- 3,112
- 7,537
- 144
Waah malti ka ye raudra roop dekh kar mja aya
Update #10
Scene #04
Kundan aur Jabbar k beete hue kal k bare main janne se pehle thoda vartman pe laut chalte hai
Maalti ne jaise hi apne ghar ka tala khola ki tabhi use ghar k andar kisi cheez k girne ki aawaz sunai padti hai
Maalti dar jaati hai par es samay wo akeli thi aur edhar udhar dekhti hai par abhi use koi bhi nazar nahi aata
Maalti himmat karti hai aur dhire se darwaja khol k andar pravesh karti hai.. par usne ghar main pravesh karte hi sabse pehle ek kinare rakhi Hasiya utha li thi
Maalti ko samajh aa jata hai ki wo jo koi bhi hai es samay Store room main hai.. esliye wo himmat karke aage badti hai aur chilla k kehti hai
"Kon hai mere Ghar main.. maine pucha kon hai andar"
Jabbar boriyon k uper se fisalte hue neeche aa chuka tha uski kamar main khasa chaut bhi aayi thi par es samay use parwa thi toh sirf us sandook ki jiske liye usne apni zindagi k itne saalon ko vyarth kar diya tha
Par esse pehle ki wo apne pairon pe khada ho paata uske kaano main Maalti ki aawaz pad chuki thi
Jabbar jaldi se apna dard bhulte hue khada hota hai par ab uska dimag bahut tezi se chal raha tha.. qki use Maalti k uski taraf badte hue kadam pata chal rahe thay aur uski aankhon k aage es samay wahi sandook tha
Jabbar sochne main jada samay vyarth nahi karta aur lapak k us sandook ko utha leta hai.. par tab tak Maalti store room k darwaje tak aa chuki thi
Wo dekhti hai ki andar koi aadmi jhuka hua hai or kisi sandook jaisi cheez ko uthane ki koshish kar raha hai.. waise use yaad nahi ataa ki ye sandook usne aaj se pehle apne ghar main kabhi dekha bhi ho, par es samay uska dhiyan sirf us aadmi pe tha
Maalti k hath ki pakad us hasiya pe aur jada majbut hoti chali jaati hai
"Kon... Kon ho tum.. maine... aaaaaahhh"
Apne kaano main Maalti ki aawaz padte hi Jabbar apna agla kadam utha chuka tha, wo bina peeche mude apni kamar se ek dhardar chaku nikalta hai aur seedha Maalti ki taraf uchal deta hai
Par Maalti pehle se hi sawdhan thi aur agar wo samay rehte apna chehra peeche na karti toh sayad wo chaku aaj uske khubsurat chehre ka naksha badal chuka hota
Maalti- (Buri tarah dar chuki thi) aaaahhh... Kon ho... Aaahhh.. kiya.. kiya chahiye ?
