episode 1st
yadein ....
aek 90 male tower ke last floor me khidki ke pass baite hue mai highway par aati jati gadio ko dekh raha tha.
dil kar raha tha yahi se kud jaun lekin kya ye itna asan tha jwab tha nahi.
main ek introvert larka hun jo suicidal thought create karte hue man me sonch raha tha agar mara to face jo phle se itna acha nahi wo aur kharab ho jayega.
khubasurat hona gift hai afsos jo mujhe nahi mila ya shayad mila aur mujhe iska ahsas nahi.
meri mom shivani obrai jo indo Ukrainian hai bala ki khubasurat mere dad jo indian hai sanwle
sare bhai bhen mom par gaye aur mai apne dad par.
isi wjah se mai sanwala tha lekin body white thi shyad yahi mujhe mom ki taraf se mila tha .
ha to mai suicide karne ke bare me sonch raha tha.
sawal tha asa kyo...
bachpan me hi apni mom ko servant gym trainer's aur na jane kin kin ke sath dekha
ye wajah kafi hai suicide karne ke liye lekin shayad nahi aur bhi bhut si wjahe hain mere pass.
ameer log paise to bhut kamate hain lekin inhe kabhi pyar nahi milta na apno ka sath.
main bhi inme se aek hun to ye mere sath hona lazmi tha.
Sonchte hue Maine purse me se photo Nikali aur use dekhne laga log larkio ki picture rakhte wallet me Mai apne Bhai ki wo tha bhi asa hi.
photo dekhte hue meri ankhe bhig gayi .
Ziyan apne sath mujhe bhi le jate mere bhai.. Dekho na tumhre bagair Kitna akela ho gya hun Mai.
Mai aa raha hun tumhre pass. Kehte hue maine aek nzar niche Dali aur mere dil ki dharkane tej hone lagi.
Kya yahi mera ant tha .
Door khula aur max mere cabin me aya mera manager.
max: Sam sir hotel Miranda me 2 ghante bad Apki meeting hai.
Mere hath ka ishara pate hi wo cabin se nikal gaya.
mere dad ki net worth 300 trillion hai mera Khandan dunia ke har kone me basa hai jinhe main bhi nahi janta dunia ki mostly banks hamari hi hain mere great grand father Ne lasho par ye Business khada kia tha kisi aek ke naam Sari daulat bantne ki jagah unhone sab me barabr ki daulat banti yani mere khndan ke logo me kuch NE india ME apna business shuru kiya kuch NE foreign me aek sadi Bad ab apas me hi competition shuru Ho gaya aur ye kisi bhi had tak jaa sakta hai isliye foreign indian great Father mil kar kisi aek ko chun kar Sari power dena chahte hain mere ghar se head ke taur par dad hain aur meri Badi bhen Anaya chuni gayi hai un Logo me jise chun Kar sari power di jayegi...jiska competition hoga mere rishtedaro ke bacho se jinse ham kabhi nahi mile. Google me share hone ke wabajud meri family aur mere khandan ke bare me koi nahi janta na google par hamare bare me koi jankari hai.
us max ki wjah se mai khud ke bare me sochne ki wjaye business ke bare me sochne laga.
mujhe is sab se Kya lena Dena koi bhi jite
meri hasiyat ghar me na ke barabar thi.
Maa ka pyar mila na bhen ka dular na Dad ka sath mera dad to aaj bhi mujh par hath utha deta hai.
mom ke Samne meri Gigi bandh jati hai wo shayad mujhe pyar karti hai confirm nahi agar pyar hota to mai kya chahta hun ye janne ki kosish karti lekin unhone sirf oder diye aur na jane kab tak asa chalta rahega.
Mera Baap aek king hai aur usne Ham sab bhai bheno ki prince princess ki trah parwarish ki wo sab sikhaya jo Survive Karne ke sath unke business ko ase hi aage badhane me kam aye bina kisi bhed bhao ke jo jitna smart tha usne utna hasil kiya aur mai hamesha ki trah piche HI raha ...ziyan ki maut ke bad mere dad ke behavior me change aya aur wo mujhse pyar karne lage lekin mai nahi karta iski sab se bdi wjah unka business aur Unka sanwala hona hai ...har waqt Mai yahi sonchta hun mai apni mom par kyo nahi gaya unki trah waqi Bhai behno ki trah khubsurat kyo nahi.
