• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Completed )

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,710
159
UPDATE 1








Kehte hai. Is brahmmand me bahut se raj chhipe hue hai. Jo insan kafi nahi jaan sakta. Chahe vo kitani hi kosis Kyu na karle. Jab tak us perbrahm ki ikchha nahi hoti tab tak ek tinka bhi nahi hilta hai.

Aisa hi kuchh is kahani me bhi hua hai.


Croro saal pehle. Jab danav or devtao me yudh hota tha. To anek दिव्यास्त्रों ka istemaal Kiya jata tha. Jinme is pore brahamand ko khatm karne ki shaktiya hoti thi. Or aaj bhi hai. Lekin ye दिव्यास्त्र samay ke sath vilupt ho gye. Or ye tabhi samne aayenge jab swayam bhagwan ki ikchha hogi. Aise hi ek दिव्यास्त्र ki ye kahani hai.


Darashal shukracharya ne kai varsho tak tap karke Brahm Dev ko prasann Kiya.



Brahma- aankhe kholo vats. Mango kya vardaan chahte ho tum.



Shukracharya- he bhagwan. Me to bas mere asuro ka kalyan chahta hu. Me chahta hu ki unhe bhi devtao ke saman hi samman or shaktiya mile. Lekin vishnu bhagwan ne hamesha hi hamare sath chhal Kiya hai. Or asuro ko jo bhi vardan milte the. Un vardano ko unhi ke khilaaf istemaal kar dete hai. Isliye Me nyay chahta hu aapse.



Brahma- shukracharya ham aapki vani ko samaj rahe hai. Iska aap hi koi upay bataiye ki hame kya karna chahiye.




Shukracharya- prabhu me chahta hu aap mujhe koi aisa दिव्यास्त्र ya shakti pradan kare jisse me पंचतत्व ko apne adheen kar saku. Or danavo ko uski shaktiyo se amar bana saku.




Brahma- shukracharya. Is sansar me koi bhi amar nahi ho sakta. Lekin aisa ek दिव्यास्त्र me tumhe pradan kar sakta hu. Isse danav amar nahi honge lekin vo पंचतत्व ko apne adheen jarur kar payenge. Lekin aap is दिव्यास्त्र ko apne kisi ek danav ko hi de sakte hai. Agar usne ye दिव्यास्त्र kho diya ya vo kisi tarah parajit ho gya to ye दिव्यास्त्र is sansar me vibhajit ho jayega. Or jab is दिव्यास्त्र ki ikchha hogi tabhi ye samane aayega.




Shukracharya ne is per vichar kiya or bahut sochne ke baad Brahma ji se ye दिव्यास्त्र lene ka faisala kiya.




Shukracharya- prabhu mujhe swikaar hai. Aap kripa kar ye दिव्यास्त्र mujhe pradan kare.




Ye sunkar Brahma Ji ne TATHASTU bol diya. Or isi ke sath ek naye दिव्यास्त्र ki rachna hone lagi. Or thodi hi der me ye pori tarah se bankar ready hogya.



Isme पंचभूतों ke pratik ke rup me 5 alag alag stone lage hue the. Har ek stone ka matlab ek shakti se tha.



AAKASH (SPACE)

VAYU (AIR)

JAL (WATER)

AGNI (FIRE)

PRITHVI (EARTH)



Ye दिव्यास्त्र brahma ji shukracharya ko deke antardhyan ho gye.


Or ye astra pake shukracharya bahut khush hue. Kyuki ab punchbhut unke kabu me jo aagye the. Isse pehle keval mahadev hi in punchbhuto ke swami rahe hai. Isiliye unhe Bhutnath bhi kehte hai.