Jabbar aur adhik samay vyarth na karte hue us sandook ko uthata hai aur darwaje ki taraf daud laga deta hai.. edhar jaise hi dari hui Maalti Jabbar ka chehra dekhti hai use samajh nahi aata ki ye sab kiya hai
Kiya jis inshan ko wo itne saalon se janti hai.. jo uske Pati k yaha kaam kar raha hai, usne abhi abhi ek chaku se uspe hamla kiya tha
Maalti- (Hairani se) aap.. Jabbar Bhaiya.. aaapp.... Aahhhhh
Par Jabbar koi jawab dene k mood main toh bilkul nahi tha qki use itne saalon se jo cheez chahiye thi.. wo es samay uske hath lag chuki thi
Wo Maalti ko jor se dakka deta hai aur darwaje se use dur hatate hue rasoighar ki taraf daud padta hai.. edhar apne uper hue hamle ki wajah se Maalti ka sar jor se darwaje ki chaukhat se takrata hai
Ek pal k liye toh use aisa lagta hai ki uska sar ghoom gaya ho aur uski aankhon k aage andhera chane laga ho.. par wo khud ko turant hi sambhal leti hai
Aur rasoighar ki taraf bhaag padti hai, edhar Jabbar Rasoighar main aate hi uper self par chad jata hai sayad wo Rasoi ki khidki se bahar khudne wala tha ki tabhi Maalti apni puri himmat juta k kuch aisa karti hi jiski ummid kisi ne sayad hi kabhi usse ki hogi
Maalti puri taqat se wo hasiya Jabbar ki taraf fekti hai.. jo sidha jababr ki peet main ghusti chali jaati hai
Aur Jabbar abhi abhi bus khidki se kudne hi wala tha wo wapas Rasoighar main andar ki taraf ki gir padta hai.. par aaj uski kismat kuch jada hi kharab thi qki wo peet k bal hi gira tha jisse uski peet main dhasi wo hasiya aur jada andar tak ghusti chali jaati
Ek pal k liye toh Jabbar ko aisa laga ki uska antim samay aa chuka tha, par wo phir se uth khada hota hai aur apna hath peeche le jake us Hasiya ko bahar kheech leta hai
Jabbar- (Dard se tarap utha tha) aaaaaahhhhhh.... Madarchod Rand.... Aaaaahhh
Jabbar hasiya ko jaise hi bahar nikal k Maalti ki taraf palatta hai uska jism phir se jhurjhuri kha jata hai
Qki Maalti k sar se khoon beh raha tha jisse uska pura khubsurat chehara dhire dhire laal hone laga tha, par Jabbar ki hairani ki wajah ye nahi tha
Wo toh es liye hairan tha qki Maalti ne Rasoighar main aate hi ek sath 2-2 chaku dono hathon main thaam liye thay
Maalti- (Ghusse se ek ek sabd ko chabati hui) Jabbar bhaiya kiya hai ye sab.. kiya mere Monu ko aapne..
Na jane q Maalti ko abhi jo kuch bhi ho raha tha wo sab uske bete k sath juda hua lagne laga tha.. aakhir wo ek Maa hai, esliye uska sawal swabhavik bhi tha
Jabbar- (Dard se tarapte hue) Saali tera Sapola toh bach gaya tha us din.. par aaj tu maregi, aur phir wo bhi nahi bachega.. qki wo apna badla leke rahega.. tere paapon ki saza tere bete aur pure pariwar ko milegi
Jabbar ne sayad bus yahi ek badi galti kar di thi, usne ek Maa k samne uske bete k liye aisa bol jo diya tha
Qki agle hi pal Maalti ka hath ghumta hai aur uske ek hath main thama chaku sidha Jabbar k dil ki taraf badta chala jata hai wo toh Jabbar ki nazren bhi Maalti pe hi thi esliye wo turant ghoom k ek taraf ho jata hai, par bachta tab bhi nahi
Qki wo jaise hi ghumta hai.. Maalti apne dusre hath main thame chaku ko uski taraf fek deti hai, wo es baar theek uski peet main usi jagah ghusta chala jata hai jaha pehle wo hasiya ghusi hui thi
Ab toh Jabbar ki halat aisi thi ki uski aankhon k aage uska antim samay nazar aane laga tha, use yakin hi nahi ho raha tha ki Maalti jaisi abla uske liye maut ki bala ban sakti hai
Yaha Maalti aur samay vyarth nahi karti aur apni Rasoighar main aisi koi bhi cheez jise wo aaj hatiyar ki tarah estimal kar sake utha leti hai, aaj use dekh k koi bhi nahi keh sakta tha ki wo Gaon ki koi bholi bhali aurat hai