Jab logo ke bich chalta hun to mujhe lagta hai mera suit meri car meri hasiyat dekh ke wo log mujh par haste hain mera mzak banate hain aur mere sanlwale pan ki wjah se sari mujhe chhodgayi.
anvi di se Mile hue 4 saal ho gaye hain pata nahi kaha hogi wo.
Anaya di jo ghar me sab se badi hain lekin mere sanwalepan ki wjah se mujhe apne karib bhi nahi bhatakne deti us jaisi khubsurat ladki Maine aaj tak nahi dekhi isiliye wo mere liye bhen se badkar hai filahl wo America me hai.
ziyan ki picture rakhte hue Maine wallet jeb me dala aur cabin se nikalkr lift me aya kuch der baad mai tower ke bahar khda tha meri car meri ankho ke samne ek lambi gadi se driver nikla aur mere liye gate kholkr khda ho gaya.
driver:sir sap..
Driver samjha mai piche baithunga lekin mai driving seat ki taraf Jane laga jis par usne mujhe awaz di.
mai: bodyguards se keh do mera picha na kre.
Driver : mai apke sath chalta hun Sir.
uske kehne par maine use ghura jis wjah se gate Band karke wo piche ho jata hai.
car lekar Mai highway pr aya aur ati jati cars ko dekhne laga.
Sam na jao plzz Mai tumhare bina tut jaungi is ajanvi desh me kaise rahungi... Ziyan Bhai any di mujhe chhorkar chale gaye tum bhi asa karoge to mai..
di mujhe Jana hoga mai wada karta hun mai wapas aaunga..
mai :I'm sorry Anvi di..
Khud se batein karte hue Mai car se nikalkar bich road par aakar Khada Ho Gaya aur ankhe band kar li.
piiiiiiiii.. ....
Abe tujhe Marne ke liye meri hi gadi mili...
Car Wale ki awaz sunkar Mai road par se hat gaya aur apni car me aake baith gaya.
khat khat... Kuch hi der hui hogi sishe par knock hua wo mujhe nahi lekin mai use dekh paa raha tha wo max tha mera assistant.
mirror niche hote hi uski awaz aayi.
Sir aaj ki meeting bhut important hai aap nahi Jana chahte To mai shivani mam se keh deta hun wo attend kar lengi.
mai: nahi mai Karunga...
kehkar Maine mirror upar kiya aur car start kar Di.
hotel me akar Maine meeting attend ki free hokar max ko sath liye private place se nikalkr Mai logo ke bich me akar aek table par baith gaya.
Mai: aaj tumhari pasand ka khaynge order do.
meri baat sunkar max baire ko order deta hai aur Mai fir logo ko dekhne lagta hun.
max : sir aaj bhut sad hain aap.
max ki baat sunkar uski Taraf dekhte hue Maine AK fiki si smile di.
Mai : anvi Di ka kuch pta chala..
max : Mai sharminda hun sir...
order ane par drink karte hue Mai snacks Khane laga.
aaaaaaaaa. ... Aek tej awaz Piche se sunai di
khate hue max ke goggles me Maine dekha.
aek aadmi mere piche se hatho me axe liye bhagte hue aa raha tha jiska Nisana Mai tha.
ghum Kar Mai jis chair par baitha tha use niche jhukate hue Maine aek kick max ki chair par Mari burger muh me liye fisalte hue wo piche hua aur mere face se hote hue kulhadi table par lagi jisse khane ki plate Hawa me uchli..
khud ko sidha karte hue Maine Hawa me uchal rahi plate ko pakadkar mujhe Marne aa rahe bande ke sar par Marta hun.
fir table par pair markar chair ke sath slip hote hue hall ke bich me ajata hun aur apne coat aur asteen ke button kholkar chair par baithe hi fight ke pose me ajata hun.
mujhe dekh Kar Kai log jo mujhe Marne apni apni table se uthkar meri taraf aane lagte hain aur aam log piche hokar mujhe dekhne lagte hain.
tabhi logo ki bhid me se aek aadmi Sam ko shoot karte hue running commentary dene Lagta hai.
hello whatspp guys Mai hun Aapka bro jack Hotel se live ..vaise Maine bchpan se karate ki bhut picture dekhi hai to mai running commentary ke sath is fight ki raining bhi dunga.
2 aadmi aek sath bhagte hue meri taraf aate pass akar jaise hi mujhe Marne ko hote chair par baithe hi Mai aek ke shoe par apne shoe ki thokar marta hun agle Pal dusri kick uske chest par jisse wo dur Jakar girta hai.
