Gajab updateUPDATE 1
Ding dong… ding dong…
Lagataar call bell bajne se Aniket ki neend tooti to wo aankhe malta hua utha, kal usne kayi din ki mehnat ke baad college ki aur se iter state boxing championship jiti thi to behad sukoon se gehri neend soya tha , jamhayi leta hua wo door par pahucha. Mom dad shayad raat late aaye honge tabhi so rahe honge, sochne laga. Waise hi uske papa mahine me ek hafte k liye aate they to raat mom ko bahar dinner par le gaye they, vaise to unhone Aniket ko sath me chalne ko bahut kaha tha par wo championship ke karan thaka hua tha isliye ghar par hi ruk gya tha. Usne door khola to bahar badhawas se uske mama jo bagal wale flat me rehte , khade they.
Aniket – good morning mamaji, kya hua aap….
Mama ji – beta tumhe mere saath chalna hoga abhi….
A - sab theek to hai mamaji, main mom dad ko uthata hu.
M – beta hame unhi ke paas jana hai.
A – matalb.. wo… aakhir baat kya hai mamaji
M – tum jaldi chalo mere sath, raste me batata hu.
A – give me a minute, main t shirt pehan kar aaya.
M – jaldi
Aage story Aniket k point of view se…
Maine fatafat muh dhoya aur lower tshirt me hi flat lock kar mamaji ke sath nikal pda.
Me – mamaji ab to batao hum ja kahan rahe hain, mummy papa kahan hain, unhone hame aiise achanak kyu bulaya hai..
Waise mai chahta to unka mind padh bhi sakta tha, ji haan aapne sahi suna , mujhme ye power aayi thi mere nanaji ki badaulat jo kayi saal tibat ke matho me gujaar chuke they. Unhone dhyaan aur talepathy par bahut mehnat ki thi, jiski badaulat wo mind to mind baate bhi kar lete they, unke anusaar aur abhyaas se samne wala ka mind control bhi kiya ja sakta hai par wo abhi utne aage nahi gaye they.
Unhone hi marne se kuch samay pehle ye art mujhe bhi sikhayi thi, jiske pehle stage yaani mind reading me ab mai expert ho gya tha, jiski maine ek baar bhi awaaz suni ho ya jiski aankho me jhanka ho fir wo chahe kahin bhi ho mai apne ghar me baitha uske dimaag me jhaank sakta tha. aur mai next stage yaani telepaythy par aane ke liye daily dhyaan lagata tha.
Mama ji – beta darasal tumhare mom dad ka accident hua hai aur wo dono hospital me hain.
Me – kyaa …. Wo dono theek to hai na mamaji.
Mama ji – beta poori baat mujhe bhi nahi pta , hospital se phone aaya tha.
Mai bahut tension me aa gya tha, maine mom ke mind se connect karne ki koshish ki par nahi kar pa raha tha , means ya to behosh thi ya…. Ami sihar utha aur papa ke mind me jhankne ki himmat nahi thi, jaise taise rasta kta aur hum hospital pahunche. Pta laga papa ICU me hain hum lagbhag daudte hue ICU tak pahuche to wahan kuch log pehle se khade they aur ek dr bahar aa rha tha , mai sidha uske paas gya aur mom dad ke baare me poochne laga.
Dr – sorry beta , your mom is no more, jab wo yahan pahunchi wo apni aakhiri saanse le rahi thi and your dad is also critical abhi hum kuch keh nahi sakte, blast kaafi bada rha hoga.
Me – MAAAAAA…….
Mai jar jar rone laga….
Mama ji mujhe bajuon me bhar kar– please khud ko samhalo Aniket…..
Mai rota hua bola , mamaji ye dr kya keh rha tha meri mom….. ye kya ho gya aur ye blast … kisne kiya ye….
Pichhe khade aadmiyo me se ek raubdaar personality ka banda aage aaya aur mujhse bola – chhote malik ye sab malik k ek purane dushman ne kiya hai, malik jab hotel se khana khaa kar nikal rahe they tabhi un kameeno ne hamlaa kar diya.
Me ( rote hue)– tum kaun ho aur ye sab kya hai
Wo bola – malik main bheema hu, aapke pariwar ka purana wafadaar naukar… hum kabhi saamne nahi aaye par jab jab malik yahan aap logo se milne aate hain to unki suraksha k liye hum thodi doori banakar unke aaspaas hi rehte hain.
Me laghbhag chilla kar bola – to bachaya kyo nahi unhe,
Bheema - galti ho gayi chhote malik, darasal malik ne hi hame door rehne ko kaha tha aur wo kameene pehle se sajish kar ke baithe they. Aur ye chot de gaye….