Jabbar ki aankhon k aage andhera chane laga tha, use yakin hone laga tha ki aisi halat main wo aur dair Maalti ka samna nahi kar sakta.. waise bhi itne shaur sharabe k beech logo k aane ka dar bhi tha ab
Esliye wo phir se wahi hasiya utha k Maalti ki taraf fek deta hai.. jo theek Maalti k kaan k pass se uske kuch baalon ko katta hua gujar jata hai
Maalti toh dar k maare jaise murti main badal jaati hai.. par Jabbar ko mauka mil jata hai waha se nikalne ka
Wo turant hi khidki se dusri taraf khud k waha se bhaag jata hai.. edhar jab Maalti sambhalti hai toh uski nazar sabse pehle usi sandook pe jaati hai jo Jabbar k hathon se gir gaya tha
Maalti lapak k us sandook ko utha leti hai phir dusra kaam wo wapas us Hasiya ko uthane ka karti hai
Maalti buri tarah dar rahi thi par es samay use Jabbar k roop main uske bete ka ahit karne wala nazar aa raha tha
Wo ghar k aangan main baith jaati hai, aur maano wapas Jabbar k aane ka intizar karne lagi ho
Yaha Jabbar peeche se puri tarah khoon main lathpath gaon k kheton ki taraf bhaag aata hai, thand ki wajah se bahut kam log hi kheton pe raat main rukte hai esliye Jabbar ko jada pareshani nahi hui
Aur jaldi hi wo ek khet k beechon beech baith hua tha.. use yakin hi nahi ho raha tha ki ek aurat uska ye haal kar sakti hai
Jabbar- Aaj.. pehli baar mujhe Maalti or Kundan main koi fark nahi nazar aa raha tha, aisa lag raha hai jaise 20 saal pehle ki wo raat wapas meri aankhon k samne chalne lagi ho..
Chalo wapas 20 sa pehle ki usi raat pe wapas laut chalte hai.. aur dekhte hai kiya hua tha
Scene #05
"Mar gaye Kundan ko marne waale"
Panna k hath main sariya aar paar ho chuk thi esliye uske pura chehra dard se laal pad chuka tha par phir bhi wo apne daat peeste hue
"Saale aaj sabse pehle tu hi marga.. chorna nahi Bhaiya es madarchod ko"
Apne Chote ki baat pe Heera ko josh aa jata hai wo Kundan ko ek dihati samajh k use marne k liye apna chaku aage karte hue badta hai aur uske pass pahuchte hi apna hath ghumata hai.. uska nishana Kundan ki gardan thi, par kundan ko kabu karna bachon ka khel thodi hai
Qki Kundan ek saand hai.. wo bhi markaha Saand
Kundan Heera ka hath beech main rok deta hai aur esse pehle ki Heera kuch samajh paata agle hi pal uske mukh se dard bhari aawaz ass pass k pure elake main ghunj jaati hai..
Qki Kundan ne Heera ka hath jaise hi beech hawa main roka usne turant hi bina dairi k uske hath ghuma diya tha.. jisse uske hath se chaku choot jata hai par Kundan yaha apni tezi ka saboot dete hue us girte hue chaku ko beech hawa main hi lapak leta hai aur agle hi pal uske dusre hath main aa chuka chaku ghumta hai aur sidha Heera k pait ko chirta hua uski antadiyon ko kaatta chala jata hai
Apne jis Bhai ko aaj tak tees maar khan samajhne wala Panna jab uska ye haal dekhta hai uske chehra peela pad jata hai..
uska haal toh aisa tha jaise usne koi ajuba dekh liya ho, use yakeen hi nahi ho raha tha ki Gaon ka ek dihati itni asani se uske bade Bhai ka ye haal kar dega
Waise aisa hi kuch haal sidhiyon se abhi abhi uper aaye Jabbar ka bhi tha jisne uper aate hi Kundan ko aise avtar main dekh liya tha
Kundan, Heera k pait main ghusa chaku bahar nikalta hai aur apne pair se ek jordaar waar sidha Heera k pait main ubhre hue jakhm pe karta hai.. jisse Heera halal hote bakre jaise peeche ki taraf lagbhag hawa main udta hua dur ja girta hai
Panna- (Jaise hosh main lauta hoi) Madarchod main.. aaaaahhhhhhhhhh..