Dusra wala knife se jaise hi attack karta hai Mai jhuk jata hun jisse uska bar khali jata hai agle hi pal uske knife wale hath ko pakrkar dabane lagta hun.. Dard se uski ankle bahar ko ane ko ane lagti aur fir use apne pass khinchkar uski thodi par aek mukka Marta hun jisse uska muh khulta hai jisme se aek dant nikal Kar burger kha rahe aek mote admi ke burger me ghus jata aur dant tutne se wo dard me chikhne lagta hai.
fir Mai chair ko ghumate hue piche War karne aa rahe dono admi jinke hath me Spoon tha unki kalaio ko pakr Kar bathe baithe hi dono ke face par kicks ki barsat kar deta hun.
un dono ko door fek kar meri taraf wo axe wala aadmi axe lekar gusse me bhagte hue ane lagta hai.
ye dekhkar use hath dikhate hue Mai rukne ka ishara karta hun.
Mai : kya chahta hai aur kon hai tu.
wo sab dekhne me aam log lag rahe isliye Maine pucha.
aadmi gusse me..sirf Teri Jaan Lene aaye hai ham.
uski baat sunkar mai muskura diya.
ye dekhkar usne gusse me axe fek Kar Mari.. Meri ankho ne bhi bhut speed se harkat ki. Jhukte hue Maine apni taraf aarahi axe ki taraf hath badahya aur pkad li fir use hatho se ghumate hue khelne laga... Jisne axe Mari wo mujhe hairani se dekh raha tha..
admi: namumkin..
axe ko ghumate hue hi Maine us par kick Mari aur wo ghumte hue ulti disha me axe wale admi ke sar par padi jisse wo wahi gir gaya.
itne me mere bodyguards agaye jinhone sabko pakad liya.
max un sabhi ko pakad kar mere pass laya.
max : kya Karna hai inka
mai : kyo ..aur kisne bheja..
Maine axe wale admi ki taraf dekhte hue kaha.
admi:uttampur gaon ka naam suna hai usi gaon me mai apne pariwar ke sath.
uski baat sunkar Maine use rokkar bich me rokte hue kha
Mai : tera flashback sunne ka mera koi mood nahi hai jo pucha hai sirf uska jwab de.
admi: tumhari factory ki wjah se hamare bhut se log maare gaye tab Maine mere sathio ne kasam khayi jiski ye factory hai use marenge... Kai saal owner kon hai ye janne me lag Gaye aek din tumhre bare me pta Chala fir 4 saal bina kuch jane rato ki nind kurban karke hamne tumhe dhunda aur aaj ittefaq se tum hame yahan mil gaye .
Mai : kya hua tha tumhare gaon ke sath.
Admi : 2 hazar maute aur tumhari factory se nikalne wale chemical se ab har paida hone wala bacha handicapped hota hai..
uski ankho me gussa aur apno ko khone ka dard tha .
mai: tu bhut khushkismat hai jo mujhe marne aya agar meri family me se kisi par attack karta to tu apne gaon ke sath gayab kar diya jata.
max : kya Karna hai Iska..
Mai : jo tere aur tere gaon ke sath hua wo nahi bdal sakta lekin ab tere gaon me meri factory se koi nhi marega... Max iske gaon ko goad le liya hai Maine bacho ka treatment karao...
max: thik hai sir lekin iska kya kre.
Mai : us factory ke incgarge ko saza do aur ise uski jagah de do.
kehte hue Mai utha to us admi ne mere pair pkad liye...
ye dekhkar Maine use uthaya.
Aur hotel se bahar ko chal diya.
khud hi drive karte hue Mai na jane kis taraf jaa raha tha.
ting ting..
Keypad wale phone ke bajne par Maine car side me roki.
phone mom ka tha..
mai:hmmm mom
mom:sam tumhari di any kuch der me Mumbai Land karne wali hai raat ka koi Plan nhi to ghar ajao.
mai: okay Mom.
mirror me dekha koi gadi ass pas nahi To maine speed se gadi airport ki taraf turn kar di.
