rebellover
Member
- 201
- 577
- 109
gallery of death..
ham insaano ne arts gallery photo gallery ke bare mein suna hai par kya ho koi apse kahe ki kahi par ek esi gallery bhi hai jise khud maut ne apne hatho se create kia hai..
yeh kahani hai dehradun ke st. mathew school ke ek student ki jisne apne sath hue anyay aur zulm ka badla lene ke lie gallery of death ko dhunda..
naksh ek aam kamzor student tha.. woh study me toh kafi brilliant tha par darpok pana uski brilliance ke mukable kahi jyada tha.. uski family me uski mom and ek chhhote bhai ke alawa koi nahi tha.. class me har koi use bully karta tha par sabse jyada pareshan use raghav and uske chaar dost kia karte the.. woh log usse apna homework karwate uski pocket money chhin lete ya fir kabhi kabhi usse uske ghar se pese mangvate the..
esa hi kuchh is bar bhi naksh ke sath hua tha.. raghav ne usko apne ghar se is bar 10,000rs. mangwaye the jo ki naksh ki family ki pure ek month ki kamai thi naksh apni maa ko dard taklif nahi de sakta tha is lie usne apni silver ki ring jo ki use bachpan me gift ke taur par mili thi bech kar mushkil se 3000rs. ikattha kie the.. agle din jab woh school ground me akela tha raghav ne use gher lia and pese maangne laga..
naksh ne use 3000rs. die aur gidgidate hue kaha, "bhai mai itne pese hi jama kar paya.. mai 10.000rs jitni badi rakam apni maa se nahi maang sakta.. unki monthly income mushkil se 6000rs. hai.."
naksh ki request bhi is patthar dil raghav ko pasand nahi aai usne naksh ke sine par laat mar di.. jisse woh pichhe ped se takrate hue bacha.. raghav ne uske baalo ko pakda and uska sar ucha karke ek jhannatedar thappad mar dia..
raghav : kyu be bhikharan ki aualad? tera baap kuchh chhod kar nahi gaya kya? woh aage aur kuchh bolta usse pehle hi uska phone baj utha.. call par dusri taraf se kuchh kaha gaya jise sun kar uske face par kamini smile aa gai.. "lagta hai aaj teri kismat thodi achhi hai is lie tu bach gaya par next time nahi bachega.. " keh kar woh jane laga..
naksh ke sabr ka baandh aj tut chuka tha par wo achhi tarha se janta tha ki woh raghav and uske dosto se kabhi bhi hand to hand fight me jit nahi sakta is lie usne dimag ka use karne ka socha and woh esa koi tarika dhundane laga ki woh bina unse lade badla le sake..
agle din se summer vacations the is lie school bandh hone wala tha.. vishal apne ghar chala gaya kismat se uski mom job par gai hui thi is lie woh bach gaya.. woh apne school ki library se lai hui kitabo ko padh raha tha taki woh school ki annual quiz ko jit kae scholarship paa sake and apni mom ki thodi madad kar sake..
woh kitabo me duba hua hi tha ki uski nazar us kitab ke chhote se article par padi jiska title tha.. GALLERY OF DEATH.. MYTH OR REALITY..
in article ..
gallery of death.. jise ham maut ka trophy house bhi keh sakte hain.. kuchh log mante hain ki iska astitva hai par kuchh log iske astitva / existence ko accept nahi karte hain.. is gallery ke existence ko manne wale and na manne wale dono samuh ke pas is gallery ke bare mein koi pakki and enough jaankari nahi hai..
believers ki theory ki baat karein to yeh gallery mein ham apni willpower ki madad se apne dreams me safar kar sakte hain.. manna kafi mushkil hai par shayad yeh sach bhi ho sakta hai.. gallery ke pas ap pahoch toh jaoge par uske andar jane ke lie apko ek mysterious door open karna hai jise ap bina enough willpower ke nahi khol sakte..
kuchh believers ka manna hai ki yeh gallery ek tarha ka secret killing machine hai.. isme ap jisko marna chahte ho ya jisse badla lena chahte ho uska photo laga kar uski mout tai kar sakte ho.. apko bas yeh karna hai ki jisse ap badla lena chahte ho..
