Riky007
उड़ते पंछी का ठिकाना, मेरा न कोई जहां...
- 19,343
- 40,105
- 259
Russia, इंतकाम...Episode 22
sardar: beti inhe kuch hone na paye.
Sardar ke kehne par do admi Sam ko uthkar usi jhopde me lekar aate hai jahan use hosh aaya tha..
next continue.....
Kai hafto se Anaya Ema archana ..anvi aur uski teeno friends par najar rakhi thi...in hafto me teeno ko kuch pata nhi chala tha anvi ke bare me ...anvi jyadatar samay Ghar hi rehti brown Sam ke pass agar brown sam ke pass wo na hoti to Meghan kaya jin sung me se kisi ko chhor deti..jo Sam ka khayal rkhti..har week anvi teeno ke sath brown Sam ko lekar hospital jati thi..yahi anvi ka routine tha.
Aaj bhi anvi Sam ko Le Jaa Rahi thi ki piche se use akanksha awaj deti hai.
Akanksha: Kaha jaa Rahi hai anvi di bhai ko lekar.
anvi: Sam ka check up karane.
akanksha: mai bhi chalun di.
anvi muskura kar haa me sar hila deti hai.
anvi: gyz tum me se koi dusri car se ajaye.
kaya: mai yahi ruk jati hon kuch hi der ki to baat hai.
anvi: thik hai tum room me jao
kaya wapas palat jati hai.
dur khari Anaya sab notice kar rahi thi.
Anaya: unme se aek yahi ruk gayi hai ema.
Anaya ke kaan me aek choti si Bluetooth lagi thi jis par wo baat kar Rahi thi.
Ema : agar wo hamare Kam ki hai to mai anvi ke piche nhi jati.
Anaya: haa ye asan shikar hai.
archana: thik hai ham aa Rahe hai.
OKay bolkar Anaya kaya ke room ki taraf chal deti hai.
room ke samne akar dekhti hai Anaya to room lock hota hai andar se...ye dekh Anaya sochne lagti hai.
Ema : ham Ghar me agaye hai.
Anaya: wo apne room me lock hai ise bahar kaise nikalu.
archana: soncho kuch.
good morning Anaya.bella pass se guzarte hue boli.
Anaya: good..hey gyz I get the idea.
Anaya: Bella listen.
Bella pass akar: hmm what happened..well apne apni nas kyo cut ki thi.
Anaya : batate hue odd lagega.
Bella: dipression.
Anaya: how intelligent you are .
Bella: really odd hihihi
Anaya: hehehe....you know Bella competition me participate karne ke liye marsal arts ana kitna important hai..kya pta hame kisi se larna parh jaye.
Bella : mamma ne bhi bataya tha is bare me but mujhe to marshal arts aati hi nhi.
Anaya sad face bana kar: opps kahi tum elemente na ho jao so sorry.
Bella : noooo Anaya apko ati hai na to mujhe sikhao.
Anaya : mujhe nhi ati bella warna Mai sikha deti.
Bella: aap jhut bol rhi Maine apki profile me dekha tha apko aati hai.
Anaya: ha aati hai but us level ki nhi aur mai abhi dipression me chal Rahi hon aese kaise tumhe sikhaungi..but there is someone jo tumhe kam samay me well trained kar degi.
Bella khush hote hue: kon hai jaldi bataye.
Anaya: anvi ki friend but tumhe use request karke manana hoga..aur Han abhi se apni training start kar do..
Bella : ha mai karungi jaldi bataye konsi wali friend.
Anaya: uska naam kaya hai aur ye uska room hai.
Bella : thank you so much anaya.kehte hue Bella Anaya ko hug karte hue chicks ko choom leti hai.
Anaya: hmmhmm thik hai ab jaldi se jao aur abhi se apni training shuru karne ka kaho use.
Bella : hmmm..khush hoti hui Bella Kaya ke room ka door pitne lagti hai aur Anaya wahan se hat jati hai.
Ema: really great plan hope ye kam karega.
Anaya: yeah..abhi tum dono security ke sath ghul mil jao wo bella use lekar park me hi ayegi.
kuch der baad bella Kaya ke sath aati dikhti hai.
Anaya: gys wo arahai hai colorofrom tayar hai.
archana: ha .
Anaya: juice me milakar de Dena.
archana: thik hai.
kaya Bella ke sath park me aati hai use do teen moves bata kar khud bench par baith jati hai.
kuch der baad archana servents ki dress me juice lekar kaya pass rakh deti hai.
Bella : hey servent one for me.
kaya: kya larki hai.
archana: okay mam.
kaya juice uthate hue: tum abhi practice Karo samajh gayi.
Bella: Mai thak gayi hon teacher hehehe.
Kaya juice pite hue: mai chali jaungi Bella.
Bella : sorry sorry practice ke baad.
Kaya: tum abhi Tak gayi nhi.
archana: mujhe laga wo memsab bhi.
kaya: no you can go...age kaya kuch keh pati ki behosh ho jati hai..
archana: Anaya ab jaldi se Bella ko sambhalo...Ema tum mere pass aao.
Ema : mai aa Rahi hon.
Anaya: pahuch gayi hon.
archana juice ka glass rakh kar idhar udhar dekhti hai.kisi ko na pakar apni dress ko khicnh kar utar deti hai jiske andar bhi usne aek dress pehni hoti hai.
Anaya jaldi se Bella ke pass akar use moves batate hue uski peeth kaya ki taraf kar deti hai.
Ema park me car lagakar archana k pass ati aur kaya ko uthakar car me dalti hai.
Ema: Anaya ajao use hamne car me daal liya hai.
Anaya: acha bella tum Karo mai aati hon.kehte hue Anaya Jane lagti hai.
bella: ye teacher kaya kaha gayi.
Anaya: shayad wo chali gayi tum practice karti raho..
kehkar Anaya car me akar baith jati hai.
teeno car lekar archana ki academy me aate hai..archana Ema milkar aek chair se kaya ko bandh deti hai..
Anaya: hosh me Lao ise..
