dear shubham ji,
aapne gajab hi kar diya is kahani mein... i mean mere paas itne acche shabd hi nahi hai jo aapke dwara likhi gayi kahani ke saath nyay kar sake.
maine 'ek naya sansaar' shuruaat se ant tak padhi hai...ek ek update ka besabri se intezaar rehta tha... aur kabhi jab late hota tha to dil bhi tut jata tha...but phir ye baat bhi mehsus hoti thi ke nahi yaar itni gehrai se ek-ek baat ko likhna koi choti baat nahi hai.........isme bahot samay lagta hai....aur dimag bhi bahot lagana padta hai.....likhi likhayi cheez ko padh lena aur us par comment kar dena bahut aasan hota hai....but ek kore kagaz par ek patkatha taiyaar karna.... kahani to bahot writers likhte hai...but kuch chuninda kahani hi us mukam par pahuch pati hai jo pathako ka raat ko sona bhi dushwaar kar de.....
ek acche lekhak ki yahi pehchan hoti hai ke wo shabdo ke prayog se kahani nahi balki ek naya sansaar bana deta hai...... iske ek - ek kirdaar / paatr se itna lagav sa ho gaya jaise ki ye koi kore kagaz par likhe kuch shabd na hokar balke jite jagte insaan ho. main is kahani ko apni pratikirya pradan kar aapki mehnat ki hosla afzayi karna chahta tha.....koshish bhi ki par meri id mein kuch samasya ke wazah se meri comments post nahi ho pa rahi thi....
hum bharat ke logo mein ke bahut badi kami hai kuch kami ho to 100 log khade ho kar uski kamiya ginna shuru kar dete hai, par jab koi accha kaam ho to chup chap ho kar mook darshak ban jaate hai aur jab tak koi na toke to jaise ki sabne maun dharan kar rakha ho, jaise ke sab bade rishi mahapurush ho aur apni ahmiyat darshate hai....ye cheez maine sirf aapki kahani ki hi nahi balke baaki lekhak bhi is ke liye pathako se anurodh karte rehte hai... ki bhai kahani ke prati apni bhi kuch jimmedari nibhao....
muzhe iss baat ki bahot hi kushi hai ki aapne apna waada nibhaya ......aapne apne pathako ka pura samman rakhte hue is kahani ka ye bhaag apne waade ke anusaar nirdharit samay seema mein pura kar diya..... aur sirf pura hi nahi kiya .....my god ...aag laga di ..... jab iss bhaag ki smapti hui to muzhe dukh bhi bahut hua -------par agle bhaag ki prati utsukta bhi itni bhadi hui hai ke aage pata nahi viraaj ki jindagi mein kaya hone wala hai..... ek baar to meri saanse hi ruk gayi thi jab ritu ko goli lagi.... muzhe padhte padhte itna gussa aya ke agar ritu ko kuch hua to main ye kahani yahi padhni chod dunga..... par phir uss update ko padhne ke kuch samay ke paschayat muzhe ehsaas hua ke yaar jab lekhak ne kahani is tarah sabdo ke jaal mein piroyi hai to kuch soch samajh kar hi kahani ko mod dene ke liye hi ye raasta akhtiyaar kiya hoga..... but that day i realised the potential of your writing, the kind of potential and power that with some ordinary words you can impact my breathing and my heart beats. and this is what truly matters to the writer, and this is what every writer wishes to accomplish by his writing that he can touch the emotion in the heart of it's readers.
i loved every bit of your masterpiece story....muzhe kabhi kabhi aapke banaye kirdaar so itna apnapan sa lagta hai ke kash ye sab asli ho main bhi in logo ki jindagi ka hissa ban jau. kabhi kabhi to khali time mein jab muzhe aapki kahani par dhyan chala jata hai to main apne aap ko kahani ke kirdaar / paatro se jodne ki koshish karta hu. har ek paatr ki itni aham bhumika hai ke bina ek ke ye addhuri si jindagi lagti hai...
love you bro .... love your writing.... and i wish ke aap aise hi hamare liye apna kimti samay nikal kar apni kahani, apne adbhut hunar ke dwara humse judey rahe aur hamara dil behlate rahe.
and i also want to mention this thing particularly about your story or your writing style when ever you show the conversation between characters and mean while one of them receives a phone call you write something like .. " udhar se kuch kaha gaya". I don't know why but when ever i read this bit i always got goosebumps or i got some kind of funny feeling.....iss baat ko padhne ke baad muzhe har baar hasi si aa jati hai...
good luck for your future projects......and hope to see you soon....
particularly missing ritu and "ha nahi to".
********
to bhai jitna jaldi se jaldi ho sake dobara se baghel pariwaar se mukhatib hone ka avsar pradan kare ...
ye review maine kahani ke samapti par likha tha .. aaj ise dobara se repost kaliyer raha hu .. socha aapka bhog lagwa du .. kya pata aap kush ho kar fir se likhna shuru kar de ...