Panna apne hath k jakhm ko bhool k apne bade Bhai ka badla lene k liye jaise hi aage badta hai Kundan k hath main thama wahi khoon se sana hua chaku hawa main lehrata hai aur es baar wo seedha Panna k jaangh k phadte hua andar ghus jata hai.. Panna ki aankhon k aage toh jaise andhera hi cha gaya tha
waise Kundan ka nishana jara sa bhi aur chuk jata toh es samay ye chaku Panna k lund ko muli ki taraf kaat chuka hota
Kundan- (Ghusse se laal aankhon k sath dono bhaiyon ko dard se tadapte hue dekh k) Madarchod.. kaha tha na..
'Mar gaye Kundan ko marne waale'
Kundan phir se aage badta hai toh dard aur khoon behne ki wajah se band hoti aankhon wala Heera ek eit (Brick) jo us nirman dheen builing main yaha waha padi thi use utha k Kundan ki taraf fekta hai jisse bachne k liye kundan ek taraf khud padta hai aur dono Bhaiyon ko moka mil jata hai
Heera- Bhaag Panna warna ye dihati maar dalega
Dono bhai ladkhadate hue bhaag padte hai, Kundan wapas sambhal k khada ho chuka tha par wo koshish bhi nahi karna un dono bhaiyon ka peecha karne ki
Edhar jaise hi Jabbar dono Bhaiyon ko apni jaan bacha k bhagte hue dekhta hai wo Kundan ki mardangi aur sharirik taqat ka kayal ho chuka tha
Jabbar- Saala kiya mard hai.. ladta aise hai toh chodta kitna mast hoga
Jabbar k andar chupi chudai dekhne ki laalsha ek baar phir se uske adharon pe aa hi gayi thi.. par wo jaise hi dono bhaiyon ko aate hue dekhta hai lapak k ek kinare aisi jagah chup jata hai jaha se wo dono bhai theek uske bagal se gujarte hai par un dono ki nazar uspe nahi padti
Edhar Kundan ab us Seth ki taraf dekhte hue
"Jayie Seth ji.. ab wo dono aapko pareshan karne ki sochenge bhi nahi"
Kundan jamhai lete hue wapas usi building ki chatt pe ek taraf chal padta hai, asal main wo pichle kuch saalon se yahi sehar main rehkar kaam kar raha hai par abhi yaha uska janne wala koi nahi hai
Esliye din main jo kaam milta hai wo kar leta hai aur raat ko esi khali building ki chatt pe sone chala ata hai, use footpath pe sone ki jagah yaha aake sona jada pasand tha
Seth- (Kundan ko jaate hue dekh k) ruko beta.. kon ho tum, agar aaj tum na aate toh pakka ye dono es khanjar ko mujhse chheen hi lete
Kundan ko us seth ki baat badi ajeeb lagti hai, uske andar kuch utsukta si bhi jaag padti hai.. wo palat k buddhe k seene se ab bhi chipke us sandook ki taraf dekhte hue kehta hai
"Aapko nahi lagta Seth ji.. ek sandook k liye apni jaan ki parwa na karna kuch jada ho gaya, are de dete toh ye sab hota hi nahi"
Seth- (mayushi k sath) Es sandook ko bachane k liye aaj mere bete aur bahu tak ki bali chad gayi.. aur na jane mera eklauta Pota kaha hai, aur tum kehte ho ye main un saitan ko de deta
Kundan- (Hairani k sath) kiya es chote se sandook k liye.. par aisa kiya hai esmain jo aapko apne bachon se jada priye hai
Seth kuch kehta nahi bus wo sandook Kundan ki taraf bada deta hai.. Kundan bhi jaise kisi sammohan main band sa jata hai aur aage badhkar us sandook ko hath main leta hai aur bina puche hi use khol deta hai
Kundan hairani se kabhi us sandook k andar dekhta toh kabhi us buddhe seth ko
Seth- (Jiske chehre pe aaj apne pariwar ko khone ka dukh saaf dikh raha tha) nikalo use bahar
Kundan ek baar phir se Seth ko dekhta hai aur us sandook main hath daal k uske andar se ek khanjar ko bahar nikalta hai.. un dono se dur chup k sab kuch dekh rahe Jabbar ki nazren jab us sandook se nikalte us khanjar pe padti hai toh uski aankhein khuli ki khuli hi reh jaati hai, waise use nahi pata tha par us sandook k andar bhi sone k bahut se sikke bhare hue thay
Waise Jabbar jaha se ye sab dekh raha hai waha tak Seth or Kundan ki aawaz use sunai nahi pad rahi thi
Edhar Kundan us khanjar ko bahar nikal chuka tha.. uski aankhein bhi khuli ki khuli reh gayi thi qki us Khanjar pe heere moti jade hue thay, yani jitna sona us us sandook k andar tha usse kahi jada wo Khanjar anmol lag raha tha
Kundan- eski Keemat toh bahut hogi?