Archana clouroform ka antitode kaya ki naak par rakhti hai kuch sanse andar khichne ke baad kaya kasmasake uth jati hai..
apne samne anaya Ema archana ko dekh kaya thodi si hairan ho jati hai wo uthna chaahti to use janzeero ka ahsas hota hai.
kaya: galti kar rahi ho Jane do mujhe mai anvi se kuch nhi kahungi..
Anaya: mere sawalo ke jawab de do jane dungi...wo Sam ka ham shakal behrupiya kon hai..aur anvi itna kaise badal gayi.
kaya: Mai nhi janti..
kaya ke jawab par Anaya ankho se Ema Ko ishara karti hai..aur Ema buri trah se kaya ko dhone lagti hai.
kaya: aaaaahhh..iska badla milega tumhe..anvi tum me se kisi ko nhi chhoregi.
kaya ki baat sun archana kaya ke baal pakar ke de dana dan mooh pe punches Marne lagti hai..itna jyada pitne se kaya ki naak aur mooh se khun nikalne lagta hai...
Anaya : bata do chhor dungi..
Anaya ke jawab par kaya middle finger dikha deti hai..
Ema: ye aese nhi manegi..archana jao lekar aao..
kuch der baad archana aek bottle lati hai jispe acid likha hota hai..bottle dekh ke kaya ke chahere par pehli bar dar ki lakire numaya ho jati hai.
Anaya : hame majboor mat Karo..
kaya koi jawab nhi deti..
Anaya: daal do iske mooh par Ema..
bottle lekar Ema jaise hi Marne ko hoti hai kaya cheekh padti hai..
kaya: rukoo mai sab batati hon.
Anaya : anvi itna kaise badli..uski ankho me mujhe berhmi dikhti wo to aesi nhi thi..
kaya: uska naam Rocky hai uska adda space me hai wahi se wo ham sabko control karta hai..mujhe jin sung Meghan ko usne kisi na kisi trah se apne jaal me fasaya ham bas teen nhi hamare jaisi hazaro larkiyan thi jinhe Rocky kidnap karke space me laya tha kuch ke sath intimate hota to kuch ko apne kaam ke liye chun leta..aese hi wo anvi ko space me laya tha...aek saal tak anvi space ke aek chhote se room me rehkar Rocky ke samne haar gayi thi Rocky ne anvi ke samne Sadi ki shart rakhi thi aek saal baad Rocky aya..
Rocky : to kya soncha hai tumne..
anvi: mai tayar hon.
Rocky: bhut khub samajhdar ho tum..lekin mai abhi tumse kuch kaam lunga meri Jaan..
aur Rocky anvi ko lekar space se earth par apne jamini adde par aata hai..ye aek mahal tha itna bada ki yahan hajaro log rehte thy.
anvi: yahan kyo laye rocky..
Rocky : yahan tumhari training hogi anvi..
Rocky alag alag desho se ladkiyan kidnap karta aur unhe is mahel me lekar aata tha ..is mahel ke charo taraf itni jyada security thi ki jitno ne bhi bhagne ki kosish ki wo sab mare gaye...wo yahan larkio ko jasus , katil ahsas se aari banata tha..
training me hi Maine anvi ko dekha tha...hame sword training gun chalana jasusi ki training Dene ke baad Rocky ne hamara muqabla rakha... training ke baad ham bas 16 girls hi reh gayi thi..aek ring me ham sabhi girls ko sword ke sath Rocky ne utar Diya fir us ring me 30 kale mardo ko sword ke sath utar Diya.is alaan ke sath agar Zinda rehna hai to inhe marna hoga..
us din khuni muqabla hua wo 30.kale.nigro aur ham 16 girls..us din anvi ne akele 15 nigro ko kata tha.wo pehli bar tha jab khun dekhkar anvi usme kho gayi thi.
is ladai me ham bas 4 girls hi bachi thi 12 girls Mari gayi thi..
ladai se Rocky bhut khush hua tha.
agle din fir fight hui is baar Rocky ne ham char girls ke muqable me 30 mrdo ko utara...
bhut khuni ladai Hui jisme Mera kandha zakhmi ho Gaya tha Marne wali thi anvi wo un nigro ko marte hue ye bhul gayi thi ke uske samne uski hi sathi hai..
Meghan: tumhe kya ho Gaya hai ye hamari hi sathi hai.
anvi: ye Maine kya kar Diya..mai aesi bilkul nhi hon.
Jun sung: ye darinda hai rocky vaisa hi hame banana chahta hai.
Meghan: gys yahan se bhagne ka plan Karo
Kaya: kaise niklenge itni jyada security hai aur hamare pass se ye sare hathiyar le lenge.
anvi: kaya Mai tumhe aa rahi hon tab tum ye Chhota sa knife mere breast me daal Dena.
ham charo ladte hue hi baten kar rahi thi mere ghayal hone ke baad wo teeno mujhe protect kar rahi thi.
anvi: 4 hi bache hai sambhalo inhe mai kaya ke pass jaa Rahi hon.
ladai chhodkar anvi mere pass ati hai aur aek lash se kapra utr kar mere kandhe par bandhne lagti hai aur sabse bachkar mai knife anvi ke sine me rakh deti hon.
ladai khatm hoti hai aur ring me rocky akar hamari tareefe karne lagta hai.aur fir agla muqabla announce karta hai aesa karke Rocky hamari takat dekhna chahta tha.
agle muqable me 50 fighter they ham charo pehle hi thak chuki thi lekin jaan bachane ke liye fir Ladi aur jiti bhi..
Anvi ka plan tha Aaj raat hi nikalne ka isliye ham charo us raat soye nhi..
ham teeno raat me anvi ke pass aye jo hamara hi intejar kar rhi thi.
anvi: mai kisi ko lene Jaa Rahi hon.
Kaya: aur kon jaa Raha hai hamare sath.
anvi: baad me batungi tum log gate ki taraf jao..
Ham nikal Gaye kuch der baad anvi hamse akar mili scientist boy ke sath..ise bhi hamari tarah hi rocky lekar aya tha.
us raat aek chhote se knife se anvi ne 120 pehredaro ko mara tha ki tabhi kahi se Rocky agaya aur usne scientist ko pakarkar uske gale par sword rakh di.
