UPDATE 17
Next day. Me bahi apne routine se utha thodi exercise ki or uske baad dhyan me baith gya.
Maine aaj fir bahi sab kaha thirdeye se or vo mujhe fir se kisi lambe safar per le jane lagi. Or mera sir fir se dukhne laga. Lekin kal ki jagah aaj thoda kam dard ho raha tha. Me lagatar safar kar raha tha. Or ye safar Kyu ho raha tha isake bare me mujhe koi bhi idea nahi tha. Aakhir aisa Kyu ho raha hai. Isme bare me bhi mujhe abhi tak koi bhi idea nahi aaya tha. Na hi mujhe koi drishya dikh rahe tha. Na koi aawaj sunai de rahi thi. Or is process ko karne me dimaag ki band baj rahi thi vo alag. Ab mera man is dhyan ko yahi per todne ka karne laga tha. Kyuki mujhe abhi tak kuch bhi prapt nahi hua tha. Isliye maine is dhyan ko yahi per todne ka faisla kiya or jaise hi maine aakhe kholne ki kosis ki tabhi mujhe mere andar se ek aawaj aai.
Man- tehro vats.
Main-(man me) kon hai aap.
Man- vats mujhe apna guru samjho.
Main- kya aap mere samne hai.
Man- nahi me tumhare samne nahi hu. Me tumhare man me hu. Or usi ke karan me tumse baat kar pa raha hu.
Main- mujhe aapko dekhna hai. Aapse bate karni hai.
Man- baat to tum mujhse har waqt kar sakte ho. Lekin hamara milna abhi nahi ho sakta. Usme abhi samay hai.
Main- kitna samay hai.
Man- abhi bahut samay sesh hai.
Main- kya aap mere sare sawalo ke Uttar denge.
Man- isiliye to me aaya hu. Tumhe tumhare sawalo ke jawab dene or sath me tumhare is jeevan ke lakshya ko batane ke liye.
Main- to kripa kar ke mera margdarshan kare gurudev.
Gurudev- puchho vats kya Janna chahte ho tum.
Main- sabse pehle to ye ki me hu kon. Or mere andar ye shaktiya kyu hai. Or sabse jaruri ye ki jis TRINETRA ko bade bade sadhu or sant or Devta nahi khol paye hai. Me use itni aasani se kaise khol leta hu?
Gurudev- vats.tumhara janm ek mahan uddesya ko pora karne ke liye hua hai. Is sansar ke sangharak yani ki. Swayam MAHADEV. JO akele aise hai jinse TRINETRA ki rachana hui hai. Unhi ki teesri aankh se tumhara janm hua hai. Or yahi karan hai ki tum apni teesri aankh ko itni aasani se khol lete ho.
Ye sab sunne ke baad to jaise mera dimaag fatne ko ho gya. Ki ye kya keh rahe hai.
Main- ye aap kya keh rahe hai gurudev. Jaha tak hamare grantho ki baat hai to usme bhabisya ki sari yojnaye likhi hui hai. Lekin unme se kisi me bhi is prakar ke kisi bhi yojna ka jikr bhi nahi hai. To fir ye sab kaise sambhav hua.
Gurudev- bahut hi uttam prasn puchha hai tumne vats. Lekin me tumse kehna chahunga ki is ka jikr SHIV PURAAN me hai. Lekin usko spast roop se nahi likha gya hai jis bajah se kisi ne bhi is per jyada vichar nahi kiya hai. Na hi ise samjha hai. Tum SHIV PURAAN ka poora aadhyan karo. Or usme likhe har ek shabd ke matlab ko pora samajhne ki kosis karna tumhe tumhare is sawal ka jawab mil jayega.
Main- jaisi aapki aagya gurudev. Parantu ek prashn or hai man me.
Gurudev- puchho vats.
