asadjee
Well-Known Member
- 8,204
- 18,252
- 174
Desh Premi
Mera naam suresh ha.. huh suresh.. ye bhi koi naam tha bhala jo mujhe diya gaya tha. mujhe mere naam se koi khaas lagao nahi tha. ho bhi kaise sakta tha. khali naam ka main kya karta tha.
ji haan mere naam ke sath kuch aur ya koi aur naam kabhi nahi lag saka. main ek anath hon. ek anath ki apni pahchan hi kya hua karti ha. kuch bhi nahi.. meri bhi koi pahchan nahi thi. sivaye ek naam "suersh" ke..
18 ka hua to naam ko leke mere andar ghutan si badhne lagi. main sochne laga, mai aisa kya karun. mere naam ke sath kuch aur jud jaaye. fir meri pahchan keval "suresh" ke naam se na rahe..
bohut socha par kuchh nahi soojha..
mai kad kaath me achha tha. bohut soch vichar ke baad maine ek faisla le hi liya.. aur main apni hi soch par garv bhi mahsus karne laga..
maine army join karne ka faisla kar liya.. padh likh kar khub paise kamata. par kis kaam aane wala tha paisa.. mujhe shuru se hi paise ki chah nahi rahi thi. kuchh chah thi to bass thi.. army me ja kar desh ke liye kuch karke apne naam ke sath kuch naam mai zarur jod sakta tha..
dunya bhar ke jawan ladke jawani baare sochte the. achhi life, jo maze aur dilchaspiyon se bharpur ho.. uske bare me socha karte the. par mai sabse alag tha. aur alag hi rahna chahta tha..
"desh ke liye prem" ye aise shabd han. jo mere jaiso ke mann me kam hi aaya karte han. kam hi mere jaiso ke andar desh prem jaagta ha.
kyunki wo sochte han. desh ne unko kya dia.. anatho wali zindagi.. mujhe bhi gila tha is baat ko le ke. ye soch kar main anath hi kyu paida hua.. par mai dusron ke jaise jalne kudne wala ladka nahi tha. kuch kar guzarne wala ladka tha.. desh ke liye prem to mere dil me tha.. aur ab wahi prem aur naam ki chah mujhe army me le gayi..
aur fir mere jaise chatani iradon wala kaise asafal ho sakta tha. army trainning me mere marks sabse badhiya aaye. main lieutenant ki trainning kar raha tha. mera naam pure unit me goonjne laga.. aur fir mere naam ke sath jo pahla shabd juda..
wo tha....
"shabash suresh"
life me pahli baar mere naam ke sath koi shabd juda tha.. jo bhi bada officer mujhe milta.. wo mujhe "shabash suresh" bolta.. mere kandhe thapakta.. aise me mere andarmann ko wo shanti milne lagti.. jiski kalpana main saalon se karta aa raha tha.. mere dil me aur bhi badh kar kuch kar guzarne ke vichar aane lage. aur fir main alag alag trainning karne laga..
meri shandar performance dekh kar mujhe kai aur naamo se nawaza jane laga.. mera maksad bohut achhe se aage badh raha tha.. mere dil ko aseem shanti prapt hone lagi thi.. par kuch aisa tha mere andar.. jo mujhe bechain kiye rakhta tha.
mai extra samay nikaal kar uspar vichar karne laga.. aur ye sabse badhiya baat hua karti ha. free samay me khud par vichar karte hue khud ko khojna chahiye.. andar mann me kya aisa ha. jo bande ko bechain rakhta ha.
aur fir maine jaan liya...
ji haan.. maine jaan liya.. maine jaan liya mera mann keval naam ko paa lene ke liye nahi saalon se machal raha ha. wo to bass aise hi tha.. asal me mujhe to desh ke liye kuch special kar guzarne ke liye uskata raha ha..
aur fir jaise hi maine ye sab jana.. maine commondo trainning ke liye form bhar dia.
aur kadi trainning karte karte main ek commondo ban gaya.. ab chunki main commondo ban chuka tha. mere ang ang me bijli bhar chuki thi.. ek para tha jo meri ragon me daudne laga tha.. aur mujhe missions diye jaane lage.. bhagwan ki kripa se mai har mission me safalta paane laga..
aise me mujhe kai aur naamo se sammanit kiya jaane laga.. par meri bhook ab badh chuki thi.. ab keval naam se hi mera guzara nahi hone wala tha. mujhe chahiye tha aseem anand.. wo sukh wo sukun.. jise koi bhi prapt na kar saka ho. aur aisa sukh regular desh seva karte rahne se hi mil sakta tha.. desh vadiyon ko meethi aur chain bhari nind sone ke liye de kar mil sakta tha.
aur main apne desh vasiyon ke liye regular, bina rest kiye mission pure karne laga..
aur fir aaya wo mission.. jisne sab kuch badal kar rakh dia..
hua kuch youn ki kuch terrorists ne desh ke ek bade pahadi gaon ko apna thikana bana rakha tha.. jaise hi ye khabar army walun ko mili.. mere sath kai aur ko bhi unka khatma karne ke liye bhej dia gaya...