Rocky: tumhe warn Kiya tha Maine lekin tum mani nhi..
anvi: plz ise kuch mat Karo Rocky.
scientist: tum jao anvi plzz..anvi.
anvi: tumhe chhor kar nhi..
Rocky: to tumhari Jaan is scientist me hai vaise mujhe tumhari is himakat par tumhe maar Dena chaiye lekin tum charo ko mai chhor Raha hon tumhari bahaduri ke liye..le jao is scientist ko aur aesi jagah kaid karo jahan tak koi na pahuch sake..
anvi khun me latpath thi lekin ye khun usne apni marji se nhi kiye they bas apni ajadi ke liye kiye they.
ROcky: ab se tum wahi karogi jo mai kahunga..
wo scientist anvi ka dost tha ya usse jyada mai nhi janti lekin anvi uske liye Rocky ki baat manne ke liye tayar ho gayi thi.
uske baad Rocky ne hame misson dena shuru kar diye ..ham jasus they ham Kai jabane jante they koi bhi roop le sakte they kisi bhi Desh me Jaa sakte they aur koi bhi ho sakte they..
Rocky hamse ache logo ko hi marwata tha ham uske qatil they.
ema : ache log matlab.
kaya: for example people like che gurera..hamne bhut se mission kiye aur kabhi nakam nhi hue Kai baar jail bhi Jana pada..lekin kaise bhi karke ham Bach nikalte kabhi koi bachane agaya kbhi kisi aur raste se.aese hi rocky ne hame aek mission diya wo pehli baar tha jab ham nakam hue they.
Uska asli naam nahi janti lekin usne apna naam inteqam bataya tha wahi hame scientist Mila tha..
ham teeno chale gaye they anvi russia me hi ruk gayi thi inteqam ke pass.
Anaya bich me rokte hue: kab ki baat hai ye..
kaya: Kai saal ho Gaye...
uske baad ham Japan aaye aek mission par aur fir ham anvi se mile lekin ye wo anvi nhi thi usme pehle jaisi haiwaniat fir agayi thi ..wo apne maje ke liye kisi ka bhi khun kar deti thi aur behte khun ko baithkar niharti thi..use dekhkar ham bhi dar jate they Dil naam ki chiz Anvi kahi piche chhor aayi thi
Kaya: tum yahan kab aayi anvi.
anvi: kafi samay se hon maybe year.
FIr yahi aek din Sam aaya tha us par attack bhi hua tha ..uske baad Mai aur Meghan yahan Sam ko bachane agaye tumse.
anaya: anvi ne Sam ke Japan aane ki baten kyo chupai mujhse.
kaya: mujhe nhi pata..
Archana: Anaya recieve kar lo kafi der se vibrate ho Raha hai.
ANaya: anvi hai..
Kaya: ab mujhe Jane do anvi bhi tumhe call kar rahi hai.
anaya: akhiri sawal wo behrupiya kon hai.
kaya: Mai nhi janti.
anaya : dal do iske mooh par.
Kaya: nhiii rukoooo...Ema ko acid dalta dekh kaya chikh parti hai.
kaya: jis raat Dubai se anvi India aayi thi tab Maine ise anvi aur sung ke sath dekha tha.
anaya: date.
Kaya: 15 may.
anaya: yani ki party wali raat..aur usi raat wo Ghar aayi thi...aek bat batao jhut bola to sach me acid dal dungi Mai...us behrupiye ka blood group Sam se kaise match kar sakta hai.
kaya: wo clone hai Sam ka bas itna hi janti hon.
Archana: wtf ye technology kab devloped hui.
Ema: can't believe..
kaya: kuch devlop country ne clones banana shuru kar diye hai.
anaya: Sam ko kisne mara..plzz.
kaya: Mai nhi janti..mai sach keh rahi hon..
anaya: kaha na batao warna Mai acid dal dungi.
Kaya: mai sach keh rahi hon jitna pata tha tumhe bata chuki hon..Maine Sam ko bachaya tha tum badle me mujhe ye sila dogi.
anaya: tum sach keh rahi ho.
kaya : ha jo janti thi sab bata di.
kaya ki baato se any pighal jati hai aur baj rahe phone ko recieve kar leti hai.call.anvi kar rahi thi.
anaya: hmm.
anvi: kaya ko kuch hua to apke sath acha nhi hoga.
anaya: mai use lekar aa rahi hon.
kehte hue Anaya call cut kar deti hai.
anaya: chhod do ise.aur anaya Ema ke hatho se bottle lekar pine lagti hai.
kaya : ye acid nhi hai.
Anaya: ham tumhari tarah nhi hai.
khulte hi kaya room se nikal ke bhag jati hai.
ema: bhut bada game hai any jisme tumhari bahen bhi shamil hai.
archana : any ab anvi tumhari bhen nhi hai kaya ne bataya na kitni khatarnak hai wo.
ema : pehle bhai ko kho baithi ab Sam ko ye mere sath kyo hota hai..ema ghutno par ajati hai.
Archana: ab tum kya karogi any asli qatil ko anvi hi janti hai.
Anaya: wo meri choti behen hai mai kaise use force kar paungi...jab bhi uska pyara sa chahera dekhti hon to mujhe wahi anvi dikhti hai Jo di di kehkar meri ungli pakar ke chalti thi..Anaya ro Rahi thi.
ema: archana sahi keh rahi hai wo ab tumhari bahen nhi hai any Sam ke qatilo tak hame anvi hi le jaa sakti hai.
anaya jawab diye Bina bahar ko chal deti hai aur uske pichhe Ema aur archana bhi..
ema aur archana ko base par chhod Anaya car lekar Ghar aati hai.
ghar par guest hote hai Anaya ko anvi kahi najar nhi aati.
kuch sonchkar Anaya anvi ke room ki taraf chal deti hai.
room khula hi tha.
anaya andar jati hai to jin sung Kaya brown Sam Meghan anvi sab bad par baithe hote hai.kaya ko first aid di hui hoti hai.
anvi : meri friends se door rehna apki jagah koi aur hoti to..
anaya: to use maar deti.
