Update - 76
MP Rupesh grehwal k bhadkane k kaaran ...bhid ugra hogayi thi aur sansad bhawan ..ki or badh rahi thi ....
ab aagee .....
Abhi Ne Dekha ke Kuchh Yuva.... Sansad Bhavan Ki or badh rahe the Unki Aankhen aur body language Se woh normal Nahin lag rahe the....Abhi ne apne antarman ki shaktiyo dwara ...jaan liya k ..yeh human bombs hai .....
Abhi ne apne Urja pash se unhen roka.... Darmen Apne chamber Mein Baitha Sab Kuchh dekh raha tha Usne Jab Dekha ke Abhi Ne unn yuvaon ko rok liya hai to usne Apne waha k control panel per Sthit Lal button daba Diya ....vah screen per Sansad Bhavan ka Drishya dekh raha tha button dabana per bhi Koi Dhamaka Nahin hua isase Uske Aacharya ki Seema Nahin Rahi
Abhi ne unn yuvaon ko apni urja ki tarangon mein kaid kar liya tha Jiske Karan Koi Aur tarange unn ke Sharir Tak Nahin pahunch rahi thi ....Abhi ..ne .. Kaal aur Golu ka aawhan kia, usne Kaal ko waha maujood human bombs ko dhund nikalne ka kaam saunpa .....aur Golu ko un baccho surakshit yaha se nikalne ka ....karya saunpa ..
Hazaro logo ki Bheed ne Sansad Bhavan ka Puri Tarah Se Gherav kar liya tha aur vahan ke Berrtcate hatakar Sansad Parisar Mein Pravesh karne lage the Sansad Bhavan mein tainat Commando aur security forces action Mein a Gai thi vah use Bheed ko rokane ka Har Sambhav Prayas kar rahi thi Aansu gas ke Gole.... Tej Pani ki dhara aur Lathi charge is sab Ke Karan vahan bhagdad mach gai thi .....Kayi log uss bagdad k kaaran pairo Ke Niche khucle jaa rahe the
Abhi ke Prayas karne ke baad bhi vah bhid Kabu Nahin ho rahi thi is Karan ab usne Mike Mein Logon ko sambodhit karne laga ---+ Shant Ho jaaiye ....Sabhi Shant Ho jaaiye ...Is Tarah Hungama karne se Kisi ka Kalyan Nahin hoga ......lekin vah Bheed thi ke Abhi ka Kuchh sunane Ke Liye taiyar Hi Nahin Ki...Kuch logo ne Sansad parisar mein pathrav bhi shuru kar diya tha .....
Abhi ne ab apni maya ka vistar kiya ...aakash mein bhayankar megh garjana karne lage ....tez hawaye chalne lagi ...Din k samay mein bhi andhera ho gaya ...woh megh bhayankar garjana kar the hue musaldhar .....ja barsane lage .....jiss kaaran ....logo ka woh sangharsh ruk gaya ...aur ..sabhi apne pran bachane k liye waha se bhagne lage ...dhere dhere woh bhid bhi waha se chatne lagi ......
Abhi Ka dhayan ab MP ...par gaya ..jiske bhadkau bhashan k kaaran yeh paristhiti utpanna ho gayi thi ..... Usne waha MP sahab ko dhunda lekin woh toh waha se kab ka jaa chuka tha ....
Abhi ko samajh Nahin a raha tha ki Achanak MP sahab yeh kya ho gaya tha..... vah To Kabhi Aise Nahin the MP Rupesh.... Hamesha logo ki bhalai ke liye Karya Karte the .....hinsa se hamesha Dur Rahane wale MP Rupesh ..Aaj Khud Hi Logon Ko hinsa ke liye bhadka rahe the ...isska sidha arth yeh tha ismein Jarur Darmen ka hi Hath hai ....ho sakta hai usne MP Rupesh ko sammohit Karke Apne Vash Mein Kar Liya Ho...
