UPDATE 18
Bheema – maalik aap na jao, Kaho to police….
Me – nahi police bhi unse mili hui ho sakti hai, sara plan ulta pad jayega. Jaisa mai keh raha hu waisa hi karo.
Bheema – ji maalik.
AB AAGE……
Fir achanak mere dimag me aaya ki ho sakta hai meri poers ki jarurat wahan pad sakti hai jahan ka kuch nahi pta, yaani Dilawar ka safe house.
Me – bheema chacha aap bahar wali team samhalo. Mai utha launga use.
Bheema – nahi maalik isme bahut khatra hai.
Me – nahi aaj unhe sapne me bhi guman nahi hoga ki hum wahan humla kar sakte hain isliye khatra unhe hai.
Bheema – lekin maalik
Me – bol diya na, bas. Aur haan abhi hamari takat dushamn ke mukable kam hai, isliye khud ko chhipakar rakhna hai , saamne nahi aana kisi ke.
Bheema – jo hukm malik
Aur dono apni apni team lekar nikal gaye. 5 trained aadmiyo ke sath AK dilawar ko uthane gaya to bheema 4 traned aur 8-10 untrained bando ko lekar dilawar ki side se hospital aane wali road par ghaat lagakar baith gaya. Baaki log haweli ki safety ke liye karan ke sath wahi ruke.
Bheema ne ek bande ko kaafi aage khada kar diya tha road ke paas bane ek teele par, usne jab Dilawar ke bando ki 3 gaadiya aati hui dekhi to bheema ki side 3 baar torch jala bujhakar ishara kar diya.
Jaise hi wo log bheema ke najdeek pahuche bheema ke ishaare par ek aadmi ne pehli gaadi kea age keele bikher di aur khud bheema ne beech wali gadi ki aur ek hathgola fenka. Jiske fatne se na sirf wo uchal gayi balki piche aati gaadi ke upar jaakar giri.
Teeno gaadiyo ke thamte hi bheema aur uske aadmiyo ne sadak ke dono tarf se apne hathiyaaro ke muh khol diye, maximum 15 saecond me wo sab mare gaye. Isse pehle koi wahan aaye Bheema apne sathiyo ke sath rafuchakkar ho gaya.
Udhar mai apni team ke sath dilawar ke hide out tak pahuch gaya, gaadi humne lagbhag 100 m door chhod di thi. Aakhir tak mere sath wale bando me se bas ranga joki Bheema ka khaas aadmi tha uske alawa kisi ko nahi bataya tha ki kahan ja rahe hain.
Me ranga se – ranga tum charo taraf muayna karo ki bhagne ke raste kahan kahan se hain.
Mai ek taraf andhere me uska wait karne laga. Tabhi mera dhyaan apne ek team member par gaya, uski bechani dekhkar mai bola to kuch nahi seedha uske dimag me jhanka. (ranga ke alawa unhe t1, t2 , t3 aur t4 likhunga.
T1 – man me – maalik ko kaise bataun ki itna bada khatra unke sir par mandra raha hai.
Me chaunka , man me – ye kya soch raha hai, yahan kya khatra hai.
Mene fir jhanka, T1 man me – mai in logo se alag hote hi side gate se andar ghus jaunga aur malik ko agaah kar dunga.
Me – o terriii ye to sala ghar ka bhedi hai.
Tabhi waha ranga aa gya, aur bola – malik mere hisab se ek hi gate hai.
Me – t1 ki aur ishara karke – par ye to keh rha tha k eek side gate bhi hai.
T1 – m… mai… mai kab bola
Me – gun uske math eke beechobeech tika kar – mai janta hu tu dilawar ka aadmi hai, tujhse baad me niptunga pehle ye bata ki saise gate kahan hai.
Chunki wo mera torcher ka berahampan dekh chukka thaisliye uski fat gayi,
T1 – malik mujhe maaf kar do, hamse galti ho gayi malik.
Ranga uski baat sunte hi bifar pada,
Ranga – es ko mere hawale kar dijiye malik.