Anvi: Mera mood thik nhi hai jao di yahan se.
anaya: tumne mujhse kitne jhut kahe mujh par hath bhi uthaya ziyan bhai ne kya kaha tha yaad hai.
anvi: I'm sorry you can please go now.
anaya: mujhe janna hai anvi Sam ko kisne mara aur tumne unka sath kyo diya..koi jhut nhi anvi.
anvi: di kuch Raz ese hote jinhe jankar sirf takleef hoti hai.
anaya: mujhe janna hai anvi.
anvi: jai di yahan se.
anaya anvi ke jawab par gusse me chalkar uske samne khari ho jati hai.
anaya chikhte hue: Maine kaha na mujhe janna hai Sam ko kisne mara..kehte hue anaya anvi ka gala pakar ke use tang deti hai.
gala ghutte hue anvi apne hatho se apni teeno friends ko rukne ka ishara deti hai.
anvi : aaahh chhor do di mai dubara nhi kahungi..
anaya: qatil bata mujhe Sam ko kisne mara..
anaya ke kehne par agle hi pal anvi apne apne dono hath Anaya ke Kano par Marti hai fir apna sar piche lejakar apne sar Anaya ke mooh par agle hi pal hawa me kalabajiyan khate hue anvi apne dono ghutne Anaya ke sine me..
dhmmmmmmm..ki awaj ke sath Anaya jameen se jaa lagti hai.
kuch seconds to Anaya ko hosh Ane me lag jate hai anvi ke aek hi war se Anaya ka pura sharir dukhne laga tha.khade hote hue wo Anvi ko dekhti hai Jiska chahera expression se Khali hota hai.
aaaaaaaa....chikhte hue Anaya anvi par jhapati hai..aur aek saath teen kick anvi ke Marti hai anvi piche hote hue bad par Sam ke upar girti hai.
bhut hua...uthkar anvi marne aa rahi Anaya ke hath pakar ke ghuma deti hai..
aaaaaaaaaa...hath Teda hone se Anaya buri tarah chikhne lagti hai..
ye dekh Anaya anvi ke baal pakar ke diwar par uska sar marti hai bar bar..is wajah se uska hath anvi ki pakar se chhut jata hai.
hath chhorte hi anvi Anaya ke pet par kick marti hai Anaya piche ko jakar girti hai.
Anaya ko girta dekha anvi bhagte hue jump karke Anaya par war karti hai.
Anaya pehle se tayar hoti hai apne upar aa rahi anvi ko apni tango se kick markar door ke pass fekti hai..fir uthkar bhagte hue jump karke anvi ke punch Marne jati to anvi apni tango me Anaya ki gardan fasakar darwaje ke bahar fekti hai.
aaaaaaa...Anaya sidhe grill me jakar lagti hai aur dard me uski cheekh nikal jati hai.
chalti Hui anvi Anaya ke pass aati hai ab Tak Anaya bhi sambhal gayi hoti hai..
anvi apni hatheli Anaya ki gardan par Marti hai lagne se phle hi Anaya apni hatheli se rok leti hai.
kafi der Tak dono light ki speed se aek dusre par attack karti aur block karti..
larte hue dono stairs ke pass agayi hoti hai.
Any diii.. akanksha chikhte hue dono ke pass upar bhagte hue aane lagti hai.
Niche hall me sabhi guest dono ko larte hue dekh rahe they.
akanksha ki awaz se Anaya ka dhyan bhatakta hai jiska fayda anvi uthate hue anvi double kick udkar Anaya ke sine me marti hai.jisse Anaya stairs par akar girne se ludakne lagti hai..double kick marne se anvi bhi niche girkar ludakne lagti hai ..khud ko sambhalkar anvi khari hoti hai aur niche gir Rahi Anaya ke pass Jane lagti hai....
bich me akar Anaya bhi ruk jati hai aur dard me karahte hue sidhi hone lagti hai..anaya ke sar se khun nikalne laga tha..
PAss akar leti Hui Anaya ke anvi apni leg ko apne sar jitna utha kar Anaya ke face par Marti hai.anaya lagne se phle hi pakar leti hai uthate hue anaya apne pair se stair par rakha anvi ke pair par pair marti hai jisse anvi barabr wali stair par girti hai ludakne se phle hi anvi Anaya ke baal pakar leti hai jis wajah se anaya bhi sath me ludkane lagti hai..
dono behne ludakte hue niche AA Rahi hoti hai ki akanksha gir Rahi anvi ko sambhalte hue rok leti hai.
Akanksha chikhte hue: ye kya kar rahi hai aap dono..
rukne se dono behne karahte hue khari hoti hai..
khare hote hi dono behne larne ke pose me ajati hai.
ye dekh akanksha dono ke bich me akar khari ho jati hai.
akanksha: any di..kyo lar rahi hai aap.
Anaya: akanksha Sam mar chuka hai aur jo yahan hai wo uska clone hai..jise ye layi hai aur yahi janti hai Sam ko kisne mara..us din..karahte hue Anaya blue mountain par Jo hua sab bata deti hai.
akanksha ghumte hue: ye sach hai anvi di..akanksha ki ankhe nam ho gayi thi anaya ki baton se.
anvi: tum kiski baton me arahi ho Sam wo Raha samne .anvi stairs ke upar khare brown Sam ki taraf ishara karti hai..
anvi: ye pagal ho gayi hai akanksha isliye behki behki baten kar rahi hai inhe yahan se le jao jakar kisi psychiatrics ko dikhao.
anaya gusse me : tune mujhe pagal kaha...mai Teri Jaan le lungi anvi.
akanksha: shut up di..aapko sach me Dr. Ki zarurat hai ab apne larai ki to meri lash par hi karna.
anaya: akanksha tum kiski baton me aa Rahi ho ye evil hai.
anvi: abhi to Maine tumhe apne andar ke evil se milaya bhi kaha hai Jaan leti to ye khne ke liye Zinda nhi bachti.
anaya: dekha akanksha ye meri anvi nhi hai..anvi ki baton se any rone lagi thi.
anaya: akanksha uska colour dekho hamara Sam meri tarah gora ho Gaya tha jabki ye brown hai..
akanksha: bhai ke treatment ka asar khatm ho gya ho shyad di..
anaya: apne Dil par hath rakh kar batao akanksha iske pass se tumhe kabhi Sam ka ahsas hua ...