Main- prabhu Mera mata ek sadharan stree hai. To unhone itni shaktiyo ko apne garv me kaise rakha. Jaha tak me janta hu kisi aam insan ko agar koi chhoti si bhi shakti di jati hai to use bahut peeda hoti hai. Fir yaha to swayam MAHADEV ki shaktiya samahit thi. Ye chamatkar kaise hua gurudev.
Gurudev- vats sayad tumne dhyan nahi diya. Tumhara janm hona saakshat ishwar ki iksha thi. To fir vo kaise tumhari mata ko kuch hone dete. Swayam ishwar ne tumhari mata ko itni shakti pradan ki thi ki vo tumhe bina kisi kasht ke dharan kar sake. Or usi ke falswaroop tumhara janm hua hai.
Main- gurudev aapne mere janm ki guthi to suljha di. Ab kripa kar ke ye bhi bataye ki me hi kyu. Or aisa kon sa karya karna hai mujhe. Jiske liye mujhe itni shaktiya pradan ki gayi hai.
Gurudev- vats ham tumhare har sawal ka jawab dene hi aaye hai. Lekin ye sab ek din me nahi ho sakta hai. Isliye apne in prashnon ko kal ke liye chhod do. Or aaj ki shiksha ko aage badhne do.
Main- jaisi aapki aagya gurudev. Aadesh kare.
Gurudev- vats tumhare andar punchmahabhuto ki shaktiya hai. Or yahi kaaran hai ki tumne us din keval sochne matra se un danavo ka ant kar diya tha. Parantu tumhari shaktiya abhi seemit hai. Or Tum aadhe Devta or aadhe insan ho. Jis bajah se tumhare andar bahut sari khubiya bhi hai. Or tumhe apni harek khubi ko pehchanna hoga.
Main- aapne kaha ki meri shaktiya seemit hai. Iska kya arth hai gurudev.
Gurudev- vats iska jawab me tumhe samay aane per dunga.filhaal tumhe apni sari seemit shaktiyo ko jaagrit karna hoga. Baise tumhe ye to gyat hai na ki ye punchmahabhut kya hote hai.
Main- guruvar mujhe keval itna pata hai ki ye kisko kehte hai. Lekin inko ye Kyu kehte hai ye mujhe nahi pata hai. Kripa karke mujhe bataye. Ki ye punchmahabhut kya hai. Or unhe aisa kyu kehte hai.
Gurudev- vats to suno. JAB BRAHMADEV KO IS SANSAR KI RACHNA KARNI THI. TO UNKE MAN SE SABSE PEHLE "AKASH" (SPACE) KA NIRMAN HUA. AAKASH SE "BAYU" (AIR)
BAYU SE "AGNI" (FIRE)
AGNI SE "JAL" (WATER)
OR
JAL SE "PRITHVI" (EARTH)
KA EK KE BAAD EK NIRAMAN HOTA CHALA GYA. OR EK EK GUNO KI BRIDDHI SE PANCHO PUNCHMAHABHUT KEHLAYE.
Aakash me gun- SHABD
BAYU ME GUN- SHABD+SPARS
AGNI ME GUN- SHABD+SPARS + RUP
JAL ME GUN- SHABD+SPARS
+RUP+RUS
PRITHVI ME GUN- SHABD +SPARS+RUP+RUS+GANNDH
yahi inki visheshta hai. aakash me kami thi. Jis bajah se aakash se Bayu ka nirmaan hua. Jisme aakash se jyada gun the. Parantu vo bhi paryapt nahi the. Isliye BAYU se agni ka nirmaan hua jisme BAYU se jyada gun the. Parantu vo bhi paryapt nahi the. Isliye Agni se jal ka nirmaan hua jisme agni se jyada gun the parantu vo bhi paryapt nahi the isaliye ant me jal se is prithvi ka nirmaan hua. Jisme in panchon ke gun the. Matlab ki inke bina ye prithvi kisi kaam ki nahi or prithvi ke bina ye charo kisi kaam ke nahi. Or fir uske baad inhi tatvo se samast praniyo ka nirman hua hai. Lekin inse Jo bhi banta hai vo nirjeev hota hai. Jaise ki ped podhe,pathar aadi. Inme aatma ki kami hoti hai. Jise swayam parmatma ne sabhi ke andar apni ikchha shakti se dala or sabhi nirjeev jeevit ho gye.