naksh ko esa hi kuchh chahie tha par woh sure nahi tha fi bhi usne try karne ka socha.. usne pehle raghav ka photo lia and uske pichhe raghav ka nam likh kar so gaya.. uska luck kahe ya takdir ki sazish usne pehle trial me hi woh door khol dia..
jab woh waha andar gaya toh usne khud ko ek khubsurat par puri tarha se white rang me bane building me paya.. jaha par bahot sari photoframes lagi hui thi jisme frame wale insan ke marne ka time and wajah likhi hui thi.. naksh ne raghav ka pic ek frame me daala and wapas nikal lia..
use ummid thi ki results jaldi milenge par usse ulta yeh hua ki kuchh nahi hua par uspar hone wali zyadti badhti gai.. khair hafte bad exams shuru hone wale the.. usne i mean naksh ne socha ki bakwas chiz hai jispar usne yakin kar lia par woh aane wale waqt se anjaan tha..
exam ke ek ghante pehle sabhi stuents library me padh rahe the ki kisi peon ne raghav ko msg dia ki use principal sir ne bulaya hai.. raghav library se nikal kar third floor par bani principal ki office ki ore jane laga.. woh second floor par pahocha hi tha ki tin studnts daudte hue aa rahe the unka dhakka laga and woh stairs ke pas bani kaanch ki khidki se takra gaya.. par usne khud ko sambhal lia and khada ho gaya.. par usko fir se dhakka laga and is bari woh zyada zor se window se takraya and khidki se niche girne laga.. use laga ki woh second floor se girega is lie bach jayega par use pata nahi tha ki uski maut aaj tai hai.. woh just girne hi wala tha ki kahi se uske sir mw window ka bada sa kach ka tukda uske sar me ghus gaya.. khel khatam uski sir ki sabse kamzor nabz cut chuki thi and jab woh gira tab ghav jayada gehra hone ki wajah se uski mout ho gai..
yeh incident sabne dekhi jo bhi us jagah ke aas pas the.. naksh bhi thodi hi duri par tha.. use nahi malum tha ki yeh gallery of death ka hi kamal hai.. raghav mar chuka tha par uske tin dosto ne apna power show karna shuru kar dia tha.. ab wo tino sabko pareshan karte the and sabse badi baat yeh thi ke tino ek hi ladki ko pasand karte the jo ki junior class ki raashi nam ki ladki thi jo ki naksh ko like karti thi.. tino isi bat ke lie naksh se naraz rehte the..
ek din unhone naksh ke samne hi rashi ko propose kar dia.. kahi na kahi naksh bhi rashi ko pasand karta tha.. use pasand nahi aya ki un tino ne rashi ko proposed kia par usne us time kuchh nahi kia..
thode din bad woh tino school ki chhat ki border par bethe hue the ki achanak woh tino ek sath waha se gire and ground floor ke entrance par bane shade ko todte hue niche gir kar mar gaye.. unki ghayal halat baht hi cruel lag rahi thi.. sab shocked the thode dino ke antraal me chaar mout ho chuki thi.. afvah felne lagi par kisi ke pas sabut nahi the..
khair naksh ne kuchh nahi kia is bich.. woh and rashi bhi ab nazdik aane lage the.. par koi nahi janta tha ki un charo ki mout ka sach kya hai.. par kehte hain na ki sach jyada der tak nahi chhup sakta.. ek din jab rashi naksh ke ghar aai hui thi and woh uske room me bethi hui thi tabhi uske hath me woh album lag gaya use samajhte der nahi lagi ki naksh ne gallery of death ki visit kari hai.. usne naksh ko dhamki di ke woh sab ko sach bata degi and woh chali gai..
naksh ne galat direction me apne dimag ka use kia.. usne socha ki rashi usko pyar nahi karti islie usne socha ki agar usne sab sach bata dia toh usne rashi ka pic bhi gallery me laga dia..
kuchh din baad..
rashi school ke hall me ek ceremony attend kar rahi thi jaha par haal hi me mare gaye Students ki aatma ki shanti ke lie prarthna ki ja rahi thi.. par ab waha par char nahi 5photos thi.. pehle raghav and uske baad uske char dost and last me naksh ki photo thi jis par haar laga hua tha..
kaun tha jisne naksh ki photo gallery me lagai.. sabse bada sawal rashi kese bach gai..