Anaya ki ankho se chalakte ansu akanksha ko us par believe karne par majboor kar rahe they.
ankhe band karke akanksha apne Dil par hath rakhti hai aur un sabhi lamho ko yaad karne lagti hai Jo brown Sam ke sath guzre they wo lamha bhi yaad ata hai jab Anaya badhawas hokar kehti fir rahi kisi ne Sam ko maar Diya....sab yaad karke akanksha ghutno par baith jati hai use kabhi brown Sam ke pass se Sam ka ahsas nhi hua tha.
AKanksha : di bhai is dead..
anvi: akanksha tum bhi inki baton me aa Rahi ho.
Rote hue Anaya sar hila deti hai.lekin akanksha dekh nhi pati.
akanksha : bhai ne kaha tha jab mai Ghar par nhi rahu to tum sirf Anaya di par trust karna..di bhai nhi rahe sach kehna.
Anaya: ha akanksha aur Sam ki maut ki sajish me ye bhi shamil hai.
ANaya ka jawab sun akanksha wahi beshoh hokar gir jati hai.
dono behne jaldi se akanksha ko sambhalti hai .
anaya: hath hata anvi..
Stairs se uthakar Anaya akanksha ko niche lati hai..lita kar akanksha anvi ki taraf mudti hai..
nicole : any beta ruk jao Maine call kar di hai tumhari mom aati hi hongi.
Raman: please Anaya ham apne blood se nhi larte.
ravi: ha Anaya please.
anaya: mujhe janna hai apne Bhai ke qatilo ke bare me aur ap logo me se koi bich me nhi ayega.
durga: show fir se shuru hone wala hai ..
mostly rishtedar maje le rahe they.
Anaya: anvi.
stair par waps jate hue anvi ke kadam Anaya ki awaj par ruk jate hai.
Anvi: tum mujhe evil banne par majboor kar rahi ho .
anaya: mujhe janna hai Anvi..
anvi: fir mujhe maar do.
anaya : yahi sahi..kehte hue Anaya anvi ki taraf daud laga deti hai.
Apni taraf Anaya ko ata dekh anvi bhi daud laga deti hai.
Pass aane par dono behne jump karti hai.
dono ke pucnhes aek dusre ke sine par parte hai.aur dono jameen par girti hai..
khare hote hi anvi double kick khari ho Rahi anaya ke face par Marti hai..
aaaaaaaa...kick lagne se anaya glass ki table par girti hai..
bhagte hue anvi jump karke aek pair sofe par rakhti dusre ko morkar apna ghutna Anaya ki peeth par marti hai..
AAaaaa..ghutna lagne se Anaya ki aek cheekh nikal jati hai..
haar Maan lo di..anvi Anaya ke upar se uthte hue boli...
dhire dhire uthkar Anaya apne hatho me ghuse kanch ke tukre nikalti hai..aur wapas jaa rahi anvi ko dekh khari hokar bhagte hue anvi ke sar par double kick marti hai aur khud bhi gir jati hai.
kick lagne se anvi mooh ke bal jameen se jaa lagti hai..aur uski naak se khun behne lagta hai.
Furti se anvi khari hoti hai..
hip hip ho ho ...anvi ke mooh se nikalne wali awajo ko sunkar Anaya ko dhakka lagta hai..
Anaya janti thi ye wo awaje thi jab koi apne muqable me aye fighter ko jaan se Marna chahta ho..agle hi pal ..anvi ki chakhri se Anaya mooh ke bal girti hai.
FIr Anaya ke pass akar anvi Anaya ke baal pakar ke sar ko jameen par Marne lagti hai.
ye dekh Anaya apni kohni anvi ke mooh par marti hai..
langrate hue anaya khari hoti hai.apne mooh aur naak se nikal rahe khoon ko asteen se saaf karti hai.
Anvi bhi chalte hue anaya ke pass aati hai..
jaise hi Anaya punch bana kar anvi ke marti anvi Anaya ke hath ko pakar leti hai aur furti se anaya ki kamar par kick markar Anaya ko girkar ulti taraf ko Anaya ka hath ghumane lagti hai...
chrrr chutttttt..
Anaya: aaaaaaaa...hath ki hadddi tutne se anaya ki kano ko farne wali cheekh pure hall me gunj jati hai..
Bas karo anvi sab maje le rahe hai tum dono ko is tarah larte dekh... Nicole chikhte hue pass akar kehti hai..
anvi: haar Maan lo di..kehte hue anvi Anaya ke upar se uth jati hai.
anaya kuch nhi kehti bas uski ankho se ansu they aek to hath tutne ka dard tha dusra apni bahen ka..
ye kya Kiya tumne..anvi..Shivani chikhte hue Anaya ko tham leti.
Shivani:any meri bachi...koi Dr ko bulao.
anaya bhigti ankho se ulte hath se Shivani ka hath dabakar naa me sar hilane lagti hai..
shivani ke sahare se Anaya khari hoti hai.
anaya ke uthne par anvi satark ho jati hai.
nicole bhi akar Anaya ko Shivani ke sath Sahara Dene lagti hai.
anaya: mar gayi hon mai tere liye Aaj ke baad mujhe di na kehna.
anvi kuch nhi kehti na uski ankho me koi ansu hota hai.
shivani anaya ko chhor anvi ke pass aati hai..
shivani: anvi ye tune kya Kiya..kya kiya kya kiya...
chatakkk chatakkkk chatakkkk.
rote hue Shivani Kai thappar anvi ko maar deti hai.
shivani: tune apni bari bahen ka bhi khyal nhi Kiya..
chatakkk chatak chtakkk..Shivani bhut Marti hai lekin anvi kuch nhi kehti..
langrate hue Anaya Ghar se bahar Jane lagti hai.. Shivani Nicole bhut roktti hai lekin Anaya nhi rukti..
ghar se sidha Anaya base aati hai.anaya ki halat dekhkar Ema archana jaldi se uska ilaj karati hai...base ke hi doctor se..