Seth- tum es Khanjar ki keemat eske heere moti se laga rahe ho.. par eska mol esse bahut jada hai
Kundan- (Hairani se Seth ki taraf dekhte hue) Matlab?
Seth- ye khanjar jiske pass rahega.. wo kai Yakshon ko kabu kar sakta hai aur unse apna manchaha kaam karwa sakta hai, sath hi ye Khanjar apne malik ko aseem taqat pradhan karta hai
Kundan joro se has padta hai
"Kiya Seth ji.. Gaon me main rehta hu, aur andhvishwas ki baaten aap kar rahe ho
Aisa kahi hota hai kiya"
Seth- ye sab satya hai beta, ye koi mamuli khanjar nahi
Kundan- acha chalo maan liya aisa hai, par phir aapne esse kisi Yaksh ko kabu karke aaj apni jaan q nahi bacha li ?
Seth- (Hasne ki koshish jarur karta hai, par aaj apne pariwar ko khone ka dukh uski hasi pe bhari pad raha tha) qki ye aise kaam nahi karta, 20-25 varso main ek baar hi aisa sayyog banta hai jab ye Khanjar khud apna malik chunta hai aur uske rakht se band jata hai, jiske liye.. Aaaaahhh
Seth apni baat bhi puri nahi kar pata, ki lahi se ek goli chalti hai or theek us seth k dil ko apna nishana banati chali jaati hai
Kundan jaise bhaukhla sa jata hai aur edhar udhar dekhte hue
"Kon hai.. kon hai.. samne aa behenchod"
Tabhi Kundan ki nazar building k neeche khade ek aadmi pe jaati hai par raat ki wajah se Kundan ko uska chehra samajh nahi aata, par uske hath main thami banduk jarur Kundan ne dekh li thi
"Ruk madarchod.. buddhe pe goli chalata, ek baap ka hai toh wahi ruk"
Kundan gala phaad k neeche khade us aadmi ko lalkarate hue kehta hai par wo aadmi puri shanti k sath waha se chal padta hai ki tabhi uske pass ek car aake rukti hai aur wo usmain baith jata hai
Kundan neeche ki taraf bhagne hi wala tha ki seth apne tutti hui saanson k sath Kundan ko rokte hue kehta hai
"Nahi beta.. ab.. ab uska koi fayda nahi, mera antim samay aa chuka hai"
Kundan lapak k uske kareeb aata hai aur use sar apni gaud main rakh k kehta hai
"Daro mat seth main tumhe abhi hospital le chalta hai.. tum theek ho jaoge"
Seth- (muskura padta hai) nahi beta.. mera samay yahi tak tha, ab main apne pariwar se milunga.. aaahh.. par abse.. es.. es Khanjar ki raksha karna tumhari jimmedari hai
Kundan- par main.. main.. kiya.. seth.. seth.. Seth ji..