Abhi waha ki sthiti ..Niyantrit karke ....MP Rupesh k niwas sthan par pahuncha ....yeh ek Anath aashram tha ..jo ....MP ..sahab ...dwara hi sanchalit tha ....issi aashram k ek sadharan se kaksh mein MP sahab rahte the ......Abhi jab bhi yaha aata tha ....waha ki sakartmak urja ka anubhav karke ..uska ..mann prasanna ho jaata tha .....
lekin aaj usse yaha ..bahut maatra mein negetive energy mehsus hui ....woh MP sahab k kaksh ki or badha ....k ...kuch gaurds ne usse rok liya ....yeh bhi uske liye naya tha ..kyu k ...usse aaj tak kabhi MP sahab se milne k liye roka nahi gaya tha .....gaurds k rokne par .....Abhi waha se hat gaya ....aur sidha teleport hokar ....MP k room mein pahuncha .....
Room mein MP Rupesh aur ..Abhi ka business Rival ..Jugal ....dono kissi bat par charcha kar rahe the ......Abhi ko achanak aaya dekhkar ...
MP - tum yaha kaise aaye ..bahar Gaurds ne tumhe bataya nahi k mein tumse iss samay milna nahi chahta ....phir bhi meri permisdion k bina yaha aagaye ....
Abhi - MP sahab shayad aap bhul gaye ho k kiss se baat kar rahe ho ...aap jaante ho k muzhe kissi se bhi milne k liye koi permission ki jarurat nahi hai ....
Jugal - arre bhai sahab hum jaante hai ...ismein naraz hone wali kya baat hai ..aayieye ....aap bhi ..woh toh muzhe inse kuch private baat karni thi issiliye ...nahi toh ...aapko rokne ki ...gustakhi hum kaise kar sakte hai ....meri baat ho gayi hai ...aap baithiye mein ab chalta hu ....
Itna kahkar ...Jugal Jane laga toh Abhi ne uska haath pakad liya ....
Abhi - arre aap kaha chal diye ....jara humare saath bhi baithiye ....
itna kahkar Abhi ne jugal ki aankhe padhne ki koshsh ki ...uske .. iss tarah haath pakadne se ....Jugal ki aankhon mein bhay saaf nazar aaraha tha ....
Abhi ..Jugal ko lekar ...MP k saamne baith gaya ...aur ....uski aankhon mein zhankne laga ....usse kahi se aisa nahi lag raha tha ..k MP ko kissi ne sammohit kiya ho ...
MP - kahiye kaise aana hua ....
Abhi - itna kuch hone k baad bhi ..kuch bacha hai batane k liye ....
MP - dekhiye Abhi sabah ...yeh sab rajneeti ki baatein hai ..aap ismein na hi aaye toh behtar hai ...
Abhi - apne kaale karname ko raajneeti ka rang dene ki koshish na kare MP sahab ....aap muzhe jaante ho ...aapke kaaran uss bhagdad mein kitne log maare jaa chuke hai aur kitne hi hospital pahunch gaye hai ...iss sab ka jimmedar kaun hai .....
MP - yadi aapko aisa lagta hai ...k iss sabka jimmedar mein hu toh jaayiye ...aur complaint kijiye ..jo bhi kaanuni karwayi hogi woh mein dekh lunga ....ab aap jaa sakte hai ....
Abhi - thik mein toh abhi chalta hu ..lekin dhyan rahe ..aapne jo raasta chuna hai woh vinash ki or jaata hai .....
Yaha Deepu iss baat se dukhi tha k woh chahkar bhi ...unn 6 bacvho ko nahi bacha paaya ..jinhe Darmen ne human bomb bana diya tha ....Sthiti ab aur vikat thi pata nahi usne kitne bachho ko aise hi human bomb banaya hoga ...
sham tak usse apni team k jariye do aur jagah k aadress code mile jaha sandigda gatvidiya ho rahi thi .....unn dono jagah par usse Hathiyaro k bahut bada jakhira baramad hua ...jo usne Raw chief se baat karke ....unke hawale kar diya ....gahr pahunchte pahunchte usse raat ho gayi thi ....