par wahan pohnchte hi pata chala. desh ke 2 neta unko support kar rahe the.. dono netaon ne maanne se hi inkaar kar dia.. wo terrorists han.. wo to unke khaas admi han aur kisi aur kaaran wahan par maujud han..
baat badh gai aur fir humen mission ko adhura chhod kar wapis lautne ka bol dia gaya..
mere dusre sathi bhi mere tarah aisa order sunkar bhuchakke rah gaye. asha nahi thi. kuch aisa bhi sunne ko milega..
humne salah mashwara kiya... mere sabhi sathi, officers ke orders ko follow karne par majbur nazar aaye..
par mai majbur nahi tha.. wapsi par main sabse alag ho gaya aur khud se jaa kar mission pura kar dia.. ek bhi terrorist ko maine jeevit nahi chhoda.. chun chun kar ek ek ko maar diya.
mai yahi par nahi rukne wala tha. maine thaan liya tha.. un dono netao ko bhi mai maar dunga.
mera bina permission ke aisa khud se pura kiya mission army wale aur dono neta sahn nahi kar paaye.. pahle mujhse army ki adalat me case chala..fir mera court martial kar dia gaya. sath hi mujhe police custody me bhi de dia gaya.
terrorists ke sath hui meri ladai me do aam gaon walun ki bhi jaan gayi thi. jis ke chalte mera case police ke through aage badhaya jaane wala tha.
mujhe dukh tha. bohut zayada dukh. abhi desh ke bohut se dushman baaki thi. abhi wo dono neta baki the. abhi desh ke liye maine kiya hi kya tha. kuch bhi to nahi kiya tha. abhi to meri service ke kai saal baki the.. abhi meri kitni hi saanse baki thi. mai wo sare saal, apni saari saanse desh ke liye bhent kar dena chahta tha..
mujhe police van me hathkadi laga kar police thane lejaya jane laga.. par mujhe to tab se hi chain nahi tha. jab se maine hosh sambhala tha. pahle koi maksad nahi tha life ka. ab tha.. aur main aise hi to nahi mar sakta tha. aise hi to nahi salakhon ke piche apni baki ki life bita sakta tha.
main hathkadi lagi hone ke bawajud bhi police se ladta hua police van se bhaag nikla.. mujhpar goliyan bhi chali gayi.. par khush kismati se mujhe ek bhi goli nahi lagi.. lag bhi jaati to bhi mai konsa kamzor tha. itni jaldi marne wala nahi tha main..
mai bhaag nikla.. aur kahin chhup kar rahne laga. samay kaatne laga.. aur fir moka milte hi maine un dono netao ko bhi maar dia.....
is baar mujhe naam ki chah nahi thi. fir bhi mujhe naam mil gaya..
"suresh gaddar ha"
"suresh aatankvadi ha"
ye do naam hi nahi mujhe mile. kai aur naam bhi mujhe mile.. jis jis ne mera zikr kiya mujhe naye naye naam dene laga.. par ab mujhe parwa nahi rahi thi..
main chahta to desh se bhaag bhi sakta tha.. mai chahta to dher sara paisa kama kar ek thaat baath wali zindagi ji sakta tha. mai commondo tha.. super soldier tha.. mai to desh ke dusre bohut se commondos se alag tha.. chahta to aisho araam wali zindagi ji sakta tha.
par maine aisa kuch bhi choose nahi kiya apne liye.. aur apne desh me hi chhup kar rahte hue desh ke dushmano ko maarne laga.. jo jo mere hath lagta usay mere hathu maut milti.. bhayankar maut.. desh ke senkdo dukhi log mere aise karne se sukhi zindagi jeene lage..
aur firse mujhe kai naam aur diye jaane laga
"suersh desh bhakt ha"
"suresh mahaan ha"
"suresh gaddar nahi ha.. wo to desh ka sachha premi ha"
aise shabd sunkar mujhe firse wo shanti prapt hone lagi.. jisse ki chah thi mujhe hamesha se..
jo bhi is dunya me aata ha. usay jana bhi hota ha. har is dunya me aane wala ka dana paani fix hota ha. jaane ka samay aata ha to uske par kat jaya karte han. mere bhi kat gaye..
aise hi ek desh dushman ko maarte hue main bike par jaa raha tha. aur police ki bhaari force mere piche thi.
achanak se ek pregnant mahila ek bachi ka hath thaame mere saamne meri bike ke saamne aa gayi.. bass fir kya tha.. apni jaan bachane ke liye mujhe bike dhire karni padi.. turant break lagani padi. pregnant mahila bhi ghabra kar cheekhti hui girne wali ho gayi.. mai ek commondo tha.. turant bike parse kood kar usay girne se bacha liya..
wo gir padti to uska badha hua pet niche lagta aur uske pet ka bachha khatre me aa sakta tha. khud uski jaan bhi khatre me aa sakti thi. bass mai aisa hone nahi de sakta tha. main to desh sevek tha. bin maa baap ka tha. kaise ek maa ko dukh aur dard me aate hue dekh sakta tha.. kaise uske pet me pal rahi nanhi si jaan ke liye khatra ban sakta tha..
maine usay bacha liya.. par khud ko na bacha saka. itne me police mujh tak pohnch gayi aur fir main bhaagne layak nahi raha.. mujhe hathkadiyon me jakad diya gaya. kai guns ki naal mere sharir se lagi hui thi...
aur fir mujhe thane me leja kar meri wo halat banai gayi... kya hi batao main tumhe Miss --
Ananya: Ananya.. Ananya Mehra Naam bataya tha maine aapko Sir!