Par ab wo Seth kuch bhi nahi bol sakta tha, qki uski saanse puri ho chuki thi par jaate jaate usne Kundan ko ek badi jimmedari jarur saup di thi
Edhar chupa hua Jabbar seth or Kundan ki kisi baat ko bhale hi sun na paaya ho, par aankhon k aage baar baar wahi Heere Moti se jada hua khanjar ghoom raha tha.. jis khanjar ka asli karya tak Jabbar ko nahi pata tha
Tabhi police sirun ki aawaz sunai padne lagti hai.. Jabbar turant waha se nikal padta hai, waise usne socha tha ki wo es Kundan ka peecha karega taki wo khanjar ko paane ka rasta dhund sake par es samay yaha rukna use sahi nahi lag raha tha, qki abhi abhi ek aadmi mara hai yaha
"Aaaaaahhhh..."
Apni peet me uthte dard ki wajah se Jabbar wapas vartman main laut aata hai
Apni peet main hote dard aur apni sharmnaak haar wo bhi ek aurat hai.. ye sab Jabbar k liye kisi zehar peene se bhi jada kadwa tha, usne es Gaon main 2-2 logo (Khalid k Baap 'Gufran', aur Anubhav ki Patni 'Anokhi') ki jaan li par aaj use ek aurat k hathon haarna pada, es baat ko Jabbar manne ko tayyar hi nahi ho raha tha
"Kiya kuch nahi kiya us Sandook k liye, Saalon pagalo ki tarah pehle us Kundan ko dhundha phir uska bharosha jeeta aur itne saalon tak uska naukar bankar bhi raha
Yaha jab us Bhanu ka kutta bhi bana.. ye soch k ki sayad uska sath paake wo sandook jaldi mil jaye
Par aaj main ek aurat se haar gaya.. chiiiii"
Jabbar ek pal k liye rukta hai aur phir uski nafrat uske Sabdo ka roop leke bahar aane lagti hai
"Pichle 18 saalon se us Kundan k sath uski chakki pe naukar ban k reh raha tha, aur jab bhi moka mila uske ghar main us Khanjar ko dhundha par aaj se pehle jaise wo mujhe dikha hi nahi tha.. aur aaj aaahhhh..."
Jabbar ka jabda kasta chala jata hai.. maano wo kisi nishkarsh pe pahuch chuka ho
"Itne saalon baad wo khanjar aaj mujhe mil sakta tha, par us rand Maalti ne aaj mujhse ye moka cheen liya.. par main itni asani se haar nahi maan sakta
Puri zindagi maine usi khanjar ko paane ka sapna dekha hai, aur wo main paake rahunga.. ab ladai chup k nahi.. aamne samne se hogi"
Jabbar khet k beechon beech baith hua sayad tay kar chuka tha ki ab samne aana hi padega.. qki Maalti uska chehra dekh hi chuki thi
Na jane wo kiya karne wala tha, qki sayad Jabbar ab sidha hamla karne ki soch raha tha.. par kiya 'Bhanu' eske liye tayyar hoga
Wahi theek esi samay apne Ghar main Maalti apne hath main wahi hasiya aur apne pass us sandook ko rakhe hue baithi hui thi uska pura jism ab bhi kaanp raha tha maate se behta hua khoon uske khubsurat chehre pe alag si sobha bana raha tha
Par es samay use sirf apne kaano main Jabbar ki kahi hui baat hi sunai pad rahi thi
"Saali tera Sapola toh bach gaya tha us din.. par aaj tu maregi, aur phir wo bhi nahi bachega.. qki wo apna badla leke rahega.. tere paapon ki saza tere bete aur pure pariwar ko milegi"
Maalti k kaano main baar baar yahi sunai pad raha tha, khas karke wo sabd jaha Jabbar ne kaha tha
"Wo apna badla leke rahega"
~©~
20 saal pehle usi din Jabbar k us building se bhaag aane k baad aakhir kiya hua tha, lage hath ye bhi jante chalte hai
Police sirun ki aawaz sunte hai, Kundan pareshan hone laga tha.. qki uske samne ek Seth ki lash padi hui thi aur abhi uske pass ek aisa sandook tha jismain sone k sikkho k sath ek aisa Khanjar tha jispe anmol Heere Moti jade hue thay
Kundan ko kuch bhi samajh nahi aa raha tha ki wo aakhir kiya kare.. aur sabse badi baat kiya police uski baat manegi ?
