Bohot hi badhiya
Kala Nag bro, just superb! Kahani ab apne asli rang mein aati dikh rahi hai, lagta hai ke Flashback apne ant ki taraf hai, aur flashback khatam ho raha hai Pratyush ki maut ke saath. Senapati couple ke liye bura laga, aakhir apni santaan ki arthi ko kandha dena, iss se bade dukh ki baat aur kya hi ho sakti hai iss sansaar mein. Par ab Kshetrapal parivaar ke purushon ke saath Yash Chetty ka naam bhi shaamil ho gaya hai uss list mein, jinka hisaab hoga.
Pehle Jayant aur ab Pratyush dono ki maut ke pichhe Yash ka hi haath hai, aur Vishwa ya kahun ke Vishwa ke iss naye roop “Vishwaroop” ke qehar se wo bhi nahi bach paayega. Vaidaihi ne Danny se request ki thi ke wo jail mein Vishwa ka khayal rakhe, aur Danny ne apna kaam bakhoobi kiya. Ab Vishwa aag mein tapkar kundan ban chuka hai, ek aisa hathiyar ban chuka hai jiss se Kshetrapal khaandan ka vinaash hona nischit hai.
Baat karen Pratibha ki to, unhone bhi apna beta khoya hai aur ant taha unhe samajh aa hi gaya ke unka bartaav Vaidaihi ke prati kitna galat tha. Khair, ab bhi zyada derr nahi huyi hai, jald hi Vaidaihi aur Partibha ki bhent ho, aur dono ke beech sambandh sudhar jaayenge.
Idhar Vishwa ke jail se baahar aane ka intezaar hai bas ab to, jaise hi kahani present mein lautegi maza aa jaayega.
At the end, Kala Nag bhai main agar personally apni baat karun to mujhe Flashbacks padhna kuchh khaas pasand nahi, aksar flashback wagerah padhte waqt main bor ho jaaya karta hoon but jiss tareeke se aapne kahani likhi hai, especially Flashback, that's just amazing. Aapki bhaasha par aur storyline par pakad badiya hone ka hi nateeja hai ke aap itne behatreen dhang se likh paa rahe hain.
Aur Maafi chahunga, kuchh pareshaniyon mein fanse hone ke kaaran itne waqt se Review nahi de paaya. Waise abhi maine 53 Update nahi padha hai, jald hi usse bhi padhkar revo deta hoon.
Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...