraf kar liya. Or me man hi man hasne laga.




Main- ok ok I m sorry. I m just joking.




Prachi- theek hai koi baat nahi. Tum batao delhi me koi pasand aayi kha.




Main- Delhi me to nahi lekin ek ladki hai jo pasand aai hai. Lekin mamla abhi aage nahi bada hai. Baki dekhte hai kya hota hai aage




Ye sunte hi Prachi ka chehra ek dam se latak gya use kuch samaj me nahi aaya ki aage kya bolu.




Main- kya hua muh kyu latak gya.



Ye sunte hi usne dusri taraf chehra kar liya or boli. Jaise mujhse najre chhipa Kar.




Prachi- kuch nahi. Baise kon hai vo mujhe bhi batao. Sayad me koi help kar saku.




Main- jab baat kuch banti dikhegi tab bataunga tumhe or milwa bhi dunga.




Prachi- kya yar mujhe to bata hi sakte ho. Koi hint hi de do.





Main- theek hai ab itna keh rahi ho to bata deta hu. Vo hamari hi class me hai.




Ye sunte hi uski sari ummid hi tut gyi. Use laga jaise uska sab kuch chhin gya ho. Or vo baha se uth gyi.



Main- kaha ja rahi ho.



Prachi- I m not feeling well. Me hotel bapis ja rahi hu.



Main- theek hai me bhi chalta hu.



Prachi- nahi me bo guide ke sath chali jaungi.


Ye kehkar usne guide ko bulaya or use hotel bapis chhodne ko kaha.


Maine bhi use kaha ki use hotel bapis le jau.



To guide baha se chala gya Prachi ko leke hotel.



Main- (man me) sorry Prachi. Lekin tumhara yaha se jana jaruri tha. Kyuki yaha kuch bhayanak hone wala hai or me nahi chahta ki tumhe koi nuksan pahuche.



Ye kehkar me us jharne ke pass se chupke se jungle ke andar chala gya. Vo dono filhaal nahane or masti me byast the. Unhe koi khabar nahi thi ki me kaha hu ya Prachi kaha hai. Jo achhi baat thi mere liye.



Me jungle me aaya or apni aankho ko band kiya. Or teesri aankh se dekhne laga ki kahi yaha aaspass asur to nahi hai. Kyuki mujhe unke hone ka ehsas ho raha tha. Or jo kavach Maine prithvi ke uper banaya tha usse bhi mujhe jaankari mili thi ki kuch asur prithvi ke andar aaye hai. Or meri unper tabhi se najar bani hui thi. Or vo seedhe isi ilake me aaye the. Or unke aate hi or asuro ke pass hone ke sanket Milne lage. Jo yaha moujood logo ke liye sahi baat nahi thi.

Khair mujhe vo sare asur dikhne lage the. Vo mujhse jyada duri per nahi the. Lekin mujhe inko is ilake se door le jana tha. Isliye maine khud ko gayab Kiya or unki opposite direction me udd gya. Taki sabko us disha me bula saku.











To be countinue………………..
shandar update bhai :applause: :applause: ....late ho gaya padhne me yar.
chalo Dev ko pahla Ansh to mil gaya Divyastra ka.
 

Sakal

Member
288
901
93
accha plan banaya Dev ne asuro ka vinash karne ka...Mayasur ki bhi maya kam na kr payi.
to us Ansh ke powers ka pata chal gaya.....Nirman or Vinash yahi shaktiya hai us ansh ki.
Ye asur to Dharti ke ansh se paida hue lag rahe hai....inko to wo kavach bhi nahi pakad paya...to Dev ko kaise pata chalega ki asuro ki ek aur bhayanak aur takatwar gang aayi hai usse ladhne ke liye.
Interesting rahega aage ka part ki kaise Dev in asuro se nipatata hai because in asuro ka nash sirf Divyastra ke Purn ansh milne ke bad hi hoga jo abhi sambhav nahi hai.
shandar update bhai :applause: :applause:
 

Kalyansurya

Well-Known Member
8,889
57,203
173
Bhut khub bhai dev ko phela ansh mela our usi ke saath nai chunoti be
Sab aaghe dev kaise enko rokta hai
Kyuki jab tak divyastra puran nai hota inka ant nai ho sakta
 
Top