- 79,765
- 117,118
- 354
Juhi madam, kahani ke 31 update ho gaye aur aapka is kahani par ye pahla comment hai. Mujhe to pata bhi nahi chalta ki aap is kahani ko padh bhi rahi hain. Khair main ye puchhna chahta hu ki ek reader ke roop me aapne writer ke sath insaaf kiya hai ya nahi????shubham ji ,ye story bahut slow chal rahi he 31 part ho gaye he lekin vebhav ka kuch nhi hua ,na vo kusum se kuch malum kar paya ,na hi anuradha se baat aage badi ,murari kaka ke hatyaro ka pata nhi chala ,us par hamla kisne kiya ya karwaya vo bhi abhi andhere me he ,aap bahut achha likh rahe he lekin kahani ki raftaar dhimi he plz ise fast kijiye
Rahi baat kahani ke speed ki to mujhe nahi lagta ki maine abhi tak isme koi bina logic wala matter add kiya hai. Main apni har kahani me yahi koshish karta hu ki jo bhi likhu wo logical ho aur realistic lage. Bina logic ke agar likhta to is kahani ki speed ya is kahani ki situation aisi na hoti,,,,
Is kahani ka hero koi super hero nahi hai aur na hi wo itna master mind hai jo har situation ko chutikiyo me handle kar ke aage badh jaayega. Real life me bhi kabhi kabhi insaan aisi situation me fas jata hai ki wo sab kuch kar sakne ke baavjood kuch kar nahi pata, insaan ki usi haalat ko ham bebasi ya lachaari ka naam de dete hain. Yaha har reader ko yahi lagta hai ki jo bhi ho wo jaldi ho, use is baat se koi matlab nahi hota ki jis cheez ki wo jaldi ho jane ki chaahat rakhta hai uska jaldi ho jana possible hai bhi ki nahi, wo is baat ko bhi nahi samajhta ki kahani me chal kya raha hai aur uski situation kya hai....bas sab kuch uske anusaar jaldi se ho jana chahiye. Main puchhta hu unse ki kya unki life me bhi har cheez jaldi jaldi hi ho jaati hai????