Ghar pahunchte k baad ...Deepu apne kash mein pahuncha ..uski aankhon k aage bar bar ..unn ..baccho ka chehra nazar aaraha tha ...jinhe ..Darmen ne human bomb mein badal diya tha ....
Deepu aankhien band karke aaj k ghate ghatnakram k baaree mein chintan kar raha tha ...tabhi usse apne sar par kissi ka haath mehsus hua ....usne aankhien kholka ..saamne dekha ...uski maa Rimpy ...bade pyar se uske paas baitkar ..uska sar sahla rahi thi ...
Deepu - maa aap ..kab aayi ...muzhe toh pata hi nahi chala ....
Rimpy - jab tu ...apne man mein chal rahe dwand mein ulzha hua ..tha ....bete tum ek yodha ho tumhe apne bhawnao k bhawar se ubarna hoga ...yeh bhawnaye hi ek yodha ko kamjor banati hai ....
Deepu ki aankhon mein aansoo aajaate hai ....
Deepu - kaise ubru maa bhawnao se mein unn baccho ko bacha nahi paaya ....meri aankhon k saamne ...maine unke sharir k chithde udte dekhe ....kya milta hai maa ...unn bure logo ko ...aise .begunah logo ka rakht bahakar ....
Rimpy apne bacche k hriday ki pida khub samazti thi ....usne Deepu k apni godi mein liya ..
Rimpy - beta yeh toh tumahare sangharsh poorna jeewan ki shuruwat hai ...aise jeewan mein aur bhi kai awsar aayenge .....tumhe apne mann ko shant rakhna hoga ...apni shaktiyao ko pehchanana hoga ...shant mann hi tumhe har pareshani se nikalne ka marg batayega ....
baaki jeewan aur mrityu toh purva nirdharit hoti hai ..tumhe ..ek karmyogi ki bhati ...apne karm path par aage badhna hoga ....
Kuch der Maa bete mein aise hi baatien chalti rahi ....apni maa ki mamta bhari goad mein Deepu ko gahri nind aagayi ....gahri need mein usse kissi ki aawaj sunayi dene lagi ....usne aankh kholka dekha toh saamne Neetu thi ....
Neetu - kya bhai mein kabse aapko ...aawaj de rahi hu ...aap ho hi uth hi nahi rahe the .....
Deepu - Neetu ko apne goad mein lete hue ....sorry gudiya ...woh mein gahri nernd mein tha ...accha ab batao kyu aawaj de rahi thi ....
Neetu - Niche mom bula rahi hai dinner k liye ..aaj aap ..bina kgana khaye hi so gaye ...aapki tabiyat toh thik hai na .....
Deepu - mein bilkul thik hu ....gudiya ....bas aise hi aankh lag gayi thi ....chalo ...ab chalte hai ...muzhe bhi bahut bhook lagi hai ....
Deepu aur Neetu dinning room pahunch gaye ....waha Rimpy aur naukaro k siwa aur koi nahi tha ...
Deepu - maa ...Dad kaha hai ....aur teeno badi maa bhi kahi dikhayi nahi de rahi hai .....
Rimpy - beta woh abhi basement mein kissi kaam mein busy hai tum khanna khao woh aajaayenge .....
yaha basement mein ....Abhi ....Shivali ki madat se un sabhi baccho k sharir se bomb nikal chuka tha ....jinhe woh sandan parisar se apni urja mein bandkar laaya tha .....bomb nikalne k baad unke ghavo ko heal kar diya gaya tha .....
Vibhakta unki khoyi hui smritiyo ..ko laane ka kaam kar rahi thi ....woh raat bit gayi ...ab naye sangharsh lekar ek naya savera aaya ....
Brahma muhurat mein apne samay par uthkar Deepu apne nityakarm nipyakar Dhyan mein baitha ....dhyan k baad usne telepathy k jariye ....apne bhaiyo se baat ki ....jo ..Darmen ko gherne k liye uske plan par kaam kar rahe the .....unse prapt jaankari ....k anusar unse ..Shivom aur Krish ko aage ka plan samzha diya .....