Darasal mere papa yahan is shahar se 150 km door apne pustaini gaanv me rehte they, unhe aap us gaon aur aaspas ke 40 gaanv ka jamindaar , malik, don ya yu kaho k bhagwaan mana jata tha, ye ek pushtaini virasat thi jis par hamara khaandan raaj karta tha. mere dadajike marne k bad se ye gaddi mere papa samhaal rahe they. Unhe apni college life me meri maa se pyaar ho gya tha. wo jante they ki dada dadi kabhi unhe mom se shaadi karne ki ijajat nahi denge kyonki woe k gareeb ghar se thi, isliye unhone chhipkar mom se shaadi kar li, unhe laga tha ki shaadi ke baad sab theek ho jayega par aisa nahi hua, dada ji ne mom ko apnane se inkaar kar diya.
Daadi ne apne pyaar ka vasta dekar papa ko apni pasand ki ladki se dusri shaadi karne ko majboor kar diya. Lekin dad ne mom ko nahi chhoda. Is beech dadaji ki death ho gayi to papa ko unki gaddi ka waris ghoshit kar diya gya. Ab papa ki jimmedariya bahut badh gayi thi unka jyada samay gaanv me hi gujarne laga par wo har mahine ek ya dedh hafta mom k sath jarur gujarte they. Mom k liye yahan city me ek flat lekar diya hua tha balki mom akela feel na kare isiliye baju wala flat bhi khareedkar mamaji ki family ko isme shift karwa diya tha. wahan gaon me unka poora parivaar tha , dadi, meri sauteli ma, unki dono betiyaan, meri dono bua, unki family, dadaji ke chachere bhai ki family sath hi unhe bhagwaan manne wali 40 gaanv ki janta aur yahan shahar me mai aur meri ma ya mama aur unki family.
In baato ki samajh aane ke baad se mai unse bahut naraj rehne laga tha par fir maa ne mujhe samjhaya aur papa ki majboori k baare me bataya. Dheere dheere maine bhi ye kadwa sach accept kar liya. Main gaanv ke logo k baare me na unse koi baat karta tha na unke baare me adhik janna chahta tha, par mom ko ye ummeed jarur thi ki ek na ek din dadi unhe jarur apna lengi par aaj…….
Tabhi dr ne aakar mujhe kaha, “suno beta tumhare papa tumse milna chahte hain”
Mai turant icu me papa ke paas gaya, “papa… papa ye kya ho gya papa”
Papa – b….. beta….. shayad hamara sath itna hi tha, mai pehle hi tum dono ka gunehgaar tha aur ab jab meri wajah se teri maa bhi nahi rahi toh….
Me – nahi papa aap aisi baate mat karo papa, mera ab aapke bina ab hai hi kaun papa ….. please…… mom ko kho diya hai maine ab aapko nahi kho sakta papa
Papa – beta m…. mera pyaar thi wo…. par mai…. mai jiteji uska sath nibha nahi paya…. Ab mujhe….. mujhe uske paas jana hai….. hamesha hamesha ke liye….
Me - nahi papa….. mera kya hoga papa…..
Papa – tu to mera sher beta hai….. mujhse ek wada karega bête….
Me – jo aap kaho papa
Papa – mai tujhe ek jimmedari dena chahta hu beta….. tujhe…. tujhe apni dadi aur behno ka khyaal rakhna hai beta,,,,, rakhega na beta,,,,, wada kar mujhse…. Beta kare…ga naa
Unki saans ukhadne lagi to duty nurse ne mujhe bahar bheja aur turant dr ko bulaya….
Mai bahar aakar visitor chair par baitha rone lag gaya….. ek hi din me meri poori duniya badal gayi thi.
Itne me Dr bahar aaya aur bola, mr Aniket sorry but your dad is in coma.
Mujh par dukho ka pahaad toot gya tha.. kaafi der wahi baitha raha
Thodi der me mamaji mere paas aaye aur bole ki dad ke is halat me hone ke karan ab mom ka antim sanskar ke rituals mujhe hi karne honge. To unki body lekar hame ghar chalna chahiye yahan dad ke paas bheema aur uske sathi hain hi.
Main jaise sudh budh kho chuka tha. mamaji jaise kehte gaye karta gya , kuch hi ghanto me mom ki dead body lekar hum ghar aa gaye jahan mamiji aur building ki kuch aur ladies ki help se sab rasm wagerah kar ke hamne antim sanskaar ki vidhi poorn kari..