Main- to kya in sansar me moujood har kisi ke andar aatma hoti hai.
Gurudev- ha vats fir chahe vo koi pathar ho ya pahad koi chhota sa keeda ho ya fir koi hathi jaisa bada jaanvar vo insan ho ya fir koi danav vo koi podha ho ya fir koi Vishal ped. Har kisi ke andar aatma hoti hai. Jo inhe jeevit rakhta hai. Or ye aatma sabhi me ek seemit samay ke liye hoti hai. Or jab uski samayabdhi samapt ho jati hai to vo swayam us ishawar ke pass bapis chali jati hai. Yahi hai is shristi ka niyam or yahi hai in punchmahabhuto ka kaam. Inme nirmaan or vinash dono ki shaktiya hoti hai. Jab swayam ishwar inhe aadesh dete hai tab ye apne vikraal roop me aati hai. Or sabhi ka ant kar deti hai. Taki ek nayi shuruwat ki ja sake.
Main- gurudev jab ye swayam ishwar ke adhin hai to fir inki shaktiya mere andar Kyu hai.
Gurudev- vats Kyuki yahi niyati hai. Tumhara janm MAHADEV ki teesri aankh se hua hai. Or MAHADEV ki teesri aankh inhi punchtatvo ka prateek kahi jati hai. Isliye jo ans MAHADEV ki teesri aankh se nikal kar tumhari ma ke garbh me pahucha usme na chahte hue bhi in punchtatvo ki shaktiya aagyi. Ye shaktiya tumhare pass aayi hai to iske peeche bhi koi na koi Karan jarur hoga. Kyuki ishwar agar apni palak bhi jhapakte hai to usme bhi is sansar ka koi na koi bhala chhipa hota hai. Fir yaha to ek santaan ki utpatti Hui hai. To socho kitan mahan karya hoga. Isliye tumhe ab in sari shaktiyo ko swikaar karna hoga. Unhe pehchanna hoga.
Main- me samaj gya gurudev. Kripa kar mujhe bataye ki me ye kaise karu.
gurudev- vats tum roj dhyan lagate ho. Jisse tumhari shaktiya jaagrit hoti hai. Parantu tum apni kisi bhi shakti ko pehchante nahi ho. Uska kaise upyog karna hai ye bhi nahi jante ho. Isliye sabse pehle tumhe khud ko janna prarambh karna hoga. Uske liye tum ab jab bhi dhyan lagao tab apne andar ki shaktiyo ko pehchanna ki kosis karo. Or un shaktiyo ka parikshan karo. Taki samay aane per tum unka istemaal kar sako.
Main- me samaj gya gurudev. Parantu mere parikshan karne se kisi ko koi nuksan to nahi hoga na.
Gurudev- vats nuksan to avashya hoga. Kintu tum chinta Kyu karte ho. Abhi maine tumhe bataya ki ye samast sansaar inhi punchtatv se nirmit hua hai. Or inhi se Inka vinash bhi hota hai. Isliye tum Bina koi dar ke apni shaktiyo ka parikshan kar sakte ho. Kintu Bina bajah nahi. Abhi tumhari shuruwat hai isliye tum Inka parikshan kar sakte ho. Or jab tumhara prikshan pora ho jaye. Uske baad tumhe apni sari shaktiyo ka istemaal keval or keval is sansaar ki bhalai ke liye hi karna hoga.
Main- me samaj gya gurudev. to AAP bataiye gurudev ki main apni shaktiyo ko kaise jaagrit karu or Inka parikshan kaise karu.
Gurudev- vats tumhe keval dhyan lagana hai. Or dhyan me
ॐ नमः शिवाय
Ka jaap karna hai.tumhari teesriaankh tumhe khud tumhari shaktiyo se prichit karati rahegi.or jab tum apni shkatiyo se parichit ho jao tab tum kisi ekant jagah jakar inka parikshan kar sakte ho.