Kundan- (Khud se kehta hai) nahi nahi.. Police ko lagega es seth ko maine hi mara hai.. mujhe nikalna hi hoga yaha se
Kundan bina kisi dairi k us seth ko antim baar dekhta hai aur us khanjar ko jaldi se us sandook main rakhte hue us seth k thandi padti laash se Wada karta hai
"Jab tak main jeevit hu.. ye khanjar kisi ko nahi milega"
Kundan bina kisi vilamb k turant hi waha se aake apna bistar uthata hai.. ki tabhi use ek sath kai logo k sediyo se uper aane ki ahat hoti hai wo jaldi se ek taraf chup jata hai
Uper aane wale police k log tha.. Kundan usne chupte hue waha se nikalne main safal rehta hai
Kundan puri raat yaha waha bhatakta rehta hai aur subha ki pehli kiran k sath hi usne tay kar liya tha ki wo hamesha k liye sehar chor dega aur wapas apne Gaon chala jayega
Esliye usne darte hue us Sandook me se ek sone k sikke ko baich diya.. jisse use itna paisa mila ki ab koi apne Gaon main koi bhi kaam suru kar sakta tha
Aur theek usi raat wo apne Gaon jaane wali train main sawar ho jata hai.. par es samay Kundan akela nahi tha wo sandook bhi tha uske sath tha
Aur uske dimag main Gaon wapas jake ek chakki suru karne ka pakka irada.. qki use yaad tha ki Gaon k baki sabhi logo ki tarah use bhi kabhi aata aur dusri cheezon k liye paidal hi pados k gaon jana padta tha
Scene #06
Edhar Kundan k waha se aane k baad wo police wale har jagah talasi lete hai, par unke hath wo nahi lagta jiski sayad use talash thi.. aur Jaldi hi un sabhi me se sabse bada Police wala apne Cabin main baitha hua tha, ki tabhi uski table pe rakha hua phone bajna suru ho jata hai
Police wala apne pass khade hawaldar ko dekhta hai aur phir ek lambi si saans chorte hue phone uthata hai
"Namaskar Thakur Sahab"
Dusri taraf se kuch kaha jata hai jispe wo police wala phir se jawab deta hai
"Thakur Sahab humne ek ek chappa chappa chaan mara tha par waha koi bhi sandook nahi.."
Us police wale ki baat bhi puri nahi ho paati ki dusri taraf se ek ghusse se bhari aawaz aati hai
"Itne saalon tak maine es din ka intizar kiya par ye Buddha marte marte mera kaam bigad gaya.. "
Police wala- Thakur Sahab hamare liye aage kiya hukum hai ?
Dusri taraf se
"Pata nahi wo khanjar es samay kaha hoga.. ya kiske pass hoga ?
Par abhi k liye tumhe Heera Panna ko thikane lagana hoga"
Police wala- aap kaho toh encounter main marwa de saalon ko
Dusri taraf se
"Nahi abhi k liye unhe dhundo aur jail main daal lo.. sayad aage unse koi jaruri jaankaari mil sake, kiya pata unhe pata ho wo khanjar ab kiske pass ho sakta hai"
Police Wala- par agar unhone aapki pehchan bata di ?
Dusri taraf se aadmi aise hasta hai maano us Police wale ne koi mazak kiya ho
" 'Thakur Balwant Pratap Singh' ka naam apne honthon pe lane ka matlab unki maut hai.. aur ye wo dono ache se jante hai"
Esi k sath Phone kat jata hai, wo Police wala ek baar apne Phone ko dekhta hai aur apne pass khade hawaldar ko dekhte hue kehta hai
"Saala ye Thakur badi pahuchi cheez hai, pata nahi behenchod chahta kiya hai.. waise es Seth k pariwar main koi bacha ?"