Ab shukracharya ke samne sabse badi problem ye thi ki is astra ko diya kise Jaye. To unhone ye astra Tarkasur ko de diya. Kyuki Tarkasur ka ant keval Shiv ke putra ke hatho hi ho sakta tha. Or filhal shiv ji aisa kuch bhi karne ka mood nahi tha. Unki to abhi tak shadi bhi nahi hui thi. Yani ki vo amar tha. Or is astra ke mil jane se vo or bhi shaktishali ho gya tha. Usne pore brahmand me hahakar macha diya tha. Devtao se yudh hota to usme bhi vo aasani se sabhi ko parajit kar deta. Kyuki sabhi devta kisi na kisi tatva ke pratik the. Jaise Surya Dev agni ke pratik. Varun dev jal ke pratik. To is astra ki madad se Tarkasur ne sabhi devtao ko apne kabu me kar liya. Unki shaktiya bilkul samapt ho gyi thi. Bas vo jinda the kisi tarah. Vo Brahma Ji ke pass gye unse madad ki guhar lagai. Lekin vo bhi kuch nahi kar sakte the. Unka kehna tha ki keval Shiv ka ans hi Tarkasur ka ant kar sakta hai.

Lekin devtao ke aagrah per Brahma or visnu ji ne aadi shakti se prarthna ki. Ki ab aapke or shiv ke milan ka samay aagya hai.

To is per vichar karke aadi shakti ne SATI roop me Prajapati daks ke yaha per avtar liya.


Or aage chal kar unka vivah bhi shiv ke sath ho gya. Lekin kismat ko kuch or hi manjoor tha. Prajapati ke dwara ek yagya me apne pati ka apman devi Sati seh Na Saki or unhone bahi per aatmadah kar liya. Jisse Tarkasur or bhi khush ho gya. Or usne or tabahi machana prarambh kar diya. Kyuki shiv bhi ab Sati ke gum me doob chuke the. Or apna deviye roop tyag chuke the. Jis bajah se tridev bhi khandit ho gye the. Or sabhi ki shaktiya dheere dheere kam hone lagi thi. Tab sare devta ek baar fir se aadi shakti ke pass gye or unse punah avtar lene ki ikchha pragat ki. Tab unhone Parvati ke roop me janm liya. Or unhone kai varsho tak ghor tapasya ki tab Jake vo shiv ko pa saki. Unka vivah hua. Or unki pehli santan hui KARTIKEY. jinhone Tarkasur ka vadh kiya. Or is srishti ko maha vinash se bacha liya.


Tarkasur ke ant ke sath hi vo ASTRA bhi prithvi ke punchmahabhuto me vileen ho gya. Or uska kabhi kuch bhi pata nahi chal paya kisi ko bhi. Danavo ne use khojne ki bahut kosis ki lekin use nahi khoj paye ye log. Lekin shukracharya ko ye pata tha ki kabhi na kabhi ye ASTRA apne aap ko samne jarur pragat karega. Bas use ishare ko samajne ki jarurat hai. Jis din is ASTRA ne apne hone ka praman is sansar ko diya. Tabhi samaj lena ki danav ise fir se prapt karne ke liye koi bhi had paar kar jayenge.




Bahi dusri taraf ye dar sabhi devtao or tridev ko bhi tha.
Isi dar ko apne sath leke Indradev brahma ji ke pass gye.





Brahma- kaho indra kaise aana hua yaha per.




Indradev- prabhu aap to sab jante hai. Mere yaha aane ka kaaran bhi aap jante hi hai.



Brahma- ha me janta hu Indradev. Aap us ASTRA ko leke chinta me hai.



Indradev- ha brahm dev. Agar vo ASTRA fir se pragat ho gya or kisi danav ke hath lag gya to anarth ho jayega. Sabhi devta fir se danavo ke adheen ho jayenge. Aapko iska koi hal sochna hoga.




Brahma- hame iska upay gyat hai indradev. Lekin is upay ke liye ye samay upyukt nahi hai. Usme abhi samay hai.




Indradev- brahmadev. Iska upay kya hai aap hame Bata sakte hai.




Brahma- jab samay aayega tab me swayam Aapko iska upay bata dunga. Or is upay ko karne me aapka bhi ek bahut bada yog daan hoga.



Indradev- jaisi aapki aagya brahma dev.



Uske baad indradev bapis swarg chale gye.



Or iske baad kai Arab saal nikal gye lekin vo astra abhi tak samne nahi aaya kisi ke bhi.danav abhi bhi iski talash jari rakhe hue the.unhe ummid thi ki jald hi ye astra samne aayega.