Main- me samaj gya gurudev aapne mera margdarshan kiya uske liye aapka aabhar. Ab maine vaisa hi karunga jaisa aapne kaha hai.
Gurudev- ati uttam vats. Ab hamare jane ka samay ho gya hai. Ham kal punah tumse bate karne aayenge.
Main- jaisi aapki ikchha guruvar.
Pranaam.
Gurudev- tumhara kalyan ho vats.
Iske baad gurudev ki koi bhi aawaj nahi aai.
Or main baise hi dhyan me baithe baithe hi gurudev ke diye gaye mantra ka jaap karne laga.
Or jaise jaise Mera jaap aage bad raha tha. Mere andar aseemit urja ka aabhas mujhe ho raha tha. Meri kuch kuch shaktiya jaagrit hone lagi thi jaise. Kisi ka dimaag padna is sansar ke har ek jeev ki bhasa ko samajna or unhe unhi ki bhasa me samjhana. Kisi insan ke dimaag ko kabu karna. Ye to keval mansik shaktiya thi. Ab sharirik shaktiyo ki baat ki jaye to aag or pani ko control karna. Is pore sansar me jo bhi vastu hai jiska nirman inhi punchtatvo se hua hai me in sabhi ko control kar sakta hu. Bijli,pani,agni,Bayu aadi. Ye sabhi shaktiya jaagrit hona prarambh hone lagi thi. Or me in sabhi ko mehsus kar raha tha puri tarah se.
Ab me pata nahi kab tak dhyan me baitha raha. Or akhir kaar mujhe gurudev ki aawaj aai ki
Gurudev- vats aaj ke liye bahut ho gya. Baki ab kal kar lena.
Ye aawaj sunte hi maine unhe pranam Kiya or apne dhyan ko sampurn kar diya. Or apni aankho ko khol diya. Or jab maine samne ka najara dekha to kitna khushhal mahol tha. Charo taraf chidiya chehak rahi thi. Ped podhe hawa me yaha baha jhoom rahe the. Me un sabko mehsus kar pa raha tha. Har ek ko. Maine time dekha to abhi subah ke 7 baje the. To maine socha aaj clg to Jana hai nahi to ab kya kiya jaye. Tabhi mujhe yaad aaya ki gurudev ne SHIVPURAAN padne ko kaha tha. Lekin ghar me to ye hai hi nahi. To maine socha kyuna ek baar or dhyan lagaya jaye or apni thirdeye ko hi bolu ki mujhe SHIVPURAAN KA SARA GYAN DO. Usse Ye kaam jaldi ho jayega.
Isliye maine ye tay kiya or fir se dhyan me baith gya. Or jab thirdeye open Hui to Maine man me SHIVPURAAN ko padne ka vichar Kiya. Or ye vichar karte hi. SHIVPURAAN ka sampurna gya usme likhi ek ek baat mere dimaag me fit hone lagi.
dheere mere dimaag me Puraan me likhi har ek baat or uska matlab fit hone laga. Or usi ke dwara aaj mujhe pata chala ki hamare Dharm me kitne ved puran shastra hai.
4 VED, 4 UPVED, 12 UPNISHAD
6 VEDANG, 6 SHASTRA,
18 PURAAN or 2 MAHAKAVYA.
TOTAL 52 GRANTH likhe gaye hai. Un sabhi me itna gyan tha or itne rehasya likhe hue hai jinke bare me aajke scientist sodh karte rehte hai. Sara gyan in grantho me moujood tha. Halaki isper scientist yakeen nahi karte hai jo alag baat hai. Baki mujhe to in sabhi bato per yakeen ho gya tha ye bhi ek fact tha.
Jab Sara gyan arjit ho gaya tab maine sabhi ko ek sath kiya or jaisa gurudev ne kaha tha ki sabhi jagah aaj ho rahi ghatnaon ka varnan hai to me unhe dhundne laga. To kai jagah mujhe halke halke prof mile aaj ho rahi sari ghatnaon ke.