AAaaahhh..
Leti raho..Anaya ko uthta dekh Ema use rok deti hai.
anaya: doctor kaha hai.
archana: ruko Mai lati hon.
kuch der baad archana doctor ke sath aati hai..
Anaya: Mera hath thik ho jayega Dr.
Dr.,: ha umeed to hai lekin aap ab isse bhari chize nhi utha sakti na larai kar sakti hai.
doctor ki baten sun kar Anaya ki ankhe fir nam ho jati hai..
aek mahine ke rest ke baad Anaya ke hatho ka paluster utarta hai...anvi se larhne ke baad se Anaya yahi thi usne Shivani ko call karke bata Diya tha ki wo apne friends ke sath reh Rahi hai..
kuch dino baad anaya base ki gym me aek waight wali machine uthati hai to uske hath me bhut tej ka dard uthta hai..
archana: any tumhe aur takleef hogi isse.
archana ko ignore kar Anaya fir kosish karti hai aur dard ki wjah se waight chhor deti hai.
archana: tum manogi nhi..
anaya nam ankho se naa me sar hila deti hai.
Archana: mere chini dad ne haddio ko mazboot krne ke kuch nuskhe bataye they ajmana chahogi.
anaya: kosish karne me kya jata hai.
archana: yahan nhi wo oil meri academy me hai..
dono base se archana ki academy me aati hai..
archana chini tarah se Anaya ke hatho ka ilaj karti hai fir aek khas oil se archana ko massage Dene lagti hai.
anaya: to tum yahan academy chalati thi pehle.
archana: ha Maine aur Sam ne yahan sath me kafi samay bitaya hai..
anaya: mai yahi rehna chahti hon ab tumhe koi problem to nhi.
archana : iska matlab tumhari security ke liye mujhe bhi rehna hoga... okay mam..
Ting ting ting..
phone bajne par Anaya speaker par daal deti hai.
anaya: ha mom kyo phone Kiya.
Shivani: kya mai ab tumhe phone bhi nhi kar sakti.
Anaya: please mom.. acha bataye akanksha kaisi hai.
shivani : wo vaisi hi hai us sadme se kaha bahar aayi na kuch khati hai na kuch bolti hai doctors bhi thak chuke hai tum ajao to shayad wo fir ji uthe.
anaya : Mai aayi to meri fir larai hogi us bitch se.
shivani : wo kaisi bhi sahi but tumhari chhoti behen hai .
Anaya: Maine kaha na wo mar gayi hai mere liye...Jimmy ne kuch bataya.
Shivani: nhi uske spy najar rakhe hue hai.
anaya : thik hai baad me baat karungi kuch pata chale to call karna.
Shivani: apna khayal rakhna.
anaya Bina kuch kahe call cut kar deti hai.
anaya : ho gayi malish.
archana: ha ab jakar aram Karo.
anaya : mai yahi practice karna chahti hon archana.
archana : thik hai us ema ko bhi bula lenge wo bhi achi fighter hai.
Himalaya.......
aaaaahhhhh sar ko pakarte hue sam ki aankh khulti hai ..
subh ho gayi thi chrihio ki kehkahane ki awaje puri pahadi me gunj rahi thi..
sam ko apne pairo ke niche kuch feel hota hai ..Thora dhar ko utha kar Sam dekhta hai ..aek ladki ke pair uske pairo ke niche rajai me hai jiska adha dhar rajai ke upar Sam ke pairo par tha.
Sam use uthata nhi khud uthkar us ladki par rajai dal deta hai..use ladki ka face bhi nhi dikta hai sar par kapde hone ki wjah se.
uthte hi Sam ko kadake ki sardi ka ahsas hota hai..
khud ko pattio me lipta dekh Sam sari pattiyan utar deta hai.andar se Sam nanga hota ye dekh wo pass rakhe kapre pahen leta hai.
Sam dekhta hai ki uske hath me take Lage hai..ghao kafi had tak bhar Gaya hai..hath ki haddi par mass fir se charh Raha hai.
sam man me: ye ghao kaise ye chot mujhe kaise lagi hai..aaaahhh mujhe kuch yaad kyo nhi araha..
kafi der Tak Sam khare khare apne bare me sochne lagta hai..
pyas lagne par sam pass rakhe jug me se Pani leta hai.. aur pi kar usi se na jane kya sonchkar mooh dhone lagta hai..
sam man me: mujhe aesa kyo lag raha hai jaise Maine ye phle bhi Kiya hai...jitna Sam sonchta utha hi uska sar dard se fatne lagta hai
mooh dhokar Sam ko kuch jyada hi thand lagne lagti hai wo fir rajai me letna chahta tha lekin na jane kyo larki ko dekh ruk jata hai ...
pass sirhane blanket dekhkar Sam use orh leta hai..
door aek pahari ke upar se Sam ko dhuan uthta dikhta hai..
Sam man me: wo log kaun they jo raat me inhe Marne aye..mujhe ye larki hi jawab de sakti hai..sonchkar Sam us jug se Pani ki kuch bunde lekar larki ke upar dalta..ab Sam ko us larki ka face dikhai deta hai..jis par Sam ki nigahe thaher si jati sote hue wo larki aur bhi haseen lag rahi thi uske chahere par bala ki inoncence thi..
Pani ki bunde Sam ki mutthi se nikalkar gir Rahi thi aur Sam us larki ko nihar Raha tha..
Ummmm...aek dil ko lubhane wali angdai lekar wo uthi..
Ata ayet sahb .uthte hi usne apni jaban me kuch kha.
Sam uski baten sun apna sar khujlane laga..
shayad wo larki samjh gayi thi..ki usne Jo abhi kaha Sam ko samjh nhi aya.
Sam: mai kon hon aur tum kon ho.sam ne hindi me pucha.
jise sun wo larki bhi apna sar khujane lagti hai.
Bina uttar diye wo larki Sam ke sine par hath rakh deti hai..
Larki in English: tum bechain ho dard me.