Nice updateUPDATE 3
FAMILY INTRODUCTION
Ek short intro de raha hu kyuki abhi mai hi sabhi se nahi mila hu…
Myself – Aniket Kumar Thakur urf AK , 21 years, 6’ 1” height, BBA final year ka student, boxing champ, mascular body, overall smartness aur power ka bejod namuna, upar se mind power expert
Mere papa – Arjun Thakur, 45 years k they jab unki death hui
Meri maa – niharika 42 ki thi , natural beauty but no more isliye jyada nahi likhunga.
Mama – prem kumar 38 ek private company me area sales manager hain, aksar tour par rehte hain. Dekhne me fit hain par bed me taay taay fiss.
Mami – romila 33 ki hai par 25-26 se upar nahi lagti. Iliana decruz jaisi katilana figure 34-26-36. Pati kuch kar nahi pata to bechari pareshan rehti thi isliye apne hero ko hi ro dho k mana liya, aur ab uski ban chuki hai
Dadi – 65 years
Step mom – Chitra , 38 years
Step sister 1 – Shraddha , 19 years
step sister 2 - amrita, 18 years
1st bua 1 – madhuri 42 years
Husband passed away
Beti - Deepika 20 years
Bua 2 - Meenakshi bua
Husband – gulshan thakur 43 years
beta – tiger 19 years
Beti – disha 18 years, ye asal me amrita ki judwa bahen aur meri step mom ki teesri beti hai jise bua ne god le liya tha,
Papa k chacha – bhairav thakur 67 years
Unka beta – adhiraj thakur 42 years
Ye baap beta bhi gaddi ke fer me hain. Inki baaki family ka intro baad me.
Papa k dushman aur unki family ka bhi intro baad me. Inke alawa keshav aur bheema dono sage bhai jinhone virasat me gaddi ki sewa ki kasam le rakhi hai, unse pehle unke pita aur unke baad unki aulaad bhi gaddi ki hamesh seva me rahegi. Bheema ne brhmcharya vrat liya hai aur keshav ki family ka intro baad me.
Story continues……
Bahar aaya to dekha papa ke paas hi mama ji aur bheema uncle ke sath hi 2-4 anya log khade they. Maine khud ko taiyaar kiya unka mind read karne ke liye taaki khud jaan saku kaun apna hai kaun paraya. Mene kareeb jaakar sabko hath jode to bheema ne aage badhkar unka intro diya.
Bheema – chhote malik ye malik ke chachaji shri Bhairav Thakur ji hain.
Maine aage badhkar unke paanv chue , “pranaam dadaji”
Wo bole – “jeete raho beta, bada afsos hua tumahre ma papa ke jaane ka.” Aur man me sochne lage “hmmm sanskar to ache diye hain teri ma ne. sahi hi suna tha ki tu hubahu bade bhaiya ki carbon copy lagta hai. Lekin afsos ise yahan tikne nahi dunga mai.”
Meri kad kathi aur deeldol boxing player hone ki wajah se athletic aur kasa hui thi, personality me kisi Hollywood body builder ki tarah dikhta hoon. Kehne ko to Bhairav Thakur meri tareef kar rahe they par unke chehre aur khaas taur par soch me tareef ki jagah mujhe jalan hi mehsoos ho rahi thi.
Bheema - aur ye aapke chachaji shri adhiraaj thakur ji hain.
Maine unke bhi pair chhue, “paranaam chachaji”
“theek hai theek hai” unka vyavhar aisa tha ki jaise jhidak se rahe ho. Wo soch rahe they ki “ye sala yahan aaya hi kyo , jarur gaddi ke lalach me aaya hoga. Dekh lunga ise bhi.”
Bh – aur malik ye aapke fufa ji hain shri gulshan thakur ji
Me – pranam fufaji
GT – “jeete raho mere bachhe, afsos tumse pehli baar is mahaul me milna ho raha hai” aur man me, is spole ko fan uthane se pehle kuchalna hoga tabhi apne tiger ko gaddi par bitha paunga
Bheema – malik ye mere bade bhaiya aur gaddi ke munim ji ki tarah kaam karne wale keshav bhaiya.
Maine unke dimaag me jhanka to “malik ne hamesha mujh gulam ko bade bhai ka darja diya ye unka hi khoon hai, iski hifajat mai jaan dekar bhi karunga” yeh jaankar mai unke per chhune laga , “pranaam kaka”
Unhone turant mujhe rok kar gale laga liya “ye kya kar rahe hain malik aapki jagah ye nahi hai, aap gaddi ke waris hain aur hum sewak”
Me – mujhse papa aksar aapki baate karte they, wo aapko bade bhai mante they to aap mere liye bhi vandaniy hue.