Me – baad me ranga, pehle isse ye puchho ki wo side gate kahan hai
Ranga ne pehle uski gun cheen li fir do jhaapad jad diye – bol haramjade kahan hai rasta. Warna maa kasam TUJHE YAHAN AAJ JINDA GAAD KE JAUNGA.
Wo dara hua to tha hi, aur fat gayi. Usne hathiyar daal diye.
T1 – m.. mai batata hu.
Fir wo us building ke ek side le gaya jahan ek chippa hua rasta tha, aur by chance wo khula bhi tha. ek to un logo wahan kisi ke hamle ka dar nahi tha upar se jyadatar log hospital ki taraf gaye they to koi pehra tha nahi.
Maine ranga ko ishara kiya usne sath layi hui behoshi ke injection se t1 ko wahi behosh kar diya. Fir hum pancho andar ghuse.
Aangan me koi dikha nahi, ek aadmi gate ki tarf khada tha maine t2 ko uski tarf bheja aur hum building ki tarf badhe. Andar sb shant tha sivaaye ek kamre ke wahan jaake khidki ki jhirri se jhanka to wahan 3 log baithe taash khel rahe they. Aur aage daaru ki bottle khuli padi thj. Maine ishara kiya t5 ko whai ruk kar najar rakhne ka ki koi aa na jaaye aur khud ranga aur t3 ke sath andar ghus gaya aur jaate hi teeno ke sir par gun laga di.
“Kaun ho be tum, pta hai kya kar rahe ho. Hum dilawar khan hain” ek bola. (Jiske sir par maine gun tikayi hui thi)
Me – parichay ke liye shukriya.
Aur dono ko ishara kiya do fire hue baaki dono dher, udhar gate se bhi ek fire ki awaz aayi.
Dilawar – darte hue – k.. kaun ho tum log
Me – kyu nasha hiran ho gaya. Le chalo saale ko.
Ranga aur t3 ne use pakda fir kheenchkar bahar le aaye aur baaki dono ne t1 ko bhi utha liya aur gaadi ki tarf le gaye. Fir wahan dilawar ko bhi behosh kar diya aur bina koi nishan chhode teji se haweli ki aur nikal gaye.
Bheema bechaini se hamara intjaar kar raha tha.
Bheema – maalik aap theek to hai na
Mujhe gaadi se utarta dekh bheema ne poocha. Fir gaadi se utarte dilawar aur t1 par najar padi.
Bheema – kamaal ho gya maalik, ye pehli baar hai jo hamne thakur shamsher singh ke ilaake me ghus kar itna bada kaand kar diya. Ise kya hua (T1 ko dekhkar, kyoki chot vot to koi use lagi nahi thi)
Ranga ne jab use sab bataya to gusse ke mare uski muthiyaa kas gayi, isse pehle wo kuch karta mai bola – ye dono subah se pehle hosh me nahi aayenge, ache se talashi lekar daal do kisi kamre me, aur pehra kada rakhna.
Bheema daant bheenchte hue – ji maalik.
Mai haweli me jaise hi ghusa, chitra mom dining table par baithi thi.
Me – aap soyi nahi abhi tak
Chitra – muskarate hue- tum jo nahi aaye they, abhi khana bhi nahi khaya tumne.
Me – par aap kyo jaag rahi hain , mai khaa leta khana.
Chitra – tum fresh ho lo mai khana garam karke lagwati hu.
Ok kehkar mai apne room me nikal gya fresh hone.
Udhar thakur tak dono hamlo ki khabre ek sath pahuchi sath hi Dilawar ke gayab hone ki bhi to wo baukhlaa gaya.
Thakur – kiski itni himmat ho gayi ki mere aadmiyo par hath daala.
Cheema – thakur ka dusra right hand – maalik kahi wo Arjun thakur ka launda to nahi
Thakur – us bachhe me itni himmat nahi ho sakti, waise bhi aaj tak aisi jurrat uska baap nahi dikha paya to wo kya cheej hai.
Cheema – fir ye kaun ho sakta hai
Thakur – pta lagao.
Idhar mai dinner karke apne room me aaya ki chanak kisi ne mujhe pichhe se banho me bhar liya.