Sam us larki ne Jo kaha wo samjh Gaya tha lekin usi bhasa me jawab nhi de paya..use ye language Jani pehchani lag Rahi thi.
Larki in English: aapko English aati hai agar nhi bhi aati to mai apse man me baat kar sakti hon..but isse sirf apko kya chahiye kis cheez ki zarurat hai apke man me uthne wale vichar hi Jaan sakti hon bat cheet nhi kar sakti apki bhasa Jane Bina.
Sam in English: mujhe yaad nhi...kuch bhi.. tum janti ho mujhe..Sam ne kisi tarah English words mooh se nikale..
Sam ki baat sunkar larki apna hath hatana chahti to Sam pakar ke sine par hi rakh leta hai..Sam ko us larki ka chhuna bhut pyara lag raha tha..
Larki ye dekh muskura deti hai aur apna hath fir Sam ke sine par rakh deti hai.
larki: Mera naam siya hai..Maine hi apka ilaj Kiya tha apne tribe ke logo ke sath milkar..aap hame bhut buri halat me samundar me mile they..shayad jyada chot lagne ki wjah se apki yaddast chali gayi hai..kal raat apko 3 mahine 8 din baad hosh aya tha.
Sam hairani se : 3 mahine baad.kehte hue Sam apne hatho se apne sar aur darhi ke baal Chu kar dekhne lagta hai.mooh dhote samay Sam ne sirf ankhe dhoyi thi thand ki wajah se..
Siya : haa aam taur par jab kisi ki yaaddast chali jati to wo pagal ho jata ya fir bacho ki trah react karne lagta jo dusre log karte wo bhi vaisa hi karta lekin apko kudrat ne hamare liye chuna isliye memory lost hone par bhi apne un darindo se hame bachaya aur aap baat kar paa rahe hai....ap na hote to ham sab shayad mar jate..kehte hue siya ki ankhe nam ho gayi aur wo bare pyar se Sam ko dekhne lagi..
Sam: tumne kaha mai tumhe kahi Mila kya mai yahan ka nhi kal jinhone mujhe pakra unme se aek ne kaha ki mai tum me se aek hon.
siya : apna hath aage kigiye.sam ke kuch na samajhne par siya hi uska hath pakar kar khinch leti hai.
siya: is wajah se..
Sam : kya matlab..tumhara hath najuk hai chikna..jabki Mera sakht hai..
Siya muskurate hue : mai iski nhi rang ki baat kar rahi hon.
Sam : tum jyada Gori ho..
siya : hehehe yahi to keh rahi hon usne aesa hamari skin ke same hone ki wjah se kaha hoga warna to aap hame sea me mile they bhut buri halat me.wait..
kehte hue siya uthti hai aur pass me hi pare aek dabbe me se kuch nikalkar Sam ke pass ati hai..
Siya: ye bullet hamne apke sine se nikali thi Dil me lagne se bas Zara sa Bach Gaye they.
Sam : acha..Sam sochne laga ye kisne Mari hogi use jitna sonchta utna hi sar dukhta uska isliye wo sochna chhor deta hai...
Sam: ye sea kya cheez hai mujhe wahan le chalo..
siya Sam ki halat janti thi isliye kuch nhi kehti uth jati hai jiske sath hi Sam bhi.
Siya: apne ye kapre pahen liya..
Sam ke uthne par siya ko uske kapde dikhte hai Jo ki siya ke hi they.siya chaha kar bhi nhi hasti..
siya : batuuuuu....btuuuuuu..
ha choti sardarni (Batu ne apni jaban me kaha)...Kai awaje Dene par pass ki choti se Batu ki aawj ati hai.
Siya: aeda shab jeika.
siya apni jaban me mardo wale kapde mangwa rahi thi..
Batu : aya..
Sam : tumne inse kya kaha..ab se jo bhi kaho English me kehna taki Mai bhi samjh saku.
Siya: hamare siwa koi English nhi janta..
Sam : fir tum kaise janti ho..
siya: yahan aek Gore traveller couple aye unse sikhi aur bas hame hi aati hai pure tribe me.
Sam : acha..
kuch der baad Batu kapde lekar ata hai.
Batu aate hi bade Gaur se Sam ko niharne lagta hai..
siya: kapro ko lekar hasna nhi Mai baad me sab bataungi..Batu bhi sar hilkar hami bharta hai aur kapde rakh kar Sam ke gale lag jata hai..
siya: tum jao Batu bad me ana.sam ko chumkar Batu chala jata hai.
Sam : ye isne kya kiya.
siya: kal apne hamari Jaan bachai thi us wjh se hamare tribe ka ye tarika hai thanks khne ka.
Sam : to tumne mujhe is tarah se thanks kyo nhi kaha.
Siya: haynn.ye sirf males karte girls nhi vaise bhi hamare tribe me shadi se phle praye mard ke gale lagne par pawndi hai.
Sam: mujhe laga tum bhi karogi isliye puch baitha..
siya: aap kapde badlo fir ham bahar chalte hai..fir siya kapde pahnne ka tarika Sam ko batane lagi..
Sam : mai kar lunga..kehte Hue Sam Siya ke samne hi nanga hone lagta ye dekh siya muskurate hue chali jati hai.
siya: mai bahar intejar kar rahi hon.
kuch der baad Sam kapde badal kar siya ke pass ata hai.
Siya: ruko blanket le lete hai.
Andar akar siya blanket leti hai aur fir lakar Sam ko urha deti hai.
Sam : tum bhi ajao andar.
siya : nhi Mai thik hon..Maine andar garam kapre pehne hai yahan rehte hue hamari adat bhi par gayi hai..
siya aur Sam dono chattan se utarke niche aate hai...
Niche bhut se log choti choti pahadio ke bahar khare they Kai lashe pari thi jinhe uthaya jaa raha tha ...sab dekh kar siya ki ankhe nam ho jati hai.
siya apni bhasha me: baba kha hai.