Lekin saaf tour per kuch bhi nahi likha gya tha. Sayad isi bajah se jyada logo ne is baat per dhyan nahi Diya.
Or in sab bato ko padkar
Ab me samaj gya tha ki mera janm jarur kisi achhe uddeshya ke liye hi hua hoga. Or vo jo bhi hoga uske liye me tayyar hu.
Bahi dopehar me dadu ne mujhe office chalne ke ko kaha. To mujhe yaad aaya ki ha aaj to us surandra rana se milna hai. Chalo dekhte hai akhir aisi kya chull hai isko jo itna bawla ho raha hai company kharidne me.
Maine badiya ek Three peice suit pehana or ready hoke neeche aagya. Jaha dadu already jane ko tayyar baithe the. Or jab unhone or unke sath mom or renu or shurbhi ne mujhe suit me dekha to vo sabhi ek dum chakit reh gye. Kyuki me lag hi itna handsome raha tha.
Mom jaldi se mere pass aai or meri sari balaye leli. Or mujhe ek kala teeka laga diya peeche garden per.
Mom- najar na lage mere bete ko.
Shurbhi- bakai Bhai kya handsome lag rahe ho. Kash ki tum mere bhai na hote. To me sabse lad jati lekin shadi tumse hi karti.
Main- shurbhi man ki Khoobsurati Mayne rakhti hai na ki tan ki. Agar insan ka man khubsurat hai. To vo insan swayam bhagwan ka roop hota hai. Isliye bahiri sundarta ke bajaye antrik sundarta per jyada dhyan do samjhi.
Shurbhi- to tera man or tan dono hi sundar hai. Or aisa insan Milna bahut hi muskil hai. Bahut hi naseeb wali hogi meri bhabhi. Jiski shadi tumse hogi.
Main- ha ye baat to hai. Achha ye sab chhodo ready rehna ham 4 baje chalenge bahar ghumne.
Shurbhi- me pori tarah se ready hu. Lekin late mat karna
Main- bilkul nahi.
Maine dekha ki renu kuch bol nahi rahi hai.
Main- tujhe kya hua chuhiya.kya mujhe dekhkar tere sare hosh udd gye.
Renu- itna bhi handsome nahi dikhta hai tu. Isliye ye sare bhram apne man se nikal do. Or rahi baat tujhe ghurne ki to me ye soch rahi hu. Ki ab tu dhyan lagana band karde to badiya hai.
Main- or ye bhala Kyu.
Renu- vo isliye kyuki aajkal tu bahut hi aadhyatmik bate karne laga hai. Mujhe dar hai kahi log tujhe koi sadhu samaj kar teri puja na karne lage.
Is baat per mom ne renu ko rok diya.
Mom- ye kya keh rahi hai tu.
Renu- sahi keh rahi hu mom. Aapko to pata hi hai. Aaj kal logo ko koi do gyan ki bate Bata de to use pujne lagte hai. Or ye iski gyan ki bate sunkar kahi log ise bhi na pujne lage.
Halaki renu ki ye baat sahi bhi thi. To mom ne mujhe turant kaha.
Mom- beta renu ki baat sahi hai. Tu logo ko jyada gyan dene ki kosis na hi karna to behtar hai.
Main- mom aap bilkul tension na lo. Mera filhal koi bhi sadhu banne ka koi mood nahi hai.
Dadu- ha is ware me kisi ko bhi tension lene ki koi jarurat nahi hai. Ye mera pota hai. Ye aisa kuch nahi karega.
Main- thanks dadu. Ab hame chalna chahiye.
Dadu- ha chalo.
Iske baad ham chale gye office. Or ab mujhe keval surendra ka intjaar tha ki vo kab tak aata hai. Itna to tay tha ki vo aayega to jarur aaj. Ab dekhte hai kya hota hai………
To be countinue………………...