Is ke crore saal baad.





Uttrakhand ki rajdhani dehradun ki khubsurat badiyo ke bech bane ek hospital me ek aurat bahut jor jor se dard me chilla rahi. Ye dard jo use ek naya sukh dene wala tha. Darashal vo kisi bache ko janm dene wali thi. Docters pori kosis kar rahe the ki normal delivery ho jaye. Or vo aurat vo apna pora jor laga rahi thi. Or raat ke karib 11:29 min. Per us aurat ne ek bahut hi khoobsurat ladke ko janm diya. Jaise hi us ladke ne janm liya or rona start Kiya. Achanak se sare badal me jordar bijli kadakne lagi. Or musladhar baris bhi hone lagi. Sabhi isse thoda dar bhi gye the ki achanak se ye sab kya hone laga. Bahi us ladke ki maa us ladke ko dekha or Behosh ho gyi. Docters ne unhe check Kiya to paya ki unki dhadkane dheemi padti ja rahi hai. To docters ne apni kosis ki or us aurat ko oxygen lagaya. Or electric shok diya. Tab Jake uski condition me sudhar aaya. Uske baad docters ne us aurat ko ek injection diya jisse vo so gyi. Bahi vo ladka bhi ab aaram kar raha tha. Or mousam bhi saaf ho chuka tha.


Ward ke bahar ladke ke dada or usse 2 saal badi bahen uska intjaar kar rahe the.


Docters ward se bahar gye to dono ne unhe gher liya.


Dada- docter bahu kaisi hai.



Doc- ghabrane ki jarurat nahi hai. Ab vo theek hai. Or khusi ki baat ye hai aap ko pota hua hai. Or aapki bahu bhi sahi salamat hai. Kuch ghanto baad unko hosh aajayega tab aap unse mil sakte hai. Or ha filhaal aap apne pote ko dekh sakte hai. Halaki vo abhi so raha hai



Ye sunke dada to khusi se nachne lage. Kyuki unki beintaha doulat ka baris jo aagya tha.unhone khusi se ladke ki badi bahen ko God me utha liya or usse bolne lage ki tumhara Bhai aaya hai.


Vo ladki bhi bahut khush thi. Use khelne ke liye ek khilona Jo mil gya tha.




Maine abhi tak aapko in sabka intro nahi diya. Chalo de deta hu.




Jagdish sinha- ye hero ke dada hai. Inki age karib 50 hai. Inke pariwar me ab yahi ek mard bache hai. Inki kafi pustaini jaydad hai. Jinhe abhi tak inke bete ne sambhala hua tha. Lekin 3 mahine pehle ek accident me unki mout ho gyi. Jisse ek baar fir se sari jimmedari jagdish ji per aagyi thi. Or unhe is baat ki bhi kafi chinta thi ki unke Jane ke baad is sab ka kya hoga. Lekin ab unki chinta dur ho gyi thi. Inki shadi 18 saal ki age me hi ho gyi thi. Or 2 saal baad inke ladke ka janm hua. Jiska naam inhine viswas sinha rakha tha. Or iske baad inko koi or santan Hui hi nahi.


Or hero ki dadi bhi bahut pehle mar chuki hai. Inka jyada bada pariwar nahi hai.



Nirmala devi- ye apne hero ki mummy hai. Inki age filhaal 25 hai. Kafi fit dikhti hai. Or Sadi me to qehar girati thi hero ke dad per. Lekin jab se unki death hui hai. Ye keval apni beti ke liye hi jinda hai. Or ab inke ladke ke liye bhi.
Ye bhi kafi padi likhi hai. Or dadaji ke sath business sambhalti hai.



Renuka- ye apne hero ki badi bahen hai. Inka janm hero se 2 saal pehle hua hai. Kafi cute hai. Jo bhi ise dekhta hai sabse pehle uske gaalo ko khechne ki ikchha hoti hai.

To dosto ye tha ek chhota sa intro. Aage or bhi character aayenge jinka time per intro karwata rahunga….











To be countinue……………...
 
Last edited:

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,710
159
Top