Mai itna Ameer aur phone keypad Wala iski kahani kuch yun hai...mere dad nhi chahte ham me se koi android phone use Kare lekin sab ki trah mere pass android hai jise mai hamesha chupa Kar rakhta hun.
sabse chuupkar aek flat bhi had jahan aaj kal piece of mind ke liye rehta hun.. Ghar par keh rakha hai kaam ki wjah se office me hi sota hun.
airport akar airport ki building se land ho rahe planes ko dekhne laga.
more than one hour baad aek private plane Land hua.
jisme any nikli...
last time any ko ziyan ke funeral me dekha tha Jise 1 saal se jyda ka Time Ho gaya hai.
wo phle se Kahi jyda khubsurat ho gayi thi uske piche piche aek Boy aur aek girl nikli jo mere liye ajnavi the lekin kab tak.
any ko dekhte hue maine phone nikala apna aur front camera on karke khud ko dekhne laga.
aek fiki si hasi haste hue Maine phone coat ki pocekt me daal diya aur fir any ko dekhne laga..
mai sonch raha.. Kya sach me iska Bhai hun ...maine sabke dna test kiye jo match bhi hue.. Iske baad bhi mujhe yaqin nhi hota...
phone Kano par lagakar any nazre utha kar jahan Mai tha udhar dekhti hai ye dekhkar Mai farsh par let jata hun.
chhupkar use dekha to unse hand shake kar rahi thi jinke sath wo aayi thi. Phir driver ne car ka gate open kiya jisme wo baith gayi thi.
airport se gadi nikalne ke baad mai bhagte hue apni car me aya aur door se hi any ka picha karne laga.
any sidha ghar aayi kuch der baad mai bhi andar dakhil ho gya..
mera Ghar bhut bada hai 6 k. M me faila hua ass pass koi Ghar nahi jungle aur maidan hai ghar me 500 bodyguard hain jo ghar par hi rehte hain..Mean's ye ghar ke bodyguards hain office ke sath ke sab Time kw alag alag bodyguards hain.ghar ke andar 20 servants hain jinme 2 mard waqi sab females.
har kisi ka room luxury hai sound proof backyard me beach hai.
andar aya to dekha ani Mom aur bhabi ke sath baithi hai.
Bhabi: agaye devar ji..
bhabi ki awaz sunkar any ne mujhe dekha..
anaya: hi Sam.. Usne hath hilate hue kaha
Aur uski pyari si awaz mere kano me ras ki Tarah ghulti mehsus hui..
aur mai wahi Jam gaya...
bhabi : devar ji wahi khade rahoge ya apni bhen se bhi miloge...
mai hhh hmmm yeh...
mere pass lafz nhi the kuch kehne ke liye mere utpatang jwab se any ne mujhe dekha aur mere pairo ko jo kanp rahe the..
ye dekhkar Mom mere pass aayi aur mera hath pakar kar any ke pass le jane lagi.
mom: bhen hai tumhari chalo aao..
Mom ne hath pakar kar mujhe any ke pass hi bitha diya jisse any Ke jism ki garmahat uska perfume mujhe mehsus ho raha tha.
Bhabi : any apne bhai Ke liye kuch nahi layi..
ani : kaise nahi lati layi hun bhabi .kehte hue ani bag mese aek bracelet jaisi watch nikalti hai jo kafi costly thi.
anaya: this is for you.. Kehte hue bracelet mujhe de deti hai..
Mai : tha..thank... You.. Di..
mai hi janta hun ye jumle kitni mushkil se Maine khe.
Bhabi : any tumhare jane ke baad Sam aaj dusri bar Ghar aya hai..tum dono ke ane se ab ronak rahegi yahan.
anaya: mom rest karke ati hun..
kehte hue any uthi aur mujhe piche ane ka ishara diya...
Piche Piche chalte hue Mai any ke room me aya Jahan wo bed par leti thi.
Mai : kaisi Ho \any di...
anaya: stop overreacting ab character se bahar ajao koi nahi yahan..
Mai samjha tha wo badal gayi hogi lekin wo vaisi ki vaisi hi thi.
Mai :fir wo bracelet ..
anaya:ale le lele chote Bhai ko wo pyar laga.. Mom aur shirya ko dikhane ke liye natak ki otherwise mujhe to teri shakal se hi Nafart hai.
Mai : Maine kaha tha bhai se sath chalne ke liye lekin usne mana kar diya... Unse jo aakhiri baat hui usme unhone kaha tha ..tumhara khyal rakhne ke liye..
anaya : kash tu hota Bhai ki jagah par... Get lost...
akhiri lafz kehte hue any ki awaz bharra gayi thi...
mai: kash Mai hota... Kehte hue Mai room se nikal gaya...
Kia kamal ka update ha
Story to ache laag Rhii ha
Family bhot zada over powerfull ha
Agr family ka koy dushman he ni ho ga to.....
Wasy Acha Update tha maza aya paar ka