Batu: un darindo ki lashe jala rahe hai.
siya ki awaj par sabhi tribe ke log Sam ko dekhte hai..Sam ko dekhte hi sabke dukhi chahere par halka sa marham lagta hai.
mard akar Sam ko gale laga kar chumne lage.
aek aurat ka beta mara tha wo bhagte hue Sam ke pass aati hai aur Sam ke chahere ko hatho me bhar leti hai Mamta bhari najro se wo Sam ko niharne lagti hai...
aurat: kisne kaha Mera beta mar Gaya dekho ye hai wo.. ab se tum mere bete ho..bolo ho na mere bete.
siya translate karke Sam ko batati hai.
Siya translate na karti tab bhi Sam us aurat ki aahon se uski baten samjh jata..
aurat ko dekhte hue Sam sar hila deta hai.ye dekh aurat Sam ko apne sine se laga kar rone lagti hai.
Siya : sab log hat Jaye abhi ye puri trah se thik nhi hai..
sam to nhi samjha tha lekin siya ke kehne se sab log door ho jate hai.
Ye dekh dono aage barh jate hai.
Sam ko samne jate dekh sab log bare pyar se use dekh rahe they..
Sam: wo larkiyan kyo bhagi thi pahadi ki taraf..jaise hi unki taraf barha tabhi mai behosh ho Gaya tha.
Siya: wo apni izzat kho chuki thi...apki duniya ka nhi pata lekin hamari duniya me aesa hi hota hai...jaan se barkar hamare liye apni izzat hai ..agar AAP na aate to shyad mai apni izzat bhi kho chuki hoti.kehte hue siya ki ankhe chalak parti hai.
siya ki ankho me ansu dekh Sam blanket se hath nikalkar unhe pochne lagta hai....
Sam : kon they wo log..
siya: wo army wale they wo hamse ye ilaka Khali karana chahte they is jagah ko wo turist place banana chahte hai..
chalte hue dono jal Rahi Chita ke pass aate hai jahan Kai log they..Sam dekhta hai sari lashe AEK saath jal Rahi thi..
Sam ko apne pass dekh ke sab khush hote hue kareeb ane lagte hai.
Siya ke kuch kehne par sabke chahere utar jate hai...
Sam: kya kaha tumne inse.
siya: apki halat ke bare me bataya..ye Jo Aa rahe ye hamare baba hai..aur yahan ke sardar.
Siya ke baba akar Sam ko gale laga lete hai.
baba apni bhasa me: tum na hote to shayad ham me se koi na Bach pata..ham tumhara ahsan kaise utare bete.
siya translate karke Sam ko batati hai...
Sam: phle apne meri Jaan bachai hai baba..
Siya translate karti hai..sam ke mooh se baba sunkar siya ke father khush hote hue aek baar fir use gale laga lete hai..
Siya ke baba: ab se tum mere bete ho...sun rahe ho sab ab se ye Mera beta hai..sardar ki baat se sare tribal people khush hokar Sam se gale Milne lagte hai.
siya: ruk jao inki tabiyat kharab hai 3 mahine baad koma se bahar aaye hai aur inhe kuch yaad bhi nhi..
siya ke kehne par sab ruk jate hai aur Sam chain ki sans leta hai..
Sardar Inka kya kare.aek tribal admi ikatthi ki Hui guns ki taraf ishara karta hai..
sardar: inhe bhi Chita me daal do..
sardar ki baat sun tribal log gun uthane lagte hai.
Sam: ruk jao sab..
siya chikh kar translate karte hue sabko rok deti hai...
Sab hairat se Sam ko dekhne lagte hai.
Sam: unke log fir Aa sakte hai inhe apne pass rakh lo kam ayengi.
Siya translate karke sab batati hai.
Sam ki baat sunkar fir sare tribal people khush ho jate.
Sardar: beti siya inhe kaho hame ye machine chalani to aati nhi..
aek tribal man: choti sardarni inhone raat kaise ise chalakar sabko mara inse kaho hame bhi sikhaye..
siya translate karke batati hai..siya kehne par aek tribal man gun lekar aata hai aur Sam ke hath me thama deta hai.
Sam: mai nhi janta Maine ise kaise chalai bas apke logo ko sunkar na jane mujhe kya ho Gaya tha..kehte hue Sam gun ko dekhne lagta hai...
Siya: baba chhore mai inhe samundar dikha kar lati hon.
Sam ka hath pakar siya pahadi par chadhne lagti hai...Sam chalte hue bari gaur se gun ko dekh Raha tha Jo ak 57 thi..
pahari par akar siya hath pakad ke niche utarne lagti hai..
siya: samne dekh rahe hai ye samunder aap isi me behkar yahan aaye they..Sam gun chhorkar sea ko dekhne lagta hai..
Siya: abhi sab barf me Dhaka hai jab aap yahan aaye they tab garmi ka Mausam tha .
Sam : mai duba nhi tha isme.
siya: is sawal ka jawab to hamare pass bhi nhi hai ki aap Dube kyo nhi shayad apne kapro ki wjah se wo fule hue they jisse apka dhar andar nhi Gaya..kehte hue siya kaju torne lagti hai khet me se...
siya nhi janti thi Sam ke coat ne use dubne se bachaya tha..
Siya: ye lijiye.
siya kaju barahti hai Sam ki taraf.lekin Sam apna sar pakra hua hota hai..
Siya : aap thik hai..siya dekhti hai sam sar pakre hue niche gir Raha hota hai ye dekh siya use bahon me bhar leti hai.mm kuch hi der me Sam behosh ho jata Hai..
Siya uthana chahti lekin Sam nhi uthta isliye wo bhagkar pahadi par jati hai..
pahadi se logo ko lakar siya fir Sam ko uske kamre me lakar lita deti hai siya jadi botiyan sar me lagane lagti hai..
Sardar : kya hua hai beti inhe.
Siya: baba kuch nhi keh sakti..inke sar ka ghao abhi bhara nhi Maine bas sila hai..hame inhe shaher lekar Jana hoga kisi aspatal me wahi Inka ilaj ho sakta hai..agar samay par nhi le Gaye to inki maut bhi ho sakti hai..
Siya ki baton se sab ke chahere murjha gaye they..
कहीं जियान तो नही है है ये? लेकिन फिर भी वो सैम को क्यों मरवाएगा?