Is baat par unke. bheema ke, mama ji ke aur hall me maujood janta me se kayi ki aankhon me mere liye prashansa ke bhaav bhar gaye.
Bhairav thakur ki aankho me uphaas ke bhaaw dekhe to maine unke man me jhanka , wo soch rahe they – jaisa bewakoof baap vaisa beta. Do kodi ke naukro ko muh lagaane ki kya jarurat hai.
Maine sun to liya par kaha kuch nahi. Tabhi hall me ek sajjan pandit ki veshbhusha me aaye. Ye purohit ji they. Inke bhi maine charansparsh kiye aur inse aashirwad bhi mila. Fir unke bataye vidhi vidhan se papa ko nehla dhula kar sabhi shamshan lekar gaye, (pariwar ki aurte shayad antim darshan mere aane se pehle hi kar chuki thi to kisi se aamna samna nahi hua.
Papa ka antim sanskar kar k laute to maine Bheema se kaha ki sab reeti riwaj poore hone tak mai yahi darbar hall wale kamre me hi rukunga to mera khana yahi bhijwa de. Ab bhookh lagi thi to khana to khana tha hi par mai haweli nahi jana chahta tha dadi se narajgi ki wajah se. ye kehkar mai usi kamre me chala gya.
Nice updateUPDATE 5
Mai kamre mai baitha tha ki mere paas Keshav kaka aaye
Me – aaiye kaka
K – malik aapko koi asuvidha to nahi yahan kisi tarah ki.
Me – aisi koi baat nahi, aur mai apko kaka kehta hi nahi manta bhi hu aap mujhe naam se bulaayea kare.
K – aisa kaise ho sakta hai malik , aap gaddi ke waris hain aur hum chakar, ye hum sapne me bhi nahi kar sakte.
Me – leave it, na gaddi me mujhe koi intrest hai na is haweli me, mai bas ye sab reet riwaj poore hote hi wapis shehar nikal jaunga.
K – aur agar mai kahu ki aapke papa ki ye marji thi ki aap yahan ruke aur is gaddi par baithe to….
Me – ye nahi ho sakta mujhe ya meri maa ko is haweli ne kabhi nahi apnaya to mai yahan ka waris kaise.
K – ye ek lambi kahani hai jo mai aapko short me samjhata hu, darasal malik (papa) ke prem vivah kar lene se aapke dadaji naraj jarur they par itne nahi ki wo unhe aur malkin ko maaf nahi karte. Par woe k vachan se bandhe hue they jo unhone apne marte hue dost ko diya tha ki wo uski beti ko apni bahu banayenge. Upar se unke kaan aapki maa ke khilaaf bhar diye bhairav thakur ne. aapke dadaji aur malik ke beech bahut behas hui aur nateeja unhe dil ka daura pada.
Me – fir
K – fir marte marte unhone do wachan liye ek aapki dadi se ki kisi bhi keemat par aapki maa is haweli me nahi aayengi aur aapke papa se chhoti malkin se dusri shadi ka. Baad me sab baate saaf hone ke bawjood in vachno ke karan ye haweli aapki maa ko anhi apna paayi. Isiliye aapki dadi ne bhi kabhi aapke papa ko nahi roka aap logo se milte rehne se.
Me – agar aisi hi baat thi to wo city khud aa sakti thi hamse milne.
K – in baato ka jawab to aapko wo khud hi de sakti hain aur iske liye aapko unse milna chahiye.
Main soch me padgaya, maine keshav kaka ke dimag me bhi jhanka, wo jo bol rahe they unke hisab se sach hi tha.
Me – thodi der sochkar – theek hai mai unse milunga, aap unhe ye sandesh de de ki mai unse milna chahta hu.
K – theek hai malik.
Tabhi titli lunch lekar aa gayi.
T – malik chaliye khana khaa lijiye
Dishes shayad jyada thi aaj to wo sath me ek ladki ko aur lekar aayi thi. Mai uth kar hath muh dhone chala gya aur aakar lunch table par baith gaya, jahan titli mera khana laga rahi thi aur wo dusri ladki diwar ke sahare khadi thi.
Me - khana khate hue – titli khana to bahut swadisht bana hai.
T – malik aapke liye khana chhoti malkin khud banati hain
Me – unhe kehna maine thank you bola hai.
Darasal ab keshav kaka se sach janne ke baad mere gusse ke awaran me darare padne lagi thi. Fir ye khana sachmuch mujhe maa ki yaad dilata tha , maa ke pyar ke sath bani rukhi sukhi bhi amrit se kam nahi hoti.