Suresh hass pada.. badi hi ajib si hasi thi Suresh Sir ki..
suresh: bohut torture kiya gaya ha mujhe. itna torture kiya gaya mujhe. jitna bata chuka hon wo bhi badi mushkil se bata pa raha hon. tum dekh rahi ho mera haal..
ananya: Ji Sir! dekh rahi hon.. bohut zulm hua aap par..
suresh na na me gardan hilane laga
suresh: nahi.. nahi miss ananya.. zulm.. kuch bhi zulm nahi kiya kisi ne mujhpar. ye to dawa ha jo meri aatma ko bhi anand deti ha.. dard hota tha. sharir hilne layak nahi rahta tha.. par meri aatma ko bohut sukh prapt hota tha.. khair..to ab samay ho chuka mera tumse juda hone ka aur is dunya se jaane ka..
Mai bade dukh se boli: kaash mai aapke liye kuch kar sakti Sir!
suresh: tum itne dukh me kyu ho miss ananya. kya tumhari jaisi pattarkaar ko bhi dukhi hona chahiye. mujhe dekho, seedha bethna layak nahi raha.. fir bhi dekho meri gardan me akad ab bhi ha.. desh ki seva ki ha maine. koi paap nahi kiya.. jo bhi kiya apni man marzi se kiya. apni aatma ko sukh ke liye kiya.. par jo bhi kiya, uspar mera sar kabhi nahi jhuka.. sadaiv utha hi raha.. aur jab sar kabhi jhuka hi nahi to dukh kaisa..
ananya: Sir mera waada ha aapse. main bhi aapke naqshe kadam par chalungi.
suresh is baar pure mann se muskuraya
suresh: bohut badhiya.. jaan rahe na rahe desh salamat rahe. desh vasi chain sukun ki nind sote rahe.. bass yahi soch ke jeena.
ek santri ne aa kar "time up" ka bataya. aur mai suresh se kuch nahi jaan saki..
mujhe journalism ki field me aaye 3 saal ho chuke the. aur Suresh Sir mere ideal the. 3 mahine pahle hi wo ek desh dushman ko maarne ke baad police ke hathe chadh gaye the.. sunkar mujhe bada dukh hua tha.
mujhe hi nahi kisi bhi pattarkar ko usse milne nahi dia gaya.. fir Suresh Sir ko adalat me maut ki saza ke bad jail me bhej diya gaya.. wahan suresh Sir ne sabse milne se inkar kar dia..
suresh sir ko phansi ki saza sunaai gai thi.. aur aap ki raat ki agli subah suresh sir ko phansi de di jaani thi.. aise me mujhe Suresh Sir ne khud se bulwaya aur mujhe apne baare me bataya.. apni dukh aur sukh bhari kahani sunaai..
bade dukh ke sath maine Suresh Sir Ki Kahani Suni.... mann ke desh ki seva se related toughts aur bhi strong ho gai thi meri.......
aur fir meri nazron ke saamne hi, Suresh Sir ko phansi de di gayi..
Suresh Sir ke chahre ko jab kaale kapde dhanpa jaane wala tha.. to Suresh Sir ne inkaar kar dia tha..
Suresh Sir goonjti hui awaz me bole
JAB TAK JIYA.. SAR UTHA KAR JIYA.. AB TAK DUNYA SE JAANE KA SAMAY HUA HA TO SAR UTHA
KAR BHI JAAONGA AUR MAUT KI ANKHON ME ANKHEN DAAL KAR BHI....
Kuch hi lahmo me Suresh Sur ka murda sharir meri nazron ke saamne lahra raha tha..
meri ankhon me ansu aa gaye.. mera hath salute ki surat mathe par aa gaya aur mai Suresh Sir ko salute karne lagi..
Jeena kise kahte han.. Ye maine Suresh Sir se jaan liya thaa....
fir meri nazar aas paas khade hue police walun par padi.. jinme kuch police wale bhi mujhe dekh Suresh Sir ko salute kar rahe the...
Kitne mahaan the Suresh Sir.. kaisi shaan dar maut pa gaye the.. desh ke liye mar mit gaye the..
main wapis palti aur mann me ek ehd kar liya.. main bhi aisi hi maut ke liye din raat ek kar dungi.....
JAI HIND.....