Shivom aur Krish ..se prapt jankari ...k kaaran ..ab usmein ek naye utsah bhar gaya ....usse poora viswash ho gaya k ab Darmen usase jyada dur nahi ....
aaj usse bahut se kaam karne the ....issiliye usne Kirti ko ph karke ....aaj college na aane ki baat bata di ....naye utsaha k saath woh niche ...pahuncha ....Niche Abhi ..apni chato patniyo aur golu k saath hall mein baitha ....kissi baat par charcha ka raha tha .....Deepu ne waha jaakar sabko GM ..wish kiya .....
Deepu ...Abhi ko apne bhaiyo dwara prapt jankari dena chahta tha ....abhi woh kuch bolta ..uske pahele hi ..Abhi ka ph baja ....call uske security officer ka tha jo gate ...par ...appoint tha ....
call par Abhi ne jo baatein suni usase uske maathe par chinta ki lakire saaf dekhi jaa sakti thi ......
Shivali - kya baat hai kiska call hai ...
Abhi - tum sab shant rahna ....Deepu tum jaldi se apne Room mein jaao ....
Deepu - kya baat hai dad .....kya hua ...
Abhi - tumhe jitna kah raha hu utna karo .....
Deepu Abhi ki baat maankar apne room mein chala gaya ....usse lag raha tha k kuch toh gadbad hai .....
tabhi DSP Dushyant apni team lekar ...dhadate hue ..ander aaya ....
Abhi - Kya baat hai DSP sahab aaj subah subah ...apne law lashkar k saath yaha ....sab thik toh hai na ....
DSP - Baat hi kuch aisi hai sir ......hum toh kanun se badhe hai ....aapke sahabjade kaha hai ....
Abhi - kyu kya hua ..aisa kya kiya hai usne jo tum poori fauj lekar aaye ho ...
DSP - kyu aapke security officer ne kuch nahi bataya ....hum aapke sahabjado ko giraftar karne aaye hai .....
Abhi - aahkir kiya kya hai unhone ....
DSP - muzhe afosos horaha hai yeh batate hue ....k aap jaise ..acche insan k ghar aise shaitan paida hue hai ...jinhone do hasti khelti maasum jindagi ko ..barbad jar diya hai ....unhone ..aisa ghinuna kaam kiya hai ...k muzhe batate hue bhi sharam aarahi hai ....
Rimpy - Aakhir batate kyu nahi ho kya kiya hai mere bacche ne ....kiski jindagi barbad ki hai ...
DSP - rape kiya hai unhone ...Charo ne milkar ...do ..maasum ladkiyo ka balatkar kiya hai ...un dono k liaj chal raha hai .....
Shivali - krodh mein bharkar ....jaban sambhalkar DSP ....warna tum aur tumahare yeh saathi ek bhi jinda nahi bachega ....tum jaante ho na kaha khade ho ....
Shivali ki baat sunkar DSP tharra gaya ..usse Shivali ki aankhon mein maut dikhayi dene lagi ....
Abhi - maine pahele hi kaha tha na ...k tum sab shant rahna ....shant ho jaao Shivali ....
Shivali - kaise shant ho jaau yeh dekho humare baccho k baare mein kya bol rahe hai ...tum kuch bolte kyu nahi ....
DSP - bhabhi ji muzhe bhi dukh hai ...lekin un ladkiyo k bayan k kaaran hume aapke bete ko giraftar karna hi hoga .....
Abhi ne Shivali ko shant kiya .....DSP k kahne par ...uski team Deepu k room ki taraf badhi ...unhe Deepu wahi sidhiyo par khada mila ....Deepu ko hathkadiya pahnayi gayi .....
Abhi ne apni patniyo ko sambhala ....Neetu ka bhi ro rokar bura haal tha ...Golu usse sambhale hue tha .....
DSP aur uski team Deepu ko giraftar karke le gayi ....
Media mein bhi yeh baat aaj ki headline ban gayi ..k mashur Industralist aur samaj sevak ...k ...baccho ne ki darindagi .....ek giraftar baaki char farar ...
Abhi k liye itna hi ....
Agla Update Jald hi .....