Me – ye kaun hai titli
T – malik ye meri chhoti behan hai Jharna, mai to aapko pasand nahi aayi ye jarur aayegi malik ise apni seva me le lo
Meri hasi chhoot gayi
Me – maine ye kab kaha ki tu mujhe pasand nahi
T - apna muh latka kar dheeme swar me – par aapne hame haan nahi kaha to hum samjhe ki….
Me – muskarate hue – darasal jab mera yahan rukne ka hi koi mood nahi to mai tum logo ko kya kahu.
T – are haan dekho na malik mai bhi kitni bhulakkad hu, mai aapke liye ek liter laayi hu
Main chaunka, fir use apne pallu se ek kagaj nikalte dekha to samajh gya ki letter layi hai.
Me – kiska
T – unhone kaha hai ki kehna aapki behan ne diya hai.
Kal tak maine ye letter milte hi faad diya hota kyoki haweli walo se baat hi nahi karna chahta tha, par aaj sab badal raha tha, maine wo letter le liya.
Me – theek hai ab tum jao , mujhe aaram karna hai.
Unke jane ke baad mai bed par baith kar wo letter kholne laga. Letter kholte hi usme se rakhi ke do dhaage nikal kar gir gaye, jo maine turant utha liye. Un dhaago ko hath me lete hi meri aankhe chhalchhala uthi. Mera bhi sapna tha ki kaash meri koi behan ho jo har raksha bandhan par meri suni kalai par rakhi bandhe. Naine leeter padhna shuru kiya.
Pyare bhaiya,
Shayad aap mera naam bhi nahi jante honge par main aur ammy (amrita) papa ke jariye aapke baare me sab jante hain.
Pta hai bhaiya jab bhi yahan koi maar kaat wala kand hota tha to kriti bahut dar jati thi to papa kehte they tumhare Aniket bhaiya in sabse hamesha tumhari raksha karenge. Mai har rakshabandhan par aapke liye rakhi lekar aati thi par dadi ke karan bhej nahi pati thi.
Aaj unhi rakhiyo ka jo kabhi aap tak pahuch bhi nahi paayi , vasta dekar kehti hu bhaiya ruk jao, hame akela chhod ke mat jao, hame bahut darr lagta hai ab to papa bhi nahi hai, wo log pta nahi kya karenge. Agar aap chale gye to hum kiske sahare jiyenge.
Aapki abhagi behan
Shradhha
Ye letter padhte hi meri rulai foot padi, mai papa ko hamesha tok deta tha jab bhi wo mujhse dadi ya behno ki koi baat karne lagte, isiliye shayad mai in dono ke baare me jaan hi nahi paya. Ab maine nirnay le liya tha ki chahe jo ho jaye mai apni behno ka sath kabhi nahi chhodunga. Papa ne bhi to mujhse yahi wada liya tha.
Shaam ko mamaji mere paas aaye bole, “beta ab aage ka kya socha hai”
“mama ji coma me jaane se pehle papa ne mujhse promise liya tha ki mai apni dadi aur behno ki dekhbhal karu, isliye mai ye soch raha hu ki jab tak yahan sab set nahi ho jat mai yahin rukunga”
Mama ji - “theek hai beta par ab kayi din ho gaye yahan aaye, mujhe wapis shaher jana hai , wahan tumhari mami akeli hongi. Mai chahta hu tum yaha reh kar wo jimmedariya nibhao jo tumhare papa ki thi. Par iska ye matlab bilkul mat samajhna ki humne tumhe chhod diya, wo ghar bhi tumhara hi hai. Jab man udas ho bejhijak chale aana. Tere mama mami hamesha tera intzaar karenge.”
Me bhi bhawuk ho unke gale lag gaya. Mamaji maa ko bahut pyaar karte they , wo sirf badi behan hi nahi maa ki tarah thi unke liye aur mai unki aakhiri nishani.
Me – mamaji mai jald hi aaunga.
Mamaji – theek hai fir mai nikalta hu.
Me – mai bheema uncle se kehta hu ki wo aapke jaane ke liye gaadi
ki vyavastha kar de.
Mama ji – wo usne pehle hi kar di hai.
Maine mamaji ke paanv chue aur wo aashirwad dekar chale gaye. Ab yahan mere so called apno ke beech me mai akela tha. tabhi keshav kaka andar aaye.
KK – malik badi malkin (dadi) ne kaha hai ki unhe achha lagega agar aap aaj raat ka khana pure pariwar ke sath haweli me khaaye.
Me – theek hai aap unse keh dena ki mai aadhe ghante baad haweli par aaunga.
Keshav kaka ye sunkar bahut khush ho gaye aur wo ye khabar daadi ko dene chale gaye.
Keshav kaka soch rahe the “lagta hai ki ab sab theek ho jayega.”