Police wala phone ko rakhte hue, apne hawaldar se puchta hai
Hawaldar- inka ek Pota tha.. kiya naam tha.. kiya naam tha.. ha.. 'Raunak'
Police wala- wo zinda hai, ya..
Hawaldar- Pata nahi sahab.. humne seth ka pura ghar Check kiya tha, par wo bacha mila nahi ?
Police Wala- (Ek lambi si saans lete hue) kiya pata un dono badmasho ne use kisi gatar main fek diya ho, chalo saala kaam hi kam hua
Police wale ne apne baat se sabit kar diya tha ki wo kis ghatiya soch ka inshan hai
Aur jaldi se Heera Panna Police ki giraft main hote hai aur phir kai mahino tak Police wale Heera Panna se har tarah se puchte hai.. Police ki har degree ki maar ajmai jaati hai unpe
par wo khud Kundan se us din pehli baar mile thay, esliye wo bhi jada kuch madad nahi kar paate
Ha ye baat alag hai ki unhen bhale ki kundan k bare main kuch pata na ho.. par un dono ne ye bhi nahi bataya ki us anjaan aadmi ka naam 'Kundan' tha
Sayad wo apna badla khud lene ki soch chuke thay..
Agle 20 saal dono bhai usi jail main sadte rahe.. sayad Thakur Balwant Pratap Singh ko bhi usne koi matlab nahi reh gaya tha
Aur aaj 20 saal baad dono bhai azad thay.. par ye unki kismat hi thi
Ki wo jaldi hi usi Kundan se milne waale thay, jiski wajah se un dono ki zindagi k 20 pass jail main kaate
Dhanyawaad Bhai for Amazing Support mkgpkrSuperb very nice
Bilkul sahi bat bola......Bhai ye to jab update ayega tabhi pta chal skta h kyu ki monu Bhai ka khna h ki sirf chudai dikhan unka motive nhi story ko aage bhade ne k liye dekho kya karte h monu Bhai.
Waise bht din hi gye h satyam sattu ko ne kisi ki chudai nhi ki h
Jha ek trf Sheela k liye sattu pareshan h or harsita ne use dekh bhi liya tha hamne socha ab harshita sattu se chudegi but esa abhi tak hua nhi.
Or to or sonu ji harshita ka beta h wo bhi apni maa ke sath sex encounter kare to kaisa rahega bhai danny.
Romanchakar Dhamakadar Chudaidar Update...वाह क्या जबरदस्त और रोमांचक अपडेट है भाई मजा आ गया
मालती के घर पर लगता है मालती और जब्बार के बीच हाथापाई हो गई तो उसे मालती ने हसिया से घायल कर दिया हैं
20 साल पुरानी बातों का वर्णन बडा उम्दा और बेहतरीन हैं जहा बुढ्ढें के पिछे हिरा और पन्ना एक रहस्यमयी संदूक छिनने के लिये पडे थें वहा कुंदन का आ जाना वो भी एक जबरदस्त तरीके से बडा ही मस्त और लाजवाब हैं
खैर देखते हैं आगे क्या होता है
अगले रोमांचकारी धमाकेदार और चुदाईदार अपडेट की प्रतिक्षा रहेगी जल्दी से दिजिएगा
Sahi kaha Purana Film ki bat kuch or thi...Bilkul sach kaha ye kisi purani filmon jaisa hai inke likhne ka andaaz
Wise dekha jaye toh un filmon ki baat hi alag hua karti thi
Waise ye pad k hasi band nahi ho rahi thi hamari
Sala Harami Jabbar ki Gand ma Bamboo dal ka Keth ma Putla bana dena cahiya....
Haaaay daaaaya.....Meri saas jada lag rahi hai ye
Sahi Bola....Inke likhne ka andaaz bada hi alag hai esmain lagbhag sab kuch hai
Ek beta apni Maa ki chudai dekhne ki chahat rakhta hai
Toh ek beta apni Maa ko chod bhi raha hai
Wahi kareeb har aadmi Maalti ko apne neeche dabana chahta hai