Hota hai bro, kabhi time ki kami to kabhi kisi majburi ke chalte....waise ye kahani abhi private area me thi, abhi do ya teen din pahle hi yaha se me laayi gayi hai. SS me waapas laane ka reason ye nahi hai ki kahani ke update continue rahenge balki kuch aur hi hai. Update continue karne ka abhi time hi nahi hai. Asal me ye kahani aisi hai hi nahi ki ise jaldbaazi me jo man me aaye likha jaye, balki aisi hai ki ise soch samajh ke hi likha jana munasib hai kyoki yaha par aap jaise mere favourite readers hain jo kahani ka operation karne ke liye baithe hain. Is liye main aisa kuch bhi nahi likhna chaahta jo bematlab ho aur jo aap logo ki ummido par khara na utre....
Bilkul sahi kaha ki situation jaisi ki taisi hai abhi bhi. Halaaki ab situation me kuch changes aa gaya hai. Kahani me saajishkarta ka abhi tak pata nahi lag saka iski vajah samajh hi gaye honge. Sirf shak ke adhaar par kuch bhi nahi kiya ja sakta tha. Ya to koi thos pramaad ho ya fir kuch aisa ho ki dushman ka koi clue mile joki abhi tak mila hi nahi tha. Zaahir hai dushman behad shaatir hai....
Kusum ka maamla nihsandeh afsosjanak raha. Rahi baat uske bhaiyo ka kayakalp hone ki to iska pata aane wale samay me hi chalega...
Sahi kaha, shuru se hi is samaaj me mardo ka hi bol Bala raha hai aur mard ne kabhi ye pasand nahi kiya ki ek aurat jaat us par hukum chalaye ya fir wo khud mard ki tarah har activity me hissa le....
Bhai bura lagne wali baat hai hi nahi, aapne wahi kaha jo aapne mahsoos kiya aur main khud bhi aapki baat se sahmat hu. Khair, kahani me Dada thakur ki haweli me shauchalay ki byawastha hai aur sahukaaro ke gharo me bhi lekin ye log fir bhi baahar hi shauch kriya ke liye jana zyada sahaj samajhte hain. Ye kahani to khair purane samay wali hai jabki hamare idhar gaav me aaj bhi zyadatar log lota le kar baahar hi shauch ke liye jate hain. Main khud bhi jab gaav jata hu to dosto ke sath baahar hi jata hu shauch ke liye, halaaki ghar me bahut pahle hi iski byawastha kar di gayi thi. Baahar shauch ke liye jane me ek alag hi feel hota hai
Jisne shuru se hi hawas ka daaman thaam kar aurto ka maza liya ho uska badalna itna asaan nahi hai. Anuradha is kahani ki aham kirdaar hai aur vaibhav ke andar uske prati kucu aise ehsaas jaagrit huye hain jo iske pahle kabhi kisi ke liye nahi huye the. Ab dekhna yahi hai ki aane wale samay me ye ehsaas usme kaun sa pariwartan laate hain....
Aapne bahut aage ka soch kar dono naayikaao ka vishleshan kiya hai joki maujuda situation me aapke nazariye se sahi bhi hai lekin aisa tabhi hoga jab situation isi tarah bani rahe. Main aisa is liye kah raha hu kyoki kahani me aage bahut kuch aisa hone wala hai jaha par sambhav hai aapki raay badal jaye....
Vaibhav ki bhabhi filhaal to uski bhabhi hi hai....use aap kis tarah se jodna chaah rahe hain inke beech
Mera khayaal ye hai ki is tarah ki sameeksha har reader ko karni chahiye kyoki aisi hi baato se lekhak ko in baato ka waastvik bodh hota hai ki usme kya kamiya hain aur use kahani me kin cheezo par dhyaan dena chahiye. Yaha to zyadatar log nice update likh kar nikal lete hain. Main ye hargiz nahi chaahta ki log bematlab lekhak ki tareef kare...balki main ye chaahta hu ki har reader lekhak ko uski kamiyo se rubaru karaaye taaki wo apni kamiyo ko door kar ke unke saamne behtar kathanak pesh kare....khair koi baat nahi, aapki ye sameeksha mere liye bahut maayne rakhti hai. Meri is kahani me kuch time chune hi bhai bandhu hain jo behtar sameeksha karte huye mujhe meri kamiyo se rubaru karaaye hain aur yakeen maaniye mujhe sirf unhi ki sameeksha ka shiddat se intzaar rahta hai.... Sabse pahle mere bade bhai sahab
SANJU ( V. R. ) Bhaiya aur
kamdev99008 bhaiya, ye dono shuru se mere sath hain....wakt ke sath is list me
Death Kiñg bhai bhi add ho gaye. Death King bhai badi bariki se kahani ki sameeksha karte hain....waise shuruaat me ek maharathi aur the
404 aka firefox bhai lekin aaj kal unki activity behad hi kam hai...i really miss him. Well shukriya bro...